Monday 3 September 2012









Shuru Allah k Naam se: Aye Iman walon! Sbr aur Namaz k zariye Madat chaho, Allah Tala sbr walon ka sath daita hai.(Surah:Al-Baqarah, Surah No:2, Aayat No:153)

Ye who believe! Seek help with patient perseverance and prayer: for Allah is with those who patiently persevere.(The Holly Quran - Chapter 2, Al-Baqarah - Verse 153)


*****{ Namaz Gunahon ki Muaafi aur Tatheer (pak karna) ka Zariya }*****

Hazrat Abuzar r.a se riwayat hai k Rasulullah sallallahu alaihi wasallam aik din sardi k ayyam me bahar tashreef le gaye aur darakhto k patte (path jadh k sabab se) az khud jhd rahe the Aap ne aik darakht ki do Tahniyon ko pakda (aur hilaya) to aik dum us k patte jhdne lage, phir Huzoor s.a.w ne Mujhe mukhatb kar k farmaya aye Abuzar! mai ne arz kiya hazir hun ya Rasulullah! Aap ne Irshad farmaya jab Momin banda khalis Allah k liye Namaz padhta hai to us k gunah in patto ki tarah jhd jate hai.(Musnade Ahmed)

Hazrat Abu huraira r.a se riwayat hai k Rasulullah sallallahu alaihi wasallam ne aik din Irshad Farmaya Batlao agr tum me se kisi k darwaze per naher jari ho jis me Rozana panch (5) dafa wo nahata ho to kya us k jism per kuch mail kuchal baqi rahe ga? Sahaba ne arz kiya k kuch bhi nahi baqi rahega, Aap ne irshad farmaya Bilkul yahi misal panch Namazo ki hai, Allah Tala un k zariye se khatao ko Dhota aur Mitata hai.(Bukhari,Muslim)



Shuru Allah k Naam se: Aur Allah Tala se Bakhshish Mango! Beshak Allah Tala Bakhshish karne wala, Maherbani Karne wala hai.(Surah:Al-Nisa, Surah No:4, Aayat No:106)

But seek the forgiveness of Allah; for Allah is Oft-Forgiving, Most Merciful. (The Holly Quran – Chapter 4, Al-Nisa - Verse 106)


********{ Islamic Greeting is the Best Greeting in the World :) }********

As-Salamu Alaykum (Arabic- السلام عليكم) - Means "Peace be upon you."
Reply is-
Wa-Alaykum Assalam (Arabic- وعليكم السلام) - Means "Peace be upon you too."
What else could be better than wishing Peace to everyone....That's what we all wish for & want in our lives Insha' ALLAH [:)]

It is preferred to use the greeting when arriving and also when leaving. It was reported that Abu Hurayrah said “When one of you joins a gathering, let him say salaam. When he wants to get up and leave, let him say salaam. The former is not more important than the latter.” (Saheeh - at-Tirmidhi)

According to hadith the Islamic prophet Muhammad SAW was asked who should "begin" the salam greeting, and he said:
"The one who is riding should greet the one who is walking, and the one who is walking should greet the one who is sitting, and the smaller group should greet the larger group." (Saheeh - Al-Bukhaari, 6234; Muslim, 2160)

It is also stated that one should give the Salam greeting upon entering a house. This is based upon the verse of the Qur'an:
"But when you enter the houses, greet one another with a greeting from Allah (i.e. say: Assalaamu ‘Aleykum — peace be on you), blessed and good." (Al-Noor 24:61)

We sometimes comit mistakes unintentionally and without knowing. But once we know the right and the wrong way clearly, we inshALLAH will never do it again.

ALHAMDULILLAH this post aimed to bring a small positive change in our life just by knowing the Meanings of Correct and Incorrect pronunciation of Salaam. Remember if we have said the wrong pronounciation un-intentionally then its no sin on us. But now that we know it, we can avoid incorrect pronunciation as it becomes cursing instead of such a beautifull prayer.

The Correct Pronunciation
(السلام عليكم)
ASSALAMUALAIKUM - (Peace be Upon You)

Common Incorrect Pronunciation would mean to issue the Following Curses :-

x- SAAM-O-OALAIKUM - (Destruction be upon you)

x- ASAAM-O-ALAIKUM - (Death be Upon You)

x- ASSA-E-KUM - (May you stay short of Happiness)

x- SLAM-LE-KUM - (condemned be you)


Shuru Allah k Naam se: Allah Tala hi Mabood barhaq hai Jis k siwa koi Mabood nahi, jo zinda aur sub ka Thaamne wala hai, jise na uoongh aaye na Neend, us ki Mulkiyat me zameen aur aasmaano ki tmam cheezain hai, koun hai jo us ki ijazat k bagair is k saamne shifaat kr sake, wo Janta hai jo un k saamne hai, Aur jo un k Peeche hai, Aur wo us k ilm me se kisi cheez ka Ihata nahi krskte mgr Jitna wo chahe, us ki kursi ki Wus’at ne zameen o aasmaan ko ghair rkha hai aur Allah Tala un ki hifazat se na thkta hai aur na ukta ta hai, wo to bahot bulnd aur bahot bada hai.(Surah:Al-Baqarah, Surah No:2, Aayat No:255)

In the name of Allah, the Most Beneficent, the Most Merciful:Allah! There is no God save Him, the Alive, the Eternal. Neither slumber nor sleep overtaketh Him. Unto Him belongeth whatsoever is in the heavens and whatsoever is in the earth. Who is he that intercedeth with Him save by His leave? He knoweth that which is in front of them and that which is behind them, while they encompass nothing of His knowledge save what He will. His throne includeth the heavens and the earth, and He is never weary of preserving them. He is the Sublime, the Tremendous. (The Holly Quran – Chapter 2, Al-Baqarah - Verse 255)


***************{ Aap s.a.w Bahot Sharmile the } ***************

Sharm-o-Haya insan ki Khudrati khasiyat hai yahi wo sifat hai jis se Ham me bahot si khubiya Paida hoti hai aur Parwarish pati hai aur ham bahot si burayyon se bache rahte hai isi liye to kaha gaya hai k “Haya Iman ka hissa hai”, jis me sharm o haya nahi wo Imandar nahi. “Jab tum haya na karo to jo chahe karo”.(bukhari,muslim).

Hazrat Abu huraira r.a se Riwayat hai k Rasulullah sallallahu alaihi wasallam ne Irshad farmaya: “haya Iman ki aik shakh hai (ya Iman ka phl hai) aur Iman Jannat me le jayega, aur behayai-o-besharmi bdkari me se hai, aur bdi Aag (dozakh) me le jane wali hai”.( Musnade Ahmed,Tirmizi)

Pyare Nabi s.a.w ne Farmaya k Nannge hone se bacho kyu k Tumhare sath har waqt Allah k Farishte rahte hai Albatta jab tum Zaroorat se Faragat ko jaye to wo alg ho jate hain to Tum un se Sharm karo aur un ka Khayal rakho.

Aap ko Rasulullah sallallahu alaihi wasallam k bachpan ka wo waqia yaad hoga jab Kaaba ki deewar ki Marammat ho rahi thi Bado k sath bacche bhi patther kandho per rakh kar la rahe the, Pyare Nabi s.a.w bhi un me Shareek the jb kandhe dukhne lage to Ladko ne tahband khol kar kandho per rakh liye, Huzoor s.a.w k chacha ne Aap s.a.w se aisa hi karne ko kaha, Jb bahot israr kiya to Majburi ki halat me Aap s.a.w ne Tohband kholna chaha to Mare Sharam k be hosh hogaye jb chacha ne ye daikha to Mana kardiya… Daikha aap ne Hamare Nabi s.a.w kitne hayadar the, Aayye ham bhi be sharmi ki baton se bache ta k Allah ham se Khush ho.


