Pages

Monday, 27 September 2021

♥ Sab Se Afzal Dua Huzoor ﷺ Ki Apne Chacha Ko Nasihat ♥

Al-`Abbas bin `Abdul-Muttalib RadiyAllahu Anhu said: “I said: ‘O Messenger of Allah, teach me something that I may ask Allah, [Mighty and Sublime] for.’ He (ﷺ) said: ‘Ask Allah for Al-`Āfiyah.’ Then I remained for a day, then I came and said: ‘O Messenger of Allah, teach me something that I may ask Allah for.’ So he (ﷺ) said to me: “O Abbas, O uncle of the Messenger of Allah! Ask Allah for Al-`Āfiyah in the world and in the Hereafter.”

Urdu Translation: Hazrat Abbas RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai, Aap Kehte Hain, Main Ne Arz Kiya: “Aye Allah Ke Rasool! Mujhe Koi Dua Sikhaden Jise Main Allah Se Manga Karun.” Aap ﷺ Ne Farmaya: “Allah Se Aafiyat Talab Kiya Karo.”

Aap RadiyAllahu Anhu Kehte Hain: Main Kuch Din Tahra Raha, Phir Main Dobarah Gaya Aur Arz Kiya: “Aye Allah Ke Rasool! Mujhe Koi Dua Sikhaden Jise Main Allah Se Manga Karun.” Aap ﷺ Ne Mujh Se Farmaya: “Aye Abbas! Aye Allah Ke Rasool Ke Chacha! Allah Se Dunya Aur Aakhirat Mein Aafiyat Talab Kiya Karo.”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 6 :: Book 45 :: Hadith 3514, 3514]

اللّهُـمَّ إِنِّـي أسْـأَلُـكَ العَـفْوَ وَالعـافِـيةَ
في الدُّنْـيا وَالآخِـرَة
Allāhumma innī as'aluka 'l-`afwa wal-`āfiyah
fid-dunyā wal-ākhirah,

“Aye Allah Main Aap Se Dunya o Aakhirat Mein Muafi Aur Aafiyat Talab Karta Hun.”


✦.........♥ Nabi ﷺ Ki Qurbat Pane Ka Nuskha ♥.........✦

Allah's Messenger ﷺ said: "The person closest to me on the Day of Judgement is the one who sent the most Salat upon me."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Qayamat Ke Din Mujh Se Sab Se Zyadah Qareeb Woh Shaks Hoga, Jo Mujh Par Zyadah Durood Bhejta Hoga.”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Book 3 :: Hadith 484, 484]


Barish Ke Waqt Ki Dua:

‏ "‏ اللَّهُمَّ صَيِّبًا نَافِعًا ‏"‏
Aye Allah! Ise Nafa Bakhsh Barish Bana Dijiye.” (Sahih Bukhari:1032)


Dil Ka Rasta Akhlaq Ki Sidhi Se Jata Hai.


“Baaz Auqat Un Logon Ke Sath Bhi Hansna Muskurana Aur Jina Padta Hai, Jo Hamari Peeth Piche Hamari Sirf Aur Sirf Buraiyyan Hi Karte Hain, Aur Yahi Dunya Ki Haqiqat Hai.”


Ghalat Password Lagane Se Aik Mamuli Mobile Ya Device Nahin Khulti To Ghalat Tarze Aml Ekhtiyar Karne Se Jannat Ka Darwazah Kaise Khul Sakta Hai?


✦........► Jute Baith Kar Pahenna Behtar Hai! ◄........✦

The Messenger of Allah (ﷺ) prohibited that a man should put on sandals while he is standing."

Urdu Translation: Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke RasoolAllah ﷺ Ne Khade Ho Kar Jute Pahenne Se Mana Farmaya Hai.”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 3 :: Book 22 :: Hadith 1776, 1776]

●◗► Hadeese Bala Mein Khade Hokar Jute Pahenne Ki Jo Mumaniat Warid Hui Hai Ye Ummat Par Nihayat Darja Shafqat Aur Rahnumai Ki Waja Se Hai, Aur Is Se Sirf Woh Jute Muraad Hain Jin Mein Bandhne Ki Rassi Ya Tasma Wagherah Ho Aur Khade Ho Kar Pahenne Ki Koshish Mein Aadmi Gir Jane Ka Andesha Ho.


✦........► Meri Daulat Meri Daulat ◄........✦

Abu Huraira RadiyAllahu Anhu reported Allah's Messenger (ﷺ) as saying: A servant says, My wealth. my wealth, but out of his wealth three things are only his: whatever he eats and makes use of or by means of which he dresses himself and it wears out or he gives as charity, and this is what he stored for himself (as a reward for the Hereafter), and what is beyond this (it is of no use to you) because you are to depart and leave it for other people.

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ka Irshade Girami Hai: “Insan Kehta Hai: Mera Maal, Mera Maal, Halan Ke Us Ka Maal To Sirf Wahi Hai Jo Us Ne Kha Kar Khatam Kar Diya Ya Pahen Kar Purana Kar Diya Ya Sadaqa Kar Ke Aage Pohnchadiya (Baqi To Insan Ke Hath Se Nikal Kar Dusron Ke Paas Jane Wala Hai).”

