Pages

Saturday, 26 April 2014

◈➲ Mohabbat aur shak kabhi aik Jagah Ikhatte nahi ho sakte Jis Rishte mein Aaitebar ki Jagah Shak Janam lele Mohabbat waha se Rokhsat hojati hai,

✦ Apne Rishton par Aaitebar karna sikhiye kyun ke Mohabbat ki kashti mein pehla surakh shak se hota hai phir Aahista Aahista ye surakh bada ho jata hai aur natijatan poori kashti doob jati hai ✦

●◗► Galat fehmi aur Shak ka beenj haste muskurate Ghar ko wiraan kardeta hai, is se pehle ke Shak ka beenj aik Tanawar darakht ban jaye Aapas mein baat cheet ke zariye Galat fehmi ko Door karlena chahiye.


......................✿....... H A D E E S .......✿......................

✦ Hadise Nabwi Sallallahu Alaihi Wasallam par Aml karte hue Kharida hua Maal Tabdeel ya Wapas bhi ho Sakta hai ✦

Narrated Abu Hurayrah RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: If anyone rescinds a sale with a Muslim, Allah will cancel his slip, on the Day of Resurrection.

[Sunan Abu Dawood :: Book 23 :: Hadith 3453]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks kisi Musalman ko Farokht ki gayi Cheez Bakhushi wapas lele to Allah Subhanahu Wa Ta'ala us ke Gunah Muaaf farmadenge”.

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol.3 :: Hadith 65]


✦.................♥ Namaz Aisi Honi Chahiye ♥.................✦

✿ "Hazrat Hatim Asam Rahmatullahi Alaih Jab Namaz padhte to yun Tasawwur baandhlete".

√  Nigahon ke samne: Kaba
√  Niche: Pulsirat
√  Dayen: Jannat
√  Bayen: Jahannam
√  Piche: Mout ka Farishta
√  Ye Namaz: Zindagi ki Aakhri Namaz
√  Allah ki Rehmat se Namaz ke Qubool hone ki Ummid
√  Apni bad’Aamaliyon se Namaz ke Mardood hojane ka khof.

✦..................♥ Anmol Moti ♥..................✦

◈ Aqal mand ka sina us ke Razon ka behtareen sandoq hai.
◈ Be’sabri, Sabr se zyadah takleef dah Aml hai.
◈ Haram kamon se Nafs ko rokna bhi sabr ki aik Qism hai.
◈ Jo miyanarwi Ekhtiyar karta hai wo kabhi Muflis nahi hota.
◈ Ghani wo hai Jis ka Dil Allah ke siwa har cheez se khali ho.
◈ Galat baat par Ade rehna km Zarfi hai.
◈ Insan marjata hai lekin us ka Kirdar dunya mein zinda rehta hai.
◈ Insan ki khoobsurti zewrat se nahi, Ilm o Hunar se hai.
◈ Accha dost Allah ka Anmol Tohfa hai aur ye Tohfa Qismat walon ko hi Milta hai.
◈ Dost wo hai jo Tum se Tumhari khamiyan aur Dusron se Tumhari Acchaiyyan bayan karen.

✦......................x Shaitan ki CV x......................✦

❶ Zaati Malumat (Personal Information):

◈ Naam: Iblees, Shaitan
◈ Laqab: La’yeen, Mardood, Khannas, Waswaas
◈ Nasal: Jinnat
◈ Tariqe Paidayesh: Insan ke Paida hone se Pehle
◈ Pata: har wo Dil jo Allah ke khof se khali ho, har behudgi o fasad ki jaga, Har wo ghar jahan Zikr o Tilawat aur Masnoon Duao ka Ehtemam na ho.

❷ Talimi Salahiyat/Degree (Qualification):

Darj zail Mazameen mein Masters Degree:
◈ Waswase dalna
◈ Sood, Rishwat, Haram kamayi o Digar Haram Ashya ko halal karna
◈ Fahashi o Iryani phailana.

Darj zail mazameen mein P.hd Degree:
◈ Shar o Fasad aur Jangon ki Aag bhadkana
◈ Nat nai Bid’aat ko Deen bana kar peish karna
◈ Miya Biwi mein Tafreeq Dalna aur Qata Rahmi.

❸ Digar Qabile Zikr Khususiyat (Extra Qualification):

◈ Guroor o Takabbur, Sarkashi, Dhoke dahi, Jang o Jidal ka khususi Zoq
◈ Insani ragon mein khoon ki tarah dodne ki khudadad salahiyat
◈ Dil o dimag par Gair Mahsoos andaz mein Asar Andaz hone ka fun.

