Friday 20 March 2015

✦.......♥ Chand Lamhaat mein Arbon Nekiyan Kamayen ♥.......✦

Narrated Ubadah ibn As-Samit (RadiyAllahu Anhu): I heard the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) saying: "Whoever seeks forgiveness for believing men and women Allah shall write for him a good deed for every believing men and women."

[Jami Al-Hadees :: Hadith 45705, Sahih Al Jami :: Hadith 6026]

Urdu Translation: Hazrat Ubadah bin Samit RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jo Shaks Momin Mardon aur Aourton ke liye Maghfirat ki Dua kare to Allah Subhanahu Wa’Tala har har Momin Mard aur Aourat ke badle aik aik Neki likh deta hai."

[Jami Al-Hadees :: Hadith 45705, Sahih Al Jami :: Hadith 6026]

✿► "O Allah! forgive the male and female Muslims, and the male and female believers, the living and the deceased."

✿► "Aye Allah! Tamam Momin aur Musalman Mardon aur Aourton ki Khuah wo zindah ho ya marchuke hon Maghfirat farma." (Aameen).

●◗► Nayaab Mard wo hain, Jin ke kirdar ki khushbon pakar Aourat khud un se Mohabbat ka izhar karti hai, Wo pehle pahel us ki zaat ki thandi chaon mein kuch dair taherti hai phir Rafta rafta us ki Aadi hoti chali jati hai, yahi wo Mard hain Jinhen Aourton ka Libas kaha gaya hai ♥ Nayaab Aourat hamesha Nayaab mard ka intekhab karti hai ♥

✦......♥ Bukhaar Ka Ilaaj (Fever Treatment) ♥......✦
▶▶▶▶ Tibbe Nabawi aur Jadeed Tibb  ◀◀◀◀

Narrated Aisha RadiyAllahu Anha: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "Fever is from the heat of the (Hell) Fire, so cool it with water."

[Sahih Bukhari :: Vol. 4 :: Book 54 :: Hadith 485]

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Bukhar Jahannam ki bhaap mein se hai is liye use Pani se thanda kiya karo."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 4 :: Hadith 3263]

●◗► Agar RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ki Talimaat aur Sunnat samajh kar bukhar mein thande pani ki pattiyan Mareez par dali jayen to Ilaaj bhi aur Sunnat ka sawab bhi.

●◗► Sochon, Aksar yun hota hai lekin aisa kyu hota hai, Bachpan mein sab Bhai Bahne Maa ki Qurbat batane ko Aik duje se lad padte hain, har koi chillata hai, Maa meri hai Maa meri hai aur Aankhon mein pyar bhare Maa dhire dhire hansti hai.

●◗► Baad mein lekin yun hota hai, Sochon aisa kyun hota hai, Apne apne ghar wale Jab hojate bahne bhai, Budhi Maa ko aik duje ke sir par dala karte hain, Aik duje se ladte aur jhagadte hain, har koi Chillata hai Maa teri hai, Maa teri hai, Tab Maa dil mein dard samoye chupke chupke roti hai, Behad hairan hoti hai. :'(

✦............♥ Mashwarah.....! Aik Amanat! ♥............✦

●◗► Kisi ko bhi Mashwarah dete waqt ye baat yaad Zahen mein rakhiye ke "Mashwarah aik Amanat hai." Lehaza Acchi tarah gaor o fikr, tadabbur aur apne Musalman Bhai ka zyadah se zyadah faidah sochte hue puri Amanat o Diyanat ke sath Mashwarah dena chahiye, kyun ke Momin Amanat mein khayanat nahi karta.

Allah ke Pyare Rasool (Sallallahu Aliahi Wasallam) ne Irshad Farmaya: "Jis shaks se Mashwarah talab kiya jata hai wo Amanat daar hota hai (Yani use Imandari ka pura haq ada karna chahiye)."

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 1687]

Narrated AbuHurayrah RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "He who is consulted is trustworthy."

[Sunan Abu Dawood :: Book 42 :: Hadith 5109, 5128]

●════════════════════◄►═══════════════════●

It was narrated from Jabir RadiyAllahu Anhu that that the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "If one of you consults his brother, then let him advise him." [Sunan Ibn Majah :: Hadith 3747]

Urdu Translation: Hazrat Jabir RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: "Jab tum mein se kisi se us ka Bhai Mashwarah talab kare to use Chahiye ke apne bhai ko (Accha) Mashwarah de." [Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Hadith 628]

✦......¸.•*♥......♥ Zikr Khuda o Zikr Rasool ♥......♥*•.¸......✦

●◗► Kalmah Tayyabah ka Matlab hi ye Hai ke Jahan Rabbul Alameen ka zikr hoga wahan Rahmatul lil Alameen (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ka bhi zikr hoga.

