Pages

Saturday, 21 January 2017

✦.......► Khane ke Baad Hath Dhokar Soyyen! ◄.......✦

The Prophet (ﷺ) said: “If anyone spends the night with grease on his hand which he has not washed away, he can blame only himself if some trouble comes to him.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 27 :: Hadith 3843, 3852]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks is Haal mein Soye ke us ke Hath par Khane ki koi Boo ya Chiknahat wagerah Rah gayi ho, Phir use koi Cheez (Mauzi Hashrat ul-Arz) kaat le to wo Apne aap ke Siwa kisi ko Malamat na kare.”

[Urdu Ref :: Sunan Abi Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 451, 3854]

●◗► Biwi agar Bimar padi hai aur Dusri Janib shohar bhi Bimar ho gaya to apni Bimari ko bhool kar Khawind ki Bimar Pursi mein Lag jati hai Kyun ke Biwi ko apne Khawind se Aage koi Nahin hota, Aisi Biwi ki Qadar na karna Shohar ke liye Bad Naseebi hai.

●◗► Waldain ke Inteqal ke Baad Beti ko Bhaiyyon ka Aasra hota hai, Kabhi bhi apni Bahen ko Akela mat Chhoden, Jab bhi Maike Aaye to us ki Khoob khidmat Karen Taa k us ko Waldain ki kami km se km Mahsoos ho, Naa ke Bhai aur Bhabi us se Talluq hi Tod den.

✦......✿.......✔ ISTIKHARAH Kaise Karen? ✔.......✿......✦

Hazrat Jabir bin Abdullah RadiyAllahu Anhu Farmate hain: "RasoolAllah ﷺ hamen apne Tamam Mua’mlat mein Istikharah karne ki isi tarah Taleem dete the jis tarah Quran ki koi Surat hamen sikhlate, Aap ﷺ Farmate ke jab tum mein se koi shaks kisi (Jayez) kaam ka iradah kare to 2 Rakat (Nafl) padhe is ke baad yun Dua kare:

(Tarjuma): “Aye mere Allah! Main tujh se tere Ilm ki badolat khair talab karta hun aur Teri qudrat ki badolat tujh se Taqat mangta hun aur tere Fazl azeem ka talabgar hun ke Qudrat tu hi rakhta hai aur mujhe koi Qudrat nahin, Ilm tujh hi ko hai aur main kuch nahin janta aur tu tamam Poshidah baton ko Janne wala hai, Aye mere Allah! Agar tu janta hai ke 'Ye kaam (Jis ke liye istekhara kiya ja raha hai) mere liye behtar hai, Mere deen ke Aitebar se, Meri Ma’aash aur mere Anjam kaar ke Aitebar se ya mere liye waqti tor par aur Anjam ke Aitebar se ye behtar hai to ise mere liye Naseeb karde aur is ka husool mere liye Aasan farmade aur phir is mein mujhe barkat Ata farma.

Aur Agar tu janta hai ke 'Ye kaam Mere liye bura hai Mere deen ke liye, Meri zindagi ke liye aur Mere anjam kaar ke liye, ya mere Muamlah mein waqti tor par aur Anjam ke Aitebar se (bura hai) to ise Mujh se hata de aur Mujhe bhi us se hatade, Phir mere liye khair Muqaddar farmade, Jahan kahin bhi wo ho aur Phir mujhe is se Mutmain karde.

Phir Aap ﷺ ne Irshad Farmaya ke (Hadhal Amr ya dua ke waqt) us kaam ka Naam le (Jis ke bare mein Istekharah karna Chahta hai)."

●◗► Istikharah Din Raat mein kisi bhi waqt (Nawafil ke liye Makruh auqat ke alawah) kiya ja sakta hai Naiz Istikharah ke baad kisi khuab ya Gaibi ishare ka Aana bhi zaroori nahi, Sirf dil ka kisi aik Janib Mayel ho jana aur kisi kaam ke liye Sharh Sadr ho jana kafi hai, Aaj ham log Istikhare ke Sunnat Tariqe ko chhor kar gair Masnoon tariqon ke piche lage hue hain, Allah Subhanahu Wa Ta'ala ham sab ko sunnaton par Aml paira hone ki Taufeeq Marhamat farmaye. (Aameen)

[Urdu Ref :: Sahih al-Bukhari :: Vol. 7 :: Hadith 6382, Vol. 8 :: 7390] [Jami` at-Tirmidhi 480]

