Pages

Monday, 5 June 2023

✦.........► Aakhir Hamare Paas Waqt Kyun Nahin? ◄.........✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: "Indeed Allah, Most High said: 'O son of Adam! Devote yourself to My worship, I will fill your chest with riches and alleviate your poverty. And if you do not do so, then I will fill your hands with problems and not alleviate your poverty.'"

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: Irshade Bari Ta’ala Hai: “Aye Adam Ke Bete! Meri Ibadat Ke Liye Waqt Nikal Le, Main Tera Sina Ghina Se Bhar Dunga Aur Tujhe Logon Se Be Niyaz Kardunga, Aur Agar Tu Ne Aisa Na Kiya To Main Tere Hath Bekar Kamon Mein Uljha Dunga Aur Teri Mohtaji Kabhi Khatam Na Karun Ga.”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 11 :: Hadith 2466, 2466]


✦ Ehsas Khatam Ho Jaye To Bade Gunah Bhi Mamuli Lagte Hain! ✦

Anas RadiyAllahu Anhu said "You people do (bad) deeds (commit sins) which seem in your eyes as tiny (minute) than hair while we used to consider those (very deeds) during the life-time of the Prophet (ﷺ) as destructive sins."

Urdu Translation: Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu Farmate Hain: “Tum Aise Aise Aml Karte Ho Jo Tumhari Nazar Mein Baal Se Zyadah Bareek Hain (Tum Use Halka Samajhte Ho, Bada Gunah Nahin Samajhte) Halan Ke Ham Log Aan Hazrat g Ke Zamane Mein In Kamon Ko Halaak Kar Dene Wala Samajhte The.”

[Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 76 :: Hadith 499, 6492]


✦..........♥ “Bhai” Jaisa Koi Nahin! ♥..........✦

(Allah Allah Subhanahu Wa Ta’ala ne Hazrat Musa Alaihis Salam Se Farmaya): “Ham Tumhare Bhai Ke Zariye Tumhare Hath Mazboot Kiye Dete Hain.” (Surah Al-Qasas: 35)

●◗► Lehaza Har Us Shaks Se Door Rahen Jo Aap Aur Aap Ke Bhai Ke Darmiyan Ghalat Fahmiyan Paida Kar Ke Talluqat Ko Theis Pohnchaye.


● Agar Aurton Ko Lagta Hai Ke Hamare Muashre Ke Mard Bure Hain To Unhen Chahiye Ke Batore Maa Apne Beton Ki Acchi Tarbiyat Karen!!!

● Agar Mardon Ko Lagta Hai Ke Hamare Muashre Ki Aurten Buri Hain To Unhen Chahiye Ke Batore Baap Apni Betiyon Ki Acchi Tarbiyat Karen!!!


✦......► Bacchon Ke Rawayyon Par Waldain Ke Asrat! ◄......✦

● Agar Aap Ka Baccha Zyadah Tang Karta Hai To Is Ka Matlab Ye Hai Ke Aap Use Apne Qareeb Nahin Karte Aur Us Se Pyar Nahin Karte.
● Agar Aap Ka Baccha Hamesha Ghusse Mein Rehta Hai To Is Ka Matlab Ye Hai Ke Aap Us Ke Acche Kamon Ki Tareef Nahin Karte.
● Agar Aap Ka Baccha Tanhayi Pasand Hai To Is Ka Matlab Ye Ke Aap Bahot Zyadah Mashghool Rehte Hain.
● Agar Aap Ke Bacche Mein Khud Etemadi Ki Kami Hai To Is Ka Matlab Ye Hai Ke Aap Us Ki Hosla Afzayi Nahin Karte.
● Agar Aap Ka Baccha Jismani Tor Par Kamzor Hai To Is Ka Matlab Ye Hai Ke Aap Hamesha Use Daraye Rakhte Hain.
● Agar Aap Ka Baccha Ziddi Hai To Is Ka Matlab Ye Hai Ke Aap Sakht Mizaj Hain.
● Agar Aap Ka Baccha Chori Karta Hai To Is Ka Matlab Ye Hai Ke Aap Use Kharch Karna Aur Hadya Dena Nahin Sikhate.
● Agar Aap Ka Baccha Dusron Ka Ehteram Nahin Karta To Is Ka Matlab Ye Hai Ke Aap Us Ke Sath Past Aawaz Mein Baat Nahin Karte.
● Agar Aap Ka Baccha Kanjoos Hai To Is Ka Matlab Ye Hai Ke Aap Kharch Karne Mein Use Apne Sath Shareek Nahin Karte.
● Agar Aap Ka Baccha Jhoot Bolta Hai To Is Ka Matlab Ye Hai Ke Aap Baat Baat Par Uski Sakht Pakad Dhakad Shuru Kar Dete Hain. (Makhuz Az Arbi Hikayat)


Irshade Bari Ta’ala Hai: “Aur Ye Kehte Raha Karen: Parwardigar! Mere Ilm Mein Izafa Farma.” (Al-Quran, Surah Taha, Aayat:114)


✦ Sakht Garmi Mein Janwaron Aur Parindon Ko Bhi Pani Pilayen! ✦

It was narrated that Suraqah bin Ju'shum RadiyAllahu Anhu said: "I asked the Messenger of Allah (ﷺ) about a lost camel that comes to my cisterns that I have prepared for my own camels - will I be rewarded if I give it some water to drink? He (ﷺ) said: Yes, in every living being there is reward.'"

Urdu Translation: Suraqah bin Ju'shum RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke Main Ne Nabi Kareem ﷺ Se Daryaft Kiya Ke Agar Koi Lawaris Oont Mere Un Hauzon Par Aaye Jin Ka Pani Main Ne Apne Oonton Ke Liye Jama Kiya Hua Hai Aur Phir Main Us Lawaris Oont Ko Pani Pilaun To Kya Is Par Bhi Mere Liye Ajr o Sawab Hai?

Nabi Kareem ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Har Garmi Ki Shiddat Mahsoos Karne Wale Jigar (Yani Har Jandar) Ko Pani Pilane Mein Ajr o Sawab Hai.”

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 5 :: Book 33 :: Hadith 3686, 3686)]


RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jis Ne Jumah Ke Din Ghusul Kiya To Woh Agle Jumah Tak (Gunah o Masiyat Ki Gandagi Se) Paak Ho Gaya.” (Sahih Ibn Hibban: 1222, Hasan Al-Albani)


Dua Karen Un Tamaam Bahen Betiyon Ke Liye Jo Kafi Umr Hone Ke Bawajood Waldain Ke Gharon Mein Baithi Hain.

Allah Subhanahu Wa Ta'ala Un Ke Ghar Aabad Kare Aur Un Ke Naseeb Acche Kare. (Aameen)


✦.....► Burayi Ko Na Rokne Wala Bhi Sharike Jurm Hai! ◄.....✦

The Messenger of Allah (ﷺ) say: “If acts of disobedience are done among any people and do not change them though the are able to do so, Allah will soon punish them all.”

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jis Qaum Mein Gunah Ke Kaam Kiye Jate Hon Aur Us Qaum Ke Log Un Gunahon Ko Rokne Par Qadir Bhi Hon, Lekin Is Ke Bawajood Bhi Woh (Allah Ki Nafarmaniyon Ko) Na Roken To Qareeb Hai Ke Allah Jalla Shanahu Un Sab Ko Azab Mein Giraftar Karle.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 38 :: Hadith 4324, 4338]


✦......♥ Hajj o Umrah Par Jane Wale Allah Ke Mehman! ♥......✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: "The pilgrims performing Hajj and ‘Umrah are a delegation to Allah. If they call upon Him, He will answer them; and if they ask for His forgiveness, He will forgive them."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Hajj Aur Umrah Par Jane Wale Allah Subhanahu Wa Ta'ala Ke Mehman Hain, Agar Ye Dua Mangen To Allah Ta’ala Un Ki Dua Qubool Farmate Hain Aur Agar Ye Log Maghfirat Ke Talabgaar Hon To Allah Ta’ala Un Ki Maghfirat Farmadete Hain.”

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 25 :: Hadith 2892]


✦.........♥ Maahe Shawwal Ke 6 Roze ♥.........✦

Allah's Messenger (ﷺ) as saying: “He who observed the fast of Ramadan and then followed it with six (fasts) of Shawwal. it would be as if he fasted perpetually.”

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jis Ne Ramadan Al-Mubarak Ke Roze Rakhe Aur Is Ke Baad Mahe Shawwal Mein Che (6) Roze Rakhe To Use Saal Bhar Ke Rozon Ka Sawab Mile Ga.”

[Sahih Muslim :: Book 6 :: Hadith 2614, 1164]


✦ Mahe Ramadan Mein Be Loos Khidmat Karne Par ✦
✦........♥ Ghar Ki Khawateen Ka Shukriya! ♥........✦

✿ Har Us Waldah Ka, Har Us Biwi Ka, Har Us Bahen Ka Aur Har Us Beti Ka Dil Ki Gehraiyyon Se Shukriya, Jo Sehri o Iftari Ke Auqat Mein Pure Gharane Ki Khidmat Kar Rahi Hain.

●◗► Yaqinan in Sab Khawateen Ko Sehri o Iftari Ke Auqat Mein Khasi Mushkilat Ka Samna Karna Pad Raha Hai, Lekin Ye Isteqamat Ke Sath Apni Khidmaat Sar Anjam Dene Mein Masroof Reh Kar Allah Ke Khazanon Se Azeem ul-Shan Ajr o Sawab Hasil Karti Rahen, Allah Rabbul izzat in Tamam Khawateen Ko Barkaton Aur Khushiyon Se Nawaze Aur in Ki Kamil Maghfirat Farmade. (Aameen)


•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•
Abuzar Ki Janib Se Tamam Chahne Walon ko Eid Mubarak
•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•

●◗► Allah Subhanahu Wa Ta'ala Ham Sab Ke Rozon, Taraweeh, Zikr o Tilawat Aur Tamam Ibadaat Ko Apni Bargaah Mein Qubool Farma Kar Hamen Baar Baar Ramadan Al-Mubarak Ki Bahaaren Aur Eid Ki Sacchi Khushiyan Naseeb Farmaye. (Aameen).


✦......✿.....♥ Eid Ul-Fitr ki Sunnaten ♥.....✿......✦

❶ Subah Sawere (Namaze Fajr Se Qabl) Bedar Hona.
❷ Miswak Karna.
❸ Gusul Karna.
❹ Shariat Ke Hudud Mein Rehte Hue Zaib o Zeenat Ekhtiyar Karna.
❺ Khushbo Lagana.
❻ Eid Gaah Jane Se Pehle Koi Meethi Cheez Maslan Khajur Wagherah Khana.
❼ Jald az Jald Eid Gaah Pahonchna, Paidal Jana Aur Wapsi Par Dusra Rasta Ekhtiyar Karna.
❽ Agar Sadaqah Fitr Ada Na kiya Ho To Eid Gaah Jane Se Pehle Ada Karna.
❾ Eid Ki Namaz, Eid Gaah Mein Padhna.
➓ Raste Mein
اللہ اکبر اللہ اکبر لا الہ الا اللہ واللہ اکبر اللہ اکبر وللہ الحمد
"Allahu Akbar Allahu Akbar La ilaaha illallahu Wallahu Akbar, Allahu Akbar Walillahil Hamd!" Aahista Aawaz Mein Padhna.


✦............► Shabe Qadr Ki Ta'yeen Uthali Gayi!◄............✦

Narrated 'Ubada bin As-Samit RadiyAllahu Anhu: "Allah's Messenger (ﷺ) went out to inform the people about the (date of the) night of decree (Al-Qadr) but there happened a quarrel between two Muslim men.

The Prophet (ﷺ) said, "I came out to inform you about (the date of) the night of Al-Qadr, but as so and so and so and so quarrelled, its knowledge was taken away (I forgot it) and maybe it was better for you. Now look for it in the 7th, the 9th and the 5th (of the last 10 nights of the month of Ramadan)."

