Friday 24 April 2015


Mere class mein Aik ladki Shaziya (farzi naam) padhti hai wo aik Free period mein mere paas Aayi aur kehne lagi Mam mujhe aap ke 2min mil sakte hain? To main ne kaha kyu nahi boliye Aap kya kehna chahti hain, main samjhi ke koi Taleemi madad leni hogi Aksar ladkiyan free period mein aise Aajati hain.

To us ne kaha Mam Aap apne purane kapde kis ko deti hain, main us ki baat se hairan rahgayi ke ye kaisa sawal hai, Main ne pucha ke kyu aap kyu puch rahi hain? To us ne bataya ke Mam main bahot Gareeb gharane se hun mere sath padhne wali ladkiyan bahot zyadah Ameer hain aur wo roz mere purane kapdon ka mazaq udati hain, main Apne ghar se Taleem ka kharcha bahot mushkil se le rahi hun Naye kapde kaha se lu, Aap ki jaldi shadi hone wali hai Aap ne purane kapde kisi ko to dene hain mujhe de den.

Us ki baat sun kar pehli baar main ne us ke kapde dekhe jo waqeyi hi purane hogaye the lekin saliqe se istri kar ke pahne hue the, mujhe Afsos se kehna padta hai ke ham kisi ki zaat par baat karte hue 1min bhi ye nahi sochte ke hame kya haq pahochta hai kisi ko kamtar kehne ka, ya kisi ke zaati Muamle mein taang adane ka, Agar koi Ameer hai aur Allah ka diya us ke paas sab kuch hai to kya hamen ye haq mil gaya hai ke ham jis ki chahen be izzati karden, koi khof khuda nahi hai.

► Please is baat par sochen Aik din ham ne bhi Allah ko muh dikhana hai, jab ye dukhi Dil Allah ko apni pareshaniya batayenge aur ro ro kar kahenge ke Aye Allah! tu ne unhe doulat di thi aur hamen nahi, hamara kya qasoor tha to aap ko Allah ke azab se koi nahi bacha sakta!! Logon ke zaati Muamlat mein dakhal dene se Gurez karen kya pata wo kis Halat mein apni zindagi guzar rahe hon.

●══════════════════◄►═════════════════●

Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) as saying: It is a serious evil for a Muslim that he should look down upon his brother Muslim. [Sahih Muslim :: Book 32 :: Hadith 6219, 6706]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: Aadmi ke Ghatiya hone ke liye yahi kafi hai ke wo Apne Musalman bhai ko Haqeer samjhe. [Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 6 :: Hadith 6541]


✦.......:o.......✔ Daketi ki Saza ✔.......:o.......✦

Allah Subhanahu Wa’Tala ka irshad hai: "Jo log Allah aur us ke Rasool se ladayi karte aur zameen mein Fasad machate phirte hain un ki saza yahi hai ke

✔ Unhen Qatl kardiya jaye ya
✔ Suli par chadha diya jaye ya
✔ Un ke hath paon mukhalif simton se kaat dale jayen ya
✔ Unhen zameen se door (jala watan) kardiya jaye,

Ye to Dunya mein un ki ruswayi hai aur Aakhirat mein un ke liye zabardast Azab hai." (Qur’an 5:33)

●◗► Note: Sharyi hudood aur Sazayen dene ka Ekhtiyar sirf Riyasat ko hai Awam Qanoon hath mein na len.

●══════════════════◄►═════════════════●

Allah Subhanahu Wa’Tala says: "The recompense of those who wage war against Allah and His Messenger and do mischief in the land is only that

✔ They shall be killed or
✔ Crucified or
✔ Their hands and their feet be cut off on the opposite sides, or
✔ Be exiled from the land.

That is their disgrace in this world, and a great torment is theirs in the Hereafter." (Qur’an 5:33)

●◗► Note: Govt has authority of giving punishment it’s the duty to govt. Normal people cannot take law in hands.

