Pages

Saturday, 31 August 2013

✦REVIVE A SUNNAH ⇨ Be merciful And Compassionate With Your Children, Hug and Kiss Them ✦



◗► Aourat ki Maharat Faqat ye Nahi k wo Accha khana pakale balke us ki Asal Maharat ye hai k Apni Aoulad ki Acchi Tarbiyat kare aur use Aik Accha Insan Banana Aourat ka Asal Hunar hai.

Apni Bacchiyon ko Deeni Taleem laazmi do kyun k Agar Aik Maa Deendar Hogi to Deen Naslon tak Jayega InshaAllah

Acchi Aadat ki Malik Naik aur Muttaqi Aourat kisi Faqeer k ghar bhi ho to use Baadshah Banadeti Hai.



I Love You My Brother and Sister in ISLAM For The Sake Of   Allah

Narrated Anas ibn Malik (Radi Allahu Anhu): A man was with the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) and a man passed by him and said: Messenger of Allah! I love this man. The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) then asked: Have you informed him? He replied: No. He said: Inform him. He then went to him and said: I love you for Allah's sake. He replied: May He for Whose sake you love me love you!

[Sunan Abu Dawood :: Book 42 :: Hadith 5106]

Urdu Translation: Hazrat Anas Bin Malik (Radi Allahu Anhu) se Riwayat hai k RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) k paas aik Shaks baitha tha k Aik aur Aadmi waha se guzra us Aadmi ne kaha ya RasoolAllah Beshak main us se Mohabbat karta hun RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Farmaya k kya tu ne use bataya hai? Us ne kaha nahi Aap ne Farmaya k Ja use bata, Rawi kehte hain k wo use jakar Mila aur kaha k Main Allah k liye aap se Mohabbat karta hun is doosre ne kaha Tujhse wo zaat Mohabbat kare Jis k liye tu ne Mujh se Mohabbat ki, Yani Allah Tala.

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 1684]




............... Aap Jante Hain Naa ke....!! ...............

Nabina is dunya ka Nazarah karna chahta hai khuwah aik lamhe k liye hi sahi, Behra sunne k liye betaab hota hai chahe aik Lafz hi kyu na ho, Maflooj chalna chahta hai bhale aik hi Qadam kyu na ho, Bistar par Mareez baithne uthne aur chalne ki hasrat liye Pada hota hai.

◗► Aur aap to Khair se Sunte, Bolte, Chalte phirte Sahetmnd hain to phir.... A L H A M D U L I L L A H Kahiyena.


REVIVE A SUNNAH Be merciful And Compassionate With Your Children, Hug and Kiss Them

Narrated Abu Huraira (Radi Allahu Anhu) : Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) kissed Al-Hasan bin `Ali while Al-Aqra' bin H`Abis at-Tamim was sitting beside him. Al-Aqra said, "I have ten children and I have never kissed anyone of them," Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) cast a look at him and said, "Whoever is not merciful to others will not be treated mercifully."

[Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 73 :: Hadith 26]

Urdu Translation: Abu Huraira (Radi Allahu 'anhu) se Riwayat hai k RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Hasan Bin Ali Radi Allahu Anhu ko Bosa diya, Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam k paas Hazrat Aqra‘ ibn Haabis Radi Allahu Anhu baithe hue the, Hazrat Aqra Radi Allahu Anhu ne is par kaha k Mere Dus (10) ladke hain aur main ne un mein se kisi ko Bosa nahi diya, Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ne un ki Taraf daikha aur Farmaya k jo Makhlooq Khuda par rahem nahi karta us par bhi Rahem nahi kiya jata.

[Sahih al-Bukhari :: Hadith 5997]





Mohabbat kar k Shadi karlena koi kamal ki baat Nahi balke Asal kamal ki baat to ye hai k Saari Azdwaji zindagi Mohabbat k sath Basar ki Jaye

Islam Nikah se Pehle ISHQ ki isliye Mazammat karta hai ta k Insan apni saari Mohabbate us k liye Bacha ke rakhe jo un ka asal Haqdar hai.

