Friday 30 January 2015

✦...:o Office, Flat aur Ghar ke Istinja Khanon ka Jayezah Len :o...✦

Narrated Abu Aiyub Al-Ansari RadiyAllahu Anhu : The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "While defecating, neither face nor turn your back to the Qibla but face either east or west."

[Sahih Bukhari :: Vol. 1 :: Book 8 :: Hadith 388]

Urdu Translaiton: Hazrat Abu Aiyub Al-Ansari RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jab tum Qazaye Haajat ke liye Jao to Qibla ki Taraf na Muh kar ke baitho aur na Peeth."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Hadith 394]

●════════════════════◄►═══════════════════●

●◗► So that’s why spitting in the direction of Qibla is prohibited: The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) the saying: "He who spits in the direction of the qiblah will come on the Day of Resurrection in the state that his saliva will be between his eyes; [Sunan Abu Dawood :: Hadith 3824]

●◗► Aur Isi Tarah Qibla ki Taraf Thookna bhi Mana hai: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jis Shaks ne Qibla rukh Thuka wo Qayamat ke din Aisi halat mein Aayega ke us ka Thook us ki dono Aankhon ke Darmiyan (paishani par) hoga." [Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 423]


●◗► Hain na ? Kabhi do Insanon ke darmiyan kuch Aisa hota hai ke Apni Qadar janne ke liye Wapasi ke qadam uthata hai to sirf is liye ke Dusra use rokega.

► Dusra is Ana (Ego) ki Diwaar se lipat ke khada rahta hai ke Mujhe Apni Taqat daikhni hai ke wo kaise ja sakta hai.

:( Magar Dono isi Soch o Guroor mein Aik Dusre se door hote Jate hain :(

✦…......✔ Anjane logon ko bhi Salaam Karen ✔....…..✦

It is a sign of Qiyamah to greet only those whom we know. Abdullah Ibn Mas’ud RadiyAllahu Anhu narrated that the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Among the signs of Qiyamah is (when you see) that the greetings are (being paid) only to the known ones." [Musnad Ahmad :: Hadith 3664]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Mas’ud RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Main ne RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ko ye Irshad Farmate hue suna: "Qayamat ki Nishaniyon mein se ye bhi ke Sirf Jaan pehchan wale ko Salam kiya jayega." [Musnad Ahmad :: Hadith 3664]

●════════════════════◄►═══════════════════●

Narrated 'Abdullah bin 'Amr RadiyAllahu Anhu: A person asked Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam). "What (sort of) deeds in or (what qualities of) Islam are good?" He replied, "To feed (the poor) and greet those whom you know and those whom you don't know."

[Sahih Bukhari :: Vol. 1 :: Book 2 :: Hadith 28]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin 'Amr RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Aik Shaks ne RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam se pucha ke kis Qism ka Islam Afzal hai? To "Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya ke (Makhoolq khuda ko) khana khilao aur Salaam karo use bhi Jise tum Jaante ho aur use bhi Jise nahi Jaante."

[Urdu Ref ::  Sahih Bukhari :: Hadith 28]

●◗► Ekhtelafi Raai! "Ham sab Insan Hain, Ba’haisiyat Insan hamare Darmiyan Ilmi, Siyasi, Mazhabi, Maslaki aur deegar Raaye ke Ekhtelafat ho sakte hain, Lekin un Ekhtelafat ka har giz ye matlab nahi ke ham khud ko Insaniyat ke Moqam se niche Girade."

Abu Musa RadiyAllahu Anhu reported Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) as saying: "A believer is like a brick for another believer."

[Sahih Muslim :: Book 32 :: Number 6257]

Urdu Translation: Hazrat Abu Musa RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Momin Momin ke liye Aisa hai Jaise Imarat mein Aik Int dusre Int ko thame rahti hai."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol.6 :: Hadith 6585]

✦..:: Aap Badon ke Ehteram Mein Apni Nishist Chhor Dete Hain? ::..✦
......................✿....... ❶ Yes ❷ No .......✿......................

Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu narrated that the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "He is not one of us who does not have mercy on our young and does not respect our elders."

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 1 :: Hadith 1919]

Urdu Translation: Hazrat Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jo Hamare Chote par Shafqat na kare aur Hamare badon ka Ehteram na kare wo Ham mein se nahi."

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Hadith 1982]

✦.........✿.........✔ Ruhani MAKEUP ✔.........✿.........✦

✔ Chehre ki khoobsurti ke liye: Rozana Panch waqt Acchi Tarah wuzu karen.
✔ Pairon ki khoobsurti ke liye: Masjid chal kar jayen Bil’khusoos Andheri raat mein.
✔ Zuban ki khoobsurti ke liye: Tilawat Quran, Zikr Allah aur Darood Shareef ka Ehtemam karen.
✔ Paishani, Naak aur Hatheliyon ki khoobsurti ke liye: Kasrat se Sajde karen.
✔ Dil ki khoobsurti ke liye: Taqwa Ekhtiyar kare, Umdah Akhlaq ka Muzaherah karen.
✔ Aakhon ki khoobsurti ke liye: Bad’nazri se bachen aur Allah ke khof se Aansu bahayen.
✔ Hathon ki khoobsurti ke liye: Hathon se Allah ke Raaste mein Maal kharch karen.
✔ Dimag ki khoobsurti ke liye: Qudrat ki Nishaniyon mein Gor o Tadabbur karen.

