Pages

Thursday, 23 October 2014

✦..................♥ Dunya ki Behtareen Aourat ♥..................✦

Narrated Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu: It was narrated that Abu Hurairah said: "It was said to the Messenger of Allah: 'Which woman is best?' He (Sallallahu Alaihi Wasallam) said:

❶ 'The one who makes him happy when he looks at her,
❷ Obeys him when he commands her, and
❸ She does not go against his wishes with regard to herself nor her wealth.'

[Sunan An-Nasa’i :: Vol. 4 :: Book 26 :: Hadith 3233]

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam se pucha Gaya ke: Behtareen Aourat Konsi hai?Aap Sallallahu Aliahi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Wo Aourat sab se behtar hai ke

❶ Jab Shohar us ki Taraf daikhe to wo Shohar ko khush karde,
❷ Jab Shohar kisi kaam ka Hukm de to wo us ki Farmanbardari kare,
❸ Aur Shohar ki marzi ke khilaf Apne Jaan o Maal mein Tasarruf (istemal) na kare.

[Urdu Ref :: Sunan An-Nasa’i :: Vol. 2 :: Hadith 1143]

●◗► Aik dafa Aik Buzurg Apne kuch shagirdo ke sath Namaz Fajar ada kar ke Masjid se bahar Aarahe the to unhone Aik khaak rob ko dekha jo Kuda wagerah apni Tokri mein dal kar use utha kar apne sir par rakhne ki koshish kar raha tha par Rakh nahi pa raha tha.

Buzurg ne Aage badh kar Apne hatho se Tokri ko pakad kar uski Madad ki, Shagirdon ne to bahot hi Sharmindagi o Nadamat ka izhar kiya aur us Khaak rob insan ko kosne lage, Jab buzurg Tashreef laye to unse kaha! Aap ne khud kyu zehmat farmayi, to wo Buzurg bole!

✿ Be waqufo Baat samjhe nahi ho "Ye Allah ka Fazl hai ke us ko us Haal mein rakhne wale ne hame is Haal mein rakha hua hai" wo Zarurat mand tha ham ne puri ki, Allah ka shukr hai aur tum log Zarurat bhi puri nahi karte aur Jhidki bhi dete ho, Toba karo aur be Niyaz Allah se darte raho, Hamari ye Buzrugi peer Murshidi aur Faqeeri bekaar hain Agar ham Mohtaj aur Mahroom ke kaam na Aayen.

●════════════════════◄►═══════════════════●

✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "BE LIKE A STRUCTURE & SUPPORT EACH OTHER" ✦

Abu Musa RadiyAllahu Anhu reported Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) as saying: A believer is like a brick for another believer, the one supporting the other.

[Sahih Muslim :: Book 32 :: Number 6257]

Urdu Translation: Hazrat Abu Musa RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Momin Momin ke liye Aisa hai Jaise Imarat mein Aik Int dusre Int ko thame rahti hai Isi Tarah har Aik Momin ko Lazim hai ke Dusre Momin ka Madadgaar rahe.

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol.6 :: Hadith 6585]

✦...........♥ Shaitan ka Shar aur Rahman ka Rahem ♥...........✦
 
Hazrat Abu Sa’id al-Khudri RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Shaitan ne (Bargahe Ilahi mein) Kaha:

Aye Rab! Mujhe Teri Izzat ki Qasam! Tere bandon ke Jismon mein Jab tak Rooh (Jaan) baqi rahegi main Unhen Gumrah karta rahunga.

Allah Rabbul Izzat ne Farmaya: "Mujhe apni Izzat o Jalal ki Qasam! Jab tak mere Bande mujh se Maghfirat mangte rahenge main bhi un ki Maghfirat karta rahunga."

[Al-Mustadrak alaa al-Sahihain Imam Al-Hakim :: Hadith 7672]

●═════════════════◄►═════════════════●

⇨ "And those who, when they commit an immorality or wrong themselves [by transgression], remember Allah and seek forgiveness for their sins - and who can forgive sins except Allah ? - and [who] do not persist in what they have done while they know." (Qur’an 3:135)

✦.♥ Neki ki Taraf Rahnumayi Karen Barabar ka Ajr o Sawab Payen ♥.✦

Narrated Abu Mas'ud al-Ansari RadiyAllahu Anhu: The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: One who guides to something good has a reward similar to that of its doer.

