Pages

Wednesday, 25 September 2013

✦ REVIVE A SUNNAH ✦


✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "REMOVING HARM FROM THE ROAD" ✦

Just remember this beautiful sunnah when you see a harmful thing on the road/path !!! Let us revive the Sunnah in every aspect of our life !!! Get reward even from the small thing...

It has been Narrated on the authority of Abu Huraira Radi Allahu Anhu that the, Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: “While a man walks along a path, finds a thorny twig lying on the way and puts it aside, Allah would appreciate it and forgive him.”

[Sahih Muslim :: Book 33 :: Hadith 235]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira Radi Allahu Anhu se Riwayat hai k RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Aik Shaks ja  raha tha us ne Raah mein aik Kaante ki Daali daikhi wo hatadi, Allah ne uska Badla diya aur us ko baksh diya.

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol.5 :: Hadith 4940]




✦.........♥ Jadeed Science Qur'an ki Tasdeeq karte Hue ♥.........✦

⇨ "And whomsoever Allah wills to guide, He opens his breast to Islam, and whomsoever He wills to send astray, He makes his breast closed and constricted, as if he is climbing up to the sky". (Qur'an 6:125)

⇨ "Jis shaks ko Allah hidayat  dene ka Iradah farmale, us ka Sina Islam k liye khol deta hai, Aur jise wo Gumrah karna Chahta hai, Us k liye sine ko tang aur itna Zyada tang kardeta hai k Goya use Aasman par chadhna pad raha hai”.(Qur'an 6:125)

✿ Science dano ka kehna hai k Aasman ki taraf jate hue Oxygen ki kami ki wajah se dum ghutne lagta hai aur sans lene mein shadeed dushwari hoti hai, isiliye shadeed ghutan se bachne k liye hawayi Jahazon mein Masnu’i Oxygen ka intezaam hota hai.

●◗► 1400 saal Qabl Qur'an Majeed ne Aasman par chadhte hue sina tang aur dum ghutne ki science haqiqat ko bayan kardiya tha, ye is baat ka wazeh saboot hai k ye Qur'an kisi Insan ka nahi balke Allah Rabbul Aalameen ka Kalam hai.

◈ Tasdeeq-Sach karna, Sach hone ki Taaid, Saboot.


★•.•´¯`•.•★ ♥ S U B H A N A L L A H ♥ ★•.•´¯`•.•★




♥ Alhamdulillah! Mujhe faqr hai k main Aourat zaat k Mutalliq kisi bhi Qism k Tahqeer Aamaiz Nazaryaat Nahi Rakhta ♥

(Tahqeer-Haqeer Samajhna, Nafrat, Hiqarat, Beqadri, Zillat, Behurmati).

✿ Us ne mujhe zindagi di hai aur main us se zindah rehne ka haq nahi cheen sakta, Wo mera libas hai lihaza main use Tang-e-Insaniyat hone ka tana nahi de sakta.

✿ Us ne meri najasaten dhokar mujhe paak saaf rakha lihaza main us Najas Makhlooq qarar nahi de sakta, Us ne mujhe ungli pakad kar zameen par chalne ka tariqa sikhaya, Lihaza main us k pao se zameen nahi kheench sakta, Us ne meri tarbiyat kar k mujhe insan banaya lihaza main us Naqisul Aql nahi keh sakta.

✿ Us ka Amanat kardah khoon mere ragon mein dodraha hai, lihaza main use shaitan ka darwazah ya lagzish ka mahel nahi keh sakta. Us ne mujhe ghar ki pur Aashayesh o pur sukoon zindagi ata ki hai, lihaza main use fitna o fasad ka jud nahi de sakta.

✿ Us ne mujhe kamil banaya lihaza main use Naqis nahi keh sakta, Us ne apni zinagi ki har sans k sath mujhe apni Duao se Nawaza hai, lihaza main use Hiqarat Aamiz galiyan nahi de sakta.

●◗► Agar main aisa karun to meri Apni hi zaat ka tahqirat aur Nafi hoti hai ♥ Allah ka shukr hai k Main Aourat zaat k Mutalliq har tarah ka Husne Zan Rakhta Hun ♥




●◗► Qaabile Gor! Ye kaisa dor hai Yaha koi apne dukh se itna Dukhi Nahi…! Jitna doosre k sukh se dukhi hai….!

♥ Agar tumne har Haal main khush rehne ka Fun Seekhliya to Yaqinan tumne Dunya k sab se bada Fun Seekhliya ♥




✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "Salute the Children who are playing" ✦

Narrated Anas ibn Malik Radi Allahu Anhu: The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) came to some children who were playing: He saluted them.

[Sunan Abu Dawood :: Book 42 :: Hadith 5183]

Urdu Translation: Hazrat Anas Radi Allahu Anhu se Riwayat hain k Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam kuch Ladkon ke paas Tashreef laye jo Khail kood Rahe the Aap ne unhe Salam kiya.

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol.3 :: Hadith 1759]





......................✿....... H A D E E S .......✿......................

It was Narrated that Abu Hurairah Radi Allahu Anhu that Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said: Whoever is asked about knowledge that he has and he conceals it, will be bridled on the Day of Resurrection with reins of fire.