[Sahih Bukhari :: Vol. 1 :: Book 2 :: Hadith 47, 49]

Urdu Translation: Hazrat Ubadah bin As-Samit RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke RasoolAllah ﷺ (Hamen) Shabe Qadr Ki Khabar Dene Ke Liye Tashreef La Rahe The Ke Do Musalman Aapas Mein Kuch Jhagda Karne Lage To Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya:

“Main Tumhen Shabe Qadr Batane Ke Liye Nikla Tha, Lekin Fulan Aur Fulan Ne Aapas Mein Jhagda Kar Liya To Is Ki Wajah Se (Shabe Qadr) Ka Ilm Wapas Utha Liya Gaya Aur Ummid Yahi Hai Ke Tumhare Haq Mein Yahi Behtar Hoga, Lehaza Ab Tum Ise (Ramadan Ki) 25vin, 27vin Aur 29vin Raat Mein Talash Karo.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 1 :: Hadith 49]

●◗► Is Hadees Se Pata Chala Ke Aapas Ka Jhagda Is Qadar Bura Aml Hai Ke Is Ki Wajah Se Allah Ne Apne Habeeb ﷺ Ke Qalbe Athar Se Shabe Qadr Ki Ta’yeen Uthali, Agarche Baaz Wujuh Se Is Mein Ummat Ka Faidah Bhi Ho Gaya, Ab Hukum Ye Hai Ke Aakhir Ashre Ki Taaq Raton Mein Shabe Qadr Ko Talash Karo.


✦.......♥ Ghar Ke Afrad Ki Taraf Se Sadaqa e Fitr ♥.......✦

Narrated Nafi` Rahimahullah said: Ibn `Umar RadiyAllahu Anhu used to give dates (as Sadaqat-ul-Fitr). Once there was scarcity of dates in Medina and Ibn `Umar gave barley. 'And Ibn `Umar RadiyAllahu Anhu used to give Sadaqat-ul- Fitr for every young and old person. He even used to give on behalf of my children. Ibn `Umar RadiyAllahu Anhu used to give Sadaqat-ul-Fitr to those who had been officially appointed for its collection. People used to give Sadaqat-ul-Fitr (even) a day or two before the `Id.

●═══════════════◄►══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Nafi Rahimahullah Jo Hazrat Abdullah Bin Umar RadiyAllahu Anhuma Ke Aazad Kardah Ghulam Hain Farmate Hain Ke

Hazrat Abdullah bin Umar RadiyAllahu Anhuma Sadaqa Fitr Mein Khajoor Diya Karte The, Aik Martaba Ahle Madinah Par Khajoor Ka Qahet Hua To Aap Ne Jao Ki Surat Mein Sadaqa Fitr Ada Kiya, Hazrat ibn Umar RadiyAllahu Anhuma Chote, Bade (Ghar Ke Tamam Afraad) Ki Taraf Se Sadaqa Fitr Diya Karte The, Yahan Tak Ke Mere Beton Ki Taraf Se Bhi Sadaqa Fitr De Dete The, Neez Ibn Umar RadiyAllahu Anhuma Sadaqa Fitr, Un Ko Dete Jo Qubool Karte Aur Eid Ul-Fitr Se 1 Ya 2 Din Pehle Dete.

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 2 :: Book 25 :: Hadith 587, 1511]

●◗► Har Sahibe Nisaab Shaks Par Apni Taraf Se Aur Apni Na Baligh Aulad Ki Taraf Se Sadaqa e Fitr Ada Karna Wajib Hai.


✦..♥ Rozah Ka Inam Allah Ta’ala Apni Shan Ke Mutabiq Denge
♥..✦

Allah's Messenger (ﷺ) said, "Allah said, 'All the deeds of Adam's sons (people) are for them, except fasting which is for Me, and I will give the reward for it.'

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ka Irshad Hai Ke Allah Subhanahu Wa Ta’ala Farmate Hain (Hadees Qudsi): “Insan Ka Har Aml Us Ki Zaat Ke Liye Hai Siwaye Rozah Ke, Ke Woh Khas Mere Liye Hai Aur Main Hi Us Ka Badla Dunga.”

[Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Book 31 :: Hadith 128, 1904]


✦.....► Shabe Qadr Ki Barkaat Se Mahroom Na Rahen! ◄.....✦

It was narrated that Anas bin Malik said: “Ramadan began, and the Messenger of Allah (ﷺ) said: ‘This month has come to you, and in it there is a night that is better than a thousand months. Whoever is deprived of it is deprived of all goodness, and no one is deprived of its goodness except one who is truly deprived.’”

Urdu Translation: Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke Jab Ramadan Ka Mahina Aaya To RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Tum Par Ye Mahina Aachuka Hai, Is Mein Aik Raat Hai Jo Hazar Mahinon Se Behtar Hai, Jo Shaks Is Raat Se Mahrum Raha Wo Sari Hi Bhalayyon Se Mahroom Raha Aur Is Raat Ki Bhalayi Se Wahi Shaks Mahroom Rah Sakta Hai Jo Waqeyi Bada Mahroom Ho.”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Book 7 :: Hadith 1644 1644]


✦......♥ Shabe Qadr Saal Ki Qeemti Tareen Raat! ♥......✦

❶ Raat: 83 Saal Ki Ibadat Se Afzal
❶ Ghanta: 9 Saal Ki Ibadat Se Afzal
❶ Minute: 55 Din Ki Ibadat Se Afzal
❶ Second: 22 Ghanton Ki Ibadat Se Afzal

●◗► Lehaza Har Har Second Se Faidah Uthayyen! Aur Aakhri Ashre Ki Har Taaq Raat Mein Allah Ka Zikr, Quran Ki Tilawat, Astaghfar Ki Kasrat, Tahajjud, Allah Ka Zikr, Sadaqa Khairat Aur Khoob Duaon Ka Ehtemam Karen!


✦....► Hazrat Jibreel Ki Baddua Par RasoolAllah ﷺ Ki Aameen ◄....✦

Hazrat Kab bin Ajrah RadiyAllahu Anhu se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: Membar Ke Paas Jama Ho Jao Ham Sab Jama Hogaye, Aap ﷺ Ne Jab Membar ki Pehli Sidhi Par Qadam Rakha To Farmaya: "Aameen", Dusri Sidhi Par Qadam Rakha To Phir Farmaya: "Aameen", Jab Teesri Sidhi Par Qadam Rakha To Phir Farmaya: "Aameen".

Sahaba Ne Arz Kiya Ya RasoolAllah! Aaj Ham Ne Aap Se Aisi Baat Suni Hai Jo Pehle Kabhi Nahin Suni, RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Mere Paas Jibreel Aaye The

► Jab Main Ne Pehli Sidhi Par Qadam Rakha To Unhon Ne Kaha Halak o Barbad Hojaye Wo Shaks Jo Ramadhan Al-Mubarak Ka Mahina Paye Phir Bhi Us Ki Bakhshish Na Ho, Main Ne Kaha: "Aameen".

► Jab Main Ne Dusri Sidhi Par Qadam Rakha To Unhon Ne Kaha Halak o Barbad Ho Jaye Wo Shaks Jis Ke Samne Aap Ka Naame Mubarak Liya Jaye Aur Wo Aap Ki Khidmat Aqdas Mein Darood Shareef Na Bheije, Main Ne Kaha: "Aameen".

► Jab Main Ne Teesri Sidhi Par Qadam Rakha To Unhon Ne Kaha Halak o Barbad Ho Jaye Wo Shaks Jo Apne Waldain Ko Budhape Ki Halat Mein Paye Lekin Wo (Un Ki Khidmat Kar Ke) Jannat Mein Dakhil Na Ho, Main Ne Kaha: "Aameen".

[Mustadrak Al Hakim :: Hadith 7256]

●═══════════════════◄►══════════════════●

Once the Prophet (ﷺ) was ascending the pulpit. When he climbed the one step, he said 'Aameen'. He repeated, "Aameen" when he climbed the second step. He uttered 'Aameen' when he climbed the third step. When the Prophet (ﷺ) descended the pulpit, the companions told him that they happened to hear something new. He (ﷺ) asked them what they meant. The companions said that he uttered Ameen while ascending every step of the pulpit. The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam told them. Hadrat Jibreel was before me,

► When I ascended the first step he cursed, "Woe to him who in spite of having been provided with he month of Ramdhan fails to obtain Allah's forgiveness. I said, "Aameen".

► When I climbed the second step the angel cursed him who fails to send blessing on the Prophet after listening to his name. I said "Aameen".

► When I climbed the third step the angel cursed "Woe to him who finds either one and both of his parents in old age, and yet is not able to enter Heaven". I said "Aameen".

[Mustadrak Al Hakim :: Hadith 7256, Narrated by Ibn Hibbaan, 3/188; classed as saheeh by al-Shaykh al-Albaani in Saheeh al-Targheeb, 1679]


✦..........♥ Shabe Qadr Ki Khusoosi Dua ♥..........✦

Narrated Aishah RadiyAllahu Anha: "I said: ‘O Messenger of Allah ﷺ what is your view if I know when the Night of Al-Qadr is, then what should I say in it?" He ﷺ said: ‘Say:

اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي
'Allahumma Innaka Afuwwun Tuhibbul-Afwa Fa’fu Anni'

"O Allah, indeed You are Pardoning, You love pardon, so pardon me"

●═══════════════◄►══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Aishah RadyAllahu Anha Farmati hain ke Main ne Aap ﷺ se Arz kiya: “Ya RasoolAllah! Agar Mujhe Shabe Qadr Ka Pata Chal Jaye To Main Kya Dua Mangun? Huzoor ﷺ Ne Irshad Farmaya Ke Ye Dua Padho:

اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي
'Allahumma Innaka Afuwwun Tuhibbul-Afwa Fa’fu Anni'

''Aye Allah! Beshak Aap Muaaf Karne Wale Hain Aur Muaaf Karne Ko Pasand Karte Hain, Pus Mujhe Bhi Muaaf Farmaden.''

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 6 :: Book 45 :: Hadith 3513]


✦........♥ Shabe Qadr Palene Ka Aasan Nuskha ♥........✦

RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Shabe Qadr Ko Ramadan Al-Mubarak Ke Aakhir Ashre Ki Taaq Raaton Mein Talash Karo."

► Allah's Messenger (ﷺ) said: "Search for the Night of Qadr in the odd nights of the last ten days of Ramadan." (Sahih Bukhari: 2017)

Shabe Qadr Ka Ramadan Ke Aakhir Ashre Ki Taaq Raton Mein Hona Muta’yyan Hai Lehaza Agar Aakhir Ashre Ki Taaq Raton (21, 23, 25, 27, 29) Mein Se Har Har Raat Ko Darj Zail Aa’mal Kar Liye Jayen To Allah Ki zaat Se Bhar Pur Ummid Hai Ke Ham Shabe Qadr Ki Barkaat Aur Hazaar Mahinon Ki Ibadat ka Sawab Pa Sakenge.

❶ Isha Aur Fajr Ki Namaz Ba’Jamat Ada Kare, (Jis Ne Isha o Fajr Ba Jama’at Ada Ki To Use Puri Raat Ibadat Ka Sawab Milta Hai).
❷ Teesra Kalimah Aur Durood Shareef Ka Ehtemam Karen.
❸ Kam Az Kam Aik Parah Qur’an Majeed Ki Tilawat Karen.
❹ Kam Se Kam 2 Rakat Salaat at-Taubah Padhen.
❺ Apne Gunahon Par Roro Kar Allah Se Muafi Mangen.


✦....► Tilawate Quran Ke Mawaqe Ko Ghaneemat Janen! ◄....✦

► Jail Aur Qaid Khane Mein Maujood Qaidi Chahta Hai Ke Use Quran Majeed Ka Nuskha Mil Jaye Ta Ke Woh Tilawat Kar Ke Apni Tanhayi Aur Wahshat Door Kar Sake.

► Hospital Mein Pada Mareez Khwahish Karta Hai Ke Use Quran Majeed Padhne Ki Taqat Mil Jaye Ta Ke Woh Tilawat Kar Ke Apne Marz Ki Takleef Mein Kami Aur Tashaffi Mahoos Kar Sake.

► Faut Shudah Shaks Ye Khwahish Karta Hai Ke Use Tilawat Karne Ka Dobarah Moqa Mile Ta Ke Woh Tilawat Kar Ke Apne Darjat Buland Karwa Sake.

Aur Ham Tandurust o Tawana Aur Zindah Logon Ka Haal Kya Hai?

