Pages

Thursday, 7 June 2018

✦..........♥ Shabe Qadr ki Khusoosi Dua ♥..........✦

Narrated Aishah RadiyAllahu Anha: "I said: ‘O Messenger of Allah ﷺ what is your view if I know when the Night of Al-Qadr is, then what should I say in it?" He ﷺ said: ‘Say:

اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي
'Allahumma Innaka Afuwwun Tuhibbul-Afwa Fa’fu Anni'

"O Allah, indeed You are Pardoning, You love pardon, so pardon me"

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 6 :: Book 45 :: Hadith 3513]

●═══════════════◄►══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Aishah RadyAllahu Anha Farmati hain ke Main ne Aap ﷺ se Arz kiya: “Ya RasoolAllah! Agar mujhe Shabe Qadr ka Pata Chal Jaye to Main kya Dua Mangun? Huzoor ﷺ ne Irshad Farmaya ke ye Dua Padho:

اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي
'Allahumma Innaka Afuwwun Tuhibbul-Afwa Fa’fu Anni'

''Aye Allah! Beshak Aap Muaaf karne Wale hain aur Muaaf karne ko Pasand Karte hain, Pus Mujhe bhi Muaaf Farmaden.''

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 1438, 3513]

✦.......♥ Ghar ke Afrad ki Taraf se Sadaqa e Fitr ♥.......✦

Narrated Nafi` Rahimahullah said: Ibn `Umar RadiyAllahu Anhu used to give dates (as Sadaqat-ul-Fitr). Once there was scarcity of dates in Medina and Ibn `Umar gave barley. 'And Ibn `Umar RadiyAllahu Anhu used to give Sadaqat-ul- Fitr for every young and old person. He even used to give on behalf of my children. Ibn `Umar RadiyAllahu Anhu used to give Sadaqat-ul-Fitr to those who had been officially appointed for its collection. People used to give Sadaqat-ul-Fitr (even) a day or two before the `Id.

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 2 :: Book 25 :: Hadith 587, 1511]

●═══════════════◄►══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Nafi Rahimahullah jo Hazrat Abdullah bin Umar RadiyAllahu Anhuma ke Aazad kardah Ghulam hain Farmate hain ke Hazrat Abdullah bin Umar RadiyAllahu Anhuma Sadaqa Fitr mein Khajoor diya karte the, Aik martaba Ahle Madinah par Khajoor ka Qahet hua to Aap ne Jao ki surat mein Sadaqa Fitr ada kiya, Hazrat ibn Umar RadiyAllahu Anhuma Chote, Bade (Ghar ke tamam Afrad) ki Taraf se Sadaqa Fitr diya karte the, Yahan tak ke mere Beton ki taraf se bhi Sadaqa Fitr de dete the, Neez Ibn Umar RadiyAllahu Anhuma Sadaqa Fitr, Un ko dete jo Qubool karte aur Eid Ul-Fitr se 1 ya 2 din Pehle dete.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 2 :: Hadith 1511]

●◗► Har Sahibe Nisaab Shaks par Apni taraf se aur Apni Na Balig Aulad ki Taraf se Sadaqa e Fitr ada karna Wajib hai.

✦............♥ SADAQAT-ul-FITR ♥............✦

Narrated Abdullah ibn Abbas RadiyAllahu Anhu: The Messenger of Allah (ﷺ) prescribed the sadaqah (alms) relating to the breaking of the fast as a purification of the fasting from empty and obscene talk and as food for the poor. If anyone pays it before the prayer (of 'Id), it will be accepted as zakat. If anyone pays it after the prayer, that will be a sadaqah like other sadaqahs (alms).

[Sunan Abi Dawud :: Book 9 :: Hadith 1605, 1609]

Urdu Translation: Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Anhuma se Riwayat hai: “RasoolAllah ﷺ ne Sadaqa e Fitr ko Farz Qarar diya taa ke Rozah Daar ki (Rozon ke dauran) Fuzool baton aur Fahesh kalami se Safayi ho jaye aur Masakeen ke liye Khane Pine ka Bandobast ho jaye, Jo koi Sadaqa e Fitr ko Namaz se pahle Ada karle to ye Maqbool Sadaqa e Fitr hai aur jo Namaz ke baad ada kare to ye Aam Sadaqat mein se Aik Sadaqah hoga.”