⇨ "Allah Subhanahu Wa’Tala ka Irshad hai: "Aur ham ne Aap ki khatir Aap ke Tazkere ko uncha kardiya hai." (Qur’an 94:4)

⇨ "And raised high for you your repute." (Qur’an 94:4)

✦...✿....✔ Salaat at-Tawbah (The Prayer of Repentance) ✔....✿...✦

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) saying: "When a servant (of Allah) commits a sin, and he performs ablution well, and then stands and prays two rak'ahs, and asks pardon of Allah, Allah pardons him. He then recited this verse: "And those who, when they commit indecency or wrong their souls, remember Allah" (Al-Qur'an 3:135).

[Sunan Abu Dawood :: Book 8 :: Hadith 1516, 1521]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jis shaks se bhi koi gunah sarzad hojaye, phir wo Acchi tarah Wuzu kare aur uth kar 2 Rakat Namaz padhe phir Allah Tala se muafi mange to Allah Subhanahu Wa’Tala zaroor use Muaaf farmadete hain, phir RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne ye Aayat Tilawat farmayi:

"(Tarjuma) Aur ye wo log hain ke agar kabhi koi be hayayi ka kaam kar baithte hain ya (kisi aur tarah) Apni jaan par zulm kar guzarte hain to fouran Allah ko yaad karte hain aur us ke natijie mein apne Gunahon ki Muafi mangte hain, aur Allah ke siwa hai bhi kon jo Gunahon ki muafi de? Aur ye apne kiye par jaante boojhte israr nahi karte." (Qur’an 3:135).

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 1 :: Hadith 1508]

✦.......¸.•*♥.....♥ HUSN E AKHLAQ ♥.....♥*•.¸.......✦

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said:

✔ "Join ties with the one who severs relationship with you,
✔ Give the one who has deprived you,
✔ And forgive the one who has oppressed you."

[Musnad Ahmad bin Hambal :: Hadith 17452]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya:

✔ "Jo tum se Talluq tode tum us se Jodo,
✔ Jo tumhen Mahroom kare tum use Ata karo,
✔ Aur Jo tum par Zulm kare tum use Muaaf karo.

[Musnad Ahmad bin Hambal :: Hadith 17452]

✦....♥ Haramain Sharifain Mein Allah ke Karam ki Aik Jhalak ♥....✦

"The lifespan for my Ummah is from sixty years to seventy [years]." (Jami at-Tirmidhi :: 2331)

"Ummate Muhammadiya ki Aousat Umr 60 ta 70 saal hai. " (Jami at-Tirmidhi :: 2331)

● Ham din mein 5 Namaze ada karte hain.
● Aik maah mein 150 Namazen padhte hain.
● Aik saal mein 1800 Namazen padhte hain.
● Aur 10 salon mein 18000 Namazen ada kar sakte hain.
● Aur 50 salon mein taqriban 90 hazar Namazen ada kar satke hain.
● Aur 60 salon mein taqriban 1 lakh 8 Hazar Namazen ada kar sakte hain.

► Magar: "Harame Makkah mein Aik Namaz ada karne ka Sawab 1 lakh Namazon se badh kar hai." [Musnad Ahmad :: 15306, Sunan Ibn Majah :: 1406]

► "One prayer in the Sacred Mosque is better than one hundred thousand prayers elsewhere." [Musnad Ahmad :: 15306, Sunan Ibn Majah :: 1406]

●◗► Allah Subhanahu Wa Ta'ala ham sab ko Haramain Shareefain ki Qadardani ki toufeeq ata farmaye. (Aameen)

✦............:o Peetal ke Kade Pahenna :o............✦

Imran ibn Hussein RadiyAllahu Anhu reported: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) saw a man wearing a brass ring, so he asked, "What is this?" He said, "It is protection from my arthritis." So the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "Remove it, for verily it will only increase your arthritis, and if you were to die wearing it you would never be successful."