✦........♥ Bande ki Toba Rabbul Alameen ki Khushi ♥........✦

Abu Huraira RadiyAllahu Anhu reported Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) as saying: "Allah is more pleased with the repentance of His servant when he turns penitently towards Him than one of you would be on finding the lost camel."

[Sahih Muslim :: Book 37 :: Hadith 6611, 7129]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Allah Subhanahu Wa’Tala Apne bande ki Toba par us se zyadah khush hote hain Jitna tum mein se koi Apni gumshudah Janwar (oont) ko (Jungle) mein paalene se khush hota hai."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 6 :: Hadith 6953]

●◗► Arab mein sab se pasandidah Sawari Oont thi isi tarah Insan ki Pasandidah sawari ke Gum ho jane aur us ke Miljane par jitna khush hota hai Allah Tala bhi apne bande ki Toba se is se bhi kahi zyada khush hote hain.

✦........♥ Rahmaton aur Barkaton ka Mosame Bahar ♥........✦

✿ Rajab, Sha’ban aur Ramadhan, Ruhani Safar ✿

◈ Rajab: Kasht karne ka Mahina hai.
◈ Sha’ban: Kheti ko pani dene ka Mahina hai.
◈ Ramadhan: Kheti katne ka Mahina hai.

Ramdhan Al-Mubarak ki barkaat se wahi shaks Mukammal Mustafeed ho sakta hai Jo Maahe Rajab aur Sha’ban se Ramadhan ki tayyari mein lag jaye aur apne Aap ko Gunahon se bachate hue Naik Aa’mal ka aadi banaye.

●══════════════════◄►═════════════════●

Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu narrated that the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) would recite the following supplication when the Month of Rajab would commence: 'Allahumma baarik lana fi Rajaba wa Sha’bana wa balligh-na Ramadan', (Oh Allah! Grant us Barakah (Blessing) during (the months of) Rajab and Sha’ban, and allow us to reach Ramadan).

Urdu Translation: Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Jab Rajab ka Mahina shuru hota to RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ye Dua Mangte: 'Allahumma baarik lana fi Rajaba wa Sha’bana wa balligh-na Ramadan', (Aye Allah! Rajab aur Shaban mein ham par Barkat nazil farma aur Hamen Ramadhan ka Mahina naseeb farma).

[Musnad Ahmad :: 259/1, Al-Bayhaqi Fi Shuab ul Iman :: 375/3]

✦.......♥ Khawateen Raaste ke Kinare Par Chalen ♥.......✦

Once The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) was coming out of the mosque, and men and women were mingled in the road, Seeing this Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said to the women: "Draw back, for you must not walk in the middle of the road; keep to the sides of the road."

After Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said this Then women were keeping so close to the wall that their garments were rubbing against it."

[Sunan Abu Dawood ::  Book 42 :: Hadith 5252, 5272]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Masjid se bahar Tashreef la rahe the ke Raaste mein (Rash aur be tarbiyati ki wajah se) Mard aur Khawateen ka Ikhtilat sa hogaya, ye daikh kar Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne khawateen se irshad farmaya: "Aik Taraf hojao! Raaste ke beech mein chalne ka tumhen haq nahi, tumhen raaste ke kinaron par chalna chahiye."

Is farman ke baad khawateen diwaar ke sath itna chimat kar chalti thin ke diwaar ke sath lagne ki wajah se un ka libas diwaar ke sath Atak jata tha.

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 1829]

●◗► Khawateen ke liye Aise tang raston aur bazaron mein jana Jayez nahi jahan mardon ka Rash ho aur Jism takrane aur Ikhtilat (mail jol) ka Andesha ho, Agar aisi Surate haal peish bhi aajaye to Aourat khud Rash se piche hate aur kisi Mahfzooz kinare mein panah le.

