Pages

Monday, 11 November 2013

♥ Khush Bakhti wo Sa’aadat ki Kunjiyan ♥


♥ The Best Love is When You Love Someone... Who makes your Imaan rise ♥ who make you more pious ♥ and who helps you more in the dunya ♥ because that person want to meet you again... in ♥ Jannah ♥


......................✿....... H A D E E S .......✿......................

Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu: Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) forbade the offering of two prayers: -1. After the morning prayer till the sunrises. -2. After the `Asr prayer till the sun sets.

[Sahih Bukhari :: Volume 1 :: Book 10 :: Number 562]

Urdu Translation: Hazrath Abu Huraira Radi Allahu Anhu se rivayat hai ke Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne Do Waqton main Namaz Padhne se Mana farmaya hai, Namaz Fajar ke baad Suraj nikalney tak aur Namaz Asar ke baad Suraj Guroob hone tak.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol.1 :: Hadith 588]


✦......♥ RahmatanlilAAalameen Sallallahu Alaihi Wasallam ♥......✦

◈➲► Kash wo chehra meri Aakh ne daikha hota,
◈➲► Mujhko taqdeer ne usi dor mein likha hota,
◈➲► Baaten suntan main kabhi puchta ma’ne un k,
◈➲► Main Aap ke samne Ashab mein Baitha hota,
◈➲► Har siyah raat mein roshan hai Hadeese un ki,
◈➲► Aap na aate to zamane mein Andhera hota.♥ SubhanAllah ♥

⇨ “Aur Aye Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam Ham ne aap ko tamam Jahan walon ke liye Rahmat bana kar bheja hai”. (Qur’an 21:107)

⇨ "And We have sent you (O Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam) not but as a mercy for the 'Alamin (mankind, jinns and all that exists)”. (Qur’an 21:107)


●◗► Baccho ki acchi tarbiyat Waldain ki zimmedari hai, Jab bacchon ki tarbiyat ka asal waqt hota hai to Waldain tawajjeh nahi dete aur jab pani sir se guzarjata hai to kehte hain Aoulad nafarman hogayi hai.

◈➲ Bachpan se hi un ko acche Akhlaq sikhayen, Namaz ka Aadi banayen, Jhoot ki Aadat se bachayen ◈➲

Narrated Abdullah ibn Amr ibn al-'As Radi Allahu Anhu: The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said: "Command your children to pray when they become seven years old, and beat them for it (prayer) when they become ten years old; and arrange their beds (to sleep) separately."

[Sunan Abu Dawud :: Book 2 :: Hadith 495]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah ibn Amr ibn al-'As Radi Allahu Anhu se Riwayat hai k RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Apni Aoulad ko Namaz padhne ka hukm do Jab wo sath (7) baras ke hojayen aur Jab dus (10) baras hojayen to Namaz na Padhne par un ko maro, Aur un ke Bistar bhi Alag kardo. (Bistar alag karne ka hukm Namaz na padhne par saza k tor par nahi hai balke ye Aik mustaqil hukm hai).

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawud :: Vol.1 :: Hadith 493]



  Hazrat Soban Radi Allahu Anhu ka Ishq-e-Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) Immense Love for the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) Very Emotional

Hazrat Soban Radi Allahu Anhu Bade Aashiqe Rasool the (Sallallahu Alaihi Wasallam) Har sahabi Aashiqe Rasool hai Magar inki Mohabbat Nirali thi k Allah k Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki Judayi in se Bardast nahi hoti thi, Aik Baar Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki Khidmat main Hazir hue, Chehre ka Rng uda hua tha, Ranj o Gam k Aasar se Numaya hai, Allah k Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya, Aaj Rang kyu uda hua hai? Arz kiya Ya RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam! Mujhe koi bimari hai na dard hai, Bus Aap Jab samne nahi hote mujhe Wehshat hoti hai, Dil pareshan hota hai.

Jab Aakhirat ko yaad karta hun ke Aap Aa’la tareen Moqam par honge aur Agar mujhe Allah Tala ne Apne karam se Jannat ata farma bhi di….Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) to Nabiyon k sardar hain aap ka Buland moqam hoga, main Jannat main Na jane kaha honga? To Ya RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Agar Jannat main Aap ko nahi Daikh paunga to Mera kya banega? Bus Aaj isi gam ne mujhe Gamzadah kardiya hai k Mujhe Aap k Bagair chain nahi padta.

