Pages

Wednesday, 28 February 2018

✦......♥ Pyar Bhare Alfaz Se Ahliya Ko Pukaren! ♥......✦

Ahadees Mubaraka se Maloom hota hai ke RasoolAllah Hazrat Aishah RadiyAllahu Anha ko Mohabbat aur Diljoyi Mein Kabhi “Aish” aur Kabhi “Humaira” ke Naam se Pukara Karte the.

(Sahih al-Bukhari: 3768, Sunan Ibn Majah: 2474, Mishkat Al-Masabih: 3007)

♥ Ahliya ko Mohabbat aur Pyar Bhare Namon Se Pukarna RasoolAllah ki Mubarak Sunnat Hai ♥

✦...► (Ghouta) Mazalim Dhane Walon Ke Liye Bad’dua! ◄...✦

Allah's Messenger (ﷺ) said:

‏ "‏ اللَّهُمَّ مُنْزِلَ الْكِتَابِ سَرِيعَ الْحِسَابِ، اللَّهُمَّ اهْزِمِ الأَحْزَابَ، اللَّهُمَّ اهْزِمْهُمْ وَزَلْزِلْهُمْ ‏"

"O Allah! The Revealer of the Holy Book, the Swift-Taker of Accounts, O Allah, defeat Al-Ahzab (i.e. the clans), O Allah, defeat them and shake them."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 4 :: Book 52 :: Hadith 184, 2933]

●═══════════════◄►═══════════════●

Urdu Translation: RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad Farmaya:

‏ "‏ اللَّهُمَّ مُنْزِلَ الْكِتَابِ سَرِيعَ الْحِسَابِ، اللَّهُمَّ اهْزِمِ الأَحْزَابَ، اللَّهُمَّ اهْزِمْهُمْ وَزَلْزِلْهُمْ ‏"

“Aye Allah! Kitab Nazil Karne Wale! Hisab Jaldi Lene Wale! (Mushrikeen ke) Girohon ko Shikast de! Unhen Shikast de! Aur Unhen (Azab ki Shiddat Se) Jhinjhod kar Rakh De!.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 4 :: Hadith 2933]

✦.......► Raat Ke Waqt Safar Ki Barkat! ◄.......✦

Anas RadiyAllahu Anhu reported the Apostle of Allaah (ﷺ) as saying “Keep to travelling by night, for the earth is traversed (more easily) by night.

[Sunan Abi Dawud :: Book 14 :: Hadith 2565, 2571]

Urdu Translation: RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad Farmaya: “Raat ke Waqt Safar Kiya Karo! Kyun ke Raat mein Zameen Lapet di Jati hai (Yani Safar Mein Aasani ho Jati hai, Mosam ke Mo’tadil o Mutwazan aur Sawar o Sawari ke Chaq o Choband hone ki Wajah se Musafat Jaldi Tai ho Jati hai).”

[Urdu Ref :: Sunan Abi Dawud :: Vol. 2 :: Hadith 799, 2571]

💔 Aitebar Todne Wale Ki Yahi Saza Kafi Hai Ke Us Ko Zindagi Bhar Ke Liye Khamoshi Tohfe Mein Dedi Jaye 💔

✦..► Peshab Ke Chinton Se Na Bachna Azabe Qabr Ka Sabab ◄..✦

The Prophet (ﷺ) once passed by two graves and said, "These two persons are being tortured not for a major sin (to avoid). One of them never saved himself from being soiled with his urine, while the other used to go about with calumnies (to make enmity between friends)." The Prophet (ﷺ) then took a green leaf of a date-palm tree, split it into (pieces) and fixed one on each grave. They said, "O Allah's Apostle! Why have you done so?" He replied, "I hope that their punishment might be lessened till these (the pieces of the leaf) become dry."

[Sahih Bukhari :: Vol. 1 :: Book 4 :: Hadith 218]

●════════════════◄►═══════════════●

Urdu Translation: Aik Martaba Nabi Akram ﷺ 2 Qabron ke Paas se Guzre to Aap ﷺ ne Irshad Farmaya: "In Donon Qabr Walon ko Azab diya ja Raha hai aur kisi Bade Gunah ki Waja se Azab Nahin ho Raha, Balke in mein se Aik Pehab se Ehtiyat Nahin Karta tha (Yani Peshab ke Qatron aur Chinton se Bachne ka Ehtemam Nahin karta Tha) Jab ke Dusra Chughal khori kiya Karta tha.”

