Monday 14 May 2018

✦..........♥ Kasrat Nahin, Barkat Mangiye! ♥..........✦

Kyun Ke: 

● “Kasrat” Aazmayesh hai Jab ke “Barkat” Nemat.
● “Kasrat” bhi Naseeb hai Lekin “Barkat” Khush Naseebi.
● “Kasrat” Zaruriyat Puri hone ka Insani Andazah hai Jab ke “Barkat” Allah Ki Taraf se Guarantee hai ke is ke Hote hue Zaruriyat Yaqinan Puri hongi.
● “Kasrat” ki Khuahesh Be Chaini aur Be Sukuni Lati hai Jab ke “Barkat” Ki Khuahesh Sabr o Qina’at.
● “Kasrat”  Ka Talabgaar Na Shukra Banta hai Jab ke “Barkat” ka Talabgaar Shukr Guzaar.
● “Kasrat” Wale Roze Mehshar Hisab Kitab Mein Phansen ge Jab ke “Barkat” Wale Hisab Kitab ki Sakhti se Mahfooz Rahenge.

🍁 Zaroori Nahin Ke Har Hansi Mein Khushi Poshidah Ho Kuch Qahqahe Is liye Bhi Unche Lagane Padte Hain Ke Gham Ka Shor Kisi Aur Ko Sunayi Na De 🍁


✦.......♥ Bahadur, Taqatwar Aur Sa’adat Mand! ♥......✦

● Muafi Mangne mein Pahel karne Wala Asal Bahadur Hai
● Muafi Mangne Par Darguzar Kar Dene Wala Haqiqi Taqatwar hai.
● Aur Dusron ki Ghalti ko Bhula Dene Wala Waqeyi Sa’adat mand hai.

❤️ Beti Ke Liye Surprise To Wo Hota Hai Jab Wo Sasural Mein Masroof Ho Aur Achanak Maike Se Koi Milne Aajaye Sari Bezari Khatam Ho Jati Hai! ❤️

🔍 Dusron Ki Kahaniyan Chhodo Apne Aage Bhi Aaina Rakho 🔎

✦.........♥ Ba Barkat Aurat Ki Nishaniyan! ♥.........✦

A’ishah RadiyAllahu Anhu Narrated that the Messenger of Allah (ﷺ) said: “One of the signs of a woman being blessed is that the process of proposing to her is made easy and the dowry is made affordable and she bears children easily.”

Urdu Translation: Hazrat Aishah RadiyAllahu Anha Farmati Hain Ke Nabi Akram ﷺ ne Irshad Farmaya: “Aurat ke Ba Barkat Hone ki Alamat Mein Se Hai ke:

❶ Us ki Taraf Rishta Bhejne aur Rishta Manzoor Hone Mein Aasani ho.
❷ Us ka Maher Aasan ho (Yani Bahot Zyadah Ya Pechidah Na ho).
❸ Aur Us Ke Han Bacchon ki Paidayesh  Aasani se ho.”

[Musnad Ahmad (6/77) No. 24522, Sahih Ibn Hibban (9/405) No. 4095, Mustadrak al-Haakim (2/197) No. 2739, al-Sunan al-Kubra al-Bayhaqi (7/385) No. 14357]

✦.....► Qabr: Aakhirat Ki Sab Se Pehli Manzil! ◄.....✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: "Indeed the grave is the first stage among the stages of the Hereafter. So if one is saved from it, then what comes after it is easier than it. And if one is not saved from it, then what comes after it is worse than it."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 10 :: Hadith 2308, 2308]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Beshak Qabr Aakhirat ki Manzilon Mein Sab se Pehli Manzil hai, Agar Koi Shaks is Manzil ko Kamyabi se Uboor kar Gaya to is ke Baad ki Manzilen Aasan tar Hongi Lekin Agar koi isi Manzil mein Kamyab na ho Saka to Baad Wali Manzilen aur Zyadah Sakht Hongi.”

