Pages

Thursday, 12 June 2014

✦..............:( :'( Khud Kushi ka Bhayank Anjam :'( :(..............✦

It is Narrated on the authority of Abu Huraira RadiyAllahu Anhu that the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) observed: He who killed himself with steel (weapon) would be the eternal denizen of the Fire of Hell and he would have that weapon in his hand and would be thrusting that in his stomach for ever and ever, he who drank poison and killed himself would sip that in the Fire of Hell where he is doomed for ever and ever; and he who killed himself by falling from (the top of) a mountain would constantly fall in the Fire of Hell and would live there for ever and ever.

[Sahih Muslim :: Book 1 :: Hadith 199]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: Jis ne lohe ke hathyar se khud kushi ki to Jahannam ki Aag mein wo hathyar us ke hath mein hoga aur wo us se apne Pait ko hamesha zakhmi karta rahega, aur Jis ne zaher pi kar khud kushi ki to wo bhi Jahannam ki Aag mein hamesha hamesha us zaher ko ghoont ghoont kar pita rahega aur Jis ne pahad (ya kisi unchi jaga) se gir kar Khud kushi ki to wo bhi Jahannam ki Aag mein hamesha hamesha pahad se yunhi girta rahega.

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol.1 :: Hadith 300]

●═══════════════════◄►══════════════════●


Narrated Jundub RadiyAllahu Anhu: Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "Amongst the nations before you there was a man who got a wound, and growing impatient (with its pain), he took a knife and cut his hand with it and the blood did not stop till he died. Allah said, 'My Slave hurried to bring death upon himself so I have forbidden him (to enter) Paradise.' "

[Sahih Bukhari :: Vol. 4 :: Book 55 :: Hadith 669]

Urdu Translation: Hazrat Jundub Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya pichle zamane mein aik shaksh (ke hath mein) zakhm ho gaya tha aur us se use badi takleef thi Aakhir usney churi (knife) se apna haat kaat liya us ka Natija ye hua ke khoon bahne laga aur usi se wo mar gaya phir Allah Tala ne farmaya ke mere bande ne khud mere paas Aane mein Jaldi ki isliye maine bhi jannat ko is par haram kar diya.

[Urdu Ref :: Sahih al-Bukhari :: Hadith 3463]



✦............♥ Ayyam Baiz ke 3 Roze 30 Rozon ke Barabar ♥............✦

It was Narrated from Jarir bin 'Abdullah RadiyAllahu Anhu that the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said: "Fasting three days of each month is fasting for a lifetime, and the shining days of Al-Bid, the thirteenth, fourteenth and fifteenth."

[Sunan an-Nasa'i :: Vol 3 :: Book 22 :: Hadith 2422]

Urdu Translation: Hazrat Jarir bin Abdullah RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad farmaya ke har Maah mein Teen (3) Roz Roze rakhlena Hamesha Rozah rakhne ke barabar hai aur Ayyam Baiz (Yani 13wi Raat ki Fajr se 14 wi 15 wi tak hain in ko Ayyam Baiz is wajah se kehte hain ke in ki Raat Chaand ki roshni Roushan aur saaf Maloom hoti hai).

[Urdu Ref :: Sunan an-Nasa’i :: Vol.2 :: Hadith 331]

⇨ "Allah Subhanahu Wa Ta'ala ka Irshad hai: "Jo Shaks koi Neki le kar Aayega, us ke liye us Jaisi Dus Nekiyon ka sawab hai." (Qur’an 6:160)

●◗►  Ayyam Baiz se Murad Qamri Mahinon ki 13,14,15 Tarikhen hain
●◗►  Yani: 12,13,14 June 2014, Baroz: Jumerat, Jumah, Hafta.