●◗► Ruhani Makeup Aap ki Sahulat se Aap bhi Faidah utha Sakte hain, Wo bhi Bilkul Muft! ♥

✦…........:) ♥ Pasandeedah ♥ Ya Bekaar ? :(…........✦

●◗► Aik faqeer aik phal wale ke paas gaya aur kaha ke Allah ke Naam par kuch de do, Phal wale ne Faqeer ko ghoor ke dekha aur phir aik Sada Aam (mango) utha kar faqeer ki jholi mein Daal diya. Faqeer kuch dair wahi khada kuch sochta raha aur phir phal wale ko 20 rupiye nikal kar diye aur kaha ke 20 rupiye ke Aam dedo Dukandar ne do behtareen Aam uthaye aur cover mein daal kar faqeer ko de diye.

▶ Faqeer ne aik hath mein Gala sada Aam liya aur dusre hath mein Behtareen Aamon wala lifafa liya aur Aasman ki taraf Nigah kar ke kehne laga: "Dekh Allah tujhe kya diya aur Mujhe kya diya."

⇨ "(Momino) Jab tak tum Apni Pasandidah cheez se Allah Tala ki Raah mein kharch na karoge Hargiz Bhalayi na paoge, aur Tum jo kharch karo use Allah Tala bakhubi Janta hai." (Qur’an 3:92)

⇨ "By no means shall you attain Al-Birr (piety, righteousness, etc., it means here Allah's Reward, i.e. Paradise), unless you spend (in Allah's Cause) of that which you love; and whatever of good you spend, Allah knows it well." (Qur’an 3:92)

▶▶▶ Algarz is Aayat ka Haasil ye hai ke Allah ke haq ki Mukammal Adayegi aur Mukammal khair aur Neki ka kamal jab hi Hasil ho sakta hai Jab ke Aadmi apni Mahboob chizon mein se kuch Allah ki Raah mein kharch kare, Kharab aur Bekar chizon ka intekhab kar ke Sadaqah karna Maqbool nahi.

✦...♥ RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ka Aourton ko Khitab ♥...✦

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Umar RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Aourton ko Mukhatab kar ke Farmaya: "Aye Aourton ki Jamaat!

❶ Tum Sadaqah diya karo
❷ Aur Bahot zyadah Astaghfar kiya karo kyun ke main ne Jahannam mein zyadah Ta’dad Aourton ki dekhi hai.

Un mein se Aik Aqalmand Aourat boli ke ya RasoolAllah Sallallahu Aliahi Wasallam! Aourton ke kasrat se Jahannam mein jane ka kya sabab hai? RasoolAllah Sallallahu Aliahi Wasallam:

❶ Aourten La’an Ta’an zyadah karti hain
❷ Aur apne Shohar ki Na’shukri karti hain."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 1 :: Hadith 241]

●════════════════════◄►═══════════════════●

It is narrated on the authority of  'Abdullah bin Umar RadiyAllahu Anhu that the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) observed:

O womenfolk, you should give charity and ask much forgiveness for I saw you in bulk amongst the dwellers of Hell.

A wise lady among them said: Why is it, Messenger of Allah , that our folk is in bulk in Hell? Upon this the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) observed: You curse too much and are ungrateful to your spouses.

[Sahih Muslim :: Book 1 :: Hadith 142]

✦............♥ Sonch aur Alfaz Tabdeel Karen ♥............✦

❶ Camera ki Aankh aap ko daikh rahi hai X ▶ Allah daikh raha hai ✔

❷ Diwaron ke bhi kaan hote hain X ▶ Allah har baat sunne wala hai ✔

❸ Kamaoge nahi to khaoge kaha se X
▶ Mehnat kar ke kamane wala Allah ko mahboob hai ✔

❹ Chota khandan zindagi Aasan X
▶ Tawakkul, sabr, Qina’at aur Allah ke chahne se zidnagi Aasan hoti hai ✔

❺ Paisa hai to sab kuch hai X ▶ Iman hai to sab kuch hai ✔

❻ Paise se sare kaam bante hai X
▶ Allah ke chahne se kaam bante aur Bigadte hain ✔

❼ Main Akela apne ghar ko chala raha hun X
▶ Mujhe aur mere Ghar walon ko Allah apni qudrat se chala rahe hain ✔

❽ Zamana bada kharab hai X ▶ Log kharab hogaye ✔

❾ Jhoot ke bagair tijarat o karobar na mumkin hai X
▶ Sach ke bagair Tijarat o karobar mein barkat nahi ✔

➓ Do din ki zindagi hai khoob Enjoy karo X
▶ Do din ki zindagi hai Allah ki Narazgi wale Aamal se bacho ✔

✦......♥ Maarne wale se bachane wala Bada hota hai ♥......✦

●◗► Aik Roz Ameer ul Mumineen Mutawakkil Rahmatullah Alaih ne kisi parinde ko Nishana baandh kar Teer mara lekin Teer khali gaya.