► Aaj Quran Majeed Ki Tilawat Hamari Dastaras (Qudrat) Aur Isteta’at Mein Hai, Lekin Tilawat Kiye Baghair Hafte Aur Mahine Guzar Jate Hain, Kya Ham Is Baat Ke Muntazir Hain Ke Quran Majeed Ko Padhne Ki Khwahish Us Waqt Karen Jab Wo Hamari Dastaras Mein Hi Na Ho?


Ramadan Al-Mubarak Ki Babarkat Ghadiyon Bilkhusoos Saher o Iftar Ke Waqt Mazloom Ahle Falasteen Aur Qibla Awwal Ki Rihayi Ke Liye Khususi Duaon Ka Ehtemam Farmayen.

Ya Allah Be Sahara Falasteeniyon Ki Madad o Nusrat Farma Aur Qibla Awwal Masjid Aqsa Ko Kafiron Se Rihayi Ata Farma. (Aameen)


✦...► Masjide Aqsa Mein Namaz Ki Adayegi ◄...✦
✦...........♥ Gunahon Se Safayi Ka Zariya! ♥...........✦

It was narrated from 'Abdullah bin 'Amr RadiyAllahu Anhu that the Messenger of Allah (ﷺ) said: "When Sulaiman bin Dawud finished building Bait Al-Maqdis, he asked Allah for three things:

❶ Judgement that was in harmony with His judgement, and he was given that.

❷ And he asked Allah for a dominion that no one after him would have, and he was given that.

❸ And when he finished building the Masjid he asked Allah, the Mighty and Sublime, that no one should come to it, intending only to pray there, but he would emerge free of sin as the day his mother bore him."

●═══════════════◄►══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Abdullah Bin Amr RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah g Ne Irshad Farmaya: “Hazrat Sulaiman Bin Dawud Alaihim Assalam Ne Jab Baitul Muqaddas Ki Tameer Farmayi To Allah Ta’ala Se Teen Chizen Mangin:

❶ Allah Se Manga Ke Woh Logon Ke Muqaddamat Ke Aise Faisle Karen Jo Allah Ke Faisle Ke Mawafiq Hon, To Unhen Ye Cheez Dedi Gayi.

❷ Unhon Ne Allah Ta’ala Se Aisi Saltanat Mangi Jo Un Ke Baad Kisi Ko Na Mili Ho, To Unhen Ye Bhi Dedi Gayi.

❸ Aur Jab Woh Masjid Ki Tameer Se Farigh Hue To Allah Se Sawal Kiya Ke “Jo Bhi Shaks Is Masjid Mein Namaz Padhne Ki Gharz Se Aye To Woh Gunahon Se Paak Hokar Aise Nikle Jaise Ke Aaj Hi Us Ki Maa Ne Use Jana Ho.”

[Sunan an-Nasa'i :: Vol. 1 :: Book 8 :: Hadith 694, 693]


✦.....♥ Rozah o Quran Majeed Roze Mehshar Shifa’at Ka Zariya ♥.....✦

Narrated Abd-Allah ibn ‘Amr RadiyAllahu Anhu that the Messenger of Allah (ﷺ) said: "Fasting and the Quran will intercede for a person on the Day of Resurrection.

► Fasting will say, ‘O Lord, I deprived him of his food and his desires during the day, so let me intercede for him.’

► And the Quran will say: ‘I deprived him of his sleep at night so let me intercede for him.’ Then they will intercede."

[Musnad Ahmad :: Hadith 6626, Saheeh al-Jami’ :: No 3882]

●═══════════════◄►══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Amr RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Qayamat Ke Din Rozah Aur Quran Majeed Bande Ki Shifa’at Karen Ge.

► Rozah Kahega: Aye Mere Rab! Main Ne Is Ko Din Bhar Khane Pine Aur Khuaheshat Se Roke Rakha, Tu Is Ke Haq Mein Meri Shifa’at Qabool Farma.

► Aur Quran Majeed Kahega: (Aye Rab!) Main Ne Ise Raat Ko Sone Se Roke Rakha, Tu Is Ke Haq Mein Meri Sifarish Qabool Farma. Pus Donon Ki Shifa’at Qabool Karli Jayegi."

[Musnad Ahmad :: Hadith 6626]


✦.....♥ Zauq-o-Shauq Se Quran Kareem Ki Tilawat ♥.....✦

The Prophet ﷺ said, "Recite (and study) the Qur'an as long as you agree about its interpretation, but if you have any difference of opinion (as regards to its interpretation and meaning) then you should stop reciting it (for the time being)."

Urdu Translation: Nabi Kareem ﷺ ne Irshad Farmaya: "Quran Majeed Ki Tilawat Us Waqt Tak Karo Jab Tak (Tilawat Mein) Dil Lage, Jab Jee Uchat Hone Lage To Tilawat Karna Band Kardo."

[Sahih Bukhari :: Vol. 6 :: Book 61 :: Hadith 580, 5060]

●◗► Quran Kareem Ki Tilawat Pure Aadab, Itminan, Saliqe, Dhiyan Aur Zauq Shauq Se Karni Chahiye, Aaj Kal Murawwajah Quran Khuani o Digar Mawaqe Mein Log Bus Jaldi Jaldi Quran Khatam Karna Chahte hain, Zauq Shauq Dhiyan aur Itminan ki Taraf koi Tawajjeh Hi Nahin.


✦.........► Rishtedaron Ko Zakat Di Ja Sakti Hai? ◄.........✦

Hajat Mand Aur Sharyi Taur Par Mustahiqe Zakat Rishtedaron Ko Zakat Dena Na Sirf Ye Ke Jayez Hai Balke Is Mein Dohra Sawab Hai, Aik Sawab Zakat Ka Aur Dusra Sila Rehmi Ka, Bhai, Bahen, Bhatija, Bhatiji, Bhanja, Bhanji, Chacha, Phupi, Khala, Mamu, Saas, Sasur, Damad Wagherah Mein Se Jo Zarurat Mand Aur Mustahiq Zakat Hon, Unhen Zakat Di Ja Sakti Hai Aur Zakat Dete Waqt Ye Batana Bhi Zaroori Nahin Ke Ye Raqam Zakat Ki Hai.

Albatta Darj Zail Rishtedaron Ko Zakat Dena Jayez Nahin:

❶ Usool: Yani Jin Se Paida Hua Hai, Maa, Baap, Dada, Dadi, Nana, Nani Wagherah (Sauteli Maa Usool Mein Dakhil Nahin, Lehaza Use Zakat Dena Jayez Hai).
❷ Furoo: Yani Aulad, Beta, Beti, Pota, Poti, Nawasa, Nawasi Wagherah.
❸ Miya Biwi Aik Dusre Ko Zakat Nahin De Sakte, Talaq Ke Baad Bhi Jab Tak Iddat Nahin Guzar Jati Zakat Dena Jayez Nahin.


✦....♥ Iftari Ke Waqt Jahannam Se Chutkare Ka Parwana ♥....✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: “At every breaking of the fast Allah has people whom He frees (from the Fire), and that happens every night.”

Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Allah Rabbul Izzat Ke Han Har Iftar Ke Waqt Logon Ki Aik Ta’dad (Jahannam Se) Aazad Ki Jati Hai, Aur Aisa (Ramadan Al-Mubarak Ki) Har Raat Ko Hota Hai.”

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 7 :: Hadith 1643]

●◗► Ya Allah! Hamen Bhi Iftari Ke Waqt Jahannam Se Chutkara Naseeb Farmade. (Aameen)


✦........♥ Rahe Khuda Mein Aik Din Rozah Rakhna ♥........✦

Narrated Abu Sa`id RadiyAllahu Anhu:I heard the Prophet (ﷺ) saying, "Indeed, anyone who fasts for one day for Allah's Pleasure, Allah will keep his face away from the (Hell) fire for (a distance covered by a journey of) seventy years."

Urdu Translation: Hazrat Abu Sa`id Khudri RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke Main Ne Nabi Kareem ﷺ Se Ye Irshad Suna: “Jis Shaks Ne Allah Ki Raah Mein Aik Din Rozah Rakha, Allah Subhanahu Wa Ta'ala Use Jahannam Ki Aag Se 70 Saal Ki Masafat Ki Doori Tak Door Karde Ga.”

[Sahih Bukhari :: Vol. 4 :: Book 52 :: Hadith 93, 2840]


✦…..► “Mahwari” Mein Mahe Ramadan Se Istifadah! ◄…..✦

Bahot si Khawateen Ramadan Mein Aur Bilkhusoos Aakhir Ashre Mien “Mahwari” Shuru Ho Jane Se Sakht Zahni Koft Ka Shikar Ho Jati Hain Aur Ye Soch Soch Kar Pareshan Hoti Hain Ke Ab Aakhir Ashre Ki Ibadaat, Taaq Raaton Aur Laylatul Qadr Ka Kya Bane Ga?

Aisi Tamam Khawateen Darj Zail ❸ Nukati Agende Pe Aml Paira Ho Kar Laylatul Qadr Samait Aakhri Ashre Ki Barkaat Se Istifadah Kar Sakti Hain:

❶ Niyyat Ki Durustgi: Khuloos Niyyat Ke Sath Ye Soche Ke Ye Sharyi Uzr Allah Ki Taraf Se Hai Aur Agar Ye Uzr Na Hota To Main Behtareen Andaz Mein Ibadat Mein Mashghool Ho Kar Apne Rab Ko Razi Karti, Is Acchi Niyyat Aur Irade Par Maqbool ibadaat Ka InshaAllah Ajr o Sawab Milega, Nabi Akram g Ne Ghazwah Tabuk Ke Moqe Par Irshad Farmaya Ke Kuch Log Madinah Mein Hamare Piche Rehgaye Hain Lekin Ham Kisi Bhi Ghati Ya Wadi Mein (Jihad Ke Liye) Chalen To Woh Sawab Mein Hamare Sath Hote Hain, Phir Aap g Ne Irshad Farmaya Ye Woh Log Hain Jo Uzr Ki Waja Se Hamare Sath Shareek Nahin Ho Sake. (Sahih Bukhari: 2839)

❷ Ibadaat Karne Waliyon Ke Sath Ta’awun: Aisi Khawateen Ibadaat, Taraweeh Aur Tahajjud Mein Masroof Ghar Ki Digar Khawateen Ke Sath Ta’awun Kar Ke Un Ki Ibadaat Ke Barabar Ajr o Sawab Hasil Kar Sakti Hain, Ye Ta’awun Un Ke Kaam Nimta Kar, Un Ke Liye Sahri o Iftari Tayyar Kar Ke, Un Ke Bacche Sambhal Kar Aur Digar Tariqon Se Kiya Ja Sakta Hai.

❸ Zikr Azkar Aur Duaon Mein Mashghuliyat: Napaki Ki Halat Mein Har Ibadat Mamnoo Nahin Hoti Balke Zikr Azkar Aur Duayen Mangi Ja Sakti Hain, Lehaza Aisi Tamam Khawateen Ibadaat Se Bilkul Kinarah Kashi Ekhtiyar Na Kare Balke Zikr Azkar, Durood Shareef, Shabe Qadr Ki Masnoon Dua Aur Digar Duaon Mein Mashghool Rehkar Aakhir Ashre, Taaq Raton Aur Shabe Qadr Ki Barkaat Hasil Karne Ki Koshish Karen.


✦....♥ Bacchon Ko Rozah Rakhne Ki Mashq Karwayyen! ♥....✦

Narrated Ar-Rubi' bint Mu'awadh RadiyAllahu Anha: "The Prophet (ﷺ) sent a messenger to the village of the Ansar in the morning of the day of 'Ashura' (10th of Muharram) to announce: 'Whoever has eaten something should not eat but complete the fast, and whoever is observing the fast should complete it.' "She further said, "Since then we used to fast on that day regularly and also make our boys fast. We used to make toys of wool for the boys and if anyone of them cried for, he was given those toys till it was the time of the breaking of the fast."

