Pages

Thursday, 20 December 2018

.......♥ Qurani Hidayat! Guftagu Kaisi Honi Chahiye? ♥.......

► Bhali Baat Kaha Karo. (Al-Baqarah:83)
► Seedhi Aur Sacchi Baat Kaha Karo. (Al-Ahzab:70)
► Behtarin Baat Kiya Karo. (Bani Israil:53)
► Narmi Se Baat Karo. (Taha:44)
► Insaf Par Mabni Baat Kaho. (An’aam:152)
► Jhooti Baat Se Bacho. (Al-Hajj:30)

.........► Raaste Ke Huqooq◄.........

Kisi Ko Azyat Dene Se Bachna
Aankhon Ko Bahot Past Rakhna
Raste Se Taklif Dah Cheez Hatana
Salam Ka Jawab Dena
Bhali Baat Ka Hukum Dena Aur Buri Baat Se Rokna
Acchi Guftagu Karna. (Bukhari, Muslim)



❣️ Shohar Agar Ghar Se Door Ho To Logon Se Bhara Hua Ghar Bhi Aurat Ko Wiraan Aur Khali Lagta Hai ❣️

.......♥ Do Jumle..Kamyab Shadi Ka Raaz ♥.......

Hazrat Abu Ad-Darda RadiyAllahu Anhu Apni Zoja Se Farmate The: “Jab Main Kisi Baat Par Naraz Ho Jaun To Tum Mujhe Razi Kar Lena Aur Jab Tum Naraz Ho Jao To Main Tumhen Razi Karlunga Agar Ye Baat Na Hogi To Ham Bahot Jald Aik Dusre Ko Kho Baithenge.” (Tareekh Ibn Asakir)

.........► Hamare Roz Marrah Muamlat Mein Kasrat Se Sadir Hone Wale Kabirah Gunah Aur Un Ka Mukhtasar Ta’aruf ◄.........


► Gheebat:  Peeth Piche Kisi ki Aisi Burayi Bayan karna Jo us mein Maujood ho.
► Bohtan: Kisi ki Aisi Burayi Bayan karna jo us mein Maujood hi Na ho.
► Jhoot: Aisi baat karna ya Khabar dena jo Haqiqat ke Khilaf ho.
► Riyakari: Dikhlawe ke liye Naik Aml karna.
► Hasad: Kisi ke Paas Maujood kisi Nemat Par Jalna aur Pareshan hona.
► Badgumani: Kisi ke Bare mein koi Bura Khayal ya Buri raye Qayem karna.
► Tamaskhur : Kisi Shaks ya Qaum Wagherah ka Mazaq Udana.
► Takabbur: Apne ko Dusron se Bada Samajhna.
► Taassub: Nahaq Apni Qaum ka Sath dena, Apni Qaum ko Sab se Behtar Samajhna.
► Dhoka: Apne Faidah ke liye Jante Boojhte Ghalat Bayani ya Ja’alsazi karna.
► Tao Mein Rehna: Kisi ki Sargarmiyon Pe Nazar Rakhna aur Jasusi karna.
► Sazish: Kisi ko Nuqsan Pohnchane ke liye Mansube Banana.
► Waldain Ki Nafarmani: Maa Baap Ka Kehna na Maanna, Un ki Qadar na Karna, Unhen Takleef Pohnchana.
► Qata Rahmi: Rishte nate Todna, Musalman se Baat Cheet Band karna.
► Ya Arhamar Rahimeen! Hamen Aur Sari Ummat Ko In Gunahon Se Mahfooz Farma. (Aameen)

♥ Bohat Acchi Malumaat hai, Jo ke Sab ko Malum Honi Chahiye Lekin Bahot Kam log Jante Hain, Khud bhi Padhe Aur Share Karen, JazakAllahu Khairan ♥

✦....♥ Mohabbat Ka Ehsas Alfaz Se Nahin Bartao Se Kiya Jata Hai ♥....✦

●◗►  Khali Zaruraten Puri Karne Se Rishte Kabhi Nahin Nibhaye Jate, Zarurate To Aap Apne Mulazimeen ki Bhi Puri Karte Ho, Zaruraten To Aap Un ki Bhi Puri Kar Dete Ho Jin Ko Aap Jante Tak Nahin, Asal Cheez Hai Ehsas, Jab Tak Ehsas Paida Nahin Hoga, Rishta Nibhaya Nahin…Ghaseeta Jata Hai..!!

✦.........► Kina o Adawat Ki Aag Ka Wabal! ◄.........✦

Allah's Messenger (ﷺ) as saying: The gates of Paradise are not opened but on two days, Monday and Thursday. and then every servant (of Allah) is granted pardon who does not associate anything with Allah except the person in whose (heart) there is rancour against his brother. And it would be said: Look towards both of them until there is reconciliation; look toward both of them until there is reconciliation; look towards both of them until there is reconciliation.

