Thursday 24 December 2015

✦......♥ Kainat Mein Nabi Akram ﷺ Jaisa koi Nahi! ♥......✦

Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Do you consider or see that my face is towards the Qibla? By Allah, neither your submissiveness nor your bowing is hidden from me, surely I see you from my back."

[Sahih Bukhari :: Vol. 1 :: Book 8 :: Hadith 410]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Kya tum samajhte ho ke Mera muh idhar (Qiblah ki taraf) hai, Khuda ki Qasam tumhara Ruku aur Tumhara Khushu mujh se kuch chupa hua nahi hai, Bila shubah main Tumhen apni Pusht ki janib se bhi dekhta hun."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 1 :: Hadith 418]

●◗► RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ko Khudawande Quddus ne ye Mujizah ata farmaya tha ke Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) apni Pusht ki janib se bhi waise hi dekh lete the jaise samne ki janib se, Baaz Shurahe Hadees is Mujize ko sirf Namaz ki halat ke sath Makhsoos mante hain.

✦.....✿....♥ Gunahgaron aur Siyahkaron ke liye ♥....✿.....✦
✦….......♥ Masjide Nabwi Mein Tasalli ka Saman ♥..........✦

●◗► Masjide Nabwi mein 'Riyadhul Jannah' ke samne Fane Khattati ke is Shah pare ko dekh kar ham Gunahgaron ki Dharas (tasalli) ban jati hai aur Ummid paida ho jati hai ke Roze Mehshar Aaqaye Madina Sallallahu Alaihi Wasallam ki Shifa’at se ham Gunahgaron ka kaam ban jayega. (InshaAllah)

Fane Khattati mein Likhe hue Darj bala Irshade Nabwi (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka Tarjuma ye hai: "Meri Shifa’at meri Ummat ke Kabirah Gunah karne walon ke liye hai." [Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 1313]

The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "My intercession will be for those of my people who have committed major sins." [Sunan Abi Dawud :: Book 41 :: Hadith 4721, 4739]

✦.....♥ RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ke Hukum Par ♥.....✦
✦.....✿.....♥ Khajoor ka Khosha Qadmon mein Aagira ♥.....✿.....✦

Narrated Ibn 'Abbas RadiyAllahu Anhu: "A Bedouin came to the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) and said: 'How shall I know that you are a Prophet?'

He (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: 'If I were to call this date cluster from this palm tree, would you bear witness that I am the Messenger of Allah?'

So the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) called it and they started to fall from the tree, until they fell towards the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam), then he (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: 'Go back,' and it went back. So the Bedouin accepted Islam."

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Book 46 :: Hadith 3628]

●═════════════════◄►════════════════●

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Abbas RadiyAllahu Anhuma se Riwayat hai ke: "Aik Dihati bargaahe Risalat mein Hazir hua aur Arz kiya mujhe ye kaise yaqeen ho ke Aap Allah ke Rasool hain?

Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya ke "Is khajoor ke darakht par jo khosha latak raha hai Agar main use apne paas bulaun (aur wo mere paas aajaye) to kya tum Gawahi doge ke main Allah ka Rasool hun?"

Chunanche Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Khajoor ke us Khosha ko bulaya to wo Foran hi darakht se utra aur Aap ke samne Aagira, phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Hukum diya ke “Wapas Ja”, to wo darakht mein apni jaga par dobarah pewast ho gaya, Ye Mujizah dekh kar wo Dihati shaks Musalman ho gaya."

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 1560]

✦...♥ Milad Un Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) Manane ka Tariqa ♥...✦

Narrated Abu Qatada Ansari (Allah be pleased with him) reported that Allah's Massenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) was asked about fasting on Monday, whereupon he (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "It was the day on which I was born. on which I was commissioned with prophethood or revelation was sent to me."

