Pages

Sunday, 25 May 2014


✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "HELP YOUR FAMILY WITH HOUSEWORK" ✦

♥ Truly... Our Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam was the best of mankind ever lived and Really the best example of mankind to be followed !!! ♥

Narrated Al-Aswad RadiyAllahu Anhu: That he asked 'Aisha RadiyAllahu Anha "What did the Prophet Sallallau Alaihi Wasallam use to do in his house?" She replied, "He used to keep himself busy serving his family and when it was the time for prayer he would go for it."

[Sahih Bukhari :: Volume 1 :: Book 11 :: Number 644]

Urdu Translation: Hazrat Al-Aswad RadiyAllahu Anhu ne kaha ke Maine Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha se pucha ke Rasool Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Apne ghar mein kya kya karte the Aap ne Batlaya ke Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Apne Ghar ke kaam kaaj Yani apne Ghar waaliyon ki khidmat kiya karte the, Aur Jab Namaz ka waqt hota to Foran (kaam kaaj chhod kar) Namaz k liye chale jate the.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol.1 :: Hadith 676]


✦........♥ Insan ki Marhalah waar Takhleeq aur Medical Science ♥........✦

Hazrat Abdullah bin Mas’ud RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Tum mein se har Aik apni Maa ke pait mein 40 din tak Nutfah ki shakal mein rehta hai, phir utne hi roz tak Munjamid khoon ki shakal mein, phir utne hi roz tak lothde ki shakal mein rehta hai.

Is ke Baad Allah Subhanahu Wa Ta'ala Aik Farishta bhaijta hai aur use Chaar baton (ke likhne) ka hukum diya jata hai aur use kaha jata hai:

► Us ke Aml likh do (ye kya kya karega)
► Us ka Rizq likh do (Maldar hoga ya Ghareeb)
► Us ki umr likh do (use kab mout Aayegi)
► Aur ye bhi likhdo ke ye Naik bakht hoga ya bad bakht (Jannati hoga ya Jahannami) us ke baad us mein Rooh phoonk di jati hai."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol.4 :: Hadith 3208]

●◗►  Insani takhleeq ke darj baala Marahil RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne 1400 saal hi Qabl bayan farmadiye the Jab ke Aaj ki Medical Science Jadeed Technology ki badolat in Marahil ke Aaiteraf par Majboor hai.

●═════════════════◄►═════════════════●

Narrated `Abdullah bin Mus'ud RadiyAllahu Anhu: Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam), the true and truly inspired said, "(The matter of the Creation of) a human being is put together in the womb of the mother in forty days, and then he becomes a clot of thick blood for a similar period, and then a piece of flesh for a similar period.

Then Allah sends an angel who is ordered to write four things. He is ordered to write down:

► His (i.e. the new creature's) deeds,
► His livelihood,
► His (date of) death,
► And whether he will be blessed or wretched (in religion). Then the soul is breathed into him.

[Sahih Bukhari :: Vol. 4 :: Book 54 :: Hadith 430]

●◗► Ghar, Office, ya Gadi Waghera mein Na’mahram ke sath Tanhayi mein na Baithe na mile In mein wo Tamam chizen Aajati hai Chahe College mein ho ya kisi Function mein ya Facebook par Chat bhi karna ho to is Hadees ko Bagour padhe aur Zahe Nasheen karle ye Aik Galati Aap ke Aakhirat ki Tabahi ka Zariya ban sakti hai.

Narrated Ibn 'Umar RadiyAllahu Anhu: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Behold! A man is not alone with a woman but the third of them is Ash-Shaitan."

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 7 :: Hadith 2165]

Urdu Translation: Hazrat Umar RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: Khabardar! Koi bhi Mard kisi Na’mahram Aourat ke sath har giz tanhayi mein na baithe is liye ke un donon ke sath Teesra shaitan hota hai.

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol.2 :: Hadith 37]


✦......................♥ Dilchasp Qurani Malumat ♥......................✦

► Quran kareem mein 4 Masjidon ka Zikr hain: Masjid al-Haram, Masjid al- Aqsa, Masjide Quba, Masjide ziraar.

