Pages

Tuesday, 30 May 2017

✦....► Darwaze Pe Khade Hone ke Aadab! ◄.....✦

Narrated Abdullah ibn Busr RadiyAllahu Anhu: When the Messenger of Allah (ﷺ) came to some people's door, he did not face it squarely, but faced the right or left corner, and said: "‏ السَّلاَمُ عَلَيْكُمُ السَّلاَمُ عَلَيْكُمْ ‏" Peace be upon you! peace be upon you!.

[Sunan Abi Dawud :: Book 42 :: Hadith 5167, 5186]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah Bin Busr RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke “Nabi Kareem ﷺ Jab kisi ke Yahan Tashreef le jate to Darwaze ke Bilkul Samne khade Nahin hote, Bal ke Darwaze ke Dayen ya Bayen Janib khade ho kar (‏ السَّلاَمُ عَلَيْكُمُ السَّلاَمُ عَلَيْكُمْ ‏) Assalamu Alaikum, Assalamu Alaikum kaha karte the.”

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 1743, 5188]

●◗► Zamane ki Nigahon Se Dilon ke Raaz Poshidah hain,  Khuloose Dil Se Rab Jane Mohabbat Kon Karta Hai..!

✦……..► Sahri Zaroor Karen! ◄……..✦

Abdullah ibn ‘Amr (RadiyAllahu Anhu) said that the Messenger of Allah ﷺ  said: “Make Suhoor even if it just with a sip/gulp of water”.  [Sahih Ibn Hibbaan: 3476]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Amr RadiyAllahu Anhuma se Riwayat hai ke RasoolAllah  ﷺ ne  Irshad Farmaya: “Sahri Zaroor karo! Agarche Aik Ghoont Pani hi Se kyun na ho.” [Sahih Ibn Hibbaan: 3476]

✦........♥ Rozah Rakhne Mein Hi Khair! ♥........✦

⇨  “Aur Tumhara Rozah Rakh lena Tumhare liye Behtar hai Agar Tumhen Samajh ho.” (Al-Quran, Surah Al-Baqarah: 184)

⇨ “And that you fast, it is better for you if only you know.” (Al-Quran, Surah Al-Baqarah: 184)

✦....♥ Tamam Musalmano ko Mahe Ramadan Al-Mubarak 1438 Hijri Mubarak Ho! ♥.....✦

Allah Subhanahu Wa Ta'ala Hamen is Ramadan Al-Mubarak ke liye Salamat Rakhe aur is ko Hamare liye Salamat rakhe, aur is Ba barkat Maah ke Rozon Samait hamari Tamam Ibadaat ko Apni Bargahe Samdiyat mein Sharfe Qubuliyat Ata Farmaye, Aur ise Tamam Alame Islam ke Rehmat o Maghfirat ka zariya Banaye. Aameen

●◗► Bahot se Roze Daar Daurane Saal Chal Base!!! ► Allah Ta’ala Hamen Mehman ke Ikram ki Toufeeq Ata Farmaye!!!  (Aameen)

●◗► Kabhi Waqt Mile to Apne Waldain ke Chehron ki Taraf Dekhna Aap ko Pata Chalega Aap ka Mustaqbil (future) Banate hue Wo khud kitne Toot gaye Hain.

●◗► laahi Aabru Rakhna Bada Nazuk Zamana hai, Dilon Mein Dushmani Rakhte hain Bazahir Dostana Hai..!!

✦......♥ Mahe Ramadan Ki Nirali Shaan! ♥......✦

●◗► Mahe Ramadan ko ye Aizaz Haasil hai ke 12 Qamri Mahinon Mein Se Sirf Mahe Ramadan ka Naam Qur’an Kareem Mein Sarahat ke Sath Mazkoor hai. (Quran 2:185)

✦......► Halak Karne Wali 2 Chizon Se Bachen! ◄.......✦

Allah's Messenger (ﷺ) said: "Avoid the Mubiqat, i.e., shirk and witchcraft."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 7 :: Book 71 :: Hadith 659, 5764]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Halak o Barbaad kar Dene Wali (in) Cheezon se Bacho:

❶ Allah ke Sath Shirk karne se

❷ Aur Jadu (Karne aur Karane) se.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Hadith 5764]

✦......► Khair o Bhalayi ki Wajah Se Qasam Todna! ◄......✦

Narrated `Abdur-Rahman bin Samura RadiyAllahu Anhu: Allah's Messenger (ﷺ) said, "O `Abdur-Rahman bin Samura! Do not seek to be a ruler, for if you are given authority on your demand, you will be held responsible for it, but if you are given it without asking for it, then you will be helped (by Allah) in it. If you ever take an oath to do something and later on you find that something else is better, then do what is better and make expiation for your oath."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 9 :: Book 89 :: Hadith 261, 7147]

Urdu Translation: Hazrat Abdur Rahman bin Samurah RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke RasoolAllah ne Mujh se Irshad Farmaya: “Aye Abdur Rahman bin Samurah!...Agar tum kisi Baat par Qasam khalo aur Phir us ke Siwa Dusri cheez mein Khair o Bhalayi dekho to Wo karo Jis mein Bhalayi ho aur Apni Qasam ka Kaffarah Ada kardo.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Hadith 7147]

●◗► Insan ko Qasam khate hue Badi Ehtiyat aur Hosh se Kaam lena Chahiye, Agar koi Mustaqbil ki kisi baat par Allah ki Qasam khale ke main Fulan kaam Zaroor karunga ya Nahin karunga, Lekin Bazaher Khair o Bhalayi Qasam ke khilaf Chalne mein Nazar Aarahi ho to Aisi surat mein Qasam Tod kar Qasam ka Kaffarah Ada karna chahiye, Shari’at Mutahrah mein Qasam ka Kaffarah 10 Miskeenon ko apni Haisiyat ke Mutabiq Subah aur Sham Pait bhar kar Khana khilana hai ya 10 Miskeenon ko Aik aik Joda kapda Pehnana hai aur Agar khana khilane ya Kapda pehnane ki Isteta’at na ho to Musalsal 3 din Roze Rakhna hai.

♥ Khush Qismat Hote Hain Wo Log Jinhen koi Manane Wala Hota Hai ♥


✦......♥ Marhoomeen ke Darjaat Buland Karwayen! ♥......✦

 The Messenger of Allah(ﷺ) said: "A man will be raised in status in Paradise and will say: 'Where did this come from?' And it will be said:'From your son's praying for forgiveness for you.'"

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 5 :: Book 33 :: Hadith 3660]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Yaqeenan Aik Shaks ke Liye Jab Jannat mein Darja Buland kiya jata hai to wo Arz karta hai: “Aye Mere Rab! Mera ye Darja Kaise Buland ho gaya? (Kyun ke Main ne to Ab koi Aml kiya hi Nahin)” Us Shaks se kaha Jata hai:  “Tere Bete ke Tere liye Astaghfar karne ki Waja se ye Darja Buland hua hai.”

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Hadith 541, 3660]

●◗► Zara Sochyen! Ham par Hamare Waldain, Dada Dadi, aur Nana Nani ke kis Qadar Ehsanat hain, In Buzurgon ko ham se Toqiaat hongi aur wo Socha karte honge ke un ki Nasal mein Aane wale log un ke Liye Duaye Maghfirat aur Isale Sawab karenge, Lekin Aaj Hamara kya haal hai? Ham sab ko khud Maloom hai, Agar Aaj ham apne Marhoomeen ke liye Duaye Maghfirat aur Isale Sawab ka Ehtemam karenge to kal Jab ham Aalame Barzakh mein honge aur Hamen in Chizon ki Sakht Zarurat hogi to koi Hamare liye bhi Duaye Maghfirat karne wala hoga. (InshaAllah)

Sunday, 21 May 2017

✦....► Ramadan Al-Mubarak Se Mutaliq Man Ghadat Hadees ◄.....✦

●◗► Ramadan Al-Mubarak ke Qareeb Aate hi Social Media aur Digar Zaraye iblagh ke Zariye RasoolAllah ﷺ ki Taraf Mansoob ye Man Ghadat Hadees Gardish karne lagti hai ke “Jis ne Sab se Pehle kisi ko Ramadan ki Khabar di to us Par Jahannam ki Aag Haram ho jati hai.”