Phir Aap ﷺ ne Aik Hari Tehni le kar Beech se us ke do Tukde kiye aur har Aik Qabr Par Aik Tukda Gaad Diya, Logon ne Pucha ke Ya RasoolAllah ﷺ! Aap ne Aisa kyun kiya? Aap ﷺ ne Irshad Farmaya: “Shayad Jab tak ye Tehniyan khushk Na hon in Donon par Azab mein Kuch Takhfeef Rahe.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 1 :: Hadith 218]

💖 Bahot Khush Naseeb Hoti Hai Wo Ladkiyan Jin Ke Paas Bahen Jaisi Dost Hoti Hai 💖
✦......► Bus Itna Yaad Rakh, Tu Khaak Hai! ◄......✦

Man ki Mail ko Khatam Karne ke Liye Sab se Pehle Apni “Main” ko Khatam karo Aur “Main” ko Khatam Karne ke Liye Aajiz banna Zaroori hai aur Aajiz banne ke liye ye Zaroori hai ke tu Apni Hasti tak Bhool ja ke tu Kya hai Bus Itna Yaad Rakh Tu Khaak hai Khaak Par hai aur Tujhe Khaak mein hi Jana hai.

Aajiz - Bebas, Bechara, Khaak pa.

✦.......♥ Nemat Ke Asrat Nazar Aane Chahiyen! ♥.......✦

"The Messenger of Allah (ﷺ) said: 'Indeed Allah loves to see the results of his favors upon His Slaves.'"

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 5 :: Book 41 :: Hadith 2819]

Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ ne Irshad Farmaya: “Bila Shuba Allah Ta’ala Apne Bande Par Apni Nemat ke Asrat ko Dekhna Pasand Farmate Hain.”

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. :: Hadith 723, 2819]

●◗► Allah ki di hui Nematon aur Sahuliyat ko In’aam Samajh kar Istemal karna Chahiye aur Fakhr, Dikhlawa aur Badayi jatane ke Jazbat se Bachte hue Munasib Andaz mein Nemat ka izhar bhi Karna Chahiye.

🍁 Jahan Narazgi Ki Qadar Na Ho, Wahan Naraz Hona Chor Dena Chahiye 🍁

✦......► Dunyawi Taleem Mamnoo Nahin, Lekin!!! ◄......✦

“Main Ye Nahin Kehta ke Dunyawi Taleem hi Na di Jaye, Lekin Pehle Musalman to Banaya Jaye, Pehle ye to Maloom ho Ke

● Main Kaun hun?
● Meri Manzil Kya hai?
● Mujhe Kahan Jana hai?
● Mujhe Kis ne Bheja hai?
● Kyun Bheja hai?

Jab Ye Samajh Aajaye to Phir Doctor Banen, Engineer Banen, Jo Marzi Banen, Lekin Pehle Musalman to Banen.” (Az Khutbat Maulana Tariq Jameel Sahab)



❤️ Baap Aik Aisa Shajar Hai Jis Ke Saye Mein Betiyan Raaj Karti Hain ❤️

✦.........► Dewar aur Jeth to Mout Hain! ◄.........✦

Allah's Messenger (ﷺ) as saying: "Beware of getting, into the houses and meeting women (in seclusion). A person from the Ansar said: Allah's Messenger, what about husband's brother, whereupon he (ﷺ) said: Husband's brother is like death."

[Sahih Muslim :: Book 26 :: Hadith 5400, 2172]

Urdu Translation: Rasool Akram ﷺ ne Irshad Farmaya: “(Na Mahram) Aurton ke Paas Jane Se Bacho!” Aik Ansari Sahabi Farmane Lage: Ya RasoolAllah! Khawind ke Bhaiyyon  (Dewar aur Jeth Wagherah) Se Mutalliq Aap ﷺ ka Kya  Hukum hai?         RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: "Khawind ke Bhai To Maut hain. (Yani in Se Pardah Karne Aur Door Rehne ka To Bahot Zyadah Ehtemam karna Chahiye)."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 5 :: Hadith 5674]

