Pages

Saturday, 30 November 2019

✦......► Aap Ke Waldain Zindah Hain Ya…?? ◄......✦
✦...............♥  Waldain Ke 14 Huqooq ♥...............✦

✿ Zindagi Mein 7 Huqooq: ✿

1. Dil o Jaan Se Un Ki Izzat o Ehteram Karna (Agarche Wo Kafir Hon)
2. Husne Sulook Aur Mohabbat o Ulfat Ka Muamla Karna
3. Shari’at Ke Dayere Mein Rehte Hue Un Ki Ita’at Karna
4. Un Ke Ehsanaat Aur Kawishon Ki Qadardani Karna
5. Un Ki Hajaat o Zaruriyat Puri Kar Ke Unhen Rahat Pohnchana
6. Un Ki Shadabi Aur Lambi Umr Ke Liye Dua Karna
7. Kasrat Se Un Ki Ziyarat Karna

✿ Inteqal Ke Baad 7 Huqooq: ✿

1. Un Ke Liye Duaye Maghfirat Karna (Bashartyeke Waldain Musalman Hon)
2. Isale Sawab Karna (Bashartyeke Waldain Musalman Hon)
3. Un Par Kisi Ka Qarz Ho To Ada Karna
4. Un Ki Wasiyat Puri Karna
5. Un Ke Rishtedaron Aur Dost Ahbab Ka Ikram Karna
6. Un Ke Aaza o Aqarib Aur Doston Ki Muawinat Karna
7. Waqtan Fawaqtan Un Ki Qabr Ki Ziyarat Karna. (Makhuz Az Al-Quran, Ahadis Nabwi ﷺ)


✦.....♥ Quran Jism Insani Ko Qabo Mein Rakhne Wali Kitab ♥.....✦

● Insani Aawaz Control Mein Rakhne Ke Liye Quran Farmata Hai: “Aur Apni Aawaz Ko Aahista Rakho.” (Surah Luqman:19) 

● Insani Alfaz Control Mein Rakhne Ke Liye Quran Farmata Hai: “Aur Logon Se Bhali Baat Kehna.” (Surah Al-Baqarah:83) 

● Insani Aankhon Ko Control Mein Rakhne Ke Liye Quran Farmata Hai: “Aur Momin Mardon Se Kehdo Ke Wo Apni Nigahen Nichi Rakhen Aur Apni Sharm Gahon Ki Hifazat Karen.” (Surah An-Noor:30) 

● Insani Chaal Dhaal Ko Control Karne Ke Liye Quran Farmata Hai: “Aur Zameen Par Itrate Hue Na Chalo.” (Surah Luqman:18) 

● Insani Hirs o Tama’a Ko Control Karne Ke Liye Quran Farmata Hai: “Aur Tum Un Chizon Ki Taraf Hargiz Aankh Utha Kar Bhi Na Dekho, Jo Ham Ne Mukhtalif Logon Ko Maze Udane Ke Liye De Rakhi Hain.” (Surah Al-Hijr:88) 

● Khane Pine o Digar Akhrajaat Control Karne Ke Liye Quran Farmata Hai: “Fuzool Kharchi Mat Karo.” (Surah Al-A’raf:31)


●◗► Jitna Ham Dil o Jaan Se Allah Ke Huzoor Jhukenge Itna Hi Allah Hamari Izzat Aur Martabe Mein Izafa Karega.


The Messenger of Allah (ﷺ) said: “…Endurance is a brightness and the Holy Qur'an is a proof on your behalf or against you.”

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Quran Ya Tumhare Haq Mein Hujjat Hai Ya Tumhare Khilaf Hujjat Hai.”

[Sahih Muslim :: Book 2 :: Hadith 432, 223]

●◗► Quran Ki Dil o Jaan Se Azmat Kar Ke Ise Apna Banayyen, Warna Roze Qayamat Ye Aap Ke Khilaaf Hoga!


✦........► Musalman Ko Fasiq Ya Kafir Kehna◄........✦

The Prophet (ﷺ) saying: "If somebody accuses another of Fusuq (by calling him 'Fasiq' i.e. a wicked person) or accuses him of Kufr, such an accusation will revert to him (i.e. the accuser) if his companion (the accused) is innocent."

[Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 73 :: Hadith 71]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Agar Koi Shaks Kisi Doosre Shaks Par Fasiq Ya Kafir Hone Ki Tohmat Lagaye Aur Wo Shaks Dar Haqiqat Fasiq Ya Kafir Na Ho To Khud Kehne Wala Fasiq Ya Kafir Ho Jayega.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Hadith 6045]


“Hifze Quran Bahot Badi Nemat Hai, Sirf 3 Aayaat Rozana Chalte Phirte Yaad Karli Jiye, 6 Saal Mein Hafiz Quran Ho Jayenge.”


✦...♥ Insan Ki Marhalah Waar Takhleeq Aur Medical Science ♥...✦

Hazrat Abdullah Bin Mas’ud RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Tum Mein Se Har Aik Apni Maa Ke Pait Mein 40 Din Tak Nutfah Ki Shakal Mein Rehta Hai, Phir Utne Hi Roz Tak Munjamid Khoon Ki Shakal Mein, Phir Utne Hi Roz Tak Lothde Ki Shakal Mein Rehta Hai.

Is Ke Baad Allah Subhanahu Wa Ta'ala Aik Farishta Bhejta Hai Aur Use Chaar Baton (Ke Likhne) Ka Hukum Diya Jata Hai Aur Use Kaha Jata Hai:

► Us Ke Aml Likhdo (Ye Kya Kya Karega)
► Us Ka Rizq Likhdo (Maldar Hoga Ya Ghareeb)
► Us Ki Umr Likhdo (Use Kab Maut Aayegi)
► Aur Ye Bhi Likhdo Ke Ye Naik Bakht Hoga Ya Bad Bakht (Jannati Hoga Ya Jahannami) Us Ke Baad Us Mein Rooh Phoonk Di Jati Hai."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol.4 :: Hadith 3208]

●◗► Insani Takhleeq Ke Darje Baala Marahil RasoolAllah ﷺ Ne 1400 Saal Hi Qabl Bayan Farmadiye The Jab Ke Aaj Ki Medical Science Jadeed Technology Ki Badolat In Marahil Ke Eteraf par Majboor Hai.