[Sahih Muslim :: Book 42 :: Hadith 7063, 2959]


♥ Hadya (Gift) Dena Mohabbaten Parwan Chadhane Ka Zariya! ♥

Abu Hurayra RadiyAllahu Anhu reported that the Prophet ﷺ said: "Give gifts and you will love one another." (Al-Adab Al-Mufrad: 594)

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Aapas Mein Aik Dusre Ko Hadya Diya Karo, Is Se Tumhare Darmiyan Mohabbat Paida Hogi.” (Al-Adab Al-Mufrad: 594)


✦.........♥ Musalman Aur Quran Lazawal Rishta! ♥.........✦

✦ Agar Aap Un Logon Mein Se Nahin: “Jo Us Quran Ki Tilawat Is Tarah Karte Hain, Jaisa Ke Us Ki Tilawat Ka Haq Hai.” (Al-Baqarah: 121)

✦ To Kam Az Kam Un Logon Mein Zaroor Shamil Ho Jayyen: “Tum Quran Mein Se Itna Hi Padh Liya Karo, Jitna Aasan Ho.” (Al-Muzzammil: 20)

✦ Aur Agar Kabhi Is Ki Bhi Taufeeq Muyassar Na Aaye To Is Se Hargiz Mahroom Na Rahen: “Quran Ko Kaan Laga Kar Suno Aur Khamosh Raho, Taa Ke Tum Par Rehmat Ho.” (Al-A’raf: 204)


✦...........► Kya Aap Waqeyi Zaheen Hain? ◄...........✦
✦.► Agar Han! To In Sawalon Ke Jawab Dijiye ◄.✦

1. Aap Waqt Kyun Zaye Karte Hain?
2. Kamon Ko Bila Uzr Kyun Taalte Hain?
3. Dusron Ko Apni Zaat Par Kyun Hawi Karte Hain?
4. Naya Kaam Karne Se Ghabrate Kyun Hain?
5. Wahmi Khatraat Se Pareshan Kyun Hote Hain?
6. Pehli Dafa Ki Nakami Ke Baad Himmat Kyun Haar Jate Hain?
7. Pehli Koshish Ke Baad Fori Natayej Ka Intezar Kyun Karte Hain?
8. Jo Mazi Wapas Nahin Aayega, Us Par Afsos Kyun Karte Hain?
9. Jo Mustaqbil (Yani:Aakhirat) Kabhi Khatam Nahin Hoga, Us Ki Kamyabi Ke Liye Aap Kya Karte Hain?


✦........► Raat Ko Aankh Khul Jaye To Kya Karen? ◄........✦

The Prophet (ﷺ) "Whoever gets up at night and says: --

'La ilaha il-lallah Wahdahu la Sharika lahu Lahu-lmulk, waLahu-l-hamd wahuwa 'ala kullishai'in Qadir. Al hamdu lil-lahi wa subhanal-lahi wa la-ilaha il-lal-lah wa-l-lahu akbar wa la hawla Wala Quwata il-la-bil-lah.'

(None has the right to be worshipped but Allah. He is the Only One and has no partners . For Him is the Kingdom and all the praises are due for Him. He is Omnipotent. All the praises are for Allah. All the glories are for Allah. And none has the right to be worshipped but Allah, And Allah is Great And there is neither Might nor Power Except with Allah).

And then says: -- Allahumma, Ighfir li (O Allah! Forgive me). Or invokes (Allah), he will be responded to and if he performs ablution (and prays), his prayer will be accepted."

●═══════════════◄►══════════════●

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jis Shaks Ki Raat Ko Aankh Khul Gayi Aur Us Ne Ye Dua Padhi:

لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ، لَهُ الْمُلْكُ، وَلَهُ الْحَمْدُ، وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَىْءٍ قَدِيرٌ‏.‏ الْحَمْدُ لِلَّهِ، وَسُبْحَانَ اللَّهِ، وَلاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ، وَاللَّهُ أَكْبَرُ، وَلاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ‏.

(Tarjuma) “Allah Ke Siwa Koi Mabood Nahin, Woh Akela Hai, Us Ka Koi Shareek Nahin, Mulk Usi Ka Hai Aur Tamam Tareefen Bhi Usi Ke Liye Hain, Aur Woh Har Cheez Par Qadir Hai, Tamam Tareefen Allah Hi Ke Liye Hain, Allah Ki Zaat Paak Hai, Allah Ta’ala Ke Siwa Koi Mabood Nahin Aur Allah Sab Se Bada Hai, Allah Ki Madad Ke Baghair Na Kisi Ko Gunahon Se Bachne Ki Taqat Hai Aur Na Neki Karne Ki Himmat.”

Phir Is Ke Baad Us Ne Ye Dua Bhi Padhli: Allahumma, Ighfir li “Aye Allah! Meri Maghfirat Farma.” Ya Koi Bhi Dua Karli To Us Ki Dua Zaroor Qubool Hoti Hai, Phir Agar Us Ne Wuzu Kiya (Aur Namaz Padhi) To Namaz Bhi Qubool Ho Jati Hai.”

