Pages

Sunday, 27 October 2013

✦...........♥ Rahman ke Sacche Bande Ban Jayye....! ♥...........✦


✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "PRAY FOR PEACE AT THE END OF EVERY PRAYER" ✦

It was Narrated from 'Aishah Radi Allahu Anha that: After saying the taslim the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) would say: "Allahumma anta as-salam wa minka as-salam tabarakta ya dhal-jalali wal-ikram (O Allah, You are the source of eace (or the One free from all faults) and from You comes peace, blessed are You, O Possessor of Majesty and Honor)."

[Sunan An-Nasa’i :: Vol. 2 :: Book 13 :: Hadith 1339]

Urdu Translation: Hazrat Aisha Radi Allahu Anha se Riwayat hai k RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Jis waqt Salam phairte the to Farmate, "Allahumma anta as-salam wa minka as-salam tabarakta ya dhal-jalali wal-ikram” (Aye Allah! Tu har qism ki burayi aur Aaib se saalim aur bari hai aur Teri Janib se hamari salamati hai tu badi barkat wala hai tu Aye buzrugi aur izzat wale).

[Urdu Ref :: Sunan An-Nasa'i :: Vol.1 :: Hadith 1341]

✦......♥ Khoobsirat Hona hi Insan ki Asal Khoobsurti Hai ♥......✦

★ Acchi shakal aur Surat Allah Tala ka In'aam hai, kisi bhi Insan ki Aik izafi khubi, Lekin us khubhi mein us ka Apna koi kamal Nahi hota, Acchi shakal Bagair kisi mehnat aur koshish ke use Mil jati hai,

Lekin....! Khoobsirat hona Insan k Apne bus mein hai aur us me Waldain ki Tarbiyat aur Bachpan mein kis mahol mein Insan ne Parwarish payi in tamam ka kafi Amal Dakhl hai, Khoobsirat hona hi Insan ki Asal Khoobsurti hai.

••► Aik Khaas baat ye hai k Acchi Aadat aur Acchi sonch ka Aks Insan ke Chehre par padta hai aur Aisa insan khud ba khud Khoobsurat Nazar Aane Lagta hai aur har aik ko accha lagta hai, Go ya Khoobsirat hi Dar haqiqat Khoobsurti hai.


✦...........♥ Rahman ke Sacche Bande Ban Jayye....! ♥...........✦

♥ Rahman ke Sacche Bande Wo Hain...! ♥

●◗► Jo zameen par Aajizi se chalte hain. Jab jahil log un se (Jahilana) guftagu karte hain to wo salamati ki baat kehte hain.

●◗► Jo raten is tarah guzaarten hain ke Apne Parwardigar ke aage (kabhi) sajde mein hote hain aur (kabhi) Qayam mein.

●◗► Jo ye Dua mangte hain ke: Hamare Parwardigar! Jahannam ke azab ko ham se door rakhiye, Haqiqat ye hai ke us ka Azab wo tabahi hai jo Chimat kar rehjati hai.

●◗► Jo kharch karte hain to na Fuzool kharch karte hain na tangi karte hain balke un ka tariqa is (ifrat o tafreet) ke darmiyan Aaitedal ka tariqa hai. Jo Allah ke siwa kisi bhi doosre Mabood ki ibadat nahi karte.

●◗► Jis Jaan ko Allah ne hurmat bakshi hai, use na haq Qatal nahi karte. Jo na zina karte hain. Jo nahaq kamon mein shamil nahi hote aur Jab kisi lagu cheez ke paas Guzarte hain to waqar ke sath Guzarjate hain.

●◗► Jab unhe apne Rab ki aayat ke zariye Nasihat ki jati hai to wo un par behre aur andhe bankar nahi girte. Jo (dua karte hue) kehte hain: Hamare Parwardigar! Hamen Apni Biwi Baccho se aankhon ki thandak ata farma, aur Hamen parhaizgaron ka sarbarah banade.

♥ Ye log hain Jinhen un ke Sabr ke badle Jannat ke baala khane ata honge, Aur waha Duaon aur salam se un ka Isteqbal kiya jaye, wo wahan hamesha rahgenge, wo bahot hi Acchi jaga aur Umdah Muqam hai ♥ (Qur’an 25:63 to 76)


✦......♥ Bradari o Bhai Chaargi ke Rahnuma Usool ♥......✦

●◗► Teen din se zyada kisi se la Talluqi Ekhtiyar na Karen.
●◗► Gibat na Karen.
●◗► Kisi ko apne se km tar na samjhen.
●◗► Kisi ka mazakh na udhayen.
●◗► Kisi ko bure Alqab aur Naam se na pukaren.
●◗► Hasad na kare.
●◗► Dhoke na den.
●◗► Khayanat na Karen.
●◗► Jhoot na bolen.
●◗► Muaaf karne ki Aadat Daalen.
●◗► Kisi ka raaz faash na Karen.