●═════════════════◄►════════════════●

Narrated Jabir RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) used to teach us the Istikhara for each and every matter as he used to teach us the Suras from the Holy Qur'an. (He used to say), "If anyone of you intends to do something, he should offer a two-rak`at prayer other than the obligatory prayer, and then say:

'Allahumma inni astakhiruka bi'ilmika, wa astaqdiruka biqudratika, wa as'aluka min fadlika-l-'azim, fa innaka taqdiru wala aqdiru, wa ta'lamu wala a'lamu, wa anta'allamu-l-ghuyub. Allahumma in kunta ta'lamu anna ‘hadha-lamra’ (name your matter) khairun li fi dini wa ma'ashi wa 'aqibati `Amri (or said, fi 'ajili `Amri wa ajilihi) fa-qdurhu li, wa-yassirhu li thum-ma baarik lee feeh, Wa in kunta ta'lamu anna ha-dha-l-amra (name your matter) sharrun li fi dini wa ma'ashi wa 'aqibati `Amri (or said, fi ajili `Amri wa ajilihi) fasrifhu 'anni was-rifni 'anhu wa aqdur li alkhaira haithu kana, thumma Raddani bihi,"

O Allah! I consult You, for You have all knowledge, and appeal to You to support me with Your Power and ask for Your Bounty, for You are able to do things while I am not, and You know while I do not; and You are the Knower of the Unseen. O Allah If You know It this matter (name your matter) is good for me both at present and in the future, (or in my religion), in my this life and in the Hereafter, then fulfill it for me and make it easy for me, and then bestow Your Blessings on me in that matter. O Allah! If You know that this matter is not good for me in my religion, in my this life and in my coming Hereafter (or at present or in the future), then divert me from it and choose for me what is good wherever it may be, and make me be pleased with it."

[Urdu Ref :: Sahih al-Bukhari 6382, 7390] [Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 75 :: Hadith 391]


✦.......► Khawateen Par Tashaddud ki Mazammat ◄.......✦

❶ Khawateen par Tashaddud Zulm hai aur Quran o Hadees mein Zulm ko Haram aur Roze Qayamat Andhera Qarar diya gaya hai. Khawateen par Gharelu Tashaddud Allah Rabbul izzat ke Darj zail Hukum ki Sareeh khilaf Warzi hai: “Aur un ke sath Bhale andaz mein Zindagi basar karo.” (Surah An-Nisa: 19)

❷  Aik Lathi, danda ya koda bhi Aurat ko Nahaq mara to Qayamat ke din us ka Hisab dena hoga: Nabi Kareem ﷺ ne Irshad Farmaya: “Jis ne kisi ko Na haq koda mara, Qayamat ke din us se us (zyadati) ka Badla liya jayega.” (Al-Mu'jam Al-Kabeer Al-Tabarani: 1468)

❸ Khawateen ke Chehre par Tashaddud to Darindagi ki Inteha hai: Hazrat Mu’awiyah al-Qushayri Farmate hain ke main ne Arz kiya: Ya RasoolAllah ﷺ ! Biwi ke Khawind par kya huqooq hai? Aap ne Farmaya: “Jab tum khao to use bhi khilao aur Jab Pahno to use bhi Pahnao, us ke Chehre par na maro, na use bura bhala kaho aur aur Batore Tabeei agar us se Alahedgi Ekhtiyar karni ho to Ghar hi mein Alahedgi Ekhtiyar karo.” (Sunan Abi Dawud: 2142)

❹ Aurton ko Marne peetne walon ko RasoolAllah ﷺ ne Bad’tareen Insan Qarar dete hue Irshad Farmaya: “Bahot si Aurton ne Muhammad ﷺ ki Azwaje Mutahrat se Shoharon ki Janib se (maar peet ki) Shikayat ki hai, Aise log tum mein se Acche log nahin hain.” (Sunan Abi Dawud: 2146)

❺ RasoolAllah ﷺ ne Biwiyon par Tasahddud karne walon ko Sakht Aar dilayi aur Irshad Farmaya: “(Tumhen sharm Nahin aati ke) Tum mein se koi Apni Ahliya ko Din ke shuru mein Gulam ki tarah mare aur phir din ke Aakhir mein us se Jismani Faidah bhi uthaye.” (Al-Mu'jam Al-Kabeer Al-Tabarani: 15177)

●◗► Khoobsurat hai wo Dil jo kisi ke Dard ko Samjhe, Khoobsurat hai Wo Hath Jo kisi ko Mushkil waqt mein Thaam len, Khoobsurat hai wo Soch jo kisi ke Liye Accha sonche aur Khoobsurat hai wo Insan jis ko Allah Subhanahu Wa Ta'ala ne ye Khoobsurtiyan Ata ki hain. ♥


