Friday 22 January 2016

✦.......♥ Din Mein 100 Martaba Tobah ♥.......✦

Narrated Abdullaah ibn Umar RadiyAllahu Anhu: The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "O people, seek repentance from Allah. Verily, I seek repentance from Him a hundred times a day."

[Sahih Muslim ::  Book 35 :: Hadith 6523, 7034]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Umar RadiyAllahu Anhuma Farmate hain ke Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshad Farmaya: "Aye Logon! Allah se Toba kiya karo, kyun ke Main khud din mein 100 Martaba Allah se toba karta hun."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 6 :: Hadith 6859]

►✿ RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Allah ke Mahboob Nabi, Masoom aur bakshe bakhshaye hone ke Bawajood bhi ummat ko Toba o Astaghfar ki taleem o targeeb dene aur Allah ki Ubudiyat o Bandagi ke izhar ke liye din mein 100 Martaba aur baaz riwayaat mein aik hi Majlis mein 100 Martaba toba o Astaghfar ka Ehtemam farmate, ham log to sarapa Gunahon mein dube hue hain hamen to har Moqe par tToba o Astaghfar karne ki zarurat hai.

✦.........► Rishte Ke liye Ladki Dekhne Jana Aur ? ◄.........✦

●◗► Hamare Mua’ashre mein bete ya bhai ke liye Ladki dekhne ki khatir ghar ghar ja kar Protocol lena, Dawaten udana aur phir Aakhir mein dusron ki Betiyon mein koi na koi Nuqs nikal kar ya Ladki walon ko km haisiyat samajh kar Manzare Aam se Gayab ho jana aik umumi Mijaaz aur Riwaaj banta ja raha hai, Aisa Maloom hota hai ke Zamana Jahiliyat ki tarah ladki ko bhed bakri samajh liya gaya hai aur us ke Ehsasaat, Nafsiyaat, Zahni sadma aur Izzate Nafs ki koi parwah hi nahi.

Mushkil ye hai ke 95% se zayed log apne Dimag mein Unche se Uncha me’yaar qayem kar ke ladki dekhne jate hain, chahe apne Bete ya Bhai ki shakal o surat aur Rangat kaisi bhi ho!!! Us mein dunya Jahan ke Uyoob hi kyun na hon!!! Phir bhi log Mamuli Mamuli baton par dusron ki Betiyon ko Mustarad kar ke Jhuti shaan qayem karne ki hawas ko taskeen dene ki koshish karte hain.

●◗► Jab Baccha bada ho jata hai to us ko Suke (bina siyahi) wali Pencil ke bajaye Siyahi (ink) wala Pen istemal karne ke liye diya jata hai.

Is liye ke us ko pata chal sake ke ab us ki, "Ki hui Galatiyon ko mitana itna Aasan nahi raha."

✦.....✿.......♥ ILME NAFE ♥.......✿.....✦

"One of the supplications that the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) used to say was: 'Allahumma, inni a'udhu bika min 'ilmin la yanfa'u, wa mindu'a'in la yusma'u, wa min qalbin la yakhsha'u, wa min nafsin la tashba'u, O Allah, I seek refuge with You:

✔ From knowledge that is of no benefit,
✔ From a supplication that is not heard,
✔ From a heart that does not fear (You) and
✔ From a soul that is not satisfied.'"

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 1 :: Hadith 250]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ki Duaon mein ye Dua bhi Shamil thi: "Aye Allah! Main aap ki panah talab karta hun:

✔ Aise Ilm se jo faidah mand na ho,
✔ Aur aisi Dua se jo qubool na ho,
✔ Aur Aise Dil se jis mein (Allah ka) khof na ho,
✔ Aur Aise Nafs se jo kabhi sairab na ho."

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Hadith 250]

" اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ عِلْمٍ لاَ يَنْفَعُ وَمِنْ دُعَاءٍ لاَ يُسْمَعُ وَمَنْ قَلْبٍ لاَ يَخْشَعُ وَمِنْ نَفْسٍ لاَ تَشْبَعُ "


✦....► Gunahon Ki Kasrat Dunya Mein Zillat o Ruswayi ka Sabab ◄....✦

●◗► Gunah aur bilkhusus Aa’laniya (sab ke samne) Gunah karne se Insan Allah ki Nigah mein Zaleel aur Be’qadr ho jata hai, aur Jab koi Khaliqe Kainat ke han zaleel ho gaya to ab Makhlooq mein bhi us ki koi Izzat nahi rahti.

