Pages

Wednesday, 12 June 2013

♥ Want a wife like KHADIJA R.A ♥ Be a Husband like Muhammad ﷺ ♥



REVIVE A SUNNAH "COMPLETING THE QUR'AN EVERY MONTH"

The Prophet
said: “Complete the reading of the Qur’an every month" [Abu Dawood :: The Book Of Prayer :: Hadith 1389]

The easist Method to complete reading Qur'an every month:
Go approx. 10 minutes early to the Masjid for the obligatory prayer
Read 2 pages/4 sides (before the prayer).

During the day, it would amount to 10 pages/20 sides (a complete Juz’).
You can complete the Qur’an every month easily.

Qur’an leads people out of darkness into light. Darkness is all around us.
What are you waiting for? open It & “Iqra”, Read!
Please read Quraan with understanding !!!


Want a wife like KHADIJA R.A Be a Husband like Muhammad
"Once, years after Khadijah died, he came across a necklace that she once wore. When he saw it, he remembered her and began to cry and mourn. His love for her never died, so much so, that his later wife Aishah became jealous of her. Once she asked the Prophet if Khadijah had been the only woman worthy of his love. The Prophet replied: "She believed in me when no one else did; she accepted Islam when people rejected me; and she helped and comforted me when there was no one else to lend me a helping hand" (Al-Bukhari).

REVIVE A SUNNAH "HELP YOUR FAMILY WITH HOUSEWORK"
Truly... our Prophet sallallahu 'alayhi wa salam was the best of mankind ever lived... and really the best example of mankind to be followed !!!

Narrated Al-Aswad: That he asked 'Aisha "What did the Prophet
use to do in his house?" She replied, "He used to keep himself busy serving his family and when it was the time for prayer he would go for it."

[Sahih Bukhari :: Volume 1 :: Book 11 :: Number 644]

URDU TRANSLATION: Hazrat Al-Aswad (RadiyAllaahu 'Anhu) ne kaha k Maine Hazrat Ayesha (RadiyAllaahu 'Anha) se pucha k Rasool Kareem
Apne ghar main kya kya karte the Aap ne Batlaya k Huzoor Apne Ghar k kaam kaaj Yani apne Ghar waliyon ki khidmat kiya karte the, Aur Jab Namaz ka waqt hota to Foran (kaam kaaj chhod kar) Namaz k liye chale jate the.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Hadith 676]

........... Khuloos-e-Mohabbat ...........
"Baaz log khuloos ki talash main behte daryaon aur bhare chashmon ki taraf chalte hain k shayad khuloos pani ki wus'aton main mil jaye, Lekin itna door jane ki zarurat nahi hoti, Balke Apne qareeb aayye itna qareeeb k khuloos k charaag apni zaat k andar Nazar aasake, Aap k dil main Doosron k liye Khuloos hoga to Aap ko bhi Khuloos milega".

"Apne kirdaar ko Jitna Accha Rakh Sakte ho Rakho kyun k Mout Insan ko Maar sakti hai Magar..Acche Kirdaar wale Hamesha Zinda rehte hain Dilo Main bhi Aur Lafzon main Bhi".

REVIVE A SUNNAH "WHEN SNEEZING"
Narrated Abu Huraira R.A: The Prophet said, " If anyone of you sneezes, he should say 'Al-Hamdulillah' (Praise be to Allah), and his (Muslim) brother or companion should say to him, 'Yar-hamuka-l-lah' (May Allah bestow his Mercy on you). When the latter says 'Yar-hamuka-llah", the former should say, 'Yahdikumul-lah wa Yuslih balakum' (May Allah give you guidance and improve your condition)."

[Sahih Bukhari :: Volume 8 :: Book 73 :: Number 243]

URDU TRANSLATION: Hazrat Abu Huraira R.A se Riwayat hai k Nabi kareem
ne Farmaya: Jab tum main se koi cheenke to ‘Al-Hamdulillah’ (Har qism ki Tareef Allah hi k liye Hai) kahe aur us ka bhai ya us ka sathi ‘Yar-hamukallah’ (Allah tum par Rahem farmaye) kahe, Jab sathi ‘Yar-hamukallah’ kahe to us k jawab main Cheenkne wala ‘Yahdikumullah Wa yuslih balakum’ (Allah tumhain hidayat de Aur tumhara haal Durust kare).

