Pages

Monday, 3 September 2012


----------{ Mujhe Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Se Mohabbat Hai }----------

• Mujhe aap s.a.w se mohabbat hai kyun k Allah Tala aap se mohabbat rakhte hai.
• Mujhe aap s.a.w se mohabbat hai kyun k aap s.a.w se mohabbat rakhna goya Allah tala ka qurb hasil karna hai.
• Mujhe aap s.a.w mohabbat hai kyun k aap ne hamen deen islam ka amli ilm ata farmaya aur aap ki wajeh se hamen deen islam jaisi nemat naseeb hui.
• Mujhe aap s.a.w se mohabbat hai kyun k aap ki sirat, kitab Alllah (Quran Majid) ki aayat aur ehkam ki tafseel hai.
• Mujhe aap s.a.w se mohabbat hai kyun k aap k aqwal aur aamal rahnumai aur acchai ki roushni se bhar poor hai.
• Mujhe aap s.a.w mohabbat hai kyun k aap k aqwal aur afaal hamari duniyawi zindagi k liye faida mand hai.
• Mujhe aap s.a.w mohabbat hai kyun k aap ne deen islam k liye mushaqqat aur takleef bardasht ki aap ne Allah k paigam aur amant ham tak theek theek pohchaye.
• Mujhe aap s.a.w mohabbat hai kyun k aap ki sirat hamare liye rahnumai o azmat hai.
• Mujhe aap s.a.w se mohabbat hai kyun k aap ki hayat mubarak aur sirat nihayat khoobsurat hai.
• Mujhe aap s.a.w mohabbat hai kyun k Allah Subahn o Tala ne aap ka ism mubarak apne naam k sath lagaya hai.
• Mujhe aap s.a.w se mohabbat hai kyun k aap ki hayat mubarak hamen Quran aur Sunnat ko samajhne me madat faraham karti hai.
• Mujhe aap s.a.w se mohabbat hai kyun k aap nabuwwat k khatima ki maher hai yani aap khatamulambiya hai (aakhri nabi aur rasool) hai aur aap s.a.w k baad koi doosra nabhi mab’oos nahi hoga.
• Mujhe aap s.a.w se mohabbat hai kyun k aap ambiya k sardar hai.
• Mujhe aap s.a.w se mohabbat hai kyun k aap k akhlaq aur imandari ki zamant us waqt k kuffar o mushrkeen aur aaj k gair muslim bhi dete hai.

Shuru Allah k Naam se: Agr ham is Quran ko kisi pahad par utarte to tu daikhta k khoufe-ilahi se wo pst hokar tukdai tukdai ho Jata, hum in Misalon ko logon k samne bayan kartain hai ta k wo gour o fikr karain.(Surah:Al-Hashr, Surah No:59, Aayat No:21)

Had We sent down this Quran on a mountain, verily, thou wouldst have seen it humble itself and cleave asunder for fear of Allah. Such are the similitudes which We propound to men, that they may reflect.(The Holly Quran - Chapter 59 , Al- Hashr - Verse 21)


---------------------{ Kabhi Dil na MAA BAAP ka Todna }---------------------

Maa Baap duniya me doulat badi, Khuda ki taraf se hai Naimat badi,
Unhi k hai dam se faragat badi, Jo chaho jahan me sa’adat badi,
Kabhi dil na maa baap ka todna, Ita’at se un ki nah muh modna,
Kabhi tum the aik gosht ka lothda, Tumhen bolna tak bhi aata na tha,
Us halat me tum ko sahara diya, Ye ehsan hai un ka kitna bada,
Kabhi dil na maa baap ka todna, Ita’at se un ki nah muh modna,
Khilaya pilaya jhulaya tumhen, Chaln zindagi ka bataya tumhen,
Rahe haq pe chalna sikhaya tumhen, Haqiqat me insan banaya tumhen,
Kabhi dil na maa baap ka todna, Ita’at se un ki nah muh modna,
Unhon ne jahan bhar ki mehnat sahi, Zamane ki begar kilfat sahi,
Tumhare liye har musibat sahi, Padi jo bhi din raat aafat sahi,
Kabhi dil na maa baap ka todna, Ita’at se un ki nah muh modna,
Agar chahte ho k jannat mile, Sa’adat ki doulat se daman bharen,
Har aik aadmi tum ko shabashi den, Khuda bhi tum se sada khush rahen,
Kabhi dil na maa baap ka todna, Ita’at se un ki nah muh modna.

Mat Nazar Andaaz Karna “MAA” “BAAP” ki Takleefon ko,
---------------------{ Aye Mere Pyaron }---------------------
Jab ye Bicharte Hai to Resham k Takye par Bhi Neend Nahi Aati.


Shuru Allah k Naam se: Aur har tarah k maiwe kha aur apne rab ki aasan rahon me chalti phirti rah, un k pait se rang barang ka mashroob nikalta hai, Jis k rang mukhtalif hai aur jis me logon k liye shifa hai gour o fikr karne walon k liye is me bhi bahot badi nishani hai.(Surah:Al-Nahl, Surah No:16, Aayat No:69)

Then to eat of all the produce (of the earth), and find with skill the spacious paths of its Lord: there issues from within their bodies a drink of varying colours, wherein is healing for men: verily in this is a sign for those who give thought.(The Holly Quran - Chapter 16 , Al-Nahl - Verse 69)


-------------------------------{ Sonchne ki Baat hai }-------------------------------

• Ham ne khuda ko pehchana magar us ki mar’rifat ka Haq ada na kiya.
• Ham ne Quran padha magar us per aml na kiya.
• Ham ne Rasool s.a.w se mohabbat ki magar sunnat par aml na kiya.
• Ham ne adawat shaitani ka dawa kiya magar us ki mukhalifat na ki.
• Ham ne jannat ko chaha magar us me dakhil hone ka saman na banaya.
• Ham ne jahannam se panah mangi magar khud hi apne nafso ko us me daal diya.
• Ham ne mout ko brhaq jana magar us k liye tayyari na ki.
• Ham ne doosron ki aaib joi ki magar apne aayeb na daikhe.
• Ham ne Allah ki naimten khai magar us ka shukr ada na kiya.
• Ham ne murdon ko dafan kiya magar ibrat hasil na ki.
• Dua hai k Allah hamen apne shukr guzar bandon me shamil hone ki toufeeq ata farmaye Aameen.

---------------------{ Apni Duao me Yaad Rakhe Abuzar ko }---------------------



Shuru Allah k Naam se: Aur Allah aasman se pani barsa kar is se zameen ko us ki mout k baad zinda kar daita hai, yaqinan is me un logon k liye nishani hai jo sune. (Surah:Al-Nahl, Surah No:16, Aayat No:65)

And Allah sends down rain from the skies, and gives therewith life to the earth after its death: verily in this is a sign for those who listen.(The Holly Quran - Chapter 16 , Al-Nahl - Verse 65)


-----------{ Assalamu Alaikum Warahamatullahi Wabarakatuhu }-----------

I need ALLAH every second, every minute, every hour and every day...♥:)



----------------------------{ Har Har Lafz Pyara }----------------------------

• Adab insan ka zewar hai.
• Dua aik aisi ibadat hai, jis me ham Allah Tala se baten kar sakte hai.
• Sab se behter loqma wo hai , jo apni mehnat se hasil kiya jaye.
• Apni Dua me ye zaroor mango k tumhara ekhtetam Iman per ho.
• Khairat maal me izafa karti hai.
• Rishwat insaf ko khajati hai.
• Jhoot rizq ko kha jata hai.
• Duniya ka gam dil me tariqi aur Aakhirat ka gam dil me Noor paida karta hai.
• Doulat k bhooke ko kabhi haqiqi rahat nahi milti.
• Jo log apna gam chupa kar muskurate hai, wo azeem hote hai.
• Zameer hamare andar us aawaz ka naam hai, jo hamen khabardar karti hai k koi hamen daikh raha hai.
• Murjhaye huwe phool bahar me taza ho sakte hai lekin guzre huwe din kabhi lot kar nahi aate.
• Mahenti aadmi ka hath, us ko kabhi na kabhi doulat mand bana deta hai.