⇨ Allah Subhanahu Wa Ta'ala irshad Farmate hain: "Aur jise Allah Zaleel karde, koi Nahi hai jo use Izzat de sake." (Qur’an 22:18)

⇨ "And whomsoever Allah disgraces, none can honour him." (Qur’an 22:18)

✦...........► Khawateen Mutawajje Hon ◄...........✦

●◗► Jab ham Toilet, Bathrooms, Hotel ke Cameras, Kapde tabdeel (change) karne ki jaga jate hain to hame kis tarah pata chale ke Diwar par latka bazahir Aam shisha (mirror) hai ya Aisa shisha hai ke aap ki taraf aap ko apna Aks nazar Aaraha hai aur dusri taraf aap ko koi dekh raha hai jis mein se wo Aap ki tasweer ya Video bana sakte hai, Yani Double side wala shisha.

Is baat ka yaqeen aap mahez dekh kar nahi kar sakte Aise bahot se Mua’mlat manzar par Aachuke hain, Apne aap ko Mahfooz is sadah Test se kare.

◗► Shishe par apne Nakhun ki nok rakh kar dekhiye Agar Nakhun ki Nok aur Aks ke darmiyan faasla hai to ye aik Haqiqi Aam shisha hai Agar Aap ke Nakhun ki nok aur Aks mein fasla nahi to is se bachiye ye aik Do rasta (double side) shisha hai aur Aap ko dusri taraf se dekha ja raha hai, Faasla nahi to jage chhor di jiye.

Aap ko jab bhi is ke bare mein Yaqeen na ho Nakhun wala Test kijiye, Baraye Maherbani dusron ki Hifazat ke liye Share kijiye. JazakAllahu Khair :)

✦.......♥ Adayegi Farz ke Baad Agle Farz ka Intezar ♥.......✦

It was narrated that 'Abdullah bin 'Amr RadiyAllahu Anhu said: "We performed the Maghrib (prayer) with the Messenger of Allah, then those who went back went back, and those who stayed, stayed. Then the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) came back in a hurry, out of breath, with his garment pulled up to his knees, and said:

'Be of good cheer, for your Lord has opened one of the gates of heaven and is boasting of you before the angels, saying: "Look at My slaves; they have fulfilled one obligatory duty and are awaiting another."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 4 :: Hadith 801]

Urdu Translation: Hazrat 'Abdullah bin 'Amr RadiyAllahu Anhu farmate hain ke ham ne RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ki Iqteda mein Namaz Magrib ada ki, kuch log Namaz padh kar lot gaye aur kuch log wahin rah gaye, Itne mein RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Tezi se chalte hue Tashreef laye (tezi se aane ki wajah se) Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki sans phool gayi aur Ghutnon se kapda hat gaya, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya:

"Khush ho jao ke Tumhare Rab ne Aasman ke darwazon mein se Aik darwazah khola hai aur wo Farishton ke samne tum par Fakhr kar rahe hain aur Farma rahe hain: "Mere bandon ko dekho! Wo Farz Namaz ada kar chuke hain aur Dusri Namaz ke intezar mein hain."

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Hadith 801]

✦......► Astaghfar Azab se Hifazat ki Dhaal ◄......✦

Hazrat Ali (Karam Allah Wajh) Irshad Farmate hain: "Ta’ajjub hai un logon par jo Najat ka sabab apne paas rakhne ke Bawajood bhi halak ho jayen." Pucha gaya: Wo sabab kya hai? Hazrat Ali (RadiyAllahu Anhu) ne jawab diya: "Toba o Astaghfar karna."

[Ihya ul Uloom ud Deen Al-Imam Al-Ghazali]

✦.........♥ Dunya ki Sab se Badi Doulat ♥.........✦

'Abdullah bin `Amr (RadiyAllahu Anhu) said that the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "There are four things, if you attain them, then whatever you miss in this world will not matter:

❶ Preserving trust,
❷ Speaking the truth,
❸ Being of good character and
❹ Moderation in eating."

[Musnad Ahmad (2/177) 6652 :: Mustadrak al-Haakim (4/349) No. 7876]

Urdu Translation: Abdullah bin Amr RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "4 Chizen jab tumhen mil jayen to dunya ki kisi cheez ke na Milne par Afsos na karna:

❶ Amanat ki paasdari karna,
❷ Guftagu mein sach bolna,
❸ Husn Akhlaq,
❹ Halal o Pakizah Rozi."