► Quran kareem mein 7 shahron ke Naam hain: Makka, Madina, Misr, Madyan, Hunain, Babul, Ayeka.

► Quran kareem mein 4 pahadon ke Naam hain: Toor, Jodi, Safa, Marwah.

► Quran kareem mein 4 dhaton ke Naam hain: Sona, Chaandi, Taanba, Loha

► Quran kareem mein 3 sabziyon ke Naam hain: Pyaaz, Lehsan, Kankdi.

► Quran kareem mein 3 darakhton ke Naam hain: Khajoor, Zaitoon, Beri.

► Quran kareem mein 6 phalon ke Naam hain: Anjeer, Zaitoon, Anaar, Kela, Tarkhajoor, Angoor.

► Quran kareem mein 4 parindon ke Naam hain: Hud hud, Kawwa, Teetar, Taddi.

► Quran kareem mein 10 Hashratul Arz ke Naam hain: Chyunti, Makkhi, Macchar, Makdi, Shahed ki Makkhi, Parwana, Jooon, Maindak, Saanp, Azdah.

► Quran kareem mein 13 Janwaron ke Naam hain: Hathi, Oont, Gaye, Dunba, Bakri, Bhaidya, Ghoda, Gdha, Khacchar, Bandar, Khinzeer, Kutta, Machli.

●◗► "Jin logon ne kaha: Hamara Rab Allah hai aur phir wo us par Sabit Qadam rahe Yaqinan un par farishte (ye kehte hue) utrenge ke na koi khof Dil mein lao aur na kisi baat ka Gham khao, aur khush hojao us Jannat ki Basharat se Jis ka tum se Wada kiya gaya hai. Ham dunya ki zindag mein bhi tumhare sathi the aur Aakhirat mein bhi Tumhare rahenge, wahan Jo kuch tum chahoge tumhen milega aur har wo cheez tumhari hogi jis ki tum Tamanna karoge. Ye sab kuch us zaat ki taraf se pehli pehli Meizbani hai jis ki bakhshish bhi bahot hai, Jis ki rehmat bhi kamil." (Qur’an 41:30,31,32)

✦..............♥ Sabit Qadam Rakhne Wale 7 Aa’mal ♥..............✦

❶ Gour o Tadabbur ke sath Quran Majeed ki Tilawat. (Qur’an 25:32)
❷ Sabeqa Anmbiya aur RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ki Sirat Tayyaba ka Mutal’aa karna. (Qur’an 11:120)
❸ Quran o Hadees ki Nasihaton par Aml karna. (Qur’an 4:66)
❹ Allah Tala ke Deen ki khidmat karna. (Qur’an 47:7)
❺ Touheed aur Aamal saliha par Qayem rehna. (Qur’an 14:27)
❻ Kasrat se Allah ka Zikr karna. (Qur’an 8:45)
❼ Sabr aur Namaz ke zariye Allah se Madad hasil karna. (Qur’an 2:153)

●◗► "Ab batao ke tum Apne Parwardigar ki kon konsi Naimaton ko Jhutlaoge?." (Qur’an 55:13)

●◗► Aap ka Camera zyada se zyadah 15 Megapixels hoga Jab ke Aap ki Aankh 576 Megapixels hai, Ya Allah main Teri har di hui Naimat se Razi hun ♥ Alhamdulillah ♥

✦..................♥ Khush Rehna Sikhen ♥..................✦

●◗► Sabr, Shukr aur Qina’at aik Aainak hai, Agar Aap ye Aainak lagalen to Dunya badi Khoobsurat Nazar Aayegi aur Aap hamesha khush o Khurram Rahenge, Accha ya Bura waqt guzar jata hai, Hosle ke sath sabr o shukr karte hue waqt Guzaren.

◈ Qina’at - Thodi cheez par khush rehna, Jo mil jaye us par Razi rehna.

✦ Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ♥ ki Nazar mein “Maa” “Baap” ka Moqam ✦

RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Apni Maa ki khidmat ko lazim pakdo, kyun ke Maa ke Qadmon tale Jannat hai."

