Thursday 20 August 2015

✦......♥ Hajj o Umrah par Jane wale Allah ke Mehman Hain ♥......✦

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "The pilgrims performing Hajj and ‘Umrah are a delegation to Allah. If they call upon Him, He will answer them; and if they ask for His forgiveness, He will forgive them."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 25 :: Hadith 2892]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Hajj aur Umrah par Jane wale Allah Subhanahu Wa Ta'ala ke Mehman hain, Agar ye Dua mangen to Allah Tala un ki Dua Qubool Farmate hain aur Agar ye Log Maghfirat ke Talabgaar hon to Allah Tala un ki Maghfirat Farmadete hain."

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 2 :: Hadith 1049]

✦........:(  Kahin ye Safar Safre Aakhirat Na Ho! :(.......✦

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "When Allah decrees that a slave (of His) is to die in a land, He makes him have some need from it."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 4, Book 6, Hadith 2146, 2237]

Urdu Translation: Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jab Allah Subhanahu Wa Ta'ala kisi bande ke bare mein ye Faisla farmate hain ke us ki Mout zameen ke fulan hisse mein Aaye to zameen ke us Hisse mein us ke liye koi na koi kaam paida farmadete hain. (aur ye khud chal kar wahan pahoch jata hai)."

[Urdu Ref :: Jami At-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 18]

●◗► Safar par jane se pehle Huqooq Allah o Huqooq Al-Ibad ki adayegi ki fikr karen aur apne Gunahon par Toba o Astaghfar karte hue safar shuru karen, ho sakta hai ke ye safar Aap ka safre Aakhirat ho.

●◗► Kabhi do insanon ke darmiyan kuch aisa hota hai ke Aik apni Qadar janne ke liye wapsi ke qadam uthata hai to sirf is liye ke Dusra use rokega ► Dusra is Ana ki diwaar se lipat ke khada rehta hai ke mujhe apni Taqat dekhni hai ke wo kaise ja sakta hai, Magar dono isi Soch o Guroor mein aik dusre se door hote jate hain.

✦......✿.....✔ Mobile Phone Istemal Karne ke Aadab ✔.....✿......✦

❶ Call receive karne wale ki masrufiyat, Aaram aur Namazon ke aouqat ki ri’ayat rakhen, Albatta sakht Emergency ki surat Mustashna hai.

❷ Phone karne wale aur receive karne wale Hello ke bajaye Assalamu Alaikum ya Waalikum Assalam se guftagu ki Ibteda karen.

❸ Agar kisi Ajnabi ko phone karen to Salam ke baad apna Mukammal Ta’aruf karwayen.

❹ 3 baar call karne ke bawajood Agar koi phone na uthaye to samajhlen ke us waqt ijazat nahi, kisi dusre waqt Call karen.

❺ Masjid, Darsgah aur Waz o Nasihat ki majlis mein dakhil hone se pehle Mobile Phone band karden ya km az km Silent karden.

❻ Ghar mein badon ke hote hue Nojawan bacchiyan hargiz phone na uthayen, Neez bilkul chote bacchon ko bhi phone na uthane den.

❼ Mardon ki maojudgi mein Aourten phone na uthayen, Agar phone uthana bhi pade to Narm lehja ke bajaye sakhti aur rukhe pan se jawab den.

❽ Mobile ka speaker sab ke samne ON kar dena khayanat hai, Ba’waqte zarurat phone karne wale se pehle ijazat len.

❾ Phone karne wale ki guftagu us ki ijazat ke bagair Record karna zulm aur dhoka dahi mein shamil hai.

➓ Apne bacche bacchiyon ki mobile phone sargarmiyon par kadi Nigah rakhen taa ke Mobile ke galat istemal ki rok tham ho sake.

⓫ Khawateen, Tohmat aur shak paida karne wali sar’garmiyon se bachte hue Mobile istemal kare, Mahireen ke mutabiq Mobile phone ki wajah se Talaq aur gharelu nachaqiyon ki sharah mein 70% izafa hua hai.

⓬ Mobile Phone ki dawat o Tableeg aur tazkeer o islah ka zariya banayen, Albatta sirf Mustannad o Mudallal (Authentic) paigamat hi aage bheja karen.

●◗► "Hain na? Dunya ki jis Aourat ke liye Mard har Gham, har Dukh, har Takleef aur har Nagawaar baat bardasht karleta hai wo us ki "Beti" hoti hai.