[Musnad Ahmad bin Hambal :: Hadith 20014]

Urdu Translation: Hazrat Imran bin Hussein RadiyAllahu Anhu Irshad Farmate hain ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Aik shaks ke hath mein Peetal ka kada dekha to farmaya: "Tujh par Afsos! Ye kya hai?" Us shaks ne Arz kiya ke main ne Bimari (ke ilaj ki) ki wajah se ye pehna hua hai. Ye sunkar Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: "Is se teri Bimari mein izafa hi hoga, is ko utaarde kyun ke Agar is halat mein tujhe Mout Aagayi to tu kabhi kamyab nahi hoga."

[Musnad Ahmad bin Hambal :: Hadith 20014]

●◗► Note: For Males only Silver rings are permissible and for female remaining jewellery is permissible.

●◗► Note: Mard ke liye Sirf Chandi ki Anghoti ijazat hai Baqi kisi bhi Qism ke zewar ki nahi, Aourat pahen sakti hain Zewar.


✦.........♥ Tumhari Biwiyan Tumhari Khetiyan Hain ♥.........✦

●◗► Quran mein Allah Farmata hai "Aourat Tumhari kheti hai" (Qur’an 2:223) Agar mard sirf in chaar lafzon par hi Amal karle to Dunya Jannat banjaye, kya aap ne kabhi Aisa hote dekha hai ke kashtkar ne kuch bhi na kiya aur khud ba khud Fasal ban jaye, Zaaher hai Aisa mumkin nahi to phir aik Shohar ye kaise soch leta hai ke wo apni biwi ko bilkul bhi tawajje na de aur phir bhi wo us ko khush rakhe, us ki khidmat kare.

✔ Aik Sahabiya RadiyAllahu Anhuma ne Nabi kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se pucha ke Aourat par Sab se zyada haq kis ka hai to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: "Aourat par Sab se zyadah Haq us ke Shohar ka hai." [Mustadrak Al-Hakim]

► Lekin Aaj ke Mua’shre mein shoahr Apni biwi ko bilkul bhi Tawajjoh nahi deta, Aik ladki ko jab Aik mard Nikah kar ke lata hai to ye us ki Zimmedari hai ke wo apni Biwi ko samjhe us ko jane ke use kya pasand hai use kis baat se khushi aur Rahat milti hai Jaise Aik Kashtkar ko pata hota hai zameen kab kasht karni hai kab Beenj dalna hai aur kab pani dena hai.

✔ Biwi par tawajjoh dena shohar ka Haq hai aur aise logon ko jo Apni biwi ka khayal rakhte hain aur apne Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki sunnat par Aml karte hain un ko zan Mureed kehne wale Bewaquf log hain kyun ke Allah ke Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne kaha "Tum mein sab se behtar wo hai jo Apni biwi se Accha sulook kare." (Jami at-Tirmidhi :: Hadith 3895) aur Aaj ke dor mein aise log Bahot km hain.

Saturday 7 March 2015

✦..-_-  Qailola ki Sunnat Musalmano ne Faramosh kardi Gairon ne Apnali -_-..✦

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Take a afternoon nap, for the shayaateen do not take an afternoon nap."

[Al-Silsilah As-Saheehah :: Hadith 1647, Akhraj Abu Nayeem Al-Tabarani]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Qailola kiya karo (Yani do Pahar ko kuch soliya karo) kyun ke Shaitan Qailola nahi karta."

[Al-Silsilah As-Saheehah :: Hadith 1647, Akhraj Abu Nayeem Al-Tabarani]

●◗► Qailola yani do pahar ko thodi dair sojane ki fazilat bahot si Ahadees mein aayi hai, Qailola karna Subah bedar hone ke liye nihayat mufeed hai, Neez is mein bhi Hikmat hai ke do pahar ke waqt thodi dair sojane se Jismani Tawanayi bahal aur zahni thakawat door hojati hai aur goya "Qailola" ke baad Naya din shuru hojata hai. Afsos! Aaj ke Musalman Sarkare Do Aalam (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki Sunnaten faramosh karte ja rahe hain aur Gair Muslim dunya Research o Tahqeeq ke natije mein Sunnaton mein poshidah Fawayed samne la rahi hai.

► Haal hi mein China mein aik Company ne mulazimeen ke liye do pahar khane ke baad Aadhe Ghante ki Neend lazmi qarar di hai, Company ke Mulazimeen ke liye zaroori hai ke wo do pahar khane ke baad mulazimat ke Aoqat mein se Aadha ghanta zaroor aaram karen.

