Pages

Saturday, 28 December 2019

Apne Waldain Ke Paas Baitha Karo! Bahot Se Logon Ko Waldain Se Milne Qabristan Jana Padta Hai.


✦.....►Suraj Grahan Ki Namaz : Tawil Qirat Aur Tawil Ruku o Sujood Wali Namaz ◄....✦

Narrated Abu Musa RadiyAllahu Anhu: The sun eclipsed and the Prophet (ﷺ) got up, being afraid that it might be the Hour (i.e. Day of Judgment). He went to the Mosque and offered the prayer with the longest Qiyam, bowing and prostration that I had ever seen him doing. Then he said, "These signs which Allah sends do not occur because of the life or death of somebody, but Allah makes His worshipers afraid by them. So when you see anything thereof, proceed to remember Allah, invoke Him and ask for His forgiveness."

Urdu Translation: Hazrat Abu Musa Ash’ari RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke Aik Baar Suraj Grahan Hua, Nabi Akram ﷺ Bahot Zyadah Ghabra Kar Uthe Ke Kahin Qayamat Qayem Na Ho Jaye, Aap ﷺ Fauran Masjid Tashreef Laye Aur Aap ﷺ Ne Bade Taweel Qayam Aur Taweel Ruku Aur Taweel Sajdon Ke Sath Namaz Padhi, Main Ne Kabhi Aap ﷺ Ko Is Tarah Se Namaz Padhte Nahin Dekha Tha Aur Phir Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya Ke “Ye Nishaniyan Hain Jo Allah Buzurg o Bartar Bhejta Hai, Ye Kisi Ki Maut Aur Hayat Ke Sabab Se Nahin Hota Hai, Balke Allah Ta’ala Is Ke Zariye Apne Bandon Ko Darata Hai, Jab Tum Is Ko Dekho To Zikre Ilahi Aur Dua o Astaghfar Ki Taraf Daudo.”

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 2 :: Book 18 :: Hadith 167, 1059]


Suraj Grahan Aur Masnoon Aamal


●◗► 25 December: Logon Ko “Christmas Day” Ki Mubarak Baad Dene Ka Matlab Ye Hai: Ke Aap Ye Baat Tasleem Karte Hain Ke Isa Alaihis Salam Allah Ke Bete (Nauzubillah) Aur Mabood Hain. "NO CHIRSITMAS DAY"


✦...► (25 Dec) Christmas Day Par Khoobsurat Paigham ◄...✦

⇨ “Kaho Ke Wo (Zaat Paak Jis Ka Naam) Allah (Hai) Aik Hai. Allah Be Niyaz Hai, Sab Us Ke Mohtaj. Na Us Ki Koi Aulad Hai (Hazrat Isa Alaihis Salam Aur Hazrat Uzair Alaihis Salam Us Ke Bete Nahin) Aur Na Wo Kisi Ki Aulad. Aur Us Ka Koi Hamsar (Barabar) Nahin Hai. (Qur’an - Surah Al-Ikhlas)





Suraj Aur Chand Grahan Ke Moqe Par! Allah Ka Zikr Aur Tauba o Astaghfar Ka Ehtemam Karen!





✦...► Ummate Muhammadiya ﷺ Par Dunya Mein Aazmayishen ◄...✦

The Prophet (ﷺ) said: This people of mine is one to which mercy is shown. It will have no punishment in the next world, but its punishment in this world will be trials, earthquakes and being killed.

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Meri Ye Ummat, Ummate Marhuma Hai (Yani Dusri Ummaton Ki Ba Nisbat Meri Ummat Ke Logon Par Allah Ta’ala Ki Rehmaten Bahot Zyadah Hain), Is Ummat Par Aakhirat Mein (Dayimi) Azab Nahin Hoga Aur Dunya Mein Is Ka Azab, Fitne, Zalzale Aur Nahaq Qatl Hai.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 36 :: Hadith 4265, 4278]





✦.►CAA & NRC Ke Protests Ke Dauran 3 Log Shaheed ◄.✦
✦.► Hamla Aawar Jahannami Aur Marne Wale Jannati! ◄.✦

Nabi Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Koi Shaks Dusre Shaks Ke Paas Chal Kar Jaye Aur Use (Nahaq) Qatl Karde To Maqtool Jannat Mein Hoga Aur Qatil Jahannam Mein.” [Al-Mu’jamul Awsat Al-Tabarani: 1994] 

●◗► Allah Subhanahu Wa Ta'ala In Shaheed Hone Walon Ko Jannat Al-Firdous Mein Aala Muqam Naseeb Farmaye, Lawahiqeen Ko Sabr Jameel Ata Farmaye, Zakhmiyon Ko Shifayab Farmaye Aur Zalimon Ko Kaifar Kirdar Tak Pohncha Kar In Ke Shar Se Ummat Muslima Ki Hifazat Farmaye. (Aameen)





