Pages

Sunday, 13 April 2014

✦.....:) Khush o Khurram Zindagi Guzarne ke 7 Nafsiyati Usool :).....✦

❶ Apne Maazi par khush aur Mut’main rahen, Mazi ki talkhiyon ko bhuladen aur Unhen Haal par Asar andaz na hone den.

❷ Maqsad aur Manzil ki janib rawan dawan rahen, ye na sochen ke log Mere bare mein kya kahenge.

❸ Accha ya Bura waqt guzar jata hai, Hosle ke sath sabr o shukr karte hue waqt Guzaren.

❹ Aap ki khushi ka sab se bada sabab Aap ki apni zaat hai, Apna aur Ahel o Aayal ka khoob khayal rakhen.

❺ Apne se unchi Haisiyat walon ki zindagi se apna Mawaz na na karen, Apne se Niche logo ko daikhe.

❻ Bahot zyada socha na karen, Jayez asbab Ekhtiyar karne ke baad apne Mua’mlat Allah par Chhorden.

❼ Hamesha Muskurate rahen, Dunya ki sari pareshaniyo se door rehna Aap ke bus mein Nahi hai.

✦............♥ Sanjeedgi o Burdbari (Maturity) ♥............✦

✿ Sanjeedgi aur Burdbaari ka Haqiqi Mafhoom ye hai ke ✿

●◗► Jab kisi Mua’mle mein koi Aap ko Takleef pohchaye ya Bura bhala kahe to Aap ladne ke Bajaye Mua’mle ki teh tak pahochne ki Koshish Karen aur Hikmat o Basirat ke sath Ladayi Jhagde se Apna Daman Bachalen.

◈ Sanjeedgi - Zuban ka be huda Alfaz aur khayalat se Paak hona.
◈ Burdbari - Narmi, Sabr, Bardasht.


✦..............:( Aakhir tum sara Din karti kya Ho...? :(..............✦

●◗► Kaisa dukh deta hoga ye Sawal, Kabhi karne walon ne ye bhi Socha? Aik Aadmi Office se apne ghar aaya us ne dekha ke ghar ka sara saaman bikhra pada hai Bacche Trousers mein phir rahe hain, na Baal banaye hue hain na Muh dhula hua hai, andar se Bahar tak usei Badi hairat hui, Jab Andar gaya to Biwi ko Novel Padhte daikh kar hairan reh gaya us ne pucha ye sab kya hai?

◈➲ To Biwi ne Jawab diya ye sab wo hai jo Aap roz kehte hain ke "Aakhir tum sara din karti kya ho"? Aaj Main ne wo sab Nahi kiya Aaj aap ke samne hai ke mai kya karti hun,

✿ Ye aik sabaq hai un Shoharon ke liye jo apni Biwiyon ki Qadar nahi karte, Aap se ilteja hai ke Apni Biwiyon ki Qadar kijiye Aap inhein Ehsas dilwayen ke Aap un ka khayal rakhte hain, un ki Qadar karte hain, un ki Izzat karte hain, aur sab se Badh kar un se Mohabbat karte hain. Karenge na sab InshaAllah.

✦.........:) Aap kise Khush Karna Chahte Hain? :).........✦

► Jab aap Namaz padhte hain to Allah Subhanahu Wa Ta'ala khush hote hain.
► Aur Jab Namaz chhordete hain to Shaitan khush hota hai.

◈➲ Ab aap ki Marzi Allah Subhanahu Wa Ta'ala ko khush Karen ya Shaitan ko.

✦.................♥ Haya ka ISLAMI Tasawwur ♥.................✦

❶ Haya Iman ka Aik bada Hissa hai. (Sunan An-Nasa’i :: 5033)

❷ Har mazhab ka koi na koi Imtiyazi wasf raha hai aur Islam ki Imtiyazi Pehchan Haya hai. (Sunan Ibn Majah :: 4181)

❸ Haya karna, Khushbo lagana, Miswak karna aur Nikah karna Tamam Anmbiya ki sunnat hai. (Jami At-Tirmidhi :: 1080)

❹ Be hayayi Jis cheez mein hogi use Aaib daar banadegi, Jabke Haya Jis cheez mein bhi hogi use Khoobsurat banadegi. (Jami At-Tirmidhi :: 1974)