●◗► Hadees Baala o Digar Ahadees se Wazeh hai ke Dewar aur Jeth se bhi Pardah Farz hai, Magar Aaj kal Mustarke Khandani Nizam mein Aurat ke liye Ghar mein Hamesha Naqab laga kar Rakhna Zaroori Nahin Balke Aurten Aise Gharon mein Badi Chadar Wagerah ka istemal karen Taa ke Bawaqte zarurat Ghoonghat kar ke Chehra Chupaya Ja sake, isi Tarah Ghar mein Na mahram Mard o Khawateen Nazren jhuka ke Rakhen aur Aapas mein Hansi Mazah aur be Takallufana Guftagu se Ijtenab karen, Naiz Mard Hazrat ghar mein Dakhil hote waqt ijazat len ya Khankhar len ya Pairon ki Chaap aur Aahat ko Zara buland Karden taa ke Ghar ki Masturaat ko Aane ki ittela ho Jaye, in Umoor ke Ehtemam se Mustarka khandani Nizam mein bhi Parde ke hukum ki Baja Aawari ke Sath sath Gharelu kaam kaaj Ba’aasani sar Anjam diye ja skate Hain.

❤️ Izzat Ho To Mohabbat Ho Hi Jati Hai, Izzat Na Ho To Mohabbat Bhi Kho Jati Hai ❤️

✦...........♥ Qeemti Aur Sunehri Baat! ♥...........✦

Misr ke Mashhoor Aalim aur Adeeb Shaikh Ali Tantawi Aik Jaga badi Qeemti Baat Kehte hain, Farmate hain: 

Jo log hamen Nahin Jante Un ki Nazar mein ham Aam hain, Jo Ham se Hasad rakhte Hain Un ki Nazar mein Ham Maghroor hain, Jo hamen Samajhte hain Un ki Nazar mein Ham Acche hain, Jo ham se Mohabbat karte Hain Un ki Nazar mein ham Khaas Hain, Jo ham se Dushmani Rakhte hain un ki Nazar mein Ham Bure hain, Har shaks ka Apna aik Alag Nazarya aur Dekhne ka Tariqa hai, 

●◗► Lehaza Dusron ki Nazar Mein Accha Banne ke Piche Apne Aap ko mat Thakayye, Allah Ta’ala Aap se Razi ho Jaye Yahi Aap ke liye Kafi hai, Logon ko Razi Karna Aisa Maqsad hai Jo kabhi Pura Nahin ho Sakta, Allah Ta’ala ko Razi karna Aisa Maqsad hai jis ko Chhoda Nahin Ja Sakta, To jo Cheez mil Nahin Sakti use Chhor kar Wo Cheez Pakdiye Jise Chhoda Nahin Ja Sakta.

🌸 Jaise Jaise Umr Guzarti Jati Hai Ehsas Hone Lagta Hai, Waldain Har Cheez Ke Bare Mein Bilkul Theek Kehte The 🌸

✦........►Aurten Khufya Cameras Se Bachen ◄........✦

Narrated Abu Al-Malih Al-Hudhali: That some women from the inhabitants of Hims, or from the inhabitants of Ash-Sham entered upon 'Aishah, so she said: "Are you those whose women enter the Hammamat? I heard the Messenger of Allah (ﷺ) saying: 'No woman removes her garments in other than the house of her husband except that she has torn the screen between herself and her Lord.'"

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 5 :: Book 41 :: Hadith 2803]

Urdu Translation: Ahle Hims ya Ahle Sham ki Aurten Hazrat Aishah RadiyAllahu Anha ke Hujre Mein Dakhil Huyin to Hazrat Aishah RadiyAllahu Anha ne Farmaya: Tum hi Wo Log Ho Jin ki Aurten (Awami) Hamamon Mein Jati Hain? Main ne Nabi Akram ﷺ Ko Irshad Farmate hue Suna: “Jis Aurat ne Bhi Apne Khawind Ke Ghar ke Alawah Kahin Aur Apne Kapde Utare to Us ne Apne aur Allah Ta’ala ke Darmiyan Parde ko Phad Dala.”

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 705, 2803]

●◗► Aurat ko Badan Chupane ka Sakhti se Hukum hai, Hatta ke Tanhayi wali Jaga Mein bhi Bila Zaroorat Shadidah Kapde Utarne ki Ijazat Nahin, Albatta kisi Qareebi Rishtedaron ke Ghar Bawaqte Zarurat kapde Tabdeel kiye Ja sakte Hain.

