Sunday 30 June 2013

✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "TEACH YOUR CHILDREN TO PRAY" ✦


REVIVE A SUNNAH "FILL THE STOMACH: 1/3 WITH FOOD, 1/3 WITH DRINK, 1/3 WITH BREATH"
The worst vessel to fill is the stomach, but leave one-third for food, one-third for water, and one-third for air.

Al-Miqdam ibn Ma’d reported: I heard the Messenger of Allah
saying, “There is no vessel which the son of Adam can fill more evil than his stomach, for it is sufficient for him to take a few mouthfuls in order to straighten his back; but if he must, then fill one-third with food, one-third with drink, and one-third with breath.”

[Sunan ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 29 :: Hadith 3349]

Urdu Translation: Hazrat Maqdam Bin Ma'd R.A Farmate hain k Maine RasoolAllah
ko ye Farmate suna Aadmi k Pait se zyada bura koi bartan nahi bharta, Aadmi k liye Chnd niwale kafi hain jo us ki Kamar sidhi rakhen aur Agar Aadmi ka nafs us par Galib hi Aajaye (Aur chnd niwalon par iktefa na kar sake) to Tihayi pait khane k liye, Tihayi pine k liye aur Tihayi sans k liye.

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol.3 :: Hadith 230]

Sister and Brother Relation is the Best Relation of The World
Small Girl Asked Her Elder Brother, What Is Love ???

Her Brother Replied: Love Is When U Steal My Chocolate Everyday From My Bag....!!!
And I Still Keep It In That Place For U..


.............x Munafiq ki Chaar Aadatain x.............
Narrated 'Abdullah bin 'Amr: The Prophet said, "Whoever has the following four (characteristics) will be a pure hypocrite and whoever has one of the following four characteristics will have one characteristic of hypocrisy unless and until he gives it up.

1. Whenever he is entrusted, he betrays.
2. Whenever he speaks, he tells a lie.
3. Whenever he makes a covenant, he proves treacherous.
4. Whenever he quarrels, he behaves in a very imprudent, evil and insulting manner."

[Sahih Bukhari :: Vol 1 :: Book 2 :: Hadith 33]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Amr R.A se riwayat hai ki RasoolAllah
ne Farmaya: "Chaar (4) Aadatein jis kisi mein ho to wo khaalis (pura) Munafiq hai aur jis kisi main in chaaron main se Aik aadat ho to wo (bhi) Nifaq hi hai jab tak usey na chor de :

1. Jab usey Ameen banaya jaye to (Amanat mein) Khayanat kare.
2. Aur Baat karte waqt Jhoot bole.
3. Aur jab (kisi se) Ahad (wada) kare to use pura Na kare.
4. Aur jab (kisi se) Lade to to Galiyon par uatar Aaye".

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Hadith 34]

═══════════════════════◄►══════════════════════●

Narrated Hazrat Abu Huraira (R.A): The Prophet Mohammad said, The worst people in the Sight of Allah on the Day of Resurrection will be the double faced people who appear to some people with one face and to other people with another face."

[Bukhari :: Volume 8 :: Book 73 :: Number 84]

URDU TRANSLATION: Hazrat Abu Huraira (R.A) se Riwayat hai k Nabi
ne Farmaya: "Qayamat k Din Allah ki Nazar main Badtareen log wo honge Jo Munafiqeen (do Chahre rakhne wale) hai. Jo Baaz logon k Samne khud ko kuch zaher Karte hai aur Doosre logon k samne kuch.


......... Aaise Raha karo k karen Log Aarzu....... ......... 
......... Aaisa chalan chalo k Zamana Misaal De .........
Jarir said I asked the Apostle of Allah about an accidental glance (on a woman). He said “Turn your eyes away.”

[Sunan Abu Dawood :: Book 11 :: Hadith 2143]

Urdu Translation: Hazrat Jarir R.A se riwayat hai k main ne RasoolAllah
se pucha k (gair mahram par) Achank girne wali nazar ka kya hukm hai? Aap ne Farmaya k tu Apni Nazar pher le.

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol 2 :: Hadith 381]

••
Apne kirdar ko itna buland karo k log rashk se kahe k Ummati aise hain to NABI kaise honge.

