Pages

Friday, 7 March 2014

✦...........♥ Insani Dil kya hai..?? Qur’an ki Roshni Mein ♥...........✦

❶ Iman ka Maskan (Makaan) (Qur’an 5:41) Taqwa, Parhaizgari (Qur’an 49:3) Aur khofe khuda ka Markaz Quloob hain. (Qur’an 22:32)

❷ Nifaq ki Jaga (Qur’an 9:8) Shak aur Hichkichahat ka Moqam bhi Qalb hote hain. (Qur’an 9:45)

❸ Ruhani Amraz ki Jaden Quloob mein hi hoti hain. (Qur’an 2:10)

❹ Ye Quloob hain jo Narm pad jate hain (Qur'an 39:23) Sakht hokar patthar jaise hojate hain. (Qur’an 2:74)

❺ Qalb ka kaam Samajhna aur Istedlal karna hota hai (Qur’an 7:179) Quloob Andhe bhi hojate hain. (Qur’an 22:46)

❻ Ye Dil hi hain jo Itminan o Sukoon ka Moqam hote hain. (Qur’an 13:28)

❼ Aazmayeshon ke muqable ki Taqat bhi Qalb mein hoti hai (Qur’an 64:11)

❽ Narmi aur Rahem ke Jazbat (Qur’an 57:27) aur Bradrana Mohabbat bhi Qalb mein hoti hai. (8:63)

❾ Gaiz o Gussa ka sar chashma (Qur’an 9:15) Pachtawe aur Afsos ke Ehsasaat bhi Qalb mein hote hain. (Qur’an 3:156)

➓ Agar Dil durust aur Mahfooz (yani Qalb saleem) raha to Qayamat ke din kamyabi ki 100% Zamanat hai. (Qur’an 26:89)


✦..........♥ Mohabbat Ho to Aisi Ho..!! SubhanAllah ♥..........✦

✿ Hujjaj Bin Yusuf ke darbaar mein aik Aourat Aayi jis ka Khuawind, Beta aur Bhai Hujjaj ki Qaid mein the aur Hujjaj in sab ko Sazaye Mout dene ka Faisla kar chuka tha.

✿ Hujjaj ne us Aourat se kaha teeno mein se aik ko Bacha lo to wo Aourat Boli Mere Bhai ko Chhordo, Hujjaj bola tum ne apne Khuawind ko na bachaya aur na hi Bete ko is ki wajeh kya hai?

♥ To wo Aourat boli Nikah doosre ke sath hoga to Khuawind mil jayega, Beta phir Paida hojayega Magar Bhai ko na Bachaya to ♥ Bhai phir Nahi milega ♥

◈➲ Hujjaj Bin Yusuf ne ye suna to teeno ko Aazad kardiya Agar Allah Tala ne Aap ko ♥ Bahen ♥ jaisi Nemat de Rakhi hai to us ki Qadar kare ◈➲

......................✿....... H A D E E S .......✿......................

✦ Har Bimari ka Ilaj Moujood Hai, Allah Tala ne koi Aisi Bimari nahi utaari Jis ki dawa bhi Naazil na ki ho ✦

Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "There is no disease that Allah has created, except that He also has created its treatment."

[Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Book 71 :: Hadith 582]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu se riwayat hai ke Nabi kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Allah Tala ne koi Aisi Bimari nahi utaari Jis ki dawa bhi Naazil na ki ho.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Hadith 5678]


●◗► 50 logon ka aik Group aik Seminar Attend kar raha tha Mic par aik sahab khitab kar rahe the, Achank khitab karne wale sahab ruk gaye aur Unhone soncha kuch Group Activity (khail tamasha) shuru kiya jaye, Unhone kuch Gubare (Balloons) mangwaye aur 50 logon ko gubare de diye, unhe kaha ke in Gubaron ko phulao aur Marker se Apna naam likho, sab ne aisa hi kiya Gubare phula kar Marker se un par apna apna Naam likh diya gaya, Speaker sahab ne sab se gubare jama kiye aur aik kamre mein rakh diye, Ab kamre mein 50 Gubare the,

