Pages

Saturday, 18 March 2017

✦......► Khaloot o Tanhayi ki 2 Halaten! ◄......✦

❶ Wo Khaloot o Tanhayi Jis mein Allah Ta’ala ke Ehkamat ko Pamaal kiya jaye. (Sahih Bukhari: 660)

❷ Wo Khaloot o Tanhayi Jis mein Allah Ta’ala ki Yaad mein Aansu Bah paden. (Sunan Ibn Majah: 4245)

●◗► Pehli Qism ki Tanhayi ki Waja se Allah ke Arsh ka Saya Naseeb hoga, Jab ke Dusri Qism ki Tanhayi ki Waja se Roze Mehshar Pahadon ke Baqadar Nekiyan Gard o Ghubar ki Tarah ud kar Zaye ho Jayen ge.

●═══════════════◄►══════════════●

Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu: The Prophet (ﷺ) said, "Allah will give shade, to seven, on the Day when there will be no shade but His. (These seven persons are) a just ruler, a youth who has been brought up in the worship of Allah (i.e. worships Allah sincerely from childhood), a man whose heart is attached to the mosques (i.e. to pray the compulsory prayers in the mosque in congregation), two persons who love each other only for Allah's sake and they meet and part in Allah's cause only, a man who refuses the call of a charming woman of noble birth for illicit intercourse with her and says: I am afraid of Allah, a man who gives charitable gifts so secretly that his left hand does not know what his right hand has given (i.e. nobody knows how much he has given in charity), and a person who remembers Allah in seclusion and his eyes are then flooded with tears."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 1 :: Book 11 :: Hadith 629, 660]

It was narrated from Thawban RadiyAllahu Anhu that the Prophet (ﷺ) said: “I certainly know people of my nation who will come on the Day of Resurrection with good deeds like the mountains of Tihamah, but Allah will make them like scattered dust.” Thawban said: “O Messenger of Allah, describe them to us and tell us more, so that we will not become of them unknowingly.” He said: “They are your brothers and from your race, worshipping at night as you do, but they will be people who, when they are alone, transgress the sacred limits of Allah.”

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 5 :: Book 37 :: Hadith 4245]


✦...........► Abhi Moqa Hai! ◄...........✦

●◗► Aa’mal Naame khule hue hain, Qalam Chal rahe hain, Zindagi baqi hai, Badan ke Aaza Sahih salamat hain, Tauba suni Ja rahi hai…is se pehle ke Zindagi ki Nemat chin jaye, Aa’mal Naame band ho jayen aur Aaza Mitti ho jayen, Apne Allah se Sulah karlen, Tauba o Astaghfar karlen aur Hamesha ki Nakami se Bachne ki Tag o Duu (jiddo jahad) Shuru karden!


😊 Jin Lamhon Mein Aap Muskurate  Ho Wo Lamhen Kabhi Khatam Na hon, Aap Ka Daman Allah Paak Khushiyon Se Bharde Hamesha. !! Aameen !! 😊


👉🏻 Koi Yaad Nahin Karta Jab tak Main Khud na Karun Yaad, Aisi Halat Mein Kaise Kahun ke Mere Apne Bahot Hain.


✦...♥ Mashkizah Wagerah ko Muh laga kar Pani Pina ♥...✦

Abu Sa’id al-Khudri RadiyAllahu Anhu said: The Messenger of Allah (ﷺ) prohibited drinking by inverting the heads of skin vessels.

[Sunan Abi Dawud :: Book 26 :: Hadith 3711 , 3720]

Urdu Translation: Abu Sa’id Khudri RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke “RasoolAllah ﷺ ne Mashkeezon ko Muh Laga kar Pani Pine se Mana Farmaya.”

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: 320, 3720]


╔════✿═✿════╗
…✿…. Aaj - Ki - Baat ....✿…

✿ "Badalte Rishte Mosam aur Log Dikhayi Na bhi Den Mahsoos Zaroor hote Hain!!!


✦...♥ Ghair Muslim ko Cheenk ka Jawab Kaise Den? ♥...✦

Narrated Abu Musa RadiyAllahu Anhu: The Jews used to sneeze in the presence of the Prophet (ﷺ) hoping that he would say: 'Yarhamukumullah (May Allah have mercy upon you).' So he (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: 'Yahdikumullahu Wa Yuslihu Balakum (May Allah guide you and rectify your affairs).'"