💓 Mazhab Ke Naam Par Zulm o Sitam Ham Nahin Karte, Wafa Ki Aad Mein Siyasat Ham Nahin Karte, Zameen Ke Andar Bhi Jate Hain To Ghusul Kar Ke, Watan Ki Mitti Ko Napaak Ham Nahin Karte ❤️


✦....► Dehshat Gardi Ki Is Laher Mein Masnoon Dua Ka Ehtemam!  ◄....✦

Watne Azeez Hindustan Mein Is Waqt Ke Sangeen Tareen Halaat Mein Hamein Us Masnoon Dua Ka Ehtemaam Karna Chahiye Jo Dua Aap ﷺ Aise Halaat Mein Manga Karte The Jab Dushmanon Ki Janib Se Hamle Ke Khatrat Hon, Wo Dua Ye Hai:

"‏ اللَّهُمَّ إِنَّا نَجْعَلُكَ فِي نُحُورِهِمْ وَنَعُوذُ بِكَ مِنْ شُرُورِهِمْ ‏"‏
Allahumma inna naj'aluka fi nuhurihim, wa na'udhu bika min shururihim.

Tarjumah: “Aye Allah! Beshak Ham Tujhe In (Dushmanon) Ke Muqable Mein Late Hain Aur In (Dushmanon) Ke Shuroor Se Teri Panah Mangte Hain.” (Sunan Abi Dawud:1537)

●═════════════════◄►═════════════════●

Narrated AbuMusa al-Ash'ari RadiyAllahu Anhu: When the Prophet (ﷺ) feared a (group of) people, he would say:

"‏ اللَّهُمَّ إِنَّا نَجْعَلُكَ فِي نُحُورِهِمْ وَنَعُوذُ بِكَ مِنْ شُرُورِهِمْ ‏"‏
Allahumma inna naj'aluka fi nuhurihim, wa na'udhu bika min shururihim.

"O Allah, we make Thee our shield against them, and take refuge in Thee from their evils."

[Sunan Abi Dawud :: Book 8 :: Hadith 1532, 1537]



✦.................► Bekar Aadmi! ◄................✦

Hazrat Abdullah Bin Mas'ud RadiyAllahu Anhu Farmate Hain: “Mujhe Wo Shaks Sakht Na Pasand Hai Jise Main Farigh Dekhun Na Wo Dunya Ke Kisi Kaam Mein Masroof Ho Aur Na Aakhirat Ke.” (حلیۃ الاولیاء:130)


ظلم اتنا برا نہیں جتنی بری تمہاری خاموشی ہے، ظلم کے خلاف بولنا سیکھو  ورنہ نسلیں گونگی ہو جائے گی۔

Zulm Itna Bura Nahin Jitni Buri Tumhari Khamoshi Hai, Zulm Ke Khilaf Bolna Sikhon Warna Naslen Goongi Ho Jaye Gi.



✦......► Motapa Badtareen Khaslaton Mein Se Hai ◄......✦

"Allah's Messenger (ﷺ) said, 'The best of my followers are those living in my generation (i.e. my contemporaries). and then those who will follow the latter" `Imran added, "I do not remember whether he mentioned two or three generations after his generation, then the Prophet (ﷺ) added, 'There will come after you, people who will bear witness without being asked to do so, and will be treacherous and untrustworthy, and they will vow and never fulfill their vows, and fatness will appear among them."

Urdu Translation:  RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Meri Ummat Ka Sab Se Behtareen Zamana Mera Zamana Hai, Phir Un Logon Ka Jo Is Zamana Ke Baad Aayenge, Phir Un Logon Ka Jo Us Zamana Ke Baad Aayenge.” (Hazrat Imran Bin Hussain Farmate hain Ke Mujhe Acchi Tarah Yaad Nahin Ke Nabi Kareem ﷺ Ne Apne Daur Ke Baad Do Zamanon Ka Zikr Farmaya Tha Ya Teen Ka).

Phir Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Tumhare Baad Aik Aisi Qaum Paida Hogi Jo Baghair Kahe Gawahi Dene Ke Liye Tayyar Ho Jaya Karegi, Aur Khayanat Ki Kasrat Ki Wajah Se Un Par Bharosa Nahin Kiya Ja Sakega, Aur Wo Log Nazren Manenge Lekin Pura Nahin Karenge, Aur (Zyadah Khane Ki Waja Se) Un Par “Motapa” Aam Ho Jaye Ga.”

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 5 :: Book 57 :: Hadith 2, 3650]





✦......► Ghar, Office, Ya Gadi Wagherah Mein Na’mahram Ke Sath Tanhayi Mein Na Baithe ◄......✦

Narrated Ibn 'Umar RadiyAllahu Anhu: The Prophet ﷺ said: "Behold! A man is not alone with a woman but the third of them is Ash-Shaitan."

