Sunday 23 February 2014

✦......:: Insani Badan ki Nazafat o Pakeezgi ka Nabwi Usool ::......✦

It was narrated that Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu said: "A time limit was set for us, by the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam), regarding trimming the mustache, clipping the nails and plucking the pubes; we were not to leave that for more than forty days," on one occasion he said: "Forty nights."

[Sunan An-Nasa’i :: Vol. 1 :: Book 1 :: Hadith 14]

Urdu Translation: Hazrat Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Salallahu Alaihi Wasallam ne

► Munchen Tarashne
► Nakhun Kaatne
► Zaire Naaf balon ki Safayi aur
► Baghal ke baal Saaf karne mein

(Aakhri) had ye Muqarrar farmayi ke ham Chalees (40) din se zyadah unhe na choren. (Yani safayi suthrayi ka hamesha Ma’mul rakhen, Agar kisi Majburi se takheer hojaye to Intehayi Muddat 40 din hai).

[Urdu Ref :: Sunan An-Nasa’i :: Vol.1 :: Hadith 14]


✦.................♥ Kasrate Rizq ke 10 Asbaab ♥.................✦

❶ Astaghfar karna. (Qur’an 71:10 to 12)
❷ Taqwa Ekhtiyaar karna. (Qur’an 65:2-3)
❸ Hisbe Haisiyat Sadaqah khairat karna. (Qur’an 34:39)
❹ Shukr karna. (Qur'an 14:7)
❺ Allah ki Zaat par Tawakkul karna. (Musnad Ahmad :: 205)
❻ Silah Rahmi karna. (Sahih Bukhari :: 5986)
❼ Paakdamni ke liye Shadi karna. (Sunan an-Nasai :: 3218)
❽ Lagataar Haj karna. (Jami at-Tirmidhi :: 810)
❾ Gunahon ko Chhordena. (Sunan Ibn Majah :: 4022)
➓  Subah sawere Rizq ki talash mein Nikalna. (Sunan Abu Dawud :: 2606)

✦......♥ Hamare Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki Sahibzadiyan ♥......✦

❶ Syyidah Zainab RadiyAllahu Anha
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki sab se badi Sahibzadi
Wiladat: Nubuwwat se 10 saal pehle
Wafat: RasoolAllah Salallahu Alaihi Wasallam ki zindagi mein hi San/8/Hijri ko hui.
Aoulad: Ali aur Umama Jin se Hazrat Ali RadiyAllahu Anhu ne Hazrat Fatima RadiyAllahu Anha ki Wafat ke baad Nikah Farmaya.

❷ Sayyidah Ruqayya RadiyAllahu Anha
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki Dusri Sahibzadi
Wiladat: Nubuwwat se 7 saal Qabl
Hijrat: Apne shohar Hazrat Usman RadiyAllahu Anhu ke sath Habsha ki taraf Farmayi.
Wafat: Ghazwah Badar ke moqe par San/2/Hijri ko Madina Munawwarah mein hui.
Aoulad: Abdullah bin Usman RadiyAllahu Anhu.

❸ Sayyidah Umm Kulsum RadiyAllahu Anha
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki Teesri Sahibzadi
Paidayesh: Hazrat Ruqayya RadiyAllahu Anha ke baad Nubuwwat se pehle.
Nikah: Hazrat Ruqayya RadiyAllahu Anha ki Wafat ke baad Hazrat Usman RadiyAllahu Anhu se hui.
Wafat: Sha’ban San/9/Hijri ko Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki Mubarak Zindagi mein hi hui.
Aoulad: Koi nahi thi.

❹ Sayyidah Fatima Az Zahra RadiyAllahu Anha
Nabi kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki sab se Choti Shahibzadi
Paidayesh: Nubuwwat se aik saal Qabl.
Nikah: Hazrat Ali RadiyAllahu Anhu se Hijrat ke Dusre saal hui.
Wafat: Ramdhan San/11/Hijri.
Aoulad: Hasan, Husain, Mohsin, Zainab, aur Umm Kulsum RadiyAllahu Anhum.