Urdu Translation: Rubi’ Bint Mu’awadh RadiyAllahu Anha Farmati Hain Ke Ashura Ki Subah Aan Hazrat ﷺ Ne Ansar Ke Muhallon Mein Kehla Bheja Ke “Jis Ne Subah Ko Kha Pi Liya Ho Wo Din Ka Baqi Hissa (Rozah Daar Ki Tarah) Pura Kare Aur Jis Ne Kuch Khaya Piya Na Ho To Wo Roze Se Rahe.” Rubi’ RadiyAllahu Anha Farmati Hain Ke Phir Baad Mein Bhi Ham Us Din Rozah Rakhte Aur Apne Bacchon Se Bhi Rakhwate, Bacchon Ko Ham Oon Ka Khilona Dekar Behlaye Rakhte, Jab Koi Khane Ke Liye Rota To Wahi Khilona De Dete, Yahan Tak Ke Iftar Ka Waqt Ho Jata.

[Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Book 31 :: Hadith 181, 1960]

●◗► Bukhari Shareef Ke Sharah Hafiz Ibn Hajar Rahimahullah Farmate Hain: “Ye Hadees Bacchon Ko Roze Ki Mashq Karwane Ke Mashroo’ Hone Ki Wazeh Daleel Hai.” (Fath al Bari: Safah: 201:Juz. 4)


✦.........► Nisabe Zakat: Zakat Kis Par Farz Hai? ◄.........✦

Jo Aaqil o Baligh Musalman (Mard Ho Ya Aurat) Malik Ban Jaye:

❶ Sadhe Sath Tola (87.480 Gram) Sone (Gold) Ka…Ya
❷ Sadhe Bawan Tola (612.360 Gram) Chandi (Silver) Ka…Ya
❸ Sadhe Bawan Tola Chandi Ki Qeemat Ke Barabar Raqam (Currency) Ka (March 2023 Ke Rate Ke Mutabiq Taqriban 46,659/- Rupe Ka)…Ya
❹ Sadhe Bawan Tola Chandi Ki Qeemat Ke Barabar Maale Tijarat Ka (Maal Tijarat Se Muraad Woh Cheez Jise Aage Farokht Ki Niyyat Se Khareeda Ho Aur Ye Niyyat Abhi Tak Baqi Ho)…Ya
❺ Darje Bala Charon Amwale Zakat (Sona, Chandi, Currency, Maal Tijarat) Mein Se Kisi Do Ya Teen Ya Chaar Ke Majmuye Ka….Aur Woh Majmuah Sadhe Bawan Tola (612.360 Gram) Chandi Ki Qeemat Ke Barabar Pahonch Jaye…

To Aisa Shaks Sahibe Nisab Kehlaye ga Aur Jis Qamri Tareekh Ko Woh Sahibe Nisab Bana, Woh Tareekh Us Shaks Ke Zakat Ke Hisab Ki Tareekh Ke Taur Par Tai Ho Jaye gi Aur Agle Qamri Saal Ki Usi Tareekh Par Agar Ye Sahibe Nisab Raha To Is Par Amwale Zakat 2.5% Feesad Nikalna Farz Hoga, Neez Agar Sahibe Nisab Par Qarz Wagherah Ho To Amwale Zakat Ko Jama Kar Ke Qarz Ko Is Minha (Minus) Kiya Jaye, Is Ke Baad Bhi Agar Nisab Ke Baqadar Maal Baqi Bache To Zakat Farz Hogi Warna Nahin, Aur Agar Sahibe Nisab Ka Kisi Par Qarz Wagherah Ho Aur Qarz Ki Wusuli Ki Ummid Bhi Ho To Use Amwal Zakat Mein Shamil Karne Ke Baad Kul Maal Ki Zakat Nikali Jaye Aur Agar Qarz Ki Wusuli Ki Ummid Na Ho To Use Shamil Karne Ki Zarurat Nahin.


Gheebat Se Bachne Wala Rozah Daar Mustaqil Ibadat Mein! Hazrat Abu Aaliya Rahimahullah Farmate Hain: “Rozah Daar Jab Tak Kisi Ki Ghibat Na Kare Mustaqil Ibadat Mein Rehta Hai Agarche Woh Apne Bistar Pe Soya Hua Ho.” (Musannaf Abdul Razzaq:7895)

عبد الرزاق عن هشام عن حفصة بنت سيرين عن أبي العالية قال : الصائم في عبادة ما لم يغتب أحدا ، وإن كان نائما على فراشه (المصنف لابن عبد الرزاق:7895)


●◗► Aye Mere Parwardigar! Jitni Bhi Khawateen Sehri Aur Iftari Ki Mushaqaten Bardasht Kar Ke Aap Ke Bandon Ko Rozah Rakhwa Rahi Hain, Sab Ko Dunya o Aakhirat Mein Is Ka Behtareen Badla Ata Farma. Aameen


✦......♥ Ramadan Al-Mubarak Ki Baharen! ♥......✦

❶ Ramadan Al-Mubarak Mein Jahannam ke Darwaze band Kar diye Jate hain.
❷ Jannat ke Darwaze khol diye Jate hain.
❸ Sarkash Shayateen Qaid kar diye Jate hain.
❹ Ramadan Al-Mubarak Nuzoole Quran ka Mahina hai.
❺ Ramadan Al-Mubarak ke Roze Farz Qarar diye gaye.
❻ Ramadan Al-Mubarak mein ibadaat ka Ajr kayi Guna badha diya jata hai.
❼ Ramadan Al-Mubarak mein Umrah ka Sawab Hajj ke Barabar hai.
❽ Ramadan Al-Mubarak mein iftari ke Waqt aur har Raat ko Allah Ta’ala apne Bandon ko Jahannam se Aazad farmate hain.
❾ Ramadan Al-Mubarak mein Lailatul Qadr ki Aik Raat hai jo Hazaar Mahinon se Afzal hai.
❿ Ramadan Al-Mubarak, Muafi, Rehmat, Maghfirat aur Jahannam se Aazadi ka Mahina hai.


✦...........♥ Rozah Dhaal Hai ♥...........✦

Abu 'Ubaidah RadiyAllahu Anhu said: "I heard the Messenger of Allah ﷺ say: 'Fasting is a shield, so long as you do not damage it."'

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Rozah Aadmi Ke Liye Dhaal Hai Jab Tak Ke Woh Use Phad Na De.”

[Sunan an-Nasa'i :: Vol. 3 :: Book 22 :: Hadith 2235, 2233]

●◗► Jis Tarah Dhal Ke Zariye Dushman Ke Hamlon Se Hifazat Ki Jati Hai, Isi Tarah Rozah Ke Zariye Insan Shaitan Ke Shar Aur Hamlon Se Mahfooz Rahta Hai, Roze Ki Ye Dhaal Us Waqt Bekar Ho Jati Hai Jab Rozah Daar Gunah Ke Kamon Mein Pad Kar Ise Phad Leta Hai.


✦......♥ Rozah Daron Ke Liye Jannat Ka Khaas Darwazah ♥......✦

The Prophet (ﷺ) said, "There is a gate in Paradise called Ar-Raiyan, and those who observe fasts will enter through it on the Day of Resurrection and none except them will enter through it.

Urdu Translation: RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “Jannat Mein Aik Darwazah Hai Jise Rayyan Kaha Jata Hai, Roze Qayamat Us Mein Rozah Daar Dakhil Honge Un Ke Siwa Us Darwaze Se Koi Aur Dakhil Nahin Hoga."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 3 :: Book 31 :: Hadith 120, 1896]


✦............♥ Zakat Ke 8 Mustahqeen ♥............✦

Quran Kareem Ki Surah At-Tawbah Aayat Number 60 Mein Darje Zail 8 Masarife Zakat Ka Zikr Maujood Hai:

❶ Fuqra
❷ Masakeen
❸ Aamileene Zakaat (Zakaat ikhatti Karne Par Ma’moor Amle Ke Wazayef Aur Tankhuahon Ki Mad Mein)
❹ (Wo Nao Muslim Jo Zarurat Mand Ho Aur Islam Par Unhen Sabit Qadam Rakhne Ke Liye Un Ki Dildari Maqsood Ho)
❺ Ghulam Ki Aazadi
❻ Maqrooz
❼ Allah Ke Raste Ka Mujahid
❽ Musafir

Note: Zakat Dete Waqt Dene Wale Ke Dil Mein Zakat Ki Niyyat Hona Kafi Hai, Zakat Wusool Karne Wale Ko Ye Batana Zaroori Nahin Ke Ye Zakaat Hai, Balke Hadya, Eidi Ya Kisi Aur Naam Se Bhi Zakat Di Ja Sakti Hai.


✦.........♥ Rozon Ka Maqsad ♥.........✦

Qur’an Paak Mein Allah Ta'ala Ka Irshad Hai: “Aye Iman Walo! Tum Par Roze Farz Kar Diye Gaye Hain Jis Tarah Tum Se Pehle Logon Par Farz Kiye Gaye The, Taa Ke Tumhare Andar Taqwa Paida Ho.” (Quran, Surah-Al Baqarah:183)

●◗► Roze Ka Maqsad Taqwa o Parhezgari Ka Husool Hai, Roze Mein Chunke Nafs Par Sakhti Ki Jati Hai Aur Khane Pine Ki Halal Chizon Se Bhi Rok Diya Jata Hai To Is Se Apni Khuahishat Par Qaboo Pane Ki Mashq Hoti Hai, Jis Se Zabte Nafs (Nafs Par Qabu) Aur Haram Se Bachne Par Quwwat Hasil Hoti Hai Aur Yahi Zabte Nafs Aur Khuahishat Par Qabu Woh Bunyadi Cheez Hai, Jis Ke Zariye Aadmi Gunahon Se Rukta Hai.


Mahe Ramadan 1444 Hijri Mubarak Ho! Allah Subhanahu Wa Ta'ala Hamen is Ramadan Al-Mubarak Ke Liye Salamat Rakhe Aur Is Ko Hamare Liye Salamat Rakhe, Aur Is Ba Barkat Maah Ke Rozon Samait Hamari Tamam Ibadaat Ko Apni Bargaah Mein Sharfe Qubuliyat Ata Farmaye, Aur Ise Tamam Alame Islam Ke Rehmat o Maghfirat Ka Zariya Banaye. Aameen


✦....► Mehngayi Ki Maujudah Laher ◄....✦
✦ Tangdasti Se Hifazat Ki Masnoon Dua ✦

Narrated AbuHurayrah RadiyAllahu Anhu: The Prophet (ﷺ) used to say: "O Allah, I seek refuge in Thee from poverty", lack and abasement, and I seek refuge in Thee lest I cause or suffer wrong."

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke RasoolAllah ﷺ Ye Dua Manga Karte The: “Aye Allah! Main Aap Ki Panah Chahta Hun Har Tarah Ke Faqr o Faqa o Mohtaji Se, Maal o Asbab Ki Qillat Se Aur Zillat Se, Aur Main Aap Ki Panah Chahta Hun Is Baat Se Ke Main Kisi Par Zulm Karun Ya Mujh Par Zulm Kiya Jaye.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 8 :: Hadith 1539, 1544]

"‏ اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنَ الْفَقْرِ وَالْقِلَّةِ وَالذِّلَّةِ وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ أَنْ أَظْلِمَ أَوْ أُظْلَمَ ‏"
Allahumma inni a’udhu bika minal faqri wal qillati wadh dhillati wa a’udhu bika min an azlima aw uzlama.


Tajir Aur Dukandar Hazrat Se Appeal! Maahe Ramadan Mein Zakhirah Andozi, Milawat, Masnoi Mehngayi Aur Na Jaiz Manafe Ke Bajaye Musalmanon Ko Sahuliyaat Aur Qalbi Rahat Pohnchayen! Munasib Aur Sasti Qimton Par Milawat Se Paak Meyari Ashya Farokht Karen Aur Azeem Ajr o Sawab Hasil Karen!


✦.....♥ Zamzam Ruye Zameen Ka Sab Se Umdah Pani ♥.....✦

Ibn Abbas RadiyAllahu Anhu reported: The Messsenger of Allah (ﷺ) said: “The best water on the face of the earth is Zamzam water. In it is food for nourishment and healing for illness.”

Urdu Translation: Hazrat Abdullah Bin Abbas RadiyAllahu Anhuma Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “Ruye Zameen Par Sab Se Behtar Paani Zamzam Hai Jo Bhooke Ke Liye Ghiza Aur Bimaar Ke Liye Shifa Hai.”