✦..♥ Tairaki (Swimming) Sunnate Nabwi Sallallahu Alaihi Wasallam ♥..✦
▶▶........✿…...♥ Jismani Warzish Kheil ka Kheil ♥......✿….....◀◀

The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Everything other than remembering Allah is (considered) wasteful play except four:

❶ A man humoring his wife,
❷ A man training his horse,
❸ A man walking between targets (learning archery),
❹ And man learning swimming."

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Har wo cheez jis mein Allah ki yaad na ho wo Lahu o Lo’ab mein Shamil hain siwaye 4 Chizon ke:

❶ Aadmi ka apni Ghar wali (Shohar apni Biwi) ke sath hansi Mazaq karna,
❷ Apne Ghode ko sudhaarna (tarbiyat dena),
❸ Do Nishanat aur Hadon ke darmiyan dodne ka moqabla karna,
❹ Tairaki Seekhna."

[Narrated by An-Nasaa'i and authenticated by Al-Albaani (Sahih Al-Jami' 4534), (Recorded by Bayhaqi and at-Tabarani with a good chain of narrators)]

●════════════════════◄►═══════════════════●

●◗► SUNNATE NABWI aur JADEED SCIENCE: Jadeed Science Tahqeeq ke mutabiq Tairaki se Dimaghi aur Aa’sabi Salahiyaton mein izafa hota hai, Digar warzishon mein insani Jism ke chnd Azlaat aur pathe istemal hote hain Lekin Tairaki karne mein Ba’ek waqt Tamam Azlaat aur pathe (Muscles) istemal hote hain Jis se Jism (vital organs) mein bhar pur tariqe se tazah khoon ki Farahmi hoti hai aur Jism mein chusti paida hoti hai.

●◗► Jab bhi Aap gunah karne lagte hain to Aap ne dekha hoga ke Aap ka dil zor zor se dhadakna shuru hojata hai ye Khaliq kul ki taraf se diya gaya aik "Signal" hota hai ke Aye mere Bande! Ye kaam Galat hai is se baaz Aaja.

◈ ▶ Ye Alag baat hai ke Hamare dil gunah kar kar ke itne siyah ho chuke hain ke ham Aise "Signals" ko apni kamzori ya aik Fitri Aml samajh kar aik aur Gunah kar dalte hain, Jab gunah ke kamon mein dil lagna shuru ho jaye to ye is baat ki daleel hai ke tumhara rab tum se Naraz hai. :(

✦........♥ Ahem Umoor par Mushtamil Jami` Hadees ♥........✦

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Cleanliness is half of faith and al-Hamdu Liliah (Praise be to Allah) fills the scale, and Subhan Allah (Glory be to Allah) and al-Hamdu Liliah (Praise be to Allah) fill upwhat is between the heavens and the earth, and prayer is a light, and charity is proof (of one's faith) and endurance is a brightness and the Holy Qur'an is a proof on your behalf or against you. All men go out early in the morning and sell themselves, thereby setting themselves free or destroying themselves."

[Sahih Muslim :: Book 2 :: Hadith 432, 556]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Taharat Iman ka nisf hissa hai, Alhamdulillah kehna Aa'mal naama ko Nekiyon se bhardeta hain, SubhanAllah aur Alhamdulillah (kehne ka Ajr) Zameen o Aasman ke khula ko bhar deta hai, Namaz (Munkirat o Behudgi se bacha kar hidayat ki Rehbari karne wala) Noor hai, Sadaqah (Qayamat ke din Allah ki raah mein kharch kiye gaye maal aur iman ki) Wazeh daleel hai, Sabr (yani quran o sunnat par sabit qadm rehna) Roshni hai, Aur Quran (Aml karne ki surat mein) tumhare haq mein ya (Aml na karne ki surat mein) tumhare khilaf gawahi hai, Tamam log subah subah apne kaam par nikalte hain aur apne Nafs ka saoda karte hain, ps koi to Apne nafs ko (Jahannam) Azad karne wala hota hai, aur koi use halak karne wala."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 1 :: Hadith 534]

✦......♥ Aoulad ka Bachpan aur Waldain ka Budhapa ♥......✦

●◗► Waldain apne Bacche Bacchiyon ko Shehzade aur Shehzadiyon ki tarah rakhte hain, Lehaza Jab wo budhe hon to Aoulad ka Farz banta hai ke wo Unhen "Ghar ka Badeshah aur Malika bana kar Rakhen."