[Sahih Muslim :: Book 6 :: Hadith 2603, 2804]

Urdu Translation: Hazrat Abu Qatadah RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Aan Hazrat Sallallahu Alaihi Wasallam se peer ke din Pabandi se Rozah rakhne se Mutalliq daryaft kiya gaya (ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Peer ke din Ehtemam se Roze kyun rakhte hain?) to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Ye wo din hai Jis mein meri Wiladat hui aur is mein Meri Bei’sat hui (Nabi hua) aur Mujh par Wahi nazil ki gayi."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 3 :: Hadith 2747]

✿ RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Peer (Monday) ke din Ehtemam se Roze rakhne ki aik Ahem waja ye bayan farmayi ke us din Meri Wiladate Ba Sa’adat hui aur usi din mujhe Sharfe Nubuwwat se Mashraf kiya gaya is liye Batore Shukrana main is din ka Rozah rakhta hun, Neez dusri Riwayat mein Peer o Jumerat ke roze ki aik aur Ahem waja RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne ye bayan farmayi ke Peer o Jumerat ko bandon ke Naame Aa’mal Allah Tala ke huzoor pesh kiye jate hain aur main chahta hun ke Jab mera Name Aa’mal Baargahe Khudawandi mein pesh ho to main roze se hun.

✿ Lehaza Ta’assub se balatar ho kar Insaf ki nazar se Dekhen ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne apni Wiladate Ba’saadat par khushi manane aur shukr baja lane ke liye saal mein sirf aik din yani 12/Rabi-ul-Awwal ka intekhab nahi farmaya Balke saal mein 52 Martaba peer (Monday) ke dinon ka intekhab farmaya aur khushi manane aur Shukr baja lane ka tariqa bhi logon ko Sawabdeed par (Naik salah dekar) nahi choda balke Rozah rakh kar Wiladate Ba Sa’adat par Shukr bajalaye, Lehaza ◗► "Wiladate ba Sa’adat par khushi ka izhar aur shukr baja lane ka durust tariqa ye hai ke Pure Saal peer ke din roze rakhne ka Ehtemam kiya jaye."

✦.......♥ Khush o Khurram Izdwaji Zindagi ka Raaz ♥.......✦

●◗► Khush o Khurram zindagi guzarne wale Miya Biwi aik Jaise Mizaj, Tabi’at aur soch ke Hamil nahi hote Balke Aam insanon ki tarah un ki bhi soch, Mizaj aur Tabi’at mein bada farq hota hai, Albatta wo aik dusre ki Tabi’at aur Mizaj ke farq ko Acchi tarah samajh kar Baaham Mua’amla karte hain.

✦....♥ Tadfeen ke Baad Mayyat ke liye Dua o Astaghfar ♥....✦

Narrated Uthman ibn Affan RadiyAllahu Anhu: Whenever the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) became free from burying the dead, he used to stay at him (i.e. his grave) and say: "Seek forgiveness for your brother, and beg steadfastness for him, for he will be questioned now."

[Sunan Abi Dawud :: Book 20 :: Hadith 3215, 3221]

Urdu Translation: Hazrat Uthman bin Affan RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Jab Mayyat ki Tadfeen se farig ho jate to Qabr par khade ho kar Irshad farmate: "Apne Bhai ke liye Maghfirat aur Sabit Qadmi ki dua karo kyun ke ab is se Sawal kiya ja raha hai."

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 2 :: Hadith 1444]

✦.....► Zalimon ko Waqti Dheel aur phir Zabardast Pakad ◄.....✦

Narrated Abu Musa RadiyAllahu Anhu: Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "Allah gives respite to the oppressor, but when He takes him over, He never releases him." Then he (Sallallahu Alaihi Wasallam) recited:-- "Such is the seizure of your Lord when He seizes (population of) towns in the midst of their wrong: Painful indeed, and severe is His seizure.' (11.102)

[Sahih Bukhari :: Vol. 6 :: Book 60 :: Hadith 208]

Urdu Translation: Hazrat Abu Musa RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Allah Ta’ala Zalim ko kuch waqt ke liye Muhlat dete hain, Magar jab zalim ko pakad lete hain to Phir nahi chhorte."

Phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne ye Aayat Tilawat farmayi: (Tarjuma): "Aur jo bastiyan zalim hoti hain, Tumhara Rab jab un ko girift mein leta hai to us ki pakad Aisi hi hoti hai, Waqeyi us ki pakad badi Dardnaak, badi sakht hai."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 6 :: Hadith 4686]

✦.......✔ Gharon Mein Dakhil Hone ke Aadab ✔.......✦

⇨ "O you who believe! Enter not houses other than your own, until you have asked permission and greeted those in them, that is better for you, in order that you may remember." (Qur’an 24:27)

⇨ "Aye Iman Walo! Apne Gharon ke siwa dusron ke gharon mein us waqt tak dakhil na ho Jab tak ijazat na le lo aur un mein Basne walon ko Salam na karlo, Yahi tariqah tumhare liye behtar hai, Ummid hai ke tum khayal rakhoge." (Qur’an 24:27)

●◗► Kal main ne us ki Tasweer lene ke baad kaha koi Acchi baat batao us ne kaha, Bhai zindagi mein agar Kamyab hona hai to Halal rizq kamana, Main kamyab hun aur ye mat sochna ke Ameer hona kamyabi hai ♥ Kamyab wo Aadmi hota hai jis ko Dil ka sukoon hasil ho ♥

Thursday 10 December 2015

✦.......X Raston Mein Qazaye Hajat Ki Mumani’at X.......✦

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: Be on your guard against two things which provoke cursing. They (the companions present there) said: Messenger of Allah, what are those things which provoke cursing? He (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: Easing on the thoroughfares or under the shades (where they take shelter and rest).

[Sahih Muslim :: Book 2 :: Hadith 516, 641]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "La’nat (ka sabab banne) wale 2 Kamon se bacho." Sahaba RadiyAllahu Anhum ne pucha: Ya RasoolAllah! Wo 2 kaam konse hain? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya:

❶ "Raaste o Guzar gaah mein Paishab Pakhana karna.
❷ (isi tarah) Saya daar Jagah mein Paishab Pakhana karna."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 1 :: Hadith 618]

●◗► Jidhar se log aate jate hon aur jahan log Baith kar Aaram kar lete ho Aise jagaho par Paishab Pakhana karne se mumani’at farmayi, in dono kamon se logon ko takleef hogi aur wo bura kahenge la’nat karenge.

 ✦.......♥ Mazirat aur Muaaf Karne ki Aadat Daliye ♥.......✦

●◈ Aye Allah! Agar main ne kisi ka dil dukhaya ho ya kisi ko takleef pohchayi ho to Mujhe Akhlaqi Jur’at aur Hosla deke main us se Ma’zirat kar sakun, aur Agar kisi ne Mujhe takleef ya dukh pohchaya ho to Mujhe Toufeeq de ke main use Muaaf kar sakun.

✦.....✿.......♥ Meizbaan aur Mahman ♥.......✿.....✦

Narrated Abu Shuraih Al-Ka`bi RadiyAllahu Anhu: Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, Whoever believes in Allah and the Last Day, should serve his guest generously. The guest's reward is: To provide him with a superior type of food for a night and a day and a guest is to be entertained with food for three days, and whatever is offered beyond that, is regarded as something given in charity. And it is not lawful for a guest to stay with his host for such a long period so as to put him in a critical position."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 8 :: Book 73 :: Hadith 156, 6135]