Aaj ki Aurten Fashionable, Raushan Khayal aur Modern banne ke Bajaye Agar Shari’at Par Aml shuru Karden to Apni Iffat, Namoos aur Izzat Bacha Sakti hain, Kyun ke Aaj kal Aurton ke Fitness Club, Sports Club, Beauty Parlours aur Kapdon ki Dukanon ke Dress Tabdeel karne ki Jagahon mein Khufya Camera Nasb hote Hain, Jin ke Zariye Badi Tadad mein Barhana Tasaweer aur Videos bana kar Internet Par Shaye ki ja Rahi hai.

Friday, 16 February 2018

✦....► Shadi Kiye Baghair Zindagi Guzarna Mana Hai! ◄....✦

Qatadah narrated from Al-Hasan, from Samurah RadiyAllahu Anhu that: The Prophet ﷺ prohibited celibacy.

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Book 6 :: Hadith 1082]

Urdu Translation: Hazrat Samurah RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke: “Nabi Akram ﷺ ne Baghair Shadi ke Rehne Se Mana Farmaya Hai.”

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Hadith 1074, 1082]

●◗► Bawajood Istita’at ke Tajarrud ki Zindagi Guzarna aur Nikah Na Karna Shari’at Mein Sakht Na Pasndidah Aur Mamnoo Aml Hai.

✦......♥ Tang Dast Logon Ka Qarza Muaaf Karna! ♥......✦

Narrated Hudhaifa RadiyAllahu Anhu: I heard the Prophet (ﷺ) saying, "Once a man died and was asked, 'What did you use to say (or do) (in your life time)?' He replied, 'I was a businessman and used to give time to the rich to repay his debt and (used to) deduct part of the debt of the poor.' So he was forgiven (his sins.)"

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 3 :: Book 41 :: Hadith 576, 2391]

Urdu Translation: Hazrat Hudhaifa RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Main ne RasoolAllah ﷺ ko ye Irshad Farmate hue Suna ke: “Aik Shaks ka Inteqal hua, (Qabr Mein) us se Sawal hua ke Tumhare Paas koi Neki hai? Us ne Kaha ke main Logon se Khareed o Farokht Karta tha (Aur Jab kisi Par mera Qarz hota) to main Maal daron ko Mohlat diya Karta tha aur Tang Daston ke Qarze Muaaf kar diya Karta tha, Chunanche is (Naik Aml) Par Us ki Bakhshish ho gayi.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Hadith 2391]

🍁 Jo Aik Baar Dil Se Nikal Jaye Wo Dil Mein Dobara Jagah Nahin Bana Sakta 🍁

✦....♥ Apne Bacchon Ko Bosa Dena Sunnate Nabwi! ♥....✦

Allah's Messenger (ﷺ) kissed Al-Hasan bin `Ali RadiyAllahu Anhu while Al-Aqra' bin H`Abis at-Tamim was sitting beside him. Al-Aqra said, "I have ten children and I have never kissed anyone of them," Allah's Messenger (ﷺ) cast a look at him and said, "Whoever is not merciful to others will not be treated mercifully."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 8 :: Book 73 :: Hadith 26, 5997]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Hazrat Hasan bin Ali RadiyAllahu Anhuma ko Bosa Diya, Aap ﷺ Ke Paas Hazrat Aqra bin Habis RadiyAllahu Anhu Baithe hue the, Harat Aqra RadiyAllahu Anhu ne kaha ke Mere 10 Ladke hain aur Main ne un Mein se kisi ko Bosa Nahin diya.

Aap ﷺ ne un ki Taraf Dekha aur Farmaya: “Jo Makhluqe Khuda Par Rahem Nahin karta us Par Bhi Rahem Nahin Kiya Jata.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 6 :: Hadith 5997]

✦.......♥ Jayez aur Halal Mohabbat ka Izhar! ♥.......✦

●◗► Insani Mua’ashre mein Mohabbat o Mawaddat, Ijtimaiyat aur Ham Aaahangi ki Targheeb Jitni Deen-e-Islam aur Paighambare Islam ﷺ ne di hai Dunya ke kisi aur Deen ne Nahin di.