► China Hukumat ke mutabiq is Anokhe iqdam ke natije mein company ki paidawar mein 30% izafa record kiya gaya hai, Hukumat ka kehna hai ke do pahar khane ke baad thodi dair Aaram karlena karkirdagi mein hairat Angez izafe ka sabab hai, lehaza degar Companies ko bhi is "Anokhe Qanoon" ka itlaq karna chahiye.

●◗► Mushkil Tareen Halaat mein Mayoos aur Dilbar Dashta na ho: Jab hamari mahdood nazar ke samne tamam raste band hojate hain to Allah ki gair mahdood Qudrat mushkilat se Najat ka rasta nikal deti hai.

Allah ki madad o Nusrat Hasil karen: ⇨ "Agar Allah tumhari madad kare to koi tum par Galib Aane wala nahi aur agar wo tumhen tanha chhorde to kon hai jo us ke baad tumhari madad kare? Aur Mominon ko chahiye ke wo Allah hi par bharosa rakhen." (Qur’an 3:160)

⇨ "If Allah helps you, none can overcome you; and if He forsakes you, who is there after Him that can help you? And in Allah (Alone) let believers put their trust." (Qur’an 3:160)

✦.....♥ Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki Peishgoyi ♥.....✦
✦...............✔ Jute INSAN se Baat Karenge ✔................✦

Abu Sa'eed Al-Khudri RadiyAllahu Anhu narrated that the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "By the One in Whose Hand is my soul! The Hour will not be established until

❶ Predators speak to people,
❷ And until the tip of a man's whip and the straps on his sandal speak to him,
❸ And his thigh informs him of what occurred with his family after him."

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 7 :: Hadith 2181]

Urdu Translation: Hazrat Abu Sa’eed Al-Khudri RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Us Zaat ki Qasam jis ke Qabze mein meri Jaan hai, Qayamat us waqt tak qayem nahi hogi Jab tak:

❶ Darinde Aadmiyon se baat na karne lagen,
❷ Aur Aadmi ke Chabak (lathi ya kode) ka dasta aur us ke Jute ka tasma us se baat na karne lage,
❸ Aur Insan ki Raan us ko ye na bataye ke us ki Gair Maoujoodgi mein us ke ghar walon ne kya kaam kiye hain?."

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 55, 2181]

●════════════════════◄►═══════════════════●

Moujudah zamane mein 'Wearable Technology' ke naam se Aisi ghadiya, tibbi Aalat, libas aur jute market mein umad aaye hain jo Insan se baat karte hain, Bilkhusoos aise jute dastiyab hain jo GPS System, Wi-Fi, Bluetooth, Camera aur Cell phone ki sahulat ke hamil hain, ye Jute raftaar, uthaye jane wale qadam, tai kiya jane wala Faasla aur Manzile maqsood insan ko batate hain.

Naiz aisi Ghadiya, Mobile, Belt, Libas aur Jism mein lagne wali Chip Market mein dastiyab hain jin se Insan apne Biwi baccho ki harkat o Saknaat se 24 Ghante bakhabar rah sakta hai.

●◗► RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne 1400 saal qabl ye Paishgoiyyan us waqt farmayi thin jab in baton ka koi tasawwur bhi nahi kar sakta tha, Hadeese bala mein No 2 aur 3 mazkurah paishgoiyyan harf ba harf puri ho chukin aur No 1 ke bare mein 100% yaqeen hai ke wo bhi Anqareeb puri hone wali hai.

✦............♥ Rishte Naate Jode Rakhen! ♥............✦

Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Whoever believes in Allah and the Last Day, should unite the bond of kinship (i.e. keep good relation with his Kith and kin)."

[Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 73 :: Hadith 160]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Aliahi Wasallam ne Irshad Famaya: "Jo Shaks Allah aur Aakhirat ke din par Iman rakhta ho use Chahiye ke wo Rishton ko Jode Rakhe (Rishtedaron se Accha sulook kare)."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Hadith 6138]

✦.........♥ 2 Qabile Ibrat 2 Qabile Rashk Aourten ♥.........✦

●◗► "Quran kareem ki 3 Aayat (Surah At-Tahrim 10 ta 12) Mein Mazkoor 4 Aourten."

❶ Hazrat Nooh Alaihis Salam ki Biwi: is ka Naam "Wahla" tha, is ko Nabi barhaq Sayyidna Nooh (Alaihis Salam) ki Zojiyat ka sharf Hasil hua aur barson ye Allah Tala ke nabi ki Sohbat se sarfaraz rahi magar us ko Iman Naseeb nahi hua balke ye Hazrat Nooh (Alaihis Salam) ki dushmani aur touheen o be’adbi ki Murtakib hokar bagari Iman ke margayi aur Jahannam mein dakhil hui.