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Hadith 6224]
●═══════════════════════◄►══════════════════════●
Narrated Abu Huraira: The Prophet said, "Allah likes sneezing and dislikes yawning, so if someone sneezes and then praises Allah, then it is obligatory on every Muslim who heard him, to say: May Allah be merciful to you (Yar-hamuka-l-lah). But as regards yawning, it is from Satan, so one must try one's best to stop it, if one says 'Ha' when yawning, Satan will laugh at him." (Sahih Bukhari :: Volume 8 :: Book 73 :: Number 242)

.... Maa Baap Dunya main sab se Badi Naimat Hain ....
"Maa na ho to Dil ko dilasa dene wala koi nahi hota, Aur agar baap na ho to Zindagi ki doud main Accha mashwerah dene wala koi nahi hota". Waldain ki Qadar tab zayda hoti hai, Jab Ham khud Waldain bante hai.

"Mat Nazar Andaaz Karna “Maa Baap” ki Takleefon ko, Jab ye Bichadte Hai to Resham k Takye par Bhi Neend Nahi Aati".

"Give thanks to Me and to your parents".(Qur'an 31:14)

 ............................. H A D E E S .............................


Narrated Abu Huraira (RadhiAllahu 'Anhu): The Prophet said: Three supplications are answered, there being no doubt about them; that of a father, that of a traveller and that of one who has been wronged.

[Sunan Abu Dawud :: Book 8 :: Hadith 1531]

URDU TRANSLATION: Hazrat Abu Huraira (RadhiAllahu 'Anhu) se rivayat hai k Rasoollallah
ne Farmaya: "Teen Duayen jaroor Qabool ki jati hain aur unki Qubuliyat main koi shak nahi hai

Baap ki Dua Aoulad k Haq main,
Musafir ki Dua,
Mazlum ki Dua ".

"My SMILE ... Doesn't always mean "I m Happy ..." Sometimes It Means "I Can Manage ..." And Sometimes It Just Means "I m Tired Of Crying :-) and mostly i smile cuz its sunnah". :-) :-) :-) :-)
Abdullah ibn Haarith R.A reports, I did not see anyone who smiled more than Rasoolullah .

[Shamail Tirmizi :: Book 34 :: Hadith 217]

URDU TRANSLATION: Hazrat Abdullah Bin Haris R.A kehte hain k Main ne Huzoor
se Zyada Tabassum karne wala nahi daikha.

═══════════════════════◄►══════════════════════●

••
Zindagi ka asal maza isi main hai k Hamesha musibato ka muqabla karo aur us k saath saath muskurate bhi raho.

••
Muskurahat ki Qimat kuch bhi nahi lekin is ka Nafa bahot bada hai, ye Aik lamhe main Guzar jati hai lekin apni meethi yaad hamesha k liye chhod jati hai. :-)

.... Allah ki Tareef karte Raho Wo Aapas Main Mohabbat Dalega ....
Narrated 'Abdullah: The Prophet said, "A woman should not look at or touch another woman to describe her to her husband in such a way as if he was actually looking at her."

[Sahih Bukhari :: Volume 7 :: Book 62 :: Number 168]

Hazrat Abdullah bin Mas’ud R.A se Riwayat hai k RasoolAllah
ne Farmaya: Koi Aourat kisi Aourat se mil kar apne Shohar se us ka Hulya na bayan kare Goya k wo use Daikh raha hai..

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Hadith 5241]

Matlab ye hai k Dar hai k kahi Khawind us Aourat ka hulya sun kar us par fida ho kar Apni Aourat ko Tallaq na de de ya us k Fitne main mubtela na hojaye.

••
"Yaad Rakhe! Biwi kabhi Shohar se kisi Gair Mard ya Aourat ki Tareef na kare aur na Shohar Biwi se kisi Gair Aourat ya Mard ki Tareef kare. Agar karoge to Miya Biwi main Shak, Hasad, Nafrat, Dushmani, saari burayya paida hojati hain, Jis ka anjam Tallaq ya Qala hota hai, Allah ki Tareef karte raho wo Aapas main Mohabbat Daalega".

........... Aye Musalman Zara Idhar Bhi Dhiyan Kar ...........
Ham ne sab kuch sikha – Magar deen ko na sikha.
Ham ne sab kuch samjha – Magar Qur'an ko na samjha.
Ham ne sab ko waqt diya – Magar Tilwate Qur'an k liye waqt na diya.
Ham ne har Course sikha – Magar Qur'an ko Tajweed se padhna nahi sikha. :(

••
"Rozana Qur'an Padhne ka Aik Ma'mool Banaye, Apne Ghar walo ko Dost Ahbab, Azizo Qarib sab k liye Aap k Paas Dene k liye Waqt hai Lekin Allah ka Kalam padhne main Waqt nahi hai Allahuakbar Toba kare Jis Kalam k Har Aik Harf par Allah ne Naiki Rakhi ho Jis k Padhne se Dilo ko Itminan milta ho, Jis Main Falah ka Rasta ho Usai Chhod kar "Then where are you going"?........ (Qur'an 81:26)..??