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 1 :: Hadith 1596, 1609]



✦........♥ Shabe Qadr Palene ka Aasan Nuskha ♥........✦

RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: "Shabe Qadr ko Ramadan Al-Mubarak ke Aakhir Ashre ki Taaq Raaton mein Talash karo." ► Allah's Messenger (ﷺ) said: "Search for the Night of Qadr in the odd nights of the last ten days of Ramadan." (Sahih Bukhari: 2017)

Shabe Qadr ka Ramadan ke Aakhir Ashre ki Taaq Raton mein hona Muta’yyan hai lehaza Agar Aakhir Ashre ki Taaq raton (21, 23, 25, 27, 29) mein se har har Raat ko darj Zail Aa’mal kar Liye jayen to Allah ki zaat se Bhar pur Ummid hai ke ham Shabe Qadr ki Barkaat aur Hazaar Mahinon ki Ibadat ka Sawab pa Sakenge.

❶ Isha aur Fajr ki Namaz ba’Jamat ada kare, (Jis ne Isha o Fajr ba Jama’at ada ki to use Puri Raat ibadat ka sawab milta hai).
❷ Teesra kalimah aur Durood Shareef ka Ehtemam karen.
❸ Kam az kam aik Parah Qur’an Majeed ki Tilawat karen.
❹ Kam se kam 2 Rakat Salaat at-Taubah Padhen.
❺ Apne Gunahon par Roro kar Allah se Muafi mangen.

♥︎ 'Milna Aur Bichadna Zindagi Ka Hissa Hai Lekin Bichadne Ke Baad Milna Zindagi Ki Ummid Kehlata Hai, Fasla Kisi Rishte Ko Juda Nahin Kar Sakta  Aur Waqt Kisi Naye Rishte Ki Takhleeq Nahin Karta, Agar Jazbat Sacche Hon To Rishte Hamesha Qayem Rahte Hain' ♥︎

✦.......♥ Ramadan ke Aakhri Ashrey ka I’tikaf Aur ♥.......✦
✦..........♥ Aur Pyare Rasool ﷺ ka Tarze Aml ♥..........✦

Narrated 'Aisha RadiyAllahu Anha: (the wife of the Prophet) "The Prophet (ﷺ) used to practice I`tikaf in the last ten days of Ramadan till he died and then his wives used to practice I`tikaf after him."

[Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Book 33 :: Hadith 243, 2026]

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha Farmati hain: "Nabi Akram ﷺ Dunya se Rokhsat hone tak Ramadan Al-Mubarak ke Aakhri Ashrah ka I’tikaf Farmate rahe aur Aap ﷺ Ke Dunya se Tashreef le Jane ke Baad Aap ki Azwaje Mutahrat ne bhi I’tikaf Farmaya.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Hadith 2026]

✦....♥ Gunahon Se Hifazat Aur Ajr o Sawab Mein Besh Baha Izafa ♥....✦

It was Narrated from Ibn ‘Abbas RadiyAllahu Anhu that: The Messenger of Allah (ﷺ) said concerning the person observing I’tikaf. “He is refraining from sin and he will be given a reward like that of one who does all kinds of good deeds.”

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 7 :: Hadith 1781]

Urdu Translation: Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ ne Mutakif ke Bare mein Irshad Farmaya: “I’tikaf karne Wala Gunahon se Mahfooz Rehta hai, (Jin Nekiyon mein wo I’tikaaf ki Waja se Shareek Nahin ho Sakta, Maslan: Janazah, Tadfeen, Iyadat Wagherah to) In mein us ke Liye Utni hi Nekiyan Likhi Jati hain Jitni karne Wale ke Liye Likhi jati hain.”

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Hadith 1781]


✦.....♥ Bacchon ke Inteqal Par Waldain Ke Liye Jannat Ki Basharat! ♥.....✦

It was narrated from Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu that the Prophet (ﷺ) said: “There are no two Muslims (mother and father), three of whose children die before reaching the age of puberty, but Allah will admit them to Paradise by virtue of His mercy towards them.”

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 6 :: Hadith 1605]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Jis Musalman Mard o Aurat ke Teen Bacche Baligh hone Se Pehle Inteqal kar Jayen to Allah Ta’ala un Bacchon Par Rehmat ki Wajah se Un ke Waldain ko Jannat mein Dakhil Farmayen ge.

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Hadith 1605]

💕 Apne Shareeke Hayaat Ke Tamam Aaib Maloom Hone Ke Bawajood Us Ke Sath Behtareen Zindagi Guzarna Hi Asal Mohabbat Hai 💕

♥︎ 'Mushkilen Apna Hal Sath Lekar Aati Hain Bande Ko Allah Par Bharosa Hona Chahiye' ♥︎

✦....►Sadaqa Khairat Sirf Ramadan Ya Eid Ka Mohtaj Nahin! ◄...✦

Aik Ghareeb Family Jis mein Panch Afrad the, Baap hamesha Bimar Rehta tha, Aakhir mein Mar gaya, Teen din tak Padosiyon ne khana Bheja, Maa ne kuch din Jaise taise Kar ke Bacchon ko khilaya, Phir Faqe Padne lage Jis ki Waja se 8 Saal ka beta Bimar Pad Gaya, 5 Saal ki Bacchi ne Maa ke Kaan mein Pucha, Maa Bhai kab Marega Maa Tadap Gayi aur kaha Aise kyun Puch Rahi ho, Bacchi ne Masumiyat se kaha, Amma Bhai Marega Tab hi Ghar mein Khana Aayega Na.