Aik Arab ne dekha to kaha: "SubhanAllah"

Khalifa ne mud kar dekha aur kaha: Kya tumhen Maloom nahi ke Allah ne jhuti Tareef ki Mumani’at ki hai.

◈ Arab ne Jawab diya: "Main ne Aap ki nahi Bachane wale ki Tareef ki hai."

Tuesday 20 January 2015

✦.............:'( Muft (Free) ke Gunahgaar :'(.............✦

Abu Kabshah Al-Anmari RadiyAllahu Anhu narrated that the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: There will be a portion of people among the Inhabitant of this world. For those Allah does not provide with wealth nor knowledge, so he says: 'If I had wealth, then I would do the deeds of so-and-so with it.' He has his intention, so their sin is the same."

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 10 :: Hadith 2325]

Urdu Translation: Hazrat Abu Kabshah Al-Anmari RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Dunya mein basne wale Insano ka Aik Guroh Aisa hoga Jinhen (Allah Tala ki Taraf se) na Maal ata hota hai aur na Ilm lekin un ki Khuahesh hoti hai ke Agar unhen bhi Maal mil jaye to wo bhi Fulan bure Aadmi ki tarah (Gunahon ke kamon mein) Kharch kar dalenge, 'Aise logon ko un ki Niyyat ke Muafiq Gunah ke kamon mein Amalan kharch karne wale shaks ke Barabar hi gunah hoga."

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 206]

✦…♥ Chizen Hamesha Waisi Nahi hoti Jaisi wo Nazar Aati Hain ♥…✦

✿► Hazrat Musa ki Waldah se apne bete ko darya mein phaik dene ko kaha gaya, Hazrat Yusuf (Alaihis Salam) ko Kunwe mein marne ke liye Chhordiya gaya, Hazrat Yunus (Alaihis Salam) ko Machli ne nigal liya, Hazrat Ibrahim (Alaihis Salam) ko Aag mein phaink diya gaya, Magar dekhe Aakhir mein chizen un ke liye kaise Badal di gayi.

✿► Allah paak ne hamesha hamare liye Accha rakha hai Shuru’aat mein shayad Accha na ho ya Shayad hamen hi Accha na lag raha ho Magar Ekhtetam hamesha hamari Ummid se badh kar Accha hota hai.

✿► Agar Aaj aap ko bahot si Mushkilat ka samna karna padh raha hai to Yaqeen rakhiye aur Aane wale kal ki Behtari ke liye Dua aur pur Azm Rahiye, Mojizat tabhi Ro’numa hoti hain jab Aap Allah se Rahnumayi lete hain Tamam taqat Tamam hikmat Tamam danayi usi Aik Allah ke liye hai, Allah ham sab ko Isteqamat Naseeb farmaye Aameen.

✦….....:) Gas aur Heater ke Hadisaat se Bachao :)….....✦

The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "Do not keep the fire burning in your houses when you go to bed."

[Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 74 :: Hadith 308]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Sote Waqt tum Apne Gharon mein jalti Aag na Chhora karo."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Hadith 6293]

●◗► Sardi ki shiddat mein Izafe ke sath hi Akhbarat mein ye khabren Aana shuru hojati hain ke heater ke istemal, Gas bhar jane ya Aag lag jane se aik hi khandan ke 5 Afrad ki Mout, kahin 3 aur kahin 2 Afrad, Agar ham RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ki bayan kardah Darje bala Hifazati Tadabeer yani Sote waqt Heater aur gas Charage aur isi tarah ke jalti chezo ko bujhade is se to Sunnat ka Sawab bhi milega aur poori Qoum is Qism ke Hadesaat se bach sakegi.

✦.......X Dushman ke Azayem (Irade) Khaak Mein Miladen X.......✦

●◗► France mein Shatime Rasool 'Magazine' "Charlie Hebdo" ne aik baar phir Gustakhana khake (Prints) kar ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ke Aqidat Mandon, Jaan nisaron aur parwanon ke jazbat ko shadeed thains pohchayi hai, Tamam dost is Yalgaar ka Muqabla aik Anokhe andaz se Karen take dushman ko Muh tod Jawab mile aur wo apne Mazmoom Azayem (Iradon) mein nakam hojaye.

❶ Dunya ke har khitte mein basne wale Musalman Aaj se Azm Karen ke ham Sir se Pair tak Apne pyare Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki Mubarak Sunnaton par khud bhi 100% Aml karenge aur dsron ko bhi is ki Dawat denge.

❷ Jis ke paas Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki jo Hadees ho ya Aap ki Shaan mein koi Naate Rasool ya koi Umdah Ash’aar hon ya Madina Munawwarah ki khoobsurat Tasaweer (photos) hon wo in ki khoob Tashheer kare taa ke Aalami sateh par Musalmano ki taraf se apne Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) se Aqidat o Mohabbat ka paigam sari Dunya tak pohche.