......................✿....... H A D E E S .......✿......................

✦ Dusron ke liye Dua mein Apna hi Faidah, Kisi Musalman ki Apne Musalman bhai ke liye us ki Gair Moujudgi mein Ki Gayi Dua Zaroor Qabool hoti hai ✦

Abu Al-Darda' RadiyAllahu Anhu said: I heard the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) say: When a Muslim supplicates for his absent brother the angels say: Amin, and may you receive the like.

[Sunan Abu Dawood :: Book 8 :: Hadith 1529]

Urdu Translation: Hazrat Abu Darda RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Maine RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam se Suna Aap Farmarahe the Jab koi Shaks apne Musalman bhai ke liye Gayebana (Gair Moujudgi Mein) Dua karta hai to Farishte Aameen Kehte hain aur Jo Dua apne Bhai ke liye karta hai Allah Tala wahi Cheez us ko bhi Marhamat farmata hai.

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol.1 :: Hadith 1521]


✦.....♥ Nail Polish...!!! Khawateen ke liye Aagahi....!! ♥.....✦

●◗► Nail Polish lagate hue ye baat zahen mein rakhni chahiye, Zindagi aur Mout ka koi Bharosa nahi Agar kisi waqt bhi Mout Aajati hai to yaad Rakho wo Mitegi nahi Marne ke Baad kyun ke Hamara Jism Thanda hojata hai to koi Solution Nail Polish Remove nahi kar sakta aur Nail Polish na utarne se aap ka Gusul nahi hoga aur is Surat mein Aap Najas hi Dafan honge.

► Nail Polish Lagane se Pani Badan tak nahi pahoch sakta, Isliye Wuzu aur Gusul nahi hoga, Jab wuzu na hua to Namaz bhi Nahi hogi.

●════════════════════════◄►════════════════════════●

It was narrated that 'Umar bin Khattab RadiyAllahu Anhu said: "The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam saw a man performing ablution and he missed a spot the size of a fingernail on his foot. He commanded him to repeat the ablution and his prayer, so he did."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 1 :: Hadith 666]

Urdu Translation: Hazrat 'Umar bin Khattab RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne aik Mard ko daikha ke us ne Wuzu kiya aur Pao mein Nakhun ke barabar Jagah chhordi to Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne use Wuzu aur Namaz dohrane ka Hukum diya Hazrat Umar RadiyAllahu Anhu farmate hain ke wo Wapas chala gaya (Aur us ne Wudu kar ke Namaz dohrayi).

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Hadith 666]

✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "BE LIKE A STRUCTURE & SUPPORT EACH OTHER" ✦

Abu Musa RadiyAllahu Anhu reported Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) as saying: A believer is like a brick for another believer, the one supporting the other.

[Sahih Muslim :: Book 32 :: Number 6257]

Urdu Translation: Hazrat Abu Musa RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Momin Momin ke liye Aisa hai Jaise Imarat mein Aik Int dusre Int ko thame rahti hai Isi Tarah har Aik Momin ko Lazim hai ke Dusre Momin ka Madadgaar rahe.

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol.6 :: Hadith 6585]


✦.............♥ Meri Beti Bahot Qeemti Hai ♥.............✦

Aik ladka apne liye Aik ladki ka rishta Mangne gaya, Ladki ka baap use mila khush Aamadeed kaha us ki taraf daikha aur kaha Is se pehle ke tum kuch kaho main tum se kuch kehna chahta hun Mujhe sirf aik Sawal ka jawab de do agar Tumhara Jawab sahih ho to “Haa” Samjho Agar Galat ho to “Naa” Samjh lo ke Muqaddar mein likha Galib aachuka hai.

► Ladka is baat se khush hota hai aur kehta hai: “Ankal Aap sawal to batayen.

► “Fajar ki Azan kab hoti hai..?”

► Noujawan Hairan pareshan hokar Sadhe Teen baje, Teen pachpan par, ya Pone che baje ye Jawab tha.