✦.......► Bewah Aurat ki Iddat 4 Mahine 10 Din!◄.......✦

Narrated Humaid bin Nafi`: Zainab bint Abu Salama told me these three narrations: Zainab (RadiyAllahu Anha) said: I went to Um Habiba, the wife of the Prophet (ﷺ) when her father, Abu- Sufyan bin Herb had died. Um ,Habiba asked for a perfume which contained yellow scent (Khaluq) or some other scent, and she first perfumed one of the girls with it and then rubbed her cheeks with it and said, "By Allah, I am not in need of perfume, but I have heard Allah's Messenger (ﷺ) saying,

'It is not lawful for a lady who believes in Allah and the Last Day to mourn for a dead person for more than three days unless he is her husband for whom she should mourn for four months and ten days.'"

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 7 :: Book 63 :: Hadith 251, 5334]

●════════════════◄►═══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Zainab RadiyAllahu Anha Farmati hain ke Main RasoolAllah ﷺ ki Zojah Mutahra Umm Habiba RadiyAllahu Anha ke paas un ke Walid Abu Sufyan RadiyAllahu Anhu ke inteqal ke Waqt gayi, Umm Habiba RadiyAllahu Anha ne Khushbu Mangwayi Jis mein khuluq (khushbu) ki Zardi ya kisi aur Cheez ki milawat thi, Phir wo Khushboo aik Khadima ne unhen lagayi aur Ummul Mu'minin ne Khud apne Rukhsaron par use lagaya, us ke baad Farmaya ke Allah ki Qasam! Mujhe Khusboo ke Istemal ki koi Khuahesh nahin thi lekin Main ne RasoolAllah  ﷺ ko ye Irshad Farmate hue Suna hai:

“Jo bhi Aurat Allah aur Aakhirat ke din par Iman Rakhti ho, Us ke liye Jayez nahin hai ke wo Teen din se zyadah kisi ka Sog manaye, Siwaye Shohar ke ke us ka Sog Chaar Mahine aur 10 din hai.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Hadith 5334]

✦.............► Apna Hissa Milayye!◄..............✦
:'( Ahle Sham ko Duaon aur Imdad ki Zarurat! :'(

The Messenger of Allah (ﷺ) went out on the day of Badr along with three hundred and fifteen (men). The Messenger of Allah (ﷺ) said: O Allah, they are on foot, provide mount for them; O Allah , they are naked, clothe them; O Allah, they are hungry, provide food for them.

[Sunan Abi Dawood ::   Book 14 :: Hadith 2741, 2747]

Urdu Translation: Ghazwa Badar ke Moqe par Sahaba ki be Saromani dekh kar RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Aik Khoobsurat aur Jame Dua Mangi thi, Sakht Sardi aur Kasampursi ki Halat mein Camps mein Pade Ahle Sham ke liye Aaj ham Inhin Alfaz se Dua Mangte hain:

“ilahi! Ye log Nange paon hain Inhen Sawari ata Farma, Ye Bagair kapdon ke hain Inhen kapde de, Ye Bhuke hain inhen khana khilade.”

[Urdu Ref :: Sunan Abi Dawood :: Vol. 2  :: Hadith 974, 2749]

 "‏ اللَّهُمَّ إِنَّهُمْ حُفَاةٌ فَاحْمِلْهُمُ اللَّهُمَّ إِنَّهُمْ عُرَاةٌ فَاكْسُهُمُ اللَّهُمَّ إِنَّهُمْ جِيَاعٌ فَأَشْبِعْهُمْ ‏"‏


✦....♥ Bukhaar Ka Ilaaj (Fever Treatment) ♥....✦
✦........▶ Tibbe Nabai aur Jadeed Tibb  ◀........✦

Narrated Aisha RadiyAllahu Anha: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "Fever is from the heat of the (Hell) Fire, so cool it with water."

[Sahih Bukhari :: Vol. 4 :: Book 54 :: Hadith 485]

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Bukhar Jahannam ki bhaap mein se hai is Liye ise Pani se thanda kiya karo."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 4 :: Hadith 3263]

●◗► Agar RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ki Talimaat aur Sunnat samajh kar Bukhar mein Thande pani ki Pattiyan Mareez par dali Jayen to Ilaaj bhi aur Sunnat ka sawab bhi.