Narrated Muhammad bin Ka'b Al-Qurazi: "I heard 'Abdullah bin Mas'ud saying: 'The Messenger of Allah
said: "[Whoever recites a letter] from Allah's Book, then he receives the reward from it, and the reward of ten the like of it. I do not say that Alif Lam Mim is a letter, but Alif is a letter, Lam is a letter and Mim is a letter."

[Tirmizi :: Vol. 1 :: Book 42 :: Hadith 2910]

URDU TRANSLATION: Hazrat Muhammad bin Ka’b Al-Qurazi R.A: Hazrat Abdullah bin Mas’ud R.A kehte hain k RasoolAllah
ne Farmaya Jis ne Qur'an Majeed main se Aik harf padha use us k Badle Aik Naiki di jayegi aur Har Naiki ka Sawab Dus (10) Guna hai main Nahi kehta k Alif Laam Meem (Aik) harf hai balke Alif aik harf hai Laam aik Harf hai aur Meem bhi aik Harf hai.

•• "Meri Pyari Bahno Apni Lehje Guftar main Narmi na Rakhe us Waqt k Jab aap kisi Gair Mahram se Baat kar rahe ho, Allah Tala ne Mana Farmaya hai, Bura na Mane Aap log FB par bhi Kai Aisi bahne hai jo Comments main ya Chat main Apne lehje Mohabbatana rakhti hai is Lehje se Kisi Gair Mahram k Dil par wo Asar andaz hota hai chahat Paida hoti hai.
"O wives of the Prophet! You are not like any other women. If you keep your duty (to Allah), then be not soft in speech, lest he in whose heart is a disease (of hypocrisy, or evil desire for adultery, etc.) should be moved with desire, but speak in an honourable manner.(Qur’an 33:32)

Narrated Ibn `Abbas: I did not see anything so resembling minor sins as what Abu Huraira said from the Prophet
, who said, "Allah has written for the son of Adam his inevitable share of adultery whether he is aware of it or not: The adultery of the eye is the looking (at something which is sinful to look at), and the adultery of the tongue is to utter (what it is unlawful to utter), and the innerself wishes and longs for (adultery) and the private parts turn that into reality or refrain from submitting to the temptation."

[Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 77 :: Hadith 609]

URDU TRANSLATION: Hazrat Ibn Abbas (Radiallahu Anhu) ne Bayan kiya k Ye jo Lamam ka Lafz Quran main Aaya hai to main Lamam k Mushaba is Baat se zyada koi baat nahi janta Jo "Abu Hurairah (Radiallahu Anhu) ne Nabi kareem
se Bayan ki hai k: Allah Ta'ala Ne Insaan k liye 'Zina' ka koi na koi Hissa likh diya hai, Jis se usey la Mahala Guzarna hai, Ps Aankh ka zina (Gair Mahram ko) Daikhna hai, Zuban ka zina (Gair Mahram se) Baat karna hai, Dil ka zina khuahish aur shahwat hai aur Sharmgaah is ki Tasdeeq kardeti hai ya isey Jhutla deti hai".

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Hadith 6612]

•••• "Aksar logon ko daikha gaya hai wo apne Aap ko bada sabit karne k liye apna Naam banane k liye bahot se aise Comments ya Post karte hai jis se sirf un ka Maqsad logon ki Dunyawi khushnudi hasil karna hota hai, Riyakari (dikhawa) ise hi kaha jata hai aur Phir kuch log Ilm doosre logon par faqar k liye hasil karte hain aisa Karne se parhaiz kiya jaye kyun k....".
══════════════════════◄►═════════════════════●

The Messenger (peace and blessings of Allaah be upon him) said: “Whoever acquires knowledge which should be sought for the sake of Allaah, but he only learns it in order to attain some worldly goal, he will not smell the fragrance of Paradise on the Day of Resurrection.” (Narrated by Abu Dawood :: 3664)

URDU TRANSLATION: RasoolAllah
ne Farmaya: Jis shaksh ne us Ilm ko Jis k sath Allah ki raza Hasil ki jati hai Sirf is Garz se hasil kiya k wo us k zariye Maal o Mata’a hasil kare, To aisa shaksh Qayamat k din Jannat ki khushbon bhi na pa sakega.

The Prophet
said: "Do not seek knowledge in order to show off in front of the scholars, or to argue with the foolish, and do not choose the best seat in a gathering, due to it (i.e. the knowledge which you have learned) for whoever does that, the Fire, the Fire (awaits him)." (Sunan Ibn Majah :: Hadith 254)

URDU TRANSLATION: RasoolAllah
ne Farmaya: Ilm is liye Hasil na karo k Ulama k samne Faqr karo ya Jahilon se Takrar karo aur na hi Ilm se (Dunyawi izzat ki) Majalis talash karo jo Aisa karega to Aag hai Aag.