Har Aourat Beshak Apne Shohar k Ghar main Malika ho ya na Ho Lekin woh apne Baap ki Shehzaadi zaroor hoti Aur Rehti hai
 
............................. H A D E E S .............................
Narrated Abu Huraira: Allah's Messenger said, "When an adulterer commits illegal sexual intercourse, then he is not a believer at the time he is doing it; and when somebody drinks an alcoholic drink, then he is not believer at the time of drinking, and when a thief steals, he is not a believer at the time when he is stealing; and when a robber robs and the people look at him, then he is not a believer at the time of doing it." Abu Huraira in another narration, narrated the same from the Prophet with the exclusion of robbery.

[Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 81 :: Hadith 763]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira R.A se rivayat hai k RasoolAllah
ne Farmaya "Jab bhi Zina karne wala Zina karta hai to wo Momin Nahi Rahta, Jab bhi koi Sharab Pine wala Sharab Pita hai to wo Momin nahi rahta, Jab bhi koi Chori karne wala chori karta hai to wo Momin nahi rahta, Jab bhi koi lootne wala loot ta hai k log Nazre utha utha kar use dekhne lagte hain to wo Momin nahi rahta".

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol 8 :: Hadith 6772]

"Aaj ka Media Aourat ko Aazadi k naam par be Sharm aur Mard ko Aaitemad k Naam par be baak banane ki lagataar koshish main hai , Aisi Aazadi ka koi kya kare jo Sharm o Lihaz khatam karde, Aur aise Aaitemad ka kya karna jo Haram aur Halal ki Tameez mitade".
:-( Bint-e-Hawwa ne khol rakha hai Bazaare Gunah :-(
:-( Ibn-e-Adam hai khareedar Khuda Khair Kare…... :-(

Islam ki Betiyo par Mushrik Mardo ki bad Nigahi, phir unse Naja'yez T'alluqat Rakhkar unhe Behla kar unse Shadi kar k unhe Mushrik Banane ki khule aam sazish chal rahi hain & ye hadse Aam ho chuka hai, Apni Betiyon par Nazar rakhe, Khaas kar Cell phones se unhe door hi rakhe.

••
"Bachhiyon ko sone (Gold) ka Niwaala khilaao magar uspar shikaari ki Nazar Rakho" Schools Colleges main Ladko se Door Rahiye Meri Pyari Bahno.

"Hamari Tabahi ki Wajah koi aur Nahi ham khud hain Kyun k Ham shari’at Apnane main Sharm aur Dunya Apnane main Fakhar Mahsoos karte hain, “Kamyabi Deen main hai Aur ham ise Dunya main Dhoondte hain".
Ilm: ko Allah ne bhook aur safar main chupa rakha hai magar log use watan aur khane pine main talash karte hain bhala wo kaise payenge?

Izzat: ko Allah ne apni ita’at main chupa rakha hai magar log use badshahon k dr pr talash karte hain bhala wo kaise payenge?

Rahat: ko Allah ne jannat me chupa rakha hai magar log use duniya main talash karte hai bhala wo kaise payenge?

Bulandi: ko Allah ne aajizi o Inkisari me chupa rakha hai magar log use garoor o takabbur main talash karte hai bhala wo kaise payenge?

Doulat: ko Allah ne qina’at me chupa rakha hai magar log use aish o ishrat main talash karte hai bhala wo kaise payenge?

Dua: ki qabuliyat: ko Allah ne loqma halal me chupa rakha hai magar log haram zaraye main talash karte hai bhala wo kaise payenge?.

REVIVE A SUNNAH "UPHOLD THE TIES OF KINSHIP (SILAT UR-RAHM)"
Narrated Anas bin Malik: Allah 's Apostle said, "Whoever loves that he be granted more wealth and that his lease of life be prolonged then he should keep good relations with his Kith and kin."