[Sahih Bukhari :: Vol. 2 :: Book 21 :: Hadith 253, 1154]


✦.....► Raat Ko Akele Safar Karna Munasib Nahin! ◄.....✦

The Prophet (ﷺ) said, "If the people knew what I know about traveling alone, then nobody would travel alone at night."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Agar Logon Ko Akele Safar (Ke Nuqsanat) Ka Itna Ilm Ho Jaye Jitna Mujhe Hai To Koi Sawaar Bhi Raat Mein Akela Safar Na Kare.”

[Sahih Bukhari :: Vol. 4 :: Book 52 :: Hadith 241, 2998]


“Be Aulad Jodon Ko Tana Na Diya Karen Kisi Mard Ya Aurat Ke Ekhtiyar Mein Khud Aulad Paida Karna Nahin, Ye Ekhtiyar Sirf Allah Subhanahu Wa Ta’ala Ke Paas Hai.”


✦....♥ Hadeese Nabwi ﷺ Par Aml Karte Hue Khareeda Hua Maal Tabdeel Ya Wapas Bhi Ho Sakta Hai ♥....✦

Narrated AbuHurayrah RadiyAllahu Anhu: The Prophet (ﷺ) said: "If anyone rescinds a sale with a Muslim, Allah will cancel his slip, on the Day of Resurrection."

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Kisi Musalman Ko Farokht Ki Gayi Cheez Bakhushi Wapas Lele To Allah Subhanahu Wa Ta’ala Us Ke Gunah Muaaf Farmaden Ge.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 23 :: Hadith 3453, 3460]


Khabardar! Aap Ki Chadar, Dupatta Ya Burqa Kisi Bade Hadse Ka Sabab Ban Sakta Hai Lehaza Motor Cycle Par Sawar Hone Se Pehle Apni Chadar Wagherah Acchi Tarah Samet Len!!!

Neez Hadsat Se Hifazat Aur Sawari Par Sawar Hone Ki Masnoon Duaon Ka Bhi Ehtemam Karen.


✦...♥ Chote Bacchon Ko Bosa Dena Rahmat o Shafqat Ki Alamat ♥..✦

'A'isha (Allah be pleased with her) reported that there came a few desert Arabs to Allah's Messenger (ﷺ) and said: Do you kiss your children? He said: Yes. Thereupon they said: By Allah but we do not kiss our children.

Thereupon Allah's Messenger (ﷺ) said: "Then what can I do if Allah has deprived you of mercy? Ibn Numair said: (We has deprived) your heart of mercy."

[Sahih Muslim :: Book 30 :: Hadith 5735, 2317, Musnad Ahmad :: Hadith 24291]

●═══════════════◄►══════════════●

Urdu Translation: Hazrat A'isha RadiyAllahu Anha Farmati Hain Ke RasoolAllah ﷺ Ki Khidmate Aqdas Mein Aik Dihati Hazir Hua Aur Us Ne Arz Kiya: Ya RasoolAllah! Kya Aap Bacchon Ko Bosa Dete Hain? Allah Ki Qasam! Ham To Bacchon Ko Bosa Nahin Dete.

Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Agar Allah Ne Tumhare Dil Se Rahmat o Shafqat Ka Maaddah Nikal Diya Hai To Main Kya Kar Sakta Hun."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 6 :: Hadith 6027, Musnad Ahmad :: Hadith 24291]


Irshade Khudawandi Hai: “Jinhen Koi Tijarat Ya Koi Khareed o Farokht Na Allah Ki Yaad Se Ghafil Karti Hai Na Namaz Qayem Karne Se…” (Surah An-Noor:37)


“Ham Jinhen Fauran Aik Aawaz Par Muyassar Rahte Hain, Unhen Kabhi Andazah Hi Nahin Hota Ke Intezar Ka Dukh Kya Hota Hai Aur Guzarte Waqt Ke Sath Woh Hamen Bewaquf Ka Khitab Dekar Khud Ko Haqiqat Pasand Kehlwa Kar Apne Raste Intehayi Bad Akhlaqi Se Alag Kar Lete Hain Na Hi Unhen Kisi Qism Ka Afsos Hota Hai Aur Na Hi Sharmindagi Ka Ehsas Hota Hai.”


✦.......♥ Tijarti Lain Dain Mein Barkat Ka Nuskha! ♥.......✦

Allah's Messenger (ﷺ) said, "The seller and the buyer have the right to keep or return goods as long as they have not parted or till they part; and if both the parties spoke the truth and described the defects and qualities (of the goods), then they would be blessed in their transaction, and if they told lies or hid something, then the blessings of their transaction would be lost."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “.....Khareedne Aur Bechne Walon Ne Agar 1) Sacchayi Se Kaam Liya Aur 2) Har Baat Saaf Saaf Khol Khol Kar Bayan Kardi To Un Ki Khareed o Farokht Mein Barkat Hoti Hai, Aur Agar Koi Baat Chupa Rakhi Ya Jhoot Kahi To Barkat Khatam Kardi Jati Hai.”

[Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Book 34 :: Hadith 293, 2079]


Gunah Ke Dauran Maut Ka Na Aana Aur Gunah Ke Baad Taubah Ki Taufeeq Ka Mil Jana, Allah Ta’ala Ka Azeem Ehsan Hai.