Kabhi us ko Nazar andaz na karo jo Tumhari bahot parwah karta hai, Warna kisi din tumhen ehsas hoga k patthar jama karte karte tum ne Hira ganwa diya.(Hazrat Ali r.a)


Shuru Allah k Naam se: Allah Tala ki Rassi ko sab mil kar mazboot tham lo aur Phoot na dalo.(Surah:Al-Imran, Surah No:3, Aayat No:103)

And hold fast, all together, by the rope which Allah (stretches out for you), and be not divided among yourselves;(The Holly Quran - Chapter 3, Al-Imran - Verse 103)


-----------{ Namaz Say ye mat Kaho, Mujhe Bahot say kaam Hain }-----------
----------------{ Kaho to kaam say Yehi, Namaz to Namaz hai }----------------

--{ Namaz na padhne k bahane }--

• Aap chale mai aata hu,
• Time hi nahi milta,
• Mai na paak hu,
• Mera mood nahi hai,
• Juma se pakka padhunga,
• Dua me yaad rakhna,
• Dukan koun dekhe ga?
• Allah hidayat hi nahi deta.

Sawal: kya Namaz na padhne k ye bahane kal ko hamen jahannam ki aag se bacha sakenge? ------------------ Jawab: Nahin ! Har giz Nahin !

Kyun k : Allah subhana wa ta'ala Faramate hai: “ k jab jannati log jahannamiyo se puchenge k tum ko kis cheez ne jahannam me dala? To wo kahenge k ham Namaz nahi padhte the.(surah:muddassir, surah no:74, aayat no:42-43)

Yaad Rakho! Quran ne hamen batadiya ab Faisla hamara hai.

Jahannam ------------------ Ya ------------------ Jannat ?

Shuru Allah k Naam se: Tum na susti karo aur na gamgeen ho, tum hi galib rahoge, agar tum Imandaar ho.(Surah:Al-Imran, Surah No:3, Aayat No:139)

So lose not heart, nor fall into despair: for ye must gain mastery if ye are true in Faith.(The Holly Quran - Chapter 3, Al-Imran - Verse 139)


---------------{ Jism par do gaz kafan Mitti pe sir kaisa laga? }---------------

---------------- Aakhirat ko bhool baitha fikr duniya k iwaz
---------------- Mout ka hamla achank be khabar kaisa laga?
---------------- Haste haste tu ne duniya me guzari zindagi
---------------- Ab naya zair e zameen tang ghar kaisa laga?
---------------- Dafan kar k qabar me sab be rukhi se chal diye
---------------- Jis se tu ne manoos tha ab wo bashar kaisa laga?
---------------- Tu hasta karta tha aouron ko pareshan daikh kar
---------------- Chal diya apno ko rota chhod kar kaisa laga?
---------------- Ab na wo takye mulayem aur na wo bister makhmal
---------------- Jism per do gaz kafan mitti pe sir kaisa laga?

--{ Mout ki Yaad }--

---------------- Pehley to yeh sochiye mein kis qadr bemaar hu,
---------------- Aur phir marney ko goya (yani) ab to mein tayaar hu,
---------------- Baad is ke sochiye mein mar gaya rotey hai sab,
---------------- Merey marne ki khabar sunkar jama’a hotey hai sab,
---------------- Mujhe takhtey par litaya aur nehlane lagey,
---------------- Phir kufn kuch logh mil kar mujhko pehlaney lagey,
---------------- Ab mujhe sab dekhtey hai aakhiri deedar hai,
---------------- Sab ke dil mein hasratein hai, sab ke dil mein pyar hai,
---------------- Ab janaza hai mera tayyar lejane lagey,
---------------- Ahle-khana ko mere kuch logh behlaney lagey,
---------------- Laa kar mayyet ko meri masjid ke bahr rakh diya,
---------------- Aur phir mera janaza sab ne mil kar padh liya,
---------------- Ab mujhe kuch logh qubristan lejaney lagey,
---------------- Phir woh qubristan pohonch kar mujhko dafnaney lagey,
---------------- Kal tak jo apnay they woh aaj beganey lagey,
---------------- Jab andherey mein mujhe sab chor kar janey lagey,
---------------- Qabr mein ab mein hu tanha paas hai munkir naqeer,
---------------- Jaan be haq se yeh goya aaein hai ban ke shafi,
---------------- Ab unho ne jo kiya mujhse agr koi sawal,
---------------- Paas to kuch bhi nahi is “bad amal” ke “juz malal”.


Shuru Allah k Naam se: Gunah ka bakhash ne wala aur toba ka Qabool farmane wala, sakht Azab wala, In’am o qudrat wala, Jis k siwa koi mabood nahi, usi ki taraf wapas loutna hai.(Surah: Ghafir (Forgiver) or Al-Mu’min (The Believer), Surah No:40, Aayat No:3)

Who forgiveth sin, accepteth repentance, is strict in punishment, and hath a long reach (in all things). There is no god but He to him: is the final goal.(The Holly Quran - Chapter 40, Ghafir (Forgiver) or Al-Mu’min (The Believer) - Verse 3)


--------------{ Mere Pyare Bhai aur Bahen “ Sirf 1mnt ” }--------------

**{ Ab Padhiye }**

3 baar Subhanallah سبحان اللہ
3 baar Alhumdulillah الحمد اللہ
3 baar Allahuakbar اللہ اکبر
3 baar pehla kalima, la ilaha illallah muhammadur rasulullah,
لاَ اِلٰہ اِلَّا اللہ مُحَمَّدُ رَّسُولُ اللہ
3 baar, Subhanallahi wa Bihamdihi Subhanallahil Azeem,
سُبحَانَ اللہِ وَبِحَدِہٖ سُبحَانَ اللہِ العَظِیم
3 baar surah:ikhlas, "Qul hu wallahu ahad. Allah hus-samad. lam yalid walam yulad. walam yakul-lahu kufuwan ahad."
قُل ھُوَ اللہُ اَحَد ۔ اَللہُ الصَّمَد ۔ لَم یَلِد وَلَم یُولَد ۔ وَلَم یَکُن لَہٗ کُفُوًا اَحَد۔

----------------{ Aik din Aap ko Is 1mnt per Naaz Hoga }----------------


--------------------------{ Kya kabhi Aap ne Soncha }--------------------------

• Hum Allah Tabarak o tala ko to mante hai magar Allah Tabarak o tala ki Nahi mante.
• Nabi akram s.a.w ko to mante hai lekin un ki sunnat per pura aml nahi karte.
• Quran kareem ko to mante hai lekin us k ehkamat par poora aml nahi karte.
• Aakhirat ko to tasleem karte hain magar Aakhirat k liye koi tayyari nahi karte.
• Kya in halat me ham waqai musalman kehlane k haqdar hain.(Zara sonchiye).

---------------{ Pyari Baaten }--------------

• Sharm ki kashish husn se zyada hoti hai.
• Rona dil ko raoushan karta hai.
• Maa Baap ki khidmat dono jahan me azmat hai.
• Aoulad k liye jo cheez ghr lao pehle ladki ko do phir ladke ko.
• Duniya me sab se khatarnak gussa jawani ka hai.
• Kisi ka dil na dukhao kyun k tum dil rakhte ho.
• Guftagu chandni hai aur khamushi sona.
• Kisi se milte waqt muskura dena sadqa hai.
• Gunah se bachna sab se badi naiki hai.
•Hamesha sach bolo ta k qasam khnae ki zarurat na padhe.


Shuru Allah k Naam se: Jo shaqs Allah ka aur us k Farishton aur us k Rasoolon aur jibraeel aur mikaeel ka dushman ho, aise kafiron ka dushman khud Allah hai.(Surah:Al-Baqarah, Surah No:2, Aayat No:98)

Whoever is an enemy to Allah and His angels and prophets, to Gabriel and Michael – lo! Allah is an enemy to those who reject Faith.(The Holly Quran - Chapter 2 Al-Baqarah - Verse 98)


---------{ Allah Tala k Napasandidah Log "Quran Majid ki Roushni me" }----------

• Allah Tala zyadati karne walon ko pasand nahi farmata.(surah:al-baqarah, aayat no:190)
• Allah Tala kafiron se mohabbat nahi karta.(surah:al-imran, aayat no:32)
• Aur Allah Tala zalimon se mohabbat nahi karta.(surah:al-imran, aayat no:57)
• Allah Tala takabbur karne walon aur shaikhi khoron (badai karne) ko pasnd nahi farmata.(surah:al-nisa, aayat no:36)
• Yaqinan daga baaz gunahgar Allah Tala ko accha nahi lagta.(surah:al-nisa, aayat no:107)
• Aur Allah Tala fasad karne walon se mohabbat nahi karta .(surah:al-maidah, aayat no:64)
• Allah Tala had se badhne walon ko pasnd nahi karta.(surah:al-maidah, aayat no:87)
• Aur beja na udana k Allah Tala be ja udane walon ko dost nahi rakhta.(surah:al-an’am, aayat no:141)
• Allah Tala khayanat karne walon ko pasand nahi farmata. (surah:al-anfal, aayat no:58)
• Allah Tala garoor karne walon ko pasand nahi farmata.(surah:al-nahl, aayat no:23)
• Beshak Allah Tala kisi khayant karne wala na shukra Allah Tala ko har giz pasand nahi.(surah:al-haj, aayat no:38)
• Allah Tala itrane walon se mohabbat nahi rakhta.(surah:al-qasas, aayat no:76)