[Al-Mu'jam Al-Kabeer Al-Tabarani: 11011, 1167]


●◗► Hamare Bahot Se Ahbab Aur Rishtedar Guzashta Saal Hamare Sath Hi Ramadan Al-Mubarak Ke Muntazir The, Lekin Aaj Woh Is Dunya Se Ja Chuke Hain Aur Hamari Bahot Si Duaon Aur Isale Sawab Ke Muntazir Hain Ta Ke Woh Apni Qabron Mein Rahat Ka Saman Pa Saken!! Aye Allah! Tamam Marhumeen Ki Kamil Maghfirat Farma. (Aameen)


✦....♥ Ramadan Ka Mubarak Mahina Saya Fugan Hai! ♥....✦

"The Messenger of Allah ﷺ said: 'There has come to you Ramadan, a blessed month, which Allah, the Mighty and Sublime, has enjoined you to fast. In it the gates of heavens are opened and the gates of Hell are closed, and every devil is chained up. In it Allah has a night which is better than a thousand months; whoever is deprived of its goodness is indeed deprived."'

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Tum Par Ramadan Ka Mubarak Mahina Aaya Hai Jis Mein Allah Ta’ala Ne Roze Farz Kiye Hain, Is Mahine Mein Aasman (Yani Jannat) Ke Darwaze Khol Diye Jate Hain, Jahannam Ke Darwaze Band Kar Diye Jate Hain Aur Sarkash Shayateen Qaid Kardiye Jate Hain, Is Mein Allah Ki Taraf Se Aik Raat (Shabe Qadr) Hai Jo Hazar Mahinon Se Behtar Hai, Jo Is Raat Ki Khair o Bhalayi Se Mahroom Raha Wo Haqiqat Mein Bada Mahroom Hai.”

[Sunan an-Nasa'i :: Vol. 3 :: Book 22 :: Hadith 2108, 2106]


✦.........► Huffaze Karam Mutawajje Hon! ◄.........✦

'Abdullah RadiyAllahu Anhu reported Allah's Messenger (ﷺ) as saying: “What a wretched person is he amongst them who says: I have forgotten such and such a verse. (He should instead of using this expression say): I have been made to forget it. Try to remember the Qur'an for it is more apt to escape from men's minds than a hobbled camel.”

Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Bahot Bura Hai Kisi Ka Ye Kehna Ke Main Fulan Fulan Aayat Bhool Gaya (Wo Bhoola Nahin) Balke Use Bhula Diya Gaya, Quran Majeed Ko Sunte Sunate Raha Karo Kyun Ke Logon Ke Sinon Se Nikal Jane Mein Wo Rassi Se Bandhe Hue Janwaron Se Bhi Zyadah Taiz Hai.”

[Sahih Muslim :: Book 4 :: Hadith 1724, 790]


✦......♥ Allah Ki Mohabbat Hasil Karne Ki Jame Dua! ♥......✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: “It used to be from the supplication of Dawud that he would say:

‘O Allah, indeed, I ask You for Your love and the love of those who love You, and for the action that will cause me to attain Your love, O Allah, make Your love more beloved to me than myself, my family and cold water (Allāhumma innī as’aluka ḥubbaka wa ḥubba man yuḥibbuka wal-`amalalladhī yuballighunī ḥubbak. Allāhummaj`al ḥubbaka aḥabba ilaiyya min nafsī, wa ahlī wa minal-mā’il-bārid)

●═══════════════◄►══════════════●

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: Hazrat Dawud Alaihis Salam Ki Duaon Mein Se Aik Dua Ye Hai:

اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ حُبَّكَ وَحُبَّ مَنْ يُحِبُّكَ وَالْعَمَلَ الَّذِي يُبَلِّغُنِي حُبَّكَ اللَّهُمَّ اجْعَلْ حُبَّكَ أَحَبَّ إِلَىَّ مِنْ نَفْسِي وَأَهْلِي وَمِنَ الْمَاءِ الْبَارِدِ ‏"‏ ‏.‏

“Aye Allah! Main Aap Se Aap Ki Mohabbat Mangta Hun Aur Us Shaks Ki Bhi Mohabbat Mangta Hun Jo Aap Se Mohabbat Karta Ho Aur Aisa Aml Chahta Hun Jo Mujhe Aap Ki Mohabbat Tak Pohnchade, Aye Allah! Aap Apni Mohabbat Ko Mere Liye Meri Jaan, Mere Ahle Khana, Aur Thande Pani Se Bhi Zyadah Mahboob Bana Di Jiye.”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 6 :: Book 45 :: Hadith 3490, 3490]


✦............♥ Dosti Khalis Banane Ka Nuskha ♥............✦

Hazrat Umar bin Khattab RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke Dost Se Mohabbat Ko Khalis Aur Mazboot Banane Ke 3 Tariqe Hain:

● Jab Bhi Dost Se Mulaqat Ho To Salam Karne Mein Pahel Ki Jiye.
● Dost Ko Umdah Aur Acche Naam Se Mukhatab Ki Jiye.
● Majlis Mein Us Ke Ehteram Mein Jage Ko Kushadah Ki Jiye.

[Al-Zuhd wa Al-Raqa'iq ibn Al-Mubarak: 352]


Haqiqi Rahat Pane Ki Jagah! Hazrat Imam Ahmad bin Hanbal Rahimahullah Se Aik Shaks Ne Pucha: Insan Rahat o Sukoon Ka Mazah Kab Chakhega?

Imam Ahmad bin Hanbal Rahimahullah Ne Farmaya: “Jab Woh Jannat Mein Pehla Qadam Rakhega.”


✦.......► Resham Aur Sona (Gold) Mardon Par Haram! ◄.......✦

Narrated Ali ibn AbuTalib RadiyAllahu Anhu: The Prophet of Allah (ﷺ) took silk and held it in his right hand, and took gold and held it in his left hand and said: both of these are prohibited to the males of my community.

Urdu Translation: Hazrat Ali Bin Abi Talib Farmate Hain Ke Nabi Kareem ﷺ Ne Resham (Ka Tukda) Lekar Use Apne Dayen Hath Par Rakha Aur Sone Ka (Tukda) Lekar Use Apne Bayen Hath Par Rakha Aur Phir Farmaya: “Beshak Ye Donon Meri Ummat Ke Mardon Par Haram Hain.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 33 :: Hadith 4046, 4057]


✦.......♥ Maahe Sha’ban (Month of Sha’ban) ♥.......✦

Usamah bin Zaid RadiyAllahu Anhu said: "I said: 'O Messenger of Allah, I do not see you fasting any month as much as Shaban.'
He (ﷺ) said: 'That is a month to which people do not pay much attention, between Rajab and Ramadan. It is a month in which the deeds are taken up to the Lord of the worlds, and I like that my deeds be taken up when I am fasting."'

Urdu Translation: Hazrat Usamah Bin Zaid RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke Main Ne RasoolAllah ﷺ Se Arz Kiya: Ya RasoolAllah! Jis Kasrat Se Main Aap Ko Maah Shaban Mein Roze Rakhte Dekhta Hun Kisi Aur Mahine Mein Nahin Dekhta?

Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Ye Aisa Mahina Hai Jo Rajab Aur Ramadan Ke Darmiyan Waqe hai Aur Log Umuman Is Mahine Ki Barkaat Se Ghafil Hain, Is Maah Mein Allah Ta’ala Ke Samne Aa’mal Pesh Kiye Jate Hain, Meri Khuahish Hai Ke Mere Aa’mal Is Haal Mein Pesh Hon Ke Main Roze Se Hun.”

[Sunan an-Nasa'i :: Vol. 3 :: Book 22 :: Hadith 2359, 2357]

●◗► Maahe Sha’ban Ki Barkaat Hasil Karne Ke Liye Is Maah Mein Ramadan Al-Mubarak Ki Tayyari Ki Jaye Ibadaat Aur Roze Rakhne Ki Aadat Dali Jaye Aur Apne Kamon Ko Is Andaz Mein Nimtaya Jaye Ke Ramadan Al-Mubarak Mein Zyadah Se Zyadah Waqt Ibadat Aur Talluq Ma'Allah Ke Liye Farigh Ho Sake.


✦.........♥ Apne Muhsin Ke Liye Khoob Duayen Karen! ♥.........✦

The Prophet (ﷺ) said: "if anyone does you a kindness, recompense him; but if you have not the means to do so, pray for him until you feel that you have compensated him."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jo Tumhare Sath Bhalayi Kare To Tum Bhi Badle Mein Us Ke Sath Bhalayi Ka Muamla Karo, Agar Tum Badla Dene Ke Liye Kuch Na Pao To Us Ke Haq Mein Us Waqt Tak Dua Karte Raho Jab Tak Ke Tum Ye Na Samajhlo Ke Tum Use Badla De Chuke.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 9 :: Hadith 1668, 1672]


✦........► Shabe Meraj Manane Ki Haqiqat! ◄........✦

Hazrat Sheikh Ul Islam Mufti Muhammad Taqi Usmani Sahab Farmate Hain: “27 Rajab Ki Shab Ke Bare Mein Ye Mashhoor Ho Gaya Hai Ke Ye Shabe Meraj Hai Aur Is Shab Ko Bhi Isi Tarah Guzarna Chahiye Jis Tarah Shabe Qadr Guzari Jati Hai Aur Jo Fazilat Shabe Qadr Ki Hai Kam o Besh Shabe Meraj Ki Bhi Wahi Fazilat Samjhi Jati Hai Balke Main Ne To Aik Jaga Ye Likha Hua Dekha Ke “Shabe Meraj” Ki Fazilat “Shabe Qadr” Se Bhi Zyadah Hai, Aur Phir Is Raat Mein Logon Ne Namazon Ke Bhi Khaas Khaas Tariqe Mashhoor Kar Diye Ke Is Raat Mein Itni Rakaat Padhi Jayen Aur Har Rakat Mein Fulan Fulan Khaas Surten Padhi Jayen, Khuda Jane Kya Kya Tafsilat Is Namaz Ke Bare Mein Logon Mein Mashhoor Ho Gayin, Khoob Samajh Lijiye! Ye Sab Be Asal Baten Hain, Shariat Mein In Ki Koi Asal Aur Koi Bunyad Nahin.

Sab Se Pehli Baat To Ye Hai Ke 27 Rajab Ke Bare Mein Yaqini Taur Par Nahin Kaha Ja Sakta Ke Ye Wahi Raat Hai Jis Mein Nabi Kareem ﷺ Meraj Par Tashreef Le Gaye The Kyun Ke Is Baab Mein Mukhtalif Riwayten Hain, Baaz Riwayaton Se Malum Hota Hai Ke Aap ﷺ Rabi ul Awwal Ke Mahine Mein Tashreef Le Gaye The, Baaz Riwayaton Mein Rajab Ka Zikr Hai Aur Baaz Riwayaton Mein Koi Aur Mahina Bayan Kiya Gaya Hai, Is Liye Pure Yaqeen Ke Sath Nahin Kaha Ja Sakta Ke Konsi Raat Sahih Mayni Mein Meraj Ki Raat Thi Jis Mein Aap ﷺ Meraj Par Tashreef Le Gaye..

Phir Dusri Baat Ye Ke Waqia Meraj Sun 5 Nabwi Mein Pesh Aaya, Yani Huzoor ﷺ Ke Nabi Banne Ke Panchwe Saal Ye Shabe Meraj Pesh Aayi, Jis Ka Matlab Ye Hua Ke Is waqia Ke Baad 18 Saal Tak Aap Dunya Mein Tashreef Farma Rahe, Lekin In 18 Saal Ke Dauran Ye Kahin Sabit Nahin Ke Aap ﷺ Shabe Meraj Ke Bare Mein Koi Khaas Hukum Diya Ho, Ya Is Ko Manane Ka Ehtemam Farmaya Ho, Ya Is Ke Bare Mein Farmaya Ho Ke Is Raat Shabe Qadar Ki Tarah Jagna Zyadah Ajr o Sawab Ka Bais Hai, Na To Aap ﷺ Ka Aisa Koi Irshad Sabit Hai, Na Khud Huzoor ﷺ Jage Aur Na Sahaba Karam Ko Is Ki Takeed Farmayi Aur Na Sahaba Karam RadiyAllahun Anhum Ajmayeen Ne Apne Taur Par Is Ka Ehtemam Farmaya.”


