Pages

Saturday, 28 December 2019

Apne Waldain Ke Paas Baitha Karo! Bahot Se Logon Ko Waldain Se Milne Qabristan Jana Padta Hai.


✦.....►Suraj Grahan Ki Namaz : Tawil Qirat Aur Tawil Ruku o Sujood Wali Namaz ◄....✦

Narrated Abu Musa RadiyAllahu Anhu: The sun eclipsed and the Prophet (ﷺ) got up, being afraid that it might be the Hour (i.e. Day of Judgment). He went to the Mosque and offered the prayer with the longest Qiyam, bowing and prostration that I had ever seen him doing. Then he said, "These signs which Allah sends do not occur because of the life or death of somebody, but Allah makes His worshipers afraid by them. So when you see anything thereof, proceed to remember Allah, invoke Him and ask for His forgiveness."

Urdu Translation: Hazrat Abu Musa Ash’ari RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke Aik Baar Suraj Grahan Hua, Nabi Akram ﷺ Bahot Zyadah Ghabra Kar Uthe Ke Kahin Qayamat Qayem Na Ho Jaye, Aap ﷺ Fauran Masjid Tashreef Laye Aur Aap ﷺ Ne Bade Taweel Qayam Aur Taweel Ruku Aur Taweel Sajdon Ke Sath Namaz Padhi, Main Ne Kabhi Aap ﷺ Ko Is Tarah Se Namaz Padhte Nahin Dekha Tha Aur Phir Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya Ke “Ye Nishaniyan Hain Jo Allah Buzurg o Bartar Bhejta Hai, Ye Kisi Ki Maut Aur Hayat Ke Sabab Se Nahin Hota Hai, Balke Allah Ta’ala Is Ke Zariye Apne Bandon Ko Darata Hai, Jab Tum Is Ko Dekho To Zikre Ilahi Aur Dua o Astaghfar Ki Taraf Daudo.”

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 2 :: Book 18 :: Hadith 167, 1059]


Suraj Grahan Aur Masnoon Aamal


●◗► 25 December: Logon Ko “Christmas Day” Ki Mubarak Baad Dene Ka Matlab Ye Hai: Ke Aap Ye Baat Tasleem Karte Hain Ke Isa Alaihis Salam Allah Ke Bete (Nauzubillah) Aur Mabood Hain. "NO CHIRSITMAS DAY"


✦...► (25 Dec) Christmas Day Par Khoobsurat Paigham ◄...✦

⇨ “Kaho Ke Wo (Zaat Paak Jis Ka Naam) Allah (Hai) Aik Hai. Allah Be Niyaz Hai, Sab Us Ke Mohtaj. Na Us Ki Koi Aulad Hai (Hazrat Isa Alaihis Salam Aur Hazrat Uzair Alaihis Salam Us Ke Bete Nahin) Aur Na Wo Kisi Ki Aulad. Aur Us Ka Koi Hamsar (Barabar) Nahin Hai. (Qur’an - Surah Al-Ikhlas)





Suraj Aur Chand Grahan Ke Moqe Par! Allah Ka Zikr Aur Tauba o Astaghfar Ka Ehtemam Karen!





✦...► Ummate Muhammadiya ﷺ Par Dunya Mein Aazmayishen ◄...✦

The Prophet (ﷺ) said: This people of mine is one to which mercy is shown. It will have no punishment in the next world, but its punishment in this world will be trials, earthquakes and being killed.

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Meri Ye Ummat, Ummate Marhuma Hai (Yani Dusri Ummaton Ki Ba Nisbat Meri Ummat Ke Logon Par Allah Ta’ala Ki Rehmaten Bahot Zyadah Hain), Is Ummat Par Aakhirat Mein (Dayimi) Azab Nahin Hoga Aur Dunya Mein Is Ka Azab, Fitne, Zalzale Aur Nahaq Qatl Hai.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 36 :: Hadith 4265, 4278]





✦.►CAA & NRC Ke Protests Ke Dauran 3 Log Shaheed ◄.✦
✦.► Hamla Aawar Jahannami Aur Marne Wale Jannati! ◄.✦

Nabi Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Koi Shaks Dusre Shaks Ke Paas Chal Kar Jaye Aur Use (Nahaq) Qatl Karde To Maqtool Jannat Mein Hoga Aur Qatil Jahannam Mein.” [Al-Mu’jamul Awsat Al-Tabarani: 1994] 

●◗► Allah Subhanahu Wa Ta'ala In Shaheed Hone Walon Ko Jannat Al-Firdous Mein Aala Muqam Naseeb Farmaye, Lawahiqeen Ko Sabr Jameel Ata Farmaye, Zakhmiyon Ko Shifayab Farmaye Aur Zalimon Ko Kaifar Kirdar Tak Pohncha Kar In Ke Shar Se Ummat Muslima Ki Hifazat Farmaye. (Aameen)