◗► Shadi se pehle ki Mohabbat aise hai jaise Iftari se pehle koi iftar karle Iftar ka mazah bhi na raha, Gunah ka murtakib bhi hua, Kaffara ka kharcha bhi, aur Saza ka dhadka bhi raha. Agar baat thodi si bhi samajh Aayi to Accha hai, Khaas tor par aisi Modern Nasal ko jo khud ko bahot padha likha Samajhte hai.
 


................ Khoobsurat Insan kon...?? ................

Acchi shakal aur Surat Allah Tala ka In'aam hai, kisi bhi Insan ki Aik izafi khoobi, Lekin us khubhi mein us ka Apna koi kamal Nahi hota, Acchi shakal Bagair kisi mehnat aur koshish k use Mil jati hai..Lekin.... 

Jis ka Dil khoobsurat ho, Jis ki soch khoobsurat ho, Jis k Akhlaq khoobsurat ho, Dar Haqiqat to wahi Insan Khoobsurat Hota Hai

◗► Aik khoobsurat Dil hazaar khoobsurat chehron se zyada Behtar hota hai, Isiliye Zindagi main Hamesha chuno Aise log jinka Dil Chehre se zyada Khoobsurat ho.




◗► "Aap sab se Guzarish hai k Mujhse jo bhi Galati sarzad hogayi ho to Sacche dil se Muaafi Chahta hun, Han mai apni Galati par Naadim hun Apni galati ka iqrar karta hun aur beshak mai manta hun k mere kisi na kisi baat se Aap ko Takleef pohchi hogi Dil dukhaya hai maine Allah k liye Mujhko Muaaf kardijiye". :’( Aye Allah Aaj mai sirf Teri Raza k liye Sab ko Muaaf Kiya

REVIVE A SUNNAH "WHOEVER HAS WRONGED HIS BROTHER, ASK FOR HIS PARDON (BEFORE HIS DEATH)"

Abu Huraira (may Allah be pleased with him) Narrated that The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Whoever has wronged his brother, should ask for his pardon (before his death), as (in the Hereafter) there will be neither a Dinar nor a Dirham. (He should secure pardon in this life) before some of his good deeds are taken & paid to his brother, or, if he has done no good deeds, some of the bad deeds of his brother are taken to be loaded on him (in the Hereafter)." 

[Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 76 :: Hadith 541]

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se Riwayat hai k RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: "Jis ne apne kisi bhai par zulm kiya ho to use chahiye k us se (is dunya mein) muaaf karale, is liye k Aakhirat mein rupye paise nahi honge, is se pehle (muaf karale) k us k bhai k liye us ki Nekiyon mein se haq dilaya jayega aur Agar us k paas Nekiyan na hongi to us (Mazloom) bhai ki burayyan is par daal di jayengi".

[Urdu Ref :: Sahih al-Bukhari :: Hadith 6534]


◗► "Tumhari Aoulad wo Nahi Sikhegi Jo tum kehte ho Balke wo karegi jo Tum log khud karte ho".

"Aaj Cigarette Noshi aam hogaya hai Baap apne Baccho k samne pite hai lekin ye nahi sochte k baccho par kitna bura Asar padega, Aage Chalkar yahi hota hai k Baap bhi to Cigarette ka aadi tha beta kaise na ho, Waldain Jaise Aoulad Waisi, Baccho ki Acchi tarbiyat chahte hai to Waldain apne in Harkato se baaz Aajaye phir Aoulad aisa koi kaam nai karegi jis se Aage chalkar Waldain ko Sharminda na hona pade".

"And spend in the Cause of Allah (i.e. Jihad of all kinds, etc.) and do not throw yourselves into destruction (by not spending your wealth in the Cause of Allah), and do good. Truly, Allah loves Al-Muhsinun (the good-doers)". (Qur'an 2:195)




◗► "Jo mitti Aagaz se hi Haya aur Iman se Goondhi jaye wo Bahot Khoobsurat dhanche mein dhalti hai".