❸ Maslaki Ekhtelafat aur Masayel ko balaaye taaq rakhte hue Bahami Ittehad o Ittefaq ka Muzaherah Karen aur Gustakhana khakon ki Napaak bahaduri ki har Platform par bhar poor Andaz mein Mazammat karen.

●◗► Gustakhana Khakon ki 10 Lakh Copies Shaye (print) Karne ka Elan karne Walo! Sunlo….!!

✦........✔ Phoonkon se Ye Charaag Bujhaya Na Jayega ✔........✦

⇨ "Ye log Chahte hain ke Apne Muh se Allah ke Noor ko Bujhaden, Halan ke Allah Apne Noor ki Takmeel kar ke rahega Chahe Kafiron ko ye Baat kitni hi Buri lage." (Qur’an 61:8)

⇨ "They intend to put out the Light of Allah (i.e. the religion of Islam, this Quran, and Prophet Muhammad SAW) with their mouths. But Allah will complete His Light even though the disbelievers hate (it)." (Qur’an 61:8)

●◗► 1400 Saal Guzargaye Aaj tak koi Muhammad Arabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki Seerat ko Daagdaar na kar saka aur na Qayamat tak koi kar sakega, Shaane Muhammadi Sallallahu Alaihi Wasallam mein Gustakhi karne wale Bad’bakht khaak mein mil gaye aur Aaj un ka Naam lene wala bhi koi Nahi, Jab ke Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ka Deen aur un ki Seerat Mubaraka ki Roshni puri Dunya mein Tezi se phail rahi hai.

✦…........♥ Mujhe Faqr hai Aisi Bahen Par ♥......…..✦

●◗► Ladka Ghamgeen hoke bola Ladkiya Bahot Zalim hoti hain, Dusre ladke ne pucha "Zalim wo kaise"? To us ladke ne kaha "Main ne kayi Saal Aik ladki se Mohabbat ka izhar kiya Magar us ne Meri mohabbat pe Yaqeen nahi kiya, Dusre ladke ne han me Han milayi aur kaha Chhoro yaar ye ladkiya kaha samajh sakti hain ladko ke khare jazbon ko.

●◗► Waha baithe Aik aur ladke ne kaha Meri bahen Dunya ki sab Ladkiyon se Mokhtalif hai ♥ Mujhe Faqr hai ke Main us ka Bhai hun ♥ Ladke ki Aakhen Faqr se chamakne lagi, Dusra ladka Tajjub se bola wo Kaise ?

✿ Main ne Aik Fake ID se apni bahen ko 6 Mahine Musalsal Messages kiye aur kaha main tum se Mohabbat karta hun us ne pehle to Jawab nahi diya aur phir Aik din khoob bura bhala keh kar Mujhe Block kardiya, Dusre ladke ne Mutassir hoke kaha Wah! Bhai! ♥ Aisi bahne to Naseeb walon ko Milti hain. ♥

✦…...♥ Maa ke Baad Khaala (Maternal Aunt) ka Moqam ♥…...✦

Narrated from Ibn 'Umar RadiyAllahu Anhu : A man came to the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) and said: "O Messenger of Allah! I have been afflicted by a tremendous sin. Is there any repentance for me?"

He said: "Do you have your mother?" The man said: "No."
He said: "Do you have any maternal aunts?" The man said: "Yes."
He said: "Then be dutiful to them."

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Book 1 :: Hadith 1904]

●════════════════════◄►═══════════════════●

Urdu Translation: Hazrat Ibn Umar RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Aik shaks RasoolAllah Sallallau Alaihi Wasallam ki khidmat mein hazir hua aur Arz kiya: "Ya RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam)! Main ne Aik bahot bada Gunah kiya hai, Kya meri Toba qubool ho sakti hai?

Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne pucha: Tumhari maa Zindah hain? Us ne Arz kiya: Maa to Zindah nahi.
Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Farmaya: To kya tumhari koi khala hai? Us ne Arz kiya: Ji han khala Moujood hain.
Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Irshad farmaya: "Khala ki khidmat aur un ke sath Accha sulook karo (is ki wajah se tumhari Toba qubool hojayegi)."

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Hadith 1966]

✦.......-_-  RasoolAllah (ﷺ) ka Surmah Lagana -_- .......✦

Ibn 'Abbaas Radiyallahu 'Anhu says: 'Rasulullah Sallallahu 'Alayhi Wasallarn had a small container for keeping kuhl, from which he applied kuhl in each eye three times every night."

[Shamail Tirmidhi :: Book 7 :: Hadith 48]

Urdu Translation: Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Anhu Farmate hain: "Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke paas aik Surmah Daani thi Jis mein se har Shab (Raat) teen teen Salayi Apni Mubarak Aankhon mein lagaya karte the."

[Urdu Ref :: Shamail Tirmidhi :: Hadith 48]

●◗► Hujjaj Bin Yusuf ke dour mein Aik Allah wale the jo Hamesha Sach bolte the aur apne isi khubi ki bina par Poore ilaqe mein Mashhoor the un ke do bete Hujjaj bin Yusuf ke khilaf hone wali Bagawat mein shamil hogaye aur bahot arse tak Hujjaj ke khilaf lad kar use Nuqsan pohchate rahe, Hujjaj ne un dono ko Giriftar karne ki bahot koshish ki lekin un ka kuch pata na chala ke wo kaha par hain.

