Pages

Saturday, 12 July 2014

✦..........♥ Rozah Daaron ke liye Lazzate Iftar o Lazzate Didaar ♥..........✦

Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu: Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "There are two pleasures for the fasting person,

❶ One at the time of breaking his fast,
❷ And the other at the time when he will meet his Lord; then he will be pleased because of his fasting."

[Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Book 31 :: Hadith 128]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Rozah Daar ko do khushiya hasil hongi,

❶ Aik to Jab wo Iftar karta hai to khush hota hai,
❷ Aur Dusre Jab wo Apne Rab se mulaqat karega to Apne Roze ka Sawab pakar khush hoga."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Hadith 1904]

✦ Hazrat Jibraeel ki Bad'Dua par RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ki "Aameen" ✦

Hazrat Kab bin Ajrah RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: Membar ke paas Jama hojao ham sab jama hogaye, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Jab Membar ki Pehle sidhi par qadam rakha to farmaya: "Aameen", Dusri sidhi par qadam rakha to phir farmaya: "Aameen", Jab Teesri sidhi par qadam rakha to phir farmaya: "Aameen"

Sahaba ne Arz kiya Ya RasoolAllah! Aaj ham ne Aap se aisi baat suni hai jo pehle kabhi nahi suni, RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Mere paas Jibraeel Aaye the

► Jab maine pehli sidhi par Qadam rakha to unhone kaha Halak o Barbad hojaye wo shaks jo Ramadhan ul Mubarak ka mahina paye phir bhi us ki Bakhshish na ho Maine kaha: "Aameen".

► Jab Maine dusri sidhi par Qadam rakha to unho ne kaha Halak o Barbad hojaye wo Shaks jis ke samne Aap ka Naam Mubarak liya jaye aur wo Aap ki khidmat Aqdas mein Darood Shareef na bheije, Maine kaha: "Aameen".

► Jab maine Teesri sidhi par Qadam rakha to unho ne kaha Halak o Barbad hojaye wo Shaks jo Apne Waldain ko budhape ki halat mein paye lekin wo (un ki khidmat kar ke) Jannat mein dakhil na ho, Maine kaha: "Aameen".

[Mustadrak Al Hakim :: Hadith 7256]

●═══════════════════◄►══════════════════●

Once the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) was ascending the pulpit. When he climbed the one step, he said 'Aameen'. He repeated, "Aameen" when he climbed the second step. He uttered 'Aameen' when he climbed the third step. When the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) descended the pulpit, the companions told him that they happened to hear something new. He (Sallallahu Alaihi Wasallam) asked them what they meant. The companions said that he uttered Ameen while ascending every step of the pulpit. The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam told them. Hadrat Jibreel was before me,

► When I ascended the first step he cursed, "Woe to him who in spite of having been provided with he month of Ramdhan fails to obtain Allah's forgiveness. I said, "Aameen".

► When I climbed the second step the angel cursed him who fails to send blessing on the Prophet after listening to his name. I said "Aameen".

► When I climbed the third step the angel cursed "Woe to him who finds either one and both of his parents in old age, and yet is not able to enter Heaven". I said "Aameen".

[Mustadrak Al Hakim :: Hadith 7256, Narrated by Ibn Hibbaan, 3/188; classed as saheeh by al-Shaykh al-Albaani in Saheeh al-Targheeb, 1679]


✦ Ramadhan ul Mubarak Ummate Muhammadiya (Sallallahu Alaihi Wasallam) par 5 In’aamat ✦

Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Meri Ummat ko Ramadhan ul Mubarak ke bare mein Paanch Chizen khaas tor par di gayi hain jo Guzashta Ummaton ko nahi di gayen:

❶ Un ke muh ki bo Allah ke nazdeek Mushk se zyadah pasandidah hai.

❷ Un ke liye Farishte tak Duaye Maghfirat karte hain aur Iftar ke waqt tak karte rehte hain.

❸ Jannat har roz un ke liye Aarasta ki jati hai phir Haq Ta’la Shanahu (Jannat se) Farmate hain: "Anqareeb mere Naik bande (dunya) ki Mushaqqaten apne uphar se phaink kar teri taraf Aayenge."

❹ Is mein sharkash shayateen Qaid kardiye jate hain pus wo Ramadhan ul Mubarak mein un burayyon tak nahi pahoch sakte Jin tak Ramadhan ke alawah Digar mahinon mein pahochte hain.

❺ Ramadhan ul Mubarak ki Aakhri Raat mein Rozah daron ki Maghfirat kardi jati hai. Sahaba Ikram RadiyAllahu Anhuma ne Arz kiya Ya RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam! Kya ye Shabe Maghfirat, Shabe Qadr hai? Farmaya Nahi! Balke Dastoor ye hai ke Mazdoor ko kaam khatam hone ke Waqt mazdoori di jati hai."

[Musnad Ahmad :: Hadith 7917]

●═════════════════════◄►════════════════════●

Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu said that the Messenger of Allaah Sallallahu Alaihi Wasallam is supposed to have said: "My Ummah were given five things for Ramadhaan which were not given to anyone before them. For them:

❶ The smell from the mouth of a fasting person is sweeter to Allaah than the fragrant smell of musk.

❷ The Angels (in another narration it is: "The fish") seek forgiveness for the fasting people until they break their fast.

❸ Allaah prepares and decorates a special garden in Jannah everyday and then says (to it): (The time is near when faithful servants shall cast aside the great trials of the world and come to you).

❹ In this month (for them) evil-minded Shaytaan is chained so as not to reach unto those evils to which they normally reach during other months besides Ramadhaan.