❷ Hazrat Loot (Alaihis Salam) ki Biwi: is ka Naam "Wa’la" tha, ye bhi Jaleel ul Qadr Nabi Hazrat loot (Alaihis Salam) ki Zojiyat o Sohbat se barson sar faraz rahi magar is ke sar par Aisa shaitan sawar tha ke sacche dil se kabhi iman nahi layi balke Umr bhar munafiqa rahi aur apne Nifaq ko chupati rahi, Jab Qoum loot par Azab aaya aur Hazrat Loot (Alaihis Salam) apne Ahl o Ayal ko lekar nikle to us ne Hazrat Loot (Alaihis Salam) ki baat na mani to Azab ka aik patthar use bhi laga aur ye bhi halak hokar Jahannam raseed hogayi.

❸ Firaon ki Biwi: in ka Naam "Aasiya Bint Mazahim" RadiyAllahu Anha tha, ye Firaon ki biwi then magar in ke dil mein Iman ka noor chamak utha aur ye Hazrat Musa (Alaihis Salam) par Iman le Aayen, Jab firaon ko khabar hui to us Zalim ne Hazrat Aasiya ko badi sakht azyaten dee, lekin wo apne Iman par qayem rahen aur Firaon aur zalimon ke kartuton se Allah ki panah aur Jannat mein mahel ki duayen mangti rahin, isi halat mein un ka khatima hogaya aur wo Jannat mein dakhil hogayin.

❹ Maryam Bint Imran: ye Hazrat Isa (Alaihis Salam) ki waldah mohtarma then, Hazrat Isa Alaihis Salam un ke Shukam Mubarak se bagair Baap ke paida hue the is liye Qoum ne Ta’an, badgoyyon aur tohmaton se Hazrat Maryam (Alaihis Salam) ko badi Aezayen pohchayen, Allah ne un ki Iffat o Pakdamni ko Quran kareem mein bayan farmaya aur Aik poori surat un ke Naam se nazil farmaye.

●◗► Aourat ho ya Mard Agar Khud Be Deen rehna chahe to Islah ki Laakh koshishen bhi be sood hain, (Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki Sohbat mein hokar bhi Abu Lahab Iman nahi laye) Aur Agar Deen daar banna chahen to Shohar aur Mahol ki rukawaton ke Bawajood bhi ban sakti hai.

●◗► Aourat ko Samajhta tha jo Mardon ka khilona, Us shaks ko Damaad bhi waisa hi Mila hai. Khud ko Aisa Mard Banane ki Koshish karen Jaisa Aap Apni Beti ke liye Chahte hain.

●◗► "Allah Tala ne Aourat ko Mard ki Paishani se Nahi banaya ke wo Mard par Hukmrani kare, Aur na hi Mard ke Paon se paida kiya ke us ki Gulami karen ♥ Balke Allah ne Aourat ki Izzat aur Ehteram Badhane aur Dikhane ke liye use Mard ki Phasli se Paida kiya ta ke wo Mard ke Dil ke Qareeb ho aur Rahe ♥

✦..✔ Istinja Karte Waqt Tahaarat o Pakeezgi ka Khayal Rakhen ✔..✦

Narrated Ibn `Abbas RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) once passed by two graves and said, "These two persons are being tortured not for a major sin (to avoid). One of them never saved himself from being soiled with his urine, while the other used to go about with calumnies (to make enmity between friends)."

[Sahih Bukhari :: Vol. 1 :: Book 4 :: Hadith 217]

Urdu Translation: Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam 2 Qabron ke paas se Guzre to Farmaya: "In Dono ko Azab ho raha hai, aur Inhen kisi bade Jurm ki wajah se Azab nahi ho raha (balke) in mein se Aik Paishab karte waqt Ehtiyat nahi karta tha Jab ke Dusra chogol khori karta phirta tha."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Hadith 218]

✦....¸.•*♥.....♥ Khayalaat se Kirdaar Tak ka Safar ♥.....♥*•.¸....✦

◈ "Khayalat" ki hifazat karen kyun ke ye aap ke "Alfaz" ban jate hain,
◈ "Alfaz" ki hifazat karen kyun ke ye aap ke "Aa’mal" ban jate hain, aur
◈ "Aa’mal" ki hifazat karen kyun ke ye aap ka "Kirdar" ban jate hain.