......................✿....... H A D E E S .......✿......................

Narrated `Aisha Radi Allahu Anha: Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "If anyone of you feels drowsy while praying he should go to bed (sleep) till his slumber is over because in praying while drowsy one does not know whether one is asking for forgiveness or for a bad thing for oneself."

[Sahih Bukhari :: Vol.1 :: Book 4 :: Hadith 211]

Urdu Transtion: Hazrat Aayesha Radi Allahu Anha se riwayat hai k RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Famaya ke Jab Namaz Parhte waqt tum mein se kisi ko oongh Aajaye (feeling sleepy) to use so jana chahiye yahan tak ke Neend (ka asar) us se khatam ho jaye, isliye ke jab tum mein se koi shaks Namaz padhne lage aur wo oongh raha ho to wo kuch nahi janega k wo (khuda se) Maghfirat Talab kar raha hai ya Apne nafs ko baddua de raha hai.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Hadith 212]


✦......♥ Keep Your Heart Fresh With Zikr of "Allah" ♥......✦

๑۩๑ Allah ke Zikr se Dil lagalo Sukoon o Etminaan tum se Dil Lagalenge ๑۩๑

♥ Subhan Allah
♥ Alhamdulillah
♥ Allahu Akbar

✿ "Verily, in the remembrance of Allah do hearts find rest". (Qur'an 13:28)

✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "CARING FOR ORPHANS" ✦

Narrated Sahl bin Sa`d Radi Allahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "I and the person who looks after an orphan and provides for him, will be in Paradise like this," putting his index and middle fingers together.

[Sahih Bukhair :: Vol. 8 :: Book 73 :: Hadith 34]

Urdu Translation: Hazrat Sahl bin Sa’d Radi Allahu Anhu se Riwayat hai Nabi kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya ke Main aur Yateem ki parwarish karne wala Jannat mein is tarah honge aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Shahadat aur Darmiyani Ungliyon ke Ishare se (Qarb ko) bataya.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Hadith 6005]


✦ Taqwa aur Parhaizgari ke Dunya o Aakhirat ke Fawayed o Samraat ✦

✦......♥ Dunyawi Fawayed ♥......✦

◗► Dunyawi Azab se Bachao. (Qur’an 41:18)
◗► Har kaam mein Aasani. (Qur’an 65:4)
◗► Ilm nafe ka husool. (Qur’an 2:282)
◗► Haq o batil ki pehchan. (Qur’an 8:29)
◗► Allah Tala ka Mahboob Banna. (Qur’an 3:76)
◗► Allah Tala ki Nusrat o Taa’id. (Qur’an 2:194)
◗► Aasman o Zameen se barkat ka barasna. (Qur’an 7:96)
◗► Fitnon aur Sazishon se Hifazat. (Qur’an 3:120)
◗► Aane waali naslon ki Hifazat. (Qur’an 4:9)
◗► Aa’mal ki qubuliyat ka sabab. (Qur’an 5:27)
◗► Har tangi mein farakhi aur Wahem o Guman se badh kar rizq. (Qur’an 65:3)

✦......♥ Ukhrawi (Aakhirat) Fawayed ♥......✦

◗► Gunahon ka dhul jana. (Qur’an 5:65)
◗► Darjaat ki bulandi aur Ajr o Sawab ka badhna. (Qur’an 65:5)
◗► Magfirat ka parwana. (Qur’an 8:29)
◗► Jannat ka mustahiq taherna. (Qur’an 3:133)
◗► Jannat mein shaandaar Isteqbal. (Qur’an 39:71)
◗► Jannat ki mehman nawazi. (Qur’an 19:85)
◗► Jannat ke Aa’la darjat par Fayez hona (Qur’an 54:55)
◗► Jannat mein dost Ahbab aur Rishtedaron se khuhsgawar Talluqat. (Qur’an 43:67)

●◗► Har kisi mein manchahi khubiyan nahi hoti, Kon kehta hai wo jis mein kuch khamiyan nahi hoti, Kya Karen wo jin k Ghar khamakhuah Nasibon se, Betiyan to hoti hain Shadiya Nahi hoti.

◈ The upper hand is better than the lower hand Obey the SUNNAH and be a proud UMMAH, Say "BIG NO" To Dowry.