●═════════════════◄►═════════════════●

Narrated `Abdullah bin Mus'ud RadiyAllahu Anhu: Allah's Messenger (ﷺ), the true and truly inspired said, "(The matter of the Creation of) a human being is put together in the womb of the mother in forty days, and then he becomes a clot of thick blood for a similar period, and then a piece of flesh for a similar period.

Then Allah sends an angel who is ordered to write four things. He is ordered to write down:

► His (i.e. the new creature's) deeds,
► His livelihood,
► His (date of) death,
► And whether he will be blessed or wretched (in religion). Then the soul is breathed into him.

[Sahih Bukhari :: Vol. 4 :: Book 54 :: Hadith 430]


✦........► Nematon Se Behisi Na Barten! ◄........✦

✿ Bimar Ki Taklif Dekhen Aur Sahet Ki Daulat Ka Andazah Karen.
✿ Qaidi Ke Paas Jayen Aur Aazadi Ki Nemat Ka Ehsas Karen.
✿ Qabristan Ghumen Aur Zindagi Ki Qadar o Qeemat Ka Ehsas Karen.


✦......► Mauzi Janwaron Ko Maar Dene Ka Hukum ◄.......✦

Narrated `Aisha RadiyAllahu Anha: The Prophet (ﷺ) said, "Five kinds of animals are mischief-doers and can be killed even in the Sanctuary: They are the rat the scorpion, the kite, the crow and the rabid dog." (Sahih al-Bukhari :: Vol. 4, Book 54, Hadith 531, 3314)

It was narrated from Umm Sharik RadiyAllahu Anha that the Prophet (ﷺ) told her to kill house lizards.” (Sunan Ibn Majah :: Vol. 4 :: Book 28 :: Hadith 3228)

The Prophet (ﷺ) said: Kill all the snakes.” (Sunan Abi Dawood: 5248)

●═══════════════◄►═══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha se Riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “5 Mauzi Janwar hain, Unhen Hudoode Haram mein bhi Mara Ja Sakta hai (To Hudoode Haram ke Alawah Batareeq Aaula un ka Marna Jayez Hoga):

❶ Chuha
❷ Bicchu
❸ Cheel
❹ Kawwa
❺ Aur Kaat Lene Wala Kutta. (Sahih Bukhari: 3314)

Hazrat Umm Sharik RadiyAllahu Anha se Riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne Unhen ❻ Chipkaliyan Marne ka Hukum Diya. (Sunan Ibn Majah: Vol. 3 :: 109, 3228)

❼ RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Har Qism ke Sanpon ko (Jahan, Jis Waqt Pao) Qatal kiya karo.” (Sunan Abi Dawood :: Vol. 3 :: 1806, 5248)


✦........► Sood Zina Se Badtar Kyun? Kyun Ke? ◄........✦

RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Sood Ka Aik Dirham Jante Boojhte Khana 36 Martaba Zina Karne Se Badtar Hai.” (Musnad Ahmad: 22007)

❶ Sood Allah Aur Us Ke Rasool Se Elan Jung Hai. (Surah Al-Baqarah: 278,279)

❷ Sood Khane, Khilane Wale Par Allah Rasool Ki Lanat Hai. (Sahih Muslim: 1598)

❸ Sood Khor Baghair Tauba Ke Mar Jaye To Us Ke Liye Jahannam Ka Wada Hai. (Surah Al-Baqarah: 275)

❹ Soodi Maal Ko Barbad Karne Ka Elan Khud Allah Ta’ala Ne Kiya Hai. (Surah Al-Baqarah: 276)

❺ Guzashta Shariaton Mein Bhi Sood Ko Qabeeh Tareen Aur Haram Qarar Diya Gaya. (Surah An-Nisa: 160,161)

❻ Sood Khor Ki Dua Qubool Nahin Hoti. (Sahih Muslim: 1015)

❼ Sood Khor Ka Sadaqa Aur Maali Ibadat Bhi Qubool Nahin Hotin. (Surah Al-Baqarah: 267)

❽ Sood Khor Halal o Pakizah Chizon Se Mahroom Kardiya Jata Hai. (Surah An-Nisa: 160,161)

The Prophet (peace and blessings of Allaah be upon him) said: “A dirham which a man consumes as riba knowingly is worse before Allaah than thirty-six acts of zina.” Narrated by Ahmad and al-Tabaraani; classed as saheeh by al-Albaani in Saheeh al-Jaami’, no. 3375. And he said: “There are seventy-two types of riba, the least of which is like a man committing incest with his mother.” Narrated by al-Tabaraani in al-Awsat; classed as saheeh by al-Albaani in Saheeh al-Jaami’, no. 3537.


💕 Log Beti Se Kehte Hain Ke Ghar Ki Izzat Kharab Mat Karna, Beton Se Bhi Kehden Kisi Ke Ghar Ki Izzat Barbad Mat Karna 💕


✦......♥ Biwi Esar o Qurbani Ka Dusra Naam ♥......✦

● Biwi Shohar Ki Khatir Apna Ghar, Saheliyan Aur Rishtedaron Ko Chhod Deti Hai Aur Apna Naam Tak Tabdeel Kar Deti Hai.
● Zindagi Ka Naya Safar, Naye Mahol Mein Mard Ke Sath Shuru Karti Hai.
● Shohar Ki Khatir Aik Naya Gharana Tashkeel Deti Hai.
● Hamal Ka Bojh Uthati Hai Jis Se Us Ka Husn Shadeed Mutassir Hota Hai Aur  Jismani Saakht Tak Tabdeel Ho Jati Hai.
● Paida Hone Wali Aulad Ko Shohar Ke Naam Se Mansoob Karti Hai.
● Shohar Ke Kapde Dhona, Us Ke Liye Khana Pakana Aur Ghar Ki Safayi  Ki Khidmaat Sar Anjam Deti Hai.
● Shohar Ke Bacchon Ki Taleem o Tarbiyat Aur Shohar Ke Waldain Ka Khayal Rakhti Hai.
● Zindagi Ki Mushkil Tareen Ghadiyon Mein Shohar Ke Sath Khadi Hoti Hai Aur Qeemti Mashware o Tajaweez Se Shohar Ki Madad Karti Hai.
● Biwi Ye Tamam Khidmaat Apne Shohar Ki Khatir Marte Dum Tak Bila Muawza  Sar Anjam Deti Rehti Hai.