💓 Mazhab Ke Naam Par Zulm o Sitam Ham Nahin Karte, Wafa Ki Aad Mein Siyasat Ham Nahin Karte, Zameen Ke Andar Bhi Jate Hain To Ghusul Kar Ke, Watan Ki Mitti Ko Napaak Ham Nahin Karte ❤️


✦....► Dehshat Gardi Ki Is Laher Mein Masnoon Dua Ka Ehtemam!  ◄....✦

Watne Azeez Hindustan Mein Is Waqt Ke Sangeen Tareen Halaat Mein Hamein Us Masnoon Dua Ka Ehtemaam Karna Chahiye Jo Dua Aap ﷺ Aise Halaat Mein Manga Karte The Jab Dushmanon Ki Janib Se Hamle Ke Khatrat Hon, Wo Dua Ye Hai:

"‏ اللَّهُمَّ إِنَّا نَجْعَلُكَ فِي نُحُورِهِمْ وَنَعُوذُ بِكَ مِنْ شُرُورِهِمْ ‏"‏
Allahumma inna naj'aluka fi nuhurihim, wa na'udhu bika min shururihim.

Tarjumah: “Aye Allah! Beshak Ham Tujhe In (Dushmanon) Ke Muqable Mein Late Hain Aur In (Dushmanon) Ke Shuroor Se Teri Panah Mangte Hain.” (Sunan Abi Dawud:1537)

●═════════════════◄►═════════════════●

Narrated AbuMusa al-Ash'ari RadiyAllahu Anhu: When the Prophet (ﷺ) feared a (group of) people, he would say:

"‏ اللَّهُمَّ إِنَّا نَجْعَلُكَ فِي نُحُورِهِمْ وَنَعُوذُ بِكَ مِنْ شُرُورِهِمْ ‏"‏
Allahumma inna naj'aluka fi nuhurihim, wa na'udhu bika min shururihim.

"O Allah, we make Thee our shield against them, and take refuge in Thee from their evils."

[Sunan Abi Dawud :: Book 8 :: Hadith 1532, 1537]



✦.................► Bekar Aadmi! ◄................✦

Hazrat Abdullah Bin Mas'ud RadiyAllahu Anhu Farmate Hain: “Mujhe Wo Shaks Sakht Na Pasand Hai Jise Main Farigh Dekhun Na Wo Dunya Ke Kisi Kaam Mein Masroof Ho Aur Na Aakhirat Ke.” (حلیۃ الاولیاء:130)


ظلم اتنا برا نہیں جتنی بری تمہاری خاموشی ہے، ظلم کے خلاف بولنا سیکھو  ورنہ نسلیں گونگی ہو جائے گی۔

Zulm Itna Bura Nahin Jitni Buri Tumhari Khamoshi Hai, Zulm Ke Khilaf Bolna Sikhon Warna Naslen Goongi Ho Jaye Gi.



✦......► Motapa Badtareen Khaslaton Mein Se Hai ◄......✦

"Allah's Messenger (ﷺ) said, 'The best of my followers are those living in my generation (i.e. my contemporaries). and then those who will follow the latter" `Imran added, "I do not remember whether he mentioned two or three generations after his generation, then the Prophet (ﷺ) added, 'There will come after you, people who will bear witness without being asked to do so, and will be treacherous and untrustworthy, and they will vow and never fulfill their vows, and fatness will appear among them."

Urdu Translation:  RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Meri Ummat Ka Sab Se Behtareen Zamana Mera Zamana Hai, Phir Un Logon Ka Jo Is Zamana Ke Baad Aayenge, Phir Un Logon Ka Jo Us Zamana Ke Baad Aayenge.” (Hazrat Imran Bin Hussain Farmate hain Ke Mujhe Acchi Tarah Yaad Nahin Ke Nabi Kareem ﷺ Ne Apne Daur Ke Baad Do Zamanon Ka Zikr Farmaya Tha Ya Teen Ka).

Phir Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Tumhare Baad Aik Aisi Qaum Paida Hogi Jo Baghair Kahe Gawahi Dene Ke Liye Tayyar Ho Jaya Karegi, Aur Khayanat Ki Kasrat Ki Wajah Se Un Par Bharosa Nahin Kiya Ja Sakega, Aur Wo Log Nazren Manenge Lekin Pura Nahin Karenge, Aur (Zyadah Khane Ki Waja Se) Un Par “Motapa” Aam Ho Jaye Ga.”

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 5 :: Book 57 :: Hadith 2, 3650]





✦......► Ghar, Office, Ya Gadi Wagherah Mein Na’mahram Ke Sath Tanhayi Mein Na Baithe ◄......✦

Narrated Ibn 'Umar RadiyAllahu Anhu: The Prophet ﷺ said: "Behold! A man is not alone with a woman but the third of them is Ash-Shaitan."