▶ Aik dafa Hujjaj bin Yusuf ko khabar hui ke wo dono kuch dino ke liye ghar walon se Milne aaye hue hain aur Ghar mein chupe hue hain Hujjaj ne socha ke Aaj un Allah wale ki Sacchayi ka imtehan leta hun daikhte hain ke wo kitne sacche hain, us ne un Allah walon ko apne darbar mein bulaya aur pucha ke Aap ke bete kahan hain unhone ne kaha ke.

▶ Mujhe pata hai ke mere Sach bolne se mere dono beton ki Jaan ja sakti hai lekin main unhe bachane ke liye Jhoot bol kar Apni Aakhirat kharab nahi kar sakta wo dono ghar mein chupe hue hain Hujjaj ne kaha Wallah Aap ke bare mein jaisa suna tha waisa paaya, Aap ki is sach goyi par main Aap ke dono beton ki Jaan bakhshi karta hun aur unhe Muaaf karta hun.

●◗► "Baaz dafa Sach bolne par Nuqsan Nazar Aaraha hota hai lekin Haqiqat mein Allah ka hukm manne mein hi Dunya o Aakhirat ka Faida hai." <3

✦......:( Mulk o Qoum ki Halakat ka Sab se Bada Sabab :(......✦

Narrated `Aisha RadiyAllahu Anha: Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) delivered a sermon saying: "What destroyed the nations preceding you, was that if a noble amongst them stole, they would forgive him, and if a poor person amongst them stole, they would inflict Allah's Legal punishment on him. By Allah, if Fatima, the daughter of Muhammad stole, I would cut off her hand."

[Sahih Bukhari :: Vol. 4 :: Book 55 :: Hadith 681]

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne logon ke samne ye Khutba Irshad Farmaya: "Tum se pehli Qoumen is liye Halaak o Barbaad huyin ke jab un mein koi Ameer o Taqatwar shaks Chori karta to use Chhor dete aur Jab koi Kamzor shaks chori karta to use Saza dete, Allah ki Qasam! Agar Fatimah bint Muhammad bhi Chori kare to Main us ka Hath bhi kaat Dalunga."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Hadith 3475]

●◗► Tamam Dehshat Gardon aur Qatilon ko bila Tafreeq (Ammer Gareeb, bada Chota) Yaksa sazaye di jayen, Chahe un ki Dehshat gardi ka Shikar Awam bane ho, koi khaas Tabqa bana ho, Ulama o Bade log bane ho ya Riasati Idare bane ho, INSAF dene mein Na’Insafi se kaam lena Mazkurah Bala Hadeese Nabwi ki Roshni mein Mulk ko Mazeed Tabah aur Barbaad karna hai.

●◗► All terrorists and murderers should be give same punishment, no matter their victim is normal people or any particular group. Rich people or government organisations should deal justly in the light of authentic Hadeeth of Prophet Mohammed (Sallallahu Alaihi Wasallam).

Friday 9 January 2015


✦.....X Rishta Tai Karne Mein Ladke ki Maaldari na Dekhen X.....✦

●◗► Beti ka Rishta Aik Naik Sifat aur Salih Magar Gareeb ladke ke liye Manga gaya to Maa Baap ne Inkar kardiya, Phir usi ghar mein Aik Bigde hue Magar Ameer gharane ke ladke ka Rishta Aaya to ye keh kar Qubool karliya gaya ke Allah paak is ladke ko Hidayat dega aur Naik ban jayega.

●◗► Jo Allah Bigde hue ladke ko Hidayat de sakta hai kya wo Gareeb ladke ko Maali Farawani (Maaldari) nahi de Sakta?

✦........✔ Zindagi Guzarne ki Mukhtasarsi Zaruriyaat ✔........✦

'Uthman bin 'Affan RadiyAllahu Anhu narrated that the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "There is no right for the son of Adam in other than these things:

❶ A house which he lives in,
❷ A garment which covers his nakedness, and
❸ Jilf (a piece of bread) and
❹ Water."

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 10 :: Hadith 2341]

Urdu Translation: Hazrat Uthman bin Affan RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "(Dunya mein Zindagi guzarne aur Deen par Aml paira hone ke liye) Insan ko chand chizon ke siwa aur Chiz ki zarurat nahi:

❶ Rehne ke liye Ghar,
❷ Satar dhankne ke liye Aik kapda,
❸ Rukhi sukhi Roti,
❹ Aur Pani."

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 222]

●◗► "Allah Tala ka Lakh Lakh shukr hai Jis ne Hamari Aouqat se badh kar Hamen Nematen Ata Farmayin."


✦........:o 2015 (Esvi) bhi Tezi se Guzar Jayega…!! :o........✦

Anas bin Malik (RadiyAllahu Anhu) narrated that the Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "The hour shall not be established until time is constricted, and the year is like a month, a month is like the week, and the week is like the day, and the day is like the hour, and the hour is like the flare of the fire."