Lehaza Biwi Ki Khidmaat Ka Khule Dil Se Eteraf Karte Hue Barmala Us Ki Tarif Kijiye!

◈ Barmila – Saaf Saaf, Khullam khulla, Wazher Taur Par.


✦........► Saf Ki Durustgi Ke Dil Par Asrat! ◄........✦

Abu Mas'ud RadiyAllahu Anhu reported: The Messenger of Allah (may peace he upon him) used to touch our shoulders in prayer and say: Keep straight, don't be irregular, for there would be dissension in your hearts. Let those of you who are sedate and prudent be near me, then those who are next to them, then those who are next to them. Abu Mas'ud said: Now-a-days there is much dissension amongst you.

Urdu Translation: Hazrat Abu Mas’ud RadiyAllahu Anhu Farmate Hain:  “RasoolAllah ﷺ (Namaz Se Pehle) Hamare Kandhon Ko Chukar Farmate The Ke Apni Safen Seedhi Rakho Aur Aage Piche Mat Ho Warna Tumhare Dilon Mein Phoot Pad Jayegi, Aur Tum Mein Se Jo Ba Shuoor Aur Aqalmand Hon Wo (Namaz Mein) Mere Qareeb Rahen, Phir Wo (Jo Aql o Danish Mein) Un Ke Qareeb Hon, Phir Wo Jo Un Ke Qareeb Hon.”

[Sahih Muslim :: Book 4 :: Hadith 868, 432]



✦.........♥  Aurat Ka Hijab, Aurat Ki Hifazat ♥.........✦

The Messenger of Allah ﷺ said: “The woman is Awrah, so when she goes out, the Shaitan seeks to tempt her.”

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Aurat Parde Mein Rehne Ki Cheez Hai, Jab Wo (Ghar Se) Nikalti Hai To Shaitan Use (Logon Ke Liye) Muzayyan Banata Hai.” (Yani: Wasawis Aur Bure Khayalat Ke Zariye Logon Ko Behkane Ki Koshish Karta Hai.)

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Book 7 :: Hadith 1173, 1173]


✦........► Wasiyat Tehreer Kar Ke Soyen ◄........✦

Allah's Messenger (ﷺ) said, "It is not permissible for any Muslim who has something to will to stay for two nights without having his last will and testament written and kept ready with him." (Sahih Bukhari: 2738)

Urdu Translation: Nabi Kareem ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jis Kisi Musalman Ke Paas Wasiyat Ke Qabil Koi Bhi Cheez Ho (Yani Kisi Ka Lena Dena Ya Us Ke Zimme Maali Huqooq Hon) To Us Ke Liye Jayez Nahin Ke Wasiyat Likh Kar Mahfooz Kiye Baghair 2 Raten Bhi Basar Kare.” (Sahih Bukhari: 2738, Sahih Muslim: 1627)

Hamesha Wasiyat Tehreer Kar Ke Mahfooz Rakhna Aur Bawaqte Zarurat Us Mein Tarmeem Karna RasoolAllah       Ka Khususi Hukum Hai, Wasiyat Likhna Aik Aisa Moharek (Motive) Hai Jo Insan Ko Har Waqt Maut Aur Aakhirat Ki Yaad Dilata Rehta Hai, Neez Wasiyat Likhne Wale Ko Huqooq Allah Aur Huqooq Ul-Ibad Yaad Rehte Hain, Darj Zail Chizon Ki Wasiyat Likhna Wajib Hai:

❶  Kitni Namazen Ya Rozen Us Ke Zimme Hain?       
❷  Hajj Farz Ho Chuka Hai Ya Nahin?                           
❸  Biwi Ka Maher Ada Kar Chuka Hai Ya Nahin?           
❹  Us Par Kis Kis Ka Aur Kitna Qarz Hai?
❺ Qiston Par Kharidari Ki Surat Mein Kitni Qisten Hain?
❻ Guzashta Salon Ki Zakat Ya Sadaqatul Fitr Ada Karna Hai? 
❼ Kisi Ki Cheez Ya Haq Na Jayez Ghasab Kiya Ho To Wapas Laotane Ki Wasiyat.
❽ Company Ya Hukumat Ke Kitne Wajibat Hain?
❾ Koi Kiraya Us Ke Zimme Mein To Nahin?
➓ Kis Kis Ki Amanaten Us Ke Paas Hain? Wagherah.   

●◗► Lehaza Wasiyat Likhne Ka Mamul Banayen Aur Apni Wasiyat Par 2 Diyanatdar Insanon Ko Gawah Bhi Banayen, Maut Ka Kuch Bharosa Nahin, Wasiyat Ye Soch Kar Likhen Ke Agar Aaj Hi Meri Wafat Ho Gayi To Mere Ahl o Ayal Mujh Par Ayed Shudah Mali Zimmedariyan Wasiyat Dekh Kar Tarke (legacy) Mein Se Ada Kar Saken Taa Ke Mali Zimmedariyon Ka Bojh Roze Mehshar Mujhe Na Uthana Pade. Agar Ahl o Ayaal Maaldar Hon To Kul Tarke Ke Tihayi Hisse Se Neki Ke Kamon Mein Kharch Karni Wasiyat Mustahab Hai.


Insan Ko Insaniyat Sikhane Wale! Hazrat Hasan Basri Rahimahullah Farmate Hain: “Ulama Na Hote To Log Janwaron Ki Tarah Hote.”



✦.........♥ La’nat Wapas Palat’ti Hai! ♥.........✦

'Ibn 'Abbas narrated that a man cursed the wind in the presence of the Prophet ﷺ, so he ﷺ said: "Do not curse the wind, for it is merely doing as ordered , and whoever curses something undeservingly, then the curse returns upon him."