●═══════════════════════◄►══════════════════════●

✦ Dahej aur Jode ki Raqam lene wale International Bikhariyon ke liye Aik Chutkula aur Nasihat, “Mahman-Dadi Ammi Aur Chotu” ✦

Mahman: (Shan se bolre) Hamari bacchi ko ham to 8 Laakh diye khala. :)
Dadi Ammi: 8 lakh..? :o

Mahman: Haan ham 6 Bole the Mager wo log 8 MAANGE.

Chotu (khelte khelte suna): Dadi Ammi lekin Chacha se to sirf 5 Rupiye MAANGE. :o

Dadi Ammi: Kiski baat karre beta Aap?

Chotu: Wo Majid ke seediyon pe baithe so wale Aadmi, Chacha 1rp Dere to 5rp Mange.

Dadi Ammi.. Hahahahaha! :D Ye wo Mangne wale nahi hote beta, ye log Apne Jaise Achche kapde pahenke rahte.

Chotu: Lekin maine to Masjid ki sidiyon par Achche kapde pahene so walon ko nahi dekha. :o

Dadi Ammi: Ye log wahan nahi baithte beta, ye log ko Achche ghar rahte. :D

Chotu: Lekin Dadi Ammi Chacha to bolre the, "Chotu Yaad Rakh Jo Logon Se Mangte Wo Masjid ki Seediyon Pe Baithte, Aur Jo Allah Se Mangte Wo Masjid Ke Ander Baithte" Dene Wali Zaath Sirf ALLAH ki Hai Hamesha Usi Se Mang" Bole..

Dadi Ammi: Masha Allah! :-)

Mahman: :o :( :'(

✦................♥  Muaaf karna Sikhen ♥................✦

★ Makkah walon ne Chaand k do tukde daikhe to kaha k Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Chand par jadu kardiya, Pattharon ko kalima padhte daikha to kaha ke in par Jadu kardiya, Makkah Walon ne Jange badar mein Farishte daikhe lekin Kalima nahi padha, Jange khandakh mein shikahst khayi lekin Iman nahi laye, Makkah mein Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) 10 hazaar ke lashkar k sath dakhil hue lekin unhone kalima na padha….Lekin Jab....

Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Fateh Makkah ke Din Baitullah k paas khade hokar Kuffare Makkah ke un Kuffar aur Sardarane Quraish ko, Jo Aap k khoon ke pyase the aur Aap ko Tarah Tarah ki Takleefe pohchayi thin, un se kaha k Jao maine tum sab ko Muaaf kardiya to un sab ne Kalima Padhliya Aur Imaan le Aaye. (Qur’an 12:92) ♥ SubhanAllah ♥

●◗► Ye Muaaf karna Itna Bada Aml hai, Afsos ham ne is ko Apni Zindagiyon se Nikal diya hai. Sanson ki Mohlat kab toot Jaye Maloom Nahin, Dard koi Mila ho Meri Zaat se to Muaaf kardena. Jazakallahu Khair :-)

✦ Woman whose face was glowing with beauty was asked, what make up do you use...?

She Answered:

♥ For my lips, I use truth. For my eyes, I lower my gaze. For my hands, I give the charity. For my voice, I speak kindly. For my figure, I wear my Hijaab. For my body, I perform my Salah (Prayer) regularly. For my heart, love for the universe. For my mind, Faith and Islam. For my soul, obedience to ALLAH (Subhanahu Wa Ta'ala) ♥


★•.•´¯`•.•★ ♥ S U B H A N A L L A H ♥ ★•.•´¯`•.•★

Tuesday, 15 October 2013

✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "Going to Eidgaah By Walk" ✦


✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "Don't Eat BEFORE OFFERING EID PAYER (Eid Al-Dhuha" ✦

It was Narrated from Ibn Buraidah Radi Allahu Anhu from his father, that: The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) would not go out on the Day of Fitr until he had eaten, and he would not eat on the Day of Nahr (the day of sacrifice) until he came back.

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 7 :: Hadith 1756]

Urdu Translation: Hazrat Buraidah Radi Allahu Anhu Farmate hain k Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Eid Al-Fitar ke Roz kuch khaye Bagair na Nikalte Aur Eid Al-Dhuha ko (Namaz se) Wapas Aane Tak kuch na khate.

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Hadith 1756]

●═══════════════════════◄►══════════════════════●

✦ Eid Al-fitar aur Eid Al-Dhuha ke din Roza rakhna Mana Hai ✦

Umm Aisha Radi Allahu Anha said that the prophet Sallallahu Alaihi Wasallam forbade to observe fast on two days-the day of Fitr and the day of Adha.