♥ Ladki ka Baap Noujawan ki taraf daikh kar kehta hai Meri Beti bahot mahngi hai Mera khayal hai ke tum us ka Haq Maher ada nahi kar sakte kyun ke us ka Maher “ISLAM” hai ♥

◈ Aye Allah! Musalman Ladkiyon ko Acche Deendar Khawind de aur Musalman Ladkon ko Naik Biwiyan Ata Farma. Aameen

✦....♥ Wo Phal Jin ka Zikr Qur’an Majeed Mein Aaya Hai ♥....✦

❶ Fig - Anjeer (التین). (Qur’an 95:1)

❷ Olive - Zaitoon (الزیتون). (Qur’an 95:1)

❸ Date - Palm - Angoor (العنب). (Qur’an 80:29)

❹ Pomegranate - Anaar (رمان). (Qur’an 6:99)

❺ Banana - Kela (طلح). (Qur’an 56:29)

❻ Fresh Dates – Tazah Khajoor – (رطب). (Qur’an 19:25)

★•.•´¯`•.•★ ♥ S U B H A N A L L A H ♥ ★•.•´¯`•.•★

Friday 14 February 2014

✦.................♥ Raaste ke 5 Huqooq ♥.................✦

Narrated Abu Sa`id Al-Khudri RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, 'Beware! Avoid sitting on the roads." They (the people) said, "O Allah s Apostle! We can't help sitting (on the roads) as these are (our places) here we have talks." The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, ' l f you refuse but to sit, then pay the road its right ' They said, "What is the right of the road, O Allah's Apostle?" He said,

► 'Lowering your gaze,
► Refraining from harming others,
► Returning greeting, and
► Enjoining what is good, and
► Forbidding what is evil."

[Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 74 :: Hadith 248]

Urdu Translation: Hazrat Abu Sa’id Al-Khudri RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Raaston par baithne se bacho! Sahaba ne Arz kiya Ya RasoolAllah! Hamari ye Majlis to bahot zaruri hain, Ham wahin roz marrah guftagu kiya karte hain, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya ke Accha Jab tum un Majlison mein baithna hi chahte ho to raste ka Haq ada kiya karo Yani Raaste ko us ka Haq do, Sahaba ne Arz kiya Raaste ka Haq kya hai Ya RasoolAllah! Farmaya:

► (Gair Mahram Aourton ko Daikhne se) Nazar Nichi rakhna
► Raah gairon ko na satana
► Salam ka Jawab dena
► Bhalayi ka hukum dena aur
► Burayi se Rokna.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol.7 :: Hadith 6229]

x.......................x Valentine's Day x.......................x

✦......♥ Mohabbat ka Izhar kis se Kiya Jaye..? ♥......✦

√ Allah Tala se Mohabbat Karen jis ne ham par In’aamat ki barish kar rakhi hai.
√ Shafqat o Maherban Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se Mohabbat Karen jo Ummat ki khatir raaton ko Aah o zari Farmate rahe.
√ Sahaba Ikram se Mohabbat Karen Jin ki qurbaniyo aur Mahnaton ki Wajah se ye Deen ham tak pohcha.
√ Apne Waldain se Mohabbat Karen Jinhone takleef bardasht kar ke aap ki parwarish ki.
√ Apne Mahram Rishtedaron se Mohabbat Karen jo har Mushkil mein Aap ke kaam aate hain.
√ Apni biwiyon se Mohabbat kare Jinhen Allah Tala ne Aap ke liye sukoon o Itminan ka zariya banaya.
√ Apne phool jaise Baccho se Mohabbat kare Jinhen Allah Tala ne Aap ke liye Aakhon ki thandak banaya.

●◗► Jab Allah Subhanahu Wa’Tala ne apne Bandon ke fitri Jazba Mohabbat ko pura karne ka Jayez aur Munasib bandobast farmadiya hai to Khudara….! Fahashi o Iryani, Be-hayai o Nafsani khuaheshat par mabni kuffar ke Aeijad kirdah (Valentine’s Day) se Mukammal Ijtenab karen.