Urdu Translation: Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Anhuma Farmate Hain Ke Aik Shaks Ne Nabi  Kareem ﷺ Ke Samne Hawa (Aandhi) Par Lanat Bheji To Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Hawa Par Lanat Na Bhejo, Kyun Ke Ye (Allah Ke) Hukum Ki Paband Hai, Aur Jo Shaks Kisi Aisi Cheez Par Lanat Bheje Jo Lanat Ki Mustahiq Nahin To Wo Lanat Wapas Usi Par Laut Ti Hai.”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 1 :: Hadith 1978, 1978]


✦.........♥ Allah Ki Marzi Par Razi Ho Jayen ♥.........✦

“Ain Mumkin Hai Ke Tum Aik Cheez Ko Bura Samjho Halanke Wo Tumhare Haq Mein Behtar Ho Aur Ye Bhi Mumkin Hai Ke Tum Aik Cheez Ko Pasand Karo, Halanke Wo Tumhare Haq Mein Buri Ho Aur (Asal Haqiqat To) Allah Janta Hai, Aur Tum Nahin Jante.” (Al-Baqarah:216)


✦.........♥ Sajdah Tilawat Aur Us Ke Muqamat ♥.........✦

Hazrat Abdullah Bin Umar RadiyAllahu Anhuma Farmate Hain Ke RasoolAllah ﷺ Hamen Quran Sunate, Jab Aap ﷺ Kisi Sajde Ki Aayat Se Guzarte To “Allahu Akbar” Kehte Aur Sajdah Farmate Aur Aap ﷺ Ke Sath Ham Bhi Sajdah Karte. (Sunan Abi Dawud: 1413)

 Quran Kareem Ki Aisi Aayaten Jin Ke Padhne Ya Sunne Se Sajdah Wajib Ho Jata Hai, Kul 14 Hain:

❶ Surah Al-A’raf, Aayat 206
❷ Surah Ar-Ra’d, Aayat 15
❸ Surah An-Nahl, Aayat 49,50
❹ Surah Bani Israil, Aayat 109
❺ Surah Maryam, Aayat 58
❻ Surah Al-Haj, Aayat 18
❼ Surah Al-Furqan, Aayat 60
❽ Surah An-Naml, Aayat 25-26
❾ Surah الم  Sajdah, Aayat 15
➓ Surah Sad, Aayat 24
⓫ Surah Fussilat, Aayat 38
⓬ Surah An-Najm, Aayat 62
⓭ Surah Al-Inshiqaq, Aayat 20-21
⓮ Surah Al-Alaq, Aayat 19

●◗► Sajdah Tilawat Ka Tariqa: Qiblah Ru Khade Hokar Baghair Hath Uthaye AllahuAkbar Kehte Hue Sajdah Mein Jayen Aur Sajdah Ada Kar Ke Allahu Akbar Kehte Hue Uth Khade Ho, Na Tashahhud Mein Baithne Ki Zarurat Hai Aur Na Salam Pherne Ki, Sajdah Tilawat Baithe Baithe Bhi Kar Sakte Hain Lekin Khade Hokar Sajde Mein Jana Mustahab Hai.

The Messenger of Allah (ﷺ) used to recite the Qur'an to us. When he came upon the verse containing prostration, he would utter the takbir (Allah is most great) and we would prostrate ourselves along with him. [Sunan Abi Dawud :: Book 7 :: Hadith 1408, 1413]


✦......♥  Roti Ke Tukde Idhar Udhar Na Dalen! ♥......✦

Ummul Mu'minin Sayyidah Aisha RadiyAllahu Anha Farmati Hain Ke Nabi Kareem ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Roti Ka Ikram Kiya Karo.”

[Jami` al-Saghir Jalal al-Din al-Suyuti: 1423]


✦........► Privacy Mein Mudakhlat Na Karen! ◄........✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: “One should not sit between two men except with their permission.”

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Do Aadmiyon Ke Darmiyan Un Ki Ijazat Ke Baghair Na Baitha Jaye.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 42 :: Hadith 4826, 4844]


💘 Zaher Mein Bhi Itna Zaher Nahin Hota Jitna Zaher Kuch Log Dusron Ke Liye Apne Dil Mein Rakhte Hain 💘


✦......♥ Sahabiyat Ka Nabi Akram ﷺ Se Pardah ♥......✦

Aayate Hijab Nazil Hone Ke Baad Sahabiyat Pardah Ka Bahot Zyadah Ehtemam Farmatin Aur Kisi Bhi Na Mahram Mard Ke Samne Chehrah Dhanmpe Baghair Na Jatin Hatta Ke Huzoor Akram ﷺ Se Bhi Pardah Kartin Aur Chehrah Chupaye Baghair Aap ﷺ Ke Samne Bhi Na Aatin, Koi Masla Puchna Hota Ya Koi Cheez, Parcha Ya Khat Dena Hota Tab Bhi Pardah Ke Piche Hi Se Rabta Kartin, Chunanche Hazrat Aisha Bayan Karti Hain:

 “Aik Aurat Ne RasoolAllah ﷺ Ko Parcha Dene Ke Liye Pardah Ke Piche Se Aap ﷺ Ki Taraf Hath Badhaya.” (Sunan Abi Dawud: 4166)

Ye Hadees Wazeh Taur Par Is Baat Ki Daleel Hai Ke Sahabiyat, Aap ﷺ Se Bhi Chehrah Chupaya Karti Thin, Isi Liye Is Sahabiya Ne Pardah Ke Peeche Se Parcha Dene Ke Liye Hath Aage Badhaya.

Saturday, 2 November 2019

✦............♥ Daurane Safar Hifazat Ki Dua! ♥............✦

Khaula bint Hakim Sulamiyya RadiyAllahu Anha reported: I heard Allah's Messenger (ﷺ) as saying: When anyone lands at a place, and then says:

أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّاتِ مِنْ شَرِّ مَا خَلَقَ
Audhu bi kalimati'llahi't-tammati min sharri ma khalaq .

" I seek refuge in the Perfect Word of Allah from the evil of what He has created," nothing would harm him until he marches from that stopping place.