[Urdu Ref :: Sunan an-Nasai :: Vol.2 :: Hadith 1016]

RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Baap Jannat ke (darwazo mein se behtareen) darmiyani Darwazah hai, Ab tumhen Ekhtiyar hai Khuwah (Na’farmani aur Dil dukha kar) us darwaze ko Zaye kardo ya (Farmanbardari aur khidmat kar ke) us Darwazeh ki hifazat karo."

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol.3 :: Hadith 544]

●═════════════════◄►═════════════════●

It was narrated from Mu'awiyah bin Jahimah As-Sulami, that Jahimah came to the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) and said: "O Messenger of Allah! I want to go out and fight (in Jihad) and I have come to ask your advice." He (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Do you have a mother?" He said: "Yes." He (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Then stay with her, for Paradise is beneath her feet."

[Sunan an-Nasai :: Vol 1 :: Book 25 :: Hadith 3106]

Abu Darda RadiyAllahu Anhu heard the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) say that: "The father is the middle door of Paradise (i.e. the best way to Paradise), so it is up to you whether you take advantage of it or not."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 5 :: Book 33 :: Hadith 3663]

✦..................♥ Itminan-e-Qalb ke 10 Asbab ♥..................✦

❶ Allah ki Wahdaniyat par pokhta yaqeen Rakhna.
❷ Acchi ya Buri Taqdeer par Razi rehna.
❸ RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ki Shifa’at ki Ummid Rakhna.
❹ Farayez aur Wajibat ki pabandi karna.
❺ Duao ki kasrat karna.
❻ Har qism ke gunah bil khusoos Zulm se bachna.
❼ Mushtaba (Jis mein Shak ho) chizon se door rehna.
❽ Tilawate Quran Masnoon Duaon aur Zikr o Azkar ka Ehtemam karna.
❾ Makhlooqe Khuda ki Khidmat karna.
➓ Naik logon ki sohbat mein baithna.

✦..................x Safar Aur Haadesat x..................✦

●◗► Safar Mein Insan Hadesat se do char ho sakta hai Lehaza Dourane safar Allah Tala se khair o Aafiyat ki Duayen mangen, Mousiqi aur Lahu o La’ab se bachen.

 :( Kahi Aisa na ho ke Aap Gunah mein Mashgool hon aur Mout Aap ko Aa pakde :(

✦...................♥ Sacchi Tobah ka Amli Tariqa ♥...................✦

❶ Gunah par Nadamat ho, sacche Dil se toba karen aur Aainda na karne ka pakka Iradah karen.
❷ Gunah ke sath sath Gunah ke Asbab aur Gunah ke raste bhi Chhorden.
❸ Gunah ka khayal bhi Dil mein na layen.
❹ Bure logon ko Chord kar Naik logon ki sohbat Ekhtiyar karen.
❺ Agar kisi ki Haq talfi ki ho to zubani toba kafi nahi balke Haq daar ya us ke wursa ko Haq ada karen.
❻ Agar kisi ko Takleef pohchayi ho to Toba o Astaghfar ke sath sath us bande se bhi Muaafi mangen.
❼ Agar Farz Roze reh gaye hon to zubani toba kafi nahi balke Rozon ka hisab laga kar Qaza roze rakhna shuru karden.
❽ Agar Farz Namaze rehgayi ho to zubani Toba kafi nahi balke Namaze shumar kar ke Qaza padhna shuru karden.
❾ Haj Farz ho jane ke baad Ada nahi kiya to Zubani toba kafi nahi balke Haj ada karne ki koshish karen.
➓ Zakat aur Maali Ibadaat mein kotahi hogayi ho to zubani toba kafi nahi balke Guzashta salon ki zakat ka hisab laga kar Adayegi karen.


✦...........♥ Main Bint-e-Hawwa Hun, Hath ka Khilona Nahi ♥...........✦

●◗► Har ladki Aasan nahi hoti Mister, Main ghar se Taleem hasil karne Aati hun, Pyaar Mohabbat ke khail khailne nahi!