Shuru Allah k Naam se: Wo paak zaat hai jis ne har cheez k jodai paida kiye kwah wo zameen ki ugai huwi cheezain hon, kwah khud un k nufoos hon, kwah wo (cheezain) hon jinhen ye jante bhi nahi.(Surah:Yasin, Surah No:36, Aayat No:36)

Glory to Allah, Who created in pairs all things that the earth produces, as well as their own (human) kind and (other) things of which they have no knowledge.(The Holly Quran - Chapter 36 , Yasin - Verse 36)


---------------------{ Gour o Fikr karo - Soncho - Samjho }---------------------

“ Aur jo musibat tum per Aati hai wo tumhare apne af’aal ki waje se hoti hai.(surah:al-shura, aayat no:30)

*{ Agr Zindagi me kamiyabi chahte hain, to Apni shakhsiyat ki tameer kijiye }*

• Apne dil o dimag aur tamam salahiyaton ko hamesha naik khayalat aur acche kamo me mashgool rakhiye.
• Zindagi me is qadar kam kijiye k bure khayalat sonchne aur ranj o gam se pareshan hone ki fursat hi na mile.
• Jo shaksh apni tabiyat ko har waqt kisi na kisi acche kaam me lagaye rakhta hai wo hamesha khush rahta hai lekin us k khilaf jo aadmi be kar aur sust rahta hai us per pareshaniya har waqt sawar rahti hai.
• Subah o sham apne aamal aur khayalat ka hisab lete rahen.
• Sote waqt din bhar ki kar guzariyan aur khayalat ka andaza kijiye ta k in se aap ko pata chal jaye k aap ne kitne gunah kiye, kitni galatiyan ki aur kitni naikiyan ki, pasti aur kamzori se koun koun se khayalat jama huwe aur umda khayalat ko kitna waqt diya.
• Phir gunahon ki muaafi mangiye aur kamzoriyon ko door karne ka pokhta wada kijiye.
• Doosron ki izzat kijiye to aap ki izzat hogi.
• Buri sohbat se tanhai behter hai aur gandi guftagu se khamushi faida mand hai.


Shuru Allah k Naam se: Kya tum ye samajh baithe ho k tum Jannat me chale jao ge, halanke ab tak Allah Tala ne ye zaher nahi kiya k tum me se Jihaad karne wale koun hai aur Sabr karne wale koun hai?.(Surah:Al-Imran, Surah No:3, Aayat No:142)

Did ye think that ye would enter heaven without Allah testing those of you who fought hard (in his cause) and remained steadfast?.(The Holly Quran - Chapter 3, Al-Imran - Verse 142)


------------------------{ Baton se Khushbon Aaye }------------------------

-------- Shikayat mat kar --------

• Apni qismat ki
• Aoulad k samne apne badon ki.
• Apna zati makan hote huwe makan ki tangi ki.
• Bhool kar bhi apne Maa Baap aur ustad ki.
• Gair k samne apne dost ki.
• Biwi k samne un k ghar walon ki.
• Rokhsat karne k baad apne mehman ki.

------------ Mat Kar ------------

• Irshad khudawandi aur Ahkam Rabbani se kinara kashi.
• Sunnat Nabwi s.a.w se Ai’teraz.
• Kisi per zulm
• Haq baat se inkar.
• Bagair Etemad k kisi per bharosa.
• Bagair mashware k koi kaam.
• Kisi per nokta chini.
• Rishtadaron se qata tal’luqi.
• Hajat mand rishtedar ko na ummeed.
• Peeth k piche kisi ki burai.
• Kisi k kehne per sonche samjhe bagair aml.

• Jab Kabhi bolna Waqt per bolna, Muddaton sonchna Mukhtasar bolna.


Shuru Allah k Naam se: الم*Is kitab (k Allah ki kitab hone) mai koi shak nahi, parhaiz garon ko rah dikhane wali hai.(Surah:Al-Baqarah,Surah No:2, Aayat No:1-2)

Alif Lam Mim This is the Book , in it is guidance sure, without doubt, to those who fear Allah;(The Holly Quran - Chapter 2 Al-Baqarah - Verse 1-2)


------------{ Aye Abuzar Kash k Tu ne Kuch to Fikre Aakhirat ki Hoti }------------

Youmul Hasrt (Afsos): Qayamat ka din kuffar aur fussaq o fujjar k liye shadeed hasrt aur pachtawe ka din hoga, insan hasrt o yaas (na ummidi, mayusi, khowf) k sath apni nakami per aansu bahaye ga, Quran Majid me Qayamat k roz insan ki un hasraton aur pachtawo ka Allah Tala ne ja baja zikr farmaya hai Chnd muqamat ka tarjuma paish khidmat hai.

• Kash! Mera aamal nama mujhe na diya jata, mai na janta k mera hisab kya hai, kash! Duniya ki mout hi faisla kun hoti.(surah:haqqah, aayat no:25 to 27)
• Kash! Roze jaza bahot door hota.(surah:imran, aayat no:30)
• Kash! Zameen phath jaye aur mai us me sama jaon.(surah:nisa, aayat no:42)
•Kash! Meri aoulad, meri biwi, mera bhai, mera khandan aur duniya k sare log pakad liye jaye aur mai riha ho jaon.(surah:ma’arij, aayat no:11 to 14)
• Kash! Allah Tala hamare aazab me aik din ki hi kami karde.(surah:momin, aayat no:49)
• Aye kash mai mitti hota.(surah:naba, aayat no:40)
• Hum apne gunahon ka aateraf karte hai ab yahan se koi nikalne ka rasta hai? (surah:momin, aayat no:11)
• Us roz zalim (hasrt aur pachtawe ki wajeh se) apne haton ko chabayega.(surah:furqan, aayat no:27)
• Haye afsos! Qayamat k muamle me ham se sakht galati hui.(surah:an’am, aayat no:31)
• Aap s.a.w ka irshad mubarak hai “ jahannami (hasrt aur pachtawe ki wajeh se) jahannam me is qadar aansu bahayen ge k agar un me kashtiya chalai jaye to chalne lagen.”(hakim)
• Aik hadees me aap s.a.w ne farmaya “Jannat aur Jahannam me chale jane k baad jab mout ko sab k samne zabah kardiya jayega to jahannamiyon ko is qadar gam aur pachtawa lahaq hoga k agar gam se marna mumkin hota to marjate.(tirmizi)

Sawal ye hai k In Hasrt aur Pachtawe se do char hone ka sabab kya hoga? Is ka zikr bhi Allah Tala ne khud Quran Majid me kardiya hai. Is ki wujuhat darj zail hogi.

• Kash! Mai ne Rasool ki rah ekhtiyar ki hoti, kash! Mai ne fula fula (gumrah aadmi) ko dost na banaya hota.(surah:furqan, aayat no:27-28)
• Kash! Mai Allah ki janab me Gustakhiya na karta (aur islami ehkam) ka mazak na udata.(surah:zumar, aayat no:56)
• Kash! Hum acchi tarah sunte aur aqal se kam lete to aaj jahannamiyon me shamil na hote.(surah:mulk, aayat no:10)
• Kash! Mai ne apni zindagi k liye kuch aage bheja hota.(surah:fajr, aayat no:24)
• Kash! Ham ne Allah aur us k Rasool ki ita’at ki hoti.(surah:ahzab, aayat no:66)

Tamam nukat ko ikhatta kiya jaye to is ka khulasa ye hoga k Qayamat k roz is dard naak anjam aur almnaak pachtawe ka sabab sirf aik hi hoga. “ Allah aur us k Rasool s.a.w ki Nafarmani”.

Shuru Allah k Naam se: Pas paak hai wo Allah jis k hath main har cheez ki badshahat hai aur jis ki taraf tum sab laotaye jaogai.(Surah:Yaseen, Surah No:36, Aayat No:83)

So glory to Him in Whose hands is the dominion of all things: and to Him will ye be all brought back. (The Holly Quran - Chapter 36, Yaseen - Verse 83)


-----------------------{ Haqiqi Zindagi (Aakhirat) k Halat }-----------------------

Marne k baad insan ko paish aane wale marahel jin me Barzakh, Soor, Nushoor, Hashar, Hisab, Mizan aur Sirat wagaira shamil hai, kis qadar kathin aur mushkil honge us ka andaza Zail aayat se lagaya ja sakta hai.