Dua Hai Ke Allah Subhanahu Wa Ta'ala Har Qism Ke Gunahon Se Bachne Ki Hamen Taufeeq Marhamat Farmaye. (Aameen)


✦.......♥ Khawateen Raaste Ke Kinare Par Chalen ♥.......✦

Once The Messenger of Allah (ﷺ) was coming out of the mosque, and men and women were mingled in the road, Seeing this Prophet (ﷺ) said to the women: "Draw back, for you must not walk in the middle of the road; keep to the sides of the road."

After Prophet (ﷺ) said this Then women were keeping so close to the wall that their garments were rubbing against it."

[Sunan Abu Dawood :: Book 42 :: Hadith 5252, 5272]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Masjid Se Bahar Tashreef La Rahe The Ke Raaste Mein (Rash Aur Be Tarbiyati Ki Wajah Se) Mard Aur Khawateen Ka Ikhtilat Sa Ho Gaya, Ye Dekh Kar Aap ﷺ Ne Khawateen Se Irshad Farmaya: "Aik Taraf Ho Jao! Raaste Ke Beech Mein Chalne Ka Tumhen Haq Nahin, Tumhen Raaste Ke Kinaron Par Chalna Chahiye." Is Farman Ke Baad Khawateen Diwaar Ke Sath Itna Chimat Kar Chalti Thin Ke Diwaar Ke Sath Lagne Ki Wajah Se Un Ka Libas Diwaar Ke Sath Atak Jata Tha.”

Is Farman Ke Baad Khawateen Diwaar Ke Sath Itna Chimat Kar Chalti Thin Ke Diwaar Ke Sath Lagne Ki Wajah Se Un Ka Libas Diwaar Ke Sath Atak Jata Tha.”

●◗► Khawateen Ke Liye Aise Tang Raston Aur Bazaron Mein Jana Jayez Nahin Jahan Mardon Ka Rash Ho Aur Jism Takrane Aur Ikhtilat (Mail Jol) Ka Andesha Ho, Agar Aisi Surate Haal Pesh Bhi Aajaye To Aurat Khud Rash Se Piche Hate Aur Kisi Mahfzooz Kinare Mein Panah Le.


✦........► Is Ki To Niyyat Hi Kharab Hai! ◄........✦
✦.....♥ Kisi Ki Niyyat Par Shak Na Karen! ♥.....✦

Allah's Messenger (ﷺ) said: "I have not been ordered (by Allah) to search the hearts of the people…."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Mujhe Is Baat Ka Hukum Nahin Diya Gaya Ke Main Logon Ke Dilon Ki Khoj Lagaun…”

[Sahih Bukhari :: Vol. 5 :: Book 59 :: Hadith 638, 4351]


✦.....► Na Mahram Khawateen Se Hath Milana ◄.....✦

it was narrated that Umaimah bint Ruqaiqah RadiyAllahu Anha said: "I came to the Prophet (ﷺ) with some other Ansari women to give our pledge. We said: 'O Messenger of Allah, we give you our pledge. Give us your hand for pledge O Messenger of Allah! The Messenger of Allah (ﷺ) said: 'I do not shake hands with women'.”

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ke Paas Ansari Khawateen Deene Islam Par Bay’at Ke Liye Hazir Huyen Aur Darkhuast Ki Ke Aap ﷺ Apna Daste Mubarak Aage Farmayen Taa Ke Ham Bhi (Mardon Ki Tarah) Bay’at Karlen, Is Par RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Main Aourton se Hath Nahin Milata.”

[Sunan an-Nasa'i :: Vol. 5 :: Book 39 :: Hadith 4186, 4181]


✦....🙁 Aurton Ko Ranj o Sadma Pohnchana 🙁....✦
✦............► Allah Ko Sakht Na Pasand ◄............✦

● Allah Subhanahu Wa Ta'ala Ne Hazrat Musa (Alaihis Salam) Ki Walidah Se Mutalliq Irshad Farmaya “Ham Ne Musa (Alaihis Salam) Ko Un Ki Maa Ke Paas Lota Diya, Taa Ke Un Ki Aankh Thandi Hon Aur Woh Ghamgeen Na Hon.” (Surah Al-Qasas:13)

● Allah Subhanahu Wa Ta'ala Ne Azwaje Mutahrat Se Mutalliq Irshad Farmaya: “Is baat Ki Zyadah Toqi Hai Ke In Sab Ki Aankhe Thandi Rahengi, Aur Woh Ghamgeen Nahin Hongen.” (Surah Al-Ahzab:51)

● Allah Subhanahu Wa Ta'ala ne Hazrat Maryam (Alaihis Salam) Se Mutalliq Irshad Farmaya: “Farishte Ne Niche Ki Janib Se Un Ko Aawazdi: Ke Gham Na Karo.” (Surah Al-Maryam:24)

● Allah Subhanahu Wa Ta'ala Ne Hazrat Musa (Alaihis Salam) Ki Walidah Se Mutalliq Irshad Farmaya: “Aur Darna Nahin Aur Ghamgeen Na Hona.” (Surah Al-Qasas:7)

●◗► Darje Baala Aayate Qur’aniya Se Pata Chala Ke Aurat Ko Ranj Aur Sadme Ki Halat Mein Dekhna Allah Ko Pasand Nahin, Lehaza Apne Kisi Qaul o Fail Se Apne Walidah Ka Dil Na Dukhayen, Apni Bahno Ko Afsurdah Na Karen, Apni Biwi Ko Ranj o Sadma Na Pohnchayen Aur Apni Betiyon Ko Ghamgin Na Rakhen.