⇨ "Verily, those who like that (the crime of) illegal sexual intercourse should be propagated among those who believe, they will have a painful torment in this world and in the Hereafter. And Allah knows and you know not. (Qur'an 24:19)

✦..........♥ Jannat Mein Lejane Wale Aa’mal ♥..........✦

► Allah par Iman, Ita’at Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam)
► Padosiyon ke sath Accha bartao
► Waldain ke sath Husn sulook
► Sadaqh Jariya, Neki ka Hukm dena Aur Burayi se Rokna
► Sila Rahmi, Narm dili,
► Acche Akhlaq, Aoulad ki Acchi Tarbiyat.

✦..........:( Jahannam Mein Lejane Wale Aa’mal :(..........✦

► Shirk, Jadu
► Qatal
► Paak bazon par Tohmat
► Gibat, Chogol khori, Zina
► Musalmano se Qata Talluq
► Sharab Noshi, Sood, Chori, Aur Daka.

✦................:(  Kitna Bura Lagta Hain Naa Jab......?? :(................✦

●◗► Kitna bura lagta hai Jab Aap kisi par khud se zyada Bharosa karte hon, khud ko us ki Milkiyat, us ki Amant Maante hon aur wahi Insan aap ki Zaat par aise Kichad uchale ke Dil dhadakna band hojaye, Aakhe sab kuch daikhte hue be yaqeen si hokar palke na jhapkayen,

:( "Kitna bura lagta hai naa Jab aap sahih ho Sacche hon to koi aap ko Galat samjhe, kisi Galat fehmi ka shikar ho kar Aap se badzan hojaye aur Aap ko aik bhi Moqa na mile khud ko saabit karne ka, aur ye Tak batana gawara na kiya jaye ke Aap ka qasoor kya hai." :(

●════════════════════════◄►════════════════════════●

⇨ "O you who believe! Avoid much suspicions, indeed some suspicions are sins. And spy not, neither backbite one another. Would one of you like to eat the flesh of his dead brother? You would hate it (so hate backbiting). And fear Allah. Verily, Allah is the One Who accepts repentance, Most Merciful."(Qur’an 49:12)

⇨ Urdu Translation: "Aye Iman walo! Bahot badgumaniyon se bacho yaqeen mano ke baaz Badgumaniyan Gunah hain, aur bhaid na tatola karo aur na tum mein se koi kisi ki Gibat kare kya tum mein se koi bhi apne Murda bhai ka gosht khana pasnd karta hai? Tum ko is se Ghin Aayegi aur Allah se darte raho, Beshak Allah toba Qabool karne wala Maherban hai."(Qur'an 49:12)

✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "SPEAK ABOUT GOOD DREAMS FROM ALLAH" ✦

◈ Speak about good dreams from Allah but do not speak about bad dreams from Shaitan! ◈

Narrated Abu Sa`id Al-Khudri RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "If anyone of you sees a dream that he likes, then it is from Allah, and he should thank Allah for it and narrate it to others; but if he sees something else, i.e., a dream that he dislikes, then it is from Satan, and he should seek refuge with Allah from its evil, and he should not mention it to anybody, for it will not harm him."

[Sahih Bukhari :: Vol. 9 :: Book 87 :: Hadith 114]

Urdu Translation: Hazrat Abu Sa`id Al-Khudri RadiyAllahu Anhu Ne RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ko ye Farmate hue suna ke Jab tum mein se koi aisa Khuab daikhe jise wo Pasand karta ho to wo Allah ki Taraf se hota hai, us par Allah ki Hamd kare aur usai bata dena chahiye Lekin Agar koi us ke siwa koi Aisa khuab daikhta hai jo usei Na pasand hai to ye Shaitan ki taraf se hota hai ps us k Shar se Panaah mange aur kisi se aise Khuab ka Zikr na kare, Ye khuab usai kuch Nuqsan nahi Pohcha sake ga.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol.8 :: Hadith 6985]


✿ Jo shaks ye samajhta ho ke wo Apni Mehnat o koshish se Allah Tala tak pahoch jayega, wo Khuama khuah Apne aap ko Mushaqqat mein daal raha hai.