"Parents keeps their children like prince and princess and When parents reach old age its Obligatory for children to treat parents like kings and queens."

✦........✿........♥ Sajdah Shukr ♥........✿........✦

Narrated AbuBakrah RadiyAllahu Anhu: "When anything came to the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) which caused pleasure (or, by which he was made glad), he prostrated himself in gratitude to Allah."

[Sunan Abu Dawood ::  : Book 14 :: Hadith 2768,2774]

Urdu Translation: Hazrat Abu Bakrah RadiyAllahu Anhu farmate hain ke "Jab bhi koi Khushi ki baat ya khush khabri Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ke samne Aati to Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Allah ka Shukr ada karte hue Sajdah mein gir jate the."

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 2 :: Hadith 1001]

Tuesday 14 April 2015

◈ ▶ Ho sakta hai Tumhari shadi zameen par paye jane wale sab se Bure shaks se hojati Jaise Hazrat Aasiya ki Firaon se lekin ye cheez unki Allah se Mohabbat ko badal na saki.

◈ Ho sakta hai Tumhari shadi zameen par Maojood sab se behtar shaks se hojati Jaise Allah ke Nabi se, Lekin tum phir bhi Jannat pahoch jane se reh jati jaise Loot Alaihis Salam ki biwi.

◈ Aur ye bhi ho sakta tha ke Tumhari Shadi kisi se bhi na hoti Jaise Maryam Alaihis Salam aur Allah Tala tumhe Jannat mein har Aourat se uncha darja de deta.

●◗► Apni Tarjihaat (Afzaliyat, Bartari) ko jano! Mohabbat aur Aitebar sab se pehle Allah ke Sath!

●◗► Aap apni Sawari par Farz namaz ba Jama’at ada karne Masjid ki taraf ja rahe hon aur Jama’at khadi hone ka waqt bhi ho chukka ho, Achank Aap ko Signal band mile aur ird gird koi Sergeant (Traffic Police) bhi Maojood na ho to aisi Surat mein Aap kya karenge?

❶ Khamoshi se Signal tod kar Farz namaz padhne Masjid rawana hojayenge.

❷ Signal khulne ka intezar karenge aur Signal khulte hi Aage badhenge.

●══════════════════◄►═════════════════●

Mera kehna ye hai ke: Shari’at ka hukm hai ke Intezami kamon mein Qanoon ki pabandi zaroori hai, Namaz aik Farz hai jis ki Talafi qaza ki surat mein Maojood hai aur Signal todne ki surat mein hone wale Hadise ki talafi kaise hogi? ❷ Signal khulne ka intezar karunga aur Signal khulte hi Aage badhunga.

Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu: I heard Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) saying, "If the prayer is started do not run for it but just walk for it calmly and pray whatever you get, and complete whatever is missed."

[Sahih Bukhari :: Vol. 2 :: Book 13 :: Hadith 31]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Main ne RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ko ye Irshad Farmate hue suna ke: "Jab Namaz ke liye Takbeer kahi jaye to Dodte hue mat Aao balke (apni mamuli raftar se) Aao poore Itminan ke sath phir Namaz ka jo hissa (imam ke sath) paalo use padhlo aur jo Reh jaye to use baad mein pura karo."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 2 :: Hadith 908]

✦.......:) Har Kaam ka Waqt Muta’yyan hai :).......✦

●◗► Allah ke han har cheez ka Waqt Muta’yyan hai aur Waqti takheer ki hikmat samajhna Insan ke bus se bahar hai, Momin ka kaam to har Haal mein Allah ke Faisle par Razi rehna hai.