●◗► Sadaqa Khairat Sirf Ramadan ya Eid ka Mohtaj Nahin hain, Aap ke Maal Mein Ghareebon ka Bhi Haq Hain, Message ko Baar baar Padhiye aur Ghaur Karen.

✦.....♥ Rozah o Quran Majeed Roze Mehshar Shifa’at Ka Zariya ♥.....✦

Narrated Abd-Allah ibn ‘Amr RadiyAllahu Anhu that the Messenger of Allah (ﷺ) said: "Fasting and the Quran will intercede for a person on the Day of Resurrection.

► Fasting will say, ‘O Lord, I deprived him of his food and his desires during the day, so let me intercede for him.’

► And the Quran will say: ‘I deprived him of his sleep at night so let me intercede for him.’ Then they will intercede."

[Musnad Ahmad :: Hadith 6626, Saheeh al-Jami’ :: No 3882]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Amr RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: "Qayamat ke din Rozah Aur Quran Majeed Bande ki Shifa’at Karen ge.

► Rozah Kahega: Aye Mere Rab! Main ne is ko Din Bhar Khane Pine Aur Khuaheshat se Roke Rakha, Tu is ke Haq mein Meri Shifa’at Qabool Farma.

► Aur Quran Majeed Kahega: (Aye Rab!) Main ne ise Raat ko Sone Se Roke Rakha, Tu is ke Haq mein Meri Sifarish Qabool Farma. Pus donon ki Shifa’at Qabool karli Jayegi."

[Musnad Ahmad :: Hadith 6626]

✦.........► Nisabe Zakat: Zakat Kis Par Wajib Hai? ◄.........✦

Jo Aaqil o Baligh Musalman (Mard ho Ya Aurat) Malik Ban Jaye:

❶ Sadhe Sath Tola (87.480 Gram) Sone (Gold) Ka…Ya
❷ Sadhe Bawan Tola (612.360 Gram) Chandi (Silver) Ka…Ya
❸ Sadhe Bawan Tola Chandi ki Qeemat ke Barabar Raqam (Currency) Ka (May 2018 ke Rate ke Mutabiq Taqriban 25,620/- Rupe ka)…Ya
❹ Sadhe Bawan Tola Chandi ki Qeemat ke Barabar Maale Tijarat ka (Maal Tijarat se Muraad wo Cheez jise Aage Farokht ki Niyyat se Khareeda ho Aur ye Niyyat Abhi Tak Baqi ho)…Ya
❺ Darje Bala Charon Amwale Zakat (Sona, Chandi, Currency, Maal Tijarat) Mein se kisi Do ya Teen ke Majmuye ka….Aur Wo Majmuah Sadhe Bawan Tola Chandi ki Qeemat  ke Barabar Pahonch Jaye…

To Aisa Shaks Sahibe Nisab Kehlaye ga Aur Jis Qamri Tareekh ko Wo Sahibe Nisab bana, Wo Tareekh us Shaks ke Zakat ke Hisab ki Tareekh ke Taur Par Tai ho Jaye gi aur Agle Qamri Saal ki Usi Tareekh Par Agar ye Sahibe Nisab Raha to is Par Amwale Zakat 2.5% Feesad Nikalna Wajib hoga, Neez Agar Sahibe Nisab Par Qarz Wagherah ho to Amwale Zakat ko Jama kar ke Qarz ko is Minha (Minus) kiya jaye, is ke Baad bhi Agar Nisab ke Baqadar Maal Baqi bache to Zakat Wajib hogi Warna Nahin.

✦.♥ Ummate Muhammadiya Ko Jodne Ki Mehnat Karen! ♥.✦

Hona to ye Chahiye tha ke Ham Musalman Kuffar Par Mehnat kar Ke Unhen Dairah Islam mein Dakhil Karte….Lekin Bad Qismati se Aaj ham Apne Musalman Bhaiyyon ko Dairah Islam Se Kharij Karne ki Mehnat Mein Lage hue Hain…

Kami, Kotahi Aur Naqayes Se koi Paak Nahin, Naqayes ki Mohabbat ke Sath Islah Zaroor Karen…Lekin Khudara! Musalmanon ko Musalman Rehne Den! Musalmanon ko Dairah Islam Se Kharij karne ki Mehnat Mein Na Lagen!

► Naqayes – Aaib, Ghaltiyan, Kotahiyan.