[Sahih Muslim :: Book 20 :: Hadith 4665]

Urdu Translation: Hazrat Abu Mas’ud al-Ansari RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: Jo Shaks Neki ke kisi kaam ki Taraf Rahnumayi kare to use Aml karne wale ke Barabar Ajr o Sawab milta hai.

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 5 :: Hadith 4899]

 ✦...............♥ Baat Karne se Pehle….!!! ♥...............✦

▶ Ruk Jayen aur Aik lamhe ke liye Sochen ◀

❶ Aap jo Baat karne ja rahe hain wo Baat sahih bhi hai?
❷ Dusron ke liye Faidah mand hai?
❸ Is Baat se kisi ki Dil Aazari to nahi hogi?
❹ Dusron ko batana Zaroori bhi hai?
❺ Aap ki Niyyat khair ki hai ya Shar ki?
❻ Ye Baat shar o Fasad ka Baa’is to nahi banegi?

•••••► Ab Aap Baat kar Sakte Hain…..:)

●═════════════════◄►═════════════════●

Narrated Sahl bin Sa`d RadiyAllahu Anhu: Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "Whoever can guarantee (the chastity of) what is between his two jaw-bones and what is between his two legs (i.e. his tongue and his private parts), I guarantee Paradise for him."

[Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 76 :: Hadith 481]

Urdu Translation: Hazrat Sahl bin Sa`d RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Mere liye jo Shaks dono Jabdon ke darmiyan ki cheez (Zuban) aur dono Paon ke Darmiyan ki cheez (Sharmgah) ki zimmedari dede main us ke liye Jannat ki Zimmedari deta hun.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol.7 :: Hadith 6474]


✦.........♥ Musafaha Karen Gunah Muaaf Karwayen ♥.........✦

Narrated Al-Bara' ibn Azib RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: Two Muslims will not meet and shake hands having their sins forgiven them before they separate.

[Sunan Abu Dawood :: Book 42 :: Hadith 5193]

Urdu Translation: Hazrat Bara bin Azib RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: Jab do Musalman Aapas mein Milte hain, Musafaha karte hain to Juda hone se Qabl un ke Gunah Muaaf kardiye jate hain.

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 1769]

✦.......♥ Aankhon ki Binayi ka BILL Pabandi se Ada Karen ♥.......✦

●◗► Insani Aankhon ke Anduruni Janib Allah Rabbul Izzat ne 26 corers Roshni ke Bulb (Receptors) rakhe hain jo ke 14 Lakh taron ke zariye Dimagh se Mansalak hain.

"Gor se samajhne ki baat ye hai ke Allah Rabbul Izzat ne is poore Barqiyati Nizam ka BILL sirf aur Sirf aik hi Manga hai aur wo hai: "Nazron ki Hifazat."

●════════════════════◄►═══════════════════●
⇨ "Say to the believing men that they should lower their gaze." (Qur’an 24:30)
⇨ Urdu Translation: "(Aye Nabi!) Aap Momin Mardon se Keh dijiye ke wo Apni Nazren nichi Rakhe. (Qur’an 24:30)

⇨ "And say to the believing women that they should lower their gaze." (Qur’an 24:31)
⇨ Urdu Translation: "Aur Aap Momin Aourton se keh dijiye ke wo Apni Nazren nichi Rakhen. (Qur’an 24:31)

✦...............♥ Mushkilaat ke Waqt 3 Baten ♥...............✦

✿ Jab Aap par koi Musibat Aapade to 3 Baten sochen: ✿

❶ Ye Musibat Aarzi aur Waqti hai.
❷ Ye Musibat Allah ki Taraf se hai aur main Allah ke Faisle par Razi hun.
❸ Is Musibat ke badle Allah Subhanahu Wa Ta'ala mujhe kayi Khushiyon se Nawazenge.