Allah k Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne us waqt koi jawab nahi diya aur Jibraeel A.S Hazire Khidmat hogaye aur Quran ki ye Aayat le Aaye

Aur jo log Allah Tala aur Us k Rasool (Sallalahu Alaihi Wasallam) ki Ita’at karte hain wo (Qayamat k roz) Un logon k sath honge jin par Allah Tala ne bada Fazl kiya yani Anmbiya aur Siddeeq aur Shaheed aur Naik log ye Behtareen rafeeq hain.(Qur’an 4:69)

Ye Aayat Nazil hogayi aur Hazrat Soban Radi Allahu Anhu ko Taskeen (Khushi, Sukoon) milgayi aur SubhanAllah Hazrat Soban Radi Allahu Anhu k Ishq ne Tamam Aashiqon ka Kaam banadiya.

Allah Ham Sab ko Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka Saccha Aashiq banade

•.•´¯`•.• A A M E E N •.•´¯`•.•

http://www.youtube.com/watch?v=vWVi8VgrVbU



......................✿....... H A D E E S .......✿......................

Narrated AbuDharr Radi Allahu Anhu: The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said to us: When one of you becomes angry while standing, he should sit down. If the anger leaves him, well and good; otherwise he should lie down.

[Sunan Abu Dawood :: Book 42 :: Hadith 4764]

Urdu Translation: Hazrat Abuzar Radi Allahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne ham se Farmaya ke Jab tum mein se kisi ko Gussa aaye aur wo khada ho to use chahiye ke wo baith jaye phir Agar baithne se Gussa zayel hojaye to theek hai warna phir lait jaye.

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: vol.3 :: Hadith 1354]


●◗► Toba karne mein itni takheer na karo ke phir Toba ka moqa hi na mile, Shaitan k dhoke mein na rehna ke abhi bahot Zindagi padi hai, Yaad Rakhe.

◈➲ Dunya main Aane ki to Tarteeb hai pehle Dada phir Baap, Beta aur Pota, Jane ki koi Tarteeb nahi, Dada pote ko Qabar main utaar raha hota hai ◈➲

✦..............:'( YA ALLAH :'(..............✦

► :'( Ya ALLAH, give me death while I am in Sajdah.
► :'( Ya ALLAH, let the last words of my life be the Shahadah.
► :'( Ya ALLAH, If I die in my sleep let my heart beat the Zikr of Allah.
► :'( Ya ALLAH, the guider of the lost soul forgive the entire Ummah.
► :'( Ya ALLAH, forgive My Parents, My Family, and My Brothers & Sisters In Islam.
► :'( Ya ALLAH, guide entire humanity to the righteous path.! Aameen.

✦.........♥ Khush Bakhti wo Sa’aadat ki Kunjiyan ♥.........✦

◈➲ Agar Aap…..! ◈➲

►  Naik bakht banna chahte hain to Namazon ko waqt par ada karne ka ehtemam Karen.
► Sahet mand banna chahte hain to Rozo ka ehtemam karen.
► Chehre ka noor chahte hain to Tahajjud ka ehtemam karen.
► Khush haali chahte hain to Quran kareem ki tilawat ka ehtemam karen.
► Rizq mein khushadgi chahte hain to Sila rahmi aur kasrat se Astaghfar karen.
► Umr mein barkat chahte hain to Sila rahmi Karen.
► Ghamo se najat hasil karna chahte hain to Duao ka ehtemam karen.
► Logon mein izzat o moqam chahte hain to Logon ka ehteram karen.
► Mushkilat se bahar nikalna chahte hain to La ilaha illa anta subhanaka inneekuntu mina aththalimeen padhen.
► Rahmaten o Barkaten hasil karna chahte hain to Darood shareef padhne ka ehtemam karen.
► Bagair mushaqqat k dhairon Nekiyan hasil karna chahte hain to is Dini paigam ko dusron tak pohchayyen.


✦......♥ Ghar Wali ki Khubiyon Aur Khidmaat Par Nazar ♥......✦

◈➲ Mard Hazrat Apni Hamsafar Biwi ki khubiyon aur khidmaat ko daikhen, choti moti baton aur kamzoriyon ko Hamesha nazar andaz kare, yahi insaf aur mardangi ka taqaza hai, khubiyon par nigaah rakhe, nafrat khatam aur mohabbat paida hojayegi ➲◈

●◗► "Jo Mard Aourat ki Adna kamzoriyon ko muaaf nahi karta, wo us ki khubiyon se bhi Mustafeed nahi ho sakta".