❹ Amli Tajruba (Experience):

◈ Bainul Aqwami ko Nasal baraye Aazadi niswan ke bani Chairperson
◈ Aazadi Izhare raye ko Nasal ki sarbarahi
◈ Bade Bade Media Group ki Advisory Committee ki Aaizazi sadarat
◈ Aalami Adalate Insaf mein Guzishta 60 salon se bator Chief Justice Tayinati
◈ Tahreeke Furooge Jamhuriyat ke bani Chairperson
◈ (Note: Maahe Ramadhan mein Kaam karne ka koi Tajruba nahi).


✦ "Thodi Dair ke Maze ke liye Aye Musalman apni Aakhirat Kharab na kar..!! RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Momin Jhuta Nahi ho sakta. [Urdu Ref :: Muwatta Imam Malik :: Hadith 2371] "✦

●◗► Facebook par ladke ka ye Haal hai ke Ladki bana baitha hai aur ladki hai to wo ladka bani baithi hai zara se maze ke liye apni Jins bhi badal dali aur Jhoota bhi hogaya..!! Ladka hokar Ladki ki id se Aakar Ladki se us ki pic mang kar ke main bhi ladki hun, phir woi Insan koi Aur id se ladka ban kar aakar use Blackmail karta hai ke mujhe tum se pyar hai Are wo Besharm Begairat tujh mein kuch sharm o haya baqi bhi hai ya nahi.

◈➲ Facebook par Fake ID bana kar khud ko mard ya Aourat zahir karna bhi Jhoot mein Aata hai Facebook par kai aise log hain jo Apni Galat Jins zaher kar kar Islam ki tableegh bhi kar rahe hain wo ye Batayen ke Haram tariqe se kon se Islam ki Tableegh ho sakti hai??

●═════════════════◄►════════════════●

'Abdullah RadiyAllahu Anhu reported Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) as saying: Truth leads one to Paradise and virtue leads one to Paradise and the person tells the truth until he is recorded as truthful, and lie leads to obscenity and obscenity leads to Hell, and the person tells a lie until he is recorded as a liar.

[Sahih Muslim :: Book 32 :: Hadith 6307]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Masood RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Sach Neki ki taraf raah dikhata hai aur Neki Jannat ko lejati hai aur Aadmi sach bolta hai yahan tak ke Khuda ke Nazdeek saccha likh liya jata hai aur Jhoot burayi ki taraf Raah dikhata hai aur Burayi Jahannam ko lejati hai aur Aadmi Jhoot bolta hai Yahan tak ke Khuda ke Nazdeek Jhoota likh liya jata hai.

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol.6 :: Hadith 6637]


✦.......................♥ Ilm-e-Nafe ke Raaste ♥.......................✦

❶ Ahle Ilm se Acche Andaz mein Sawalat puchte rehna.
❷ Ahle Ilm ki Majalis mein Jana aur Khamoshi ke sath Guftagu sunna.
❸ Ahle Ilm ki Baat sahih Tor par samajhna.
❹ Ahem Nukat yaad rakhna aur unhe Mahfooz karlena.
❺ Dusron ko Ilm sikhana.
❻ Ilm par Aml karna (Aur yahi Ilm ka Maqsood hai).

●═════════════════◄►═════════════════●

The Arabic word for knowledge is 'Ilm علم
The Arabic word for action is Amal عمل

As you can see, they both have the same letters with the same root word. This shows how close the two are related. Without 'Ilm, you cannot perform the right actions in the right way. Likewise, without Amal, there's no point learning all this 'ilm if you cannot show it by actions.

May Allah give us the tawfiq to understand and practice what we learn. Aameen ♥


......................✿....... H A D E E S .......✿......................

✦...:: Shaitan ki Baansuriyan ::...✦

Abu Huraira RadiyAllahu Anhu reported Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) as saying: The bell is the musical instrument of the Satan.

[Sahih Muslim :: Book 24 :: Hadith 5279]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: Ghanti o Saaz Baaje Shaitan ki Baansuriyan hain.