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 10 :: Hadith 2332]

Urdu Translation: Hazrat Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad farmaya: "Qayamat us waqt tak Qayem nahi hogi Jab tak Zamana Aapas mein bahot qareeb na hojaye (Yani shab o Roz ki Gardish bahot taiz na hojaye), Chunanche Saal Mahine ke barabar, Mahine Hafte ke barabar, Hafta dinon ke barabar aur Din Ghante ke barabar hojayega, aur Ghante ka daoraniya itna hi reh jayega ke Jitni dair mein Aag ka sho’al Aikdum bhadak kar bujh jata hai."

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 213]

▶▶▶ Qayamat Qareeb hai..!! Aakhirat ki Tayyari Karlo ◀◀◀

●◗► Agar aap ko koi chord kar chala jaye ya kuch log Aap se Aankhen phairlen to Ghamgeen na hon kyun ke Mumkin hai ye Aap ki us dua ka Natijah ho jo Aap ne kisi Raat Allah se Mangi ho ke Ya Allah! "Har wo Shar jo Aap ne mere liye likh rakha hai Mujhe us se door karde."

▶ Baaz logon ki moujoodgi hamare zindagi mein hamare liye shar ka sabab hota hai hame un se koi bhi Nuqsan pahoch sakta hai Jismani, Ruhani ya Imani aur ye log baaz Aouqat hamare dil ke bahot qareeb hote hain aur jab wo hame chord jate hain ya kisi wajah se ham se muh mod lete hain to hame bahot Sadma pahochta hai kyun ke hame un se ye Ummid nahi hoti.

✿ Ham Udaas ho jate hain hamara dil toot jata hai, us Muqam par hame ♥ Allah Subhanahu Wa Ta'ala ki ham se Mohabbat aur us ki Kamal Hikmat ke Mutalliq sochna chahiye ke Allah Subhanahu Wa Ta'ala ne ham par Rahem kiya aur hamen un ke Shar se Bacha liya. ♥

✦........:'( Jab Ranj o Gham ka Pahaad Toot Pada :'(........✦

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha Farmati hain ke Jab Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ka Inteqal hua to Hazrat Abu Bakr RadiyAllahu Anhu Muqam Sanah (madine ke balayi hisse) mein the, Hazrat Umar RadiyAllahu Anhu Sadme ki shiddat ki wajah se ye kehte hue khade hue: Allah ki Qasam Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ki wafat nahi hui, Allah ki Qasam mere dil mein pehle se ye baat thi ke Khuda Taa’la Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ko zaroor apni taraf uthalega, aur (Phir Hazrat Isa Alaihis salam ki tarah Aap chnd din baad dunya mein wapas tashreef layenge aur jo log Wafat ki khabren phaila rahe hain) un logon ke hath pair kaat dalenge.

Itne mein Hazrat Abu Bakr RadiyAllahu Anhu Tashreef le aaye aur unhone RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke chehre Anwar se chadar hatayi, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko Bosa diya aur Farmaya: Mere Maa Baap aap par Qurban ho jayen, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki zindagi bhi nihayat pakizah aur Mout bhi badi khushgawar, us Zaat ki qasam jis ke qabze mein meri Jaan hai! Allah Tala Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko do dafa kabhi Mout nahi chakhayega, is ke baad Hazrat Abu bakr RadiyAllahu Anhu bahar Aagaye, aur Umar RadiyAllahu Anhu se kaha: Aye Qasam khane wale! Sabr se kaam lo. Jab Hazrat Abu bakr RadiyAllahu Anhu ne baat ki to Hazrat Umar (Jo Shiddat Gham aur sadme ki wajah se Hairan aur pareshan) Baith gaye.

Phir Hazrat Abu Bakr RadiyAllahu Anhu ne Allah ki Hamd o Sana bayan ki aur Farmaya: Yaad rakho! Jo shaks Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki Ibadat karta tha (to wo jaan le ke) Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka Inteqal hogaya. Aur jo Shaks Allah Tala ki Ibadat karta tha (to wo jaan le ke) Allah Tala zindah hai use kabhi Mout nahi ayegi aur phir ye Aayat Tilawat farmayi: (Pyare Nabi) Beshak tumhe Inteqal farmana hai aur un ko bhi marna hai. (39.30) Phir ye Aayat Tilawat farmayi: Aur Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam bhi to) Rasool hi hain (na ke khuda), Aap se pehle bhi kayi Paighambar guzar chuke hain, phir Agar wo wafat farma jayen ya shaheed kardiye jayen to kya tum apne (pichle mazhab ki taraf) ulte paon phir jaoge, aur jo koi apne ulte paon phirega to wo Allah ka hargiz kuch nahi bigadega, Aur Allah Anqareeb (Masayeb par sabit qadam rah kar) Shukr karne walon ko Jaza ata farmayega. Sab log (Hazrat Abu Bakr RadiyAllahu Anhu ki guftagu sunkar) Be Ekhtiyar rone lage. (3.144)

[Urdu Ref :: Sahih al-Bukhari :: Hadith 3667]

●════════════════════◄►═══════════════════●

Narrated 'Aisha RadiyAllahu Anha: (the wife of the Prophet) Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) died while Abu Bakr was at a place called As-Sunah (Al-'Aliya) 'Umar stood up and said, "By Allah! Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) is not dead!" 'Umar (later on) said, "By Allah! Nothing occurred to my mind except that." He said, "Verily! Allah will resurrect him and he will cut the hands and legs of some men."