[Sunan ibn Majah :: Vol.1 :: Book 1 :: Hadith 266]

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Jis se koi ilm ki baat puchi gayee aur usko Malum hote huye bhi usney chupa di to Qayamat ke din usey Aag ki lagam di Jayegi.

[Urdu Ref :: Sunan ibn Majah :: Vol.1 :: Hadith 266]





 ✿● Kya pur kaif sama tha Ramadhan mein, Namazi hogaye the Zyada safen hogayi thin kum. Sama Badal gaya bus Aik shaam mein, Safen hogayi hain Zyada Namazi hogaye hain kum ●✿ :(




✿● Aik Kadwa Sach! Afsos ke ham us Mu'aashre mein zindagi guzaar rahe hain Jahan ham apne Baccho ko subah School k liye to Bila naaga uthate hain Lekin…! Fajar ki Namaz k liye Nahi..Afsos ●✿




●◗► Har Musalman k Dil mein Apne doosre Musalman Bhai k liye Mohabbat ho Jab wo Takleef mein ho to Tum us ki Madad ke liye Tayyar hojao Us k Sath Khandapeshani se Rahe Deen-e-Islam hame yahi Taleem Deta hai k Tum mein Bhaichara, Mohabbat, Ulfat, Khuloos ho..

♥ Gulab ka koi bhi Naam ho us ki Pehchan uski Khusbon se Hoti hai, Isi tarah Insan ka koi bhi Rang, Qabila ya Zaat ho, us ki Pehchan us k Akhlaq se hoti Hai ♥

Narrated `Abdullah bin `Umar Radi Allahu Anhu: Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "A Muslim is a brother of another Muslim, so he should not oppress him, nor should he hand him over to an oppressor. Whoever fulfilled the needs of his brother, Allah will fulfill his needs; whoever brought his (Muslim) brother out of a discomfort, Allah will bring him out of the discomforts of the Day of Resurrection, and whoever screened a Muslim, Allah will screen him on the Day of Resurrection . "

[Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Book 43 :: Hadith 622]

Urdu Translation: Hazrat 'Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhu se Riwayat hai k RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Aik Musalman Doosre Musalman ka Bhai hai, Ps us par Zulm na kare aur na Zulm hone de, Jo Shaks Apne Bhai ki zarurat poori kare, Allah Tala us ki Zarurat poori karega, Jo shaks kisi Musalman ki Aik Musibat ko door kare, Allah Tala us ki Qayamat ki Musibaton mein se aik Badi musibat ko door Farmayega, Aur jo Shaks kisi Musalman k Aaib ko chupaye Allah Tala Qayamat mein us k Aaib Chupayega.

[Urdu Ref ::  Sahih Bukhari :: Hadith 2442]




  Khush Qismat hoti hai wo Bahen, Jis k Sir par Bhai ka haath hota Hai, Har Pareshaani mein Uske saath hota hai, Ladna Jhagadna Phir Pyaar se manana, Tabhi to is Rishte mein Itna Pyaar hota hai ♥




●◗► Shaik Sa’di Rahmatullahi Alai Farmate hain: Maine Aik Naik shaks ko darya k kinare daikha Jis ko aik Chite ne zakhmi kardiya tha, Aur us ka zakhm kisi dawa se Accha na hota tha. Aur wo arsaye daraz se us Takleef mein mubtela tha.

Lekin! Har waqt Allah ka Shukr Ada karta tha.
Logon ne us se pucha k shukr kis baat ka Ada karte ho..?
Us ne Jawab diya: Is liye ke Musibat mein Mubtela hun, Na k Gunah Mein.

●══════════════════════◄►═════════════════════●

Are you a Part of GUNAH-E-JARIA?
Song Shared !!! 1 Guhan= 1 song Share

Referal/Friends Continued Song = Countless Sharing Gunah!! (You are not sharing it continuously but your friends are sharing that song to thousands of others) Think , Why are you starting the Chain??? (Stop- Don’t Share)

●══════════════════════◄►═════════════════════●

Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu: The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: “Verily, when the slave (of Allah) commits a sin, a block spot appears on his heart. When he refrains from it, seeks forgiveness and repents, his heard is polished clean. But if he returns, it increased until it cover his entire heart. And that is the ‘Ran’ which Allah mentioned: Nay, but on their hearts is the Ran which they used to earn.(Qur'an 83:14)

[Jami Tirmidhi :: Vol. 6 :: Book 44 :: Hadith 3334]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira Radi Allahu Anhu se Riwayat hai k Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Jab koi Banda koi Gunah karta hai to us k Dil par Aik siyah Noqta lagadiya jata hai, Phir wo agar use tark karde ya Astaghfar kare aur Toba kare to us ka Dil saaf hojata hai aur Agar dobarah Gunah kare to siyahi badhadi jati hai yaha tak k wo Siyahi us k Dil par cha jati hai, aur Yahi wo ‘Ran’ hai Jis ka zikr Allah Tala ne كَلَّا‌ۖ بَلۡۜ رَانَ عَلَىٰ قُلُوبِہِم مَّا كَانُواْ يَكۡسِبُونَ  (Hargiz nahi Balke un  k (Bure) kamon se un k Dilon par Zang lag gaya hain. 83:14) Mein kiya hai.

[Urdu Ref :: Jami Tirmidhi :: Vol.2 :: Hadith 1258]

No comments:

Post a Comment