⇨ "Put your trust in Allah, certainly, Allah loves those who put their trust (in Him)." (Qur’an 3:159)

⇨ "Allah Tala par Bharosa karen, Beshak Allah Tala Tawakkul karne walon se Mohabbat karta hai." (Qur’an 3:159)

●◗► Saccha dost Maa ki tarah fikr karta hai, Baap ki tarah dant ta hai, Bahen ki tarah cheidta hai, Bhai ki tarah Naqsh qadam par chalta hai, aur sab se badh kar ye ke use har Galat kaam se roke rakta hai aur uske Aakhirat ki fikr karta hai.

Abdullah RadiyAllahu Anhu reported Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) as saying: "If I were to choose from my Umma anyone as my bosom friend, I would have chosen Abu Bakr."

[Sahih Muslim :: Book 31 :: Hadith 5872]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshad Farmaya: "Agar main Apni ummat mein se kisi ko (Allah ke siwa) apna jani Dost banata to Abu Bakr (RadiyAllahu Anhu) ko banata."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 6 :: Hadith 6173]

✦.......♥ Betiyon ki Wajah se Mushaqqat Uthane Wale ♥.......✦

Narrated Aisha RadiyAllahu Anha: Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Whoever is put to trial by these daughters and he treats them generously (with benevolence) then these daughters will act as a shield for him from Hell-Fire."

[Sahih Bukhari :: Vol. 2 :: Book 24 :: Hadith 499]

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha se riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad farmaya: "Jis shaks ko Betiyon ki (parwarish o tarbiyat ki) wajah se Mamuli si takleef bhi uthani padi to ye Betiyan us ke liye Jahannam se bachao ka zariya hongi."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 2 :: Hadith 1418]

✦.......♥ Sab Rishton se Badh Kar Maa ka Rishta ♥.......✦

●◗► Maa ka Rishta Dunya ka Haseen tareen Rishta hai aur is ka koi Ne’mul badal nahi, Lehaza Shari’ate Mutahrah ne bhi Adab o Ehteram aur Ita’at o Farmanbardari mein is Rishte ko baqi rishton se Muqaddam rakha hai.

Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Allah enjoins you to treat your mother's kindly"-three times- "Allah enjoins you to treat your fathers kindly, Allah enjoins you to treat the closest and the next closest kindly."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 5 :: Book 33 :: Hadith 3661]

Urdu Translation: Allah ke Pyare Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad farmaya: "Bila shuba Allah Tala tumhe Maa ke sath Husn sulook ka hukm deta hai, aur Tumhen Maa ke sath Husn sulook ka hukm deta hai, aur phir Tumhe Maa ke sath Husn sulook ka hukm deta hai (Taakidan 3 martaba ye hukm irshad farmaya), Phir Baap ke sath Husn sulook ka tumhen hukm deta hai, phir Darja ba darja digar qareebi Rishtedaron ke sath umdah bartao ka tumhen Hukm deta hai."

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Hadith 542]

✦.......▶▶▶ Chota Paigham Accha Paigham ◀◀◀.......✦

●◗► Aik ladki "Aourat" zaat ke Muqaddas moqam se usi Waqt gir jati hai Jab wo kisi ki "Girl Friend" banna qabool karleti hai,

Ahmaq (pagal) ye nahi janti ke jo "Ladka" use sach mein Chahta hoga wo use "Nikah" ke Ba’izzat tariqe se use "Biwi" ka darja dega Na ke "Girl Friend" banakar Hotels, Parks, ya Sadkon pe ghumayega.

✦.....✿.....♥ Aourton ke Huqooq Ada Karen ♥.....✿.....✦

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "O Allah, bear witness that I have issued a warning concerning (failure to fulfill) the rights of the two weak ones:

❶ Orphans and
❷ Women."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 5 :: Book 33 :: Hadith 3678] [Al-Mustadrak alaa al-Sahihain Al-Hakim :: Hadith 211]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Main tum logon par do Kamzoron ke huqooq (ki adayegi) ke bare mein sakhti karta hun:

❶ Yateem ka Haq
❷ Aourat ka Haq."