Then Abu Bakr came and uncovered the face of Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam), kissed him and said, "Let my mother and father be sacrificed for you, (O Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam), you are good in life and in death. By Allah in Whose Hands my life is, Allah will never make you taste death twice." Then he went out and said, "O oath-taker! Don't be hasty." When Abu Bakr spoke, 'Umar sat down. Abu Bakr praised and glorified Allah and said, No doubt! Whoever worshipped Muhammad, then Muhammad is dead, but whoever worshipped Allah, then Allah is Alive and shall never die." Then he recited Allah's Statement.:-- "(O Muhammad) Verily you will die, and they also will die." (39.30) He also recited:--

"Muhammad is no more than an Apostle; and indeed many Apostles have passed away, before him, If he dies Or is killed, will you then Turn back on your heels? And he who turns back On his heels, not the least Harm will he do to Allah And Allah will give reward to those Who are grateful." (3.144) (After listening Abu bakr's words) The people wept loudly.

[Sahih Bukhari :: Vol. 5 :: Book 57 :: Hadith 19]

✦▶ "Waise to Jhoot bolna Gunah kabirah hai lekin kya Aap ko Maloom hai ke 3 Moqe aise hain Jahan par Jhoot bolne ki Ijazat hai" ◀✦

❶ Jang mein dushman par Roab tari (dar paida) karne ke liye Jhoot bolna Masalan: ye kehna ke hamare Tadaad itni hai ya ye kehna ke hamari Foj aarahi hai.

❷ Logon mein sulah karwane ke liye Jhoot bolna: Yani do Naraz logon ki sulah karwane ke liye ye kehna ke wo tumhen bahot Accha samajhta hai aur tum se Muafi mang kar tumse sulah karna chahta hai.

❸ Khawind ka apni Biwi ko razi karne ke liye Jhoot bolna: Yani Biwi ban’sawar kar khawind se puche ke main kaisi lag rahi hun to chahe wo khawind ko acchi na bhi lag rahi ho lekin wo Jhoot bolde ke tum bahot khoobsurat aur bahot acchi Lag rahi ho.

●════════════════════◄►═══════════════════●

Asma bint Yazid RadiyAllahu Anha narrated that the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "it is not lawful to lie except in three cases: Something the man tells his wife to please her, to lie during war, and to lie in order to bring peace between the people."

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 1 :: Hadith 1939]

Urdu Translation: Hazrat Asma bint Yazid RadiyAllahu Anha se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Teen Jagahon ke Alawah kahin Jhoot bolna Halal nahi: Khawind apni Biwi ko razi karne ke liye koi baat kahe aur Jang ke moqe par Jhoot bolna aur Logon ke darmiyan Sulah karwane ke liye Jhoot bolna."

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Hadith 2001]

✦..............♥ Naya Saal Manane ka Tariqa ♥..............✦

●◗► Alhamdulillah Main Musalman hun, Main Isayi, Yahudiyon aur Secular aur Be'deen logon ke Tarz par Aatish bazi, Ghul Gubarah, Mosiqi, Naach gane, Patakhe, Firing aur Digar Allah ke Narazgi wale Aamal kar ke Naye saal ki Khushi nahi manata,

Han Itna zaroor hai ke main apne aur Poori Ummat ke gunahon par Toba karta hun aur Rabbul Alameen se Dua karta hun ke wo 2015 ko Islam aur Musalmano ki Sarbulandi ka Saal banade aur 2014 mein jo dil kharash Manazir hame Gazah, Barma, Sham, Misr, Qabayel ilaqon aur Peshawar mein daikhne ko mile un se hamesha ke liye Hamen Mahfzooz Farmaden. Aameen

✦..:o New Year Night Musalmano se Mushabihat ya Kafiron se? :o..✦

⇨ "(Rehman ke bande wo hain) Jo jhoot aur Batil kamon mein shareek nahi hote aur jab behudah kamon ke paas se Guzarte hain to (daman bachate hue) Nihayat waqar aur Sharafat ke sath guzar jate hain." (Qur’an 25:72)

Urdu Translation: Hazrat Abdullah ibn Umar RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jis ne kisi Qoum ki Mushabihat Ekhtiyar ki wo unhi mein se hai." [Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 630]

●════════════════════◄►═══════════════════●

⇨ "And those who do not witness falsehood, and if they pass by some evil play or evil talk, they pass by it with dignity." (Qur’an 25:72)

Narrated Abdullah ibn Umar RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "He who copies any people is one of them." [Sunan Abu Dawood :: Book 33 :: Hadith 4020]

●◗► Beti ki paidayesh ko Zamane jahiliyat mein hi nahi Balke Aaj kal ke pade likhe aur Jadeed science ke dor mein bhi Buri Nazron se dekha jata hai aur Hairat tab hoti hai Jab aik Aourat hi Aourat ki paidayesh par Afsos ke Aansu ro rahi hoti hai.