[Sahih Muslim :: Book 6 :: Hadith 2538]

Urdu Translation: Umma Aayesha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Do din ke rozey se mana farmaya hai (Aik) Eid Al-fitar aur (Dusra) Eid Al-Dhuha.

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol 3 :: Hadith 2676]

REVIVE A SUNNAH "Going to Eidgaah By Walk"

RasollAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Eidgaah jaaney ke liye Aik Raaste ko aur wapas Aate waqt dusrey Rasste ko Ikhtiyaar kartey they

Narrated Abdullah Ibn Umar Radi Allahu Anhuma: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam went out by one road on the day of the Eid (‘Id) and returned by another.

[Sunan Abu Dawud :: Book 3 :: Hadith 1152]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah Ibn Umar Radi Allahu Anhuma se rivayat hai k RasollAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Eidgaah jaaney ke liye Aik raastey ko ikhtiyar karte aur wapas Aate waqt dusrey rasste ko ikhtiyaar karte the.

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawud :: Vol 1 :: Hadith 1144]

Jis Ghar mein Deen ki Taleem Aur Naik Maa ho wo Ghar Tahzeeb aur Insaniyat ki University Hai

✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "FASTING ON THE DAY OF 'ARAFAH" ✦

Great Opportunity is knocking! Day after Tomorrow, 15th October 2013, InshaAllah, would be the 9th day of Dhulhijjah, which is the Day of Arafah. Don't miss it! Do Fasting! Grab the Opportunity and Get Fabulous Reward, InshaAllah!

Fasting on the day of ‘Arafah is a confirmed Sunnah for those who are not performing Hajj.

●══════════════════════◄►═════════════════════●

✦ Mafhum-e-Hadith- Arafah (9 Dhul-Hijja) ke Din ka Roza Aik saal Guzrey huye aur Aik saal Aagey Aaney waley (Gunaho) ka kaffara Hai ✦

Abu Qatada al-Ansari (Allah be pleased with him) reported that the Messenger of Allah (may peace be upon him) was asked about fasting on the day of Arafa (9th of DhuI-Hijja), whereupon he Peace be upon him said: It expiates the sins of the preceding year (a year before) and the coming year ( and a year after).

[Sahih Muslim :: Book 006 :: Hadith 2603]
[Sunan ibn Majah :: Vol 2 :: Hadith 1730]

Urdu Translation: Hazrat Abu Qatada al-Ansari Radi Allahu Anhu se rivayat hai k RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam se Arafa (9th of Dhul-Hijja) ke Rozey ke baarey mein pucha to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Ye Aik saal Guzrey huye aur Aik saal Aagey Aaney wale (Gunaaho ka) ka kaffara hai.

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol 3 :: Hadith 2747]
[Urdu Ref :: Sunan ibn Majah :: Vol 1 :: Hadith 1730]

......................✿....... H A D E E S .......✿......................

Narrated Salama Radi Allahu Anha: I heard the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) saying, "Whoever (intentionally) ascribes to me what I have not said then (surely) let him occupy his seat in Hell-fire."

[Sahih Bukhari :: Volume 1 :: Book 3 :: Hadith 109]

Urdu Translation: Hazrath Salama Radi Allahu Anha se riwayat hai k Maine RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ko ye Farmate hue suna ke Jo Shaks mere Naam se wo baat bayan kare jo Maine nahi kahi to wo apna thikana Jahannam main banale.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Hadith 109]



........ Har Musalman 6 Goin se Bachen ........

Gallo se Bachen: Tum Apne Deen mein Na’haq Galo (Zyadati) na karo.(Qur’an 4:171)

Ghil (Keena) se Bachen: Hamare dilon mein Iman walo ki taraf se keena (o Hasad) na hone dijiye.(Qur’an 59:10)

Guroor se Bachen: Logon se apna rukh mat phairo. (Qur’an 31:18)

Gaflat se Bachen: Tu Gaflat karne walon mein se mat ho. (Qur’an 7:205)

Gibat se Bacho: Aik dusre ki Gibat se bacho. (Qur’an 49:12)

Gusse se Bacho: Gusse se puri tarah bachen. (Qur’an 3:159)



●◗► Behayai ki Dukan----Koi bhi Gairat mand Insan Apni Maa, Bahen, Beti aur Biwi ko Beauty parlour nahi bhaijta kyun k ye Beauty parlour nahi balke behayai ki dukan hai Jis mein Aourat dakhil to Izzat ki Chadar leke hoti hai Magar Bahar behayai ka libas pahen ke Nikalti hai aur phir us ki bepardagi Mardon ko bhi behaya banadeti Hain, Kyun k "Aourat ki Bepardagi Mard ki Behayai ka Saboot hai."