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 5 :: Book 41 :: Hadith 2739]

Urdu Translation: Hazrat Abu Musa RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Yahudi, RasoolAllah (ﷺ)  ke Paas Aakar is Ummid se Cheenkte the ke Aap  (ﷺ) Unhne Jawab mein “'Yarhamukumullah” (Allah tum par Rahem kare) Kahen ge.

Lekin Aap ﷺ un ki Cheenk ke Jawab mein sirf 'Yahdikumullahu Wa Yuslihu Balakum’ (Allah Tumhen Hidayat de aur Tumhara haal Durust Farmade) Irshad Farmate.

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 635, 2739]


Biwi kitni Qurbani deti hai, Apne Maa Baap aur Bahen Bhaiyyon ko Chhod ke Anjan Jage mein Dunya Basati hai ► Us ki Ummid Shohar hai, Agar wahi Khayal na Rakhe to Kitne Zulm ki Baat hai...!!!


●◗► Dusron ko Chota, Ghatya aur Apne se Kamtar Sabit karne se Aaj tak koi Bada nahin Ban saka, Insan ki Azmat isi Mein hai ke wo Dusron ko Apne se Accha, Behtar aur Khud ko Dusron se Kamtar Samjhe.


Raabte Todne se Mohabbat Khatam Nahin hoti, Yaad To Wo bhi Aate Hain Jo Dunya Chhod Jate Hain...


✦......► Bewah Aurat Ke Liye Iddat ke Ehkam! ◄......✦

Narrated Umm Salamah, UmmulMu'minin RadiyAllahu Anha: The Prophet (ﷺ) said: A woman whose husband has died must not wear clothes dyed with safflower (usfur) or with red ochre (mishq) and ornaments. She must not apply henna and collyrium.

[Sunan Abi Dawud :: Book 12 :: Hadith 2297, 2304]

Urdu Translation: Ummul Mu'minin Hazrat Umm Salmah RadiyAllahu Anha Farmati hain ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Bewah Aurat (Daurane iddat)  Rangeen kapde Nahin Pehnegi, Na Zard na Geru (Surkh Mitti) se Range hue, isi Tarah Wo na Zewraat istemal Karegi aur na Mehndi aur Surma lagaye gi.”

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawud :: Vol. 2 :: Hadith 534, 2304]

●◗► Shariat-e-Mutahrah mein Bewah Aurat par Shohar ki Wafat ki Iddat Lazim hai,  Shohar ke Inteqal ke waqt Agar Biwi Hamela ho to Delivery hone tak Iddat rahegi, Jaisa ke Quran kareem Mein Irshade Ta’ala hai: Hamela Aurton ki iddat un ke waza Hamal (Yani baccha Janne) tak hai. (Surah At-Talaq: 4) Hamal na hone ki Surat mein Shohar ke Inteqal ki Iddat 4 Maah aur 10 din hai Jaisa ke Allah Ta’ala ne  Irshad Farmaya: “Tum mein se Jo log Faut ho jayen aur Biwiyan Chhod jayen to wo Aurten apne Aap ko Chaar Maah aur Dus din iddat Mein rakhen.” (Surah Al-Baqarah: 234)

✦...♥  Betiyon ki Wajah Se Mushaqqat Uthane Wale!  ♥...✦

Narrated Aisha RadiyAllahu Anha:The Prophet (ﷺ) said: "Whoever is put to trial by these daughters and he treats them generously (with benevolence) then these daughters will act as a shield for him from Hell-Fire."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 2 :: Book 24 :: Hadith 499, 1418]

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha se Riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Jis Shaks ko Betiyon ki (Parwarish o Tarbiyat ki) Wajah se Ma’muli si Takleef bhi Uthani Padi to ye Betiyan Us ke liye Jahannam se Bachao ka Zariya hongi.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 2 :: Hadith 1418]


👉🏻 Kamal Karte hain Ham Se Hasad Karne Wale, Mehfil -e- Khud Ki Sajate Hain Aur Charche Hamare Karte Hain....😎


╔════✿═✿════╗
…✿…. Aaj - Ki - Baat ....✿…

✿ "Zindagi mein Jin logon Se Mohabbat Karte hain Dukh bhi Unhi Se Milte Hain Kyun ke Gairon ki Baat dil ko buri Lagti hai Lekin Apno ki Baat dil Par Lagti hai."