Urdu Translation: Hazrat Umar RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: Khabardaar! Koi Bhi Mard Kisi Na’mahram Aurat Ke Sath Hargiz Tanhayi Mein Na Baithe Isliye Ke Un Donon Ke Sath Teesra Shaitan Hoga.”

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 7 :: Hadith 2165]
[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol.2 :: Hadith 37]


●◗► Ilm Seekhne Mein Takabbur Aur Sikhane Mein Bukhl Se Kaam Na Len! Imam Abu Hanifa Rahimahullah Se Pucha Gaya: Aap Is Ilmi Muqam o Bulandi Tak Kaise Pohnche? Imam Abu Hanifa Rahimahullah Ne Jawab Diya: “Main Ne Dusron Ko Faidah Pohnchane Mein Bukhl Se Aur Dusron Se Faidah Uthane Mein Takabbur Se Kaam Nahin Liya!”.



✦......► Ghibat Karna=Murdah Bhai Ka Gosht Khana!◄......✦

⇨ "Would one of you like to eat the flesh of his dead brother? You would hate it (so hate backbiting). And fear Allah. Verily, Allah is the One Who accepts repentance, Most Merciful." (Quran 49:12)

⇨ "Irshade Khudawandi Hai: “Aik Dusre Ki Gheebat Na Karo, Kya Tum Mein Se Koi Ye Pasand Karega Ke Wo Apne Mare Hue Bhai Ka Gosht Khaye? Is Se To Khud Tum Nafrat Karte Ho! Aur Allah Se Daro, Beshak Allah Bada Tauba Qubool Karne Wala, Bahot Maherban Hai.” (Quran, Surah Al-Hujurat:11,12)


✦...........► Aurat Ki Bulandi o Pasti ◄...........✦

● Jab Wo Beti Hoti Hai To Apne Walid Ke Liye Jannat Ka Darwazah Khol Deti Hai

● Jab Wo Biwi Hoti Hai To Apne Shohar Ka Aadha Deen Mukammal Karti Hai

● Jab Wo Maa Hoti Hai To Jannat Us Ke Qadmon Tale Hoti Hai

● Agar Wo Girl Friend Banti Hai To Rab Ki Narazi Mol Lekar Jahannam Ka Sasta Saman Ban Jati Hai.


♥  Narm Mizaji Khandanon Ko Jode Rakhne Ka Zariya! ♥

Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha Farmati Hain Ke Nabi Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jab Allah Ta’ala Kisi Gharane Ke Logon Se Khair Ka Iradah Farma Lete Hain To Un Mein Narmi Paida Farma Dete Hain.” [Musnad Ahmad bin Hanbal: 24471]


✦......►Dusron Ko Hansane Ki Khatir Apne Aap Ko Jahannam Ke Gadhe  Mein Na Girayen! ◄......✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: Woe to him who tells things, speaking falsely, to make people laugh thereby. Woe to him! Woe to him!.

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Wayl (Jahannam Ki Aik Wadi) Hai Us Shaks Ke Liye Jo Logon Ko Hansane Ki Khatir Jhoot Bolta Hai, Wayl Hai Aise Shaks Ke Liye, Wayl Hai Aise Shaks Ke Liye.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 42 :: Hadith 4972, 4990]


✦.........♥  Hikmat Wale Rab Ki Nashukri Se Bachen ♥.........✦

Un Chand Chizon Ke Bare Mein Na Sochen, Jo Allah Ne Dua Ke Bawajood Ata Nahin Ki, Balke Un Beshumar Nematon Par Allah Ka Shukr Ki Jiye, Jo Allah Ne Bin Mange Aap Ko Ata Farmadin.


💘 Aaj Kal Log Duaon Mein Kam Aur Chughliyon Mein Zyadah Yaad Karte Hain 💘


✦...♥ Tum Aur Tumhara Maal Tumhare Walid Ka Hai! ♥...✦

A man came to the Prophet (ﷺ) and said: Messenger of Allah (ﷺ), I have property and children, and my father finishes my property. He (ﷺ) replied; You and your property belong to your father; your children come from the pleasantest of what you earn; so enjoy from the earning of your children.

[Sunan Abi Dawud :: Book 23 :: Hadith 3523, 3530]

Urdu Translation: Rasool Akram ﷺ Ke Paas Aik Shaks Aaya Aur Arz kiya: Ya RasoolAllah ﷺ! Mere Paas Maal Hai Aur Meri Aulad Bhi Hai Aur Is Ke Sath Sath Mera Walid Mere Maal Ka Mohtaj Bhi Hai (Ab Main Kya Karun?).

Aan Hazrat ﷺ Ne Irshad Farmaya:“Tum Aur Tumhara Maal Tumhare Walid Ka Hai, Beshak Tumhari Aulad Tumhari Behtareen Kamayi Mein Se Hai Chunanche Apni Aulad Ki Kamayi Se Khao.”