Urdu Translation: Hazrat Umar RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: Khabardaar! Koi Bhi Mard Kisi Na’mahram Aurat Ke Sath Hargiz Tanhayi Mein Na Baithe Isliye Ke Un Donon Ke Sath Teesra Shaitan Hoga.”

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 7 :: Hadith 2165]
[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol.2 :: Hadith 37]


●◗► Ilm Seekhne Mein Takabbur Aur Sikhane Mein Bukhl Se Kaam Na Len! Imam Abu Hanifa Rahimahullah Se Pucha Gaya: Aap Is Ilmi Muqam o Bulandi Tak Kaise Pohnche? Imam Abu Hanifa Rahimahullah Ne Jawab Diya: “Main Ne Dusron Ko Faidah Pohnchane Mein Bukhl Se Aur Dusron Se Faidah Uthane Mein Takabbur Se Kaam Nahin Liya!”.



✦......► Ghibat Karna=Murdah Bhai Ka Gosht Khana!◄......✦

⇨ "Would one of you like to eat the flesh of his dead brother? You would hate it (so hate backbiting). And fear Allah. Verily, Allah is the One Who accepts repentance, Most Merciful." (Quran 49:12)

⇨ "Irshade Khudawandi Hai: “Aik Dusre Ki Gheebat Na Karo, Kya Tum Mein Se Koi Ye Pasand Karega Ke Wo Apne Mare Hue Bhai Ka Gosht Khaye? Is Se To Khud Tum Nafrat Karte Ho! Aur Allah Se Daro, Beshak Allah Bada Tauba Qubool Karne Wala, Bahot Maherban Hai.” (Quran, Surah Al-Hujurat:11,12)


✦...........► Aurat Ki Bulandi o Pasti ◄...........✦

● Jab Wo Beti Hoti Hai To Apne Walid Ke Liye Jannat Ka Darwazah Khol Deti Hai

● Jab Wo Biwi Hoti Hai To Apne Shohar Ka Aadha Deen Mukammal Karti Hai

● Jab Wo Maa Hoti Hai To Jannat Us Ke Qadmon Tale Hoti Hai

● Agar Wo Girl Friend Banti Hai To Rab Ki Narazi Mol Lekar Jahannam Ka Sasta Saman Ban Jati Hai.


♥  Narm Mizaji Khandanon Ko Jode Rakhne Ka Zariya! ♥

Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha Farmati Hain Ke Nabi Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jab Allah Ta’ala Kisi Gharane Ke Logon Se Khair Ka Iradah Farma Lete Hain To Un Mein Narmi Paida Farma Dete Hain.” [Musnad Ahmad bin Hanbal: 24471]


✦......►Dusron Ko Hansane Ki Khatir Apne Aap Ko Jahannam Ke Gadhe  Mein Na Girayen! ◄......✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: Woe to him who tells things, speaking falsely, to make people laugh thereby. Woe to him! Woe to him!.

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Wayl (Jahannam Ki Aik Wadi) Hai Us Shaks Ke Liye Jo Logon Ko Hansane Ki Khatir Jhoot Bolta Hai, Wayl Hai Aise Shaks Ke Liye, Wayl Hai Aise Shaks Ke Liye.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 42 :: Hadith 4972, 4990]


✦.........♥  Hikmat Wale Rab Ki Nashukri Se Bachen ♥.........✦

Un Chand Chizon Ke Bare Mein Na Sochen, Jo Allah Ne Dua Ke Bawajood Ata Nahin Ki, Balke Un Beshumar Nematon Par Allah Ka Shukr Ki Jiye, Jo Allah Ne Bin Mange Aap Ko Ata Farmadin.


💘 Aaj Kal Log Duaon Mein Kam Aur Chughliyon Mein Zyadah Yaad Karte Hain 💘


✦...♥ Tum Aur Tumhara Maal Tumhare Walid Ka Hai! ♥...✦

A man came to the Prophet (ﷺ) and said: Messenger of Allah (ﷺ), I have property and children, and my father finishes my property. He (ﷺ) replied; You and your property belong to your father; your children come from the pleasantest of what you earn; so enjoy from the earning of your children.

[Sunan Abi Dawud :: Book 23 :: Hadith 3523, 3530]

Urdu Translation: Rasool Akram ﷺ Ke Paas Aik Shaks Aaya Aur Arz kiya: Ya RasoolAllah ﷺ! Mere Paas Maal Hai Aur Meri Aulad Bhi Hai Aur Is Ke Sath Sath Mera Walid Mere Maal Ka Mohtaj Bhi Hai (Ab Main Kya Karun?).

Aan Hazrat ﷺ Ne Irshad Farmaya:“Tum Aur Tumhara Maal Tumhare Walid Ka Hai, Beshak Tumhari Aulad Tumhari Behtareen Kamayi Mein Se Hai Chunanche Apni Aulad Ki Kamayi Se Khao.”

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3:: Hadith 134]