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 189, 2308]

✦.........► Zakat Ke 8 Mustahqeen! ◄.........✦

Quran Kareem ki Surah At-Tawbah Aayat Number 60 mein Darje Zail 8 Masarife Zakat ka Zikr Maujood Hai:

❶ Fuqra
❷ Masakeen
❸ Aamileene Zakaat (Zakat ikhatti karne Par Ma’moor Amle ke Wazayef aur Tankhuahon ki Mad mein)
❹ Muallafatil Quloob (Wo Nao Muslim Jo Zarurat Mand ho aur Islam Par Unhen Sabit Qadam Rakhne ke liye un ki Dildari Maqsood ho)
❺ Ghulam ki Aazadi
❻ Maqrooz
❼ Fee Sabilillah (Allah ke Raste ka Mujahid)
❽ Musafir

Note: Zakat dete Waqt Dene Wale ke Dil mein Zakat ki Niyyat hona Kafi Hai, Zakat Wusool Karne wale Ko ye Batana Zaroori Nahin ke ye Zakat hai, Balke Hadya, Eidi ya kisi Aur Naam se bhi Zakat di ja Sakti hai.

 إِنَّمَا الصَّدَقَاتُ لِلْفُقَرَاءِ وَالْمَسَاكِينِ وَالْعَامِلِينَ عَلَيْهَا وَالْمُؤَلَّفَةِ قُلُوبُهُمْ وَفِي الرِّقَابِ وَالْغَارِمِينَ وَفِي سَبِيلِ اللّهِ وَابْنِ السَّبِيلِ فَرِيضَةً مِّنَ اللّهِ وَاللّهُ عَلِيمٌ حَكِيمٌ (التوبہ : 60)

✦.....► Ramadan Al-Mubarak Se Mutaliq Man Ghadat Hadees ◄....✦

●◗► Ramadan Al-Mubarak ke Qareeb Aate hi Social Media aur Digar Zariye Ablagh ke Zariye RasoolAllah ﷺ ki Taraf Mansoob ye Man Ghadat Hadees Gardish karne Lagti hai ke “Jis ne Sab se Pehle kisi ko Ramadan ki Khabar di To us Par Jahannam ki Aag Haram ho Jati Hai.”

Yaad Rahe ke Kutub Ahadees mein Aisi koi Hadees Mazkoor Nahin, Ye logon ki Banayi hui Man Ghadat baat hai, RasoolAllah ﷺ ki Taraf Aisi baat Mansoob karna Jo Aap ﷺ ne Irshad na Farmayi ho na Sirf Gunah balke Bade Wabaal o Azab ka sabab hai, Chunanche Aap ﷺ ka Irshade Girami hai: 

► “Mujh Par Jhoot Mat Bolo, Kyun ke jo Mujh Par Jhoot Bandhe Wo Dozakh mein Dakhil hoga.” (Sahih Bukhari: 106)

The Prophet (ﷺ) said, "Do not tell a lie against me for whoever tells a lie against me (intentionally) then he will surely enter the Hell-fire."  [Sahih al-Bukhari :: Vol. 1 :: Book 3 :: Hadith 106]

► Muashrat Bhaiyyon Ki Tarah Muamlat Ajnabiyon Ki Tarah ◄.

تعاشروا كالإخوان وتعاملوا كالأجانب

Mashhoor Arbi Maqola Hai: "Muashrat aur Husn Sulook Bhaiyyon ki Tarah Karo! Lekin Muamlat aur Lain Dain Ajnabiyon ki Tarah karo! (Yani Maali Muamlaat Wazeh, Saaf Suthre Aur Tahreeri Shakal Mein Hon).”

🌸 Ya Allah! Jab Main Mayoos Ho Jaun To Meri Madad Farma Kyun Ke Meri Zindagi Ke Bare Mein Tere Faisle Meri Khuaheshon Se Behtar Hain. Aameen 🌸

“Ramadan Al-Mubarak” Ki Aamad Mein 14 Din Reh Gaye Hain! Ya Allah! Hamen Sahet o Salamati Ke Sath Mahe Ramadan Naseeb Farma (Aameen)

💖 Kitna Khoobsurat Ehsas Hai Ke Ham Allah Ta’ala Se Apne Dil Ki Baat Karte Hain Aur Wo Sab Kuch Pehle Se Janta Hai Lekin Phir Bhi Hamen Sunna Chahta Hai 💖

✦.........► Shabe Bara’at Aur Rahe Aitedal! ◄.........✦

Shaban ki Pandhrawin Shab ke Hawale se Afrat o Tafreet ki Fiza Payi jati hai, Baaz Hazraat is Raat ki Fazilat ka Sire se inkar karte hain aur Beesiyon Ahadees o Aasar ko Rad farma dete hain, Jab ke Baaz Dusre Hazraat is Mubarak raat ko manane ke liye Israf, Khurafat, Ibadat ki Nat naye Tariqe aur Bid’aat shuru kar dete hain, Yaqinan Aitidal in do Intehaun ke darmiyan hai. Shabe Bara’at ke Hawale se Rahe Aitidal Pe Aane ke liye Darj Zail Baten Pesh Nazar Rakhni Zaroori hain:

❶ 10 Sahaba Karam se Shabe Bara’at ki Ahadees Marwi hain, in mein se Baaz Ahadees Agarche Sanad ke Aitebar se kamzor hain, Lekin Hazrate Muhaddiseen ka Faisla hai ke Agar aik Riwayat Sanad ke Aitebar se kamzor ho, Lekin us ki Tayid bahot si Ahadees se ho Rahi ho to is ki Kamzori door ho Jati hai.

❷ Hazraat Muhaddiseen o Fuqaha ka ye bhi Faisla hai ke Fazayel ke Bayan mein Zayeef Ahadees Qabil Aitebar samjhi jati hain lehaza Shabe Bara’at ki Fazilat mein in Ahadees ko Motabar Samjha Jaye ga.

❸ Fane Rijal ke Qadeem o Jadeed Muhaqqiqeen ne Shabe Bara’at se Mutaliq bahot si Riwayat ko sahih Qarar diya hai, in mein Aala Paye ke Muhaqqiq Allama Noor uddin Alheshmi Rahimahullah aur Digar Namoor Muhaqqiqeen ke ismaye Girami hai, isi tarah Daur hazir ke Bade bade Muhaqqiqeen aur Akabir Ulama bhi in Riwayaat mein se bahot si Riwayaat ko Sahih ya Hasan darje ki Qarar dete hain, lehaza Shabe Bara’at se mutaliq Riwayat ke Majmuye ko Bek Junbish Qalam be Bunyad keh dena kisi bhi Tor Par Durust nahin. 

❹ Nafli ibadaat Tanhayi mein aur Apne Ghar mein Ada karna Afzal hai, lehaza Shabe Bara’at ki ibadaat bhi Ghar mein khamoshi se Ada ki jayen, Neez is raat mein Ibadat ka koi khaas aur Naya tariqa Muqarrar karna durust Nahin, har Shaks ko Apne tor Par zikr o Tilawat, Darood Shareef, Nafl Namazen, Salat At-Tasbeeh wagherah mein Mashghool hona Chahiye.

❺ Chunke ye Nafli ibadaat hain is liye Apni himmat aur Taqat ke mutabiq ibadat Karni Chahiye, itni Mushaqqat uthana Ya itni dair bedar Rehna durust Nahin hai ke Aadmi bimar ho Jaye ya Agle din Karobaar, Tijarat, Mulazimat wagherah ya Digar huqooq Wajiba mein harj ho.

❻ Sirf Shabe Bara’at mein Nafli ibadaat kar ke apne Aap ko Jannat ka mustahiq samajh Baithna aur Sara Saal farz Namazon o Digar huqooq o Farayez se Ghafil Rehna kisi Tarah Dusrust nahin.

❼ Muhaqqiq baat yahi hai ke khaas Pandhra Shaban ka Rozah Masnoon nahin, lekin Agar koi 15 Shaban ka Rozah is Niyyat se Rakhe ke ye Shaban ka din hai aur Mahe Shaban ke Roze Masnoon hain to in do Niyyaton ke sath 15 Shaban ka Rozah In’sha’Allah Muajjab Ajr hoga.

❽ Shabe Bara’at mein Charaga, lighting, Patakhe, Loud speaker par Shor Sharaba, isi Tarah Fuzool Gab shap, Galiyon, Chaurahon aur Hotels mein waqt Guzarna be sood Aml hai, Balke “Neki Barbad Gunah Lazim” ka Misdaq hai.

✦.......♥ Ayyam Beez Ki Yaad Dahani! ♥.......✦

Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu: My friend (the Prophet (ﷺ) ) advised me to fast three days a month;.

[Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Book 31 :: Hadith 20, 1981]

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu Farmate Hain ke Mere Khaleel ﷺ  ne Mujhe Wasiyat Farmayi ke: “Har Mahine Teen Roze Rakhne ka Ehtemam Karun.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Hadith 1981]

💖 Bete Agar Aulade Nareena Hote Hain To Betiyan Bhi Aulade Nageena Hoti Hain Aur In Nageenon Ko Thes Nahin Lagni Chahiye Chahe Wo Apni Ho Ya Parayi 💖

No comments:

Post a Comment