●═══════════════◄►═══════════════●

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jo Aadmi Kisi Manzil (Muqam) Par Pahonch Kar Ye Dua Padhe:

أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّاتِ مِنْ شَرِّ مَا خَلَقَ
Audhu bi kalimati'llahi't-tammati min sharri ma khalaq .

(Tarjuma: Main Allah Ki Paida Kardah Har Makhluq Ke Shar Se Allah Ke Kamil Kalimaat Ki Panah Mein Aata Hun.) To Us Muqam Se Rawana Hone Tak Koi Cheez Bhi Use Nuqsan Nahin Pohnchayegi.”

[Sahih Muslim :: Book 35 :: Hadith 6541, 2708, 6878]


💕 Islam Mein Do Roti Aur Do Jode Kapde Dene Par Mard Ko Aurat Par Hakim Qarar Nahin Diya Gaya, Ye Do Roti Aur Do Jode Wo Apne Baap Ke Ghar Zyadah Izzat Aur Maan Se Leti Thi, Islam Ne Mard Ko Naan Nafqe Ke Sath Sath Us Ki Izzat Aur Hurmat Ki Bhi Zimmedari Di Hai 💕


✦............♥ Murghi Ka Gosht ♥............✦

Narrated Abu Musa Al-Ash`ari RadiyAllahu Anhu: “I saw the Prophet (ﷺ) eating chicken.”

Urdu Translation: Hazrat Abu Musa Al-Ash`ari RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke Main Ne RasoolAllah ﷺ Ko Murghi Ka Gosht Khate Hue Dekha.”

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 7 :: Book 67 :: Hadith 426, 5517]

✦........► Saneha Tezgam Train 7 Qism Ke Shuhada◄........✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: There are seven types of martyrdom in addition to being killed in Allah's cause: one who dies of plague is a martyr; one who is drowned is a martyr; one who dies of pleurisy is a martyr; one who dies of an internal complaint is a martyr; one who is burnt to death is a martyr; who one is killed by a building falling on him is a martyr; and a woman who dies while pregnant is a martyr.

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: Allah Ke Raste Mein Qatl Hone Ke Alawah Bhi 7 Qism Ke Log Shaheed Hain: 

❶ Taoon Ki Waba Se Marne Wala Shaheed Hai
❷ Pani Mein Doob Kar Marne Wala Shaheed Hai
❸ Zaat Ul-Janab (Sine Ki Aik Khaas Bimari) Mein Marne Wala Shaheed Hai.
❹ Pait Ki Bimari Mein Marne Wala Shaheed Hai
❺ Aag Mein Jal Kar Marne Wala Shaheed Hai
❻ Kisi Cheez Ke Niche Dab Kar Marne Wala Shahid Hai
❼ Hamal Ki Wajah Se Marne Wali Aurat Shaheed Ha.

[Sunan Abi Dawud :: Book 20 :: Hadith 3105, 3111]


✦..................♥ Teen Chand ♥..................✦

✿ Muhammadur Rasulullah ﷺ
✿ Abu Bakr Siddiq RadiyAllahu Anha
✿ Umar Al-Faruq RadiyAllahu Anha

Yahya related to me from Malik from Yahya ibn Said that A'isha RadiyAllahu Anha, the wife of the Prophet, may Allah bless him and grant him peace, said, "I saw three moons fall into my room, and I related my vision to Abu Bakr as-Siddiq. Then, when the Messenger of Allah died, may Allah bless him and grant him peace, and was buried in my house, Abu Bakr said to me, 'This is one of your moons, and he is the best of them.' "

Urdu Translation: Ummul Mu'minin Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha Farmati Hain: “Main Ne Khuab Dekha Ke Meri Goud Mein 3 Chand Aagire Hain, Main Ne Ye Khuab Apne Walid Hazrat Abu Bakr Siddiq RadiyAllahu Anhu Ko Sunaya, Jab Nabi Akram ﷺ Ne Dunya Se Pardah Farmaya Aur Unhen Mere Hujre Mein Dafan Kiya Gaya To Hazrat Abu Bakr RadiyAllahu Anhu Ne Mere is Khuab Ki Tabeer Ki Taraf Isharah Karte Hue Farmaya: “Tere 3 Chandon Mein Se Ye Aik Chand Hai Aur Ye Dusre Donon Se Behtar Hai.”

[Muwatta Imam Malik :: Book 16 :: Hadith 30, 552]


✦.....♥ Mareez Ki Yaqini Sahet Yabi Ki Dua! ♥.....✦

The Prophet (ﷺ) said: If anyone visits a sick whose time (of death) has not come, and says with him seven times:

أَسْأَلُ اللَّهَ الْعَظِيمَ رَبَّ الْعَرْشِ الْعَظِيمِ أَنْ يَشْفِيَكَ

I ask Allah, the Mighty, the Lord of the mighty Throne, to cure you, Allah will cure him from that disease.

[Sunan Abi Dawud :: Book 20 :: Hadith 3100, 3106]

Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jab Koi Shaks Kisi Aise Mareez Ki Iyadat kare Jis Ki Maut Ka Waqt Abhi Qareeb Na Aaya Ho Aur Us Ke Paas Jakar 7 Martaba Ye Dua Padhe:

أَسْأَلُ اللَّهَ الْعَظِيمَ رَبَّ الْعَرْشِ الْعَظِيمِ أَنْ يَشْفِيَكَ

Tarjuma: “Main Azmat Wale Allah Se Jo Arsh Azeem Ka Malik Hai, Sawal Karta Hun Ke Wo Tumhen Shifa De.” To Allah Ta’ala Mareez Ko Us Marz Se Shifa Ata Farma Dega.

[Urdu Ref :: Sunan Abi Dawood :: Vol. 2 :: Hadith 1329, 3106]


✦.....► Rabi Ul Awwal Ki Mubarak Baad Se Mutalliq Khud  Sakhta Hadees! ◄.....✦

●◗► Rabi Ul Awwal Shuru Hote Hi Kuch Log Aik “Hadees” Nashr (Share) Karna Shuru Kar Dete Hain Jis Ke Alfaz Kuch Is Tarah Hote Hain: “Jo Bhi Mahe Rabi Ul Awwal Ki Mubarak Baad Dega, Us Par Jannat Wajib Ho Jayegi...Yaa...Jahannam Ki Aag Haram Ho Jayegi.” 