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol.5 :: Hadith 5548]


✦................(Y) Izhar-E-Haq ka Durust Tariqa (Y)................✦

●◗► Allah Subhanahu Wa Ta'ala ka Irshad hai: “Aye Musa o Haroon!) Tum dono Firaun ke paas jao ke wo sarkash hogaya hai, so Tum donon us se Narm Andaz mein Guftagu karna, Shayad ke wo Nasihat Qabool karle ya Darjaye”. (Qur’an 20:43-44)

✿ ◈➲ Haq aur sach Baat Umuman Kadwi nahi hoti Balke bolne ka Andaz aur Lab o Lehja kadwa hota hai, Ham Hikmat o Basirat se Aari hokar Haq baat kehne mein Mukhatib ko zaleel kardete hain aur Yaqeen rakhte hain ke Hamari is na Munasib Harkat ko sirf “Izhare Haq” samjha jaye ✿ ◈➲

✦................♥ Qudrate Khudawandi ke Mazaher ♥................✦

◈➲ √ Dahekti Aag Hazrat Ibrahim Alaihis Salam ko jala na saki. (Qur'an 21:69)

◈➲ √ Taiz dhaar churi Hazrat Ismail Alaihis Salam ka aik Baal bhi kaat na saki. (Qur'an 37:99 to 113)

◈➲ √ Darya ki Mojen Hazrat Musa Alaihis Salam aur unki Qoum ko Garqab na kar sakin. (Qur'an 26:65 to 67)

◈➲ √ Gahra kunwa Hazrat Yusuf Alaihis Salam ko Nigal na saka. (Qur'an 12:7 to 10)

◈➲ √ Machli Hazrat Yunus Alaihis Salam ko apne Pait mein halak na kar saki. (Qur'an 37:139 to 142) (Qur'an 21:87-88)

◈➲ √ Dushmano ka Jm Gufeer Hazrat Isa Alaihis Salam ko phansi ke phande par chadha na saka. (Qur'an 3:54-55) (Qur'an 4:155 to 159)

◈➲ √ Hijrat ki Raat Musal’lah (Hathyar lagaye hue) Hamla Aawaron ki Aakhen Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ko Daikh na sakin. (Qur'an 9:40)

Sunday, 13 April 2014

✦.....:) Khush o Khurram Zindagi Guzarne ke 7 Nafsiyati Usool :).....✦

❶ Apne Maazi par khush aur Mut’main rahen, Mazi ki talkhiyon ko bhuladen aur Unhen Haal par Asar andaz na hone den.

❷ Maqsad aur Manzil ki janib rawan dawan rahen, ye na sochen ke log Mere bare mein kya kahenge.

❸ Accha ya Bura waqt guzar jata hai, Hosle ke sath sabr o shukr karte hue waqt Guzaren.

❹ Aap ki khushi ka sab se bada sabab Aap ki apni zaat hai, Apna aur Ahel o Aayal ka khoob khayal rakhen.

❺ Apne se unchi Haisiyat walon ki zindagi se apna Mawaz na na karen, Apne se Niche logo ko daikhe.

❻ Bahot zyada socha na karen, Jayez asbab Ekhtiyar karne ke baad apne Mua’mlat Allah par Chhorden.

❼ Hamesha Muskurate rahen, Dunya ki sari pareshaniyo se door rehna Aap ke bus mein Nahi hai.

✦............♥ Sanjeedgi o Burdbari (Maturity) ♥............✦

✿ Sanjeedgi aur Burdbaari ka Haqiqi Mafhoom ye hai ke ✿

●◗► Jab kisi Mua’mle mein koi Aap ko Takleef pohchaye ya Bura bhala kahe to Aap ladne ke Bajaye Mua’mle ki teh tak pahochne ki Koshish Karen aur Hikmat o Basirat ke sath Ladayi Jhagde se Apna Daman Bachalen.

◈ Sanjeedgi - Zuban ka be huda Alfaz aur khayalat se Paak hona.
◈ Burdbari - Narmi, Sabr, Bardasht.


✦..............:( Aakhir tum sara Din karti kya Ho...? :(..............✦

●◗► Kaisa dukh deta hoga ye Sawal, Kabhi karne walon ne ye bhi Socha? Aik Aadmi Office se apne ghar aaya us ne dekha ke ghar ka sara saaman bikhra pada hai Bacche Trousers mein phir rahe hain, na Baal banaye hue hain na Muh dhula hua hai, andar se Bahar tak usei Badi hairat hui, Jab Andar gaya to Biwi ko Novel Padhte daikh kar hairan reh gaya us ne pucha ye sab kya hai?