[Al-Mustadrak alaa al-Sahihain Al-Hakim :: Hadith 7876]

Saturday 9 January 2016

✦.......♥ Ahliya ke Sath Rawayya aur Bartao ♥.......✦

Jab Aap Nikah kar ke kisi Ladki ko apne Ghar laate hain to wo Aap ki khatir apne Maa, Baap aur Bhai ko chhor Aati hai.

Ab aap ka Farz banta hai ke aap apni Ahliya ko Maa, Baap, aur Bhaiyyon ki kami kabhi Mahsoos na hone den.

Aap ka hamesha Apni Ahliya ke sath bartao aur Mua’mla:

✔ Baap ki tarah Shafqat o Maherbani wala
✔ Maa ki tarah Hamdardi, Ghamgusari aur Afu darguzar wala
✔ Aur Bhai ki tarah narm khuyi, karam Nawazi aur Narm dili o bardasht wala Hona Chahiye.

✦.........► Aap ne Kabhi Socha!! ◄.........✦

● Facebook par Aap ke 5000 dost.....
● Twitter par 1000 Dost.....
● Whatsapp par 500 dost.....
● Daftar o Karobar mein hath batane wale 50dost.....
● Mushkil mein kaam aane wale 5 dost.....

"Lekin kabhi socha ke Qabr mein kaam Aane wala "Dost" kon sa hai?"

●◗► Qabr ke wahshat naak gadhe mein kaam aane wala dost sirf aik hai jis ka naam "Naik Aa’mal" hai, lehaza jitna ho sake Naik Aa’mal kar ke apni Qabr ki wahshat aur Tanhayi door karne ki koshish karen.

✦.....✿....♥ 10 Paron ki Tilawat Kar ke Soyyen! ♥....✿.....✦

The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said to his companions, "Is it difficult for any of you to recite one third of the Qur'an in one night?" This suggestion was difficult for them so they said, "Who among us has the power to do so, O Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam)?" Allah Apostle replied: " Allah (the) One, the Self-Sufficient Master Whom all creatures need.' (Surat Al-Ikhlas 112.1--to the End) is equal to one third of the Qur'an."

[Sahih Bukhari :: Vol. 6 :: Book 61 :: Hadith 534]

Urdu Translation: Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Apne Sahaba (RadiyAllahu Anhum) se Farmaya: "Kya tum se ye nahi ho sakta ke Tihayi Quran (yani 10 pare) har Raat padha karo." Sahaba ne Arz kiya: Ya RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Tihayi Quran har Raat padhna to bahot mushkil hai, ye kis se ho sakta hai, RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Qul huwallahu Ahad.  Allahus Samad (Surah Al-Ikhlas) (ka padhna Ajr o Sawab mein) Aik Tihayi Quran (padhne ke barabar) hai."

[Urdu Ref :: Sahih al-Bukhari :: Vol. 6 :: Hadith 5015]

✦.....► Rishton Naton Mein Judayi ki Ahem Wajah ◄.....✦

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Two people do not love each other in Allah Almighty or in Islam if the first wrong action that one of them does creates a split between them."

[Al-Adab Al-Mufrad :: Book 22 :: Hadith 401]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jin 2 logon mein Baham Allah ke liye Mohabbat ho to un mein Judayi aur Tafreeq sirf us Gunah ki wajah se hoti hai jo Un mein se kisi aik se Sarzad ho gaya ho."

[Al-Adab Al-Mufrad :: Hadith 401]

●◗► Kisi Buzurg se kisi ne pucha Ibadat ke liye Behtareen din konsa hai, Buzurg ne Farmaya: "Mout se aik din pehle." ► Us ne Hairat se kaha Mout ka din to kisi ko Maloom nahi, Farmaya: "To phir zindagi ke har din ko Aakhri samjho."

✦.........♥ Anmol Nematon Par Shukr Karen! ♥.........✦

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Whoever among you wakes up in the morning secured in his dwelling, healthy in his body, having his food for the day, then it is as if the world has been gathered for him."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 10 :: Hadith 2346, 2346]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jo Shaks is halat mein Subah kare ke
✔ Apne aur Ahl Ayal ke hawale se pur Aman ho,
✔ Jismani Etebar se tandurust ho
✔ Aur us ke paas Aik din ki giza maojood ho
to goya us ke liye Dunya ki Tamam Nematen jama kardi gayin."

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 227]