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3:: Hadith 134]

Saturday, 30 November 2019

✦......► Aap Ke Waldain Zindah Hain Ya…?? ◄......✦
✦...............♥  Waldain Ke 14 Huqooq ♥...............✦

✿ Zindagi Mein 7 Huqooq: ✿

1. Dil o Jaan Se Un Ki Izzat o Ehteram Karna (Agarche Wo Kafir Hon)
2. Husne Sulook Aur Mohabbat o Ulfat Ka Muamla Karna
3. Shari’at Ke Dayere Mein Rehte Hue Un Ki Ita’at Karna
4. Un Ke Ehsanaat Aur Kawishon Ki Qadardani Karna
5. Un Ki Hajaat o Zaruriyat Puri Kar Ke Unhen Rahat Pohnchana
6. Un Ki Shadabi Aur Lambi Umr Ke Liye Dua Karna
7. Kasrat Se Un Ki Ziyarat Karna

✿ Inteqal Ke Baad 7 Huqooq: ✿

1. Un Ke Liye Duaye Maghfirat Karna (Bashartyeke Waldain Musalman Hon)
2. Isale Sawab Karna (Bashartyeke Waldain Musalman Hon)
3. Un Par Kisi Ka Qarz Ho To Ada Karna
4. Un Ki Wasiyat Puri Karna
5. Un Ke Rishtedaron Aur Dost Ahbab Ka Ikram Karna
6. Un Ke Aaza o Aqarib Aur Doston Ki Muawinat Karna
7. Waqtan Fawaqtan Un Ki Qabr Ki Ziyarat Karna. (Makhuz Az Al-Quran, Ahadis Nabwi ﷺ)


✦.....♥ Quran Jism Insani Ko Qabo Mein Rakhne Wali Kitab ♥.....✦

● Insani Aawaz Control Mein Rakhne Ke Liye Quran Farmata Hai: “Aur Apni Aawaz Ko Aahista Rakho.” (Surah Luqman:19) 

● Insani Alfaz Control Mein Rakhne Ke Liye Quran Farmata Hai: “Aur Logon Se Bhali Baat Kehna.” (Surah Al-Baqarah:83) 

● Insani Aankhon Ko Control Mein Rakhne Ke Liye Quran Farmata Hai: “Aur Momin Mardon Se Kehdo Ke Wo Apni Nigahen Nichi Rakhen Aur Apni Sharm Gahon Ki Hifazat Karen.” (Surah An-Noor:30) 

● Insani Chaal Dhaal Ko Control Karne Ke Liye Quran Farmata Hai: “Aur Zameen Par Itrate Hue Na Chalo.” (Surah Luqman:18) 

● Insani Hirs o Tama’a Ko Control Karne Ke Liye Quran Farmata Hai: “Aur Tum Un Chizon Ki Taraf Hargiz Aankh Utha Kar Bhi Na Dekho, Jo Ham Ne Mukhtalif Logon Ko Maze Udane Ke Liye De Rakhi Hain.” (Surah Al-Hijr:88) 

● Khane Pine o Digar Akhrajaat Control Karne Ke Liye Quran Farmata Hai: “Fuzool Kharchi Mat Karo.” (Surah Al-A’raf:31)


●◗► Jitna Ham Dil o Jaan Se Allah Ke Huzoor Jhukenge Itna Hi Allah Hamari Izzat Aur Martabe Mein Izafa Karega.


The Messenger of Allah (ﷺ) said: “…Endurance is a brightness and the Holy Qur'an is a proof on your behalf or against you.”

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Quran Ya Tumhare Haq Mein Hujjat Hai Ya Tumhare Khilaf Hujjat Hai.”

[Sahih Muslim :: Book 2 :: Hadith 432, 223]

●◗► Quran Ki Dil o Jaan Se Azmat Kar Ke Ise Apna Banayyen, Warna Roze Qayamat Ye Aap Ke Khilaaf Hoga!


✦........► Musalman Ko Fasiq Ya Kafir Kehna◄........✦

The Prophet (ﷺ) saying: "If somebody accuses another of Fusuq (by calling him 'Fasiq' i.e. a wicked person) or accuses him of Kufr, such an accusation will revert to him (i.e. the accuser) if his companion (the accused) is innocent."

[Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 73 :: Hadith 71]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Agar Koi Shaks Kisi Doosre Shaks Par Fasiq Ya Kafir Hone Ki Tohmat Lagaye Aur Wo Shaks Dar Haqiqat Fasiq Ya Kafir Na Ho To Khud Kehne Wala Fasiq Ya Kafir Ho Jayega.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Hadith 6045]


“Hifze Quran Bahot Badi Nemat Hai, Sirf 3 Aayaat Rozana Chalte Phirte Yaad Karli Jiye, 6 Saal Mein Hafiz Quran Ho Jayenge.”