●◗► Aik shaks Aik Buzurg ke paas gaya aur kaha ke Aap ke Andar fula Khami hai...!! Buzurg ne Muskurakar "Alhamdulillah" kaha,

Us Aadmi ne pucha Hazrat maine Aap ko Aap ki khami ke bare mein Bataya aur Aap "Alhamdulillah" keh rahe hain,

♥ Buzurg ne jawab diya ke us paak zaat ka Shukr Ada kar raha hun ke jis ne baqi sab khamiyon par pardah dala aur Tumhen sirf aik hi Nazar aayi ♥

✦..........(Y) Apni Tijarat ka Hisab Kitab laga kar Soyyen! (Y)..........✦

::...✿...:: Aaj ka Din ::...✿...::

✔ Aap ka Asal Sarmaya: Farayez aur Wajibat.
✔ Izafi Nafa: Nawafil, Sadqat o khairaat, Khidmate khalq.
✔ Noqsan: Gunah, Nafarmani, Zulm, Haq talfi.

► Kya Aap ne Astaghfar padh kar apne gunah bakhshwaliye?
► Zikr Allah ke bagair guzre hue waqt ke zaye hone par Aap Ghamgeen hain?
► Ghar, daftar aur karobar mein Aap ne Huqooq Allah aur Huqooqul Ibad pure kiye?

◈➲ Raat sone se Qabl Apna Muhaseba Zaroor Kijiye, Apne Gunaho se Allah se Sacchi Toba kar kar Soyye kya pata phir Aakh khule ya na khule.

✦...........:( Zuban ke Waar se Dilon ko Zakhmi na Karen :(...........✦

▶▶▶ Zuban se Nikli hui na Munasib Baat ◀◀◀

► Patthar se zyada sakht
► Aailwe (Aloe Vera) se zyada kadwi
► Aag ke Angaro se zyada Garam
► Halak karne wale zaher se zyadah zahrili
► Aur Talwar ki dhaar se zyada Taiz hoti hai.

◈➲ Baat karne se pehle us ke Mumkina Fawayed o Nuqsanat ka Acchi tarah Jayezah lelen, Kyun ke "Kamaan se nikla hua Teer aur Zuban se Nikli hui Baat Wapas Nahi Aati."

●═════════════════◄►═════════════════●

Narrated Sahl bin Sa`d RadiyAllahu Anhu: Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "Whoever can guarantee (the chastity of) what is between his two jaw-bones and what is between his two legs (i.e. his tongue and his private parts), I guarantee Paradise for him."

[Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 76 :: Hadith 481]

Urdu Translation: Hazrat Sahl bin Sa`d RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Mere liye jo Shaks dono Jabdon ke darmiyan ki cheez (Zuban) aur dono Paon ke Darmiyan ki cheez (Sharmgah) ki zimmedari dede main us ke liye Jannat ki Zimmedari dedunga.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol.7 :: Hadith 6474]

✦..............✔ Kash ke Ham bhi kuch Aise Usool Banalen ✔..............✦

●◗► Aik shaks Aik Badshah ki khidmat mein hazir hua aur kehne laga, Aap se kuch Raaz ki baat kehna chahta hun, Badshah ne Apne Masahibon se kaha, Aap log zara Takhliya ka Moqa den, Wo sab log uth gaye Phir Badshah ne Qabl is ke wo shaks kuch kahe us se kaha:

✿ "Daikho meri Tareef na karna, Main apne Aap ko khoob Pehchanta hun, Mujh se jhoot na bolna, Jhuta bagair saza paye mere paas se bach kar nahi ja sakta aur na kisi ki lagayi bujhayi karna kyun ke Choghol khori sab se bada Jurm hai, Ab kaho.. Kya kehte ho?".

➲ Wo shaks kuch nahi bola..Chup chap uth kar chala gaya...!! ✔ Kash ke ham bhi kuch Aise Usool banalen to Mua’shre se bahot si Burayyan Aahista Aahista khatam ho sakti hain.


✦.................:o Share Karne Mein Ehtiyat :o.................✦

⇨ "And verily, they shall bear their own loads, and other loads besides their own," (Qur’an 29:13)

⇨ Urdu Translation: "Aur wo Apne Gunahon ke bojh bhi Zaroor uthayenge aur apne Bojhon ke sath un logon ke Gunahon ka bojh bhi (Jo unki wajah se Gunah mein mubtela hue)." (Qur’an 29:13)

●◗► Share karne se pehle Acchi tarah Sochlen…! Kahin Aap ka shumar to aise logon mein nahi jo Gunah ki cheez Share kar ke Dusron ke gunahon ka bojh bhi apne sir le lete hain?

No comments:

Post a Comment