✿ Aik shaher ke Kisi gao ke Aik Gareeb Mahanti Shaks ka waqea hai! Wo aik Company mein mulazim tha Bazaahir us ki Aamdani itni nahi thi ke guzar basar Aasani se ho sake, Lekin wo phir bhi kabhi apni Aamdani aur gharelu Akhrajat ke liye pareshan dikhayi nahi deta tha.

▶  Ak din us ke kuch Company doston ne jab daryaft kiya ke "Aakhir kya Majrah hai hamari Tankhuah bhi taqriban kam o baish tumari jitni hi hai Lekin ham ne kabhi tumhen pareshan nahi dekha, aur hamara ye haal hota hai ke jab tak Udhaar na pakden ya Over time na lagaye hamara mahina Aaram se nahi guzarta, Aakhir Tumare paas Aisa konsa Ala'deen ka Charag hai?

♥ Wo Gareeb Aadmi pehle to un ki bate suntan raha, phir Aasman ki taraf Hath utha kar Allah ka shukr Ada karte hue bola "Mere Doston! Mere paas koi Aladeen ka charag nahi hai, Han lekin mere paas ♥  4 Betiyan hai jo har roz Raat ko sone se pehle Surah Waqiah ki Tilawat kar ke aur apne Rizq ki Dua kar ke soti hain, ye Sirf us Kalam paak ki barkat aur Un Bacchiyon ki duao ka Natijah hai ke Aaj na sirf ye ke main Apne ghar mein khush hun Balke main apne Digar Azeez o Aqarib ki bhi madad kar raha hun. ♥

✦....♥ Maa ke Sath Husn Sulook Dunya ka Sab se Qeemti Aml ♥....✦

Ibn 'Abbas RadiyAllahu Anhu reported that Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "I do not know of any action better for bringing a person near to Allah than dutifulness to his mother."

[Al-Adab Al-Mufrad Imam Al-Bukhari ::  Book 1 :: Hadith 4]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Abbas RadiyAllahu Anhu farmate hain: "Mujhe Maloom nahi ke Maa ke sath Husn Sulook aur Khair Khuahi se badh kar bhi koi Aml Allah Tala ko Mahboob ho."

[Al-Adab Al-Mufrad Imam Al-Bukhari ::  Hadith 4]

✦......♥ Psychological Problem :: Nafsiyati Uljhan ka Ilaj ♥......✦

●◗► Ham mein se Aksar logon ko ye Nafsiyati Uljhan rahti hai ke Hamari gair Maoujoodgi mein hamare bare mein Ahle khana, Rishtedar, Dost, Ahbab aur Daftar ke sathi na jane kya kya Galat baten karte honge, Hamari ye bhi Khuahesh hoti hai ke koi Aik shaks to un baton ke jawab mein Hamara dafa’a karne wala ho.

♥ Yaad Rakhen! Aap ki Gair Moujoodgi mein Aap ka Behtareen Daf’a (Rad) karne Wali cheez Aap ke "AKHALQ" hain ♥

●════════════════════◄►═══════════════════●

●◗► Many of us has a psychic problem that in our absence our family, relatives, friends and colleagues do backbit us, we also wish that one person from gives all answers to them.

♥ Remember, in your absence your "Character" is the one who gives all answers to that allegations. ♥

✦..........✿.......♥ MAJLIS ka Kaffarah ♥.......✿..........✦

Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu narrated that: The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Whoever sits in a sitting and engages in much empty, meaningless speech and then says before getting from that sitting of his:

سُبْحَانَكَ اللَّهُمَّ وَبِحَمْدِكَ أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ أَسْتَغْفِرُكَ وَأَتُوبُ إِلَيْكَ
(Subḥānaka Allāhumma wa biḥamdika, ashhadu an lā ilāha illā anta, astaghfiruka wa atūbu ilaik)’

‘Glory is to You, O Allah, and praise, I bear witness that there is none worthy of worship except You, I seek You forgiveness, and I repent to You, "whatever occurred in that sitting would be forgiven to him."

[Jami at-Tirmidhi ::  Vol. 6 :: Book 45 :: Hadith 3433]

●════════════════════◄►═══════════════════●

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jo shaks kisi Majlis (Meeting wagerah) mein baithe aur Fuzool baten karta rahe phir Majlis se uthne se pehle ye Kalimat padh le:

سُبْحَانَكَ اللَّهُمَّ وَبِحَمْدِكَ أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ أَسْتَغْفِرُكَ وَأَتُوبُ إِلَيْكَ
(Subḥānaka Allāhumma wa biḥamdika, ashhadu an lā ilāha illā anta, astaghfiruka wa atūbu ilaik)’

(Tarjuma) Aap paak hain Aye Allah, Apni Tarifon ke sath, Main gawahi deta hun ke Aap ke siwa koi Mabood nahi, Main Aap se bakhshish chahta hun aur Aap ke samne Toba karta hun. "To us shaks se us Majlis mein Jis qadar Gunah hue wo sab Muaaf kardiye jate hain."

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 1357]