-----------------------{ Irshade bari Tala hai }-----------------------

• Qayamat ka din baccho ko budha kardega.(surah:muzammil, aayat no:17)
• Logon k kalije muh ko aajayenge, wo gam se bhare honge, lekin koi gamkisar aur sifarashi muyassar nahi aaye ga.(surah:mumin, aayat no:18-19)
• Us roz k azab se bachne k liye mujrm chahe ga k apni aoulad, apni biwi, apne bhai, apne khandan ko, jo us ka sahara tha, hatta k roye zameen ki har cheez ko fidya de de lekin aisa mumkin nahi hoga.(surah:ma’arij, aayat no:11 to 15)
• Us roz di de pathra jayenge, chand gehna ho jayega, suraj aur chand miladiye jayenge, insane kahe ga “kaha bahg k jaon?” lekin us roz koi jaye panah nahi milegi.(surah:qiyamah, aayat no:6 to 11)
• Us roz zalim (afsos aru nadamt se) apne hath kat kar khayega aur kahe ga “Aye kash! Mai ne rasool ka rasta apnaya hota haye meri bad bakhti main e fula (gumrah aadmi) ko apna dost na banaya hota”.(surah:furqan, aayat no:27-28)

--------------{ Chnd Ahadees Sharifa Mulahiza Hon }--------------

• Insan ki paidayesh se lekar mout tak jitni bhi taklifen insan per aati hai, mout ki taklif un sab se zyada hai aur mout k baad aane wale marahel ki takleef mout se kahi zyada hai.(tabarani)
• Log apni qabron se nange paon, nange badan aur be khtna uthaye jayenge, Hazrat Ayesha r.a ne arz kiya “ya Rasulullah s.a.w! kya log aik doosre ki taraf daikhenge nahi? Aap s.a.w ne farmaya “us roz ki musibat itni zyada hogi k kisi shaksh ko kisi doosre ki taraf daikhne ka hosh hi nahi hoga”.(muslim)
• Maidane hasahr me, jaha log nange paon aur nange badan honge, suraj aik meel k fasle per le aaya jayega, log apne apne aamal k mutabiq pasine me doobe huwe honge koi takhno tak, koi guthno tak, koi kamar tak aur kisi ko pasine ki (muh me) lagam aayi hogi.(muslim)
• Hashar ka din 50 hazar saal k bara bar hoga.(muslim)
• Logon ko hashar me itni takleef aur pareshani hogi jis ki wo taqat nahi rakhte honge aur bardasht nahi kar payenge.(bukhari)
• Aik aadmi ko pasine ki lagam aayi hogi aur wo dua mange ga “ya Rab! Is musibat se mujhe najat de khwah jahannam me hi bhej de.(tabarani)
• Jab pulsirat jahannam per rakha jayega to har taraf tareeqi cha jaye gi aur logon ko pulsirat se guzarne ka hukm diya jayega jo k baal se zyada bareek aur talwar ki dhaar se zyada taiz hoga, us waqt tamam Ambiya bhi Allah Tala se apni apni Aafiyat ki dua mangen ge.(muslim).


Shuru Allah k Naam se: Agr Allah Tala apni rozi rok lain to batao koun hai jo phir tumhe rozi daiga? bal k (kafir) to sarkashi aur badkane per udgaye hai.(Surah:Al-Mulk, Surah No:67, Aayat No:21)

Or who is there that can provide you with Sustenance if He were to with hold His provision? Nay, they obstinately persist in insolent impiety and flight (from the Truth).(The Holly Quran - Chapter 67 , Al-Mulk - Verse 21)


----------------------------{ Bhala Wo Kaise Payenge }----------------------------
----------- Ilm ---- Izzat ---- Rahat ---- Bulandi ---- Doulat ---- Dua ------------

• Ilm: ko Allah ne bhook aur safar me chupa rakha hai magar log use watan aur khane pine me talash karte hain bhala wo kaise payenge?

• Izzat: ko Allah ne apni ita’at me chupa rakha hai magar log use badshahon k dr pr talash karte hain bhala wo kaise payenge?

• Rahat: ko Allah ne jannat me chupa rakha hai magar log use duniya me talash karte hai bhala wo kaise payenge?

• Bulandi: ko Allah ne aajizi o Inkisari me chupa rakha hai magar log use garoor o takabbur me talash karte hai bhala wo kaise payenge?

• Doulat: ko Allah ne qina’at me chupa rakha hai magar log use aish o ishrat me talash karte hai bhala wo kaise payenge?

• Dua: ki qabuliyat: ko Allah ne loqma halal me chupa rakha hai magar log haram zaraye me talash karte hai bhala wo kaise payenge?

Shuru Allah k Naam se: Tum bahtareen ummat ho jo logon k liye paida ki gai hai k tum naik baton ka hukum karte ho aur buri baton se rokte ho, aur Allah Tala per Iman rakhte ho.(Surah:Al-Imran, Surah No:3, Aayat No:110)

Ye are the best of peoples, evolved for mankind. Enjoining what is right, forbidding what is wrong, and believing in Allah.(The Holly Quran - Chapter 3, Al- Imran - Verse 110)



---------------{ Tasalli Dil Ko Milti Hai Khuda Ko Yaad Karne se }---------------

Ilahi mai fazlo karam mangta hun, Tere deen ka fahem o atam mangta hun,
Rahu deen haq per mai qayem hamesha, Rahen deen pe sabit qadam mangta hun,
Mai mohtaj har aan o hajat rawa tu, Ata kar ata dm badam mangta hun,
Banu faiz bari se mahboob yarab, Samajh kar dua ye ahem mangta hun,
Mere walidain k liye ya ilahi, Mai dono Jahan k ni’am mangta hun,
Mere uqraba k liye mere moula, Do aalm ka khair o atam mangta hun,
Mere sathiyon ko bana ahle jannat, Karam phir karam phir karam mangta hun,
Wo sab mangta hu jo manga Nabi (s.a.w) ne, Jamal zore qalam mangta hun,
Ilahi mai fazlo karam mangta hun, Tere deen ka fahem o atam mangta hun.
Ilahi ye tujh se hamari dua hai, yahi aik sda hai yahi ilteja hai,
K ya Rab burai se hum ko bachale, Jo rasta ho seedha wo hum ko dikhadain,
Ho duniya me Islam ka bol bala, Ho charon trf Naikiyo ka ujala,
Nai roshni dain nai himmatain dai, Naya Josh dai Nai Taqatain Dai,
Tu sacchai ki hum ko doulat ata kr, Hamare dilo me Mohabbat ata kr,
Ata kr wo toufeeq hum ko khudaya, K hum per rahe teri rahmat ka saya,
Yahi hai Dua mere ya ilahi, Ata kr wo sub kuch Jo tujh ko pasnd ho,
Jo manga hai wo bhi ata kr, Ja mange se rhgya wo bhi ata Kr ,
Yahi hai dua mere ya ilahi, Qabool kr Hamari Is choti Dua ko.Aameen.


Shuru Allah k Naam se: Wahi Allah hai Paida karne wala Wajood bakhshne wala, Surat banane wala, usi k liye (Nihayat) Acche Naam hai, har Cheez kwah wo Aasmanon me ho kwah Zameen me hon us ki paki bayan karti hai, aur wahi Galib hikmat wala hai.(Surah:Al-Hashr, Surah No:59, Aayat No:24)

He is Allah, the Creator, the Evolver, the Bestower of Forms (or Colours). To Him belong the Most Beautiful Names; whatever is in the heavens and on earth, doth declare His Praises and Glory: and He is the Exalted in Might, the Wise.(The Holly Quran - Chapter 59 , Al- Hashr - Verse 24)


------------------------{ Yaad Rakh……………………! }------------------------

• Sirf jina hi zindagi ka maqsad nahi tu ne marna bhi hai yaad rakh.
• Umda libaas ki shaan wale sufaid kafan bhi yaad rakh.
• Unche makan k shaidai qabar ki gehrai bhi yaad rakh.
• Lazeez pakwan khane wale qabar k keede bhi yaad rakh.
• Burai kar k jhoomne wale mout ki sakhti bhi yaad rakh.
• Duniya ka hisab rakhne wale aakhirat ka hisab bhi yaad rakh.
• Duniya ki roushni me mast rahne wale qabar ka andhera bhi yaad rakh.