Ab Huraira (Allah be pleased with him) reported Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) as saying: A believing man should not hate a believing woman; if he dislikes one of her characteristics, he will be pleased with another.

[Sahih Muslim :: Book 8 :: Hadith 3469]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira Radi Allahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Koi bhi Momin Shohar Apni Momin biwi se Nafrat na kare, Agar biwi ki koi Aadat shohar ko Napasand ho to us ki koi dusri khubi o Aadat use pasand bhi hogi.

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol.4 :: Hadith 3645]



Friend but only good one! Dost zaroor lekin sirf Accha

Friends on that day will be foes, one to another,- except the Righteous. (Qur’an 43:67)

Us din (gehre) Dost bhi aik dusre ke dushman banjayenge siwaye parhaizgaron ke. (Qur’an 43:67)




✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "Covering the mouth with the right hand when YAWNING or suppressing it as much as one can" ✦

Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "Allah loves sneezing but dislikes yawning; so if anyone of you sneezes and then praises Allah, every Muslim who hears him (praising Allah) has to say Tashmit to him. But as regards yawning, it is from Satan, so if one of you yawns, he should try his best to stop it, for when anyone of you yawns, Satan laughs at him."

[Sahih Bukhair :: Vol. 8 :: Book 73 :: Hadith 245]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira Radi Allahu Anhu ne se rivayat hai ke Nabi kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya ke Allah Tala Cheenk ko pasand karta hai kyun ke wo Baaz dafa sahet ki Alamat hai aur Jamayi ko na pasand karta hai, is liye Jab tum mein se koi shaks Cheenke to wo Alhamdulillah kahe Lekin Jamayi lena shaitan ki taraf se hota hai, is liye Jab tum mein se kisi ko Jamayi aaye to wo apni Quwwat o Taqat ke mutabiq use roke, is liye ke Jab tum mein se koi Jamayi leta hai to Shaitan hansta hai.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhair :: Vol.7 :: Hadith 6226]

●═══════════════════════◄►══════════════════════●

Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "Yawning is from Satan and if anyone of you yawns, he should check his yawning as much as possible, for if anyone of you (during the act of yawning) should say: 'Ha', Satan will laugh at him."

[Sahih Bukhair :: Vol. 4 :: Book 54 :: Hadith 509]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira Radi Allahu Anhu se rivayat hai ke Nabi kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Jamayi shaitan ki taraf se hai, pus Jab kisi ko Jamayi aaye to Jaha tak ho sake use roke kyun ke Jab koi (Jamayi lete hue) “Ha Ha” karta hai to shaitan us par hansta hai.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhair :: Vol.4 :: Hadith 3289]



●◗► Main “Jannat” ke shoq mein ibadat nahi karta ke ye ibadat nahi tijarat hai. Main “Jahannam” ke khof se ibadat nahi karta ke ye ibadat nahi gulami hai. Main sirf is liye ibadat karta hun kyun ke mera “Rub” ibadat ke layeq hai.

The success which you search for your whole life calls you everyday 5 times!

♥ حي على الصلاة ♥ Come towards Prayer ♥
♥ حي على الفلاح ♥ Come towards Success ♥

♥ Never miss your prayer because prayer is a only way to contact with “Allah” ♥



......................✿....... H A D E E S .......✿......................

Anas b. Malik Radi Allahu Anhu reported: I served the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) for ten years, and, by Allah, he never said to me any harsh word, and he never said to me about a thing as to why I had done that and as to why I had not done that.

[Sahih Muslim :: Book 30 :: Hadith 5720]

Urdu Translation: Hazrat Anas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ke Main ne RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat 10 baras tak ki, Qasam khuda ki kabhi Aap ne mujhko Uff na kaha aur na kabhi ye kaha ke tuney ye kaam kyun kiya..? Ye kaam kyun na kiya jo Khadim ko karna chahiye tha.

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol.6 :: Hadith 6011]


♥ "The happiest man is he to whom ALLAH has given a good wife" ♥ Hazrat Ali (Radi Allahu Anhu).

No comments:

Post a Comment