◈➲ To Biwi ne Jawab diya ye sab wo hai jo Aap roz kehte hain ke "Aakhir tum sara din karti kya ho"? Aaj Main ne wo sab Nahi kiya Aaj aap ke samne hai ke mai kya karti hun,

✿ Ye aik sabaq hai un Shoharon ke liye jo apni Biwiyon ki Qadar nahi karte, Aap se ilteja hai ke Apni Biwiyon ki Qadar kijiye Aap inhein Ehsas dilwayen ke Aap un ka khayal rakhte hain, un ki Qadar karte hain, un ki Izzat karte hain, aur sab se Badh kar un se Mohabbat karte hain. Karenge na sab InshaAllah.

✦.........:) Aap kise Khush Karna Chahte Hain? :).........✦

► Jab aap Namaz padhte hain to Allah Subhanahu Wa Ta'ala khush hote hain.
► Aur Jab Namaz chhordete hain to Shaitan khush hota hai.

◈➲ Ab aap ki Marzi Allah Subhanahu Wa Ta'ala ko khush Karen ya Shaitan ko.

✦.................♥ Haya ka ISLAMI Tasawwur ♥.................✦

❶ Haya Iman ka Aik bada Hissa hai. (Sunan An-Nasa’i :: 5033)

❷ Har mazhab ka koi na koi Imtiyazi wasf raha hai aur Islam ki Imtiyazi Pehchan Haya hai. (Sunan Ibn Majah :: 4181)

❸ Haya karna, Khushbo lagana, Miswak karna aur Nikah karna Tamam Anmbiya ki sunnat hai. (Jami At-Tirmidhi :: 1080)

❹ Be hayayi Jis cheez mein hogi use Aaib daar banadegi, Jabke Haya Jis cheez mein bhi hogi use Khoobsurat banadegi. (Jami At-Tirmidhi :: 1974)

❺ Jis Insan mein sharm o Haya na rahe to wo badi se badi behudgi, Nafarmani aur Fasad barpa kar sakta hai. (Sahih Bukhari :: 6120)

❻ Haya Jannat mein lejane ka Zariya hai. (Jami At-Tirmidhi :: 2009)

❼ Allah se Haya karne ka haq ye hai ke Sir aur jo kuch us mein hai (Yani Dimag, Aankh, Kaan, Naak, Muh, aur Zuban wagerah) ki Hifazat ki jaye, isi Tarah pait aur jo kuch us mein hai (Yani Dil, Ma’dah aur Sharmgah Wagerah) ki hifazat ki jaye aur Mout o Qabr ko kasrat se yaad rakha jaye. (Jami At-Tirmidhi :: 2458)

✦..............:( 2 Jahannami ka Guroh  :(..............✦

Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Aliahi Wasallam ne Irshad Farmaya “Jahannam mein jane wale 2 Guroh aise hain jo Main ne abhi tak nahi daikhe (Aur wo mere Baad dunya mein paida honge),

❶ Aise log Aayenge Jin ke paas Bail ki dumon ki tarah sakht kode honge jin se wo logon ko (Zulm se) mara karenge.

❷ Aisi Aourten paida hongi jo kapde pahenne ke bawajood Nangi hongi (yani bareek aur tang kapde un ke Jism par honge), Mardon ko (Adaye dikha kar) apni Janib Mayel karne wali aur khud Mardon ki Janib Mayel hone wali hongi, Un ke sir bakhti Oonton ke kohaan ki tarah (Balon mein unche jode lagane ki wajah se) Aik taraf jhuke honge, Aisi Aourten na Jannat mein Jayengi aur na Jannat ki khushbon Soongh sakengi Halan ke Jannat ki khushbon Door door tak Sunghi jati hai.

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol.6 :: Hadith 7194]

► Bakhti oont – Aik qism ka bada oont
► Kohaan -  Oont ki peet ki bulandi, Saand ya Bail ka Uncha kandha.

●════════════════════◄►════════════════════●

Abu Huraira RadiyAllau Anhu reported Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) as saying: Two are the types amongst the denizens of Hell,

❶ The one possessing whips like the tail of an ox and they flog people with their help.

❷ (The second one) the women who would be naked in spite of their being dressed, who are seduced (to wrong paths) and seduce others with their hair high like humps. These women would not get into Paradise and they would not perceive the odour of Paradise, although its frag- rance can be perceived from such and such distance (from great distance).

[Sahih Muslim :: Book 40 :: Hadith 6840]

......................✿....... H A D E E S .......✿......................