✦........♥ Farz Namaz Ke Baad Ahem Dua! ♥........✦

Narrated Warrad: (the freed slave of Al-Mughira bin Shu`ba) Al-Mughira wrote to Muawiya bin Abu Sufyan that Allah's Messenger (ﷺ) used to say at the end of every prayer after the Taslim:

"La ilaha illa-l-lahu wahdahu la sharika lahu; lahu-l-mulk wa lahu-l-hamd, wahuwa 'ala kulli shai'n qadir.

'Allahumma la mani'a Lima a taita, wa la mu'ta Lima mana'ta, wa la yanfa'u dhal-jaddi minkal-jadd.'

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 8 :: Book 75 :: Hadith 342, 6330]

●═════════════════◄►════════════════●

Urdu Translation: Hazrat Mughairah RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Main ne har Farz Namaz ke Baad Nabi Akram ﷺ ko ye Dua Mangte suna:

"‏ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ، وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ، لَهُ الْمُلْكُ، وَلَهُ الْحَمْدُ، وَهْوَ عَلَى كُلِّ شَىْءٍ قَدِيرٌ،

 اللَّهُمَّ لاَ مَانِعَ لِمَا أَعْطَيْتَ، وَلاَ مُعْطِيَ لِمَا مَنَعْتَ، وَلاَ يَنْفَعُ ذَا الْجَدِّ مِنْكَ الْجَدُّ ‏"

“Allah ke Siwa koi Mabood nahin, Wo Aik hai us ka koi Shareek nahin, Aye Allah! Jo tu Ata kare use koi Rokne wala Nahin aur Jo tu Rokle use koi Dene wala nahin aur Tere Muqabil kisi Maaldar ko us ka Maal nafa Nahin dega.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Hadith 6330]


☺ Peet Piche Aap ki Baat Chale To Ghabrana mat kyun ke Baat Unhin ki Hoti hai Jin Mein Koi Baat hoti hai ☺


●◗► Tahqeeq ke Bawajood is tarah ki Koi Hadith nahi Mili, Agar kisi ke Paas ho to Reference ke Sath dede Warna ise Share na kare.

The Prophet (ﷺ) saying, "Whoever (intentionally) ascribes to me what I have not said then (surely) let him occupy his seat in Hell-fire."  (Sahih al-Bukhari: 109)

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ko ye Farmate hue suna ke Jo Shaks mere Naam se wo baat bayan kare jo Main ne nahi kahi to wo apna thikana Jahannam mein banale. (Sahih Bukhari: 109)

Tuesday, 7 March 2017

✦.....♥ Madina Munawwarah ki Saqafti o Tarikhi Masjid! ♥.....✦

● Masjid Nabwi ke Junoob Maghrib mein Babus Salam se 500mtr ke Faasle Par ye Masjid Waqe hai.

● Ahd Nabwi  Mein ye Jaga Rihayshi ilaqe se bahar thi aur Yahan Aap (ﷺ) Namaze Eid Gaah, Janazah aur Istisqa (Barish ke liye Namaz) Padhaya karte the.

●“Ghamamah” Arbi mein Badal ko kehte hain, is Masjid ko Al-Ghamama is liye Kehte hain ke Daurane Namaz Badal ne Nabi Akram (ﷺ) Par Saya kiya tha.

● Is Masjid ki sab se Dilchasp baat ye hai ke Masjid Nabwi ki Tousee dar Tousee ke Natije mein ye Masjid Ab Masjid-e-Nabwi ke bilkul Sath ho gayi hai, Yahi waja hai ke Ab is mein Ba’qaidah taur par Namaz Nahin Padhayi jati.

✦........♥ Aik Masoom Bacche ki Faryad! ♥........✦

●◗► Aye Allah! Mere Waldain ko Whatsapp aur Facebook se Najat de aur Meri Deeni Tarbiyat Karne ki Unhen Toufeeq Ata Farma. (Aameen)


👉🏻 Jo Wazahat Nahin Chahte Un Ko Deni bhi Nahin Chahiye, Aur Jo Doori Chah Rahe hon Un Se Door ho Jana Chahiye.