Shuru Allah k Naam se: Raat k kuch hisse me Tahajjud ki Namaz me Quran ki tilawat Karen ye Zyadati aap k liye hai Anqareeb aap ka Rab aap ko Moqam Mahmood me khada karega.(Surah:Al-Bani Isra’il, Surah No:17, Aayat No:79)

And pray in the small watches of the morning: (it would be) an additional prayer (or spiritual profit) for thee: soon will thy Lord raise thee to a station of praise and Glory! (The Holly Quran – Chapter 17, Al-Bani Isra’il - Verse 79)


***********{ Nahi koi Islam se Accha Mazhab }***********

------------------ Hamen deen haq pe chalaya Nabi ne,
------------------ Hamen naik insan banaya Nabi ne,
------------------ Hame rahe haq pe chalaya Nabi ne,
------------------ Bhatakne se ham ko bachaya Nabi ne,
------------------ Musalmano! Aaps me mil jhul k rahna,
------------------ Hame barha ye bataya Nabi ne,
------------------ Bado k sath accha bartao rakhna,
------------------ Hadeeson me ye bhi bataya Nabi ne,
------------------ Jinhon ne Hamare nabi ko sataya,
------------------ Use bhi gale se lagaya Nabi ne,
------------------ Khuda k bataye huwe raaste per,
------------------ Zamane ko chalna sikhaya nabi ne,
------------------ Zamane k dukh dard me kaam aakar,
------------------ Zamne ko apna banaya Nabi ne,
------------------ Khuda wande Aalam ki whdaniyat ka,
------------------ Zamane me dankha bajaya Nabi ne,
------------------ Jihalat ki Tariqiyo ko mita kar,
------------------ Chirage hidayat jalaya Nabi ne,
------------------ Zamane k hatho me Quran de kar,
------------------ Bhalai ka rasta dikhaya Nabi ne,
------------------ Nahi koi Islam se Accha mazhab,
------------------ Ye duniya ko sabit karaya Nabi ne,
------------------ Sabhi jis k saye me baithe hai Ehqar,
------------------ Chaman me wo paoda lagaya Nabi ne.
------------------ Sallallahu alayhi wa sallam.


Shuru Allah k Naam se: Namaz ko qayem Karen Aftab k dhalne se lekar Raat ki tariqi tk Aur Fajr ka Quran padhna bhi Yaqinan Fajr k waqt ka Quran padhna Hazir kiya gaya hai.(Surah:Al-Bani Isra’il, Surah No:17, Aayat No:78)

Establish regular prayers at the sun’s decline till the darkness of the night, and the morning prayer and reading: for the prayer and reading in the morning carry their testimony. (The Holly Quran – Chapter 17, Al-Bani Isra’il - Verse 78)


***********{ Aap s.a.w ka Bartao apne sathiyo k sath } ***********

Hazrat Ali r.a se Daryaft kiya gaya k Nabi kareem sallallahu alaihi wasallamka ka Bartao apne sathiyo k sath kaisa tha, Hazrat Ali r.a ne Jawab diya k ------ Aap sallallahu alaihi wasallam

• Har aik se muskurate huwe milte.
• Bahot narm mizaj the aur Tabiyat me sakhti na thi.
• Sahulat-o-Aasani ko pasnd Farmate the.
• Kabhi behuda baat zaban se na nikal te the.
• Kisi k aayeb nahi Nikala karte the.
• Garoor se bahot door rahte the.
• Fuzool aur bekar baton se hamesha parhez karte the.
• Na kisi ki burai karte the aur na use Nicha samajhte the.
• Kisi k chupe huwe aayibo ko Zaher kar k use Sharminda nahi karte the.
• Maal-o-Dowlat ki lalach nahi karte the aur
• Agar Aap s.a.w ko koi cheez pasnd na aati to use Chhod dete the na us ki burai karte na Rogbat zaher farmate.
• Kitne Acche the Pyare Nabi Sallallahu alaihi wasallam.


Hazrat Ubada bin samit r.a ne Bayan kiya Rasulullah sallallahu alaihi wasallam ne Irshad Farmaya: che (6) cheezon ki mujhe zamanat dedo mai tumhe Jannat ki zamant dunga.
• Jb baat karo sach bolo.
• Jo wada karo use poora karo.
• Apne paas rakhi huwi amant ada karo.
• Apni sharam gaho ki Hifazat karo.
• Apni nigahen nichi rakho.
• Apne hatho ko aiza rasani se roko. (Musnade Ahmed)


Shuru Allah k Naam se: Aye Hamare Palne wale Mabood! Ham teri utari huwi Wahi per Iman laye aur ham ne Tere Rasool ki It’teba ki, Ps tu hamen gawahon me likh le.(Surah:Al-Imran, Surah No:3, Aayat No:53)

“Our Lord! We believe in what Thou hast revealed, and we follow the Messenger; then write us down among those who bear witness.” (The Holly Quran – Chapter 3, Al-Imran - Verse 53)


********{ wo Cheezen jin ka Hadya Qabool hi karna Chahiye } ********

Hazrat Abu huraira r.a se Riwayat hai k Rasulullah sallallahu alaihi wasallam ne Farmaya k jis kisi ko Hadye k tour per Khushbodar Phool paish kiya jaye to us ko chahiye k wo us ko bhi Qabool hi kare rd na kare kyun k wo bahot halki aur km Qimat cheez hai aur us ki khushbo ba’ise Farhat hai.(sahi muslim)

Phool jaisi km qimat cheez qabool karne se agar inkar kiya jaye to us ka bhi andesha hai k be chare paish karne wale ko khayal ho k meri cheez km qimat hone ki wajeh se qabool nahi ki gai aur us se uski dil shukni ho.

Aur Tirmizi ki aik riwayat me hai k “Jis ko khushbodar Phool ka hadya diya jaye wo wapas na kare kyun k khushbodar phool jannat ka tohfa hai, Hazrat Anas r.a ki Riwayat se khud Huzoor s.a.w ka ye mamool bhi manqool hai k “Aap s.a.w Khushbo ka Hadya wapas nahi Farmate the.(bukhari)

Hazrat Abdulllah bin umar r.a se Riwayat hai k Rasulullah s.a.w ne Irshad Farmaya k Teen cheezen (bilkhusoos) Aisi hai jin ko rd nahi karna chahiye, Qabool hi karlena chahiye “Takiya, Tail, Doodh”. (tirmizi)

In teeno cheezon ki Khususiyat yahi hai k dene wale per in ka zyada baar nahi padhta aur jis ko di jayen wo un ko istemal kar k un se faida utha ta hai jis se dene wale ka ji khush hota hai, aur bhi jo cheezen is haisiyat ki ho un ko bhi inhi per qiyas karlena chahiye.


Shuru Allah k Naam se: keh dijiye k Agr Tamam Insan aur kul Jinnat mil kar is Quran k misl Lana chahen to un sab se us k Misl lana na Mumkin hai go wo (aaps me) aik doosre k Madat gar bhi ban jayen.(Surah:Al-Bani isra’il, Surah No:17, Aayat No:88)

Say: if the whole of mankind and Jinns were to gather together to produce the like of this Quran, they could not produce the like thereof, even if they backed up each other with help and support. (The Holly Quran – Chapter 17, Al-Bani Isra’il - Verse 88)


**************{ Aap s.a.w ko Gibat se Nafrat thi } **************

Gibat se aaps k Tal’luqat kharab hote hain, Acche dil bure ho jate hain Izzat o Aabru khatre me pdh jati hai, is se Nafrat ka Jazba paida hota hai, Isi liye to Quran kareem me Gibat karne wale ki Misal aise Shaksh se di gai hai jo Apne murda bhai ka Gosht khata hai.

Aye Iman walo!bahot bd Gumaniyo se Bacho yaqeen mano k baaz bd gumaniya Gunah hai aur Bhaid na tatola karo aur na tum me se koi kisi ki Gibat Karen kya tum me se koi bhi Apne Murda bhai ka Gosht khana pasnd karta hai? Tum ko is se ghin aayegi, aur Allah se Darte raho, Beshak Allah toba Qabool karne wala maherban hai.(Surah:Al-Hujurat, Surah No:49, Aayat No:12)

Toba-----Toba-----kitni Ghinaoni aadat hai kisi ki peeth piche burai karna.