✦...:: Sila Rahmi Karne Wala kon ::...✦

Narrated `Abdullah bin `Amr RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "Al-Wasil is not the one who recompenses the good done to him by his relatives, but Al-Wasil is the one who keeps good relations with those relatives who had severed the bond of kinship with him."

[Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 73 :: Hadith 20]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Amr RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: Sila Rahmi karne wala wo nahi hai jo sirf Badla chukaye (yani Ehsan ke badle Ehsan kare) Balke sila rahmi karne wala wo hai ke Agar us se Rishta nata Toda jaye tab bhi wo Rishta nata jode rakhe.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol.7 :: Hadith 5991]

●◗► Sila Rahem – Rishte daron se Naik Sulook.


✦............♥ Main Shukr Guzar Bandah kyu na Banun ♥............✦

◈ Allah ne Mujhe Iman ki doulat se Mala Maal Farmaya hai.
◈ Umdah mahol mein meri parwarish hui.
◈ Mujhe taleem hasil karne ki toufeeq di.
◈ Do Waqt ki roti ka Bandobast kiya.
◈ Pur sukoon Dil ata kiya.
◈ Mujhe Aa’za ki salamati ke sath Acchi sahet se Nawaza.
◈ Sardi Garmi se bachne aur sir chipane ke liye cht di.
◈ Mujhe aik khoobsurat Gharana ata kiya.
◈ Acche dost aur sathi diye.
◈ Mere chehre par Muskurahat sajadi.
◈ Pahanne ko libas diya.
◈ Sab se badh kar ye ke mere Rab ne Shukr karne wali Zuban di.

✿ SubhanAllah ✿ Alhamdulillah ✿ Allahu Akbar ✿ La’ilaha Illa’llah ✿

Wednesday, 2 April 2014

✦............♥ Ahem Mushkilat ka Qurani Hal ♥............✦

► Jab ghamgeen hon to is Aayat ka wird karen:

 لَّآ إِلَـٰهَ إِلَّآ أَنتَ سُبۡحَـٰنَكَ إِنِّى ڪُنتُ مِنَ ٱلظَّـٰلِمِينَ
Tere siwa koi Mabood nahi, Tu paak hai, Beshak main zalimon mein hogaya. (Qur'an 21:87)

► Jab Takleef mein Mubtela hon to ye Aayat padhen:

 أَنِّى مَسَّنِىَ ٱلضُّرُّ وَأَنتَ أَرۡحَمُ ٱلرَّٲحِمِينَ
Mujhe ye Bimari lag gayi hai aur tu Tamam rahem karne walon se zyada Rahem karne wala hai. (Qur’an 21:83)

► Jab kisi (Dushman Wagherah ke) khof mein Mubtela hon to is Aayat ka wird karen:

حَسۡبُنَا ٱللَّهُ وَنِعۡمَ ٱلۡوَڪِيلُ
Ham ko Allah kafi hai aur wo bahot Accha kaar saaz hai. (Qur’an 3:173)

► Jab Makro Fareb aur Dhoke mein padjane ka Andesha ho to ye Aayat padhen:

وَأُفَوِّضُ أَمۡرِىٓ إِلَى ٱللَّهِۚ إِنَّ ٱللَّهَ بَصِيرُۢ بِٱلۡعِبَادِ
Aur Main Apna Kaam Allah ke Supurd karta hun, Beshak Allah Tala bandon ko daikhne wala hai. (Qur’an 40:44)

✦...........x April Fool Manane ki Qabahaten x...........✦

❶ Kuffar se Mushabihat hai, aur Jo Jis Qoum se Mushabihat Ekhtiyar karta hai Qayamat ke din us ka Hashr unhin ke sath hoga. (Sunan Abu Dawood :: 4020)

❷ Jhoot par us ki Bunyad hai, aur "Jhoot bolne wale par ALLAH TA'ALA ki La'nat hoti hai". (Qur'an 3:61)

❸ Dhoke par us ki Bunyad hai, aur Dhoke dene wala Ummate Muhammadiya mein se Nahi. (Sahih Muslim :: 284)

❹ Makhluqat ko satane ka wabal hai.

❺ Insan ka Aaitemad khojata hai.