Yaad rahe ke Kutub Hadees mein Aisi koi Hadees Mazkoor Nahin, Ye logon ki banayi hui Man Ghadat baat hai, RasoolAllah ﷺ ki Taraf Aisi baat Mansoob karna Jo Aap ﷺ ne Irshad na Farmayi ho na Sirf Gunah balke Bade Wabaal o Azab ka sabab hai, Chunanche Aap ﷺ ka Irshade Girami hai:

► “Mujh par Jhoot Mat Bolo, Kyun ke jo Mujh par Jhoot Bandhe wo Dozakh mein Dakhil hoga.” (Sahih Bukhari :: Vol.1 :: Hadith 106)

The Prophet (ﷺ) said, "Do not tell a lie against me for whoever tells a lie against me (intentionally) then he will surely enter the Hell-fire."  (Sahih al-Bukhari :: Vol. 1 :: Book 3 :: Hadith 106]

✦........♥ Bacchon ko Apne Qareeb Kijiye! ♥........✦

Arbi ke Chand Kalimaat Jin ki Jaamiyat Hairan kun hai, Chaar Kalimat Par Mushtamil ye Qeemti Nasihaten Waldain ke Bacchon ke sath Khush gawar Talluqat ki Kaleed (kunji) hain, Mulaheza Farmayen:

● Apne Bacchon ke Qareeb Raha karo!!!
● Un se Mashware kiya karo!!!
● Un se Tabadla khayal kiya karo!!!
● Un ke Dil jeet lo Qabl is ke ke Tum Unhen hamesha ke liye Khodo!!!


●◗► Allah Aap Sab ko Hajj o Umrah ki Sa’adat Naseeb Farmaye. Aameen

●◗► Main kisi se Naraz Nahin Hota, Bus Khaas Se Aam Kar Deta Hun :)

✦......♥ Ramadhan Mein Umrah, Hajj ke Barabar ♥......✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: "Umrah during Ramadan is equivalent to Hajj."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 25 :: Hadith 2994]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne irshad Farmaya: "Ramadhan Al-Mubarak Mein Umrah ki Adayegi ka Sawab Hajj ke Barabar hai."

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 2 :: Hadith 1151, 2994]

●◗► Insan ne Kaha: “Main Thak Chuka Hun!” Jawab Aaya: ⇨ “Allah ki Rehmat se Mayoos na Hona.” (Al-Qur’an, Az-Zumar: 53)

⇨ "Do not despair of the mercy of Allah." (Al-Qur’an, Az-Zumar: 53)

✦...♥ Bacchon Par Nazre Bad Se Hifazat ka Dum Karen! ♥...✦

Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha Farmati hain ke (Aik Martaba) RasoolAllah ﷺ Tashreef Laye aur Aik Bacche ke Rone ki Aawaz suni to Irshad Farmaya:

“Tumhare is Bacche ko Kya hua ke ye Ro raha hai? Tum logon ne is Bacche par Nazre Bad se Hifazat ka Dum kyun Nahin Kiya?.” (Musnad Ahmad: 24486)

●═══════════════◄►══════════════●

Nazre Bad se Hifazat ke liye Bacchon Par Subah o Sham Ye Masnoon Kalimat Padh kar Dum Karen:

اُعِيذُكَ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّةِ، مِنْ كُلِّ شَيْطَانٍ وَهَامَّةٍ، وَمِنْ كُلِّ عَيْنٍ لَامَّةٍ
U'idhuka bikalimatillahi-Tammati,min kulli shaitanin wa hammatin, Wa minkulli'ainin lammah

Tarjuma: Main Tumhen Allah Ta’ala ke Kalimat Tama ki Panah mein Deta hun, Har Shaitan aur Zahrili bala ke Dar se Aur Nazre bad ke Shar se. (Sahih Bukhari: 3371)

عن عائشة قالت دخل النبي صلى الله عليه و سلم فسمع صوت صبي يبكي فقال ما لصبيكم هذا يبكي فهلا استرقيتم له من العين (مسند أحمد :24486 حديث حسن)