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Whoever raises two girls then I and he will enter Paradise like these two." And he (Sallallahu Alaihi Wasallam) indicated with his two fingers.

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 1 :: Hadith 1914]

Urdu Translation: Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: "Jis ne do Betiyon ki parwarish ki, Jannat mein wo aur main (Aik sath) in do ungliyon ki tarah dakhil honge, Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ne do Ungliyan jod kar isharah farmaya."

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Hadith 1979]

✦.....✿.......♥ Watne Azeez INDIA se Mohabbat! ♥.......✿.....✦

●◗► Insan Jis khitte, Mulk, shaher ya ilaqe mein rehta hai us jaga se Unsiyat, Qalbi lagao aur Mohabbat o Ulfat ka paida ho jana aik fitri cheez hai, Diyanat aur Amanat ka taqaza bhi yahi hai ke Insan jahan rahe wahan ki khair khuahi, taraqqi aur Falah o Bahbood ki koshishon mein laga rahe.

✿ RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Jab Makkah Mukarramah se Hijrat farma kar nikle to sawari par sawar ho kar baar baar piche mud kar dekhte aur farmate: "(Aye Makkah!) Allah ki qasam tu Allah Taa’la ki behtareen aur Mahboob tareen zameen hai, Agar mujhe yaha se na nikala jata to main tujhe chhor kar na jata." [Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 2 :: Hadith 1265, 3108]

✿ Baad Aza Jab RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Hijrat farma kar Madinah Tayyabah pohche aur Madinah Munawwarah ko apna Mustaqil watan banaliya to ye dua mangi: "Aye Allah! Jis tarah Makkah Mukarramah ki Mohabbat tu ne hamen ata ki thi isi tarah Madinah Munawwarah ki Mohabbat bhi hamen ata farma, ya us se bhi zyadah hame Madinah ki mohabbat ata farma, aur yahan ki Aab o hawa sahet baksh banade aur hamare Sa’a aur Mud (galla naapne ke 2 paimane) mein barkat ata farma aur Madinah ke wabayi Bukhar ko Juhfa (naami muqam) mein muntaqil karde." [Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 3 :: Hadith 3342, 3480]

♥ Apne Mulk aur Watan se Mohabbat karen aur Apni Zaat se Mulk o Watan ko Faidah pohchane ki Koshish karen ♥

●════════════════════◄►═══════════════════●

Abu Salamah bin ‘Abdur-Rahman bin ‘Awf narrated that ‘Abdullah bin ‘Adiy bin Hamra’ said to him: “I saw the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam), when he was on his she-camel, standing in Al-Hazwarah* saying: ‘By Allah, you are the best land of Allah, and the dearest of the land of Allah to me. By Allah, had I not been expelled from you I would never have left.’” *A place in Makkah."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 4 :: Book 25 :: Hadith 3108]

'A'isha (Allah be pleased with her) reported: When we came to Medina, and it was an unhealthy, uncogenial place, Abu Bakr fell sick and Bilal also fell sick; and when Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) saw the illness of his Companions he said: O Allah, make Medina as congenial to us as you made Mecca congenial or more than that; make it conducive to health, and bleesus in its sa' and in its mudd, and transfer its fever to al-juhfa."

[Sahih Muslim :: Book 7 :: Hadith 3178]


●◗► Har shaks ko is Qabil hona chahiye ke Apne Walid ka Janazah khud padhaye, Jo Dua Baap ke liye bete ke dil se nikle gi wo kisi aur ke Dil se nahi nikal sakti.

●◗► Har shaks ko is Qabil hona chahiye ke apni bacchi ka Nikah khud padhaye, Jo Dua bacchi ke liye Baap ke dil se nikle gi wo kisi aur ke Dil se kaise nikal sakti hai.

✦....✿.....♥ Chidyon Jaise Masoom Dil ♥.....✿....✦

Abu Huraira RadiyAllahu Anhu reported Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) as saying: "There would enter Paradise people whose hearts would be like those of the hearts of birds."

[Sahih Muslim :: Book 40 :: Hadith 6808, 2840]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jannat mein aise Log dakhil honge Jin ke dil Chidyon ki tarah (narm) honge."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 6 :: Hadith 7162]

●◗► Baap bacchon ke sath Train mein sawar tha, Aik seat par khamoshi se baith gaya aur khidki se bahar dekhne laga, Bacche? Bacche nahi Aafat the unhone ne Musafiron ko tang karna shuru kardiya koi musafiron ke saman chedna shuru kardiya to koi Chacha miya ki topi utar kar bhag raha hai to koi zor zor se cheekh raha to koi Uphar ke seeton par chad raha tha.