Hazrat Abu huraira r.a se Riwayat hai k Rasulullah sallallahu alaihi wasallam ne Aik din Irshad Farmaya: “kya tum jante ho k Gibat kis ko kehte hain? Hazrate Sahaba r.a ne Arz kiya, Allah aur us k Rasool s.a.w hi ko Zyada ilm hai, Aap s.a.w ne Farmaya: Tumhara apne kisi bhai ka is tarah zikr karna jo us ko na psnd ho (yahi Gibat hai), kisi ne Arz kiya k, Agar wo baat mere bhai me moujood ho jo mai bayan kar raha hun (to kya ye bhi Gibat hai?), Aap s.a.w ne Irhsad Farmaya: Gibat jab hi hogi jab k wo burai us me Maoujood ho, aur agar us me wo Burai nahi (jo tum ne bayan ki), to phir ye to Bohtan huwa (Jhoota Ilzam) (Aur ye Gibat se bhi zyada sakht aur Sangeen hai).(Musllim)

------------{ Allah Tala is buri Aadat se ham ko bachaye, Aameen }------------


 **************{ Dua }**************

Es dasht k sehra ko samandar kar de,
Ye meri ankh k har ashk ko patthar kar de,
Aye ALLAH mein or nahi kuch tujhse mangta,
Meri chadar mere peron k braber kar de,
Mujhe ghair na lay ye aatish-e-duniya kahin,
Mujh per apni rehmat ka saya kar de,
Mujhe khaak na krde meri hasti ka ghuroor,
Mujhe mere nafs se moutabar kr de,
Aye ALLAH meri duaon me wo asar kar de,
Mangu me tjhse qatra.. Or TU samandar kar de.

-------------------{ Aaameen }-------------------



Some Benefits of using Miswak...
● Using Miswak is following the Sunnah.
● It makes Allah happy.
● It increases the reward of Salah.
● Miswak is the freshness of mouth.
● Miswak makes gums stronger.
● It makes teeth shiny.
● Helps in digestion.
● Miswak improves eyesight.
● Miswak improves memory.
● Miswak cures the headache.
● Increase the fluency & intelligence.
● Relaxes the brain.
● Satisfies the heart.
Anas (May Allah be pleased with him) reported;
The Messenger of Allah صلى الله عليه و آله و صحبه و سلم said, “I stress upon you to use Miswak.” [Bukhari]
Ayesha (May Allah be pleased with her) reported;
The Prophet صلى الله عليه و آله و صحبه و سلم said, “The Miswak (tooth-stick) cleanses and purifies the mouth and pleases the Rabb.” [An-Nasa’i]


Shuru Allah k Naam se: Allah wo hai jis k siwa koi Mabood (barhaq) Nahi wo tum sab ko Yaqinan Qayamat k din jama kare ga, Jis k (aane) me koi Shak nahi, Allah Tala se zyada sacchi baat wala aur koun hoga.(Surah:Al-Nisa, Surah No:4, Aayat No:87)

Allah there is no god but He: of a surety he will gather you together against the Day of Judgment, about which there is no doubt. And whose word can be truer than Allah’s?.(The Holly Quran – Chapter 4, Al-Nisa - Verse 87)


Hazrat Abdullah bin Umar R.A se Riwayat hai k Nabi kareem sallallahu alaihi wasallam ne Farmaya: “ Haya aur Iman ye dono Hamesha sath aur Aikhatte hi rahte hai, Jab in dono me se koi aik Utha liya jaye to Doosra bhi utha liya jata Hai” (baihaqi)

************{ Aap s.a.w Bd zabani se Parhez karte the } ************

Bd Zabani aisi buri aadat hai k jis me ye Aadat pai jati hai log us se door bhagte hai, wo Shaksh doosron ki Nazar se gir jata hai, sub us se nafrat karne lagte hai, Bdzuban aadmi se log milna pasnd nahi karte, aise shaksh k bare me Rasulullah sallallahu alaihi wasallam ne Irshad Farmaya k “Khuda k nazdeek Qayamat k din sab se bura shaksh wo hoga jis ki bdzubani k dar se log us ko chhod de”.

Bdzubani ki wajeh se logon k dilo ko takleef pohonch ti hai halan k “Musalman to wahi hai jis ki Zaban aur hath k aiza se Doosre Musalman Mahfooz rahe.(Bukhari ,Muslim).

Bdzubani hi ki wajeh se aaps k Ta’luqat kharab hojate hai aur Nobat ladai jhagde tak Pohonch jati hai jab k Abdullah bin masood r.a se rivayat hai ki Rasulullah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Musalman ko gaali dena Fisq (belong to Fasiq) hai aur Qatl karna kufr hai.(bukhari)

Aik baar Huzoor s.a.w ne Irshad Farmaya k “Sab se bada gunah ye hai k Aadmi apne Maa Baap per La’nt bheje”. Sahaba r.a ne Hairat se pucha, ye kaise Mumkin hai? Aap s.a.w ne Farmaya “Is Tarah k jab koi kisi k Baap ko bura kahe ga to Jawab me wo un k Maa Baap ko bura kahe ga”. Allah Tala Hamen Badzubani se bachne ki toufeeq ata Farmaye.Aameen آمین

* Kisi ko gali ka Jawab na do kyu k Tota kawwe ki boli nahi Bolta.
* Lehja lab se huwe Sang bhi Mom, Kitna Pyar Aap ki Guftar me Hai.



Shuru Allah k Naam se: Jin logo ne apne deen ko tukde tukde kardiya aur guroh guroh ban gaye Aap ka un se koi Tal’luq nahi bus un ka Muamla Allah Tala k Hawale hai Phir un ko un ka kiya huwa jitla dainge.(Surah: Al-An’am, Surah No:6, Aayat No:159)

As for those who divide their religion and break up into sects, thou hast no part in them in the least: their affair is with Allah: He will in the end tell them the truth of all that they did.(The Holly Quran – Chapter 6 , Al-An’am - Verse 159)


**************{ Aap s.a.w Hamesha sach Bolte the } **************

Rasulullah sallallahu alaihi wasallam Hamesha sach bolte the aur Jhoot k paas kabhi na Phatakte the, Aap s.a.w ki Zaban Mubarak se kabhi koi galat baat sunne me nahi aai Yahan tak k mazaq me bhi Koi jhooti baat Aap s.a.w ki zaban se nahi Niakalti thi, Aap k Dushmano ne Aap per tarah tarah k Ilzamat lagaye magar Aap s.a.w ko Jhoota kehne ki Himmat na kar sake, ye to Aap jante hi hai k Abujahel Aap ka kitna bada dushman tha, Wo bhi kaha karta tha: “Muhammad s.a.w! Mai tum ko jhuta nahi keh sakta kyu k tum ne Kabhi jhoot bola hi nahi hai, Albatta jo baten tum kehte ho un ko Mai theek nahi samajhta”.
Yaad kijiye us waqiye ko jub Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne kohe safa per Chadh ker Quraish walo se ye Sawal kiya tha: “Agr mai tum se kahun k us pahad k piche aik Lashkar aa raha hai to kya tum Yaqeen karoge?” Sub ne aik Zaban ho ker jo Jawab diya tha wo Aap s.a.w k Sadiqul Qoul hone ki Daleel hai, Bole: “ Han! Hum Zaroor Yaqeen Karenge kyu k Aap ko Hamesha se hum ne sach hi bolte daikha hai.
Hazrat Abdullah r.a Riwayat karte hai k Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne Irshad Farmaya: Bila shuba sach bolna Naiki k raste per Daal deta hai Aur Naiki Jannat tak Pohcha deti hai, Aadmi sach bolta rahta hai yahan tak k use Allah Tala k yaha Siddiq (bahot saccha) likh Diya jata hai, Bila shuba Jhoot burai k Raste per Dal deta hai Aur burai us ko Dozakh tak Pohcha deti hai, Aadmi Jhoot bolta rahta hai Yaha tak k Allah Tala k Yaha use Kazzab (Bahot Jhoota) likh diya jata hai.(Muslim).