💖 Jab Jaan Lega koi Meri Ahmiyat, Tab Mang lega Wo Allah Se Mujh Jaisi Nemat 💖

✦....► Bure Doston Se Kinarah Kashi Ekhtiyar Karen ◄....✦

⇨ "Ah! Woe to me! Would that I had never taken so-and-so as a friend! He led me away from the remembrance after it had come to me. (Surah Al-Furqan: 28,29)

⇨ Urdu Translation: “Haye Meri Bad Bakhti! Kash Main ne Fulan Shaks ko Dost na Banaya hota, Mere Paas Nasihat Aachuki thi Magar is Dost ne Mujhe Nasihat se Bhatka diya.” (Surah Al-Furqan: 28,29)

●◗► Dil Par Na Lijiye Agar Koi Aap ko Bura Kahe, Aisa Koi Nahin Hai, Jise Har Shaks Accha Kahe.

Friday, 12 May 2017

✦.................♥ Salat At-Tasbeeh ♥................✦

RasoolAllah ﷺ ne Aik Martaba Apne Chacha Hazrat Abbas RadiyAllahu Anhu se Farmaya:

“Aye Abbas, Aye Mere Pyare Chacha! Kya main Tumhen aik Atya karun, Bakhshish karun, Aik Cheez bataun, Tumhen Dus Chizon ka Malik Banaun..wo aik Aml hai Jab tum use karoge to Haq Ta’ala Shanahu Tumhare Sab Gunah Pehle aur Pichle, Purane aur Naye, Ghalti se kiye hue ya Jaan boojh kar kiye hue, Chote aur Bade, Chup kar ya Khullam khula kiye hue, Sab hi Muaf Farma denge,

Wo Aml ye hai ke 4 Raka’at Nafl (Salat At-Tasbeeh ki Niyyat bandh kar) Padho, aur har Rakat mein Jab Alhamdulillah aur Surat Padh chuko to Ruku se Pehle (Subhnallahi Walhamdulillahi Wa la ilaha illallahu Wallahu Akbar) 15 Martaba Padho, Phir Jab Ruku karo to is mein 10 Martaba padho, Phir Jab Ruku se Khade ho to 10 Martaba Padho, Phir Sajdah karo to is mein 10 Martaba padho, Phir Sajdah se uth kar baitho to 10 Martaba padho, Phir Jab dusre Sajdah mein jao to us mein 10 Martaba padho Phir Jab Dusre Sajdah se utho to (Dusri Rakat mein khade hone se Pehle) Phir 10 Martaba padho in sab ka Majmua 75 hua, isi Tarah ye Tasbeehat har Raka’at mein 75 Martaba padho,

Agar Mumkin ho sake to Rozana aik Martaba ye Namaz (Salat At-Tasbeeh) padh liya karo, Rozana na ho sake to Har Juma ko aik Martaba padh liya karo, Ye bhi na ho sake to Mahina mein aik Martaba padh liya karo, ye bhi na Ho sake to Saal mein Aik Martaba padh liya karo, aur Agar ye bhi na ho Sake to Umr bhar mein Aik Martaba to Padh hi lo.”

[Urdu Ref :: Sunan Abi Dawood :: Vol. 1 :: Hadith 1284, 1297]

●═══════════════◄►══════════════●

Narrated Abdullah Ibn Abbas RadiyAllahu Anhu: The Messenger of Allah (ﷺ) said to al-Abbas ibn AbdulMuttalib: Abbas, my uncle, shall I not give you, shall I not present to you, shall I not donate to you, shall I not produce for you ten things? If you act upon them, Allah will forgive you your sins, first and last, old and new, involuntary and voluntary, small and great, secret and open.

These are the ten things: you should pray four rak'ahs, reciting in each one Fatihat al-Kitab and a surah. When you finish the recitation of the first rak'ah you should say fifteen times while standing: (Subhnallahi Walhamdulillahi Wa la ilaha illallahu Wallahu Akbar) "Glory be to Allah", "Praise be to Allah", "There is no god but Allah", "Allah is most great". Then you should bow and say it ten times while bowing. Then you should raise your head after bowing and say it ten times. Then you should kneel down in prostration and say it ten times while prostrating yourself. Then you should raise your head after prostration and say it ten times. Then you should prostrate yourself and say it ten times. Then you should raise your head after prostrating and say it ten times in every rak'ah. You should do that in four rak'ahs.