--------------------------{ Behtareen Biwi Koun…………? }--------------------------

• Jo apne shohar ki farmanbardari aur khidmat guzari ko apna farz mansabi samjhe.
• Jo apne shohar k tamam huqooq ada karne me ko tahi na karen.
• Jo apne shohar ki khubiyon per nazar rakhe aur us k uyoob aur khamiyon ko nazar andaz karti rahe.
• Jo khud takleef utha kar apne shohar ko aaram pohchane ki hamesha koshish karti rahe.
• Jo apne shohar se us ki aamdani se zyada ka mutaliba na kare aur jo mil jaye us per sabr o shukr k sath zindagi basar kare.
• Jo apne shohar k siwa kisi ajnabi mard per nigah na dale na kisi ki nigah apne oopher padhne de.
• Jo parde me rahe aur apne shohar ki izzat o namoos ki hifazat kare.
• Jo shohar k maal aur makan o saman aur khud apni zaat ko shohar ki amant samajh kr har cheez ki hifazat o nigehbani karti rahe.
• Jo apne shohar ki musibat me apni jani o mali qurbani k sath wafadari ka saboot de.
• Jo mazhab ki pabnd aur deendar ho huqooq Allah o huqooq ul ibad ko ada karti ho.
• Jo padosiyon aur milne julne wali aourton yani saas nanand sasurali rishtedar k sath khush akhlaqi aur sharaft ka bartao kare.
• Jo maika o sasural dono gharon me har dil azeez aur ba izzat ho.

Shuru Allah k Naam se: Wahi Allah hai jis k siwa koi Mabood nahi, Badshah, Nihayat paak, sub Aaibo se saaf, Amn dene wala, Nigehban, Galib zor aawar, aur Badai wala, Paak hai Allah un cheezon se jinhen ye us ka shareek banate hai.(Surah:Al-Hashr, Surah No:59, Aayat No:23)

Allah is He, than Whom there is no other god; the Sovereign, the Holy One, the Source of Peace (and Perfection), the Guardian of Faith, the Preserver of Safety, the Exalted in Might, the Irresistible, the Supreme: Glory to Allah! (high is He) above the partners they attribute to Him.(The Holly Quran - Chapter 59 , Al- Hashr - Verse 23)


---------------------------------{ Sirf Aik Baar }-------------------------------

• Kisi ne kaha k bachpan aik baar milta hai, khoob khail kood kar lo….
• Kahin se aawaz aai College aur University life aik baar milti hai khoob masti karlo
• Kisi ne kaha Jawani diwani hai, sare maze karlo….
• Lekin afsos kisi ne ye nahi kaha k Zindagi bhi sirf aik baar milti hai.

-----------------------------{ Allah ko Razi karlo }-----------------------------

------------------------{ Behtareen Shohar Koun..........? }------------------------

• Jo apni biwi k sath narmi, khush khalqi aur husne sulook k sath paish aaye.
• Jo apni biwi k huqooq ada karne me kisi qism ki gaflat aur kotahi na kare.
• Jo apni biwi ka is tarah ho kar rahen k kisi ajnabi aourat per nigah na dale.
• Jo apni biwi ko apne aish o ishrat me bara br samjhe.
• Jo apni biwi per kabhi zulm aur kisi qism ki be ja zyadati na kare.
• Jo apni biwi ki tand mizaji aur bad akhlaqi per sabr kare.
• Jo apni biwi ki khubiyo per nazar rakhe aur mamuli galatiyon ko nazar andaz kare.
• Jo apni biwi ki musibaton bimariyon aur ranj o gam me dil joi timardari aur wafadari ka saboot de.
• Jo apni biwi ko parde me rakh kar izzat o aabru ki hifazat kare.
• Jo apni biwi ko zillat o ruswai se bachaye rakhe.
• Jo apni biwi ko deendari ki takeed karta rahe aur shari’at ki raah per chalaye.
• Jo apni biwi k akhrajaat me bakhili aur kanjoosi na kare.
• Jo apni biwi per is tarah control rakhe k wo kisi burai ki taraf rukh bhi na kar sake.


Shuru Allah k Naam se: Aap Sbr krtai rahiye yaqinan Allah Tala Naiki karne walon ka Ajr zaye nahi krta.(Surah:Hud, Surah No:11, Aayat No:115)

And be steadfast in patience; for verily Allah will not suffer the reward of the righteous to perish.(The Holly Quran - Chapter 11 , Hud - Verse 115)


--------------------------------{ Doulat Aur Mitti }------------------------------

• Doulat Mitti ki tarah hoti hai aur Mitti ko pao k niche rahna chahiye agar us ko sir per Chadhao ge to Qabar ban jayegi, aur Qabaren zinda insano k liye Nahi hoti.

• Jub nakhun bdh jate hain to Nakhun hi kate jate hai Ungliyan nahi kati jati Bilkul isi tarah jb kisi Rishte me galat fahmi paida hojayen to Galat fahmi khatam karni chahiye Rishta nahi.



**{ Shirkiya Pukar ----------- Shirk aur Touheed ----------- Quran ki Pukar }**

• Bhar do jholi meri ya Muhammad s.a.w ------ Aye Nabi s.a.w aap kehde k mai tumhare nafa o noqsan k bare me kuch bhi ekhtiyar nahi rakhta.(surah:jin, surah no:72, aayat no:21).

• Ye sab tumhara karam hai aaqa ------ Ye sab mere Rab ka Fazl hai.(surah:Naml, surah no:27, aayat no:40).

• Kuch bhi mangna hai dare Mustafa se mango ------ Aur farmaya tumhare Rab ne! Mujhe pukaro mai tumhari duayen Qabool karunga.(surah:mu’min, surah no:40, aayat no: 60).

• Shahbaz kare parwaz te jane haal dila den ------ Aur Allah dilo k haal tak janta hai.(surah:imran, surah no:3, aayat no:154).

• Rkh laj meri lj pk bachale mujhko gam tu qalandar lal ------ Aur Allah jise Chahta hai Izzat deta hai aur jise Chahta hai zillat deta hai.(surah:imran, surah no:3, aayat no: 26).

• Nurani noor hai har bala door hai ------ Aur jinhen tum Allah k siwa pukarte ho wo khajoor ki ghutli k Chil k jitna bhi Ekhtiyar nahi rakhte.(surah:fatir, surah no:35, aayat no:13).

• Sare Nabi tere dar k sawali shahe Madina ------ Aye logon! Tum sab Allah k dar k Faqeer ho aur Allah wo be niyaz aur Tareef k layeq hai.(surah:fatir, surah no:35, aayat no:15).

• Jhole laal Khushiya de Gam taal ------ Aur Allah agr tumhen musibat me daal den to koun hai jo tumhen us musibat se nikal de aur agr wo tumhen khair se nawazna chahe to wo har cheez per qadir hai.(surah:an’am, surah no:6, aayat no:17).

• Aye moula ali aye shaire khuda meri kashti paar laga dena ------ Jab ye kashti me sawar hote hai to apne deen ko khalis kar k sirf Allah ko pukarte hai lekin jab wo najat de kar khushki par utar deta hai to wo yaka yak shirk karne lagte hai.(surah:ankabut, surah no:29, aayat no:65).

• Baba shah jamal puttar (beta) de de rata laal ------ Zameen aur Aasman ki badshai Allah hi k liye hai wo jo chahta hai paida karta hai jise chahe betiya ata karta hai aur jise chahe bete ata karta hai aur jise chahe dono (ladke, ladkiya) ata karta hai aur jise chahe be aulad rakhta hai, Behsak wo janne wala Qudrat wala hai.(surah:shura, surah no:42, aayat no: 49-50).



*********{ Akhlaq ----------- Guftagu ----------- aur Zindagi }*********

• Khoobsurti ki kami ko Akhlaq pura kar sakta hai, magar Akhlaq ki kami ko Khoobsurti pura nahi kar sakti.

• Guftagu aisi cheez hai, jis ki wajeh se Insan ya to Dil me utar jata hai, ya phir Dil se utar jata hai.

• Koshish karo k zindagi ka har lamha apni taraf se har kisi k sath acche se accha guzaro kyun k zindagi nahi rahti pr acchi yaden hamesha zinda rahti hai.