✦............♥ Meraj Un Nabi ﷺ Ka Tohfa ♥............✦
✦.....♥ 5 Namazon Par 50 Namazon Ka Sawab ♥.....✦

The Prophet (ﷺ) said: "Then Allah enjoined fifty prayers on my followers when I returned with this order of Allah, I passed by Moses who asked me, 'What has Allah enjoined on your followers?' I replied, 'He has enjoined fifty prayers on them.' Moses said, 'Go back to your Lord (and appeal for reduction) for your followers will not be able to bear it.' (So I went back to Allah and requested for reduction) and He reduced it to half. When I passed by Moses again and informed him about it, he said, 'Go back to your Lord as your followers will not be able to bear it.' So I returned to Allah and requested for further reduction and half of it was reduced. I again passed by Moses and he said to me: 'Return to your Lord, for your followers will not be able to bear it. So I returned to Allah and He said, 'These are five prayers and they are all (equal to) fifty (in reward) for My Word does not change.' I returned to Moses and he told me to go back once again. I replied, 'Now I feel shy of asking my Lord again.' Then Gabriel took me till we '' reached Sidrat-il-Muntaha (Lote tree of; the utmost boundary) which was shrouded in colors, indescribable. Then I was admitted into Paradise where I found small (tents or) walls (made) of pearls and its earth was of musk."

[Sahih Bukhari :: Vol. 1 :: Book 8 :: Hadith 345, 349]

Urdu Translation: Nabi Kareem ﷺ Ne Irshad Farmaya: "(Meraj Ke Moqe Par) Allah Subhanahu Wa Ta'ala Ne Meri Ummat Par 50 Namazen Farz Kin, Main Namaz Ka Hukum Lekar Wapas Hua, Jab Musa (Alaihis Salam) Tak Pohncha To Unhon Ne Pucha Ke Aap Ki Ummat Par Allah Ne Kya Farz Kiya Hai? Main Ne Kaha: "50 Namazen Farz Ki Hain", Unhon Ne Farmaya: Aap Wapas Apne Rab Ki Bargah Mein Jayen, Kyun Ke Aap Ki Ummat Itni Namazon Ko Ada Karne Ki Taqat Nahin Rakhti Hai, Main Wapas Rabbul izzat Ki Bargah Mein Gaya To Allah Ne Us Mein Se Aik Hissa Kam Kardiya, Main Phir Musa (Alaihis Salam) Ke Paas Aaya Aur Kaha ke Aik Hissa Kam Kardiya Gaya Hai, Unhon Ne Kaha Ke Dobarah Jayye Kyun Ke Aap Ki Ummat Mein Is ki Bhi Taqat Nahin Hai, Main Phir Bargah Rabbul izzat Mein Hazir Hua To Allah Ta’ala Ne Aik Hissa Aur Kam Kardiya, Main Jab Musa (Alaihis Salam) Ke Paas Pohncha To Unhon Ne Farmaya Ke Apne Rab Ki Bargah Mein Phir Jayye, Kyun Ke Aap Ki Ummat Mein Is ki Bhi Taqat Nahin, Main Wapas Lauta To Allah Subhanahu Wa Ta'ala Ne Farmaya Ke Ye Namazen (Aml Mein) 5 Hain Lekin (Ajr o Sawab Mein) 50 Namazon Ke Barabar Hain, Meri Baat Badli Nahin Jati.
Ab Main Musa (Alaihis Salam) Ke Paas Aaya To Unhon Ne Phir Farmaya Ke Apne Rab Ke Paas Wapas Jayye (Aur Mazeed Kami ki Darkhuast Kijiye), Lekin Main Ne Kaha Mujhe Ab Apne Rab Se Haya (Sharm) Aati Hai, Phir Jibreel Alaihis Salam Mujhe Sidrat-ul-Muntaha Tak Le Gaye Jise Kayi Tarah ke Rangon Ne Dhank Rakha Tha, Jin Ke Mutalliq Mujhe Maloom Nahin Hua Ke Wo Kya Hain, is Ke Baad Mujhe Jannat Mein Le Jaya Gaya, Main Ne Dekha Ke Us Mein Motiyon Ke Haar Hain Aur Us ki Mitti Mushk Ki Hai."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 1 :: Hadith 349]


✦........► Safare Meraj Ke Ibrat Naak Mushahedat! ◄........✦

❶ Gheebat Aur Musalman Ki Aabru Rezi ki Waja Se Khofnak Azab: RasoolAllah (ﷺ) Ne Meraj Ke Safar Mein Dekha Ke Logon Ki Ghibat Aur Aabru Rezi Karne Walon Ke Nakhun Tanbe Ke The Aur Woh Un Se Apne Chehron Aur Sinon Ko Buri Tarah Noch Rahe The.

❷ Jinsi Be Raah Rawi Mein Mubtela Logon Ka Bhayank Anjam: Halal Biwi Ya Halal Shohar Ko Chhod Kar Haram Aur Badkari Ka Irtekab Karne Wale Mard o Aurton Ko Aap (ﷺ) Ne Dekha Ke Woh Saaf suthra Pakizah Gosht Chhod kar Sada hua Badbudar Gosht khane Ka Azab Bhugat Rahe Hain.

❸ Yateemon Ka Maal Khane Walon Ka Ibrat Naak Anjam: RasoolAllah (ﷺ) Ne Yatimon Ka Maal Nahaq Khane Walon Ko Dekha Ke Un Ke Hont Oont Ke Honton Ki Tarah The Aur Wo Apne Muh Mein Pattharon Jaise Angare Thons Rahe The Jo Dusri Janib Pakhane Ke Raste Se Nikal Rahe The.

❹ Sood Khoron Ko Dardnak Azab: Aap (ﷺ) Ne Sood Khoron Ko Dekha Ke Un Ke Pait Gharon Ki Manind Kushadah Aur Bade The Jin Mein Sanp The Jo Pait Ke Bahar Se Nazar Aarahe The.

❺ Shohar Ke Sath Khayanat Karne Wali Aurton Ka Haal: Aap (ﷺ) Ne Aisi Aurton Ko Dekha Ke Un Ke Sinon Mein Bade Bade Tedhe Kante Chubha Kar Unhen Aasman o Zameen Ke Darmiyan Latka Diya Gaya Tha.

❻ Be Aml Wa’zon Aur Khateebon Ka Anjam: Dusron Ko Nasihat Aur Khud Us Par Aml Na Karne Wale Khateebon Aur Wa’zon Ka Haal Aap (ﷺ) Ne Ye Dekha Ke Un Ki Zubanen Lohe Ki Qainchi Se Kaati Ja Rahi Hain Aur Jab Cut Jati Hain To Phir Pehle Ki Tarah Sahih o Salim Ho Jati Hain.

❼ Jannat Ki Khushbu Aur Jahannam Ka Sadan Badbu: Aap (ﷺ) Ka Guzar Jab Jannat Par Hua To Wahan Thande Aur Khushbudar Hawa Ke Jhonke Aarahe The Aur Jab Jahannam Par Guzar Hua To Aap Ne Sakht Badbu Mahsoos Farmayi. (Makhuz Az Ahadis Mubarka o Kutub Sirat)


✦..........♥ Baitullah aur Bait-al-Ma'mur ♥..........✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: (At the time of Meraj) "I was shown Al-Bait-al-Ma'mur (i.e. Allah's House). I asked Gabriel about it and he said, This is Al Bait-ul-Ma'mur where 70,000 angels perform prayers daily and when they leave they never return to it (but always a fresh batch comes into it daily)."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “(Meraj Ke Moqe Par) Mujhe 'Bait Al-Ma’mur' Le Jaya Gaya, Main Ne Jibreel Alaihis Salam Se Is Ke Bare Mein Pucha To Unhon Ne Batlaya Ke Ye Bait-al-Ma'mur Hai, Is Mein 70 Hazar Farishte Rozana Namaz Padhte Hain Aur Aik Martaba Jo Farishta Namaz Padh Kar Yahan Se Nikal Jata Hai Woh Dobarah Is Mein Dakhil Nahin Hota.”

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 4 :: Book 54 :: Hadith 429, 3207]

●◗► Aasmanon Par Khana Ka'ba Ki Bilkul Sidha Mein Bait-al-Ma'mur Waqe Hai Jis Ke Gird Har Waqt Hazaron Farishte Tawaf Karte Hain Aur Namaze Padhte Hain.


✦......► Sharab Gumrahi Ka Sabab ◄.......✦

Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu: Allah's Messenger (ﷺ) was presented with two cups one containing wine and the other milk on the night of his night journey at Jerusalem. He looked at it and took the milk. Gabriel said, "Thanks to Allah Who guided you to the Fitra (i.e. Islam); if you had taken the wine, your followers would have gone astray.

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai: Meraj Ki Raat Mein Nabi Kareem ﷺ Ke Samne Baitul Muqaddas Mein Do Pyale Pesh Kiye Gaye Aik Sharab Ka Aur Dusra Doodh Ka, Nabi Kareem g Ne Donon Ko Dekha Phir Doodh Ka Pyala Utha Liya.

Is Par Jibreel Alaihis Salam Ne Kaha:Tamam Hamd Us Allah Ke Liye Hai Jis Ne Aap Ko Fitrat (Islam) Ki Hidayat Ki, Agar Aap Sharab Ka Pyala Utha Lete To Aap Ki Ummat Gumrah Ho Jati.

[Sahih Bukhari :: Vol. 6 :: Book 60 :: Hadith 232, 4709]


●◗► Apni Mahdood Aamdani Mein Khush Rahiye!!! Kisi Se Apna Mawaazna (Compare) Mat Kijiye!!! Kam Khareediye!!! Sasta Pahen Lijiye!!! Sadah Kha Lijiye!!! Bus Halal o Haram Ki Tameez Rakhiye!!!


✦......► Biwiyon Ke Darmiyan Na Insafi Ka Wabal! ◄.......✦

The Prophet (ﷺ) said: "Whoever has two wives and is inclined to favor one of them over the other, he will come on the Day of Resurrection with half of his body leaning."

Urdu Translation: Nabi Akram (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “Jis Shaks Ki 2 Biwiyan Hon Aur Woh Un Mein Insaf Ka Mua’mla Na Kare To Qayamat Ke Din Woh is Haal Mein Aayega Ke Us Ka Aik Pahlu Gira Hua (Falij Zadah) Hoga.”

[Al-Mustadrak alaa al-Sahihain Al-Hakim: 2759, Sunan an-Nasa'i: 3942]


✦..........► Qabristan Jaya Karen! ◄...........✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: “Visit the graves, for they will remind you of the Hereafter.”

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya:“Qabron Ki Ziyarat Kiya Karo! Kyun Ke Ye Aml Tumhen Aakhirat Ki Yaad Dilata Hai.”

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 6 :: Hadith 1569, 1569]


✦.....►Turkey o Syria Zalzalah 06/Feb/2023 ◄......✦
✦✦ Qurbe Qayamat Mein Zalzalon Ki Kasrat! ✦✦

The Prophet (ﷺ) said, "The Hour (Last Day) will not be established until (religious) knowledge will be taken away (by the death of religious learned men), earthquakes will be very frequent, time will pass quickly, afflictions will appear, murders will increase and money will overflow amongst you." (See Hadith No. 85 Vol 1).

Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Qayamat Us Waqt Tak Na Aayegi Jab Tak Ilm Deen Na Utha Liya Jaye, Aur Zalzalon Ki Kasrat Na Ho Jaye, Aur Zamana Jaldi Jaldi Na Guzre, Aur Fitne Fasad Na Phoot Paden Aur "Harj" Yani Qatl Ki Kasrat Ho Jayegi Aur Maal o Daulat Ki Kasrat Hogi."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 2 :: Book 17 :: Hadith 146, 1036]


✦....♥ Ghar Mein Dakhil Hokar Salam Karna Ba’is Barkat Hai ♥....✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said to me: "Dear son, when you enter your house, say As- Salamu 'Alaikum to your family, for it will be a blessing both to you and to your family."