If you can observe it once daily, do so; if not, then once weekly; if not, then once a month; if not, then once a year; if not, then once in your lifetime.

[Sunan Abi Dawud ::  Book 5 :: Hadith 1292, 1297]

●◗► Imame Azam Imam Abu Hanifah Rahimahullah ne 40 Saal tak Isha ke Wuzu se Fajr ki Namaz Padhi wo Raat Bhar Quran Padha karte the, Main sochta tha ke Aslaaf Raat bhar Baghair kisi Thakan o Pareshani ke Quran kaise Padh liya karte the??? 

Lekin Main ne Jab un Logon ko Dekha jo Raat bhar Mobile mein Mashghool Rehte hain to Mera Ta'ajjub door ho Gaya aur Main Jaan Gaya ke Jab Dil kisi Cheez se Mohabbat kar Baith ta hai to har Cheez Aasan ho jati hai..!!!

●◗► Jo mard Apni Biwi ko Sab ke Samne Be'izzat Karta hai to us Mard ki izzat Biwi ki Nazar se Nikal kar us ke Aansu ke Sath hi Beh Jati hai..!!

✦..........♥ 13,14,15 Sha’ban ke Roze ♥..........✦

RasoolAllah ﷺ ne Ayyam Beez (Yani har Qamri Maah ki 13,14 aur 15 Tarikhon) ke Rozon ko zindagi bhar Roze rakhne ke Barabar Qarar diya hai, Ayyame Beez ke Roze har Qamri maah Mein Masnoon hain lekin Chunke Khususiyat ke sath Mahe Sha’ban mein Roze rakhne ke Fazayel bhi Ahadeese Mubarka mein warid hain, is liye Mahe Sha’ban mein Ayyame Beez ke Rozon ka aur zyadah Ehtemam karne ki zarurat hai.

Neez Maahe Sha’ban mein Ayyame Beez ke Roze Rakhne se aik Mukhtalif fiya Masle ka hal nikal aata Hai aur wo ye hai ke Baaz Hazraat khaas Pandhra Sha’ban ke Roze ko Masnoon samajhte hain, Jab ke Muhaqqiq Raye yahi hai ke khaas 15 Sha’ban ka Rozah Masnoon nahin, Lekin Agar kisi ko 15 Sha’ban ke Roze rakhne ka Shoq aur Walwala hai to wo Ayyame Beez ke roze Rakhle, 15 Sha’ban ka Rozah bhi is mein shamil ho jayega.

Is Hawale se Hazrat Mufti Taqi Usmani Sahab Damat Barkatuhum Aaliya Farmate hain: “Agar koi shaks in do Wajah se 15 Sha’ban ka Rozah rakhe, Aik is waja se ke ye Sha’ban ka din hai [aur maahe sha’ban ke Roze masnoon hain], Dusre is wajah se ke ye 15 Tareeq Ayyame Beez mein dakhil hai, Agar is Niyyat se Rozah rakh le to InshaAllah Muajjab Ajr hoga, Lekin Khaas 15 tareekh ki khususiyat ke Lihaz se is Roze ko Sunnat Qarar dena Baaz Ulama ke Nazdeek durust Nahin.”

✦........► Jannat Mein Dakhila Mamnu Hai! ◄........✦

RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya:

❶ “Sharab ka Aadi

❷ Jadu Tone Pe Yaqeen Rakhne Wala (Yani Jadu gar ki Baton, Us ki Ghaibi Ittelaat aur Us ke Karishmon ki Tasdeeq Karne Wala)

❸ Aur Rishte Nate Todne Wala Jannat Mein Na Ja Sakega.” (Musnad Abi Ya’la: 7248)

عن أبي موسى قال : قال رسول الله - صلى الله عليه و سلم - : لا يدخل الجنة مدمن خمر ولا مؤمن بسحر ولا قاطع (مسند ابی یعلی ،7248 ،اسنادہ حسن﴾