REVIVE A SUNNAH ⇨ "DO NOT Tattoo, Pluck the eyebrows and File the teeth" ✦

Narrated that ‘Abd-Allaah ibn Mas’ood The Messenger of Allaah (peace and blessings be upon him) said: "May Allaah curse the one who does tattoos and the one who has a tattoo done, the one who plucks eyebrows and the one who has her eyebrows plucked, and those who file teeth for the purpose of beautification, changing the creation of Allaah...”

[Sahih Bukhari (4886) & Muslim (2125)]

Urdu Translation: Abdullah Ibn Mas'ud (Radi Allahu Anhu) se Riwayat hai k RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) ne farmaya: Allah ne LAANAT ki hai un Aourton par jo tattoos banatey hain aur jo banwatey hain jo bahuu (eyebrows) banatey hain aur jo banwatey hain aur jo daanto ko file karwate hain khubsurti k liye khudrati banawat main kami ya izafa karte hain.

••••► ==>Please SHARE this with sisters who may not be aware of this prohibition. Jazakallahu Khair.




REVIVE A SUNNAH "DO GOOD DEEDS REGULARLY"

A Muslim who regularly does good deeds will continue to be rewarded even if he is stopped by sickness or travel. MashaAllah !!!

Abu Musa (Radhi Allahu Anhu) reported: I heard the Prophet (SallAllahu Alaihi Wasallam) say on more than two occasions,

“If a servant performs a good deed, but then is occupied by sickness or travel, it will be written for him as a good deed like he used to do when he was healthy and settled.”

[Sunan Abu Dawud :: Book 20 :: Hadith 3085]

Urdu Translation: Hazrat Abu Musa Radi Allahu Anhu se Riwayat hai k Maine RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam se Aik Do martaba nahi Balke Aksar suna hai, Aap Farmate the k Jab koi Shaks Mustaqil tor par Pabandi ke sath koi Naik Aml karta rahta hai Aur phir wo kisi Bimari ya Safar ki Bina par us ko na kar sake to us ko us ka Sawab usi tarah milega Jis tarah wo Sahet aur Iqamat ki Surat mein kiya karta tha.

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol.2 :: Hadith 1315]

◗► Iqamat-Qarar, Aaram o Sukoon.


✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "USE BLACK SEED FOR MEDICINE" ✦

Narrated Khalid bin Sad: We went out and Ghalib bin Abjar was accompanying us. He fell ill on the way and when we arrived at Medina he was still sick. Ibn Abi 'Atiq came to visit him and said to us, "Treat him with black cumin. Take five or seven seeds and crush them (mix the powder with oil) and drop the resulting mixture into both nostrils, for 'Aisha has narrated to me that she heard the Prophet (SallAllahu Alaihi Wasallam) saying,

"This black cumin is healing for all diseases except As-Sam.' Aisha said, 'What is As-Sam?' He said, 'Death."

[Sahih Bukhair :: Vol. 7 :: Book 71 :: Hadith 591]

Urdu Translation: Hazrat Khalid Bin sad ne Bayan kiya k Ham Bahar gaye huye the aur Hamare sath Hazrat Ghalib bin Abjar Radi Allahu Anhu bhi the wo Raaste mein bimar padgaye phir Jab ham Madina wapas aaye us waqt bhi wo Bimar hi the, Hazrat Ibn Abi 'Atiq un ki Iyadat k liye Tashreef laye aur ham se kaha k inhen ye Kale dane (Kalonji) Istemal karao, is k paanch ya saath dane lekar pees lo aur phir Zaitoon ke tail mein mila kar (Naak ke) is taraf aur us taraf use Qatrah Qatrah kar ke Tapkao kyun k Hazrat Aisha Radi Allahu Anha ne Mujh se bayan kiya k unhone Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se suna Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya ke,

"Ye Kalonji har bimari ki Dawa hai siwa sam ke, Maine Arz kiya Sam kya hai? Farmaya ke Mout hai."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Hadith 5687]

●══════════════════════◄►═════════════════════●

Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu: I heard Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) saying, "There is healing in black cumin for all diseases except death."

[Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Book 71 :: Hadith 592]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira Radi Allahu Anhu se Riwayat hai Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya ke Siyah Dano mein Har Bimari se Shifa hai Siwaye Mout ke.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Hadith 5688]


✦ Mafhum-e-Hadith: 7 Aadmiyon ki Taraf se Aik Gaay (cow) ya Aik oont ki Qurbani kar Saktey Hain ✦

Jabir bin Abdullah (Allah be pleased with him) reported: In the year of Hudaibiya (6 H ), we, along with Allah's Messenger Sallallahu Alaihi Wasallam sacrificed a camel for seven persons and a cow for seven persons.

[Sahih Muslim :: Book 7 :: Hadith 3024]

Urdu Translation: Jabir ibn Abdullah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Hudaybiyyah waley saal mein humney Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ke saath milkar 7 aadmiyon ki taraf se Aik oont (camel) ki qurbani ki aur 7 Aadmiyon ki tataf se Aik gaay (cow) ki Qurabani ki.

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol.3 :: Hadith 3185]

●══════════════════════◄►═════════════════════●

It was narrated from Abu Hurairah Radi Allahu Anhu that the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: “Whoever can afford it, but does not offer a sacrifice, let him not come near our prayer place.”

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 26 :: Hadith 3123]

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Jis ko istita’at ho phir bhi wo Qurbani na karey to wo hamari Eidgaah ke qareeb bhi na aaye.

[Urdu Ref :: Sunan ibn Majah :: Vol.3 :: Hadith 4]

●══════════════════════◄►═════════════════════●

Narrated Al-Bara' ibn Azib Radi Allahu Anhu: The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: Four (types of animals) should be avoided in sacrifice: A One-eyed animal which has obviously lost the sight of one eye, a sick animal which is obviously sick, a lame animal which obviously limps and an animal with a broken leg with no marrow.

[Sunan Abu Dawood :: Book 15 :: Hadith 2796]

Urdu Translation: Hazrat Al-Bara' ibn Azib Radi Allahu Anhu se riwayat hai k RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Qurbani ke liye chaar tarah ke jaanwar durust Nahi hain.

1. Wo jiska kaanapan ya bhaingapan bilkul zahir ho,
2. Dusra wo jo dekhne se hi beemar lagta ho,
3. Teesra wo jiska langdapan bilkul zahir ho,
4. Aur wo jo budha aur kamzor Janwar jis ki haddiyon mein Gooda na ho.

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawud :: Vol.2 :: Hadith 1029]

●◗► "Qaid kardiya Sanpon ko ye keh kar Saperon Ne, Ab Insan ko Dasne k liye Insan hi Kaafi Hai." 

✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "FASTING ON THE FIRST NINE DAYS OF DHU'L-HIJJAH" ✦

It is Sunnah for the Muslim to fast on the first nine days of Dhu’l-Hijjah, because the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) encouraged us to do righteous deeds in the first ten days of Dhu’l-Hijjah, and fasting is one of the best of deeds, which Allaah has chosen for Himself as it says in the hadeeth qudsi:

Narrated Abu Huraira: Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "Allah said, 'All the deeds of Adam's sons (people) are for them, except fasting which is for Me, and I will give the reward for it.'

[Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Book 31 :: Hadith 128]

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se riwayat hai k RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Allah Paak Farmata hai k Insan ka Har Naik Aml khud us k liye hai Magar Roza ke wo khaas mere liye hai Aur main hi us ka Badla dunga.

[Urdu Ref :: Sahih al-Bukhari :: Hadith 1904]

●══════════════════════◄►═════════════════════●

The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) used to fast on the first nine days of Dhu’l-Hijjah.

It was narrated from Hunaidah bin Khalid that his wife said: "One of the wives of the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) used to fast on the day of 'Ashura, nine days of Dhul-Hijjah and three days each month: The first Monday of the month, and two Thursday."

[Sunan an-Nasa’i :: Vol. 3 :: Book 22 :: Hadith 2374] [Sunan Abu Dawood :: Book 13 :: Hadith 2431]

Urdu Translation: Hazrat Hunaidah bin Khalid RasoolAllah Sallallahu Aliahi Wasallam ki Aik Zojah Mutahharah se Riwayat hai k Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Mah Dhul-Hijjah mein nao (9) Roze rakhte the (Yani 1 tareekh se lekar 9 tareekh tak) Aur Aik Roza 'Ashura k Din Rakhte the Aur har Mahine Teen Roze Rakhte the Aik Peer ka Roza aur Do Jumerat ka Rozah.