Urdu Translation: Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu Riwayat Karte Hain Ke RasoolAllah g Ne Irshad Farmaya: “Aye Bete! Jab Ghar Mein Dakhil Ho To Ghar Walon Ko Salam Kiya Karo Ye Tumhare Liye Aur Tumhare Ahle Khana Ke Liye Barkat Ka Ba’is Hoga.”

[Riyad as-Salihin :: Book 5 :: Hadith 18, 861]


✦........► Jannat Ka Rasta Bhoolne Wale! ◄........✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: ‘Whoever forgets to send peace and blessings upon me, then he has missed the road to Paradise.’”

RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Mujh Par Durood Shareef Padhna Bhool Gaya, Us Ne Jannat Ka Rasta Bhula Diya.”

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 5 :: Hadith 908]


✦.......► Maut Ke Baad Kaam Aane Wale 3 Aamal! ◄.......✦

Allah's Messenger (ﷺ) as saying: "When a man dies, his acts come to an end, but three, recurring charity, or knowledge (by which people) benefit, or a pious son, who prays for him (for the deceased)."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jab Insan Inteqal Kar Jata Hai To Teen Aamal Ke Alawah Tamam Aa’mal (Ke Ajr o Sawab Ka Silsila) Us Se Munqata Ho Jata Hai. (Woh Teen Aamal Ye Hain):

❶ Sadaqah Jariya
❷ Wo Ilm Jis se Nafa Uthaya Jaye
❸ Naik Aulad Jo Us Ke Liye Dua Karti Rahe.”

[Sahih Muslim :: Book 13 :: Hadith 4005, 1631]

●◗► Munqata: Yani Ke Us Ke Aamal Ka Silsila Khatam Ho Jata Hai.


✦........♥ Mahe Rajab Wajibul Ehteram Mahina ♥........✦

⇨ "Haqiqat Ye Hai Ke Allah Ke Nazdeek Maheenon Ki Ta’dad 12 Mahine Hai Jo Allah Ki Kitab (Lohe Mahfooz) Ke Mutabiq Us Din Se Nafiz Chali Aarahi Hai Jis Din Allah Ne Aasman Aur Zameen Ko Paida Kiya Tha, In (12 Mahinon) Mein 4 Mahine (Dhul Qa’dah, Dhul Hijjah, Muharram Aur Rajab) Wajib ul Ehteram Hain, Yahi Deen (Ka) Seedha Sadah (Taqaza) Hai, Lehaza In Mahinon Ke Muamle Mein (Baham Jang Kar Ke) Apni Janon Par Zulm Na Karo.” (Surah At-Tawbah: 36)

Mufti Shafi Usmani Rahimahullah “Ma’ariful Quran” Mein Tahreer Farmate Hain: “Tamam Anbiya Alaihim As-Salam Ki Shariaten Is Baat Par Muttafiq Hain Ke In Char Mahinon (Dhul Qa’dah, Dhul Hijjah, Muharram Aur Rajab) Mein Har Ibadat Ka Sawab Zyadah Hota Hai Aur In Mein Koi Gunah Kare To Us Ka Wabal o Azab Bhi Zyadah Hai, Sabiq Shariaton Mein In Maheenon Ke Andar Qatl o Qital Bhi Mamnu Tha.”


Har Milne Wala Din Ghanimat: Hazrat Saeed Bin Jubair Rahimahullah Farmate Hain: “Momin Ke Liye Har Woh Din Jis Mein Woh Zindah Rahe Ghanimat Hai.” (Jami al Uloom wal Hikam)


⇨ "So, whoever has been kept away from the Fire and admitted to Paradise has really succeeded." (Surah Al-Imran:185)

⇨ "Jis Ko Dozakh Se Door Hata Liya Gaya Aur Jannat Mein Dakhil Kar Diya Gaya Woh Sahih Ma’non Mein Kamyab Ho Gaya." (Surah Al-Imran:185)


RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Dunya Ki Mithaas, Aakhirat Ki Kadwahat Hai Aur Dunya Ki Kadwahat, Aakhirat Ki Mithaas Hai.” (Al-Mustadrak alaa al-Sahihain Al-Hakim:7861)

●◗► Dunya Mein Masayeb Aur Mushkil Halaat Ka Sabr Ke Sath Samna Karna Aakhirat Mein Mithaas Khush Hali Aur Shadabi Ka Zariya Hai, Jabke Dunya Ki Nematon Mein Lag Kar Ehkame Khudawandi Se Ghafil Rehna Aakhirat Mein Nakami, Zillat Aur Kadwahat Ka Sabab Hai.


✦..................♥ Teen Chand ♥..................✦

✿ Muhammadur Rasulullah ﷺ
✿ Abu Bakr Siddiq RadiyAllahu Anhu
✿ Umar Al-Faruq RadiyAllahu Anhu

Yahya related to me from Malik from Yahya ibn Said that A'isha RadiyAllahu Anha, the wife of the Prophet, may Allah bless him and grant him peace, said, "I saw three moons fall into my room, and I related my vision to Abu Bakr as-Siddiq. Then, when the Messenger of Allah died, may Allah bless him and grant him peace, and was buried in my house, Abu Bakr said to me, 'This is one of your moons, and he is the best of them.'"

Urdu Translation: Ummul Mu'minin Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha Farmati Hain: “Main Ne Khuab Dekha Ke Meri Goud Mein 3 Chand Aagire Hain, Main Ne Ye Khuab Apne Walid Hazrat Abu Bakr Siddiq RadiyAllahu Anhu Ko Sunaya, Jab Nabi Akram ﷺ Ne Dunya Se Pardah Farmaya Aur Unhen Mere Hujre Mein Dafan Kiya Gaya To Hazrat Abu Bakr RadiyAllahu Anhu Ne Mere is Khuab Ki Tabeer Ki Taraf Isharah Karte Hue Farmaya: “Tere 3 Chandon Mein Se Ye Aik Chand Hai Aur Ye Dusre Donon Se Behtar Hai.”

[Muwatta Imam Malik :: Book 16 :: Hadith 30, 552]


✦........♥ Farz Namaz Ke Baad Ahem Dua! ♥........✦

Narrated Warrad: (the freed slave of Al-Mughira bin Shu`ba) Al-Mughira wrote to Muawiya bin Abu Sufyan that Allah's Messenger (ﷺ) used to say at the end of every prayer after the Taslim:

"La ilaha illa-l-lahu wahdahu la sharika lahu; lahu-l-mulk wa lahu-l-hamd, wahuwa 'ala kulli shai'n qadir.

'Allahumma la mani'a Lima a taita, wa la mu'ta Lima mana'ta, wa la yanfa'u dhal-jaddi minkal-jadd.'

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 8 :: Book 75 :: Hadith 342, 6330]

●═════════════════◄►════════════════●

Urdu Translation: Hazrat Mughairah RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke Main Ne Har Farz Namaz Ke Baad Nabi Akram ﷺ Ko Ye Dua Mangte Suna:

"‏ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ، وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ، لَهُ الْمُلْكُ، وَلَهُ الْحَمْدُ، وَهْوَ عَلَى كُلِّ شَىْءٍ قَدِيرٌ،
اللَّهُمَّ لاَ مَانِعَ لِمَا أَعْطَيْتَ، وَلاَ مُعْطِيَ لِمَا مَنَعْتَ، وَلاَ يَنْفَعُ ذَا الْجَدِّ مِنْكَ الْجَدُّ ‏"

“Allah Ke Siwa Koi Mabood Nahin, Woh Aik Hai Us Ka Koi Shareek Nahin, Aye Allah! Jo Tu Ata Kare Use Koi Rokne Wala Nahin Aur Jo Tu Rokle Use Koi Dene Wala Nahin Aur Tere Muqabil Kisi Maaldar Ko Us Ka Maal Nafa Nahin Dega.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Hadith 6330]


✦.......► Gunahon Ka Aitraaf Kar Ke Tawbah Karen! ◄.......✦

Allah's Messenger (ﷺ) said: “....When a slave confesses his sins and asks Allah for forgiveness, Allah accepts his repentance....”'

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “...Bandah Jab Apne Gunah Ka Iqrar Kar Ke Tawbah Karta Hai To Allah Subhanahu Wa Ta'ala Bhi Us Ki Tawbah Qubool Farma Lete Hain...”

[Sahih Bukhari :: Vol. 5 :: Book 59 :: Hadith 462, 4141]

قال رسول اللہ ﷺ :
۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ فَإِنَّ الْعَبْدَ إِذَا اعْتَرَفَ ثُمَّ تَابَ تَابَ اللَّهُ عَلَيْه۔۔۔۔۔۔ (الخ)
(صحيح البخاري:4141،بَاب حَدِيثِ الْإِفْكِ)


✦....► Khawateen Ka Mard “Darzi” Se Kapde Silwana! ◄....✦

✔ Khawateen Ko Khatoon Darzan Se Hi Kapde Silwane Chahiye, Agar Kisi Zarurat Ke Tahet Koi Khatoon Mard “Darzi” Se Kapde Silwana Chahe To Shohar, Bhai Ya Bete Wagherah Ko Naap Ke Liye Sile Hue Kapde Dekar Darzi Ke Paas Bhejde Aur Woh Darzi Ko Silayi Ki Tafsilaat Bata Kar Kapde Silwale To Is Ki Gunjaish Hai.

✘ Agar Koi Khatoon Az Khud Kisi Mard “Darzi” Ke Paas Jaye Aur Woh Us Ke Kapdon Ka Khud Naap Le Jis Ki Wajah Se Woh Us Ke Niswani Aaza Ke Size Aur Figure Wagherah Ka Mushahedah Kare To Ye Bilkul Haram Aur Na Jayez Hai Aur Fitne Mein Mubtela Hone Ka Zariya Hai.


✦.......► Khawateen Ka Mard Doctor Se Ilaj Karwana!◄.......✦

Narrated Jabir RadiyAllahu Anhu: Umm Salamah asked the Messenger of Allah (ﷺ) permission for getting herself cupped. He (ﷺ) commanded Abu Tibah (RadiyAllahu Anhu) to cup her. The transmitter said: I think he was her foster-brother or a boy not yet of age.

Urdu Translation: Hazrat Jabir RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke Zojah Rasool Umm Salamah RadiyAllahu Anha Ne Nabi Akram ﷺ Se Hijama Lagwane (Cupping Therapy Aik Qism Ka Ilaj Jis Mein Jism Ke khaas Muqamat Se Khoon Nikala Jata Hai) Ki Ijazat Chahi, Aan Hazrat ﷺ Ne Hazrat Abu Taibah RadiyAllahu Anhu Ko Hukum Farmaya Ke Wo Hazrat Umm Salamah RadiyAllahu Anha Ko Hijama Lagaden, Hadees Ke Rawi Hazrat Jabir RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke Abu Taibah RadiyAllahu Anhu Ko Hukum Farmane Ki Wajah Ye Thi Ke Woh Hazrat Umm Salamah RadiyAllahu Anha Ke Razayi Bhai The Ya Na Baligh The.

[Sunan Abi Dawud :: Book 33 :: Hadith 4093, 4105]

●◗► Hadeese Bala Se Maloom Hua Ke Ilaj Ke Silsile Mein Bhi Parde Ka Khayal Rakhna Lazim hai, Agar Ma’alij (Doctor) Ke Samne Be Pardah Ho Kar Aane Ki Ijazat Hoti To Jaleel ul-Qadr Sahabi Hazrat Jabir RadiyAllahu Anhu Ko Ye Wazahat Pesh Karne Ki Zarurat Na Hoti Ke Ma’alij Abu Taibah RadiyAllahu Anhu, Hazrat Umm Salamah RadiyAllahu Anha Ke Mahram Ya Na Baligh Ladke The, Shari’at Mutahrah Ka Asal Hukum To Yahi Hai Ke Aurat Apna Ilaj Khatoon Ma’alij (Doctor) Se Karwaye, Bilkhusus Jab Ke Daurane Ilaj Satar Wale Aaza Bhi Kholne Ki Zarurat Ho, Albatta Kisi Hangami Halat Ya Majburi Ki Surat Mein Sharayet o Quyudat Ke Sath Mard Ma’alij Se Ilaj Karwane Ki Ijaat Hai, Bashart Ye Ke Ma’alij Itna Badan Dekhe, Jitna Dekhna Zaroori Ho, Isi Tarah Agar Zubani Haal Kehna kafi Ho To Ma’alij Ko Hath Lagane Aur Jism Dekhne Ki Ijzat Nahin, Nabz Dekhna Zaroori Ho To Digar Badan Kholna Aur Dekhna Durust Nahin Wagherah.