Hamesha sach bolo ta k Tumhe Qasam khane ki Zarurat na padhe.(Hazrat Ali r.a)


Shuru Allah k Naam se: wahi hai jis ne Aasmano aur Zameen ko che din me paida kiya phir arsh par Mustawi ho gaya, wo (khoob) janta hai us cheez ko jo zameen me jaye aur jo us se nikle aur Jo Aasman se niche aaye aur jo kuch chadh ker us me jaye, Aur Jahan kahi tum ho wo Tumhare sath hai Aur jo tum kar rahe ho Allah daikh Raha hai.(Surah:Al-Hadid, Surah No:57, Aayat No:4)

He it is who created the heavens and the earth in six Days, and is moreover firmly established on the Throne (of authority). He knows what enters within the earth and what comes forth out of it, what comes down from heaven and what mounts up to it. And He is with you wheresoever ye may be. And Allah sees well all that ye do.(The Holly Quran – Chapter 57 , Al-Hadid - Verse 4)


**************{ Aap s.a.w Guftagu Kaise karte the?} **************

Rasulullah sallallahu alaihi wasallam apna waqt Faltu baton me barbad nahi Karte the, Aap s.a.w Zyada tar khamosh rahte, aisa malum hota jaise kuch sonch rahe ho, Aap s.a.w usi waqt Guftagu farmate jab bolne ki Zarurat hoti, Aap s.a.w Jaldi Jaldi aur kate kate Lafz nahi bolte the, Aap s.a.w ki Guftagu bahot saaf aur Wazeh hoti thi, Na aap zyada lambi baat karte aur na Itni mokhtasar hoti k samajh me na aati, Aap k jumle Bahot nape tule hote.
Hazrat Ayesha r.a Farmati hai k “Aap s.a.w taher taher kar bolte ek ek Jumla is tarah Wazeh hota k sunne wale ko Poori taqreer yaad hojati”. Aap ki Aawaz buland thi aur acchi tarah suni ja sakti thi.
Aap s.a.w baaz martaba apni baat ko Hisbe Zarurat Teen Teen martaba dohrate the ta k Sunne wale Acchi tarah samjhle.
Aap s.a.w ki Guftagu bilkul saf saf hoti is tarah k zahno me Acchi tarah baith jati thi. Aap s.a.w kisi ki Baat beech se kat te na the bal k Poori baat kehne ka moqa dete Aur Tawajjeh se sunte the.
Aap s.a.w Muskurate huwe Narm lahje me baat karte the, Kisi ko khush karne k liye Jhooti ya Chaplusi ki baten Zaban se nahi Nikalte the, Aap s.a.w Hamesha insaf ki Baat kehte the aur Muh daikhi baat Pasnd nahi karte the, Aap kat hujjati se Parhez karte the.

* Apni Zaban Ko Narm Guftagu aur Salam Ka Aadi Banao kyun K Isse Tumhare Dost Ziyada aur Dushman Kam Honge.(Hazrat Ali R.A).


Shuru Allah k Naam se: Tum me se aik jamat aisi honi chahiye jo Bhalai ki taraf bulaye aur Naik kamo ka hukum kare aur bure kamon se ro ke, Aur yahi log Falah-o-Najat pane wale hai.(Surah:Al-Imran, Surah No:3, Aayat No:104)

Let there arise out of you a band of people inviting to all that is good, enjoining what is right, and forbidding what is wrong: they are the ones to attain felicity.(The Holly Quran – Chapter 3 , Al-Imran - Verse 104)


******************{ Pyari Baten }******************

* Ilm, Doulat se behter hai kyun k Ilm paigambaro ko milta hai Aur doulat Firaoun aur qaroon ko.
* Pagalo ki tarah sawal karo: Aqalmando ki tarah yaad karo.
* Koshish karo k tumhari zaat se kisi ko noqsan na pohche.
* Jis ne Ilm Hasil nahi kiya, wo Yateem hai.
* Dana wo hai, jo km bole aur Zyada sune.
* Be ilm shaksh sehra me bhatakte huwe us aadmi ki Tarah hai, jo Apne sath Har saman le jata hai magar Pani Bhool jata hai.
* Nafrat Aisi Cheez hai, jo Chahre per jhurriya dal deti hai.
* Dost khuda ki taraf se ata kirda patther hai, jo jitna Purana hota jata hai, utni hi us ki Qimat badhti hai.
* Jub insan gusse me hota hai to shaitan us waqt apne poore panje us k dilo dimag me Gaad ker use ird gird se bekhabar kardeta hai.
* Jo shaksh bachpan me adab karna nahi sikhta badi umr me bhi us se bhalai ki koi ummid nahi rakhi ja sakti.
* Jhoot tamam gunaho ki maa hai.
* Muskurakar baat karna Naiki hai.
* Namaz momin ki Meraj hai.
* Zillat ki Zindagi se Izzat ki Mout behter hai.
* Dushman per Ehsan karo wo dost ban jayega.
* Saadgi iman ki alamat hai.
* Har halat me insaf karo.
* Jo khud rahem na Karen wo Rahem k Qabil nahi.
* Jis insan ki sonch pokhta nahi, us k Faisle bante aur Khatam hote hai.
* Agar kamiyabi hasil karna Chahte ho to Musalsl mehnat karo.
* Jo amant dar nahi us me Iman nahi.
* Dil ki sub se badi bimari Hasad hai.
“Ye na soncho k ALLAH dua foran qabool kyun nahi karta, ye shukar karo k ALLAH hamare gunahon ki saza foran nahi deta” ( Hazrat ALI R.A )



Shuru Allah k Naam se: Hum ne Insan ko paida kiya hai aur us k Dil me jo Khayalat uth te hain un se Hum waqif hain aur hum us ki Rag jaan se bhi zyada us k Qareeb hai.(Surah:Qaf, Surah No:50, Aayat No:16)

It was We Who created man, and We know what dark suggestions his soul makes to him: for We are nearer to him than (his) jugular vein.(The Holly Quran – Chapter 50 , Qaf - Verse 16)


*****************{ Jumah k Din ki Sunnatain }*****************

Hafta me aik din Juma ka din hai, jo Tamam dino ka sardar hai, is din ki baaz Makhsoos sunnatain hai Agar hum in sunnaton per har hafta amal karle to Mahine me kitni sunnatain ada hongi? Juma to har aadmi se guzarta hai aur har aadmi Juma k din se guzarta hai Lekin jis ka juma Sunnaton k ehtemam k sath guzar jaye wo qabile sad tahseen hai.

1.Juma k din gusul karna sunnat hai Huzoor s.a.w ne Irshad farmaya ye wo din hai jis ko Allah Tala ne Eid ka din banaya ps tum is din Gusul karlo.(ibn majah).
2.Juma k din khushbo lagana bhi masnoon hai Huzoor s.a.w ne Irshad farmaya jis k paas Khushbo ho us k liye koi harj nahi k wo khushbo lagaye.(ibn majah)
3.Juma k din miswak karna bhi sunnat hai, Jis ko Allah ne tumhare liye Eid ka din banaya hai ps tum Gusul karo aur tum ko chahiye k tum miswak bhi karo.( tabarani)
4.Juma k din ki Fajr ki Farz Namaz ki 2 rakaton me Surah:alif lam mim sajda, aur surah:daher, padhna bhi masnoon hai.
5.Juma k din Darood sharif ka Kasrat se Padhna bhi masnoon hai, Huzoor s.a.w ne farmaya, Tum log Juma k din mujh per darood ki kasrat kiya karo kyun k Tumhara darood mujh per paish hota hai aur paish hota rahega.(abudawud).
6.Juma k din Namaz ko jane se pehle nakhun katna aur mooch tarashna bhi masnoon hai, Hazrat Abu huraira r.a se riwayat hai k Rasoolullahs.a.w apne nakhun Tarashte the aur Lub (mooch) tarashte the Juma k din Namaz ko jane se Pehle(tabarani).
7.Juma ki Namaz k liye roz marra k kapdo k alawa doosre kapde pahenna bhi masnoon hai.
Hazrat Ayesha r.a se riwayat hai k Rrasoolullah s.a.w ka khas joda tha jo Aap s.a.w Juma k din pehna karte the aur Jub Aap Namaz se farig ho ker Tashreef late the to hum us ko theh kar k rakh dete the Aur phir wo Agle Juma hi ko Nikalta tha.(tabarani).
8.Juma k din Namaz k liye Awal waqt jana bhi masnoon hai.