✦ Musafir sakht gusse mein hain kaisa baap hai? Na inhen mana karta hai na kuch kehta hai, koi use be’his samajh raha hai to kisi ke khayal mein wo Nihayat nikamma hai, Bila’akhir jab bardasht ki had hogayi to aik Sahab gusse se uth kar Baap ke paas pohche aur daand kar bole, Aap ke bacche hain ya Musibat ? Aakhir aap un ko dant te kyun nahi ?

✦ Baap ne un sahab ki taraf dekha us ki Aankhen Aansuon se labarez then aur bola Aaj subah un ki Maa ka inteqal hogaya hai main un ko wahin le kar jar aha hun, Mujh mein himmat nahi ke un ko kuch keh sakun, Aap rok sakte hain to roklen. Sare musafir aik dum Sannate mein aagaye, aik hi lamhe mein Manzar bilkul badal chuka tha, wo Shararti bacche sab ko pyare lagne lage the, sab Aabdidah the, sab unhen pyar kar rahe the apne sath chimta rahe the.

◗►✿ Zindagi mein zaroori nahi ke Haqiqat wo ho jo hame nazar Aarahe hon Balke wo bhi ho sakte hain jo hame nazar na Aarahe ho, Yaad Rakhiye! Raye banane mein waqt lagayyen, Badgumani se pehle khush Gumani ko kuch waqt den, Faisle se pehle zara aik baar aur sochlen, aur bus Apne hi dururst aur Aqal kul hone pe israr na karen.

✦............▶▶▶ Bacchon se bhi Jhoot na Bolen ◀◀◀............✦

Narrated Abdullah ibn Amir RadiyAllahu Anhu: My mother called me one day when the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) was sitting in our house. She said: Come here and I shall give you something.

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) asked her: What did you intend to give him? She replied: I intended to give him some dates.

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: If you were not to give him anything, a lie would be recorded against you.

[Sunan Abi Dawud :: Book 42 :: Hadith 4973, 4991]

●══════════════════◄►═════════════════●

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Amir RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Jab main Chota sa tha to meri Waldah ne aik din mujhe bulaya aur kaha: Idhar aayen, Main tujhe kuch deti hun.

Us waqt Nabi Akram Sallallahu Aliahi Wasallam hamare ghar mein tashreef farma the, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne meri Waldah se pucha: "Tum ne use kya cheez dene ka iradah kiya hai?" Waldah ne arz kiya ke main ne use Khajoor dene ki Niyyat ki hai.

Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Khabardar! Agar tum us bacche ko kuch bhi na deti to tumhare uphar Aik Jhoot (ka Gunah) likh diya jata."

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 1553]

●◗► Koi aap se baat nahi kar raha to koi baat nahi aap karlen, koi Aap ko Phone nahi karta to koi baat nahi Aap karlen, koi Aap ko Aap ka haq nahi deta to koi baat nahi Aap us ka haq use ada karte rahen, Bus Mutmain (Sukoon) zindagi Guzarne ke yahi usool hain ► "Agar, Magar, Lekin" ye "Mushkilat paida karti hain."

Tuesday 4 August 2015

✦.....✿....♥ Mout ke Waqt Kalmah Tayyabah ki Talqeen ♥....✿.....✦

Hazrat Abu Sa'id al-Khudri RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: Apne Murdon (marne wale) ko "La ilaha illallah" ki talqeen kiya karo. [Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 2 :: Hadith 2123, 2162]

Hazrat Mu’adh bin Jabal RadiyAllahu Anhu se riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: Jis ka Aakhri kalaam "La ilaha illallah" ho wo Jannat mein dakhil hoga. [Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 2 :: Hadith 1339]

●◗► Mout ke Waqt mareez ke qareeb baith kar Qadre munasib Aawaz se Kalmah Tayyaba ka wird karte rehna chahiye, Mareez ko kalmah padhne ka hukum na diya jaye aur na hi Majboor kiya jaye, Agar mareez kalma tayyaba padhle to us se Mazeed baat cheet aur Ahwal wagerah daryaft na karen taa ke Kalma Tayyabah us ka Aakhiri kalaam rahe aur ye Apne Rab se jamile aur Kalma Tayyabah us ke liye Jannat mein dakhile ka sabab ban jaye.