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Hadith 559] [Al-Mustadrak alaa al-Sahihain Al-Hakim :: Hadith 211]

✦...♥ Allah Jalla Jalaluhu aur Allah Jalla Jalaluhu ka Bandah ♥...✦

✔ Aap darwazah khatkhatayen Allah khol dega.
✔ Aap darbar mein Hazir ho Allah khush Aamadeed kahega.
✔ Aap ilteja karen Allah Inayat farmayega.
✔ Aap mushkil bayan karen Allah hal Nikal dega.
✔ Aap mangen Allah Ata karega.
✔ Aap royen Allah sunega.
✔ Aap toba kare Allah qubool karega.
✔ Aap pukarte rahen Allah nawaze shaat karta rahega.

●◗► Allah har pukar par Labbaik kehta hai Magar…..Aap ne Allah ke kitne Ehkamaat ki Tameel par Labbaik kaha???

Friday 3 April 2015


✦......✿......♥ Musalman Bhai Se Mulaqaat ♥......✿......✦

✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "VISITING ONE ANOTHER FOR THE SAKE OF ALLAH" ✦

Abu Huraira RadiyAllahu Anhu reported Allah's Apostle (Sallallahu Alaihi Wasallam) as saying: A person visited his brother in another town and Allah deputed an Angel to wait for him on his way and when he came to him he said: Where do you intend to go? He said: I intend to go to my brother in this town.

He said: Have you done any favour to him (the repayment of which you intend to get)? He said: No, excepting this that I love Mm for the sake of Allah, the Exalted and Glorious. Thereupon he said: I am a meesenger to you from, Allah: (to inform you) that Allah loves you as you love him (for His sake).

[Sahih Muslim :: Book 32 :: Hadith 6226, 6714]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Aik Aadmi apne (Musalman) bhai se mulaqat ke liye dusre gaon ki taraf gaya, Allah Subhanahu Wa’Tala ne Raste mein aik Farishte ko (insani shakal o surat mein) khada kardiya, Jab ye Aadmi waha pohcha to us farishte ne pucha: kaha ja rahe ho? Wo kehne laga: is Basti mein mera aik bhai hai, Main us se mulaqat ke liye ja raha hun.

Farishte ne pucha: kya us Aadmi ka tumhare uphar koi Ehsan hai? Jis ka badla chukane ke liye tum us ke paas ja rahe ho? Kehne laga: Nahi, us ka Mere uphar koi Ehsan nahi hai Main to us se Allah ke liye Mohabbat karta hun.

Farishta kehne laga: Mujhe Allah ki taraf se ye batane ke liye bheja gaya hai ke Allah Tala bhi tum se Mohabbat karta hai Jis tarah tum Allah ke liye apne bhai se Mohabbat karte ho."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 6 :: Hadith 6549]

✦.......♥ Dua Naseeb Walon ko Milti Hai ♥.......✦

✿► Isliye ke Jab koi Aap ko Dua de to us ke Lafzon par Sadqe (sacche) Dil se Aameen kahen kyun ke Khuloos Niyyat ko janchne ka koi paimana Ab tak Ejad nahi hua.

✿► Aur koi jab Aap se ye kahe ke Dua karna mere Haq mein to Dua zaroor kijiye, Ye Rab ka Aik aur In'aam hua aap par is Aezaz ko Rab ki khaas Ata samajh kar aur bhi Shukr guzar ban jayen. :)

✦.......:o Aadha Jism Dhoop aur Aadha Chaon Mein :o......✦
✦...........:o Half Body in Sun and Half in Shade :o..........✦

Narrated Ibn Buraidah RadiyAllahu Anhu: "The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) "Forbade sitting between the shade and sun."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 5 :: Book 33 :: Hadith 3722]

Urdu Translation: Hazrat Buraidah RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke "RasoolAllah Sallallahu Aliahi Wasallam ne Dhoop aur Saye ki darmiyani jaga (yani Aadha jism dhoop mein aur Aadha saye mein) baithne se Mana farmaya."