Aamale Juma: Yani Juma k wo Aamal jin ki Hadise paak me khas Fazilat aai hai Aur in per Amal Karne se har har Qadam per Aik saal nafl Namaz aur aur aik Saal nafl Roza ka Sawab Milta hai.(Riwayat kiya Is ko Imam Tirmizi, Imam Abudawood, Imam Nasai, Imam Ibn-e Maja, Rahmatullahi alaih Ne).

1.Gusul Karna. 2.Masjid Jaldi Jana. 3.Paidal Jana. 4.Imam k Qareeb Baithne ki Koshish karna. 5.Koi Lagu Kaam na karna. 6.Khudba Gour se Sunna.

In k Alawa aur bhi Chnd Aamal hai jin ka Juma k Roze Khaas Ehtemam Karna Chahiye.
1.Surah Kahef ki Tilawat.
2.Durood Shareef ki Kasrat Kamaskam 300 baar.
3.Salatu Tasbeeh Padhna.
4.Dono khutbon k drmiyan jb Imam Member per baithe to dil hi dil me Dua karna.
5.Guroob-e-Aftab se Qabl dua ka Ehtemam karna k us Waqt dua Qabool Hoti hai.



Shuru Allah k Naam se: Aye Hamare Rab! Tu hamen kafiron ki Aazmayesh me na dal aur aye Hamare palne wale hamari khatao ko bakhsh de, Beshak tu hi Galib, Hikmat wala hai.(Surah:Al-Mumtahina, Surah:No:60, Aayat No:5)

Our Lord! Make us not a (test and) trial for the Unbelievers, but forgive us, our Lord! for thou art the Exalted in Might, the Wise.(The Holly Quran – Chapter 60 , Al-Mumtahina - Verse 5)


**********{ Pata Nahi Aye Abuzar Tera Kya Hoga us Din :’( }**********

وَقُضِیَ بَینَھُم بِالحَقِّ “ Aur logon k darmiyan theek theek Faisla kardiya jayega”.(surah:39,Aayat No:75)
Suraj aik meel k fasle per hoga, zameen aag ki tarah jal rahi hogi, log nange pao, nange badan Hazir hon ge….. Aailan kiya jayega.

وَامتَازُواالیَومَ اَیُّھَاالمُجرِمُونَ “ Aye mujrimo! Aaj (naik logon se) alag ho jao”.(surah:36, aayat No:59)
Phir….Guroh bana diye jayenge, Ahle Iman ka guroh, Ulama ka guroh, Aouliya ka guroh, Sulaha ka guroh, Shohada ka guroh, wagaira, Aur doosri taraf Kuffar ka guroh, Mushrkeen ka guroh, murtdeen ka guroh, munafiqeen ka guroh, Fussaq-o-Fujjar ka guroh wagaira!.
• Adalat Qayem hogi…..Haq Tala, Farishton ki Mai’yat me Nuzool ajal Farmayenge.
• Adalat ke Atraf wo aknaf Per Farishte saf basta khade honge.
• Malaika, Anmbiya, Aouliya, aur shohada… bator Gawah talab kar liye jayenge.

---------------------{ Pehle Mujrim se }---------------------
Allah Tala: Kya mai ne Tujhe sonchne samajhne k liye dil aur dimag nahi diye the, Sunne k liye kan aur daikhne k liye Aankhen nahi di thi?
Ibn Adam: Ya Allah sub kuch diya tha.
Allah Tala: Phir tum ne shirk kyu kiya? Mere nabi… Muhammd s.a.w …. Ki takzeeb (Jhutlana) kyu ki? Mere nazil kirda hidayat… Quran Majid k mutabiq Zindagi basar kyu nahi ki?
{Ibn adam apne daye daikhe ga to use Aag nazar aaye gi aur bayen daikhe ga to use aag nazar aayegi Arz karega “ Ya Allah! Mai waqaie Zalim tha, bus aik dafa mujhe duniya me bhej den, mai mohad (khuda ko aik manne wala) ban kar aaounga }.

---------------------{ Doosre Mujrim se }---------------------
Allah Tala: Kya maine tujhe maal, doulat, izzat, Ahl-o-Ayal aur doosri Naimaten nahi di thi?
Ibn Adam: Ya Allah! Sub kuch diya tha.
Allah Tala: Phir tu ne mere liye kya kiya?
Ibn Adam: Ya Allah! Mai ne tere liye Namazen Padhi, Roze rakhe, Sadqa khairat kiya, Quran majid padha aur bhi bahot se naik kam kiye.
Allah Tala: Farishton! Ibn Adam k muh per mohar laga do.
Farishte: لَبَّیکَ وَسَعدَیکَ یَارَبیِّ Allah Tala: Ibn Adam k aaza gawahi dainge.
Bayen ran (left Thigh) Ya Allah: ye shaksh Namaz, Roza, Sadqa, Khairat to mahez muslamano me shamil rahne k liye karta tha lekin dil se kuffar jaisa tehwar aur kuffar ka tahzeeb-o-tamaddun psnd karta tha.
{Ibn adam apne daye daikhe ga to use Aag nazar aaye gi, bayen daikhe ga to use aag nazar aayegi Arz karega “ Ya Allah! Mai waqaie Zalim tha, bus aik moqa aur de de, mai momin ban kar rahunga}.

---------------------{ Teesre Mujrim se }---------------------
Allah Tala: kya mai ne tujhe Aa’la mansab, Izzat, biwi bacche, Aaram ghr, Thanda pani aur Khane nahi diye the?
Ibn Adam: Ya Allah: sub kuch diya tha.
Allah Tala: Tum mere pasndida deen se ulte paoun kyu phir gaye the?
Ibn Adam: Ya Allah! Kafiron ki taqat, quwwat aur Galbe se khouf zada hoker!
Allah Tala: kya mai is bat ka zyada haq dar nahi tha k tum mujh se darte?
Ibn Adam: Han Allah! Lekin tu ne mujhe andha kyu utha ya hai mai to daikhne wala tha?
Allah Tala: jis tarah Duniya me tu ne hamare Ehkam se muh moda isi Tarah Aaj hum bhi tum se muh mod rahe hain.
{Ibn adam apne daye daikhe ga to use Aag nazar aaye gi, bayen daikhe ga to use aag nazar aayegi Arz karega “ Ya Allah! Mai waqaie Zalim tha, bus aik dafa mujhe duniya me bhej den mai Aap ki aur aap k Rasool s.a.w ki Ita’at karunga}.

---------------------{ Chothe Mujrim se }---------------------
Allah Tala: kya mai ne tujhe duniya me Hukumat, Ektedar aur Ikhtiyar Nahi diya tha?
Ibn Adam: Ya Allah! Diya tha.
Allah Tala: Tum ne nizam salat nafiz kyu na kiya? Nizam zakat kyu na kiya? Islam ka Nizam Asmat-o-Affat nafiz kyu na kiya? Hudood nafiz kyu na kiye? Mere deen ka Rasta kyun roka?
{Ibn adam apne daye daikhe ga to use Aag nazar aaye gi aur bayen daikhe ga to use aag nazar aayegi, Arz karega “ Ya Allah! Mai waqaie Zalim tha, bus aik Moqa aur de de mai tere Deen ka Madat gar ban k rahunga}.