✿ Nabi Akram ﷺ ne Irshad Farmaya: “Jab Tum Mein Se Koi Apne Bhai se Mohabbat kare to Use Chahiye ke Wo Apne Bhai ko Batade (Yani Mohabbat ke Talluq ka izhar Kare).” (Jami` at-Tirmidhi: 2392)

The Messenger of Allah ﷺ said: "When one of you loves his brother, then let him inform him of it." (Jami` at-Tirmidhi: 2392)

●◗► Izhare Mohabbat se Islam Mana Nahin karta Albatta Na’Mahram Mard o Aurat ke Darmiyan Na Jayez Mohabbat, Ikhtelat aur Be Hayayi ko Haram Qarar deta hai, Insan ko Chahiye ke Wo Biwi Bacchon, Waldain aur Bahen Bhaiyyon se Toot kar Mohabbat kare aur is ka Munasib Andaz mein izhar bhi Kare, Izhare Mohabbat ka khaas Tariqah ya Tareekh tai Karna Jaise 14 February ko Valentines day Manana Bhi Yahood o Nasara ki Naqqali aur Mushabihat ki Wajah se Mamnoo hai.

💖 Lafz “Aap” Aur “Tum” Dono Ka Matlab Aik Hi Hota Hai Par Is Se Bolne Wale Ki Tarbiyat Ka Pata Chalta Hai 💖

❤️ Mithe Bol Bolne Wali Biwi Hamesha Shohar Ke Dil Ke Qareeb Rehti Hai ❤️

✦......................► Maysoos Na Hon! ◄......................✦
♥ Mushkil Aur Tang Jaga Mein Bhi Allah Ki Rehmat! ♥

(Ashab Kahf Walon ne (Aapas Mein) Kaha:)

“Chalo Ab Tum is Ghaar Mein Panah le lo, Tumhara Parwardigar Tumhare Liye Apna Daman Rehmat Phaila Dega Aur Tumhare Kaam mein Aasani Ke Asbab Muhayya Farma dega.” (Al-Quran, Surah Al-Kahf: 16)

✦......► Privacy Mein Mudakhilat Na Karen! ◄......✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: “One should not sit between two men except with their permission.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 42 :: Hadith 4826, 4844]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Do Aadmiyon ke Darmiyan Un ki Ijazat ke Baghair Na Baitha Jaye.”

[Urdu Ref :: Sunan Abi Dawud :: Vol. 3 :: Hadith 1416, 4844]

💖 Kisi Ko Muaaf Kar Ke Acche Zaroor Bano Magar Us Par Dobara Aitebar Kar Ke Bewaqoof Mat Bano 💖
✦...► Valentine Day, Be Hayayi ke Aalami Din se Mazirat! ◄...✦

It was Narrated from Anas RadiyAllahu Anhu that the Messenger of Allah (ﷺ) said: “Every religion has its distinct characteristic, and the distinct characteristic of Islam is modesty.”

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 5 :: Book 37 :: Hadith 4181]

Urdu Translation: Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAlla ﷺ    ne Irshad Farmaya: “Beshak Har Deen Ki Koi Khaas Khaslat (Fitrat, Mizaaj Ya Pehchan) hoti hai aur Islam ki Wo Khaas Khaslat “Haya” hai.”

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Hadith 1062, 4181]

 ♥ Jis Deen ki Pehchan hi ‘Haya’ ho Us Mein Be Hayayi ki Gunjayesh Nahin ♥

💖 Jo Sacche Hote Hain Wo Tehzeeb Ke Dayere Ka Lihaz Karna Bhi Jante Hain aur Sabr ke Ghoont Peena Bhi 💖
✦......▶ Mehfil Wagherah Mein Baith Kar ◀......✦
✦.........▶ Mobile Mein Mashghuliyat ◀.........✦

It was narrated from Ibn 'Abbas RadiyAllahu Anhu that: The Messenger of Allah (ﷺ) took a ring and put it on, then he said: "This distracted me from you all day, shifting my gaze from it to you (and back again)." Then he threw it away.

[Sunan an-Nasa’i :: Vol. 6 :: Book 48 :: Hadith 5291, 5289]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Abbas RadiyAllahu Anhuma se Riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne Aik Anghothi Banwayi aur use Pehna, aur Phir Farmaya: "Is Anghothi ne Aaj se Meri Tawajje Tumhari Taraf se Baant di Hai, Aik Nazar ise Dekhta hun Aur Aik Nazar Tumhen”, Phir Aap ﷺ ne Wo Anghothi Utardi."