[Sahih Bukhari :: Volume 8 :: Book 73 :: Number 15]

Urdu Translation: Hazrat Anas Bin Malik R.A se Riwayat hai k RasoolAllah
ne Farmaya Jo Chahta ho k us k Rizq main Farakhi ho aur Us ki Umr daraaz ho to wo Sila Rahmi kiya kare.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Hadith 5986]

.........x The Islamic Position on Extra-Marital Affairs x.........
"Islam is very clear on the topic of extra-marital affairs, and considers it as one of the major sins. In The Qur’an in (Qur'an 17:32), Allah says: Do not go near adultery, .surely it is an indecency, and an evil way [of fulfilling sexual urge]. (Qur'an 17:32) Fornication and adultery have severely been condemned in the hadiths of the Prophet While describing the believers, the Qur’an says, “The believers are… those who protect their sexual organs except from their spouses… Therefore, whosoever seeks more beyond that [in sexual gratification], then they are the transgressors.” (Qur'an 23:5-6) Again Allah says, regarding His true believers: “Those who invoke not, with Allah, any other god, nor slay such life as Allah has made sacred except for just cause, nor commit fornication; – and any that does this deserves punishment.” [Qur'an 25:68]

The Prophet said: “The fornicator does not commit fornication while he is a believer” [Sahîh al-Bukhârî and Sahîh Muslim]

A young man once came to our Prophet (peace be upon him) and said: “O, Messenger of Allah give me a permission to commit fornication.” The Companions were angry with the way that young man who dared to ask such a thing from the Prophet (peace be upon him), but the Prophet (peace be upon him) did not grow angry and immediately asked him: “Would you like a man to fornicate with your mother?” The young man replied: “No.” The Prophet (peace be upon him) said: “Hence other people do not like it for their mothers. Would you like it for your daughter?” The man said: “No.” The Prophet (peace be upon him) said: “Hence people do not like it for their daughters.” [Musnad Ahmad]

"Moreover, those who engage in fornication and do not repent are the most maligned of people. Allah says: “The adulterer cannot marry any but an adulteress or an idolatress, and the adulteress, none mary her but an adulterer or an idolater; to the believers such a thing is forbidden” [Qur'an 24:3]

••
Please note that extra-marital affairs may not involve any sex. It could be an emotional affair via the internet, and that may itself be equally problematic and dangerous.

"O you who believe! Fear Allah (by doing all that He has ordered and by abstaining from all that He has forbidden) as He should be feared. [Obey Him, be thankful to Him, and remember Him always], and die not except in a state of Islam (as Muslims) with complete submission to Allah". (Qur'an 3:102)
 

.... Paanch (5) Namazon k Badle Pachas (50) ka Sawab Milega ....
Anas bin Malik Narrated: "On the Night of Isra, fifty prayers were made obligatory upon the Prophet . Then it was decreased until it was made five. Then it was called out: 'O Muhammad ! Indeed My Word does not change; these five prayers will be recorded for you as fifty.'" (Sahih)

[Jamia Tirmidhi :: Book 2 :: Hadith 65]

Ansa Bin Malik R.A se Rivayat hai k RasoollAllah
par shab-e-mairaj main pachas (50) Namazein Farz ki gayee phir kami ki gayee yahan tak k paanch (5) rah gayee phir Aawaz di gayee Aye Muhammad Hamare qaul mein tabdili nahi hoti, in paanch Namazon k badley pachas ka sawab milega.

[Urdu Ref :: Jamia Tirmidhi :: Vol 1 :: Hadith 203]


•• Pyare Bhai Aur bahno Aap sab se Guzarish hai k Jo Bhi Post karre Qur'an o Hadees ki Roshni main Aik Dafa use Check karle Bagair Daleel (Reference) k koi Post na kare, koi Post kiye Nabi ne Farmaya k jo Juma k Din Amama Bandhe us par Farishte Darood Bhaijte hai AllahuAkbar Astagfirullah kya hai ye, Aise kai Post samne Aate hai Nabi ne Farmaya Lekin us k Aage Hadid ka Koi Reference nahi na Book ka Reference Plz Aise post na kare, Jab tak Aap khud us k sahih hone ki Tahqeeq na karle ho.
═══════════════════════◄►══════════════════════●

"O you who believe! If a rebellious evil person comes to you with a news, verify it, lest you harm people in ignorance, and afterwards you become regretful to what you have done".(Qur’an 49:6)

"Aye Iman Walo! Agar koi Badkirdaar tumhare paas koi khabar lekar aaye to Khoob Tahqeeq karliya karo (Mubada) k kisi qoum ko Nadani se Nuqsan pohchado, Phir tum ko apne kiye par Nadim hona pade". (Qur’an 49:6)

......................
....... H A D E E S .............................