Urdu Translation: Hazrat Abu Shuraih Al-Ka`bi RadiyAllahu Anhu se riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad farmaya: "Jo shaks Allah aur Aakhirat ke din par Iman rakhta ho use chahiye ke wo apne Mahman ka Ikram kare, Mahman ki khususi ziyafat (khatir dari) Aik din aur aik raat tak hai, aur umumi Ziyafat teen din aur teen raaton tak, teen Din baad bhi (agar meizban bojh na samjhe aur) Mahman ki ziyafat kare to ye Sadaqah shumar hoga, Mahman ko chahiye ke wo apne Meizban ke paas itne din na tahre ke Meizban harj aur Tangi mein pad jaye."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Hadith 6135]

●════════════◄ SOCIAL MEDIA ►═══════════●
✦....▶ Khushgawar Izdwaji Zindagi ke liye Zahre Qatil ◀....✦

Serve ke mutabiq Social Media, Miya Biwi ke khushgawar Talluqat ko tezi se barbad kar raha hai, bilkhusus Nojawan jode is se shadeed Mutassir ho rahe hain, ghar baar, izdwaji zindagi aur bacchon ke liye Mukhtas waqt social media ki nazar ho raha hai jis se Nachaqiya duriyan janam le rahi hain, sab se khatarnak surate haal ye hai ke Aourton ke bhole pan, sadgi aur dusron par Etemad ki fitri kamzoriyon se faidah uthate hue bad'khaslat mard ▶ Social Media par shadi shudah Khawateen se dostiyan badha rahe hain ◀ in dostiyon ki ittela jab khawind ko milti hai to izdwaji talluqat mein daraden pad jati hain, Neiz social Media par khawateen ki bahot si sargarmiyan Shoharon ke liye aur Shoharon ki bahot si sargarmiyan Biwiyon ke liye Napasandeedgi, Shak o Shubah aur badgumani paida karne ka zariya ban rahi hai.

●◗► Miya Biwi apne Shareek hayat ko Social Media istemal karne se isqadar tang aachuke hain ke Arab Roznama "Alwatan" ke mutabiq Arab ke ilaqe "Dammam" mein aik shadi ki taqreeb mun’aqid hui jis mein Dulhe ne Dulhan se shadi ke liye ye shart Aaid ki ke Dulhan shadi ke baad apni Niji zindagi aur Youmiya Mamulat se mutalliq chizen Social Media par share nahi karegi, ye badi Achanak, Gair Mutawaqe aur Ajeeb o Gareeb shart thi, taham Dulhan ne bhi fori tor par is pabandi ko tasleem karliya, Dulhe ne Nikah khua “Shaik Abdul Azeez Alqarni” se darkhuast ki ke is shart ko Nikah naame mein tahreer kiya jaye, Chunke dulhan ye shart qubool kar chuki thi lehaza Fariqeen ki razamandi se is shart ko Nikah Naame ka hissa banadiya gaya.

✦.....✿.....♥ Islahi Mua’ashrah ke Rahnuma Usool ♥.....✿.....✦

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshad farmaya:

❶ "Aik dusre se hasad na karo.
❷ Bila wajah chizon ki qimten na badhao.
❸ Aik dusre se bogz na rakho.
❹ Aik dusre se Narazgi na rakho.
❺ Kisi ki khareed o Farokht aur saode par apna saoda na karo.
❻ Allah Tala ke bande aur bhai bhai ban jao.
❼ Musalman Musalman ka bhai hai.
❽ Lehaza koi bhi apne bhai par zulm na kare.
❾ Apne bhai ko ruswa na kare.
➓ Aur apne bhai ko Haqeer na samjhe.

Rasool Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne apne Sine ki taraf isharah kar ke 3 baar Irshad farmaya: "Taqwah yahan hai." (yani zaahir mein Umdah Aamal karne se aadmi Muttaqi nahi hota jab tak Sina us ka saaf na ho).

(Phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshad farmaya:) "Kisi shaks ke bura hone ke liye yahi kafi hai ke wo apne Musalman bhai ko Haqeer jane, Aik Musalman ka dusre Musalman par us ka khoon bahana, us ki izzat pamaal karna aur us ka Maal lootna Haram hai."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 6 :: Hadith 6541, 6706]

●════════════════════◄►═══════════════════●
Abu Huraira RadiyAllahu Anhu reported Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) as saying: "Don't nurse grudge and don't bid him out for raising the price and don't nurse aversion or enmity and don't enter into a transaction when the others have entered into that transaction and be as fellow-brothers and servants of Allah. A Muslim is the brother of a Muslim. He neither oppresses him nor humiliates him nor looks down upon him. The piety is here, (and while saying so) he pointed towards his chest thrice. It is a serious evil for a Muslim that he should look down upon his brother Muslim. All things of a Muslim are inviolable for his brother in faith: his blood, his wealth and his honour."

[Sahih Muslim :: Book 32 :: Hadith 6219]

✦ Amr bil Maroof o Nahi 'Anil Munkar ka ▶Farizah Sir Anjam Dene Wale◀ ✦

⇨ "And let there be [arising] from you a nation inviting to [all that is] good, enjoining what is right and forbidding what is wrong, and those will be the successful." (Qur’an 3:104)

⇨ "Aur tum mein aik Jama’at aisi honi chahiye jo logon ko Neki ki taraf bulaye aur Acche kaam karne ka Hukum de aur Bure kamon se mana kare yahi log hain jo Najat pane wale hain." (Qur’an 3:104)

✦....♥....✔ Aa’male Salehah ki Toufeeq ✔....♥....✦

'Anas RadiyAllahu Anhu narrated that the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "When Allah wants good for a slave, He puts him in action."

It was said: "How does he put him in action O Messenger Of Allah?" He (Sallallahu Alaihi Wasallam)said: "By making him meet up with the righteous deeds before death."

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 6 :: Hadith 2142]

Urdu Translation: Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Allah Subhanahu Wa Ta'ala Jab kisi bande ke bare mein khair ka iradah farmate hain to use (apne) kaam par laga dete hain."

Logon ne sawal kiya: Ya RasoolAllah! Kaise use kaam pe laga dete hain? RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshad farmaya: "Allah Subhanahu Wa Ta'ala Marne se qabl use Amle Saleh (Naik Aa’mal) ki Toufeeq ata farmadete hain."

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 13, 2142]

●◗► Ya Allah! Hamen Aa’mal Salehah ki Toufeeq Marhamat farma aur Hamara Khatima Iman par Farmade. (Aameen)

●◗► Betiyon ko Bojh Samajhne Walon: ♥ Tumhare Ghar ki Ronaq bhi kisi ki Beti ke Dum se hai ♥ Kal tum apne Bete ke liye bhi kisi ki Beti lekar Aaoge.

✦...✿....♥ Zoq o Shoq se Quran Kareem ki Tilawat ♥...✿....✦

The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "Recite (and study) the Qur'an as long as you agree about its interpretation, but if you have any difference of opinion (as regards to its interpretation and meaning) then you should stop reciting it (for the time being)."

[Sahih Bukhari :: Vol. 6 :: Book 61 :: Hadith 580, 5060]

Urdu Translation: Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Quran Majeed ki tilawat us waqt tak karo Jab tak (tilawat mein) Dil lage, Jab jee uchat hone lage to Tilawat karna band kardo."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 6 :: Hadith 5060]

●◗► Quran kareem ki Tilawat pure Aadab, Itminan, Saliqe, Dhiyan aur Zoq Shoq se karni chahiye, Aaj kal Murawwajah Quran khuani o Digar mawaqe mein log bus Jaldi Jaldi Quran khatam karna chahte hain, zoq shoq, Dhiyan aur Itminan ki taraf koi tawajjh hi nahi.


✦.....✿.....♥ Ahliya ki Izzate Nafs ♥.....✿.....✦

●◗► Biwi apne Khawind ki Gurbat, Bad’surti aur Masrufiyaat par to Sabr kar sakti hai Magar wo apne Khawind ki Bad’Akhlaqi bardasht nahi kar sakti.