---------------------{ Panchwe Mujrim se }---------------------
Allah Tala: Kya mai ne tujhe Wasee-o-Areez jagiren nahi di thi, Sardari nahi di thi aur be had-o-hisab maal o dowlat aur Izzat ata nahi kit hi?
Ibn Adam: Han, Ya Allah! Sub kuch ata kiya tha.
Allah Tala: kya naow nosh ki Mehfile sajane k liye? Yatimo, bewao, Garibo, aur Miskinon ki Izzaten lootne k liye? Chori, dake, Agwa aur qatal karwane k liye?
{Ibn adam apne daye daikhe ga to use Aag nazar aaye gi, aur bayen daikhe ga to use aag nazar aayegi, Arz karega “Ya Allah! Mai waqaie Zalim tha, bus aik Moqa aur de de mai Naik ban kar rahunga}.

Allah Tala: (Farishton se) Faisle ka Elan kardo.
Farishta: "اَلَالَعنَۃُ اللہِ عَلَی الظّٰلِمِینَ" “suno! zalimon per Allah ki la’nt hai”.(surah:11, Aayat No:18)

• Phir Roushniya gul kardi jayegi aur baal se bareek, Talwar se taiz pulsirat se guzarne ka hukum hoga.
• Kuch log pulsirat uboor kar k Aalishan jannat me Qayam farmayenge… aur kuch log raste se hi jahannam me chale jayenge.
• Tub…..Aakhri Elaan kiya jayega: “aye ahle jannat aur ahale jahannam! Ab hamesha hamesha ki zindagi hai kisi ko mout nahi aayegi”.(tirmizi)

Hazrat Abu Saeed R.A se Riwayat hai k Huzoor s.a.w ne Farmaya " Qayamat k roz Mout aik Chatkabre Maindhe ki Shakal me Jannat aur Jahannam k Darmiyan khadi ki jayegi aur use Zabah kiya jayega Jannati aur Jahannami log ise Daikh rahe honge Agr Khushi se Marna Mumkin hota to Jannati Khushi se Marjate aur Gam se Marna mumkin Hota to Jahannami Gam se Marjate". (Tirmizi).

• Pus aye Allah aur yaom Aakhir per Iman rakhne walon!
• Aye dana wo bina logo!
• Aye hosho khurd rakhne walo!

------- Faisle ki Ghadi se Pehle Allah k Farman ko Zara Gour se suno!! -------

“Aye Iman Walo! Allah Tala se Itna daro jitna us se Darna chahiye aur daikho marte dum tak Musalman hi Rahna”.(surah:3, Aayat No:102)

Phir Koun hai jo Allah se Darjaye
------------ Aur ------------
Apni Mout tak Islam per Sabit Qadam Rahen?



Shuru Allah k Naam se: Allah Tala apne bandon me se jise chahe Faraq rozi deta hai Aur jise chahe Tanng, Yaqinan Allah Tala har cheez ka Janne wala Hai.(Surah:Al-Ankabut, Surah No:29, Aayat No:62)

Allah enlarges the sustenance (which He gives) to whichever of His servants He pleases; and He (similarly) grants by (strict) measure, (as He pleases): for Allah has full knowledge of all things.(The Holly Quran – Chapter 29 , Al-Ankabut - Verse 62)


*************{ Sone se Pehle aur Baad ki Sunnatain }*************

Baad Isha Jald sone ki fikr karna duniya ki bate na karna.
1.Sone se pehle ye dua Padhle (Allahumma bismika amutu wa ahya) Aye Allah mai Aap hi k naam k sath marta hu aur jita hun.(bukhari).
2.Ba’wazu soyen, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya jub tu tere bister per aaye to wazu karlen.
3.sone se pehle bister jhad le, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya, jub tum me se koi apne bister ki taraf aaye to apne bister ko jhad le.(bukhari,muslim).
4.Sone se pehle 3 salai surma lagana.
5.kalima Tayyaba padhna.
6.Tasbeeh Fatima padhna(33 martaba Subhanallah, 33 martaba Alhumdulillah, 34 martaba Allahuakbar padhe.(bukhari,muslim).
7.Teeno Qul padhna surah:Ikhlas, surah:falaq, surah:nas, aur dono hateliyon ko jama Karen phir in me phook maren phir apne Jis per Apne dono hath 3 martaba phair le.(bukhari).
8.Surah:Mulk aur Alif lam meem Sajda padh kar sona.
9.sidhi karwat per soyen, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya (ثُمَّ اضطَجَعَ عَلٰی شِقِّکَ الاَیمَنِ) phir sidhi karwat per lait jaye.(bukhair,muslim).
10.sidhi rokhsar k niche apna sidha hath rakh len, Huzoor s.a.w jub aaram Farmate to apna sidha hath sidhe rokhsar k niche rakh lete the.(abudawud).
11.Jub Aap sallaallahu alaihi wasallam sona chahte apna daya hath dayen rokhsar k niche rakhte aur ye teen martaba Padhte.(Allahumma qini Azabaka yaoma Tab’asu Iba’dk) aye Allah mujhe bachana (us din) apne azab se, jis din tu uthaye ga apne bandon ko.(Abudawud).
12.Surah:Baqarah ki Aakhri (2) do Aayaten padhen, Huzoor s.a.w ne Irshad Farmaya, Jo koi in 2 aayaton ko jis Raat me Padhta hai ye 2 aayaten us k liye kafi ho jati hai.(bukhari,muslim).
13.soker uthe to 3 baar Alhumdulillah kahen.
14.Kalima Shareef padhe.
15.soker uthne ki ye dua padhe (Alhmadulillahilladzi Ahyana Ba'Dama Amatana Wailaihinnusur)shukr ha allah ka jis ne hame zinda kiya baad mout dene k aur usi ki taraf uthna hai.(bukhari).
16.Jagne per sub se pehle dua padhna ya koi zikr zaban per jari karna.
17.Juta pehenne me sidhe pair se ibteda karna.
18.Hath dho ker pani me dalna.

Ye wo sunnatain hai jin k ehtemam me na zyada waqt kharch hota hai aur na hi zyada mehnat lagti hai, lekin in Sunnaton ka Ehtemam karne se bahot se faide hai.
In duaon k Padhne aur Sunnaton k ehtemam se Aadmi Allah Tala ki Hifazat me hota hai, Shaitan is se door hojata hai aur Aadmi har qism k Shar aur Aafaton se Mahfooz hojata hai, sote waqt in sunnaton per amal karne se rozana in sari sunnaton per amal ka sawab bhi milta hai, jo Aakhirat k liye Zakhira hai duniya ka Aaram bhi aur Aakhirat ki Rahat ka Saman bhi.


{would you like to know what happens when you sleep? Allah Says in the Quran}

Shuru Allah k Naam se: Allah hi Roohon ko un ki Mout k Waqt Aur jin ki Mout Nahi Aayi Unhain un ki Neend k Waqt Qabz Kar laita Hai, Phir Jin pr Mout ka Hukum lg Chuka Hai unhe to Rok Laita Hai, Aur Doosri (Roohon) ko Aik Muqarrar Waqt Tak liye Chhod Daita Hai, Gour Krne Walon k liye is me Yaqinan Bahot si Nishaniya Hai.(Surah:Al-Zumar, Surah No:39, Aayat No:42)

It is Allah that takes the souls (of men) at death: and those that die not (he takes) during their sleep: those on whom He has passed the decree of death, He keeps back (from returning to life), but the rest He sends (to their bodies) for a term Appointed. Verily in this are Signs for those who reflect.(The Holly Quran - Chapter 39 , Al-Zumar - Verse 42)