[Urdu Ref :: Sunan an-Nasa’i :: Vol. 3 :: Hadith 1590, 5291]

●◗► Majlis ke Aadab Mein se hai ke Insan Shurka Majlis aur Mehmano ko Chhod kar kisi aur Cheez mein Mashghool Na ho, Aaj kal log Mehfil Mein Shurka ko Chhod kar Dair Tak Mobile Phone aur Social Media mein Mashghul Rehte hain, Aisa Karna Khilafe Adab hai.

🍃 Jo Rishte Tumhen Takleef Den Un Se Doori Ekthiyar karlo Wo Khud Laut Aayenge, Magar us Waqt Jab Tumhare Dil se Utar Chuke Honge, Kyun Ke Wo Tumhari Qadar Se Nahin Pachtawe se Laot te hain, ► Jis Ki Di hui Takleef Se Tum Aaj Ro Rahe Ho, Wo kal Tumhare Pachtawe Mein Royega.” 🍃

Wednesday, 7 February 2018

✦......► Protocol ke Shauqeen Hazraat Ka Thikana! ◄......✦

The Messenger of Allah (ﷺ) saying: 'Whoever wishes that he be received by men standing then, let him take his seat in the Fire.'"

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 5 :: Book 41 :: Hadith 2755]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks ye Pasand kare ke Log (us ki Aamad Par) Us ke liye Ba Adab Khade ho Jayen to use Chahiye ke wo Apna Thikana Jahannam Mein Banale.”

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol.2 :: Hadith 655, 2755]

✦......► 2 Logon Ki Namaz Qubool Nahin! ◄......✦

Hazrat Abdullah bin Umar RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: 2 Log Aise Hain jin ki Namazen un ke Saron se Uphar bhi Nahin Jaati (Yani Qubool Nahin hotin): 

❶ Wo Ghulam Jo Apne Aaqa se Bhag Gaya ho, Yahan Tak ke Wapas Aajaye.

❷ Wo Aurat Jo Apne Shohar ki Nafarman ho Yahan Tak Ke Wo Nafarmani se Baaz Aajaye.

[Al-Mustadrak alaa al-Sahihain Al-Hakim: 7330]

✦...........♥ Dil Jeetne Ka Nuskhah! ♥...........✦

RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Tum Logon (Ke Dilon) Tak Maal ke Zariye Rasayi Hasil Nahin Kar Sakte Balke Khandah Paishani (Yani Umdah Akhlaq) Ke Zariye Tum Logon (ke Dilon) Tak Rasayi Hasil Kar Sakte ho.” (Musnad Abi Ya’la: 6550)

► Rasayi – Pahonch.

🌸 Har Shaks Ko is Qabil Hona Chahiye Ke Apni Bacchi Ka Nikah Khud Padhaye, Jo Dua Bacchi Ke Liye Baap ke Dil Se Nikle gi Wo Kisi Aur ke Dil Se Kaise Nikal Sakti Hai 🌸

✦......♥ Mukhlis Dost Naseeb Walon Ko Milta Hai! ♥......✦

Us ne Mobile uthaya aur apne Behtareen Dost se Rabta kiya aur Baghair kisi Tamheed ke kaha “Meri Ammi Jaan Sakht bimar hai Aur Mere Paas Dawa ke liye Paise Nahin hai.” Dost ne us ki Baat Puri hone se Pehle Jawab diya “Tum mujh se Asr ke Baad Rabta karo..” Aur Call ko Munqate kardi. Us ne Asr ke baad Dost ka Number Milaya to Phone band mila, Ab wo bechain ho Gaya aur Apni Maa ke dawa ke Husoosl ke liye kayi Nakam koshishen Karne ke Baad Jhuke hue Sir aur Dukhe hue Dil ke Sath Ghar Wapas gaya, Mukhtalif Andeshon mein Ghira hua jab Apni Waldah ke kamre mein Dakhil hua to wo Pur sukoon Neend so Rahi hai, aur Dawa ka Thaila un ke Sarhane Rakha hai, Us ne Apni Bahen se Pucha “Ammi Jaan ki Dawa kon Laya? Bahen ne Jawab diya “Aap ke Fulan Dost.”