⇨ "O you who have believed, seek help through patience and prayer. Indeed, Allah is with the patient." (Qur’an 2:153)

⇨ "Aye Iman Walon! Sabr aur Namaz ke zariye Madad chaho, Allah Tala Sabr walon ka sath deta hai." (Qur’an 2:153)

●◗► Aik dafa ka Zikr hai ke 24 Aadmi aik moqam par Jangal mein darakht kaat rahe the ke Mosla dhaar barish shuru hogayi wo Nazdkeek hi aik Bade kamre mein barish ke rukne ka intezar karne lage, Itne mein Bijli chamakne lagi aur Ghan Garj se kamre ki chat par se hokar wapas chali jati, Is tarah Aasmani Bijli ka silsila taiz hogaya, Sab ne mashwarah kiya ke ho sakta hai ham mein se kisi aik Aadmi par Bijli padni ho, Aisa karte hain ke har Aadmi aik Aik kar ke kamre se bahar jaye Jis Aadmi par Bijli Girni hogi gir jayegi aur baqi bach jayenge.

Mashwarah ke tahet Tamam Aadmi bari bari kar ke Bahar gaye aur bach kar wapas Aagaye Aakhir mein 24 wan Aadmi rehgaya, Baqi sab ko yahi laga ke bus yahi wo Aadmi hai jis par Bijli girni hai Lekin wo bahar jane ko tayyar na tha, Sab ne milkar us ko uthaya aur bahar phaink diya aur kehne lage ke is ki wajah se ham sab pareshan the, Itne mein Aasmani Bijli zor se kamre par padi aur sab ke sab Jal kar raakh hogaye, sirf us “24 wen Aadmi ki wajah se 23 Aadmi bach rahe the aur ab wo Tamam to khatam hogaye magar wo bach gaya.”

●◗► Aksar aisa hi hota hai Ham Dusron ko Qusoorwaar samajh rahe hote hain Magar Qusoor hamara Apna hi hota hai aur ham kisi aur ke sabab se pareshani aur Musibat se bach rahe hote hain Lekin hamen is ka Ehsas tak nahi hota.

Tuesday, 14 October 2014

✦...............♥  2 Minute Mein 1000 Nekiyan ♥...............✦

Hazrat Sa’d bin Abi Waqas RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke ham RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ki Khidmat mein baithe hue the:

Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Kya tum Rozana Aik Hazar Nekiyan kamane se Aajiz ho?” Qareeb baithe Aik sahabi ne RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam se pucha: Ham kis tarah aik Hazar Nekiyan kama sakte hain?

Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Jo 100 Martaba SubhanAllah padhe us ke liye 1000 Nekiyan likh di jayengi aur us ke 1000 Gunah Muaaf kardiye jayenge.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 6 :: Hadith 6852]

●════════════════════◄►═══════════════════●

Mus'ab b. Sa'd RadiyAllahu Anhu reported that his father told him that he had been in the company of Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) that he said: Is one amongst you powerless to get one thousand virtues every day.

Amongst those who had been sitting there, one asked: How one amongst us can get one thousand virtues every day? He (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: Recite: (SubhanAllah) " Hallowed be Allah" one hundred times for (by reciting them) one thousand virtues are recorded (to your credit) and one thousand vices are blotted out.

[Sahih Muslim :: Book 35 :: Hadith 6517]


► Ya Allah! Jab main Mayoos hojaun ke Meri Duayen Qubool nahi hoten to ye Yaad karne mein meri Madad Farma ke..

♥ Tera Pyaar aur Rahmat meri Mayusiyon se kahin zyadah hai aur Meri Zindagi ke bare mein tere Faisle meri Khuaheshon se kahin behtar hain. Aameen ♥



✦............✿...........✔ Niraali Dua ✔............✿...........✦

●◗► Aik Martaba Hazrat Umar RadiyAllahu Anhu Khana Kaaba ka tawaaf kar rahe the kya daikhte hain ke aik Baddu khada Dua mang raha hai ke Ya Allah! Mujhe apne Qaleel bandon mein se banade.

Jab Hazrat Umar RadiyAllahu Anhu ne ye Ajeeb Dua suni to Aap ne us Baddu ko bulaya, aur Farmaya: Tu ye kya Maang raha hai? Us Baddu ne kaha: "Kya aap nahi jante ye keh kar wo chup hogaya."

✿ Ab to Hazrat Umar RadiyAllahu Anhu ka Ishtiaq badh gaya aur Farmaya: "Kya baat hai?" us Baddu ne kaha: Kya aap ne Quran shareef ki ye Aayat nahi padhi.