****************{ MAA-BAAP KA SAAYA }****************

------------------- Wo Hath jo Ponchthe the Aansu Mere,
------------------- Mit Jate Then Gham, Jin k Duwao k Asar se,
------------------- Dhundhte Hain wo Kaandhe, Roti Thin Aankh jin per,
------------------- Maa-Baap ka Saaya Jab uth Jata Hai Sar se,
------------------- Ungli Pakad kar Chalna, Her Khawahesh Poori Krna,
------------------- Guzarti thi unki Zindagi, Hamare hi Dagar se,
------------------- Yaad Aati Hai wo Baaten, Dil rota hai Aah Aksar,
------------------- Maa-Baap ka Saaya Jab uth Jata hai Sar se,
------------------- Wo Roothna Hamara, wo Aansuyen Bahana,
------------------- Poori Hoti thi Khwahesh, Hamare is Asar se,
------------------- Bhagh Aate Hai Yaad, Chubthe Hai Kaante Aksar,
------------------- Maa-Baap ka Saaya Jab uth Jata Hai Sar se,
------------------- Wo Dhundhli si Aankhen Wo Masoom sa Chehra,
------------------- Yatimo ko Daikho ge Jab tum unki Nazar se,
------------------- Samajh Jaoge Aah tum Bhi, Kya hota hai tub,
------------------- Maa-Baap ka Saaya Jab uth Jata Hai Sar se,
------------------- EHSAAS ki ek Ilteja Hai, Ek Baat meri Maano,
------------------- Apna Aashiyana Banana, Unki Muhabbaton k Asar se,
------------------- Bahut Taklif Hoti Hai, Hota hai Kaash honto pe aksar,
------------------- Maa-Baap ka Saaya Jab uth Jata Hai Sar se.

********************{ Walidain Ke Huqooq}********************

ALLAH TALA KA Irshaad hai: Agar Woh Humare Saamne Budhape Ko Pahonch Jayein In Dono Me Se Ek Ya Woh Dono , To Un se Uff Bhi Naa Kehna Aur Unko Jhidakna Bhi Nahi Aur Unn Se Adab Ke Sath Baat Cheet Karna Aur Kehte Rehna Ke*Aaye Mere Parwardigaar ! In Par Reham Farma Jaise Ke Unho Ne Mujhe Bachpan Me Paala... Aulaad Par Waldain Ke Fazl Wo Ehsaan se Kisi Ko Inkaar Nahi Hosakta, Waldain Hi Humare Wajood Me Aane Ka Sabab Hain Aur Is Par In Ke Azeem Huqooq Hain, Unho Ne Bachpan Me Humari Parwarish Ki, Humari Rahat Wo Aasayesh Ke Liye Hamesha Takleefein Uthai, Humari Neend Keliye khud Apni Neend Qurbaan Kardi.... Isi Tarah Baap Bhi Tumhari Rozi Roti Keliye Hamare Bachpan se Lekar Bade Hone Tak Doud Dhoop Karta Raha, Aur Hamari Tarbiyat Aur Rahnumaiye Karta Raha , Jabke Hum Apne Nafaa Nuqsan Ka Shourr Nahi Rakhte The, Isi Liye ALLAH Subhana Talah Ne Aulaad Ko Waldain Ke Sath Husn Suluk Aur Shukar Guzari Ka Hukum Diya Hai, Hum Par Waldain Ka Yeh Haqq Hai Ke Hum Un Ke Sath Husn Suluk Karein, Qwali Aur Amli Taur Par, Mall Ke Zariye Aur Jism Ke Zariye Un Ke Sath Ehsaan Karo, Unn Ka Kaha Maano, Unnse Narmi Ke Sath Guftagoo Karo, Unse QandaPeshani Se Paish Aao, Unnke Shayan-e-Shaan Unki Qidmat karo, Budhape ,Ya Beemari Ya Kamzoori Ke Waqt Un se Tangdil Naa Ho, Aur Naa Hi Unki Janib Se Bojh Mehsoos Na Karo, Baad Mein Hum Bhi Unhi Ke Muqaam Par Honge, Jis Tarah Woh Humare Maa Baap Hain, Agar Zindagi Rahi Toh Hum Bhi Isi Tarah Apni Aulaad Ke Saamne Budhape Ko Pohenchenge ,
Jis Tarah Aaj Woh Humari Qidmat Ke Zarooratmand Hain Isi Tarah Hum Bhi Apni Aulaad Ki Qidmat Ke Zarooratmand Honge, Agar Hum Apne Waldain Ki Qidmat Guzari Ki Hain Toh ALLAH Se Azeem Ajr Wo Sawab Ki Aur Apni Aulaad Se Isi Ki Misal Badle ki Khushi Lenge {insha Allah} Kyunke Jo Apne Waldain Ki khidmat Karta Hai Us ki Aulaad Bhi Uski khidmat Karti Hai , Aur Jo Apne Waldain Ki Na Farmani Karta Hai, Uski Aulaad Bhi Uski Na Farmani Karti Hai, Badla Amal Hi Se Hota Hai, Jaisa Karoge Waisa Paaoge. Allah Tala hum Sub ko Apne Walidain ka Khidmat Guzar banaye Aameen.
Rakhna mere Maa Baap ko hayaat k Jab tak zinda hu Mein “Aye ALLAH” K un ki Duaon k bina Meri zindagi bohat adhuri Hai.


Shuru Allah k Naam se: Kya Insan ye khayal karta hai k hum us ki haddiya jama karenge hi nahi. Han zaroor karenge hum to Qadir hai k us ki por por tak durust karden.(Surah:Qiyamah, Surah No:75, Aayat No:3-4)

Does man think that We cannot assemble his bones? Nay, We are able to put together in perfect order the very tips of his fingers. (The Holly Quran – Chapter 75, Qiyamah - Verse 3-4)


************{ Hashr me Phir Milenge Mere Dosto }*************

Hashr me Phir milenge Mere dosto,
Bus yahi hai maqam Aakhri Aakhri,
Hashr me phir milenge mere dosto,
Bus yahi hai payam aakhri aakhri.

Kehna sub jite jike he shikwe-o-gile,
Aaj se khtm duniya k sub sil sile,
Shmma dhalne ko hai dum nikalne ko hai,
Ab hai qissa tamam aakhri aakhri,
Hashr me phir milenge mere dosto.

Mujh ko nehlake pehnadiye hai kafan,
Ro chuke mil k maa, baap, bhai, bahen,
Mout bhi doston aaj hairat me hai,
Ab hai qissa tamam aakhri aakhri ,
Hashr me phir milenge mere doston.

Khush’buon me kafan ko basane lage,
Meri mayyat ko dulhan banane lage,
Doston ab uth’aow janaza mera,
Ho chuka intezam aakhri aakhri,
Hashr me phir milenge mere doston,
Bus yahi hai payam aakhri aakhri.

Mujhko zere zameen yaar dafna gaye,
Kis qadar sang dil ho k farma gaye,
Dosto chain ki neend sote raho,
Bus yahi hai maqam aakhri aakhri,
Hashr me phir milenge mere doston.

Kaisi duniya hai ye murshide gazabre gazab,
Chand dino me yaha bhool jate hai sub,
Jis bahane meri yaad aajaye to,
Padh laina ye kalam aakhri aakhri,
Hashr me phir milenge mere doston,
Bus yahi hai maqam aakhri aakhri.

Zindagi ne jaha tak wafa ki rahi,
Chal diye ab salam aakhri aakhri,
Hashr me phir milenge mere doston.

Kitne mukhtasar se waqt k liye aaye the hum jahaan me,
k aate huwe AZAN hui aur jaate huwe NAMAZ.



Shuru Allah k Naam se: wo jub kabhi kisi cheez ka irada karta hai use itna Farmadena (kafi hai) k ho ja, wo usi Waqt hojati hai.(Surah:Yasin, Surah No:36, Aayat No:82)

Verily, when He intends a thing, His Command is, Be, and it is. (The Holly Quran – Chapter 36, Yasin - Verse 82)


*******************{ Chaar Cheezen }*******************

4 Cheezen Aap ko pareshan ya bimar karti Hai:
1.zyada baten karna 2.zyada sona
3.zyada khana 4.zyada logon se mail jhol.

4 cheezen aap ko khatam karti hai:
1.Pareshani 2.Gham 3.Bhook 4.Dair se sona.