✿ Aur jo ye Samajhta hai ke wo bagair mehnat aur koshish ke Allah Tala tak pahoch jayega, wo khuama khuah Aarzuye baandh raha hai.

◈➲ Matlab ye hai ke be Amli ke sath Aarzuye lagana bhi Galat hai aur Mehnat o koshish kar ke us par Naaz karna bhi Galat hai ♥ Sahih Rasta ye hai ke koshish mein laga rahe aur Allah Tala se us ke Fazl aur Rahmat ka talab gaar ho, Kyun ke Allah Tala ke Fazl o Karam hi se Allah Tala ki Maa’rifat Hasil hoti hai ♥

●◗► Ma'rifat-Pehchan.

......................✿....... H A D E E S .......✿......................

Narrated Abdullah ibn as-Sa'ib ibn Yazid RadiyAllahu Anhu: The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: None of you should take the property of his brother in amusement (i.e. jest), nor in earnest.

[Sunan Abu Dawood :: Book 42 :: Hadith 4985]

Urdu Translation: Hazrat Yazid RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke unho ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ko ye Irshad Farmate hue suna “Tum mein se koi Shaks apne bhai ke saman ko (Bila Ijazat) Na mazaq mein le aur na Haqiqat mein le.

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol.3 :: Hadith 1566]


◈➲ Aik Angrez ka Sawal Tumhare Mazhab mein Aourton se Hath Milana Kyun Mana hai..? Musalman ne Jawab diya, Kya Tum Queen Elizabeth se hath mila sakte ho? Angrez: Soch bhi Nahi sakta, Har shaks un se Hath nahi Mila sakta wo to “Queen” hain.

♥ Musalman ne Kaha to Samajh lo ke har Musalman Ladki “Queen” hai, Har Aaira Gaira us se Hath nahi miila sakta, Mera ye Message un Queens ke Naam Jo Haqiqat mein Muslim hain ♥

★.....:: SHAKING HANDS WITH A NON MEHRAM WOMAN ::.....★

"It was narrated that Umaymah the daughter of Raqeeqah said: The Messenger of Allaah (peace and blessings of Allaah be upon him) said, “I do not shake hands with women.”

[Sunan An-Nasaa’i :: Hadith 4181] [Sunan Ibn Maajah :: Hadith 2874]

Urdu Translation: Hazrat Umayyah bint Raqeeqah RadiyAllahu Anha Farmati hain ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya “Main Aourton se Musafah nahi karta.”

[Urdu Ref :: Sunan An-Nasa’i :: Vol.3 :: Hadith 483, Sunan Ibn Majah :: Vol.2 :: Hadith 1031]

●◗► "It is not permissible for a man who believes in Allaah and His Messenger to put his hand in the hand of a women who is not permissible for him or who is not one of his mahrams. Whoever does that has wronged himself (i.e., sinned).

It was narrated that Ma’qil ibn Yassaar said: the Messenger of Allaah (peace and blessings of Allaah be upon him) said: “For one of you to be stabbed in the head with an iron needle is better for him than that he should touch a woman who is not permissible for him.”

(Narrated by al-Tabaraani in al-Kabeer :: 486)

♥ MashaAllah BRAVE MALAYSIAN SISTER ♥ May Allah Reward her in keep her steadfast ♥

✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "HUSBAND, TELL YOUR WIFE THAT YOU LOVE HER" ✦

Narrated 'Amr bin Al-As (RadiyAllahu Anhu) that He asked Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam), "Who is the most beloved person to you?" He (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "Aisha".

[Sahih Bukhari :: Vol. 5 :: Book 57 :: Hadith 14]

Urdu Translation: Hazrat Amr bin Al-As RadiyAllahu Anhu bayan karte hai Main ne Aap Sallallahu Alaihi Wasallam se pucha ke sab se Zyada Mohabbat aap ko kis se hai? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya ke 'Aisha' (RadiyAllahu Anhh) se.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol.5 :: Hadith 3662]

¸.•´¸.•*¨) ¸♥.•*¨) (¸.•´¸♥➷♥¸.•´♥¸.•´♥¸.•*¨)♥.•*¨)¸.•*♥¸.•´¸.•*¨)¸.•*♥

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said about Khadija (RadiyAllahu Anha) that: "Her love had been nurtured in my heart by Allah Himself".