✿ "Mere Bandon mein se Shukr Guzaar bande km hi hote hain." (Qur’an 34:13) aur main isi liye Allah se Darkhuast kar raha hun ke ya Allah mujhe un Shukr Guzar bandon mein se banade jo bahot km hai.

► Is par Hazrat Umar RadiyAllahu Anhu ne Farmaya: "Har shaks Umar se zyadah janne wala hai aur phir Aap RadiyAllahu Anhu kaafi dair tak sir jhukaye baithe rahe."

◈ Ishtiaq - Aarzu, Tamanna, Shoq.
◈ Baddu - Dihati.

●◗► Fashion logon ko Mutassir karne ka Aik zariya hai Jabke Sunnat Nabwi Allah Subhanahu Wa Ta'ala ko Razi aur khush karne ka zariya.

"Yaad Rakhiye! Log kabhi kisi se khush nahi hote Jabke Allah Subhanahu Wa Ta'ala apne Bandon se bahot jaldi Razi aur khush hojate hain."

▶▶▶ Ab Aap ki Marzi Jise Chahen Khush Karen..!!! ◀◀◀


✦..♥ Takeer Tashreeq اللہ اکبر اللہ اکبر لا الہ الا اللہ واللہ اکبر اللہ اکبر وللہ الحمد ♥..✦

"Hazrat Ali RadiyAllahu Anhu Arafah (9 Zul Hijjah) ke din Namaz Fajr se Ayyam Tashreeq ke Aakhri din (13 Zul Hijjah) ki Namaz Asr tak Takbeere Tashreeq padhte the."

[Musannaf Ibn Abi Shaybah :: Hadith 5631]

●◗► 9 Zul Hijjah (5/Oct) ki Fajr se 13 Zul Hijjah (9/Oct) ki Asr tak har Farz Namaz ke baad ba Jama’at ya Tanha Namaz padhne wale Mard par Aik Martaba buland Aawaz se aur Aourat par aik Martaba Aahista Aawaz se ye Takbeer padhna Wajib hai.

●════════════════════◄►═══════════════════●

"ON the day of Arafah Hazrat Ali RadiyAllahu Anhu recite Takbeere Tashreeq from from Fajr of 9th Zul Hijjah to Asr of 13th Zul Hijjah."

[Musannaf Ibn Abi Shaybah :: Hadith 5631]

●◗► From Fajr of 9th Zul Hijjah to Asr of  13th Zul Hijjah after every Fard Salaah offered men with or without congregation reciting Takbeer once with loudness is  Wajib And for women without loudness is wajib.


✦.....♥ Assalamu Alaikum Eid Mubarak to you & your Family ♥.....✦

♥ My BROTHERS & SISTERS ♥

تَقَبَّلَ اللّهُ مِنَّا وَ مِنْكُمْ

"Taqabbala Allaahu Minna Wa'minkum ! (May Allaah Accept (Good Deeds) From us and From you."

★•.•´¯`•.•★ ♥ A A M E E N ♥ ★•.•´¯`•.•★

اللہ اکبر اللہ اکبر لا الہ الا اللہ واللہ اکبر اللہ اکبر وللہ الحمد

●◗► "Allahu Akbar Allahu Akbar La ilaaha illallahu Wallahu Akbar, Allahu Akbar Walillahil Hamd!"


✦.....♥  REVIVE A SUNNAH ⇨ "Going to Eidgaah By Walk" ♥.....✦

Narrated Abdullah Ibn Umar RadiyAllahu Anhu: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam went out by one road on the day of the Eid (‘Id) and returned by another.

[Sunan Abu Dawud :: Book 3 :: Hadith 1152]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah Ibn Umar RadiyAllahu Anhu se riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Eidgaah Jane ke liye Aik Rastey ko aur us se wapasi ke liye Dusre ko Ekhtiyar farmate the.

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawud :: Vol. 1 :: Hadith 1144]

●════════════════════◄►═══════════════════●

✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "Don't Eat BEFORE OFFERING EID PAYER (Eid Al-Dhuha)" ✦

It was Narrated from Ibn Buraidah RadiyAllahu Anhu from his father, that: The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) would not go out on the Day of Fitr until he had eaten, and he would not eat on the Day of Nahr (the day of sacrifice) until he came back.