YAUME ASHURA: Nabi Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Main Allah Subhanahu Wa Ta'ala Se Ummid Rakhta Hun Ke Woh Yaume Ashura (10 Muharram Al-Haram) Ke Roze Ko Guzishta Saal Ke Gunahon Ka Kaffarah Bana Dega.” (Sahih Muslim: 1162)


✦........♥ 10 Muharram Al-Haram Ke 3 Ahem Kaam! ♥........✦

❶ Tauba o Astaghfar Ka Ehtemam: Nabi Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Muharram, Allah Ka Mahina Hai, Is Mein Aik Din (10 Muharram) Aisa Hai Jis Mein Allah Ne Aik Qaum (Bani Israil) Ki Tauba Qubool Farmayi Thi Aur Is Din Allah Ta’ala Dusri Qaumon Ki Bhi Tauba Qubool Farmayega.” (Jami` at-Tirmidhi: 741)

❷ Rozah Rakhna: Nabi Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Main Allah Subhanahu Wa Ta'ala Se Ummid Rakhta Hun Ke Woh Yaume Ashura (10 Muharram Al-Haram) Ke Roze Ko Guzishta Saal Ke Gunahon Ka Kaffarah Bana Dega.” (Sahih Muslim: 1162)

❸ Ahl o Ayal Pe Faraakhdili Se Kharch Karna: Nabi Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Ashura (10 Muharram) Ke Din Apne Ahl o Ayal Par Farakhi Se Kharch Karega, Allah Subhanahu Wa Ta'ala Us Ke Rizq Mein Saal Bhar Kushadgi Ata Farmayega.” (Al-Mu'jam Al-Kabeer Al-Tabarani: 10007)


✦....► Mayyat Ki Aankhen Band Karte Waqt Masnoon Dua! ◄....✦

The Messenger of Allah (may peace be upon came to Abu Salama (as he died). His eyes were fixedly open. He closed them, and then said:

‏"‏ اللَّهُمَّ اغْفِرْ لأَبِي سَلَمَةَ وَارْفَعْ دَرَجَتَهُ فِي الْمَهْدِيِّينَ وَاخْلُفْهُ فِي عَقِبِهِ فِي الْغَابِرِينَ وَاغْفِرْ لَنَا وَلَهُ يَا رَبَّ الْعَالَمِينَ وَافْسَحْ لَهُ فِي قَبْرِهِ ‏.‏ وَنَوِّرْ لَهُ فِيهِ ‏"‏

"O Allah, forgive Abu Salama, raise his degree among those who are rightly guided, grant him a successor in his descendants who remain. Forgive us and him, O Lord of the Universe, and make his grave spacious, and grant him light in it."

Note : The Dua mentioned above instead of Abu Salama's name take the name of person who is dying.

●═══════════════◄►══════════════●

RasoolAllah ﷺ Hazrat Abu Salama RadiyAllahu Anhu Ki Iyadat Ke Liye Tashreef Laye, Us Waqt Un Ki Aankhen Upar Ko Chadh Chuki Thin (Yani Un Ki Rooh Parwaz Kar Chuki Thi) Aap ﷺ Ne Un Ki Aankhen Band Farmadin…Phir Aap ﷺ Ne Ye Dua Padhi:

‏"‏ اللَّهُمَّ اغْفِرْ لأَبِي سَلَمَةَ وَارْفَعْ دَرَجَتَهُ فِي الْمَهْدِيِّينَ وَاخْلُفْهُ فِي عَقِبِهِ فِي الْغَابِرِينَ وَاغْفِرْ لَنَا وَلَهُ يَا رَبَّ الْعَالَمِينَ وَافْسَحْ لَهُ فِي قَبْرِهِ ‏.‏ وَنَوِّرْ لَهُ فِيهِ ‏"‏

“Aye Allah! Abu Salama Ki Maghfirat Farma Dijiye Aur Hidayat Yafta Afrad (Ahle Jannat) Mein In Ka Darja Buland Farma Dijiye Aur Aap In Ki Ghair Maujoodgi Mein In Ke Pus Mandgan Ke Qayem Muqam Ho Jayye, Aye Rabbul Alameen! Hamari Aur In Ki Maghifat Farma Dijiye Aur In Ki Qabr Ko In Ke Liye Kushadah Aur Roshan Farma Dijiye.”

Note: Mazkurah Bala Dua Mein Abu Salama Ke Jaga Us Mayyat Ka Naam Liya Jaye Jis Ki Aankhen Band Ki Ja Rahi Hon.

[Sahih Bukhari :: Book 4 :: Hadith 2003, 920]


✦......► Yaume Ashura Firaun Se Najat Ka Din ◄......✦

The Prophet (ﷺ) came to Medina and saw the Jews fasting on the day of Ashura. He asked them about that. They replied, "This is a good day, the day on which Allah rescued Bani Israel from their enemy. So, Moses fasted this day." The Prophet (ﷺ) said, "We have more claim over Moses than you." So, the Prophet fasted on that day and ordered (the Muslims) to fast (on that day).