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Hadith 603]

●◗► Rahmatul lil Alameen (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne 1400 saal Qabl hi apni Ummat ko is Aml se mana farma diya tha Jab ke Aaj ki Medical Science Research o Tahqeeq ke baad bhi isi natije par pohchi hai ke Aadha dhoop aur Aadha saye mein baithna Tibbi Aitebar se saqt Nuqsandeh hai aur is se Jism mein khoon ka doran gair Mo’tadal aur bigad jata hai Jis ki waja se kayi tarah ki Bimariyan aur Amraz lahaq ho sakte hain.

✦...♥ Chote Bacchon ko Bosa Dena Rahmat o Shafqat ki Alamat ♥..✦

'A'isha (Allah be pleased with her) reported that there came a few desert Arabs to Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) and said: Do you kiss your children? He said: Yes. Thereupon they said: By Allah but we do not kiss our children.

Thereupon Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Then what can I do if Allah has deprived you of mercy? Ibn Numair said: (We has deprived) your heart of mercy."

[Sahih Muslim :: Book 30 :: Hadith 5735, Musnad Ahmad :: Hadith 24291]

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha farmati hain ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmate Aqdas mein Aik dihati Hazir hua aur us ne Arz kiya: Ya RasoolAllah! Kya aap bacchon ko bosa dete hain? Allah ki qasam! Ham to bacchon ko bosa nahi dete.

Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Agar Allah ne Tumhare Dil se Rahmat o Shafqat ka Maaddah nikal diya hai to main kya kar sakta hun."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 6 :: Hadith 6027, Musnad Ahmad :: Hadith 24291]

✦.......♥ Allah par Tawakkul Yaqeen ki Had Tak Karo ♥.......✦

✿► Jis tarah Mosam badalne ka aik waqt hota hai, Isi tarah waqt badalne ka bhi Aik mosam hota hai, Halaat badalte hi rahte hain, Halaat ke sath Haalt bhi badal jati hai, Raat Aajaye to neend bhi kahin se Aahi jati hai.

✿► Wo Insan kamyab hota hai Jis ne Aazmayes o Musibat ki tarikiyon mein Ummid ka charag Roshan rakha, Ummid us khushi ka Naam hai jis ke Intezar mein Gham ke Ayyaam kat jate hain, Ummid kisi Waqeya ka naam nahi ye Mizaaj ki aik Halat hai, Fitrat ke Maherban hone par yaqeen ka Naam Ummid hai.

⇨ "Put your trust in Allah, certainly, Allah loves those who put their trust (in Him)." (Qur’an 3:159)

⇨ "Allah Tala par Bharosa karen, Beshak Allah Tala Tawakkul karne walon se Mohabbat karta hai." (Qur’an 3:159)

✦......♥ Jumah ka Din Qubuliyate Dua ki Khaas Ghadi ♥......✦

Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) talked about Friday and said, "There is an hour (opportune time) on Friday and if a Muslim gets it while praying and asks something from Allah, then Allah will definitely meet his demand." And he (the Prophet) pointed out the shortness of that time with his hands."

[Sahih Bukhari :: Vol. 2 :: Book 13 :: Hadith 57]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Jumah Al-Mubarak ka zikr karte hue Irshad Farmaya: "Jumah ke din aik Aisi ghadi hai Jis mein agar koi Musalman bandah Namaz padh raha ho aur Allah Subhanahu Wa’Tala se koi cheez Mange to Allah use wo cheez zaroor Ata farmate hain. Phir Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne hath ke ishare se batlaya ke wo Ghadi bahot thodi si hai."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 2 :: Hadith 935]