●◗► Irshade Khudawandi Hai: “Yahan (Jannat Mein) To Tumhen Ye Faidah Hai Ke Na Tum Bhuke Hoge Na Nange Aur Na Yahan Pyase Rahoge Na Dhoop Mein Tapoge.” (Surah Taha: 118,119)

✿ Jannat Mein Har Tarah Ki Nematen Muyassar Hone Ke Bawajood Allah Ta'ala Ne Hazrat Adam Alaihis Salam Ke Liye 4 Chizon Ka Khaas Taur Par Zikr Farmaya: 1) Khana 2) Libas 3) Pani 4) Rahaish, Aayat Se Malum Hua Ke Insan Ki Bunyadi Zaruriyat 4 Chizen Hain Jin Ke Baghair Jina Mushkil Hai.

♥ Allah Subhanahu Wa Ta'ala Ham Sab Ki Bunyadi Zaruriyat Aala Darje Par Puri Farmaye. Aameen ♥


✦...........► 13, 14, 15 Ayyame Beez Ke Roze ◄...........✦
✦...........♥ Zindagi Bhar Rozon Ke Barabar ♥...........✦

Narrated Qatadah Ibn Malhan al-Qaysi RadiyAllahu Anhu: The Messenger of Allah (ﷺ) used to command us to fast the days of the white (nights): thirteenth, fourteenth and fifteenth of the month. He said: This is like keeping perpetual fast."

Urdu Translation: Hazrat Malhan al-Qaysi RadiyAllahu Anhu Riwayat Farmate Hain Ke RasoolAllah g Hamen Ayyame Beez Yani 13, 14 Aur 15 Tarikhon Ke Roze Rakhne Ka Hukum Farmate The Aur Irshad Farmate The Ke In Ka Sawab Itna Hi Hai Jitna Hamesha Roze Rakhne Ka.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 13 :: Hadith 2443, 2449]


✦...........♥ Falahi Muashre Ki Bunyaden! ♥...........✦

Allah's Messenger (ﷺ) said, "Do not hate one another, and do not be jealous of one another, and do not desert each other, and O, Allah's worshipers! Be brothers. Lo! It is not permissible for any Muslim to desert (not talk to) his brother (Muslim) for more than three days."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya:

❶ “Aik Dusre Se Nafrat Mat Karo!
❷ Aik Dusre Se Hasad Mat Karo!
❸ Aik Dusre Se Pith Mat Phero!
❹ Allah Ke Bando! Aapas Mein Bhai Bhai Ban Jao!

Musalman Ke Liye Halal Nahin Ke Woh Apne Musalman Bhai Ko Teen Din Se Zyadah Salam Kalam Chhode Rakhe.”

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 8 :: Book 73 :: Hadith 91, 6065]


Zindagi Aazmayish Ban Gayi!
Duayen Qubool Nahin Hotin!
Allah Ki Madad Nazar Nahin Aarahi!
Pucha: Namaze Fajr Padhte Ho?
Bola: Aankh Nahin Khulti!


●◗► 25 December: Logon Ko “Christmas Day” Ki Mubarak Baad Dene Ka Matlab Ye Hai: Ke Aap Ye Baat Tasleem Karte Hain Ke Isa Alaihis Salam Allah Ke Bete (Nauzubillah) Aur Mabood Hain. "NO CHRISTMAS DAY"


✦........♥ CHRISTMAS DAY Par Khoobsurat Paigham! ♥........✦

⇨ "Say you, He is Allah, the One. Allah the Independent, Care free. He begot none, nor was he begotten (neither the Jesus Christ nor the holy Ezra are his sons). And nor anyone is equal to him." (Qur’an - Surah Al-Ikhlas)

⇨ "Keh Do: Baat Ye Hai Ke Allah Har Lihaz Se Aik Hai, Allah Hi Aisa Hai Ke Sab Us Ke Mohtaj Hain Woh Kisi Ka Mohtaj Nahin, Na Us Ki Koi Aulad Hai Aur Na Woh Kisi Ki Aulad Hai, Aur Us Ke Jod Ka Koi Bhi Nahin." (Qur’an - Surah Al-Ikhlas)


✦....► Hazrat Isa Alaihis Salam Sooli Nahin Chadhaye Gaye! ◄....✦

⇨ "And for their saying, “We have certainly killed the MasīH ‘Īsā the son of Maryam, the Messenger of Allah”, while in fact they did neither kill him, nor crucify him, but they were deluded by resemblance.Those who disputed in this matter are certainly in doubt about it. They have no knowledge of it, but they follow whims. It is absolutely certain that they did not kill him, but Allah lifted him towards Himself. Allah is All-Mighty, All-Wise. No one will remain from among the People of the Book but will certainly believe in him before he dies, and on the Day of Doom, he shall be a witness against them." (Quran, Surah An-Nisa: 157-159)

⇨ “Aur (Un Ahle Kitab Ne) Ye Kaha Ke: Ham Ne Allah Ke Rasool Masih Isa Bin Maryam Ko Qatl Kar Diya Tha, Halan Ke Na Unhon Ne Isa (Alaihis Salam) Ko Qatal Kiya Tha Aur Na Hi Sooli De Paye The, Balke Unhen Ishtibaah Ho Gaya Tha, Aur Haqiqat Ye Hai Ke Jin Logon Ne Is Bare Mein Ekhtelaf Kiya Hai, Woh Is Silsile Mein Shak Ka Shikar Hain, Unhen Guman Ke Piche Chalne Ke Siwa Is Baat Ka Koi Ilm Hasil Nahin Hai, Aur Ye Baat Bilkul Yaqeeni Hai Ke Woh Isa (Alaihis Salam) Ko Qatl Nahin Kar Paye, Balke Allah Ne Unhen Apne Paas Utha Liya Aur Allah Bada Sahibe Iqtidar Bada Hikmat Wala Hai, Aur Ahle Kitab Mein Se Koi Aisa Nahin Hai Jo Apni Maut Se Pehle Zaroor Bil Zaroor Isa (Alaihis Salam) Par Iman Na Laye, Aur Qayamat Ke Din Wo Un Logon Ke Khilaf Gawah Banenge.” (Surah An-Nisa: 157-159)


► Christmas, New Year Night, Diwali, Holi, Valentine Day Aur April Fool Manana, Yahood, Hanood Aur Nasara Ki Naqqali! ◄

The Prophet (ﷺ) said, "You will follow the wrong ways, of your predecessors so completely and literally that if they should go into the hole of a mastigure, you too will go there." We said, "O Allah's Messenger (ﷺ)! Do you mean the Jews and the Christians?" He replied, "Whom else?" (Meaning, of course, the Jews and the Christians.)

Urdu Translation: Nabi Akram (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “Tum Log Pehli Ummaton Ke Tareeqon Ki Qadam Ba Qadam Pairwi Karoge Yahan Tak Ke Agar Woh Goah (Chipkali Ki Nasal Ka Aik Janwar) Ke Surakh Mein Dakhil Honge To Tum Bhi Us Mein Dakhil Hoge.” Sahaba Karam RadiyAllahu Anhum Ne Pucha: Ya RasoolAllah (ﷺ)! Pehli Ummaton Se Aap Ki Muraad Yahood Aur Isayi Hain? Aap (ﷺ) Ne Irshad Farmaya: “To Phir Aur Kon?”

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 4 :: Book 55 :: Hadith 662, 3456]


✦......♥ Namaze Jumah Ke Liye Uthaye Gaye Qadam ♥......✦

Narrated Yazid bin Abu Maryam (Rahmatullah Alaih): "Abayah bin Rifa'ah bin Rafi' (Rahmatullah Alaih) met me while I was walking to the Friday prayer. He said: 'Have glad tidings, for indeed these footsteps of yours are in the cause of Allah. I heard Abu 'Abs (RadiyAllahu Anhu) say: "The Messenger of Allah (ﷺ) said, 'Whoever get his two feet dusty in the path of Allah, then they are prohibited for the Fire.'"

Urdu Translation: Hazrat Yazid Bin Abi Maryam Rahmatullah Alaih Farmate Hain Ke Main Jumah Ki Namaz Ke Liye Paidal Ja Raha Tha Ke Hazrat Abayah bin Rifa'ah bin Rafi Rahmatullah Alaih Mujhe Mil Gaye Aur Farmane Lage Ke Tumhen Khush Khabri Ho Ke Tumhare Ye Qadam Allah Ta’ala Ke Raste Mein Hain, Kyun Ke Main Ne Abu 'Abs RadiyAllahu Anhu Ko Ye Farmate Hue Suna Ke RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jis Ke Qadam Allah Ta’ala Ke Raste Mein Ghubar Aalood Hue To Woh Qadam Jahannam Ki Aag Par Haram Hain.”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 3 :: Book 20 :: Hadith 1632, 1632]


✦..........► Sanjeedgi o Burdbari (Maturity) ◄..........✦

●◗► Sanjeedgi Aur Burdbaari Ka Haqiqi Mafhoom Ye Hai Ke, Jab Kisi Mua’mle Mein Koi Aap Ko Takleef Pohnchaye Ya Bura Bhala Kahe To Aap Ladne Ke Bajaye Mua’mle Ki Teh Tak Pahonchne Ki Koshish Karen Aur Hikmat o Basirat Ke Sath Ladayi Jhagde Se Apna Daman Bachalen.

◈ Sanjeedgi - Zuban Ka Be Huda Alfaz Aur khayalat Se Paak Hona.
◈ Burdbari - Narmi, Sabr, Bardasht.


✦......► Qarz Aur Dushmanon Se Hifazat Ki Dua! ◄......✦

It was Narrated from 'Abdullah bin 'Amr bin Al-'As that: The Messenger of Allah (ﷺ) used to say these words in his supplication:

‏ "‏ اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ غَلَبَةِ الدَّيْنِ وَغَلَبَةِ الْعَدُوِّ وَشَمَاتَةِ الأَعْدَاءِ ‏"

"Allahumma inni a'udhu bika min ghalabatid-dain, wa ghalabatil-'aduwwi, wa shamatatil-a'da'.

(O Allah, I seek refuge with You from being overwhelmed with debt, from being overpowered by the enemy and from the enemy rejoicing over my misfortunes.)'"

●════════════════◄►═══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Amr RadiyAllahu Anhuma Farmate Hain Ke RasoolAllah (ﷺ) In Kalimat Ke Sath Dua Manga Karte The:

‏ "‏ اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ غَلَبَةِ الدَّيْنِ وَغَلَبَةِ الْعَدُوِّ وَشَمَاتَةِ الأَعْدَاءِ ‏"

"Allahumma inni a'udhu bika min ghalabatid-dain, wa ghalabatil-'aduwwi, wa shamatatil-a'da'.

“Aye Allah! Main Aap Ki Panah Chahta Hun Qarz Ke Bojh Se, Dushman Ke Ghalbe Se Aur Dushmanon Ke (Mujh Par) Hansne Se.”

[Sunan an-Nasa'i :: Vol. 6 :: Book 50 :: Hadith 5477, 5475]


“Doston Ki Pehchan To Sakht Halaat Mein Hoti Hai, Kyun Ke Khush Haal Aadmi Ke To Sabhi Dost Hote Hain, Aur

Badtareen Dost Woh Hai, Jo Sakht Halaat Aur Zarurat Ke Moqe Par Dost Ka Sath Chhod Jaye!

(Imam Ibn Hibban Rahimahullah - Rawdatul Uqala:221)


✦.........♥ Fajr Ki 2 Sunnaten ♥.........✦

Aishah RadiyAllahu Anha narrated that : “Allah's Messenger (ﷺ) said: "The two Rak'ah of Fajr are better than the world and what is in it.”

Urdu Translation: Hazrat Aishah RadiyAllahu Anha Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Fajr Ki 2 Sunnaten Dunya Aur Jo Kuch Dunya Mein Hai Us Se Behtar Hain.”

[Sahih Muslim :: Book 4 :: Hadith 1573, 725]