[Sahih Muslim :: Book 31 :: Hadith 5972]

Urdu Translation: Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Hazrat Khadijah RadiyAllahu Anha ke bare mein Farmaya ke “Mujhe un ki Mohabbat khudaye Tala ne Daal di.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol.6 :: Hadith 6278]


♥ Rab ke Razi hone ki sab se badi Nishani ye hoti hai ke Insan khud ko Razi ba Raza Mahsoos karne lagta hai ♥

✦ Koi khushi ho ya Gham
✦ In’aam ho ya Saza
✦ Dukh ho ya Sukh

◈➲ Insan sab halaat ko hanste hue chehre ke sath bardasht karne lagta hai, Jab aisa Mahsoos ho to samajh lijiye ke Rab aap se Razi hogaya Aur Jis bande se wo Rab razi hojata hai Apna ♥ Qurb ♥ ata kar deta hai ◈➲

●◗► Razi ba Raza – Khuda ki Marzi ko Tasleem (Qabool) karne Wala.

......................✿....... H A D E E S .......✿......................

✦ Sare'aam Gunah karne ka Wabal ✦

Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu: I heard Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) saying. "All the sins of my followers will be forgiven except those of the Mujahirin (those who commit a sin openly or disclose their sins to the people).

[Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 73 :: Hadith 95]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Maine RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ko ye Farmate hue suna: “Meri Tamam Ummat ko Muaaf kiya jayega Siwaye Gunaho ko khullam khulla karne walon ke.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol.7 :: Hadith 6069]


✦.....♥ Jinhe Apni Izzat Pyari hoti hai wo Bahane nahi Dhoondte ♥.....✦

●◗► Bagair pardah ke rehna aur phir yaqeen rakhna ke buri Nigahen picha na Karen, kahi se Aawaz na lage, koi na Chede, ye to Waise hi hogaya Jaise Aap apni kisi Qimti cheez ko bagair Hifazat khula Chhora aur phir yaqeen rakha ke us par koi daka nahi marega.

◈➲ Jinhen izzat pyari hoti hai wo us ki hifazat bhi karte hain, Jin ko izzat ki parwah nahi hoti phir wo bahane karte Hain ◈➲

"Mard apni nigahon ki hifazat Karen aur Aourten Mardon ke liye Aazmayesh ka samaan na bane balke parde mein rahen to Mua’ashre se ghinaone Af’aal khatam ho sakte hai. Sukoon to bus deen ki talimaat mein hi hai, kisi aur jage hal dhoondna apne Galat amal ko sahi sabit karne ke liye bahane talash karne ke mutaradif hai."

✦ Momin wo hai jis ke shar se Dusre Musalman mahfuz rahen, Aourten bhi Fitna hain Agar shaitan ki raah par chalen aur Mard bhi fitna hain Agar shaitan ke raste chalen, aur jo Shaitan ke raste chalta hai wo Mus’ashre ke liye shar hi hota hai aur jo Shar hota hai wo Momin nahi hota. Allah hame Mua’ashre ke liye shar ka Baa’is na banaye balke khair ka Baa’is Banaye ✦

••••► Shar - Burayi.

✦......♥ Let us Always Be Mindful of People Who Are: ♥......✦

◈➲ In sickness➬ May Allah cure them soon.
◈➲ Searching job➬ May Allah grant them halal job.
◈➲ In debt➬ May Allah release them from any debt.
◈➲ In searching husband/wife➬ May Allah grant them 'spouse' who can lead them to Jannah.
◈➲ In exam➬ May Allah ease them on preparing it & answering it
◈➲ Above all, May Allah release us from any difficulties & protect the ummah!