4 Cheezon se chehre ki rounaq khatam ho jati hai aur Khushiya chali jati hai: 1.Jhoot bhoolna 2.Izzat na karna ya kisi galat cheez per bhi israr karna
3.Bagair malumat aur bagair jante huwe bahez karna 4.kisi galat cheez ko be baqi se bagair kisi khowf se karna.

4 Cheezon se chahre ki rounaq badh jati hai:
1.Parhez gari 2.Wafadari
3.Rahem dili 4.Doosre k bagair kahe un ki madat karna.

4 cheezon se rizq ki Farawani (zaydati, kasrat) ruk jati hai:
1.Suba fajr se tulu Aftab tak sona
2.Namaz na padhna ya pabandi se na padhna
3. Susti karna 4.Dhoke dena.

4 cheezon se rizq badhta hai: 1.Raaton ko uth ker Ibadat karna 2.Bahot zyada paisheman hona (apne gunaho per) 3.Mustaza khairat karna 4.Zikr karna Allah Tala ko yaad karna.


Shuru Allah k Naam se: Aye hamare palne wale Mabood! Hamen wo de jis ka Wada tu ne hum se Apne Rasoolon ki zabani kiya hai aur Hamen Qayamat k din ruswa na kar, Yaqinan tu wada khilafi Nahi karta.(Surah:Al-Imran, Surah No:3, Aayat No:194)

“Our Lord! Grant us what Thou didst promise unto us through Thy Messengers, and save us from shame on the Day of Judgment; for Thou never breakest Thy promise.”(The Holly Quran – Chapter 3, Al-Imran - Verse 194)


*********{ Umr Beet gai “Ya Rab” Tere Ehsaan Gintay Gintay }*********

------------------ Aajiz zuban hai Hamd karu kis tarah bayan,
------------------ Shaan us ki aaye Ihataye Tahreer me kaha,
------------------ Har bahro bar pe Teri hukumat hai zuljalal,
------------------ Har khushk-o-tar pe Naam ka sikkha tera Rawa,
------------------ Adna se ek Ishare pe Zarra ho Aftab,
------------------ Qatra agar tu chahe to Samandr ho be guman,
------------------ Ek lafze “Kun” se hogai takhleeq kayenat,
------------------ Kafi hai ek soor mitane ko ye Jahan,
------------------ Mokhtar kul tu hi hai tu hi sub ka Aasra,
------------------ Tere karam se Faiz ka dariya huwa rawan,
------------------ Karu kyu na hamdo sana us khuda ki,
------------------ K jis ne mujhe har khushi ata ki,
------------------ Kiya dar guzar meri har aik khata ko,
------------------ Yun mujh per maherbani ki inteha ki,
------------------ Mai karta rahunga tera shukr mere moula,
------------------ Meri zindagi ne jub tak wafa ki,
------------------ Mujhe hai Aas bakshish ki us se,
------------------ Rahem karna Aadat hai Mere Allah ki.

------------------ Sajda-e-Shukr baqi tha, Shukr ki na mili mohlat,
------------------ Umr beet gai “Ya Rab” tere ehsaan ginte ginte.


Shuru Allah k Naam se: Paak hai Aap ka Rub jo bahot badi Izzat wala hai har us cheez se (jo mushrik) Bayan karte hain, Peghambroon per Salam hai, Aur sub tarah ki Tareef Allah k liye hai jo Sare Jahan ka Rub hai.(Surah:Al-Saffat, Surah No:37, Aayat No:180-181-182)

Glory to thy Lord, the Lord of Honour and Power (He is free) from what they ascribe (to Him). And Peace on the Messengers. And Praise to Allah, the Lord and Cherisher of the Worlds.(The Holly Quran – Chapter 37, Al-Saffat - Verse 180-181-182)

23 comments:

  1. It was a co incident for me,,I was looking for something else in google and I saw this link. It was great to know things about our Prophet Mohammed Sallallahu alaihiwassallam. In shaa Allah I would try to follow all of things my Phrophet use to do. And thank a lot to the person who created this site.

    ReplyDelete
  2. Very very informative about our beloved Prophet S.A.W.....
    InshaAllah from now itself Will try to follow all Sunnats...
    Zazaakallah Islami Jannati brother who wrote such information.... Zazaakallah

    ReplyDelete
  3. mjy complete reference chey is Hadith ka
    """"""""
    Hazrat 'Abdullah bin 'Amr fermatay han ke:

    Nabi(SALLALLAAHU ALAIHI WASALLAM) ne fermay,"muslim wo hai jin ki zuban aur haath se dosera muslim mahfoos rahay aur Muhajir (emigrant) wo hai jis baat se Allah ne manna fermaya wo wo qaam nahi kerta".""""""""""

    ReplyDelete
    Replies
    1. Narrated `Abdullah bin `Amr: The Prophet (ﷺ) said, "A Muslim is the one who avoids harming Muslims with his tongue or his hands. And a Muhajir (an emigrant) is the one who gives up (abandons) all what Allah has forbidden."

      نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ، مسلمان وہ ہے جو مسلمانوں کو اپنی زبان اور ہاتھ سے ( تکلیف پہنچنے سے ) محفوظ رکھے اور مہاجر وہ ہے جو ان چیزوں سے رک جائے جس سے اللہ نے منع کیا ہے ۔

      (Sahih al-Bukhari 6484) (Sahih Bukhari, Vol. 8, Book 76, Hadith 491)

      Delete
    2. KAMI SEKELUARGA MENGUCAPKAN BANYAK TERIMA KASIH ATAS BANTUANNYA MBAH , NOMOR YANG MBAH BERIKAN/ 4D SGP& HK SAYA DAPAT (350) JUTA ALHAMDULILLAH TEMBUS, SELURUH HUTANG2 SAYA SUDAH SAYA LUNAS DAN KAMI BISAH USAHA LAGI. JIKA ANDA INGIN SEPERTI SAYA HUB MBAH_PURO _085_342_734_904_ terima kasih.

      KAMI SEKELUARGA MENGUCAPKAN BANYAK TERIMA KASIH ATAS BANTUANNYA MBAH , NOMOR YANG MBAH BERIKAN/ 4D SGP& HK SAYA DAPAT (350) JUTA ALHAMDULILLAH TEMBUS, SELURUH HUTANG2 SAYA SUDAH SAYA LUNAS DAN KAMI BISAH USAHA LAGI. JIKA ANDA INGIN SEPERTI SAYA HUB MBAH_PURO _085_342_734_904_ terima kasih.


      KAMI SEKELUARGA MENGUCAPKAN BANYAK TERIMA KASIH ATAS BANTUANNYA MBAH , NOMOR YANG MBAH BERIKAN/ 4D SGP& HK SAYA DAPAT (350) JUTA ALHAMDULILLAH TEMBUS, SELURUH HUTANG2 SAYA SUDAH SAYA LUNAS DAN KAMI BISAH USAHA LAGI. JIKA ANDA INGIN SEPERTI SAYA HUB MBAH_PURO _085_342_734_904_ terima kasih.


      Delete
  4. Very nice and amazing I like this page

    ReplyDelete
  5. Jazakalaha alaha apko is kaam ki bahetreen jaza de ameen

    ReplyDelete
  6. Allah hame amal ki tawfique ata farmaye.

    ReplyDelete
  7. Assalamualaikum really i was lukig for somthing else n by mistake i clicked on dis link it is v informative n will try to follow thankx.eg first i wrote asak den it recalled from readin dat it should be assalamulaikum...

    ReplyDelete
  8. Waalikum Assalam Warahmatullahi Wabarakatuh JazakAllahu Khair :)

    ReplyDelete
  9. Walykum As Salam Wa Rahmatullahi Wa Barkatahu jazakAllahu Khair

    ReplyDelete
  10. Very Informative
    Jazakallahu khair

    ReplyDelete
  11. Aslam o alikum kya bhai ki maaren brdasht krny pr sabr krna. Chahiye or is ka kya ajar hai?

    ReplyDelete