✦...♥ Insan Ki Marhalah Waar Takhleeq Aur Medical Science ♥...✦

Hazrat Abdullah Bin Mas’ud RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Tum Mein Se Har Aik Apni Maa Ke Pait Mein 40 Din Tak Nutfah Ki Shakal Mein Rehta Hai, Phir Utne Hi Roz Tak Munjamid Khoon Ki Shakal Mein, Phir Utne Hi Roz Tak Lothde Ki Shakal Mein Rehta Hai.

Is Ke Baad Allah Subhanahu Wa Ta'ala Aik Farishta Bhejta Hai Aur Use Chaar Baton (Ke Likhne) Ka Hukum Diya Jata Hai Aur Use Kaha Jata Hai:

► Us Ke Aml Likhdo (Ye Kya Kya Karega)
► Us Ka Rizq Likhdo (Maldar Hoga Ya Ghareeb)
► Us Ki Umr Likhdo (Use Kab Maut Aayegi)
► Aur Ye Bhi Likhdo Ke Ye Naik Bakht Hoga Ya Bad Bakht (Jannati Hoga Ya Jahannami) Us Ke Baad Us Mein Rooh Phoonk Di Jati Hai."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol.4 :: Hadith 3208]

●◗► Insani Takhleeq Ke Darje Baala Marahil RasoolAllah ﷺ Ne 1400 Saal Hi Qabl Bayan Farmadiye The Jab Ke Aaj Ki Medical Science Jadeed Technology Ki Badolat In Marahil Ke Eteraf par Majboor Hai.

●═════════════════◄►═════════════════●

Narrated `Abdullah bin Mus'ud RadiyAllahu Anhu: Allah's Messenger (ﷺ), the true and truly inspired said, "(The matter of the Creation of) a human being is put together in the womb of the mother in forty days, and then he becomes a clot of thick blood for a similar period, and then a piece of flesh for a similar period.

Then Allah sends an angel who is ordered to write four things. He is ordered to write down:

► His (i.e. the new creature's) deeds,
► His livelihood,
► His (date of) death,
► And whether he will be blessed or wretched (in religion). Then the soul is breathed into him.

[Sahih Bukhari :: Vol. 4 :: Book 54 :: Hadith 430]


✦........► Nematon Se Behisi Na Barten! ◄........✦

✿ Bimar Ki Taklif Dekhen Aur Sahet Ki Daulat Ka Andazah Karen.
✿ Qaidi Ke Paas Jayen Aur Aazadi Ki Nemat Ka Ehsas Karen.
✿ Qabristan Ghumen Aur Zindagi Ki Qadar o Qeemat Ka Ehsas Karen.


✦......► Mauzi Janwaron Ko Maar Dene Ka Hukum ◄.......✦

Narrated `Aisha RadiyAllahu Anha: The Prophet (ﷺ) said, "Five kinds of animals are mischief-doers and can be killed even in the Sanctuary: They are the rat the scorpion, the kite, the crow and the rabid dog." (Sahih al-Bukhari :: Vol. 4, Book 54, Hadith 531, 3314)

It was narrated from Umm Sharik RadiyAllahu Anha that the Prophet (ﷺ) told her to kill house lizards.” (Sunan Ibn Majah :: Vol. 4 :: Book 28 :: Hadith 3228)

The Prophet (ﷺ) said: Kill all the snakes.” (Sunan Abi Dawood: 5248)

●═══════════════◄►═══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha se Riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “5 Mauzi Janwar hain, Unhen Hudoode Haram mein bhi Mara Ja Sakta hai (To Hudoode Haram ke Alawah Batareeq Aaula un ka Marna Jayez Hoga):

❶ Chuha
❷ Bicchu
❸ Cheel
❹ Kawwa
❺ Aur Kaat Lene Wala Kutta. (Sahih Bukhari: 3314)

Hazrat Umm Sharik RadiyAllahu Anha se Riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne Unhen ❻ Chipkaliyan Marne ka Hukum Diya. (Sunan Ibn Majah: Vol. 3 :: 109, 3228)

❼ RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Har Qism ke Sanpon ko (Jahan, Jis Waqt Pao) Qatal kiya karo.” (Sunan Abi Dawood :: Vol. 3 :: 1806, 5248)


✦........► Sood Zina Se Badtar Kyun? Kyun Ke? ◄........✦

RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Sood Ka Aik Dirham Jante Boojhte Khana 36 Martaba Zina Karne Se Badtar Hai.” (Musnad Ahmad: 22007)

❶ Sood Allah Aur Us Ke Rasool Se Elan Jung Hai. (Surah Al-Baqarah: 278,279)

❷ Sood Khane, Khilane Wale Par Allah Rasool Ki Lanat Hai. (Sahih Muslim: 1598)