●◗► Yaad Rakhen! "Kirdar" ki wajah se hi Mua’shre mein Aap ki Acchi ya Buri "PEHCHAN" hoti hai.

✦........♥ ISLAM Mein Amn o Amaan ki Ahmiyat ♥.......✦
✦..............♥ Importance of Peace In Islam ♥..............✦

It was narrated from Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu that: The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "The Muslim is the one from whose tongue and hand the people are safe, and the believer is the one from whom the people's lives and wealth are safe."

[Sunan an-Nasa’i :: Vol. 6 :: Book 47 :: Hadith 4998, 4995]

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Musalman wo hai jis ki Zuban aur Hath se dusre Musalman mahfooz hon aur Momin wo hai Jis se Insaniyat ka Jaan o Maal Amn mein ho (Yani logon ke Jaan o Maal ko us se koi khatrah laahaq na ho)."

[Urdu Ref :: Sunan an-Nasa’i :: Vol. 3 :: Hadith 1296]

●════════════════════◄►═══════════════════●

●◗► Momin aur Muslim mein Farq ki Wazahat: Iman Dil se shuru hota hai aur wo zaher hota Aaza o jawarih (insan ke hath pao aur digar Aaza) se aur Islam Aaza o jawarih se shuru hota hai aur us ki Inteha dil hai aur is ke Istedlal mein ye Aayat Mulaheza Farmaye.

⇨ "The bedouins say: "We believe." Say: "You believe not but you only say, 'We have surrendered (in Islam),' for Faith has not yet entered your hearts. But if you obey Allah and His Messenger (SAW), He will not decrease anything in reward for your deeds. Verily, Allah is Oft-Forgiving, Most Merciful." (Qur’an 49:14)

⇨ Urdu Translation: "Dihati log kehte hain ke ham Iman laye, Aap kehdijiye ke dar Haqiqat tum Iman nahi laye lekin tum yun kaho ke ham Islam laye (Mukhalifat chhor kar Mutee hogaye) Halan ke Abhi tak Tumhare dilon mein Iman dakhil hi nahi hua, Tum Agar Allah ki aur us ke Rasool ki Farmanbardari karne lagoge to Allah Tumhare Aamal mein se kuch bhi km na karega beshak Allah bakhshne wala maherban hai." (Qur’an 49:14)

► Al-Muslim ki tareef mein Farmaya:
«المسلم من سلم المسلمون من لسانه ويده »
Yani: Kamil Musalman wo hai jis ki Zuban aur hath se Musalman salamat rahen.

► Momin ke bare mein Farmaya:
«المومن من امن الناس بوائقة »
Yani: Momin wo hai jis ki Aafaton se log Mamoon rahen, yani us ki Qalbi jala ki bina par log us se khatrah mahsoos na kare, Jab ke "Muslim" se sirf Zahiri Takleef naak pahluon ki nafi ki gayi hai, Agarche dil se us se khatra mahsoos karte hain.

●◗► Aik martaba main apne aik dost ke sath Jo ke Nao Muslim (Revert) tha, Namaz padhne masjid mein gaya, Main Namaz padh kar thodi dair mein bahar Aagaya lekin use waha se bahar Aane mein paon ghanta lag gaya.

► Main hairan tha ke ye shaks mera itna bhi khayal nahi kar sakta, Mujhe bahar khada kar gaya hai, Main soch hi raha tha ke wo (Nao muslim) mere paas aaya aur Intehayi sharmindagi aur Aajizi se kehne laga.

► Asal mein tum logon ne Bachpan se Allah ka zikr suna hota hai, Musalman ghar mein paida hote ho is liye tumhen Namaz padhte hue Allah ka tasawwur zahen mein lane mein kitni Aasani hoti hai, Mujhe to Aadha Ghanta lag jata hai apne zahen ko yaksu kar ke ye kaifiyat lane mein ke, Aise lage jaise main Allah ke Huzoor khada hun, Aap maherbani kar ke mujhe koi Aisa tariqa batado ke main Jaldi se Allah ke Tasawwur mein apne aap ko yaksu kar sakun.

:'( Meri Aankhon se Aik dum Aansu nikal pade, Sharm se Mera sir jhuk gaya, Mere Daman mein apne Iman ki kamtari ke siwa kuch bhi na tha :'(