Maahe Rabi Ul Awwal Yaqinan Ba Barkat Hai, Lekin Is Ki Mubarak Baad Dene Se Mutalliq Mazkurah Bala Hadees Bilkul Be Sanad Aur Khud Sakhta Hai, Is Hadees Ki Nabi Akram ﷺ Ki Taraf Nisbat Karna Jayez Nahin Aur Aisa Karna RasoolAllah ﷺ  Ki Taraf Jhoot Mansoob Karne Ke Zumre Mein Aata Hai Jis Ke Mutalliq Aap ﷺ Ka Irshad Hai: 

“Jo Shaks Meri Taraf Mansoob Kar Ke Wo Baat Bayan Kare Jo Main Ne Nahin Kahi To Wo Apna Thikana Jahannam Mein Banale.” (Sahih Bukhari: 109)

► Khud Sakhta - Ghair Haqeeqi, Banawti.


✦...........♥  Biwi Ki Aasan Jannat ♥...........✦

The Messenger of Allah ﷺ said: “Whichever woman dies while her husband is pleased with her, then she enters Paradise.”

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jo Koi Aurat Is Haal Mein Mare Ke Us Ka Shohar Us Se Razi Ho, To Wo Jannat Mein Jayegi.”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Book 7 :: Hadith 1161, 1161]


💘 Sakht Se Sakht Alfaz Bolte Waqt Hamen Ye Yaad Nahin Rehta Ke Sunne Wale Ko Ye Alfaz Kab Tak Yaad Rahenge 💘


✦...........♥ Haqiqi Silah Rehmi ♥...........✦

The Prophet (ﷺ) said: "Al-Wasil is not the one who recompenses the good done to him by his relatives, but Al-Wasil is the one who keeps good relations with those relatives who had severed the bond of kinship with him."

Urdu Translation: RasoolAllah Ne Irshad Farmaya: “Silah Rehmi Karne Wala Wo Nahin Hai Jo Badle Mein Silah Rehmi Kare, Silah Rehmi Karne Wala To Wo Hai Ke Agar Us Se Rishtedari Todi Jaye To Bhi Wo (Acche Sulook Ke Zariye) Rishtedari Jode Rakhe.”

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 8 :: Book 73 :: Hadith 20, 599]


●◗► Is Mehngayi Ke Daur Mein Kiraye Daaron Ka Haal Dekh Kar Dil Bahot Dukhi Hota Hai, Najane Kitni Mushkil Se Apni Daal Roti Aur Digar Zaruriyat Poori Karte Honge, Allah Subhanahu Wa Ta’ala Sab Ki Mushkilat Door Farmaye Aur Sab Ko Apni Chhat Naseeb Farmaye! Aameen


✦...........♥  Allah Sab Se Bada Hai! ♥...........✦

Ye (Saturn) “Zohal” Sayyare Se Li Gayi Zameen Ki Tasweer Hai, Allah Ki Qudrat Dekhen Ke Is Sufaid Nuqte Mein Sadhe Saat Arb Insan Rehaish Pazeer Hain, Is Nuqte Mein Aisi Taqaten Aur Log Bhi Maujood Hain Jo Khudayi Ka Dawa Kar Rahen Aur Taqat Ke Nashe Mein Mast Hokar Is Kainaat Ko Musakhkhar Kar Ke Fasad Machane Ke Darpe Hain, Ye Log Khaliqe Kainaat Ko Mustaqil Challenge Kar Rahe Hain, Lekin Allah Subhanahu Wa Ta’ala Ki Haleem o Kareem Zaat Is Kainaat Ke Nizam Ko Sambhale Hue Hai Aur Farman Burdbaar Aur Nafarman Sab Ko Zindagi Aur Zaruriyat Faraham Kar Rahi Hai Aur Ye Silsila Qayamat Qayem Hone Tak Yunhi Chalta Rahega.


✦......♥ Aurat Ghar Mein Hi Acchi Lagti Hai ♥......✦

The Prophet (peace and blessings of Allaah be upon him) said: “Woman is ‘awrah, and if she goes out, the shaytaan raises his hopes (of misguiding her). She is never closer to Allaah than when she stays in her house.”

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Aurat Chupa Kar Rakhne Ki Cheez Hai, Bila Shuba Jab Wo Apne Ghar Se Bahar Nikalti Hai To Shaitan Use Ghair Mardon Ki Nazron Mein Muzayyan Kar Ke Dikhata Hai, Aur Ye Baat Bilkul Yaqeeni Hai Ke Aurat Allah Ke Sab Se Zyadah Qareeb Usi Waqt Hoti Hai Jab Wo Apne Ghar Ke Andar Hoti Hai.”

[Al M’ujam Al Kabeer At-Tabarani: 10115, Narrated by Ibn Hibbaan and Ibn Khuzaymah; classed as saheeh by al-Albaani in al-Silsilah al-Shaheehah, no. 2688)


🌺 Jo Rishte Tumhen Takleef Den Un Se Doori Ekthiyar Karlo Wo Khud Laut Aayenge, Magar Us Waqt Jab Tumhare Dil Se Utar Chuke Honge, Kyun Ke Wo Tumhari Qadar Se Nahin Pachtawe Se Laot Te Hain, ► Jis Ki Di Hui Takleef Se Tum Aaj Ro Rahe Ho, Wo Kal Tumhare Pachtawe Mein Royega 🌺


✦........► Namaze Fajr Aur Asr Ke Baad Namaz! ◄........✦

Narrated Abu Sa`id Al-Khudri RadiyAllahu Anhu: I heard Allah's Messenger (ﷺ) saying: "There is no prayer after the morning prayer till the sun rises, and there is no prayer after the `Asr prayer till the sun sets."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Namaze Fajr Ke Baad Suraj Ke Buland Hone Tak Koi Namaz Na Padhi Jaye, Isi Tarah Namaze Asr Ke Baad Suraj Doobne Tak Bhi Koi Namaz Na Padhi Jaye.”