╔════✿═✿════╗
…✿…. Aaj - Ki - Baat ....✿…

✿ "Dunya ki Daulat Allah unhen Bhi deta hai Jinhen wo Pasand Nahi karta Jab ke Deen ki Daulat Allah Sirf unhen deta Hai Jinhen wo Mahboob Rakhta hai." 😊

✦.........► Aap ka Kya Khayal Hai? ◄.........✦

Social Media Par Darj Zail Tahreer Kafi Dinon se Gardish kar Rahi hai:

“Agar Shadi ke Baad Maa Baap ki Khidmat Beti ki Zimmedari hoti to Koi Maa Baap Budhape mein Darbadar na Hote.”

Lekin Agar is Mua’shriati Mas’ale ka Bareek beeni se Jayezah Liya Jaye to Tahreer kuch Yun banti hai:

“Agar har Beti Shadi ke Baad Shohar ke Waldain ko Apne Waldain ka Darja de kar un ki Khidmat kare to Is Dunya Mein koi Waldain Darbadar na Hon.”

✦........♥ Khushbu Wapas Na Karen! ♥........✦

Anas RadiyAllahu Anhu said: 'Indeed the Prophet (ﷺ) would not refuse perfume."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 5 :: Book 41 :: Hadith 2789]

Urdu Translation: Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Khushbu (ka Hadya) Kabhi Wapas Na Farmate the.

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 691, 2789]

👉🏻 Mard ki Mardaangi ki Behtareen Satah ye Hai ke is ki Wajah se Aurat ki Aankhon Mein Aansu Na Aayen! 👈🏻

●◗► “Ghanti Baja kar Thoda Intezar karen, Andar Baitha hua Shaks Chla kar Aaraha hai Ud kar Nahin” :-) :-) :-)

👉🏻 Bahot Takleef Hoti hai Jab Wo Nazron se Gir Jaye Jinhen Palkon pe Bithaya ho!


╔════✿═✿════╗
…✿…. Aaj - Ki - Baat ....✿…

✿ "Logo ke Sath un ke Kirdar ke Mutabiq Rawayya Ekhtiyar na karen Blake Apni Tarbiyat ke Mutabiq Rawayya Ekhtiyar ki Jiye." 😊

👉🏻 Jis Ghar ke Bade Apna Durust Kirdaar Ada na Karen wo Ghar Bikhar jaya karte Hain, Bade hi Jab Gharelun Qism ki Siasat Mein Pad Jayen to Bacchon ke Zahen Bhi Kharab ho Jate Hain 👈🏻


✦.....► Mardon Ke Liye Sab Se Khatar Naak Fitna! ◄.....✦

Allah's Messenger (ﷺ) as saying: "I have not left after me turmoil for the people but the harm done to men by women."

[SahihMuslim :: Book 36 :: Hadith 6604, 2741]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Main ne Apne Baad Mardon ke liye Aurton ke Fitne se Badh kar Nuqsan Dene wala aur Koi Fitna Nahin Chhoda hai.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 6 :: Hadith 6945, 7122]

●◗►Hadees Bala mein Aurton se Murad wo Na Mahram Aurten hain jin ke Husn aur Adaon se Mutassir ho kar Mard Hazrat apni Dunya aur Aakhirat Tabah kar Baith te hain, Tareeq Shahed hai ke Islam Dushman Taqaton ne isi Fitne ke Zariye badi badi Muslim Saltanaten Tahes Nahes kardin aur Aaj bhi Jadeed Tehzeeb ke Naam se Fahashi o Uryani ka wahi Khel khela ja Raha hai Jis se RasoolAllah ﷺ ne 1400 saal Qabl Aagah Farma diya tha.

👍🏻 Behtareen Subah Wo Hoti Hai Jis ki Shuruaat Fajr Se Hoti Hai.

Log Dilon Mein Nafraten Lekar 😔 Kis Qadar Saadgi Se Milte Hain 😔

✦......► Chehre par Marna, Bahot Buri Baat! ◄......✦

The Prophet (ﷺ) said: "If somebody fights (or beats somebody) then he should avoid the face."

[Sahih al-Bukhari Vol. 3 :: Book 46 :: Hadith 734, 2559]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Jab Tum Mein se koi (kisi se) Jhagda kare to Chehre (Par Marne) se Parhez kare.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 4 :: Hadith 2559]

●◗► Jhagda karna Waise hi Ma’yoob aur Na pasandidah Aml hai aur jab Jhagde mein Maar Pitayi aur Bilkhusus Chehre par Marne Peetne ka Ansr bhi Shamil ho jaye to Jahgde ki Burayi kayi Gunah badh Jati hai.