★•.•´¯`•.•★ ♥ Aameen Ya Allah ♥ ★•.•´¯`•.•★

●◗► Hamari Advance Generation ki Nojawan Nasal Jin ko Ilm hi nahi ke kya Cheez halal hai aur kya Haram Nafs ki Gulami mein itne Aage Nikal gaye ke Gunah ka Kaam bhi Gunah nazar nahi Aaraha, Khaas kar ye Haram kaam Nikah ke Moqe par Baa’zaabta karwaya jata hai Dulhe ko Ungli mein pehna kar, Engagement mein ya koi Aur kaam mein Astaghfirullah. Sone ka Pahenna Islam mein Haram hai Mardon ke liye.

●═══════════════════════◄►══════════════════════●

✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ Stop wearing Gold & Silk O Brothers ✦

‘Ali bin Abu Talib RadiyAllahu Anhu said: “The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) took hold of some silk in his left hand and some gold in his right, then he raised his hands and said: ‘These two are forbidden (Haraam) for the males of my nation, and permitted (Halal) to the females.’”

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 32 :: Hadith 3595]
[Sunan An-Nasa’i :: Vol. 6 :: Book 48 :: Hadith 5147]
[Sunan Abu Dawood :: Book 33 :: Hadith 4046]

Urdu Translation: Hazrat Ali bin Abu Talib RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alahi Wasallam ne Resham baye hath mein aur Sona dayen Hath mein pakda aur Hath utha kar Farmaya ye Dono Meri Ummat ke mardon par Haram hain Aourto ke liye Halal hain.

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol.3 :: Hadith 476]
[Urdu Ref :: Sunan An-Nasa’i :: Vol.3 :: Hadith 1445]
[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol.3 :: Hadith 656]


✦..........:( Acchaiyya unki Nazron se Aoujhal hi Hojati Hai :(..........✦

Aik ustad ne Diwar par aik bada sa Sufaid kagaz chipkaya phir Ustad ne us Kagaz ke darmiyan Marker ke sath Aik Noqta dala, phir apna Muh Talib-e-Ilmon ki taraf karte hue pucha, Aap ko kya Nazar Aaraha hai…? Sab ne hi Aik Zuban hokar kaha “Aik Siyah Noqta”.

Is par ustad ne Tajjub ka izhar karte hue sab se pucha, kamal karte ho tum sab! Itna bada sufaid kagaz apni chamak aur puri Aab o Taab ke sath to tumhari Nazron se Aoujhal hai, Magar Aik chota sa Siyah Noqta tumhen saaf dikhayi de raha hai…?

◈➲ Ji Haan! Log to bus aisa hi kamal karte hain Aap ki sari zindagi ki Acchayyon par aap ki kotahi ya kami hi ka Aik siyah Noqta un ko Zyada saaf dikhayi deta hai Bus ◈➲

.............. Isi ko Amal Kehte Hain ..............

◗► Aik shaks ne Aaina daikha to Malum hua ke us ne qameez ulthi pahni hui hai aur Naak par siyahi lagi hui hai, Aaine ka kaam tha batana, Na to us ko qameez sidhi karni hai aur na hi Naak se siyahi utaarni hai, ye Dono kaam use khud karne honge Isi ko Amal kehte Hain

Jo bhi Acchi baat hame batayi jati hai ye samajhlen ke Aaina dikhaya gaya hai, Ab is par Amal ham ko khud karna hai, is liye Jab tak Amal ka beenj Dil ki zameen par na boya jaye, Ummid ki Fasal paida nahi ho sakti



......................✿....... H A D E E S .......✿......................

Ibn Ka'b bin Malik Al-Ansari Narrated from his father, that the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Two wolves free among sheep are no more destructive to them than a man's desire for wealth and honor is to his religion."

[Jami At-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 10 :: Hadith 2376]

Urdu Translation: Hazrat Malik RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: Wo do bhuke bhediye Jinhen bakriyon ke Raiwad mein Chhordiya jaye Bakriyon ko itna Nuqsan nahi pohchate jitna Aadmi ke Deen ko, Maal ki Hirs aur bada Banne ki Chahat Nuqsan pohchati hai.

[Urdu Ref :: Jami At-Tirmidhi :: Vol.2 :: Hadith 258]