Urdu Translation: Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Anhuma Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Jab Madinah Munawwarah Tashreef Laye To Aap ﷺ Ne Yahudiyon Ko Dekha Ke Wo Ashura (10 Muharram) Ka Rozah Rakhte Hain, Aap ﷺ Ne Un se Is Ka Sabab Daryaft Farmaya To Unhon Ne Bataya: “Ye Aik Ba Barkat Din Hai, Is Din Allah Ta’ala Ne Bani Israel Ko Un Ke Dushman (Firaun) Se Najat Dilayi Thi, Is Liye Musa Alaihis Salam Ne Is Din Rozah Rakha Tha.” Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Ham Musa Alaihis Salam Ke (Is Aml Ko Ekhtiyar Karne Mein) Tum Se Zyadah Haqdar Hain, Chunanche Aap ﷺ Ne Is Din Rozah Rakha Aur Sahaba RadiyAllahu Anhum Ko Bhi Is Ka Hukum Diya.”

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 3 :: Book 31 :: Hadith 222, 2004]


✦..........♥ Ashurah 10 Muharram ka Rozah ♥..........✦

The Prophet (ﷺ) said: "Fast the Day of Ashura, for indeed I anticipate that Allah will forgive (the sins of) the year before it."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Mujhe Allah Subhanahu Wa Ta'ala Ki Zaat Par Yaqeen Hai Ke Woh Ashura (10 Muharram ul-Haram) Ke Roze Ke Badle Guzishta Aik Saal Ke Gunah Muaaf Farmaden Ge."

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Book 3 :: Hadith 752]


✦.......♥ 9 aur 10 Muharramul Haram Ka Rozah ♥.......✦

Jab RasoolAllah ﷺ ne Yaume Ashura ka Rozah Rakha Aur Musalmanon Ko Bhi Is Ka Hukum Diya To Sahaba Ne Arz Kiya Ke Ya RasoolAllah! Yahood o Nasara Bhi Is Din Ki Bahot Tazeem Karte Hain, Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya: Jab Agla Saal Aayega To Ham (Yahood o Nasara Ki Mushabihat Se Bachne Ke Liye) In'sha'Allah Nawe (9) Tareekh Ka Rozah Bhi Rakhenge, Hazrat Ibn Abbas Farmate Hain Ke Agla Saal Aane Se Pehle Hi RasoolAllah ﷺ Dunya Se Tashreef Le Gaye. [Sahih Muslim: 1134]

●◗► Note: Yaume Ashura Ke Roze Ke Sath 9 Ya 11 Tareekh Ka Rozah Rakhna Afzal Aur Behtar Hai, Lekin Agr Kisi Ne Sirf Ashura Ka Rozah Rakha To Bhi Harj Ki Baat Nahin, Neez Hadise Baala Se Ye Bhi Pata Chala Ke Musalmano Ko Har Moqe Par Yahood o Nasara Ki Mushabihat Se Bachna Chahiye.

●════════════════◄►═══════════════●

Ibn 'Abbas RadiyAllahu Anhu reported that when the Messenger of Allah (ﷺ) fasted on the day of 'Ashura and commanded that it should he observed as a fast, they (his Companions) said to him: Messenger of Allah, it is a day which the Jews and Christians hold in high esteem. Thereupon the Messenger of Allah (ﷺ) said: When the next year comes, God willing, we would observe fast on the 9th But the Messenger of Allah (ﷺ) died before the advent of the next year."

[Sahih Muslim :: Book 6 :: Hadith 2528, 1134]


✦.....► Jange Aazadi Mein Ulama Karam Ki Qurbaniyan ◄.....✦

1857 Delhi Ke Chandni Chowk Se Peshawar Tak Darakhton Par Ulama Ki Gardane Aur Jism Latke Hue Milte The, Rozana 80 Ulama Phansi Par Latkaye Jate The, Main Delhi Ke Aik Khaime Mein Baitha Tha, Mujhe Gosht Ke Jalne Ki Bu Aayi, Main Ne Khaime Ke Piche Jakar Dekha To Kya Dekhta Hun Ke Aag Ke Angaron Par Tees Chalees Ulama Ko Nanga Kar Ke Dala Ja Raha Hai, Phir Dusre 40 Isi Tarah Laye Gaye Unhen Nanga Kiya Gaya, Aik Angrez Ne Un Se Kaha Agar Tum Inquilab 1857 Mein Shirkat Se Inkar Kardo To Tumhen Chhod Diya Jayega, Tamson Kehta Hai “Khuda Ki Qasam Sare Ulama Jal Kar Mar Gaye Magar Kisi Aik Ne Bhi Angrez Ke Samne Gardan Nahin Jhukayi.”

(1857 Ki Kahani Angrez Tamson Ki Zubani: Makhuz Mahnama Darul Uloom Deoband Shumarah 1 Jild 97)

●◗► Ye Jo Barre Saghir Ki Angrez Se Aazadi Hai Is Ke Piche Ulama Ke Khoon Ki Waadi Hai.


✦............♥ Watne Azeez INDIA se Mohabbat! ♥............✦

●◗► Insan Jis Khitte, Mulk, Shaher Ya Ilaqe Mein Rehta Hai Us Jage Se Unsiyat, Qalbi Lagao Aur Mohabbat o Ulfat Ka Paida Ho Jana Aik Fitri Cheez Hai, Diyanat Aur Amanat Ka Taqaza Bhi Yahi Hai Ke Insan Jahan Rahe Wahan Ki Khair Khuahi, Taraqqi Aur Falah o Bahbood Ki Koshishon Mein Laga Rahe.