❺ Jis Insan mein sharm o Haya na rahe to wo badi se badi behudgi, Nafarmani aur Fasad barpa kar sakta hai. (Sahih Bukhari :: 6120)

❻ Haya Jannat mein lejane ka Zariya hai. (Jami At-Tirmidhi :: 2009)

❼ Allah se Haya karne ka haq ye hai ke Sir aur jo kuch us mein hai (Yani Dimag, Aankh, Kaan, Naak, Muh, aur Zuban wagerah) ki Hifazat ki jaye, isi Tarah pait aur jo kuch us mein hai (Yani Dil, Ma’dah aur Sharmgah Wagerah) ki hifazat ki jaye aur Mout o Qabr ko kasrat se yaad rakha jaye. (Jami At-Tirmidhi :: 2458)

✦..............:( 2 Jahannami ka Guroh  :(..............✦

Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Aliahi Wasallam ne Irshad Farmaya “Jahannam mein jane wale 2 Guroh aise hain jo Main ne abhi tak nahi daikhe (Aur wo mere Baad dunya mein paida honge),

❶ Aise log Aayenge Jin ke paas Bail ki dumon ki tarah sakht kode honge jin se wo logon ko (Zulm se) mara karenge.

❷ Aisi Aourten paida hongi jo kapde pahenne ke bawajood Nangi hongi (yani bareek aur tang kapde un ke Jism par honge), Mardon ko (Adaye dikha kar) apni Janib Mayel karne wali aur khud Mardon ki Janib Mayel hone wali hongi, Un ke sir bakhti Oonton ke kohaan ki tarah (Balon mein unche jode lagane ki wajah se) Aik taraf jhuke honge, Aisi Aourten na Jannat mein Jayengi aur na Jannat ki khushbon Soongh sakengi Halan ke Jannat ki khushbon Door door tak Sunghi jati hai.

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol.6 :: Hadith 7194]

► Bakhti oont – Aik qism ka bada oont
► Kohaan -  Oont ki peet ki bulandi, Saand ya Bail ka Uncha kandha.

●════════════════════◄►════════════════════●

Abu Huraira RadiyAllau Anhu reported Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) as saying: Two are the types amongst the denizens of Hell,

❶ The one possessing whips like the tail of an ox and they flog people with their help.

❷ (The second one) the women who would be naked in spite of their being dressed, who are seduced (to wrong paths) and seduce others with their hair high like humps. These women would not get into Paradise and they would not perceive the odour of Paradise, although its frag- rance can be perceived from such and such distance (from great distance).

[Sahih Muslim :: Book 40 :: Hadith 6840]

......................✿....... H A D E E S .......✿......................

✦...:: Sila Rahmi Karne Wala kon ::...✦

Narrated `Abdullah bin `Amr RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "Al-Wasil is not the one who recompenses the good done to him by his relatives, but Al-Wasil is the one who keeps good relations with those relatives who had severed the bond of kinship with him."

[Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 73 :: Hadith 20]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Amr RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: Sila Rahmi karne wala wo nahi hai jo sirf Badla chukaye (yani Ehsan ke badle Ehsan kare) Balke sila rahmi karne wala wo hai ke Agar us se Rishta nata Toda jaye tab bhi wo Rishta nata jode rakhe.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol.7 :: Hadith 5991]

●◗► Sila Rahem – Rishte daron se Naik Sulook.


✦............♥ Main Shukr Guzar Bandah kyu na Banun ♥............✦

◈ Allah ne Mujhe Iman ki doulat se Mala Maal Farmaya hai.
◈ Umdah mahol mein meri parwarish hui.
◈ Mujhe taleem hasil karne ki toufeeq di.
◈ Do Waqt ki roti ka Bandobast kiya.
◈ Pur sukoon Dil ata kiya.
◈ Mujhe Aa’za ki salamati ke sath Acchi sahet se Nawaza.
◈ Sardi Garmi se bachne aur sir chipane ke liye cht di.
◈ Mujhe aik khoobsurat Gharana ata kiya.
◈ Acche dost aur sathi diye.
◈ Mere chehre par Muskurahat sajadi.
◈ Pahanne ko libas diya.
◈ Sab se badh kar ye ke mere Rab ne Shukr karne wali Zuban di.

✿ SubhanAllah ✿ Alhamdulillah ✿ Allahu Akbar ✿ La’ilaha Illa’llah ✿

No comments:

Post a Comment