-------------------------------{ Saccha Pyar }-------------------------------

• Maa se hamdardi rakhne ki bajaye Maa ka hamdard hona chahiye.
• Maa ka gussa waqti tour per hota hai jo fouran zayel hojata hai.
• Maa aasman ka bahtareen tohfa hai.
• Maa ki purnam aankho se sakht se sakht Insan bhi mom hojata hai.
• Maa wo hasti hai jis k naam se roze mehshar me tum pehchane jao ge.
• Maa wo hasti hai jis k qadmo tale tumhari baqa hai.
• Maa wo hasti hai k jo tum per aanchal dal de to tum dushman se mahfooz raho.
• Maa Allah Tala k pyar ka haseen tareen naam hai.
• Maa aik aisi hasti ka naam hai roye zameen per jis ka Nemul-badl koi nahi.
• Duniya me koi nahi jo sirf aap k chahre per aik Nazar dal kar jaan jaye k aap khush hai ya nakhush siwaye Maa k.
• Be darja duaye dene wali sirf aik hasti hoti hai jo sirf aur sirf Maa hai.
• Maa ka wajood is amr ki alamt hai k Allah hum per Maherban hai.
• Maa aur Baap ki taraf Shafaqqat se daikhna bhi Ibadat hai.
• (Ya Allah! Hum sab ko walidain ki khidmat Guzari ki toufeeq aur sa’adat ata Farma) Aameen آمین یا رب العٰلمین….

-------------------------------{ Saccha Pyar }-------------------------------
Subah se Sham tak Sakht mehnat aur Kaam k baad jab beta ghar gaya to
Baap ne Pucha: Kya kamaya
Biwi ne Pucha: kya bachaya
Aoulad ne Pucha: Kya laya
Sirf Maa ne pucha: Din me kya kuch khaya.

--------------- Aaj jo bhi hun Teri Duao k sabab se hun,
--------------- Mai is duniya me mo’azzam tere adab se hun,
--------------- Ye teri barso ki riyazat ka sila hai Maa!
--------------- K aaj bhi tufl hun aur tere maktab se hun.



Shuru Allah k Naam se: Allah Tala sood ko mita ta hai aur sadqa ko badhata hai aur Allah Tala kisi Nashukre aur Gunahgaar se Mohabbat nahi karta.(Surah:Al-Baqarah, Surah No:2, Aayat No:276)

Allah will deprive usury of all blessing, but will give increase for he loveth not creatures ungrateful and wicked.(The Holly Quran - Chapter 2 , Al-Baqarah - Verse 276)


Aaj mai gunaho bhari Zindagi guzar kar kal kamiyab hounga ya nahi.
--------------------------- Kaash is ki Fikr hoti ---------------------------

Mera bhi Janaza kal ko tayyar hoga aur mujhe Qabaristan me Chhod diya jayega.
--------------------------- Kaash is ki Fikr hoti ---------------------------

Agar mujh se meri zindagi ka hisab le liya gaya to mera kya bane ga?
--------------------------- Kaash is ki Fikr hoti ---------------------------

------------ Din khail me aur Raat sote huwe Guzar gai
------------ Yun hi teri umr Abuzar Gaflat me Guzar gai. :’( :’(



-------------------------------{ Quran ki Lazzat }-------------------------------

• Quran Allah ka kalam hai.
• Quran ki Tilawat Insan ka sina khol deti hai yani Insan ko khushi, hikmat aur danai ata karti hai.
• Quran ki Aayat karima per Gour o Fikr aur Tadabbur Iman me izafa karta hai.
• Quran ka sikhna aur sikhana Insan ki azmat aur shan me Izafa karta hai.
• Quran ki hidayat dil ki hidayat hai aur ye Zindagi ko munawwar aur Roushan karti hai.
• Quran Allah s.w.t ki Mojizati kitab hai aur ye Bande ki zindagi per asr andaz hoti hai jo us ki Tilawat karta hai.
• Quran amraz ki dawa hai, ye dil k amraz k liye shifa hai, ye rooh ko paak saaf aur mutahhar karta hai, Ye rooh ki taraqqi ko buland darja pr le kar jata hai.
• Quran Insan k darjat buland karta hai aur andhairo ka sathi hai (Qabar k Andhere).

--------------- Dil Se Iman ki chahat ko juda rakha Hai,
--------------- Nam Ka khud ko Musalman Bana rakha Hai,
--------------- Ghero ne pa liya QURAN se Manzil ka pta,
--------------- Or Hum ne isy Jusdan me saja rakha Hai!!

Mere Pyare bhai bahno se Abuzar ki Guzarish hai yahi, Hojaye kuch bhi mat Chorna Padhna Qurane Pak.



Shuru Allah k Naam Se: To kahden k tamam tareef Allah hi k liye hai aur us k bargazeedah bandon per salam hai, kya Allah Tala bahtar hai ya wo Jinhen ye log shareek tahra rahe hai.(Surah:Al-Naml, Surah No:27, Aayat No:59)

Say: Praise be to Allah, and peace on His servants whom He has chosen (for His Message). (Who) is better? Allah or the false gods they associate (with Him)?(The Holly Quran - Chapter 27 , An-Naml - Verse 59)



****************{ Hum Bhi Muh Me Zaban Rakhte Hai }***************

1. Aye iman walon! Allah Tala se daro aur seedhi seedhi (sacchi) baat kiya karo.(Surah:Al-Ahzab, Surah No:33, Aayat No:70)

2. Aur mere bando se kehdijiye k wo bahot hi acchi baat muh se nikaale.(Surah:Baniisrail, Surah No:17, Aayat No:53) aur logon ko acchi baten Kahna (Surah:Al-Baqarah,Surah No:2, Aayat No:83)

3. Apni raftaar mai miyanarvi Ekhtiyaar kar, aur apni aawaz pst kar, yaqinan aawazon mai sub se battar aawaaz gadhon ki aawaaz hai.(Surah:Luqman,Surha No:31, Aayat No:19)

4. Aur jhooti baat se bhi parhaiz karna chahiye.(Surah:Al-Haj,Surah No:22,Aayat No:30)

5. Aur jub tum baat karo to insaf karo, go wo shaqs Qarabat daar hi ho.(Surah:Al-An'am, Surhaah No:6, Aayat No:152)

6. Aur haq ko batil k sath qalat malat na karo aur na haq chupao, tumhe to khud is ka ilm hai.(Surah:Al-Baqarah,Surah No:2,Aayat No:42)

----{ Hamesha sach bolo ta’kay tumhain Qasam khanay ki zarorat na Padey }----

• Jin logo k khyalat ache hote hai wo kabi bhi tanha nahi hote.
• Hamesha Muskurao kyon k DUNIYA hamesha muskurane walo ka hi saath deti hai.
• Fazool behas behtreen DOST se JUDA karti hai.
• Jo darakht PHAL na de wo SAYA zaroor deta hai.
• Jo Zyada bolta hai wo shrmindagi uthatha hai.
• Tum tb tk na haso Jub tk k tum Majboor na hojao.
• Jo Khamoosh rhta hai wo aman me raاhta hai.

Hazrat Abdullah r.a Riwayat karte hai k Rasulullah s.a.w ne irshad farmaya: bila shuba sach bolna naiki k raste per daal deta hai aur naiki Jannat tak pohcha deti hai, aadmi sach bolta rahta hai yahan tak k use Allah Tala k yaha siddiq (bahot saccha) likh diya jata hai, Bila shuba Jhoot burai k raste per Dal deta hai aur burai us ko dozakh tak pohcha deti hai, aadmi Jhoot bolta rahta hai yaha tak k Allah Tala k yaha use kazzab (bahot jhoota) likh diya jata hai.(Muslim).



Shuru Allah k Naam se: Hum ne is Quran ko teri zaban me bahot hi Aasan kardiya hai k tu us k zariye se parhaiz garon ko khush khabri dai aur jhagdalu logon ko daraden.(Surah:Maryam, Surah No:19, Aayat No:97)

So have we made The (Quran) easy in thine own tongue, That with it thou mayest give glad tidings to the righteous, and warnings to people given to contention.(The Holly Quran - Chapter 19 , Maryam - Verse 97)



****************{ Mufeed o Karaamd Batain }****************

• Allah ki Dosti us shaksh k dil me nahi ho sakti jis k dil me Allah ki Makhlooq ki Mohabbat aur khair khwahi na ho.
• Sacchi dosti ye hai k Muflisi me dost ki zyada madat ki jayen.
• Jis ne Quran pak ko samajh liya goya us ne Duniya o Aakhirat ko palia.
• Buland iradon k Alawa howsla bhi zaroori hota hai.
• Azeem hai wo dil jis me doosron k liye dard ka Ehsas ho.
• Bharosa aik aisa phool hai jo shak ki bo soongte hi murjha jata hai.
• Ilm ye hai k agar koi tum per Zulm kare to use muaaf kardo.
• Bahtareen kalam wo hai jis se sunne wale ko malal na ho.
• Khamushi aaib nahi bal k be wajah bolna aaib hai.
• (Aalim) ilm se pehchana jata hai.
• (Muttaqi) taqwe se pehchana jata hai.
• (Momin) Josh iman se pehchana jata hai.
• (Insan) Apne kirdar se pehchana jata hai.
• (Dost) Waqt padhne per Pehchane jate hain.
• (Dushman) Tanhai me pehchana jata hai.
• (Sipahi) Maidane kar saaz me pehchana jata hai.
• (Tabeeb) apne tajrube aur qabiliyat se pehchana jata hai.
• (Dana) apni aqalmandi aur danishwari ki buniyad per pehchana jata hai.
• (Jahel) apne jahel ki wajeh se pehchana jata hi.