[Sahih Muslim :: Book 32 :: Hadith 6222, 2565]

Urdu Translation: Nabi Kareem ﷺ ne Irshad Farmaya: Jannat ke Darwaze Peer aur Jumerat ke Din khole Jate hain aur Har us Bande ki Maghfirat kardi Jati hai jo Allah Ta’ala ke Sath Shirk na karta ho, Siwaye us Shaks ke Jis ke aur Us ke Bhai ke Dil mein Aik Dusre ke liye Kina o Adawat ho, Phir un Donon ke Bare mein Hukum hota hai ke In ki Maghfirat mein Intezar karo Yahan Tak ke yo Sulah Karlen, In donon ki Maghfirat mein Intezar karo Yahan  Tak Ke ye Sulah karlen, In Donon ki Maghfirat Mein Intezar Karo Yahan Tak Ke Ye Sulah karlen.

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 6 :: Hadith 6544]

💖 Koshish Itni Hai Ke Koi Ruthe Na Ham Se, Nazar Andaz Karne Walon Se Nazar Ham Bhi Nahin Milate 💖

✦.......♥ Balon Mein Kanghi Karna Bhi Sunnat!  ♥.......✦

Hazrat Humayd bin Abdurrahman RadiyAllahu Anhu relates form a Sahabi that Sayyidina Rasulullah (ﷺ) combed his hair occasionally.

Urdu Translation: Aik Sahabi RadiyAllahu Anhu Farmate Hain ke: “RasoolAllah ﷺ Kabhi Kabhi Kanghi Kiya Karte The.”

[Shama'il Muhammadiyah :: Book 4 :: Hadith 36]

✦...► Zabte Wiladat (Birth Control) Khilafe Shari’at Hai! ◄...✦

Sheikh ul Islam Hazrat Mufti Taqi Usmani Sahab Madzillah Tahreer Farmate Hain: “Khandani Mansuba Bandi Ki Jo Tahreek Chal Rahi hai Wo Khilafe Shari’at hai, Kisi Infiradi Uzr ki Bina Par Zabte Tauleed ka Aml Shar’an Jayez ho Sakta hai, Lekin Aam Muflisi ke Khof se Zabte Wiladat ki Tahreek Chalana Durust Nahin.” [Fatawa Usmani :: Jild 4 :: Safha 326]

💐 Aksar Log Kehte Hain Ham Se Ghalat Baat Bardasht Nahin Hoti, Halan Ke Ghalat Baat Bardasht Karna Hi To Sabr Hai, Sahih Baat Bardasht Nahin Ki Jati Balke Tasleem Ki Jati Hai 💐

●◗► Agar Ham Apni Aulad Ko Apna Dost Bana Kar Accha Insan Nahin Banayenge To Bure Log Unhen Apna Dost Bana Kar Bura Insan Bana Denge....!!

✦......♥ Roze Mehshar Muminin Par Allah Ka Pardah! ♥......✦

Ibn `Umar RadiyAllahu Anhu said, "I heard Allah's Messenger (ﷺ) saying, 'Allah will bring a believer near Him and shelter him with His Screen and ask him: Did you commit such-and-such sins? He will say: Yes, my Lord. Allah will keep on asking him till he will confess all his sins and will think that he is ruined. Allah will say: 'I did screen your sins in the world and I forgive them for you today', and then he will be given the book of his good deeds. Regarding infidels and hypocrites (their evil acts will be exposed publicly) and the witnesses will say: These are the people who lied against their Lord. Behold! The Curse of Allah is upon the wrongdoers." (11.18)

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 3 :: Book 43 :: Hadith 621, 2441]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah Bin Umar RadiyAllahu Anhuma Farmate Hain ke Main ne RasoolAllah ﷺ ko ye Irshad Farmate hue Suna: “Allah Ta’ala (Qayamat ke Din) Momin ko Apne Nazdeek Bulayenge aur Us Par Apna Pardah Daal kar use Chupalenge, Phir Allah Ta’ala us se Farmayenge: Kya Tujh ko Fulan Gunah Yaad hai? Kya Fulan Gunah Tujh ko Yaad hai? Wo Momin Kahega: Han, Aye Mere Parwardigar! (Mujhe Yaad Hai) Aakhir jab wo Apne Gunahon ka Iqrar karlega aur Use Yaqeen Aajayega ke Ab Wo Halak ho Gaya to Allah Ta’ala Farmayenge ke Main ne dunya mein Tere Gunahon Par Pardah dala aur Aaj bhi Main Teri Maghfirat karta hun, Chunanche use Us ki Nekiyon ka Aa’mal Nama de diya Jayega, Lekin Kafir aur Munafiq ke bare Mein Un Par Gawah (Malaika, Anbiya, Aur Jin o Ins Sab) Kahenge ke Yahi Wo Log hain Jinhon ne Apne Parwardigar Par Jhoot Bandha tha, Khabardar! Zalimon Par Allah ki Phatkaar hogi.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Hadith 2441]