●◗► Wo Fauran Ghar se Nikla aur usi Dost ke ghar Pohncha us se mila, Purnam Aankhon se us ka Shukriya Ada kiya “Main ne Asr ke baad Aap se Rabta kiya lekin Aap ka Phone Band mil Raha tha? “Dost ne us ke kandhe Par Hath Rakhte hue Kaha main ne Mobile Bech diya aur us Raqam se Aap ki Waldah ki Dawa khareed li.” Dosti Qurbani ka Naam hai, Aap Dunya ke Ameer Tareen insan hain Agar Aap ke Paas Aik Mukhlis Dost hai, Aise Dost ki Qadar kijiye, Use khone na Dijiye.

❤️ Hazaron Aaib Hain Mujh Mein Mujhe Maloom Hai Ye Bhi, Magar Aik Shaks Hai Nadaan Mujhe Anmol Kehta Hai ❤️

✦...........► Suraj aur Chand Grahan ◄...........✦
✦....► Qudrate Khudawandi Ki Nishani ◄....✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: The sun and the moon are two signs among the signs of Allah These do not eclipse either on the death of anyone or on his birth. So when you see them, hasten to prayer.

[Sahih Muslim :: Book 4 :: Hadith 1966, 901]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Beshak Suraj aur Chand Allah ki Nishaniyon mein se Do Nishaniyan Hain, Kisi ke Marne Jine se un ko Grahan Nahin Lagta Pus Jab Tum in Nishaniyon ko Dekho to Namaz Padho.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 2 :: Hadith 2089]

 ●◗► Suraj aur Chand Grahan ke Waqt 2 Rakat Namaz Masnoon hai, Suraj Grahan ki Namaz ko “Namaze Kusoof” aur Chand Grahan ki Namaz ko “Namaze Khusoof” Kaha jata hai, Aaj (31-01-2018) Chand Grahan hai Lehaza Ahle Hindustan 2 Rakat Namaz Infiradi Taur Par Baghair Jamat ke Padhe aur Taubah Astaghfar ka Ehtemam Karen.

🌸 Bahot Masoom Hote Hain Wo Log Jo Dair Se Roothte Hain Aur Jaldi Maan Jate Hain 🌸

✦.....♥ Bewaon aur Miskinon Ke Kaam Aane Wale! ♥.....✦

The Prophet (ﷺ) said: "The one who looks after a widow or a poor person is like a Mujahid (warrior) who fights for Allah's Cause, or like him who performs prayers all the night and fasts all the day."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 7 :: Book 64 :: Hadith 265, 5353]

Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ ne Irshad Farmaya: “Bewaon Aur Miskeenon ke Kaam Aane Wala Allah ke Raste Mein Jihad karne Wale ke Barabar hai, Ya Raat bhar Ibadat aur Din ko Roze Rakhne Wale ke Barabar hai.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 7:: Hadith 5353]

💖 Dunya Ke Sabhi Log Khoobsurat Hain Badsoorti Hamare Rawayyon Aur Sonch Mein Hai..!! 💖

✦....♥ Jo Apne Liye Pasand Karen Wahi Dusron Ke Liye Bhi! ♥....✦

The Prophet (ﷺ) said, "None of you will have faith till he wishes for his (Muslim) brother what he likes for himself."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 1 :: Book 2 :: Hadith 13]

Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ ne Irshad Farmaya:  “Tum Mein se Koi Shaks us Waqt Tak Kamil Imaan Wala Nahin ho Sakta Jab tak ke Wo Apne Bhai ke Liye bhi Wahi Kuch Pasand Na Kare Jo wo Apne Liye Pasand Karta ho.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 1 :: Hadith 13]

❣️ WhatsApp Ho Ya Zindagi Log Hamesha Status Hi Dekhte Hain❣️

✦.....► Dunya Mein Bhi Pakad Aur Aakhirat Mein Bhi! ◄.....✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: "There is no sin more worthy of Allah hastening the punishment upon its practitioner in the world – along with what is in store for him in the Hereafter – than tyranny and severing the ties of kinship.”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 11 :: Hadith 2511]

Urdu Translation: RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad Farmaya: “Baghawat aur Rishte Nate Todne ke Alawah koi Gunah Aisa Nahin ke Allah Ta’ala us ke karne Wale ko Dunya Mein bhi Jald Saza Den (aur) Aakhirat mein bhi us ke liye Azab Tayyar Rakhen.”

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 400]