Ladki ka ye sard lehja kisi taiz churi ki tarah ladke ke Jism mein utar gaya, Muslimah ladki ke is Aik Jumle ne us ki rooh tak ko jhinjod kar rakhdiya, wo Ladki jo College ke ladko se dari dari aur sehmi si rahti thi Aaj Gusse mein kisi Shairni ki Manind lag rahi thi.

◈➲ Aik gairat mand ladki ki Haisiyat se mujhe Gair mard ki Mohabbat nahi balke sirf Izzat aur Ehteram chahiye wahi Ehteram jo Aap dusron se apni bahen ke liye chahte hain ◈➲  Aaj ke baad mera raasta rokne se pehle Ghar mein Moujood apni Bahen ka zaroor soch lena ke Agar koi Aawarah us ke sath aisa kare to aap ka Radde Aml kya hoga.

► Itna keh kar ladki ne apni Nazren jhukaye Aage badh gayi aur wo Ladka jaise Zameen mein Gir gaya ho.

......................✿....... H A D E E S .......✿......................

✦ Tamam Halal kiye Gaye Kamon mein se Allah Tala ke Nazdeek sab se Na Pasandidah Cheez Talaq hai ✦

It was Narrated from 'Abdullah bin 'Umar RadiyAllahu Anhu that: The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said: "The most hated of permissible things to Allah is divorce. "

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Book 10 :: Hadith 2018]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Umar RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya Halal kiye gaye kamon mein se Allah Azza'wa'jal ko sab se Zyadah Na pasand (cheez) Talaq hai.

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol.2 :: Hadith 175]

Wednesday, 7 May 2014

●◗► Jo Shaks kisi Aourat se us ki Khoobsurti ke liye shadi karta hai wo Ahmaq hai, Jo Maal o Doulat ke liye shadi karta hai wo Laalchi hai aur Jo Husn Sirat ki Wajah se Shadi karta hai wo Haqiqi "SHOHAR" hai.

Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "A woman is married for four things, i.e.,
❶ Her wealth,
❷ Her family status,
❸ Her beauty and
❹ Her religion.
So you should marry the religious woman (otherwise) you will be a losers.

[Sahih Bukhari :: Vol 7 :: Book 62 :: Hadith 27]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya, Aourat se Nikah chaar Chizon ki bunyaad par kiya jata hai,
❶ Us ke maal ki wajeh se aur
❷ Us ke khaandani sharf ki wajeh se aur
❸ Us ki Khoobsurti ki wajeh se aur
❹ Us ke Deen ki wajeh se aur
Tu DEENDAR Aourat se Nikah kar ke kamiyabi hasil kar Agar aisa na kare to Tere haton ko mitthi lage gi (yani aakhir me tujh ko nadamat hogi).

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Volume 6 :: Hadith 5090]


✦..........♥ Ahel o Ayaal ke Sath Sab se Badi Khair Khwahi ♥..........✦

●◗► Kitna Zalim hai wo shaks jo Dunya mein apne Ahel o Ayaal ke liye har Qism ki rahat o Aaram ka bandobast karna chahta hai lekin wo unhe Jahannam ki Aag se bachana nahi Chahta!

"Apne Biwi bacchon ko har Qism ki sahulat aur Aaram dene walon! Kya tumhen unhen Jahannam se bacha kar Jannat mein le jane ki bhi koi Fikr hai?."

●═══════════════════◄►══════════════════●

⇨ "O you who believe! Ward off from yourselves and your families a Fire (Hell) whose fuel is men and stones, over which are (appointed) angels stern (and) severe, who disobey not, (from executing) the Commands they receive from Allah, but do that which they are commanded." (Qur'an 66:6)

⇨ Urdu Translation: "Aye Iman Walon! Tum apne aap ko Aur apne Ghar walon ko us Aag se Bachao jis ka Indhan Insan hain Aur Patthar jis per Saqt dil Mazboot Farishte Muqarrar Hain Jinhen jo hukm Allah Tala deta hai us ki Nafarmani nahi karte Balke jo Hukm diya jaye baja Late Hain." (Qur’an 66:6)

✦..............:o Islahi Paigham Tawajjoh Farmayen :o..............✦

●◗► Aap ka Password aap ke Alawah kisi ko Maloom nahi hai, Lehaza Apna Facebook Profile Deeni baton se pakizah aur saaf sutrah Rakhen, Behaya aur Gandi photos aur Post delete karden Kyun ke Mout kisi bhi waqt Aasakti hai aur Aap ke marne ke baad koi ise saaf nahi kar sakega.