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 1 :: Book 10 :: Hadith 560, 586]


✦........► Ghusule Jumuah Pure Hafte Ki Taharat ◄........✦

RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jis Ne Jumuah Ke Din Ghusul Kiya To Wo Agle Jumuah Tak (Gunah o Masiyat Ki Gandagi Se) Paak Ho Gaya.” (Sahih Ibn Hibban: 1222, Hasan Al-Albani


✦..........♥ Waldain Ko Waqt Den! ♥..........✦

Waldain Ko Waqt Dene, Un Se Mashware Karne Aur Un Ke Sath Uthne Baithne Ke 2 Azeem Al-Shaan Faide Hain:

❶ Aap Kabhi Bade Nahin Hote: (Yani Aap Apne Aap Ko Chota Samajhte Hain Jis Ki Waja Se Fakhr o Badayi Aur Takabbur Se Khali Rehte Hain).

❷ Waldain Kabhi Budhe Nahin Hote: (Yani Waldain Apne Aap Ko Mufeed o Kaar Aamad Samajhte Hain Jis Ki Wajah Se Mayusi Aur Bimariyon Se Mahfooz Rehte Hain).


●◗► Numberat, Grade, Position Ke Chakkar Mein Bacchon Ko Pareshan Mat Kijiye! ► Aulad Qeemti Sarmaya Hai, Numberat, Grade Aur Position Ke Chakkar Mein Unhen Pareshan Aur Zehni Dabao Ka Shikar Mat Kijiye!!! Apne Bacchon Ko Hausla Dijiye!!! Dusre Bacchon Ke Sath Apne Bacchon Ka Mawazna (Compare) Kijiye!!! Kyun Ke Har Bacche Ki Salahiyaten, Zehni Rujhanaat Aur Mehnat Ke Maidan Mukhtalif Hote Hain.


●◗► Agar Aap Ko Ilm Ho Jaye Ke Log Aap Ki Maut Ke Baad Kitni Jaldi Aap Ko Bhool Jayenge To Aap Logon Ko Mutassir Aur Razi Karne Ki Fikr Chhod Kar Allah Ko Razi Karne Mein Lag Jayen.


✦....♥ Tairaki (Swimming) Sunnate Nabwi ﷺ ♥....✦
▶..…...♥ Jismani Warzish Khel Ka Khel ♥......◀

The Prophet (ﷺ) said: "Everything other than remembering Allah is (considered) wasteful play except four:

❶ A man humoring his wife,
❷ A man training his horse,
❸ A man walking between targets (learning archery),
❹ And man learning swimming."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Har Wo Cheez Jis Mein Allah Ki Yaad Na Ho Wo Lahu o Lo’ab Mein Shamil Hain Siwaye 4 Chizon Ke:

❶ Aadmi Ka Apni Ghar Wali (Shohar Apni Biwi) Ke Sath Hansi Mazaq Karna,
❷ Apne Ghode Ko Tarbiyat Dena,
❸ Do Nishanat Aur Hadon Ke Darmiyan Dodne Ka Moqabla Karna,
❹ Tairaki Seekhna."

[Narrated by An-Nasaa'i and authenticated by Al-Albaani (Sahih Al-Jami' 4534), (Recorded by Bayhaqi and at-Tabarani with a good chain of narrators)]

●═══════════════◄►══════════════●

●◗► Jadeed Science Tehqeeq Ke Mutabiq Tairaki Se Dimaghi Aur Aa’sabi Salahiyaton Mein Izafah Hota Hai, Aur Tairaki Karne Mein Ba’ek Waqt Tamam Azlaat Aur Pathe (Muscles) Istemal Hote Hain Jis Se Jism (Vital Organs) Mein Bhar Poor Tariqe Se Tazah Khoon Ki Farahmi Hoti Hai Aur Jism Mein Chusti Paida Hoti Hai.


✦............♥ 3 Betiyon Ki Parwarish ♥............✦

The Prophet (ﷺ) said: If anyone cares for three daughters, disciplines them, marries them, and does good to them, he will go to Paradise.

[Sunan Abi Dawud :: Book 42, Hadith 5128, 5147]

Urdu Translation: Aap (ﷺ) Ne Farmaya: “Jis Shaks Ne Teen Betiyon Ki Parwarish Ki, Unhen (Husne Mua’shirat ka) Adab Sikhaya, Un ki Shadiyan Karayin aur Un Ke Sath Ehsan ka Muamla Kiya, To Us  Ke Liye Jannat Hai.

[Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 1704, 5147]

●════════════════◄►═══════════════●

Jabir ibn Abdullah RadiyAllahu Anhu reported: The Messenger of Allah, peace and blessings be upon him, said:

“Whoever has three daughters and he cares for them, he is merciful to them, and he clothes them, then Paradise is certainly required for him.”

It was said, “O Messenger of Allah ﷺ, what if he has only two?” The Prophet said ﷺ, “Even two.”

Some people thought that if they had said to him one, the Prophet ﷺ would have said even one. (Musnad Ahmad: 13835)

✦.........♥ 2 Qabile Ibrat 2 Qabile Rashk Aurten ♥.........✦

●◗► "Quran Kareem Ki 3 Aayat (Surah At-Tahrim 10 ta 12) Mein Mazkoor 4 Aurten."

❶ Hazrat Nooh Alaihis Salam Ki Biwi: Is Ka Naam "Wahla" Tha, Is Ko Nabi Barhaq Sayyidna Nooh (Alaihis Salam) Ki Zojiyat Ka Sharf Hasil Hua Aur Barson Ye Allah Ta’ala Ke Nabi Ki Sohbat Se Sarfaraz Rahi Magar Us Ko Iman Naseeb Nahin Hua Balke Ye Hazrat Nooh (Alaihis Salam) Ki Dushmani Aur Touheen o Be’adbi Ki Murtakib Hokar Baghair Iman Ke Margayi Aur Jahannam Mein Dakhil Hui.