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 7 :: Hadith 1756]

Urdu Translation: Hazrat Buraidah RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Eid Al-Fitar ke Roz kuch khaye Bagair na Nikalte Aur Eid Al-Dhuha ko (Namaz se) Wapas Aane Tak kuch na khate.

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Hadith 1756]

♥ Aalame ISLAM ko Islami Tareeq ka 1426 (Hijri) wan "HAJJ MUBARAK" ho ♥

♥ Wishing Hajj for the world of ISLAM of 1426 (Hijri) ♥

Friday, 3 October 2014

✦....♥ Arafah Rehmat o Maghfirat ka Thathen Maarta Samandar ♥....✦

'A'isha (Allah be pleased with her) reported Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) as saying: There is no day when God sets free more servants from Hell than the Day of 'Arafah. He draws near, then praises them to the angels, saying: What do these want?

[Sahih Muslim :: Book 7 :: Hadith 3126]

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: Allah Subhanahu Wa Ta'ala Arafah ke Din Jis Qadar logon ko Jahannam se Aazad farmate hain itne kisi aur Din Aazad nahi farmate, bila Shuba Allah Subhanahu Wa Ta'ala is din Apni Rehmat o Maghfirat ke sath bandon ke intehayi qareeb hojate hain aur phir Farishton ke samne (Hujja karam) par fakhr karte hue farmate hain: "Mere ye Bande kya chahte hain?".

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 3 :: Hadith 3288]


♥ 9th Dhul-Hijjah, 05th-Oct-2014 Baroz ITWAR, Arafah ka Rozah ♥
✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "FASTING ON THE DAY OF 'ARAFAH" ✦

Great Opportunity is knocking! Day after Tomorrow, 05th October 2014, InshaAllah, would be the 9th day of Dhulhijjah, which is the Day of Arafah. Don't miss it! Do Fasting! Grab the Opportunity and Get Fabulous Reward, InshaAllah!

Fasting on the day of ‘Arafah is a confirmed Sunnah for those who are not performing Hajj.

●════════════════════◄►═══════════════════●

✦ Mafhum-e-Hadith- Arafah (9 Dhul-Hijjah) ke Din ka Roza Aik saal Guzre huye aur Aik saal Aage Aane wale (Gunaho) ka kaffara Hai ✦

It was narrated from Abu Qatadah RadiyAllahu Anhu that the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Fasting on the Day of ‘Arafah, I hope from Allah, expiates for the sins of the year before and the year after."

[Sahih Muslim :: Book 006 :: Hadith 2603]
[Sunan ibn Majah :: Vol. 2 :: Hadith 1730]

Urdu Translation: Hazrat Abu Qatadah RadiyAllahu Anhu se rivayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Mujhe Allah se Ummid hai ke Arafah (9 Dhul-Hijjah) ke Din ka Rozah Aik saal Guzre hue aur Aik saal Aage Aane wale Gunahon ka Kaffarah hai."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 3 :: Hadith 2747]
[Urdu Ref :: Sunan ibn Majah :: Vol. 1 :: Hadith 1730]

●◗► 05th-Oct-2014, Baroz ITWAR ko 9 Dhul-Hijjah hogi, Tamam Musalman Roza rakh kar Ummat Muslimah ke liye Khususi Duao ka Ehtemam Karen.


●◗► Dunyawi Aaloodgi se Aankhen Dhundli ho jati hain aur phir har cheez Haqiqat ke Bar’aks nazar Aane lagti hai Agar Dunya ko Haqiqat ki Nigah se daikhna chahen to Waqtan Fa’waqtan Apni Aankhon ko khofe Khuda se bahne wale Aansuon se dhote rahen.

◈ Aaloodgi - Gandagi.
◈ Bar’Aks - Bar khilaaf, Ulta.
◈ Waqtan Fa’waqtan - Kabhi kabhi, Hisbe Moqa.


✦........✔ Aourat..!! Paon ki Juti ya Sar ka Taaj ? ✔.........✦

●◗► Aik Majlis mein kisi shaks ne kaha: Aourat ki Misaal Juti ki si hai, Jab munasib Naap ki doosri Juti mil jaye to purani ko chhor dena chahiye.