✦....► Indonesia Mein Tabdili Ki Qabile Taqleed Laher! ◄....✦

Indonesia mein Hukumati Sateh Par Masajid ka Sarwe kiya Gaya to Maloom hua Ke Taqriban 40% Log Masjid mein Namaz Padhne Nahin Aate, Ya to Wo Namaz hi Nahin Padhte ya Namaz to Padhte hain Magar Gharon mein hi Padh lete hain, is Ijtimayi Kamzori ki Wujuhat Par Ghor kiya gaya to Tehqeeq ke Natije mein ye Baat samne Aayi ke is Masle ki Asal Jad Internet aur Social Media ka be Dareegh istemal hai Jis ne Naujawan Nasal ko is Qadar Masroof kar Rakha hai ke 10 15 Minute Nikal kar Masjid ka Rukh karna bhi Mushkil Hogaya hai, Baad Aza Tafseeli Ghor Khoz ke baad Indonesia  ki Hukumat ne Tai kiya ke Mulk ke Tamam Shahron mein Muqami Waqt ke Mutabiq Namaz ke Auqat mein Taqriban Aadha Ghanta Internet Service, 3G aur 4G ki Sahuliyat ko Band Rakha jayega Ta ke Awam aur Bilkhusus Naujawan, Fursat ke in Lamhat mein Masajid ka Rukh kar Saken, is Faisle ki sab se Badi baat ye hai ke koi bhi is ke Khilaf Nahin aur Sab ne is Faisle ka Khair Maqdam karte hue Hukumate Waqt ke is Iqdam ko Saraha hai.

► “Tabdili” Namaz, Quran Aur Aa’mal Mein Lagne Aur Apne Akhlaq o Kirdaar Ko Sanwarne Se Aayegi...!!

❤️ Beti Ghar Ki Wo Khushbon Hai Jis Ki Mahek Se Ghar Mein Raunaq Paida Hoti Hai ❤️

✦.......► Kisi Ki Museebat Par Khush Na Hon ◄.......✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: "Do not express pleasure at the misfortune of a (Muslim) brother lest Allah should bestow mercy upon him and make you suffer from a misfortune."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 11 :: Hadith 2506] [Riyad as-Salihin :: Book 18 :: Hadith 1577]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Apne Bhai ki Kisi Musibat Par Khushi ka Izhar Na Karo, Ho Sakta hai ke Allah Subhanahu Wa Ta'ala Us Par Rahem Farma kar us Se Musibat ko Door karden Aur Tum ko us Musibat Mein Mubtela Karden.”

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 392, 2506]

❤️ Jitna Aik Duje Ka Ehteram Karoge Utna Hi Rishta Pyar Bhara Hoga ❤️

✦.......► Maqsad Aur Zarurat Ki Baat Karen! ◄.......✦

●◗► Jis Insan Ko Ye Baat Samajh Mein Aajaye ke Us ke Muh Se Nikalne Wala har har Lafz Ya to Us ke liye Ajr o Sawab Aur Neki ka Zariya Ban Raha hai Ya Phir Gunah aur Azab Ka To Wo Hamesha Soch Samajh kar Sirf Maqsad Aur Zarurat ki Baat Karega.

✦.......►“Online” Se “Offline” Tak Ka Safar! ◄.......✦

Aik Din Aap tamam Dost Mujhe Offline Payenge, Friend Request Bhejenge Lekin Accept Nahin hogi, Messenger Pe Paigham Bhejenge Lekin Jawab Nahin Milega, Main Aap ko Mustaqil Offline Nazar Aaunga, Meri Posten Bhi Aana band Ho jayengi, Kyun ke Main is Dunya se Ruqsat ho Chuka honga aur Qabr ke Tang o Taareek Gadhe mein Akela Qayam Pazeer Honga, Wahan main Apni Tanhayi ko door karne ke liye kisi se Chat Nahin kar Sakunga, Wahan Mere Aamal hi mere liye Hasrat ya Khushi ka Saman honge.. Main aur Aap Jab is dunya se Rihlat Kar jayenge to Ham Apne Hath se Likhi Gayi ya Share ki Gayi Acchi ya Buri Posts Chhod Jayenge, Lehaza Abhi se Koshish kijiye ke Hamari Posts hamare liye Sadaqa Jariya Ban Jayen.

●◗► Jaldi Kijiye! Maut ka Kuch Bharosa Nahin, Apni Timeline ka Jayezah le kar Ghair Zaroori aur Gunah Par Mushtamil Posts ko Delete karden Aur Aayindah Aisi Posts karne se Gurez Karen, Kyun ke Abhi Aap ke Paas Moqa hai Aur Aap Dunya Mein Aur Facebook Par Online Hain.