Haya ki koshish khoobsurti se zyada hoti hai Aaj ki Hayadaar bacchi kal ki aik Behtareen Nasal ko parwan chadha sakti Hai.

.. Aourat ki Paakdamni ka Taaj Hijab ..

Aourat ki khoobsurti Haya mein hai
Aourat ki izzat o waqat paakdamni mein hai
Aourat ka rutba buland akhlaq ki wajeh se hai
Aourat ka tahaffuz parde mein hai

Aye Allah! Musalman Maao, Behno, Betiyon aur Biwiyon ko Sharm-o-Haya, Paakdamni, Buland Akhlaq aur Hijab ki zeenat se Muzayyan Farma. Aameen.


............................. H A D E E S .............................

Narrated Sa`d bin Ubaid: (the Maula of `Abdur-Rahman bin Azhar) Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "None of you should long for death, for if he is a good man, he may increase his good deeds, and if he is an evil-doer, he may stop the evil deeds and repent."


[Sahih Bukhari :: Vol. 9 :: Book 90 :: Hadith 341]

Urdu Translation: Hazrat Sa`d bin Ubaid: Abdur-Rahman bin Azhar k Moula k RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya koi shaks Tum main se Mout ki Aaarzu na kare, Agar wo Naik hai to Mumkin hai Naiki main aur zyada ho aur Agar bura hai to Mumkin hai us se Toba kar le..!

[Urdu Ref :: Sahih al-Bukhari :: Hadith 7235]



............................. H A D E E S .............................

Samura b. Jundub reported: The Messenger of Allah (peace and blessings of Allah be upon him) said "The dearest phrases to Allah are four:


سُبْحَانَ اللَّهِ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ وَلاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَاللَّهُ أَكْبَرُ

Subhan Allah (Hallowed be Allah), Al-Hamdulillah (Praise be to Allah), La ilaha illa-Allah (There is no deity but Allah), Allahu Akbar (Allah is Greater). There is no harm for you in which of them begin with (while remembering Allah).

[Sahih Muslim :: Book 25 :: Hadith 5329]

Urdu Translation: Hazrat Samura b. Jundub Radi Allahu Anhu se riwayat hai k RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Allah k Nazdeek sab se zyada Mahboob Kalimat chaar (4) hain:

سُبْحَانَ اللَّهِ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ وَلاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَاللَّهُ أَكْبَرُ

Subhan Allah (Allah paak hai), Al-Hamdulillah (Tareef sirf Allah k liye hai), La ilaha illa-Allah (Allah k Siwa koi Ma’bood Nahi), Allahu Akbar (Allah sab se Bada hai), Aap in mein se jis se bhi Aagaz karlen koi harj Nahi.

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Hadith 5601]





◗► "Zindagi Mein 2 Nasihaton Par Aml Karna Hamesha k liye kamiyab Hojaoge".

Namaz Mat Chhorna: Zindagi ki sari barkate isi mein hain.

Apni Nazar ki Hifazat Karna: Gunah ki bunyad yahi se hoti hain.


PRAY 5 times on time... No matter what, No matter where...! Worship at fixed times hath been enjoined on the believers.[Qur'an 4:103]
Apni dunya mein mast rahte the ham
Maut ki fikr na karte the ham
Gunah ko Gunah na samajhte the ham
Lazzaton k piche bhaagte the ham
Dil chahta tha k padhu Namaz main
Par Masjid tak jism na le jata tha main
Dunya ki rounaq mein magan tha main
Phir aik din achanak andhera chaya
Aankh khuli to khud ko Qabar mein paya
Phir Allah ne pucha k kya lekar aaya..?
Ghar jana chaha lekin ja na paya
Qabar ki tanhai ne bahot daraya
Aawaz di apno ko to koi na aaya
Waqt hai sambhal ja jo gaya wo na aaya!!
Namaz bahot Qeemti hai Pyare Nabi Sallallahu Alaihi Wasallan ne Samjhaya!!.

No comments:

Post a Comment