✦.........♥ Mard ka Pardah ♥.........✦

●◗► Aurat ke Parde ki sab ko Fikr Rahti hai Sab puchte hain ke Aurat ka Pardah kaisa hona Chahiye kya koi ye bhi Janta hai ke Allah Subhanahu Wa Ta'ala ne Quran Kareem mein Mard ke parde ka bhi Zikr Farmaya hai.

⇨ "Momin Mardon se keh do ke wo Apni Nigahen nichi Rakhen aur Apni Sharm Gahon ki Hifazat karen, Yahi un ke liye Pakeezah tareen Tariqa hai." (Surah An-Noor: 30)

 ➲ Nigahon ki Na Mahram Aurton aur Na Jayez Chizon se Hifazat karna "Mard" ka Pardah hai.

♥ Betiyan to sab ki Betiyan hoti hain ye Hamari aur Tumhari nahin Hotin, Maa ke Dil ka sukoon, Baap ke dil ki Dhadkan hoti hain Betiyan, Dunya mein Chahaton ki Behtareen surat hoti hain Betiyan, Betiyan to Rehmat hoti hain. ♥

✦.......► Ladkiyon ki Rukhsati Mein Jaldi! ◄.......✦

Aaj kal Ham ne Shadiyon ko itna Mushkil bana diya hai ke Badi Beti ki Shadi tak baqi Choti bahnen bhi Jawani ki Dahleez tak pahoch Jati hain.... Ham pahle Badi beti ki Mangni, phir kayi Saal baad Nikah aur (Ab naya Riwaj chal pada hai ke Nikah ke bhi kayi Saal baad) Rukhsati karte hain, in Fuzool Marahil se guzarne ke baad Dusri beti ka Number aata hai aur Phir Teesri ka, Islam mein Shadi ki Mahngi, Fuzool aur Sabr Aazma Rusumaat ka koi Tasawwur nahin, RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ke Irshad ka Mafhoom hai ke Ladki ka jab Munasib Rishta mil Jaye to Nikah aur Shadi mein hargiz Takheer na ki Jaye. (Sunan Al-Kubra Al-Bahaqi: 13535)

Saturday, 7 January 2017

✦...........♥ Musalman Aurat ♥...........✦

Aik Aurat ne Kisi Aalim se Pucha: Islam ne Hamen  Shohar ki Ita’at aur Farmanbardari ka Paband kyu banaya hai?

Jab ke Shohar ko Hamari Ita’at ka Paband nahin banaya Gaya?

Aalim ne Pucha: Is Shohar se Tere kitne Bete hain?

Aurat Boli: 3 Bete hain.

Is par Aalim ne Jawab diya: Allah ne Tujhe Aik Mard ki Ita’at ka hukum diya…Aur teen Mardon ko teri Ita’at ka hukum diya…Tere sath Accha Muamla kiye bagair wo Teenon Mard hargiz Jannat mein dakhil Nahin ho sakenge…Ab tu hi bata ke Zyadah paband kon hai???

Aurat ne Jawab diya: Beshak! Islam ki Nemat par main Allah ka Shukr Ada karti hun…♥

✦...► Nasha Aawar Ashya ka Qaleel Istemal bhi Haram! ◄...✦

The Prophet (ﷺ) said: "If a large amount of anything causes intoxication, a small amount of it is prohibited."

[Sunan Abi Dawud :: Book 26 :: Hadith 3673, 3681]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Jo cheez Zyadah Miqdar mein Nasha deti hai us ki Thodi Miqdar ka Istemal bhi Haram hai.”

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 282, 3683]

✦.......► Pahad Jitna Qarz Bhi Ada ho Jaye ga! ◄.......✦

Ali [may Allah be pleased with him] narrated: That a Mukatib came to him and said: “Indeed I am not capable of my Kitabah so aid me.” He said: “Should I not teach you words that the Messenger of Allah (ﷺ) taught me? If you had a debt upon you similar to the mountain of Sir, Allah would fulfill it for you. He said: ‘Say:

O Allah, suffice me with Your lawful against Your prohibited, and make me independent of all those besides You (Allāhummakfinī biḥalālika `an ḥarāmika, wa aghninī bi faḍlika `amman siwāka).’”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 6 :: Book 46 :: Hadith 3563, 3563]

●════════════════◄►═══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Ali bin Abi Talib RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke aik Makatib (yani Mutay’yan maal ki Adayegi ki Shart par Aazad hone wala Gulam) un ke paas Aaya aur Arz kiya ke Main apni Aazadi ke liye Mutay’yan Raqam ki qiston ko Ada karne se Aajiz Aagaya hun, Unhon ne Farmaya:

“Main Tumhen wo Dua sikhata hun jo Mujhe RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne sikhayi thi, Agar tum par Pahad jaisa Bhari Qarz bhi ho to Allah Subhanahu Wa Ta'ala use Ada kar dega, ye Dua padho:

(Allāhummakfinī biḥalālika `an ḥarāmika, wa aghninī bi faḍlika `amman siwāka).’” Tarjumah: “Aye Allah! Mujhe apne Halal ke Zariye apne Haram Se tu kafi hoja, aur apni Maherbani se Apne siwa har Cheez se Mujhe be parwah karde.”