✦ Speaker sahab ne 50 logo ko kehdiya ke kamre mein ghus jao aur apne apne Naam ka gubara dhoondo, Ab kamre mein Hujoom sa lag gaya har koi apne Gubare ki Talash mein tha lekin kisi ko Kamyabi nahi ho rahi thi, Log aik dusre mein takrate phir rahe the,

✦ Speaker sahab ki Aawaz kamre mein Gunji: Apne naam ke gubare nahi mil rahe.? Yun karo Aap ke hath jo bhi Gubara lagta hai us par likha naam pukaro jis ka Gubarah hai use pohchado, aisa hi kiya gaya aur 5min mein sab ko apne apne Naam ka gubara mil gaya.

◈➲ Ab Speaker Sahab ne Kaha: ♥ “Doston yahi hamari zindagi ka haal hai ham khushiyon ki talash mein darbadar phirte hain lekin khushiyan nahi milti Ham ye kyun nahi samajhte ke hamari khushiya dusron ki khushiyon mein shamil hai Jaise hi dusre ko khushiya denge hame hamare hisse ki khushiya mil Jayengi.” ♥ ◈➲
✦............♥ Aaise Raha karo ke karen Log Aarzu ♥............✦
✦.........♥ Aaisa chalan chalo ke Zamana Misaal De ♥.........✦

●◗► Apne Akhlaq o Aa'mal ki khoobsurti ko Duniya ke samne layye ta ke wo Jaan saken ke aap kitne shandar Deen ke Numayende hain, Apne kirdar ko itna Buland karo ke log Rashk se kahe ke Ummati aise hain to NABI kaise honge (Sallallahu Alaihi Wasallam).

Narrated Anas RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said "None of you will have faith till he loves me more than his father, his children and all mankind."

[Sahih Bukhari :: Vol. 1 :: Book 2 :: Hadith 15]

Urdu Translation: Hazart Anas RadiyAllahu Anhu se riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya tum mein se koi shaksh Imaan wala nahi hoga Jab tak us ke walid aur uski Aoulad aur Tamam logo se zyada us ke Dil mein meri Mohabbat na ho jaye.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol.1 :: Hadith 15]

••► Rashk - Ye Aarzu ke jo Cheez dusre ko Hasil hai wo Mujhe bhi Miljaye.

✦.......x Kuch chizon ki Shikayat Kabhi Na karo x.......✦

► Apni qismat ki.
► Aoulad ke samne apne badon ki.
► Apna zati makan hote huwe makan ki tangi ki.
► Bhool kar bhi apne Maa Baap aur ustad ki.
► Gair ke samne apne dost ki.
► Biwi ke samne un ke ghar walon ki.
► Rokhsat karne ke baad apne mehman ki.


......................✿....... H A D E E S .......✿......................

Abu Sa'eed Al-Khudri RadiyAllahu Anhu narrated that : The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said: "Whoever has three daughters, or three sisters, or two daughters, or two sisters and he keeps good company with them and fears Allah regarding them, then Paradise is for him.

[Jami At-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 1 :: Hadith 1916]

Urdu Translation: Hazrat Abu Sa’eed Al-Khudri RadiyAllahu Anhu se Riwayat hain ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: Jis shaks ki Teen betiyan ya Teen bahnen hon ya Do betiyan ya Do bahnen hon aur wo un ke sath Accha Salook kare aur un ke Huqooq ke bare mein Allah Tala se Darta rahe to us ke liye Jannat hai.