✿ RasoolAllah (ﷺ) Jab Makkah Mukarramah Se Hijrat Farma Kar Nikle To Sawari Par Sawar Ho Kar Baar Baar Piche Mud Kar Dekhte Aur Farmate: "(Aye Makkah!) Allah Ki Qasam Tu Allah Ta’ala Ki Behtareen Aur Mahboob Tareen Zameen Hai, Agar Mujhe Yaha Se Na Nikala Jata To Main Tujhe Chhor Kar Na Jata." (Sunan Ibn Majah: 3108)

✿ Baad Aza Jab RasoolAllah (ﷺ) Hijrat Farma Kar Madinah Tayyabah Pohnche Aur Madinah Munawwarah Ko Apna Mustaqil Watan Bana Liya To Ye Dua Mangi: "Aye Allah! Jis Tarah Makkah Mukarramah Ki Mohabbat Tu Ne Hamen Ata Ki Thi Isi Tarah Madinah Munawwarah Ki Mohabbat Bhi Hamen Ata Farma, Ya Us Se Bhi Zyadah Hamen Madinah Ki Mohabbat Ata Farma, Aur Yahan Ki Aab o Hawa Sahet Baksh Banade Aur Hamare Sa’a Aur Mud (Ghalla Naapne Ke 2 Paimane) Mein Barkat Ata Farma Aur Madinah Ke Wabayi Bukhar Ko Juhfa (Naami Muqam) Mein Muntaqil Karde." (Sahih Muslim: 1376)

Apne Mulk Aur Watan Se Mohabbat Karen Aur Apni Zaat Se Mulk o Watan ko Faidah Pohnchane Ki Koshish Karen

●══════════════════◄►═════════════════●

Abu Salamah bin ‘Abdur-Rahman bin ‘Awf narrated that ‘Abdullah bin ‘Adiy bin Hamra’ said to him: “I saw the Messenger of Allah (ﷺ) , when he was on his she-camel, standing in Al-Hazwarah* saying: ‘By Allah, you are the best land of Allah, and the dearest of the land of Allah to me. By Allah, had I not been expelled from you I would never have left.’” *A place in Makkah."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 4 :: Book 25 :: Hadith 3108]

'A'isha (Allah be pleased with her) reported: When we came to Medina, and it was an unhealthy, uncogenial place, Abu Bakr fell sick and Bilal also fell sick; and when Allah's Messenger (ﷺ) saw the illness of his Companions he said: O Allah, make Medina as congenial to us as you made Mecca congenial or more than that; make it conducive to health, and bleesus in its sa' and in its mudd, and transfer its fever to al-juhfa."

[Sahih Muslim :: Book 7 :: Hadith 3178, 1376]


●◗► Jab Har Tarah Ki Roshniyan Khatam Ho Jayen To Yaad Rakhiye Ke Aik Aisi Roshni Aur Charagh Zaroor Maujood Hai Jo Maut Tak Nahin Bujhega Aur Woh Hai Taubah Ka Charagh…!!!


✦....✔ Muharram ul Haram Aur Ashurah Ke Hawale Se ✔....✦
✦...✿.....✔ Sangeen Ghalat Fehmi Ka Izalah ✔.....✿…✦

●◗► Waqiah KARBALA Islami Tareekh Ka Ahem Tareen Saneha Hai Jis Mein Nawasay Rasool, Jigar Goshay Butool, Naujawanane Jannat Ke Sardar Sayyidna Hazrat Husain RadiyAllahu Anhu Ki Mazlumana Shahadat Hui, Chunke Ye Waqia 10 Muharram ul-Haram Yaume Ashura Ke Din Wuqu Pazeer Hua Tha Is Liye Log Is Ghalat Fehmi Mein Mubtela Ho Gaye Ke Maahe Muharram ul-Haram Yaume Ashura Sirf Isi Liye Muqaddas o Ba Barkat Hai Ke Is Mein Waqia KARBALA Pesh Aaya. Haqiqat Ye Hai Ke KARBALA Ka Dil Kharash Saneha To San 61/Hijri Mein Pesh Aaya Jab Ke…!!

✔ Maahe Muharram ul-Haram Kainaat Ki Takhleeq Ke Din Se Sabeqa Shari’aton Mein Muqaddas o Ba Barkat Chala Aaraha Hai. (Al-Quran, Surah At-Tawbah:36)

✔ Ashura (10 Muharram) Ke Din Hi Hazrat Musa Alaihis Salam Aur Bani’Israel Ka Firaun Aur Us Ke Lashkar Se Muqabla Hua Tha Aur Allah Ne Firaun Ko Gharq Aur Bani Israel Ko Najat Ata Farmayi, Jis Ki Wajah Se Yaume Ashura Musa Alaihis Salam Ki Shari’at Mein Aur Yahudiyon Ke Nazdeek Bhi Muqaddas o Ba’barkat Tahra. (Sahih Bukhari:2004)

✔ Ibteda Islam Mein Jab Tak Ramadan Ke Roze Farz Nahin Hue The, Ashura Ka Rozah Rakhna Musalmanon Par Farz Qarar Diya Gaya Tha. (Sahih Bukhari, Muslim)