Narrated 'Ali: The Prophet said, "Do not tell a lie against me for whoever tells a lie against me (intentionally) then he will surely enter the Hell-fire."

[Sahih Bukhari :: Book 3 :: Number 48]

Hazrat Ali r.a se Riwayat hai k RasoolAllah
ne Farmaya k Mujh par Jhoot mat bolo, Kyun k jo Mujh par Jhoot bandhe wo Dozakh main Dakhil ho.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: 106]

...............:: TV ki Faryaad ::...............
۩Mujhe Chhodo Apni Daikho ۩

Maine Maloomat o Deeni Programs aur Dunya se Talluq rakhne ka jhansa dekar Musalmano ko Barbaad karne main koi kasar nahi Chhodi... "Yaad Rakho! Roze Mehshar RabbulAalameen k samne Jawab dehi tumhari hogi, Meri Nahi".

••
Jab gunah k kamon me dil lagna shuru ho jaye to ye is baat ki daleel hai k tumhara Rab tum se naraz hai.

••
Zindagi ki kitab main Itni Galatiya na Karo k, Pencil se Pehle Rabar khatam Hojaye aur Toba se Pehle Zindagi.


..... Shaitan aur Nazar-E-bad se Bachne ki Dua .....
Narrated Ibn `Abbas: The Prophet used to seek Refuge with Allah for Al-Hasan and Al-Husain and say: "Your forefather (i.e. Abraham) used to seek Refuge with Allah for Ishmael and Isaac by reciting the following:

أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّةِ مِنْ كُلِّ شَيْطَانٍ وَهَامَّةٍ، وَمِنْ كُلِّ عَيْنٍ لاَمَّةٍ

A'oodhu bikalimatIllahi-tammati min kulli shaytaanin wa hammatin wamin kulli 'aynin lammatin.

'O Allah! I seek Refuge with Your Perfect Words from every devil and from poisonous pests and from every evil, harmful, envious eye.'

[Sahih Bukhari :: Vol 4 :: Book 55 :: Hadith 590]

Urdu Translation: Hazrat Ibn Abbas R.A se rivayat hai k RasoollAllah
Hazrat Hasan o Husain R.A k liye panaah talab kiya karte the aur farmate the k tumhare buzurg Dada (Ibrahim Alaihi salam) bhi in kalimat k Zariye Allah ki panaah Ismaeel aur Ishaq (Alaihi salam) k liye manga karte the.

أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّةِ مِنْ كُلِّ شَيْطَانٍ وَهَامَّةٍ، وَمِنْ كُلِّ عَيْنٍ لاَمَّةٍ

A'oodhu bikalimatIllahi-tammati min kulli shaytaanin wa hammatin wamin kulli 'aynin lammatin.

(Main Panaah maangta hun Allah k pure pure kalimat k zariye, har aik shaitan se aur har zahreele janwar se aur har nuqsan pohnchane wali nazar-e-bad se).

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: 3371]


REVIVE A SUNNAH "TEACH YOUR CHILDREN TO PRAY"
Narrated Abdullah ibn Amr ibn al-'As: The Messenger of Allah said: "Command your children to pray when they become seven years old, and beat them for it (prayer) when they become ten years old; and arrange their beds (to sleep) separately."

[Sunan Abu Dawud :: Book 2 :: Hadith 105]

Hazrat Abdullah ibn Amr ibn al-'As R.A se Riwayat hai k RasoolAllah
ne Farmaya: Apni Aoulad ko Namaz padhne ka hukm do Jab wo sath (7) baras k hojayen aur Jab dus (10) baras hojayen to Namaz na Padhne par un ko maro, Aur un k Bistar bhi Alag kardo. (Bistar alag karne ka hukm Namaz na padhne par saza k tor par nahi hai balke ye Aik mustaqil hukm hai).