[Urdu Ref :: Jami At-Tirmidhi :: Vol.1 :: Hadith 1975]


✦.................♥ Roz Marrah Mamulaat ♥.................✦

✿ Roz Marrah Mamulaat Mein ye Ahem Chizen Zaroor Shamil Karen ✿

√  Paanch waqt Namaz
√  Tilawate Quran Majid
√  Durood Sharif
√  Subah o Sham ki Masnun Duayen aur Azkar
√  Sadaqah (Agarche 1 Rupiya hi ho)
√  Afu o Darguzar
√  Aadha ghanta chahel Qadmi
√  Job aur Gharelu kamon ki umdah tariqe se Adayegi
√  Gibat, Jhoot aur Ladayi Jhagde se Guraiz
√  Tamam Musalmano ke liye Dua.

••••► Karenge na Sab InshaAllah :) JazakAllahu Khair.

==> Feel Free To Tag/Share - Surely,الله Will Give The Reward For Spreading Righteousness.

Share this as Sadqa-E-Jariya (everlasting charity). if someone acts on any of this information, you will be benefited too INSHAALLAH.


✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "Eating Together" ✦

Narrated Wahshi ibn Harb RadiyAllahu Anhu: The Companions of the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: ‘O Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) we eat but we are not satisfied. ► He said: Perhaps you eat separately. They replied: Yes. ► He (Sallallahu Aliahi Wasallm) said: If you gather together at your food and mention Allah's name, you will be blessed in it.

[Sunan Abu Dawood :: Book 27 :: Hadith 3755]

Urdu Translation: Hazrat Wahshi bin Harb RadiyAllahu Anhu riwayat karte hain ke Aik Martaba Huzoor Sallallahu Alaihi Waallam ke Sahaba ne Farmaya ke: Ya RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ham khana to khate hain lekin Sair nahi hote. ► Aap ne Farmaya ke Shayad tum Alag Alag khate ho, Unhone kaha Ji Han. ► Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya ke Apne khane par Jama hojaya karo aur khane ke waqt Allah ka Naam liya karo Allah Tala tumhare khane mein Barkat daaldega.

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol.3 :: Hadith 364]



✦.....:( Aisi Na’shukri ke Rab ke Huzoor sir jhukane ki Fursat Nahi Tujhe :(.....✦

✿ Aik Noujawan Jab aik Hospital mein apne Dost ki Timaardari ke liye gaya to usi Hospital mein hi lambe Arse se chalne phirne se Mazoor, sirf sir ko hila sakne ki Quwwat rakhne wale Maflooj apne Mohalle ke us Buzurg ke Bistar par bhi gaya ta ke un ki Timardari kar sake, Haal Ahwal aur khair khairyat puchne ke baad us ne Buzurg se pucha Baba ji: is Mazuri aur Apahiji mein yaqinan aap ke dil mein koi Khuahesh to zaroor hogi.

► Noujawan ka khayal tha baba kahenge ke beta meri khuahesh hai main Tandurust hojao, Chalu phiru, Bhagu doudu aur Dunya dekhu.

► Magar buzurg ne kaha, Beta meri Umr 50 saal se zayda hai, Mere 5 Bacche hain, main sath saal se is charpayi ka hua pada hun, mujhe na hi chalne ki khuahesh hai aur na hi apne Baccho se milne ki koi hasrat aur na hi Main logon ki tarah roz marrah ki Aam zindagi guzaarna chahta hun, Noujawan ne Hairat se buzurg ki taraf daikha aur pucha, to phir Aap kya chahte hain?

♥ Buzurg ne kaha: Bus main is maathe ko zameen par tikana chahta hun, Meri itni si khuahesh hai ke us Rab ko waise hi sajdah karu jaise dusre log karte hain ♥

●◗► Nematon mein ghire, Khushiyo mein Magan, Bimariyon Zakhmo aur Dawayyon se Mahfooz phir bhi Aisi Na’shukri ke Rab ke Huzoor sir jhukane ki Fursat na ho, Ham Itne Zalim to nahi. Allah paak hamari Kothayyon ko Muaaf Farmaden aur Neki ki Toufeeq aur Sidhe raaste par Chalne ki hidayat de Aameen.

No comments:

Post a Comment