●════════════════════◄►═══════════════════●

Abu Sa'id al-Khudri RadiyAllahu Anhu reported Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) as saying: Exhort to recite" There is no god but Allah" to those of you who are dying. [Sahih Muslim :: Book 4 :: Hadith 1996]

Narrated Mu’adh bin Jabal RadiyAllahu Anhu: The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) as saying: If anyone's last words are "There is no god but Allah" he will enter Paradise. [Sunan Abi Dawud :: Book 20 :: Hadith 3110, 3116]

✦...✿....♥ Rahmate Khudawandi ke Mustahiq Miya Biwi ♥....✿...✦

Narrated AbuHurayrah RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "May Allah have mercy on a man who gets up at night and prays, and awakens his wife; if she refuses, he should sprinkle water on her face.

May Allah have mercy on a woman who gets up at night and prays, and awakens her husband; if he refuses, she would sprinkle water on his face."

[Sunan Abi Dawud  :: Book 5 :: Hadith 1303, 1308]

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Allah Tala us Mard par Rahem farmaye Jis ne Raat ko uth kar Namaz padhi aur apni Biwi ko bhi (Namaz padhne ke liye) jagaya, Agar biwi na jagi to Khawind ne us ke muh par pani ke chinte mare (aur us ki neend ko bhagaya).

Isi Tarah Allah Tala us Aourat par bhi Rahem farmaye jis ne Raat ko uth kar Namaz padhi aur apne Khawind ko (Namaz padhne ke liye) jagaya, Agar khawind na jaga to Biwi ne us ke Muh par pani ke chinte mare (aur us ki Neend ko bhagaya)."

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 1 :: Hadith 1295]


✦....▶▶ Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Par Jhoot na Bandhe ◀◀....✦

The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) saying: "Whoever (intentionally) ascribes to me what I have not said then (surely) let him occupy his seat in Hell-fire." [Sahih Bukhari :: Vol. 1 :: Book 3 :: Hadith 109]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jo Shaksh mere Naam se wo baat bayan kare jo Main ne nahi kahi to wo apna thikana Jahannam mein banale." [Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 1 :: Hadith 109]

●◗► (Aap Sallallahu Aliahi Wasallam ne Farmaya: Agar jhuk jane Yani (Aajizi Ekthiyar karne se) Tumhari izzat ghat jaye to Qayamat ke din mujh se lelena (Astaghfirullah) "Muslim Shareef ka Hawala dekar ye Hadees bahot Jagah par Lagadi gayi, ye Hadeese Nabwi nahi hai, Muslim Shareef to kya Hadees ke Majmua mein is tarah ki baat nahi hai, Sirf wo hadees share kiya karen jis ke sath Mukammal hawala ho, Sirf Hadees Number koi Hawala (Refrence) nahi hota, Jis Hadees ki sanad par Shak ho to Ulama Ikram se puchlen." Dusro ke Faidah ke liye ise Share kare, JazakAllahu Khair.

✦.........▶▶▶ Jannati Charwaaha ◀◀◀.........✦

Narrated Uqbah ibn Amir RadiyAllahu Anhu: I heard the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) say: "Allah is pleased with a shepherd of goats who calls to prayer at the peak of a mountain, and offers prayer, Allah, the Exalted, says:

"Look at this servant of Mine; he calls to prayer and offers it and he fears Me. So I forgive him and admit him to paradise."

[Sunan Abi Dawud :: Book 4 :: Hadith 1199, 1203]

Urdu Translation: Hazrat Uqbah bin Amir RadiyAllahu Anhu farmate hain ke Main ne RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ko ye Irshad Farmate hue suna:

"Tumhara Rab Bakri ke us Charwaahe se khush hota hai jo kisi Pahaad ki choti mein reh kar Namaz ke liye Azan deta hai aur Namaz ada karta hai, Allah Tala farmate hain:

"Dekho mere is bande ko, ye Azan de raha hai aur Namaz qayem kar raha hai, Mujh se darta hai, Main ne apne bande ki bakhshish kardi aur use Jannat mein dakhil kardiya."