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 1487, 3563]

"‏ اللَّهُمَّ اكْفِنِي بِحَلاَلِكَ عَنْ حَرَامِكَ وَأَغْنِنِي بِفَضْلِكَ عَمَّنْ سِوَاكَ ‏"

●◗► "Agar Namaze Fajr ke liye Bedar hona Aap ki Pehli Planning nahin to Baqi din ki Planning ka koi Ma’yne nahin, Kyun ke Aap ke din ki Shuruaat hi Nakaami se hui."

✦..........♥ Namaz mein Inhemak Aur ♥..........✦
✦......♥ Khushu Paida Karne ka Nuskha ♥......✦

Namaz mein Tawajje, Inhemak aur Khushu Paida karne ke Aik Mujrab Nuskha ye hai ke Namaz mein padhe Jane wale Azkar aur Tilawat ke Tarjume pe Gor kiya jaye, Maslan:

● Jab ham Allahu Akbar kahen to Hamen is ke Mane zahen mein rakhna Chahiye ke “Allah Sab se Bada hai”.

● Jab ham Surah Al-Fatiha padhen to Hamare zahen mein is ka Tarjuma o Mafhoom hona chahiye.

● Subhaana Rabbi Al-Azeem kahen to is ke Mane pe gor Karen ke “Paak hai Mera Rab Jo Azmaton wala hai.”

● Sami Allahu liman Hamidah kahte waqt is ka Mane sochen ke “Allah ne us ki sunli Jis ne us ki Tareef ki.”

● Rabbana lakal Hamd ke Mane pe Gor Karen ke: “Aye Hamare Rab tere liye hi Tamam Tareefen hain.”

● Subhaana Rabbi Al-A’laa ke Mane pe Gor o Tadabbur Karen ke: “Paak hai mera Rab badi Shaan wala.”

● Is ke Alawah wo choti Surten jin ki Tilawat Namaz mein kasrat se ki jati hai, un ka Tarjuma yaad kar ke ham apni Namazon ko Pur lutf aur Pur kaif bana sakte hain,  Allah ham sab ko Toufeeq ata Farmayen.

✦.......♥ Insani Hatheli ka Andruni Manzar! ♥.......✦

SubhanAllah! Aap ki Hatheli mein Qudrat ne kaisi Sanayi ki hai!!! Kaise Ajeeb Function is mein Rakhe Hain!!! Aur kis tarah Chabak dasti se ye kaam kar Rahi hai!!!

✦► Aurten Na Mahram Mardon se Nazakat se Pesh Na Aayen ◄✦

●◗► Aurat ki sab se Badi Bad Akhlaqi ye hai ke wo kisi Na Mahram mard ke sath Khush Akhlaqi se Pesh aaye, Agar kabhi kisi Na Mahram Mard se baat Cheet karni pad Jaye to Narm o Nazuk Lehje ke bajaye Rukhe pan aur Sakht Lehje mein baat ki Jaye.

⇨ Allah Subhanahu Wa Ta'ala Irshad Farmate hain: “Tum Nazakat ke sath Baat mat kiya karo Kabhi koi Aisa Shaks beja Lalach karne lage Jis ke dil mein Rog hota hai…..” (Surah Al-Ahzab: 32)

●◗► Deendar Logon ka Mua’shre se Shikwah: “Ham Musalman hain, Islam Aik jame Mazhab aur Mukammal Zabta Hayaat hai, Ham Islam par chalne ki Apni si Koshish karte hain lekin Insan hone ke Nate ham Galti bhi kar sakte hain, kisi ki Dil Aazari aur Haq Talfi ka Gunah ham se sarzad ho sakta hai.

Please! Agar ham koi Galti karen to Islam aur Islami Sha’ayer (Dadhi, Pagdi, aur Topi wagera) ko bura bhala na kahen balke hamen Bura bhala kahen.”