❸ Sood Khor Baghair Tauba Ke Mar Jaye To Us Ke Liye Jahannam Ka Wada Hai. (Surah Al-Baqarah: 275)

❹ Soodi Maal Ko Barbad Karne Ka Elan Khud Allah Ta’ala Ne Kiya Hai. (Surah Al-Baqarah: 276)

❺ Guzashta Shariaton Mein Bhi Sood Ko Qabeeh Tareen Aur Haram Qarar Diya Gaya. (Surah An-Nisa: 160,161)

❻ Sood Khor Ki Dua Qubool Nahin Hoti. (Sahih Muslim: 1015)

❼ Sood Khor Ka Sadaqa Aur Maali Ibadat Bhi Qubool Nahin Hotin. (Surah Al-Baqarah: 267)

❽ Sood Khor Halal o Pakizah Chizon Se Mahroom Kardiya Jata Hai. (Surah An-Nisa: 160,161)

The Prophet (peace and blessings of Allaah be upon him) said: “A dirham which a man consumes as riba knowingly is worse before Allaah than thirty-six acts of zina.” Narrated by Ahmad and al-Tabaraani; classed as saheeh by al-Albaani in Saheeh al-Jaami’, no. 3375. And he said: “There are seventy-two types of riba, the least of which is like a man committing incest with his mother.” Narrated by al-Tabaraani in al-Awsat; classed as saheeh by al-Albaani in Saheeh al-Jaami’, no. 3537.


💕 Log Beti Se Kehte Hain Ke Ghar Ki Izzat Kharab Mat Karna, Beton Se Bhi Kehden Kisi Ke Ghar Ki Izzat Barbad Mat Karna 💕


✦......♥ Biwi Esar o Qurbani Ka Dusra Naam ♥......✦

● Biwi Shohar Ki Khatir Apna Ghar, Saheliyan Aur Rishtedaron Ko Chhod Deti Hai Aur Apna Naam Tak Tabdeel Kar Deti Hai.
● Zindagi Ka Naya Safar, Naye Mahol Mein Mard Ke Sath Shuru Karti Hai.
● Shohar Ki Khatir Aik Naya Gharana Tashkeel Deti Hai.
● Hamal Ka Bojh Uthati Hai Jis Se Us Ka Husn Shadeed Mutassir Hota Hai Aur  Jismani Saakht Tak Tabdeel Ho Jati Hai.
● Paida Hone Wali Aulad Ko Shohar Ke Naam Se Mansoob Karti Hai.
● Shohar Ke Kapde Dhona, Us Ke Liye Khana Pakana Aur Ghar Ki Safayi  Ki Khidmaat Sar Anjam Deti Hai.
● Shohar Ke Bacchon Ki Taleem o Tarbiyat Aur Shohar Ke Waldain Ka Khayal Rakhti Hai.
● Zindagi Ki Mushkil Tareen Ghadiyon Mein Shohar Ke Sath Khadi Hoti Hai Aur Qeemti Mashware o Tajaweez Se Shohar Ki Madad Karti Hai.
● Biwi Ye Tamam Khidmaat Apne Shohar Ki Khatir Marte Dum Tak Bila Muawza  Sar Anjam Deti Rehti Hai.

Lehaza Biwi Ki Khidmaat Ka Khule Dil Se Eteraf Karte Hue Barmala Us Ki Tarif Kijiye!

◈ Barmila – Saaf Saaf, Khullam khulla, Wazher Taur Par.


✦........► Saf Ki Durustgi Ke Dil Par Asrat! ◄........✦

Abu Mas'ud RadiyAllahu Anhu reported: The Messenger of Allah (may peace he upon him) used to touch our shoulders in prayer and say: Keep straight, don't be irregular, for there would be dissension in your hearts. Let those of you who are sedate and prudent be near me, then those who are next to them, then those who are next to them. Abu Mas'ud said: Now-a-days there is much dissension amongst you.

Urdu Translation: Hazrat Abu Mas’ud RadiyAllahu Anhu Farmate Hain:  “RasoolAllah ﷺ (Namaz Se Pehle) Hamare Kandhon Ko Chukar Farmate The Ke Apni Safen Seedhi Rakho Aur Aage Piche Mat Ho Warna Tumhare Dilon Mein Phoot Pad Jayegi, Aur Tum Mein Se Jo Ba Shuoor Aur Aqalmand Hon Wo (Namaz Mein) Mere Qareeb Rahen, Phir Wo (Jo Aql o Danish Mein) Un Ke Qareeb Hon, Phir Wo Jo Un Ke Qareeb Hon.”

[Sahih Muslim :: Book 4 :: Hadith 868, 432]



✦.........♥  Aurat Ka Hijab, Aurat Ki Hifazat ♥.........✦

The Messenger of Allah ﷺ said: “The woman is Awrah, so when she goes out, the Shaitan seeks to tempt her.”