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 1 :: Hadith 1191]

✦....✿....♥ Taraqqi ki Manazil Tai karne ka Nuskha ♥....✿....✦

●◗► Kamyabi ka Nasha dimag pe chadhne na den Balke kamyabi ki Nemat par Allah ka Shukr ada karen isi Tarah ► Nakaami ka sadma kabhi Dil pe mat len Balke Sabr, Himmat aur Mehnat se kaam jari rakhen.

✦....✿.....♥ Fout Shudah Waldain ko Rahat Pohchayen ♥.....✿....✦

Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu: Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "A man will be raised in status in Paradise and will say: 'Where did this come from?' And it will be said: 'From your son's praying for forgiveness for you.'"

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 5 :: Book 33 :: Hadith 3660]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Yaqinan Aik shaks ke liye Jannat mein darja buland kiya jata hai to wo Arz karta hai: "Aye Mere Rab ye mera ye darja kaise buland hogaya? (kyun ke main ne to koi Aml kiya hi nahi) us shaks se kaha jata hai: "Tere Bete ke tere liye Astaghfar karne ki wajah se ye Darja buland hua hai."

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Hadith 541, 3660]

✦.....:o Tanhayi Mein Gunah Nekiyon ki Barbadi ka Sabab :o .....✦

It was narrated from Thawban RadiyAllahu Anhu that the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "I certainly know people of my nation who will come on the Day of Resurrection with good deeds like the mountains of Tihamah, but Allah will make them like scattered dust."

Thawban RadiyAllahu Anhu said: "O Messenger of Allah, describe them to us and tell us more, so that we will not become of them unknowingly."

He (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "They are your brothers and from your race, worshipping at night as you do, but they will be people who, when they are alone, transgress the sacred limits of Allah."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 5 :: Book 37 :: Hadith 4245]

●══════════════════◄►═════════════════●

Urdu Translation: Hazrat Thawban RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Main Apni Ummat ke kuch aise afrad ko janta hun jo Qayamat ke din Tihamah pahad Jaisi Nekiyan lekar hazir honge Magar Allah Tala un ki Tamam nekiyon ko (Haba’an Mansooro) bikhra hua Gird o gubar banadenge."

Hazart Thawban RadiyAllahu Anhu ne arz kiya: Ya RasoolAllah! Un logon ka haal ham se bayan farmayye aur khol kar bayan farmayye taa ke La’ilmi aur jihalat ki wajah se ham un mein se na hojayen.

Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Wo tumhare bhaiyyon mein se hi honge aur tumhari qoum mein se hi honge, wo bhi Raton ko isi tarah Ibadat karenge jaise tum Ibadat karte ho, lekin jab wo Tanhayyon mein jayenge to Allah ki Haram kardah chizon ka bebaki se irtekab karenge, (yani tanhayyon mein Gunahon se nahi bachenge)."

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Hadith 1126]

✦......♥ Qarz Ada karne Mein Jaisi Niyyat Waisi Barkat ♥......✦

Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Whoever takes the money of the people with the intention of repaying it, Allah will repay it on his behalf, and whoever takes it in order to spoil it, then Allah will spoil him."

[Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Book 41 :: Hadith 572, 2387]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jo koi logon ka Maal batore Qarz leta hai aur Niyyat ada karne ki hoti hai to Allah Subhanahu Wa Ta'ala bhi us ki taraf se Ada farma dete hain (yani ada karne ki surten paida farma dete hain), aur jo koi ada na karne ki Niyyat se logon ka Maal leta hai to Allah Subhanahu Wa Ta'ala bhi us Maal ko tabah o barbaad farma dete hain."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Hadith 2387]

✦....▶▶ Ulama, Talba aur Deendar logon ka Mazaq Udane Wale! ◀◀....✦

●◗► Roze Mehshar Allah Subhanahu Wa Ta'ala Ahle Dozakh ko khitab kar ke Farmayenge:

⇨ "Tum ne un logon (yani Ahle deen) ka Mazaq banaya tha yahan tak ke un hi (ke sath ched chad) ne tumhen meri yaad se Gafil kardiya, aur tum un ki Hansi udate rahe, Unhon ne jis tarah Sabr se kaam liya tha, Aaj main ne unhen us ka ye Badla diya hai ke unhon ne Apni Murad paali hai." (Qur’an 23:110,111)

⇨ "But you took them for a laughingstock, so much so that they made you forget My Remembrance while you used to laugh at them! Verily! I have rewarded them this Day for their patience, they are indeed the ones that are successful." (Qur’an 23:110,111)