[Urdu Ref :: Sunan Nasa’i :: Vol.2 :: Hadith 328] [Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol.2 :: Hadith 665]

Sunday, 6 October 2013

●◗► "Sadqe ki thodi raqam dene par sharmindah mat ho kyun k Zarurat mand ko kuch na dena zyada Sharam ki baat hai, Aur Jab bhi aap kisi Gareeb ko kuch dain to ye na Sonche k Aap us ki Dunya sanwaar rahe hain, Balke ye sonche k wo Gareeb aap ki Aakhirat sanwaar Raha hai".

●══════════════════════◄►═════════════════════●

Abu Huraira reported Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) as saying: He who alleviates the suffering of a brother out of the sufferings of the world, Allah would alleviate his suffering from the sufferings of the Day of Resurrection, and he who finds relief for one who is hard-pressed, Allah would make things easy for him in the Hereafter, and he who conceals (the faults) of a Muslim, Allah would conceal his faults in the world and in the Hereafter. Allah is at the back of a servant so long as the servant is at the back of his brother.

[Sahih Muslim :: Book 35 :: Hadith 6518]

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se riwayat hai ki RasoolAllah Sallallhu Alaihi Wasallam ne Farmaya jo shaksh kisi Momin par se koi Sakhti dunya ki door karega to Allah Tala us par Aakhirat ki sakhtiyon mein se ek sakhti door karega Aur jo shaksh muflis ko Mohlat de (yani us par apney Qarz ke liye sakhti na karey) to Allah Tala us par Aasani karega Dunya aur Aakhirat mein, Aur jo shaksh kisi Musalman ka Aib chupayega duniya mein to Allah Tala uska Aib chupayega Duniya aur Aakhirat mein, aur Allah Tala Apne bande ki madad mein rahta hai jab tak banda apne (Musalman) bhai ki Madad mein Rahta hai.

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Volume 6 :: Hadith 6853]

✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "BE THE ONE WHO START GIVING SALUTATION" ✦

Narrated AbuUmamah Radi Allahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: “Those who are nearest to Allah are they who are first to give a salutation.”

[Sunan Abu Dawood :: Book 42 :: Hadith 5178]

Urdu Translation: Hazrat Abu Umamah Radi Allahu Anhu Farmate hai k Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya ke Logon mein Allah Tala k Nazdeek sab se zyadah wo Shaks hai jo un mein Salam karne mein Pehel kare.

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol.3 :: Hadith 1754]

•► Assalamu Alaykum wa Rahmatullaahi wa Barakatuhu Everyone! :-)



✦ Mafhum-e-Hadith: Jab tum Dhul Hijja ka chand Dekho aur tum mein se koi Qurbani karna chahey to Apne Baal aur Nakhun na kaatey ✦

Umm Salama reported Allah's Messenger may peace be upon him having said this: When any one of you intending to sacrifice the animal enters in the month (of Dhu'l-Hijja) he should not get his hair or nails touched (cut).

[Sahih Muslim :: Book 022 :: Hadith 4869]

Urdu Translation: Umm Salama Radi Allahu Anha se Riwayat hai ki RasoollAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab tum Dhul Hijja ka chand dekho aur tum mein se koi Qurbani karna chahey to Apne baal aur nakhun yuhi rahne de (yani na kaatey).

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol 5 :: Hadith 5119]

●═══════════════════════◄►══════════════════════●

Umm Salama, the wife of Allah's Apostle may peace be upon him reported Allah's Messenger may peace be upon him have said: He who has a sacrificial animal with him whom (he intends) to offer as sacrifice, and he enters the month of Dhu'I-Hijja, he should not get his hair cut or nails trimmed until he has sacrificed the animal.

[Sahih Muslim :: Book 022 :: Hadith 4873]

Urdu Translation: Umm Salama Radi Allahu Anha se Riwayat hai ki RasoollAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jis ke paas Janwar ho zabah karne ke liye aur Zil Hijja ka chand aa jaye (ya jab Dhu'l-Hijja ka mahina aa jaye) to apney Baal na katwaye aur na Nakhun tarashey jab tak qurbani na kar le.

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol 5 :: Hadith 5121]

✦.........♥ SubhanAllah Alhamdulillah Allahu Akbar ♥.........✦

••► Professional Basketball player Ibrahim Jaaber returns $300,000 to his team and leaves his league for the sake of Islam.

But the money was no good to him anymore. The team's jerseys featured the logo of a beer company called Kalnapilis: a small red triangle with the brewery's name in script below it. As a devout Muslim, the beer ad offended Jaaber. So did the squad's scantily clad cheerleaders, with their low-cut tops and barely there bottoms— but as Jaaber put it, "To me, they're naked women." He even found the music pumped through the arena to be too profane.