Shuru Allah k Naam se: Wahi pahle hai aur wahi piche wahi zaher hai aur wahi batin aur wo her cheez ko bakhubi janne wala hai.(Surah:Al-Hadid, Surah No:57, Aayat No:3)

He is the First and the Last, the Evident and the Immanent: and He has full knowledge of all things.(The Holly Quran - Chapter 57 , Al- hadid - Verse 3)



-----------------------{ Qadr maa baap ki agar koi jaan lega }-----------------------
--------------------{ Apni jannat ko duniya me hi pehchan lega }--------------------

**{ Maa }**

Kal jab ham chote the aur koi hamari baat samajh nahi pata tha, tab aik hasti thi jo hamare tu te phoote alfaz bhi samajh jati thi.

Aur aaj ham usi hasti ko ye kehte hai:

• Aap nahi jante,
• Aap nahi samajh payengi,
• Aap mere mua’mlat me na bole,
• Aap ki baten mujhe samajh nahi aaten.

Is hasti ki qadar Karen is se pehle k ye rishta khatam ho jaye
-------------------- Aik muddat se meri Maa nahi soyi Tabish
-------------------- Mai ne aik baar kaha tha, Mujhe dar lagta hai.

**{ Walid ki Faryad }**

• Budha hogaya hun me thoda waqt de diya kar,
• Baith kar do char hi sahi per mujh se baten kiya kar,
• Tu hi meri lathi hai tu hi meri hi raoushni,
• Kuch pal k liye sath mere rasta tay kiya kar,
• Mar jaunga aik din chala jaunga chhod kar tujhe,
• Jo bachi huwi hai Zindagi sahab,
• lamhe kuch mere liye bhi rakha kar.

Huzoor s.a.w ne Irshad Farmaya k mai Jannat me Dakhil huwa to mai ne suna k waha koi shaksh Quran Pak ki Tilawat kar raha hai Jub mai ne Dariyaft kiya k Qirat koun kar raha hai? to Farishton ne bataya k Aap k sahabi Haris bin Noman hai, Huzoor s.a.w ne Farmaya k aye Mere Sahabiyon! Daikh lo naiko kar aur Aisa hota hai, Acche salook ka badla Hazrat Haris bin Noman r.a sab Logon se zyada Bahtareen sulook Apni Maa k sath karte the.(Mishkat).

Allah Tala Ham Sab ko Apne Waldain ka Farmanbardar banaye Aameen.



Shuru Allah k Naam se: Yaqinan Allah Tala Per Zameen o Aasman ki koi Cheez Poshida Nahi.(Surah:Al-Imran, Surah No:3, Aayat No:5)

From Allah, verily nothing is hidden on earth or in the heavens.(The Holly Quran - Chapter 3, Al-Imran - Verse 5)


****{ Ab Jahannam k Bare me Quran Majid k Chnd aayat Mulaheza ho }****

1. Jahannamiyo k liye aag ka oodhna aur aag ka bichona hoga.(surah:araf, aayat no:41)
2. Jahannamiyo ki gardano me toaq, hato me zanjeeren aur pao me bediya pehna kar aag me ghasita jayega.(surah:haqqah, aayat no:30-31, surah:momin, aayat no:71-72)
3. Jahannamiyo k liye aag ki libas kate jayenge un k saro per khawalta huwa pani dala jayega jis se un ki khale hi nahi pait k andar k hisse tak gal jayenge.(surah:haj, aayat no:19)
4. Jahannamiyo ko Jahannam me aag k pahad “su’ood” par chadaya jayega.(surah:muddasir, aayat no:17)
5. Jahannamiyo ko pine k liye zakhmo se behne wale khoon aur peep ka aamezah diya jayega.(surah:ibrahim, aayat no:16-17, neez galeez aur bdbodar khawlta huwa pani diya jayega jo muh se lagate hi sare chahre ko bhoon dale ga.(surah:kahef, aayat no:29)
6. Bd mazah, bd budar, kadwa aur kante dar tohar ka darakht (zaqoom) Jahannamiyo ko khane k liye diya jayega.(surah:saffat, aayat no:66-67)
7. Jahannam me Jahannamiyon ko marne k liye lohe k garz honge.(surah:haj,aayat no:21-22)
8. Jhannamiyo ki mushken kis kr intehai tang wo tareek ko thuddiyo me thons diya jayega jaha wo mout ki tamanna karenge lekin mout nahi aayegi.(surah:furqan, aayat no:13-14)

Yaad rahe mazkura bala sutoor me Qurani aayat ka Mafhoom diya gaya hai lafz ba lafz tarjuma nahi diya gaya hai Albatta tafseel k liye hawala jat de diye gaye hai khwahesh mand qaraeen khud mut’la farma sakte hai.

****{ Jahannam k bare me Chnd Ahadees Mubarka bhi Mulaheza ho }****

1. Jhannam me unton k bara bar sanp hon ge jin k aik martaba katne se Jahannami Chalees (40) saal tak zaher ka asar Mahsoos karta rahe ga aur Bicchu khaccharon k bara bar hon ge jin k aik martaba Katne se Jahannami Chalees saal tak zaher ka asar Mahsoos karta rahe ga.(musnad ahmad)
2. Jahannami ka aik dant ohad pahad k bara bar hoga.(muslim)
3. Jahannami Jahannam me is qadar Aansu bahayen ge k un me kashtiya chalai ja saken gi.(hakim)
4. Jahannam me kafir k do kandhon ka darmiyani fasla taiz ro sawar ki teen din ki masafat k bara bar hoga.(muslim)
5. Jahannami ki khal ki motai bayyalees (42) hath (taqriban 63 fit) hogi.(tirmizi).
6. Jahannami k baithne ki jage makka aur madina k darmiyan masafat k bara bar (taqriban 400 kilometer) hogi.(tirmizi)
7. Jahannam ko qayamat k roz Kheench kar lane k liye 4 arab nawe karod Farishte muqarrar kiye jayenge.(muslim).
8. Jahannam ki gehrai is qadar hai k is ki tah me girne wala shaksh musalsl sattar (70) bars tak us me girta chala jayega.(muslim)



Shuru Allah k Naam se: kya un logon ne parindon ko nahi dekha Jo taa’be farmaan ho kar Fiza me hai, Jinhe bajaz Allah tala k koi aur thame huwe nahi, beshak is me Iman lane wale logon k liye badi Nishaniya hai.(Surah:Al-Nahl, Surah No:16, Aayat No:79)

Do they not look at the birds, held poised in the midst of (the air and) the sky? nothing holds them up but (the power of) Allah. Verily in this are Signs for those who believe.(The Holly Quran - Chapter 16 , Al-Nahl - Verse 79)



Marne k baad doosri Zindagi me har insan ki Aakhri Manzil Jannat hai ya Jahannam, Jannat aur Jahannam hai kya? Kam-o-baish har Musalman k zahen me itna tasawwur to moujood hai k Alllah Tala Iman lane walon aur Naik Aml karne walon ko Aakhirat me In’am wo ikram se Nawazen ge aur wo aish o Aaram ki zindagi basar Karen ge aish o aaram ki isi jage ka Naam Jannat hai jb k Iman na Lane walon aur Bure Aml karne walon ko Aakhirat me Allah Tala mukhtalif Qism k Aazab denge aur wo bahot hi takleef dah zindagi basar karenge Azab aur Uqab ki isi jage ka naam Jahannm hai.

Quran Majid aur Ahadees Mubarka me Jannat k bare me Badi wazeh Tafsilat milti hai Jannat k bare me chnd Qurani Aayat aur Ahadees mubarka Mulaheza ho.