❷ Hazrat Loot (Alaihis Salam) Ki Biwi: Is Ka Naam "Wa’la" Tha, Ye Bhi Jaleel Ul Qadr Nabi Hazrat Loot (Alaihis Salam) Ki Zojiyat o Sohbat Se Barson Sar Faraz Rahi Magar Is Ke Sar Par Aisa Shaitan Sawar Tha Ke Sacche Dil Se Kabhi Iman Nahin Layi Balke Umr Bhar Munafiqa Rahi Aur Apne Nifaq Ko Chupati Rahi, Jab Qaum Loot Par Azab Aaya aur Hazrat Loot (Alaihis Salam) Apne Ahl o Ayal Ko Lekar Nikle to us Ne Hazrat Loot (Alaihis Salam) Ki Baat Na Mani To Azab Ka Aik Patthar Use Bhi Laga Aur Ye Bhi Halak Hokar Jahannam Raseed Ho Gayi.

❸ Firaun Ki Biwi: In Ka Naam "Aasiya Bint Mazahim" RadiyAllahu Anha Tha, Ye Firaun Ki Biwi Then Magar In Ke Dil Mein Iman Ka Noor Chamak Utha Aur Ye Hazrat Musa (Alaihis Salam) Par Iman Le Aayen, Jab Firaun Ko Khabar Hui To Us Zalim Ne Hazrat Aasiya Ko Badi Sakht Azyaten Dee, Lekin Wo Apne Iman Par Qayem Rahen Aur Firaun Aur Zalimon Ke Kartuton Se Allah Ki Panah Aur Jannat Mein Mahel Ki Duayen Mangti Rahin, Isi Halat Mein Un Ka Khatima Ho Gaya Aur Wo Jannat Mein Dakhil Ho Gayin.

❹ Maryam Bint Imran: Ye Hazrat Isa (Alaihis Salam) Ki Waldah Mohtarma Then, Hazrat Isa (Alaihis Salam) Un Ke Shukam Mubarak Se Baghair Baap Ke Paida Hue The Is Liye Qaum Ne Ta’an, Badgoyyon Aur Tohmaton Se Hazrat Maryam (Alaihas Salam) Ko Badi Ezayen Pohnchayen, Allah Ne Un Ki Iffat o Pakdamni Ko Quran Kareem Mein Bayan Farmaya Aur Aik Poori Surat Un Ke Naam Se Nazil Farmayi.

●◗► Aurat Agar Khud Be Deen Rehna Chahe To Islah Ki Laakh Koshishen Bhi Be Sood Hain, Aur Agar Deen Daar Banna Chahen To Shohar Aur Mahol Ki Rukawaton Ke Bawajood Bhi Ban Sakti Hai.


💕 Har Dil Mein Dard Chupa Hota Hai, Par Bayan Karne Ka Andaz Juda Hota Hai, Kuch Log Ashkon Mein Dard Ko Baha Dete Hain, Aur Kuch Ka Dard Hansi Mein Chupa Hota Hai 💕


✦...........► Hirs Ki Tabah Kari ◄...........✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: "Two wolves free among sheep are no more destructive to them than a man's desire for wealth and honor is to his religion."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Bakriyon Ke Reward Par Chhode Gaye Do Bhuke Bhediye Unhen Itna Nuqsan Nahin Pohnchate Jitna Aadmi Ki Maal Aur Uncha Banne Ki Hirs Us Ke Deen Ko Nuqsan Pohnchati Hai.”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 10 :: Hadith 2376 , 2376]

✦.............♥  Tum Mein Sab Se Behtar…! ♥.............✦

RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: 

❶ Tum Mein Sab Se Behtar Wo Hai Jo Quran Majeed Padhe Aur Padhaye. (Sahih Bukhari: 5028) 

❷ Tum Mein Sab Se Behtar Wo Hai Jis Ke Akhlaq Sab Se Acche Hon. (Sahih Bukhari: 3559) 

❸ Tum Mein Sab Se Behtar Wo Hai Jis Se Khair Ki Ummid Ho Aur Us Ke Shar Se Aman Ho Aur Sab Se Badtar Wo Hai Jis Se Khair Ki Tawaqqa Na Ho Aur Us Ke Shar Se Aman Na Ho. (Jami At-Tirmidhi: 2263) 

❹ Tum Mein Sab Se Behtar Wo Hai Jo Apne Ahl o Ayal, Biwi Bacchon, Aqarba (Rishtedar) Aur Khidmat Garon Ke Haq Mein Behtareen Ho Aur Main Apne Ahl o Ayal Ke Haq Mein Tum Mein Behtareen Hun. (Jami At-Tirmidhi: 3895) 

❺ Tum Mein Sab Se Behtar Wo Hai  Jo (Ghurba o Masakeen Ko) Khana Khilaye Aur Salam Ka Jawab De. (Jami` al-Saghir al-Suyuti: 4103) 

❻ Tum Mein Sab Se Behtar Wo Hai Jo (Ba Jamat) Namaz Ke Waqt Sab Se Narm Kandhon Wala Ho. (Sunan Abi Dawud: 672) 

❼ Tum Mein Sab Se Behtar Wo Hai Jis Ki Umar Lambi Ho Aur Us Ke Aamal Acche Hon. (Jami at-Tirmidhi: 2330) 

❽ Tum Mein Sab Se Behtar Wo Hai Jo Logon Ko Sab Se Zyadah Nafa Pohnchane Wala Ho. (Jami` al-Saghir al-Suyuti: 4044) 

❾ Doston Mein Sab Se Behtar Wo Hai Jo Apne Sathi Ke Sath Behtareen Muamla Karne Wala Ho, Aur Padosiyon Mein Sab Se Behtareen Padosi Wo Hai Jo Apne Padosi Ke Sath Behtareen Muamla Karne Wala Ho. (Adab Al-Mufrad Al-Bukhari: 115) 

➓ Logon Mein Sab Se Behtar Wo Hai Jo Dil Ka Saaf Aur Zuban Ka Saccha Ho. (Sunan Ibn Majah: 4216)

✦...► Sab Se Mukhtasar Magar Sab Se Dardnak Qissa! ◄...✦

⇨ "Tum Kyun Jahannam Mein Gire?
⇨ "Ham Namaz Nahin Padhte The.

(Al-Quran, Surah Al-Muddassir: 42-43)