✦ "Qubuliyate Dua ki wo khaas Ghadi konsi hai Is bare mein 2 Qoul Rajeh hain" ✦

❶ Imam ke Khutba Jumah shuru karne se Namaze Jumah ki Farz Namaz ke ekhtetam tak. [Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 2 :: Hadith 1975]

"It is between the time when the Imam sits down and the end of the prayer." [Sahih Muslim :: Book 4 :: Hadith 1855]

❷ Jumah ke din ke Ekhtetam par Magrib se thodi dair Qabl. [Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 1 :: Hadith 1036]

"The last hour after the afternoon prayer." [Sunan Abu Dawud :: Hadith 1048]


✦......♥ Musalman ki Soch ka Mahwar 4 Baten ♥......✦

❶ Allah Subhanahu Wa’Tala Hamare Rab.

❷ Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam Hamare Rahbar.

❸ Islam Hamara Nizame Zindagi.

❹ Jannat hamari Manzil.

✦..........♥ Lutf o Karam ki Barsaat Na Pucho! ♥..........✦

Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu narrated that the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Allah, Blessed is He and Most High, said:

► ‘O son of Adam! Verily as long as you called upon Me and hoped in Me, I forgave you, despite whatever may have occurred from you, and I did not mind.

► O son of Adam! Were your sins to reach the clouds of the sky, then you sought forgiveness from Me, I would forgive you, and I would not mind.

► So son of Adam! If you came to me with sins nearly as great as the earth, and then you met Me not associating anything with Me, I would come to you with forgiveness nearly as great as it."

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 6 :: Book 45 :: Hadith 3540]

●═════════════════◄►════════════════●

Urdu Translation: Hazra Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya ke Allah Subhanahu Wa’Tala farmate hain:

► "Aye Ibn Adam! Jab tak tu mujhe pukarta rahega aur Mujh hi se ummiden wabasta rakhega main tujhe Muaaf karta rahunga khuah tere Aamal jaise bhi hon aur main (tujhe bakhshte hue) parwah tak na karunga.

► Aye Ibn Adam! Agar tere Gunah Aasman ki bulandiyon tak bhi pahoch jayen aur tu mujh se Muafi mange to main tujhe muaaf kardunga aur parwah tak na karunga.

► Aye Ibn Adam! Agar tu itne Gunah kar ke Aaye ke roye zameen bhi bhar jaye to main bhi zameen bhar Magfirat ke sath tujh se milunga (yani bhar poor magfirat kardunga) bashartye ke tune Shirk na kiya ho."

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 1463, 3540]

✦.....♥ Amn o Aamaan aur Khush Haal zindagi ka Raaz ♥.....✦
▶▶▶▶.........♥ The Secrete of Peaceful Life ♥.........◀◀◀◀

⇨ "Allah Subhanahu Wa’Tala ka irshad hai: "Jis shaks ne bhi Momin hone ki Halat mein Naik Aml kiya hoga, chahe wo Mard ho ya Aourat, ham use Pakizah zindagi basar karwayenge." (Qur’an 16:97)

⇨ "Aik aur Jaga Allah Subhanahu Wa’Tala ka irshad hai: "Jo koi meri hidayat ki pairwi karega, Woh na Gumrah hoga aur na kisi Mushkil mein giriftar hoga. Aur jo meri Nasihat se muh modega to us ko badi tang zindagi milegi, aur Qayamat ke din ham use Andha kar ke uthayenge." (Qur’an 20:123-124)

●══════════════════◄►═════════════════●

⇨ "Allah Subhanahu Wa’Tala says: "Whoever does righteousness, whether male or female, while he is a believer - We will surely cause him to live a good life," (Qur’an 16:97)

⇨ "And in another place Allah Subhanahu Wa’Tala says: "Whoever follows My guidance will neither go astray [in the world] nor suffer [in the Hereafter]. And whoever turns away from My remembrance - indeed, he will have a depressed life, and We will gather him on the Day of Resurrection blind." (Qur’an 20:123-124)