✔ Huzoor ﷺ Ke Ahde Mubarak Mein Bhi Ashura Muqaddas Samjha Jata Tha. (Ahadeese Sahiha)

✔ Huzoore Aqdas ﷺNe Yaume Ashura Ke Roze Ko Sunnat Aur Guzishta Saal Ke Gunahon Ki Maghfirat Ka Zariya Qarar Diya. (Sahih Muslim)

•••••► Lehaza! Muharram ul-Haram Aur Ashura Ki Fazeelat Ko Sirf Waqia KARBALA Se Jodna, Ise Sog Ka Mahina Samajhna, Is Mein Siyah (Black) Libas Pahenna Aur Shadi Biyah o Digar Khushi Ki Taqribat Se Bachna Durust Nahin, Ashura Ka Din Waqia Karbala Ki Wajah Se Muqaddas Nahin Balke Ye Syyidna Hazrat Husain (RadiyAllahu Anhu) Aur Un Ke Sathiyon Ke Liye Sharf o Fazilat Ka Moqam Hai Ke Allah Ne Un Pakizah Nufoos Ko Aise Din Shahadat Ka Martaba Ata Farmaya Jo Roze Awwal Se Muqaddas o Mohtaram Chala Aaraha Hai.


► Maut Ki Tayyari Ka Moqa Hath Se Nikla Ja Raha Hai! ◄

Allah's Messenger (ﷺ) said: "The hour shall not be established until time is constricted, and the year is like a month, a month is like the week, and the week is like the day, and the day is like the hour, and the hour is like the flare of the fire."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Qayamat Us Waqt Tak Qayem Nahin Hogi Jab Tak Zamana Aapas Mein Bahot Qareeb Na Ho Jaye (Yani Shab o Roz Ki Gardish Bahot Taiz Na Ho Jaye), Chunanche Saal Mahine Ke Barabar, Mahina Hafte Ke Barabar, Hafta Dinon ke Barabar Aur Din Ghante Ke Barabar Ho Jayega, Aur Ghante Ka Dauraniya Bus Itna Hi Reh Jayega Ke Jitni Dair Mein Aag Ka Sho’la Aikdum Bhadak Kar Bujh Jata Hai."

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 10 :: Hadith 2332]

✦...........♥ Naye Islami Saal Ki Dua! ♥...........✦

Abdullah Bin Hisham RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke Sahaba Karam RadiyAllahu Anhum Ajmayeen Naye Saal Ya Maheene Ki Aamad Pe Ye Dua Sikhate The:

اللَّهُمَّ أَدْخِلْهُ عَلَيْنَا بِالأَمْنِ ، وَالإِيمَانِ ، وَالسَّلامَةِ ، وَالإِسْلامِ ، وَرِضْوَانٍ مِنَ الرَّحْمَنِ ، وَجَوَازٍ مِنَ الشَّيْطَانِ

“Aye Allah! Amn, Iman, Salamati, Islam, Rahman Ki Raza Mandi Aur Shaitan Se Bachao Ke Sath Is Saal / Maheena Ko Ham Pe Dakhil Farma.” (Aameen)

[Al-Mu’jamul Awsat Al-Tabarani :: 6241]

●═══════════════◄►═══════════════●

Narrated by Abdullah ibn Hisham RadiyAllahu Anhu, when there is new year or new month would begin , the Sahaba (companion) of the RasoolAllah ﷺ would learn the following dua:

اللَّهُمَّ أَدْخِلْهُ عَلَيْنَا بِالأَمْنِ ، وَالإِيمَانِ ، وَالسَّلامَةِ ، وَالإِسْلامِ ، وَرِضْوَانٍ مِنَ الرَّحْمَنِ ، وَجَوَازٍ مِنَ الشَّيْطَانِ

Allahumma Adkhilhu Alaina bil Amni wal iman, Was salamati wal islam, Wa ridwanim minar Rahman, wa Jawazim minash shaitan

O Allah, bring this (month or year) upon us with security and iman, and with safety and Islam, and with the pleasure of Rahman and Protection from shaitan.

[Al Muajam Al Awsat At-Tabrani :: 6410]


✦.....♥ Dawa Aur Allah Ke Hukum Se Shifa! ♥.....✦

The Prophet (ﷺ) said: “There is a medicine for every disease, and when the medicine is applied to the disease it is cured by God’s permission.”

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Har Bimari Ki Aik Dawa Hai Jab Woh Dawa Pahonchti Hai To Allah Ke Hukum Se Shifa Ho Jati Hai.”

[Sahih Muslim :: Book 39 :: Hadith 95, 2204]

✦..........♥ “Bhai” Jaisa Koi Nahin! ♥..........✦

(Allah Allah Subhanahu Wa Ta’ala ne Hazrat Musa Alaihis Salam Se Farmaya): “Ham Tumhare Bhai Ke Zariye Tumhare Hath Mazboot Kiye Dete Hain.” (Surah Al-Qasas: 35)

●◗► Lehaza Har Us Shaks Se Door Rahen Jo Aap Aur Aap Ke Bhai Ke Darmiyan Ghalat Fahmiyan Paida Kar Ke Talluqat Ko Theis Pohnchaye.