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Aurat Parde Mein Rehne Ki Cheez Hai, Jab Wo (Ghar Se) Nikalti Hai To Shaitan Use (Logon Ke Liye) Muzayyan Banata Hai.” (Yani: Wasawis Aur Bure Khayalat Ke Zariye Logon Ko Behkane Ki Koshish Karta Hai.)

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Book 7 :: Hadith 1173, 1173]


✦........► Wasiyat Tehreer Kar Ke Soyen ◄........✦

Allah's Messenger (ﷺ) said, "It is not permissible for any Muslim who has something to will to stay for two nights without having his last will and testament written and kept ready with him." (Sahih Bukhari: 2738)

Urdu Translation: Nabi Kareem ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jis Kisi Musalman Ke Paas Wasiyat Ke Qabil Koi Bhi Cheez Ho (Yani Kisi Ka Lena Dena Ya Us Ke Zimme Maali Huqooq Hon) To Us Ke Liye Jayez Nahin Ke Wasiyat Likh Kar Mahfooz Kiye Baghair 2 Raten Bhi Basar Kare.” (Sahih Bukhari: 2738, Sahih Muslim: 1627)

Hamesha Wasiyat Tehreer Kar Ke Mahfooz Rakhna Aur Bawaqte Zarurat Us Mein Tarmeem Karna RasoolAllah       Ka Khususi Hukum Hai, Wasiyat Likhna Aik Aisa Moharek (Motive) Hai Jo Insan Ko Har Waqt Maut Aur Aakhirat Ki Yaad Dilata Rehta Hai, Neez Wasiyat Likhne Wale Ko Huqooq Allah Aur Huqooq Ul-Ibad Yaad Rehte Hain, Darj Zail Chizon Ki Wasiyat Likhna Wajib Hai:

❶  Kitni Namazen Ya Rozen Us Ke Zimme Hain?       
❷  Hajj Farz Ho Chuka Hai Ya Nahin?                           
❸  Biwi Ka Maher Ada Kar Chuka Hai Ya Nahin?           
❹  Us Par Kis Kis Ka Aur Kitna Qarz Hai?
❺ Qiston Par Kharidari Ki Surat Mein Kitni Qisten Hain?
❻ Guzashta Salon Ki Zakat Ya Sadaqatul Fitr Ada Karna Hai? 
❼ Kisi Ki Cheez Ya Haq Na Jayez Ghasab Kiya Ho To Wapas Laotane Ki Wasiyat.
❽ Company Ya Hukumat Ke Kitne Wajibat Hain?
❾ Koi Kiraya Us Ke Zimme Mein To Nahin?
➓ Kis Kis Ki Amanaten Us Ke Paas Hain? Wagherah.   

●◗► Lehaza Wasiyat Likhne Ka Mamul Banayen Aur Apni Wasiyat Par 2 Diyanatdar Insanon Ko Gawah Bhi Banayen, Maut Ka Kuch Bharosa Nahin, Wasiyat Ye Soch Kar Likhen Ke Agar Aaj Hi Meri Wafat Ho Gayi To Mere Ahl o Ayal Mujh Par Ayed Shudah Mali Zimmedariyan Wasiyat Dekh Kar Tarke (legacy) Mein Se Ada Kar Saken Taa Ke Mali Zimmedariyon Ka Bojh Roze Mehshar Mujhe Na Uthana Pade. Agar Ahl o Ayaal Maaldar Hon To Kul Tarke Ke Tihayi Hisse Se Neki Ke Kamon Mein Kharch Karni Wasiyat Mustahab Hai.


Insan Ko Insaniyat Sikhane Wale! Hazrat Hasan Basri Rahimahullah Farmate Hain: “Ulama Na Hote To Log Janwaron Ki Tarah Hote.”



✦.........♥ La’nat Wapas Palat’ti Hai! ♥.........✦

'Ibn 'Abbas narrated that a man cursed the wind in the presence of the Prophet ﷺ, so he ﷺ said: "Do not curse the wind, for it is merely doing as ordered , and whoever curses something undeservingly, then the curse returns upon him."

Urdu Translation: Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Anhuma Farmate Hain Ke Aik Shaks Ne Nabi  Kareem ﷺ Ke Samne Hawa (Aandhi) Par Lanat Bheji To Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Hawa Par Lanat Na Bhejo, Kyun Ke Ye (Allah Ke) Hukum Ki Paband Hai, Aur Jo Shaks Kisi Aisi Cheez Par Lanat Bheje Jo Lanat Ki Mustahiq Nahin To Wo Lanat Wapas Usi Par Laut Ti Hai.”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 1 :: Hadith 1978, 1978]