●◗► 'Keh Rahi hai Mujhe Ye Kal ki Bahu, Aap Mere Miya ka Khaate Hain...!! Allah! Saas aur Bahu Mein Mohabbat Paida Farma.' Aameen

✦.......► Bacchon ko Hargiz “Shaitan” Na Kahen! ◄.......✦

●◗► Bacchon ko “Shaitan” Na Kahen!!! Allah na kare ke Koi Baccha Shaitan ho ya Shaitani Khaslat ka Hamil ho, “Shaitan” to Iblees Mardood aur us ki Aal Aulad ko kaha jata hai Jin ka kaam hi Dunya mein Fasad, Sarkashi aur Allah ki Nafrmani ka Bazaar Garam rakhna hai.. Neez Hazrat Adam Alaihis Salam ko Sajdah na karne ki Waja se “Shaitan” Randah Dargahe Khudawandi aur Allah ki Rehmat se Hamesha ke liye Door hai, Kya koi ye Chahega ke us ka Baccha Allah ki Rehmat se Door ho?

"Han Albatta Agar koi Baccha Bahot Chulbula ho to Use “Shararti” kehlen, Lekin Shaitan Hargiz na Kahen."

●◗► Shukr hai ke Aansuon ka koi Rang Nahin hota, Warna Subah ke Ujalon mein Rangeen Takye Sab ke Raaz khol diya Karte.

✦...► Mard Hazraat ke Liye Zard ya Surkh Rang ka Libas! ◄...✦

'Abdullah b. 'Amr b. al-As RadiyAllahu Anhu reported: Allah's Messenger (ﷺ) saw me wearing two clothes dyed in saffron. whereupon He (ﷺ) said: "These are the clothes (usually worn by) the non-believers, so do not wear them."

[Sahih Muslim ::  Book 24 :: Hadith 5173, 2077]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Amr bin al-As RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke RasoolAllah ﷺ ne Mujhe Dekha, Main ne do Zafrani Rang ke kapde Pehne hue the, (in kapdon ko dekh kar) Aap ﷺ  ne Irshad Farmaya: “Yaqeenan ye Kuffar ke Kapde Hain, Lehaza tum Inhen na Pehno.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 5 :: Hadith 5434, 5555]

●◗► Ya Allah! "Hamen Waldain ki Usi Tarah Khidmat ki Toufeeq de Jis Tarah Unhon ne Hamen Bachpan Mein Pala hai." Aameen Ya Allah

✦...► Sharmgah ki Hifazat ka Madar Nazar ki Hifazat Par Hai! ◄...✦

●◗► Nazar, Dil ka Darwazah hai, Agar ye Band Raha to Dil bhi Mahfooz Rahega aur Jab Dil Mahfooz Rahega to Sharmgah bhi Mahfooz Rahegi, Chunanche RasoolAllah ﷺ ka Irshad hai:

“Aankhon ka Zina (Na Mahram ko) Dekhna hai, Kanon ka Zina Gunah ki Baton ka Sunna hai, Zuban ka Zina Baat karna hai, Hath ka Zina Pakadna hai, Paon ka Zina Chalna hai, Dil to Sirf Gunah ki Khuahesh o Tamanna karta hai aur Sharmgah us ki Tasdeeq ya Takzeeb (Sach ya Jhoot) karti hai.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 6 :: Hadith 6754, 6925]

The Messenger of Allah (ﷺ) said: “The adultery of the eye is the lustful look and the adultery of the ears is listening to voluptuous (song or talk) and the adultery of the tongue is licentious speech and the adultery of the hand is the lustful grip (embrace) and the adultery of the feet is to walk (to the place) where he intends to commit adultery and the heart yearns and desires which he may or may not put into effect.”

[Sahih Muslim :: Book 33 :: Hadith 6422, 2658]

●◗►  Kaam Pad Sakta hai.. Aadhe Rishte To Logon ne isi Wajah Se Bana Rakhe hote hain..!!

● Agar Khawateen Chahti hain ke Un ke Shohar Farishta Sifat hon to Pehle Ghar ko Jannat Banayyen! Kyun ke Farishte Dozakh mein Nahin Reh sakte!