1. Jannat ki Chodai zameen o aasman ki wus’at k bara bar hai.(surah:al-imran, aayat:133).
2. Jannat k phal aur baharen daimi honge.(surah:rad, aayat:35)
3. Jannat me bhook aur pyaas nahi hogi.(surah:taha, aayat:118)
4. Ahle jannat sone k kangan aur sabz resham k libas pahen kar takiya dar masnado per maze karenge.(surah:kahf,aayat:31)
5. Ahle jannat aql per asar andaz na hone wali sufaid rang ki lazeez sharab piyenge.(surah:saffat,aayat:45-46)
6. Ahle Jannat k liye hiro aur motiyon jaisi sharmili nigahon wali khoobsurat biwiya hongi jinhen us se pehle kisi jin ya insan ne chuwa tk nahi hoga.(surah:rahman,aayat:56 to 58)

Chnd Ahadees Mubarka bhi mulaheza Farmayye:

1. Jannat me bimari budhapa aur Mout nahi hogi.(muslim)
2. Agr aik jannati apne kangn samait (duniya me) jhak le to suraj ki roushni ko is tarah khatm kardega jis tarah suraj ki roushni taron ko khatam kardeti hai.(tirmizi)
3. Agar jannati khatoon duniya me aik dafa jhak le to mashriq o magrib k darmiyan har cheez ko roushan kar de aur (sari fiza ko) khushbo se moa’attar karde.(bukhari)
4. Jannat k mohallat sone aur chandi ki inton se bane hai us ka Gara taiz khushbo wala misk hai us k Sangeze moti aur yaqoot k hai aur us ki mitti za’fran ki hai.(tirmizi)
5. Jannat k sou darjat hai har darje k darmiyan zameen o aasman k bara br fasla hai.(tirmizi)
6. Jannat k phalo ka aik khosha zameen o aasman ki sari makhlooq k khane se bhi khatam nahi hoga.(Ahmed).
7. Jannat me Aik darakht ka saya is qadar taweel hoga k us k saye me aik (ghoda) sawar sou saal tal chalta rahe tb bhi saya khatam nahi hoga.(bukhari).
8. Jannat me Kaman bara br jage sari duniya aur duniya ki tamam naimaton se zyada qimti hai.(bukhari)
9. hoze kousar pr sone aur chandi k pyale honge jin ki tadat Aasman k sitaron k bara br ho gi.(muslim).

Amal se zindagi banti hai... jannat bhi , jahannum bhi
Yeh khaaki apni fitrat ki na noori hai na naari hai...
Insan apne amal se acha ye bura banta hai. Yani na ye fitrat se Frishta (noori) hai aur na hi shaitan (nari) hai. Agar ye achae amal kare To frishtoon se bertar aur agar bura amal kare to shaitan se bhi badtar.



Shuru Allah k Naam se: Aap k Rab ne Shahed ki makkhi k dil me ye baat daal di k pahadon me daraqton aur logon ki banai huwi unchi unchi tattiyo mai apne ghar (chate) bana.(Surah:Al-Nahl, Surah No:16, Aayat No:68)

And thy Lord taught the Bee to build its cells in hills, on trees, and in (men’s) habitations.(The Holly Quran - Chapter 16 , Al-Nahl - Verse 68)



Shuru Allah k Naam se: wo Maa k pait me Tumhari soorten jis tarah ki Chahta hai banata hai, us k siwa koi mabood barhaq nahi wo galib hai, hikmat wala hai.(Surah:Al-Imran, Surah No:3, Aayat No:6)

He it is who shapes you in the wombs as he pleases. There is no god but He, the exalted in might, the wise.(The Holly Quran - Chapter 3 , Al-Imran - Verse 6)



Hazrat Abuzar Ghaffari r.a se riwayat hai k Rasulullah sallallahu alaihi wasallam ne Farmaya: Teen (3) Aadmi aise hai k Qayamat k din Allah Tala na un se hamkalam hoga, Na un par Inayat ki Nazar karega, aur na Gunahon aur Gandagiyon se unko paak karega, aur un k liye dard naak Azab hai, Abuzar Ghaffari r.a ne arz kiya: ye log to na murad huwe aur Tu te me pade, Huzoor sallallahu alaihi wasallam! ye Teen koun koun hai? Aap ne Farmaya: Apna Tahband had se Niche latkane wala (jaisa k mutakabbiron aur Magruron ka tariqa hai) aur Ehsan jitane wala aur Jhooti Qasme kha k apna souda chalane wala.(sahi muslim).


Shuru Allah k Naam se: Aur darya bhi usi ne tumhare bus me kardiye hai k Tum us me se (Nikla Huwa) taza gosht khao aur us me se apne pahnne k zaiwaraat nikaal sako aur tum dekhte ho k kashtiya us me pani cheerti huvi (Chalti) hai, aur is liye bhi k tum us ka fazl talash karo aur ho sakta hai k tum shukr guzari bhi karo. (Surah:Al-Nahl, Surah No:16, Aayat No:14)

It is he who has mad the sea subject, that ye may eat thereof flesh that is fresh and tender, and that ye may extract therefrom ornaments to wear; and thou seest the ships therein that plough the waves, that ye may seek (thus) of the Bounty of Allah and that ye may be grateful. (The Holly Quran - Chapter 16, Al-Nahl - Verse 14)



**{ Dadhi…..! Aik Islami Sha’ar, Muhammad s.a.w ki Sunnaten Mubarka }**

Rasulullah s.a.w ki Khidmat me kisra badsha k do qasid aaye un ki dadhiya mundi huwi thi, Rasulullah sallallahu alaihi wasallam ne un se Chahra Mubarak phair liya un ki soorton ko daikhna tak gawara na kiya aur un se pucha “Tumhen Dadhi mundwane ka hukm kis ne diya? wo bole: “Hamare rab kisra ne” (ajami log apne badshaho ko rab kehte the) Rasulullah s.a.w ne Farmaya: “Mujhe to mere Rab ne Dadhi badhane aur Munche katne ka Hukum farmaya hai”.

Ab Faisla aap khud Karen….. kya un chahron se Badsurat chahra kis ka ho sakta hai jin ko Daikh kar Rasulullah s.a.w Narazgi se apna chehra mubarak phairle.

Aur kya un se zyada Khubsurat chahra kis ka ho sakta hai jin k Muta’llq Hazrat Abu bakr siddiq r.a Farmaye k: “un ki taraf daikhte rahna duniya-o-ma fiha se zyada pasnd hai”. Ye unhon ne kin k muttallq kaha tha? ye Allah k Rasool s.a.w k Mutalliq kaha tha, Aur ye Chahraye Anwar Dadhi se saja huwa tha!



Shuru Allah k Naam se: Usi se wo Tumhare liye khaiti aur Zaitoon aur Khajoor aur Angoor aur har Qisam k phal Ugata hai Beshak un logon k liye to is me badi Nishani hai jo Gouro Fikr karte hai". (Surah:Al-Nahl, Surah No:16, Aayat No:11)

With it he produces for you corn, olives, date palms, grapes, and every kind of fruit: verily in this is a sign for those who give thought. (The Holly Quran - Chapter 16 , Al-Nahl - Verse 11)



*********{ Manzil meri waha'n hai Mera safar yaha'n Hai }*********

-------------- Yeh ghour bhi kabhi kar kaisa guzar yaha'n hai,
-------------- Neki ko dekh na ke kitne ka zar yaha'n hai,
-------------- Go moulvee bada ho darwaish ho ya sufi,
-------------- Jo haal ho waha'n pe kis ko khabar yaha'n hai ,
-------------- Nikle ho tum safar main phir yeh qaraar kaisa,
-------------- Kyun jee rahe ho aise jaise ke ghar yaha'n hai,
-------------- Ye daar-e imtehaa'n hai wo daar hai jaza ka,
-------------- Ghar to mera wahee'n hai go uska dar yaha'n hai,
-------------- Hur cheez ko rakha hai mei'n ne jaga pe uski,
-------------- Manzil meri waha'n hai mera safar yaha'n hai,
-------------- Jo meherbaan tu hai mere pe mere Malik,
-------------- So jee raha hu'n kyun ke teri Nazar yaha'n hai. :’( :'( :'( :'(

9 comments:

  1. masha allah can i post these all in my page

    ReplyDelete
  2. Subhanallah, Very Informative Blog. I really appreciated, having the chance to read, what you had to say here and, I’m looking forward to reading what other readers have to share. Deenwise is the most ‘Comprehensive’ Islamic app featuring everything that a Muslim needs in their day to day life.
    Everyone can download it from: Google Play

    ReplyDelete
  3. subhanallah jazakallah khair may allah accept your efforts may allah bless you with the best of this world and hereafter.ameen

    ReplyDelete
  4. alhamdulillah bhot informative hai allah hum sabko padhne ke 7 sath amal karne ki toufeeq ata farmaye
    ameen ya rabbal alameen

    ReplyDelete