Aik Samajhdar aur Daana Shaks ye sunkar kehne laga ke is Aadmi ne bilkul Sahi kaha.

Aourat us shaks ki Nazar mein Juti ki tarah hi hoti hai Jis ka Poora Wujoood paon ki Tarah Neech aur Ghatya ho aur ► "Us Shkas ki Nazar mein Taaj ki tarah hoti hai Jis ka Wujood Sar ki Tarah Aa’la aur Umdah ho."


✦.............♥ Qurbani Mein Poshidah Hikmaten ♥.............✦

❶ Hazrat Ibrahim aur Ismail Alaihis Salam ki Azeem Qurbani ko yaad Rakhte hue apna sab kuch Yaha tak ke Apne Jigar Goshon ko Allah ke Deen ke liye Qurban kardene ka Jazba paida karna. (Qur’an 37:102)

❷ Mahez Allah ke Naam par Qurbani ke Janwar ko Zabah karna. (Qur’an 22:28, 6:162)

❸ Insan ke liye Janwaron aur Maweshiyon ke Tabe aur Halal kiye Jane par Allah Tala ka Shukr Baja lana. (Qur’an 22:36)

❹ Fuqra’a o Masakeen ke liye Khane aur Gosht ki Farahmi ka sabab. (Qur’an 22:36,28)

❺ Zul Hijjah ki Duswi Tareek ki Azmat ka Izhar. (Qur’an 89:2,3)


✦.......✔ Ashrah Zul Hijjah ki Niraali Shaan, Sa’adat ke Din Ibadat ki Raten aur is Azeem Ashrah ke Azeem Aa'mal ✔.......✦

⇨ "Qasam hai Fajr ki aur Qasam hai Dus Raton ki." (Qur’an 89:1,2)

●◗► Aksar Mufassireen ke Mutabiq in Dus raton se Murad Zul Hijjah ki pehli 10 Raten hain aur ye baat bhi Musallamah hain ke Allah Subhanahu Wa Ta'ala ka kisi Cheez ki qasam khana ye wazeh daleel hai ke wo cheez badi Oonchi shan, Azmath aur Moqam wali hai.

●════════════════════◄►═══════════════════●

Narrated Abdullah Ibn Umar RadiyAllahu Anhu He (Sallallahu Alaihi Wasalalm) also said: "There are no days in which righteous deeds are more beloved to Allaah than these ten days (i.e., the first ten days of Dhul-Hijjah) Therefore praise and glorify Allaah abundantly in these days."

[Musnad Ahmad :: Hadith 5446]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Umar RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Zul Hijjah ke Dus (10) dinon se badh kar koi Din Aisa nahi jis mein Naik Aa’mal Allah ke Nazdeek zyadah Mahboob aur Azeem-ul-Martabat ho, Lihaza in 10 Dino mein Tahleel (La ilaha illAllah ) Takbeer (AllahuAkbar) aur Tahmeed (Alhamdulillah) kasrat se padha karo.

[Musnad Ahmad :: Hadith 6154] [Sahih Bukhari :: Hadith 969]


✦.............✔ Qurbani ke Janwaron ki Tafseel ✔.............✦

✿ Chote Janwar: Bhaid, Dunbah, Bakra, Bakri ✿

• In ki Umr km az km Aik (1) saal honi chahiye.
• Albatta Agar 6 Maah ka dumbah Jasamat mein Aik Saal ka lage to us ki Qurbani bhi jayez hai.
• In ki Qurbani sirf Aik Aadmi ki taraf se ho sakti hai.

✿  Bade Janwar: Gaye, Bail, Bhains  ✿

• In ki Umr km az km Do (2) Saal honi chahiye.
• In ki Qurbani mein zyadah se zyadah sath (7) Afrad shareek ho sakte hain.

✿  Oont  ✿

• Is ki Umr km az km Panch (5) saal honi chahiye.
• Is ki Qurbani mein bhi sath (7) Afrad shareek ho sakte hain.

●◗► (Shurka mein se kisi aik ki Aamdani bhi Haram ho ya Mahez gosht khane ki Niyyat ho to Deegar shurka ki Qurbani bhi durust na hogi) "Darje bala Janwaron ke Alawah digar Halal Janwaron (Masalan: Nail gaye aur Hiran wagerah) ki Qurbani durust nahi."