● Isi Tarah Agar Mard Hazraat Chahte hain ke un ki Biwiyan Hooron Jaisi Sifat Wali hon to Pehle Khud ko Insan Banayyen! Kyun ke Hooren Shaitanon ke Sath Nahin Rehtin.

●◗► Tumhari Aulad Wo Nahin Sikhegi Jo tum kehte ho Balke Wo karegi Jo Tum log khud Karte ho...!!

❤️ Har Aurat Beshak Apne Shohar Ke Ghar Mein Malika ho Ya na Ho Lekin Wo Apne Baap ki Shehzadi Zaroor Hoti Aur Rehti Hai ❤️

✦......♥ Zaitoon (Olive) ka Istemal! ♥......✦

"The Prophet (ﷺ) said: "Eat of its oil and use it (the olives), for indeed it is from a blessed tree."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 3 :: Book 23 :: Hadith 1852, 1852]

Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ ne Irshad Farmaya: “Zaitoon (ka tail) Khane Mein bhi Istemal karo aur Malish mein bhi! Kyun ke ye Ba barkat Darakht ka Phal hai.”

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol.1 :: Hadith 1910, 1852]

●◗► Har Insan ko Us ke Mazi ke Kisi Aik Waqiye ne Itna Badal Diya hai Ke Wo Kabhi bhi Waisa Nahin ho Sakta Jaisa Wo Us Waqiye se Pehle Tha...!

✦......► Adhan Sunne ke Bawajood Masjid Na Jana! ◄......✦

Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu said: "it is better for one's ears to be filled with molten lead than to hear the call to prayer and not answer it."

[Musannaf ibn Abi Shaybah : 3484]

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu Farmate hain: “Agar Ibne Adam ke Kaan mein Pighla hua Seesa bhar Diya Jaye ye is Baat se Behtar hai ke wo Adhan sune Magar us ka Jawab na de (Yani Namaz ke liye Masjid mein Na Aaye).”

[Musannaf ibn Abi Shaybah : 3484]

👉🏻 Rishton ko Sambhalte Sambhalte Thakawat Si Hone Lagi hai, Har Din Koi Na Koi Rooth Jata Hai!

●◗► Ye Mobile Phone Dekhne mein Bahot hi Halke aur Mamuli Lagte hain, Lekin in ka Ghalat istemal Karna Qabr o Hashr Mein Na Qabil Bardasht Wazan ki Surat mein Hamare Name Aa’mal ka hissa Hoga.  ► Lehaza Sirf Zarurat ki Hadtak aur Dusrust Kamon Mein Inhen Istemal Ki jiye!

✦.......♥ Maahe Sha’ban (Month of Sha’ban) ♥.......✦

Usamah bin Zaid RadiyAllahu Anhu said: "I said: 'O Messenger of Allah, I do not see you fasting any month as much as Shaban.'

He (ﷺ) said: 'That is a month to which people do not pay much attention, between Rajab and Ramadan. It is a month in which the deeds are taken up to the Lord of the worlds, and I like that my deeds be taken up when I am fasting."'

[Sunan an-Nasa'i :: Vol. 3 :: Book 22 :: Hadith 2359, 2357]

●═══════════════◄►══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Usamah bin Zaid RadiyAllahu Anhuma Farmate hain ke Main ne RasoolAllah ﷺ se Arz kiya: Ya RasoolAllah! Main ne Sha’ban se Zyadah kisi dusre Mahine mein Aap ko itne Ehtemam se Roze rakhte hue Nahin dekha?

Aap ﷺ ne Irshad Farmaya:

 "Ye Aisa mahina hai Jo Mahe Rajab aur Mahe Ramadan ke darmiyan mein Aata hai aur log is se Ghaflat baratte hain halan ke is Mahine mein (poore saal ke) Aa’mal Allah Subhanahu Wa Ta'ala ke samne Pesh kiye jate hain, Aur main Chahta hun ke mere Aa’mal is halat mein Pesh kiye jayen ke main Roze se hun."

[Urdu Ref :: Sunan an-Nasa’i :: Vol. 2 :: Hadith 268]