●◗► Ye Saanp kitna khubsurat hai kya koi ise apne paas rakhna pasand karega? Nahi..! Hargiz Nahi..!! Zaaheri tor par ye Saanp bahot khubsurat hai lekin is se Nafrat ki wajah ye hai ke is mein zaher poshida hai jo is ke Zaaher par hawi hai,

◈➲ Bilkul isi tarah ye Dunya hai, Aaj ham log Raasta bhule hue hain, Dunya ki zahiri Khubsurti ko hi hamne sab kuch samajh liya hai, Halan ke dunya ka Asal roop is saanp se zyada bhayank hai aur is ke zaher ka Asar marne ke baad tak bhi Rehta hai.

✿ Allah Tala hame Deen Islam ke Sunheri usulon ke Mutabiq Dunya ka safar tai karne ki Toufeeq ata farmaye Aameen.


✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "LOWER YOUR GAZE" ✦

Jarir b. 'Abdullah RadiyAllahu Anhu reported: I asked Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) about the sudden glance (that is cast) on the face (of a non-Mahram). He commanded me that I should turn away my eyes.

[Sahih Muslim :: Book 25 :: Hadith 5372]

Urdu Translation: Hazrat Jarir bin Abdullah RadiyAllahu Anhu se riwayat hai ke Main ne RasoolAllah Sallallahu Aliahi Wasallam se (Gair Mahram Par) Achank Nazar padjane ke Mutalliq pucha to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Mujhe Hukm diya ke Main Apni Nazar ko Pheirlun.

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol.5 :: Hadith 5644]


◈➲ Har sans Jo Andar Aati hai Zindagi bakhashti hai aur Jab Bahar nikalti hai to Rooh ko Rahat deti hai Lehaza har har Saans mein do Nematen Moujood hain aur Har Nemat par km az km aik Shukr Wajib hai ◈➲

★•.•´¯`•.•★ A L H A M D U L I L L A H ★•.•´¯`•.•★


✦.............♥ Insan ka Apna kya Hai....!! ♥.............✦

► Paida dusre ne kiya,
► Ahmiyat dusron ne di,
► Taleem dusron ne di,
► Rishta bhi dusron se joda,
► Kaam karna bhi dusron ne sikhaya,
► Aakhir mein Qabristan bhi dusre hi lekar gaye,

◈➲ Insan ka Apna kya hai....To Guroor kis Baat par hai.?? "EGO" Kill it. (Qur’an 28:78) ◈➲

✦...........:: Tib-e-Nabvi aur Jadeed Science ::...........✦

✿ Aik Paon mein Joota Pahenna ✿

Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu: Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "None of you should walk, wearing one shoe only; he should either put on both shoes or put on no shoes whatsoever."

[Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Book 72 :: Hadith 746]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya Tum mein koi Shaks sirf Aik Paon mein Juta pahen kar na chale Ya Dono paon Nanga rakhe ya Dono mein Juta pahne.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol.7 :: Hadith 5856]

●◗► Dore Jadeed ke Orthopedic Mahireen is Nokte par Muttafiq hain ke sirf Aik pair mein Juta pahen kar chalne se Shadeed Aasabi aur Jismani Bimari lahaq ho sakte hain, Qurban jaye RasoolAllah Sallallahu Aliahi Wasallam ki Mushfaq o Maherban Zaat par Jinho ne is Hawale se Apni Ummat ki 1400 saal Qabl hi Rahnumayi Farmadi.


✦..............♥ √ Insaniyat ki Qadar Karen √ ♥..............✦

► Agar aap apni zaat se kisi ko faidah nahi pohcha sakte to use Nuqsan bhi na pohchayyen.
► Agar aap kisi ka Mushkil mein sath nahi de sakte to us ki Mushkil aur Musibat par khush na ho.
► Agar aap kisi ko khush nahi kar sakte to km az km Naraz na Karen.
► Agar aap Mazloom ki madad nahi kar sakte to Zalim ka sahara bhi na Banen.
► Agar aap kisi ki Tareef nahi kar sakte to Burayi bhi na karen.
► Agar aap kisi ke Peeth piche us ki Tareef nahi kar sakte to us ki Gibat bhi na Karen.
► Agar aap kisi ki zaheri Nemat par khushi ka izhar nahi kar sakte to us se Hasad bhi na Karen.
► Agar aap kisi ki Maali madad nahi kar sakte to us ki Izzat Nafs aur Sufaid poshi ke bharam ko kharab na karen.

◈➲ Yaad Rakhen! Insaniyat ke Nate Insanon ki Qadar karna Aap ke Insan hone ki Sab se Badi Daleel hai ◈➲