"I understand that maybe I will never earn money from basketball because of this decision," he said at the time, "but I am ready to do such a sacrifice for my beliefs."

••► Jaaber is hardly the first Muslim — or even the first devout religious person — to play professional sports. But he is the first, or at least one of the very few, to quit so suddenly and so dramatically due to his faith.

For full article read : http://www.grantland.com/story/_/id/9477786/what-make-former-upenn-star-ibby-jaaber-return-300000-professional-basketball-team-midseason

......................✿....... H A D E E S .......✿......................

The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) used to say: "Do those deeds which you can do easily, as Allah will not get tired (of giving rewards) till you get bored and tired (of performing religious deeds)."

[Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Book 31 :: Hadith 191]

Urdu Translation: Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Farmaya karte the ke Aml wahi Ekhtiyar karo jis ki Tum mein taqat ho kyun ke Allah Tala (sawab dene se) Nahi thakta, Tum khud hi ukta jaoge.

[Urdu Ref :: Sahih al-Bukhari :: Hadith 1970]


••► Call ALLAH (by doing your Prayers) before ALLAH calls you (at the time the death come to you)!.

✦...................♥ INSAN Kya Hai…? ♥...................✦

"Lafz “INSAN” panch Huroof par Mushtamil hai"

✿ Alif+Noon+Seen+Alif+Noon ✿

► Alif se Allah ki Ita’at aur us par Yaqeen rakhne wala.
► Noon se Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki Ita’at karne wala.
► Seen se salamati chahne wala.
► Alif se Amr Bil Ma’roof yani Naiki ka hukum karne wala.
► Noon se Nahi Anil Munkar yani Burayi se rokne wala.

⇨ "Ye are the best of peoples, evolved for mankind, enjoining what is right, forbidding what is wrong, and believing in Allah. If only the People of the Book had faith, it were best for them: among them are some who have faith, but most of them are perverted transgressors." (Qur'an 3:110)
✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "HARD WORK & DETERMINATION IS BETTER THAN BEGGING PEOPLE" ✦

Abu Huraira Radi Allahu Anhu reported: The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said, “If one of you were to carry a bundle of firewood on his back and sell it, that would be better for him than begging a man who may or may not give him anything.”

[Sunan An-Nasa’i :: Vol. 3 :: Book 23 :: Hadith 2585]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira Radi Allahu Anhu se Riwayat hai k RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya Agar Tum logon mein se koi Shaks Lakdi ka Aik ghatta apni pusht (peeth) par rakh kar laye aur Farokht kare to ye us k kisi se sawal karne se kahin zyada behtar hai phir ye mumkin hai ke wo Shaks sadqah de ya Inkar karde.

[Urdu Ref :: Sunan An-Nasa'i :: Vol.2 :: Hadith 495]
●◗► "Pehle khud Awaam ko Roz Fahesh Drame aur Filme dikhaye, Aur Jab kahin Rape ka Waqiya hojaye to Awam ko Akhlaqiyat ke Lecture dene lage". Wah.....Wah....

Aur in Mein na hi un Badbakhto ka Qasoor hai jo Filme aur Drame batate hai Balke wo Waldain bhi Shareek hai, Jo Apne baccho k Sath batih kar Nangne naach Filmi Daikhti hai, Dramo main Ishq Wishq k Chakkar, Mohabbat main ghar se Farar jaise Waqiaat Dikhaye jate hain Jis se baccho ki Shaksiyat pe Bure asrat padte hain, Ab jab wo Hath se nikal jaye to Phir zindagi bhar Apne aap par Afsos aur Pachtawa kyu…Khudi ka natija hai.


••► "Apne Bachhon ko sone (Gold) ka Niwaala khilaao magar uspar shikaari ki Nazar Rakho" Agar bacchen koi Gunah mein Mubtela hojaye to us Gunah mein Waldain bhi Shamil honge Kyun ke Aoulad Waldain ki Kamayi se hai.

......................✿....... H A D E E S .......✿......................

Narrated Ibn `Abbas Radi Allahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "One who takes back his gift (which he has already given) is like a dog that swallows its vomit."

[Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Book 47 :: Hadith 762]

Urdu Translation: Hazrat Ibne-Abbas Radi Allahu Anhu se rivayat hai k RasoollAllah Sallallaahu Alaihi Wasallam ne farmaya Apna Hiba (gift) wapas lene wala us Kuttey (dog) ki tarah hai jo Qey (Vomit) karke phir chaat jata hai.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Hadith 2589]