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawud :: 495]

..... Koi Kaam karne ka Irada karo to In'sha'Allah Kaha Karo .....
"And never say of anything, "I shall do such and such thing tomorrow." Except (with the saying), "If Allah will!" And remember your Lord when you forget and say: "It may be that my Lord guides me unto a nearer way of truth than this."(Qur’an 18:23-24)

"Aur hargiz kisi kaam par yun na kehna k main isai kal kardunga. Magar sath hi InshaAllah keh lena (yani agar khuda chaha to kardunga). Aur jab bhi Bhoole apne parwardigar ko yaad kar liya karna aur kehte rehna mujhe poori ummeed hai k mera Rab mujhe is se bhi ziyada Hidayat k Qareeb ki baat ki Rehbari karay".(Qur'an 18:23-24)

••
"Mufassireen Kehte hain k Yhudiyon ne Nabi se Teen (3) baten puchi thi.. Rooh ki haqiqat kya hai, Ashab kahf aur Zulqarnain kon the? Nabi ne Farmaya: Main tumhain kal Jawab dunga, Lekin is k baad 15 din tak Jibraeel a.s Wahi lekar nahi aaye, Phi jab Aaye to Allah Tala ne In'sha'Allah kehne ka ye Hukm diya".

Ayat Main غد (kal) se Muraad Aane wala din hain Yani jab bhi Mustaqbil Qareeb ya dair se koi kaam karne ka Irada karo to In'sha'Allah Jaroor kaha karo, kyun ki Insan ko to pata nahi ki wo Jis Irade ko zahir kar raha hai, Uski Toufeeq bhi Allah ki taraf se milni hai ya nahin?

Agar Baat cheet aur wada karte waqt In'sha'Allah kehna bhool jao, to jis waqt yaad aa jaye In'sha'Allah kehlo, Ya phir Rab ko Yaad karne ka Matlab uski Tareef aur Badayi aur us se Maafi Ki Dua Hain.


........... Khoobsurti ka Haqiqi Mai’yaar ...........
"Irshade Khuda Wandi hai: Allah wahi hai Jo Maa k pait main jis tarah Chahta hai Tumhari soorten banata hai". (Qur’an 3:6)

Abu Huraira reported Allah's Messenger
as saying: Verily Allah does not look to your faces and your wealth but He looks to your heart and to your deeds.

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira r.a Farmate hai k RasoolAllah
ne Farmaya: Bila Shuba Allah Tala tumhari surton aur tumhare Maal ko nahi daikhte balke tumhare Dilo aur Aa’mal ko daikhte hain".

[Sahih Muslim :: Book 32 :: Hadith 6221]

••
"Gora, kala aur Gandami rang…Chehre k chapte, Chode aur khade Nuqoosh… Lamba, Darmyana aur Chota qad…ye Sab Qudrat ki takhleeq k karishme hain jin main Insan ka koi Aml dakhl nahi, Asal aur Haqiqi Khoobsurti Insani dil aur Aa’mal o Akhlaq ka Haseen hona hai".


•• "Life is like an ice cube, spend it in good deeds, Other wise.. It’s melting.. and will be finished"..!!
"Zindagi baraf ki tarah hai Naik kamo main Guzaren warna pighal to rahi hai khatam bhi hojayegi".


........... Har Din 5 Namaze Ham Par Farz Hain ...........
Phir Qibla Kaba yaad aaya,
Phir sar jhukanay ka irada yaad aaya,
Bhool gaye roz ki Namaz,
Bas Jumah k din Jhukna yaad aaya,
Itar laga kar Naha kar chale sab Masjid ko,
Shukar hai kisi ko to Jhukna yaad aaya! :'(

"Agar kisi ko In Alfaz se Takleef ho to Mazirat chahta Hun"

"O you who believe (Muslims)! When the call is proclaimed for the Salat (prayer) on the day of Friday (Jumu'ah prayer), come to the remembrance of Allah [Jumu'ah religious talk (Khutbah) and Salat (prayer)] and leave off business (and every other thing), that is better for you if you did but know! Then when the (Jumu'ah) Salat (prayer) is finished, you may disperse through the land, and seek the Bounty of Allah (by working, etc.), and remember Allah much, that you may be successful". [Qur'an 62:9-10]

"Susti Ki Waja Se 3 Jumay Chorne Wale k Dil Per ALLAH Mohar Laga Deta Hai". [Abu Dawood :: Hadees No :: 1067 AND Ibne Habban :: Hadees No :: 553]