✦.........♥ Allah Ki Marzi Par Razi Ho Jayen ♥.........✦

“Ain Mumkin Hai Ke Tum Aik Cheez Ko Bura Samjho Halanke Wo Tumhare Haq Mein Behtar Ho Aur Ye Bhi Mumkin Hai Ke Tum Aik Cheez Ko Pasand Karo, Halanke Wo Tumhare Haq Mein Buri Ho Aur (Asal Haqiqat To) Allah Janta Hai, Aur Tum Nahin Jante.” (Al-Baqarah:216)


✦.........♥ Sajdah Tilawat Aur Us Ke Muqamat ♥.........✦

Hazrat Abdullah Bin Umar RadiyAllahu Anhuma Farmate Hain Ke RasoolAllah ﷺ Hamen Quran Sunate, Jab Aap ﷺ Kisi Sajde Ki Aayat Se Guzarte To “Allahu Akbar” Kehte Aur Sajdah Farmate Aur Aap ﷺ Ke Sath Ham Bhi Sajdah Karte. (Sunan Abi Dawud: 1413)

 Quran Kareem Ki Aisi Aayaten Jin Ke Padhne Ya Sunne Se Sajdah Wajib Ho Jata Hai, Kul 14 Hain:

❶ Surah Al-A’raf, Aayat 206
❷ Surah Ar-Ra’d, Aayat 15
❸ Surah An-Nahl, Aayat 49,50
❹ Surah Bani Israil, Aayat 109
❺ Surah Maryam, Aayat 58
❻ Surah Al-Haj, Aayat 18
❼ Surah Al-Furqan, Aayat 60
❽ Surah An-Naml, Aayat 25-26
❾ Surah الم  Sajdah, Aayat 15
➓ Surah Sad, Aayat 24
⓫ Surah Fussilat, Aayat 38
⓬ Surah An-Najm, Aayat 62
⓭ Surah Al-Inshiqaq, Aayat 20-21
⓮ Surah Al-Alaq, Aayat 19

●◗► Sajdah Tilawat Ka Tariqa: Qiblah Ru Khade Hokar Baghair Hath Uthaye AllahuAkbar Kehte Hue Sajdah Mein Jayen Aur Sajdah Ada Kar Ke Allahu Akbar Kehte Hue Uth Khade Ho, Na Tashahhud Mein Baithne Ki Zarurat Hai Aur Na Salam Pherne Ki, Sajdah Tilawat Baithe Baithe Bhi Kar Sakte Hain Lekin Khade Hokar Sajde Mein Jana Mustahab Hai.

The Messenger of Allah (ﷺ) used to recite the Qur'an to us. When he came upon the verse containing prostration, he would utter the takbir (Allah is most great) and we would prostrate ourselves along with him. [Sunan Abi Dawud :: Book 7 :: Hadith 1408, 1413]


✦......♥  Roti Ke Tukde Idhar Udhar Na Dalen! ♥......✦

Ummul Mu'minin Sayyidah Aisha RadiyAllahu Anha Farmati Hain Ke Nabi Kareem ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Roti Ka Ikram Kiya Karo.”

[Jami` al-Saghir Jalal al-Din al-Suyuti: 1423]


✦........► Privacy Mein Mudakhlat Na Karen! ◄........✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: “One should not sit between two men except with their permission.”

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Do Aadmiyon Ke Darmiyan Un Ki Ijazat Ke Baghair Na Baitha Jaye.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 42 :: Hadith 4826, 4844]


💘 Zaher Mein Bhi Itna Zaher Nahin Hota Jitna Zaher Kuch Log Dusron Ke Liye Apne Dil Mein Rakhte Hain 💘


✦......♥ Sahabiyat Ka Nabi Akram ﷺ Se Pardah ♥......✦

Aayate Hijab Nazil Hone Ke Baad Sahabiyat Pardah Ka Bahot Zyadah Ehtemam Farmatin Aur Kisi Bhi Na Mahram Mard Ke Samne Chehrah Dhanmpe Baghair Na Jatin Hatta Ke Huzoor Akram ﷺ Se Bhi Pardah Kartin Aur Chehrah Chupaye Baghair Aap ﷺ Ke Samne Bhi Na Aatin, Koi Masla Puchna Hota Ya Koi Cheez, Parcha Ya Khat Dena Hota Tab Bhi Pardah Ke Piche Hi Se Rabta Kartin, Chunanche Hazrat Aisha Bayan Karti Hain:

 “Aik Aurat Ne RasoolAllah ﷺ Ko Parcha Dene Ke Liye Pardah Ke Piche Se Aap ﷺ Ki Taraf Hath Badhaya.” (Sunan Abi Dawud: 4166)

Ye Hadees Wazeh Taur Par Is Baat Ki Daleel Hai Ke Sahabiyat, Aap ﷺ Se Bhi Chehrah Chupaya Karti Thin, Isi Liye Is Sahabiya Ne Pardah Ke Peeche Se Parcha Dene Ke Liye Hath Aage Badhaya.