══════════════════════════◄►═════════════════════════●

••••
"Yahi wajeh hai k Qayamat k Din sab se pehle Aalime deen ko Azab se do char hona padega Jise us k ilm ne Nafa nahi diya hoga, Us ki missal aisi hai k Us ne Heera (Yani ilm) Hasil kiya aur Kude k dhair par aik Aam patthar samajh kar phaink diya".

REVIVE A SUNNAH "Recite Al-Mu’awwidhat (Surat Al-Ikhlas Surat Al-Falaq and Surat An-Nas) Before Going to Bed Every Night"
Narrated 'Aisha (RadiyAllaahu 'Anha): Whenever thy Prophet go went to bed every night, he used to cup his hands together and blow over it after reciting Surat Al-Ikhlas, Surat Al-Falaq and Surat An-Nas, and then rub his hands over whatever parts of his body he was able to rub, starting with his head, face and front of his body. He used to do that three times.

[Sahih Bukhari :: Volume 6 :: Book 61 :: Number 536]

URDU TRANSLATION: Hazrath Ayesha (RadiyAllaahu 'Anha) se Riwayat hai k: Rasool Allah
Har raat jab Bistar par Aaram farmate to Apni dono hatheliyon ko mila kar Qul huwaAllahu ahad, Qul Aauzu Birabbil Falaq, aur Qul Aauzu Birabbin’naas (Teeno surtain Mukammal) padh kar un par phoonkte aur Phir dono hatheliyon ko Jahan tak Mumkin hota apne Jism par phairte the, Pehle sir aur Chehre par hath phiarte aur Samne k badan par, ye Aml Aap teen (3) dafa karte the.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Hadith 5017]

......................✿....... H A D E E S .......✿......................

Narrates Ibn Umar: Allah' Apostle ﷺ said, Gabriel kept on recommending me about treating the neighbors in a kind and polite manner, so much so that I thought that he would order (me) to make them (my) heirs." (Sahih Bukhari :: Volume 8 :: Book 73 :: Number 44)

URDU TRANSLATION: Hazrat Ibn Umar R.A se Riwayat hai k RasoolAllah ﷺ ne Farmaya k Hazrat Jibraeel A.S mujhe is tarah baar baar Padosi k Haq main Wasiyat karte rahe k Mujhe khayal Guzra k Shayad Padosi ko Wirasat main Shareek na karden. (Sahih Bukhari :: 6015)

●═══════════
══════════════◄►═══════════════════════●

Narrated Abu Huraira: The Prophet ﷺ used to say, "O Muslim ladies! A neighbouress should not look down upon the present of her neighbouress even it were the hooves of a sheep." (Sahih Bukhari :: Volume 8 :: Book 73 :: Number 46)

URDU TRANSLATION: Hazrat Abu Huraira R.A se Riwayat hai k Nabi Kareem ﷺ Farmaya Karte the k Aye Musalman Aourton! Tum main se koi Aourat apni kisi padosan k liye kisi bhi cheez ko (Hadye main) Dene k liye haqeer na samjhe khuah bakri ka paya hi kyun na ho.(Sahih Bukhari :: 6017)



..............:: Maayen Hon to Aaisi Hon ::..............
"Aik ustad Baccho se puchte hai har aik bataye k wo Bada hokar kya banega, Baccho ne jawab diya, Kisi ne kaha Doctor, Pilot, Wakeel, Police, Bacccho k jawab Isi ird gird Ghoom rahe the siwaye aik Bacche k us ki baat ne sab ko Hairat zadah kardiya aur sab us par Hansne lage".

"Usne apne ustad se kaha
Meri Khuahesh hai k Main Sahabi Banun Ustad ne Tajjub hokar pucha k tum sahabi Kyun banna chahte ho"??

Bacche ne kaha! Meri Maa rozana raat ko mujhe sone se pehle kisi Sahabi ka Qissa Sunati hai aur Main jaan gaya hun k Sahabi Bahadur, Allah se pyar karne wala, Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) se Mohabbat karne wala aur Siwaye Allah k kisi se na darne wala hota hai, Mai bhi un jaisa Banna chahta hun.

"Ustad ye jawab sunkar chup hojate hai aur Jaan jate hai k is Bacche ki Tarbiyat k Piche Aik Azeem Maa ka hath hai......."Aaj kitni Maayen Aisi hain jo Apni Aoulad ko Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki Hayate Mubarka k Qisse sunati hain"?

No comments:

Post a Comment