❺ On the last night of Ramadhaan they are forgiven."The Sahaabah RadiyAllahu Anhuma thereupon enquired: "O Messenger of Allaah! Is that last night Laylatul Qadr? The Messenger of Allaah Sallallahu Alaihi Wasallam replied: "No. But it is only right that a servant should be given his reward on having completed his service."

[Musnad Ahmad :: Hadith 7917]


✦..♥ Ramadhan ul Mubarak Aasmani kitabon ke Nuzool ka Mahinah ♥..✦

Waathilah ibn al-Asqa RadiyAllahu Anhu 'said: The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "The Scriptures of Ibraaheem (Abraham) were sent down on the first of the month of Ramadaan. The Tawraat (Torah) was sent down on the sixth of Ramadaan . The Injeel (Gospel) was sent down on the thirteenth of Ramadaan. The Zaboor (Pslams) was sent down on the eighteenth of Ramadaan, and the Qur'an was sent down on the twenty-fourth of Ramadaan. "

(Hadith - Ahmad and al-Tabaraani) (Classed as hasan by al-Albaani in al-Silsilah al-Saheehah, 1575)

Urdu Translation: Hazrat Waathilah ibn al-Asqa RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Hazrat Ibrahim Alaihis Salam ke "Sahife" Ramadhan ki pehli Raat mein Nazil hue, "Tawraat" 6 Ramadhan ko Nazil hui, "Injeel" 13 Ramdhan ul Mubarak ko Nazil hui, "Zaboor" 18 Ramadhan ko Nazil hui aur "Quran Majeed" 24 Ramadhan ul Mubarak ko Nazil hua.”

[Musnad Ahmad bin Hambal :: Hadith 16984] [Al-Tabarani :: 3740]

✦ IFTAR Party ki Dua, IFTAR ki Dawat ke Baad Maizbaan ke liye ye Dua padhen ✦

It was narrated that Abdullah bin Zubair RadiyAllahu Anhu said: "The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam broke his fast with Sa’d bin Mu’adh RadiyAllahu Anhu and said:

أَفْطَرَ عِنْدَكُمُ الصَّائِمُونَ وَأَكَلَ طَعَامَكُمُ الأَبْرَارُ وَصَلَّتْ عَلَيْكُمُ الْمَلاَئِكَةُ

"Aftara ‘indakumus-saimun, wa akala ta’amakumul-abrar, wa sallat ‘alaikumul- mala’ikah"

(May fasting people break their fast with you, may the righteous eat your food, and may the angels send blessing upon you)."

[Sunan Ibn Majah :: Vol.1 :: Book 7 :: Hadith 1747]

●══════════════════◄►═════════════════●

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Zubair RadiyAllahu Anhu se rivayat hai ke RasoolAllah Sallallhu Alaihi Wasallam ne Hazrat Sa’d bin Mu’adh RadiyAllahu Anhu ke wahan roza iftar kiya to (unko ye) dua di ke

أَفْطَرَ عِنْدَكُمُ الصَّائِمُونَ وَأَكَلَ طَعَامَكُمُ الأَبْرَارُ وَصَلَّتْ عَلَيْكُمُ الْمَلاَئِكَةُ

"Aftara ‘indakumus-saimun, wa akala ta’amakumul-abrar, wa sallat alaikumul-mala’ikah"

(Rozedar tumhare yahan iftar karen, Neik log tumhara khana khayen aur Farishten tumhare liye Duaye karen).

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Hadith 1747]


✦ Ramadhan mein Umrah ki Adayegi ka Sawab Haj ke Barabar hai ✦

It was narrated from Ibn 'Abbas that the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Umrah during Ramadan is equivalent to Hajj."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 25 :: Hadith 2994]

Urdu Translation: Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: "Ramadhan mein Umrah Haj ke Barabar hai."

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 2 :: Hadith 1151]


✦..........♥ Sahri Khayye Rahmaten o Barkaten Payyen ♥..........✦

Narrated Abu Sa'eed Al-Khudri RadiyAllahu Anhu: The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said: Sahri is full of blessings, so do not miss it even if you drink just a sip of water. Allah azzawajal and His angels send mercy upon the people who do sahri.

[Musnad Ahmad :: Vol. 4 :: Hadith 11396]

Urdu Translation: Hazrat Abu Sa'id al-Khudri RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAlla Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Sahri ka khana Ba’ise Barkat hai is liye sahri na Chhoron Agarche pani ka Aik Ghoont pi kar hi sahri karni pade, Kyun ke Allah Subhanahu Wa Ta'ala Sahri khane walon par Rahmat bhaijte hain aur Allah ke Muqarrab Farishte sahri khane walon ke liye Duaye Maghfirat karte hain.

[Musnad Ahmad :: Hadith 11396]

●═══════════════════◄►══════════════════●

Anas (Allah be pleased with him) reported Allah's Messenger Sallallahu Alaihi Wasallam as saying: Take meal a little before dawn, for there is a blessing in taking meal at that time.

[Sahih Muslim :: Book 6 :: Hadith 2412]

Urdu Translation: Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya "Sahri khaya karo kyu ke Sahri ke khane mein barkat hai ".

[Urdu Ref :: Sahih Muslim ::Vol. 3 :: Hadith 2549]


✦....♥ Ramadhan ki (Raato Mein) Namaz Taraweeh Padne Ki Fazilat ♥....✦

Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu: Allah's Messenger Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Whoever prayed at night the whole month of Ramadan out of sincere Faith and hoping for a reward from Allah, then all his previous sins will be forgiven."

[Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Book 32 :: Hadith 227]

Urdu Translation: Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu se rivayat hai ke RasoolAllah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya Jisne Ramadan ki raato mein (baidar rehkar) Namaze Taraweeh padhi Imaan aur sawab ki Niyyat ke saath, uske pichle tamam gunaah Muaaf ho jayenge.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Hadith 2009]

No comments:

Post a Comment