✦ "Yad Rakhiye! Jab bhi koi Aap ka Account visit karega Aap ka Gunah Account badhta jayega, Qayamat ke din Aap ka Facebook Account Aap ke khilaf gawahi Ban jayega."

◈ :( "Gunah ko pehlane ka zariya bhi mat bano, kyun ke ho sakta hai ke Aap to Toba karlo Par jis ko Aap ne Gunah par Lagaya hai wo aap ki Aakhirat ki tabahi ka zariya ban jaye."

♥ My Lord! Remove from my Heart the Love of everything that You do not Love ♥

♥ Aye Mere Rab! Mere Dil se har us Cheez ki Mohabbat ko Mitade Jise tu Pasand nahi Farmata ♥ Aameen Ya Allah ♥

✦ "Shair ki 1 din ki Zindagi Gidad ki 100 Sala Zindagi se Behtar Hai" ✦

✿ Tipu Sultan Shaheed ✿ Youm-e-Shahadat (4th May) ✿

●◗► Aalame Islam ke Azeem Scholar, Faateh, Sipe Salaar aur Shayer ne 4th May 1799 (CE) ko Mysore ke Moqam par Sriranga patnam ki Aakhri Jung mein Angrez se Jihad karte hue Jame Shahadat Nosh Farmaya.

♥ Deen Islam ko phir kisi mard Mujahid ki zarurat hai,
♥ Aankhon mein jis ke haya ho dil mein jis k khofe khuda ho,
♥ Is ummat ko aise Momin ki zarurat hai,
♥ Allah ki rehmat ho jis par Shari’at ka paband ho,
♥ Jo aise khush Naseeb Insan ki is Mulk ko Zarurat hai ♥

✦...........:'( Jadeed Roop Mein Qadeem Shaitani Hathkande :'(..........✦

❶ Boldness (Dileri) ke Naam par badtamizi o badakhlaqi ka Furog.
❷ Confidence (Khud Aaitemadi) ke Naam par be sharmi ka Furog.
❸ Beauty & Fashion (Khoobsurti o Fashion) ke Naam par be pardagi, Iryani aur be Hayayi ka Furog.
❹ Love (Pyaar o Mohabbat) ke Naam par be Gairti aur Jinsi be Raah rawi ka Furog.
❺ Entertainment (Tafreeh) ke Naam par Naach gane aur sharab o Masti ka Furog.
❻ Exception & Need (Zarurat o Astasna) ke Naam par badtareen Gunahon ko waqt ki zarurat Qarar dena.
❼ Independence of View (Aazadi Izhare Rai) ke Naam par Ulama, Fuqaha, Aouliya aur Anmbiya ki shan mein Gustakhi aur Shari’at ki Muttafiqah o Muslimah chizon par Nokta chini.

◈➲ Allah Subhanahu Wa Ta'ala Hamare Mua’shre ko Shaitani Hathkandon se Mahfooz Rakhe. Aameen.

✦..........♥ Main Bakhushi Hath Mein Angara Lene ko Tayyar Hun ♥..........✦

√  Jab main kehta hun ke main pakka Musalman hun to log kehte hain: Ye Inteha pasand hai.
√  Jab main RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ki pyari Sunnaton ko apnata hun to log kehte hain: Ye Qadamat pasand hai (Qadeem rasm o riwaj ki pairwi karne wala).
√  Jab main Gunaho se bachne ka Ehtemam karta hun to log kehte hain: 100 chuhe kha kar Billi haj ko chali.
√  Jab main Taqribaat aur Mahfilon mein parde ki baat karta hun to log kehte hain: Ye Tarik Nazar hai (Nazron ke samne Andhera rakha hua hai).
√  Jab main Nizame Qur’an o Sunnat ke Jari hone ki baat karta hun to log kehte hain: Ye dahshat gardon ka sathi hai.

●◗► Main logon ki baton ki zara parwah nahi karta kyun ke Mere Samne to RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ka ye Irshad hai: “Logon par aik zamana Aisa Aayega Jis mein Apne Deen par Qayem rehne wala Hath mein Angara pakadne wale ki Tarah Takleef Mein hoga.”

[Urdu Ref :: Jami At-Tirmidhi :: Vol.2 :: Hadith 141]
[English Ref :: Jami At-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 7 :: Hadith 2260]

✦ Hadeese Nabwi Sallallahu Alaihi Wasallam ki Roshni mein Raat Guzaarne ki Ehtiyati Tadabeer ✦

Narrated Jabir bin `Abdullah RadiyAllahu Anhu: Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "When night falls (or when it is evening), stop your children from going out, for the devils spread out at that time. But when an hour of the night has passed, release them

► And close the doors and mention Allah's Name, for Satan does not open a closed door.
► Tie the mouth of your waterskin and mention Allah's Name;
► Cover your containers and utensils and mention Allah's Name. Cover them even by placing something across it,
► And extinguish your lamps. "

[Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Book 69 :: Hadith 527]

Urdu Translation: Hazrat Jabir bin Abdullah RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Jab Raat ki tariki chane lage ya sham hojaye to Apne bacchon ko ghar se bahar nikalne se rok liya karo kyun ke Shayateen us waqt phail jate hain, phir jab raat ka kuch hissa beet jaye to unhe chhordo.

► Aur Allah ka Naam lekar darwaze band karliya karo kyun ke shaitan band kiye hue darwaze nahi khol sakta,
► Aur Bismillah padh kar apne Mashkizon (yani pani ke bartan) ka muh band karliya karo.
► Aur Allah ka Naam lekar apne bartano ko dhaank diya karo, Aur Agar (dhaankne ke liye koi cheez na mile to) Chaodayi mein hi koi cheez bartan par rakh diya karo.
► Aur Apne charaag (sone se pehle) bujha diya karo (ta ke sote mein Aag lag jane ka Andesha na rahe).

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol.7 :: Hadith 5623]


✦..................♥ Khoobsurti ♥..................✦

◈ Aqal ki khoobsurti Gour o Tadabbur hai.
◈ Chehre ki khoobsurti Muskurahat hai.
◈ Zuban ki khoobsurti Khamoshi hai.
◈ Guftagu ki khoobsurti sacchayi hai.
◈ Libas ki khoobsurti saadgi hai.
◈ Ibadat ki khoobsurti Ikhlas hai.
◈ Insan ki khoobsurti Umdah Akhlaq o Kirdar hai.
◈ Dil ki khoobsurti Touheed baari Ta’la o Ishqe Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam hai.

✦..............:( Kitna Bura Haal hai Afsos Sad Afsos :(..............✦

●◗► Ham mein se bahot se logon ka Agar aik do din bhi Internet munqate (Disconnect) hojaye to bade pareshan hojate hain, Magar kayi kayi din Qur’an kareem ki Tilawat o Digar Ibadaat se kate rehne par koi Gham aur Afsos nahi hota. :(

✦...............:) Facebook ne Aap ko kya Diya? :)...............✦

❶ Qabile Fakhr aur Mufeed Dost diye?
❷ Haqiqi Mu’ashre se door kardiya?
❸ Rishte daron aur Purane doston se Talluqat ko mazboot banaya?
❹ Qeemti waqt zaye kiya?
❺ Ma’lumat aur Tajruba mein izafa kiya?
❻ Kuch bhi nahi diya?
❼ Fuzuliyat o Laghwiyaat mein Mashgool kardiya?
❽ Kuch Aur…?