Pages

Tuesday, 12 August 2014

✦...............♥ Bin Daikhe Iman Lane ki Fazilat ♥...............✦

●◗► Qabile Fakhr: Hamare liye sab se bada Sharf aur Aezaaz ye hai ke ham Allah Subhanahu Wa Ta'ala ke bande aur Muhammad RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ke Ummati Hain.

Anas bin Malik (RadiyAllahu Anhu) Narrated that the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said: "I wish that I could meet my brothers." The Sahabah (companions of the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam) asked: "Aren't we your brothers?” He replied: "You are my Companions, but my brothers are those who will believe in me without having seen me."

[Musnad Ahmad and Al-Albani graded it saheeh in al-Silsilah al Saheehah # 2888]

Urdu Translation: Hazrat Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Mujhe Tamanna hai ke main Apne Bhaiyyon se Milun" Sahaba RadiyAllahu Anhum ne Arz kiya: Kya ham Aap ke Bhai nahi hain? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Tum to mere Sathi ho, Mere bhai wo Hain jo mujhe daikhe baghair mujh par Iman layenge."

[Musnad Ahmad bin Hanbal :: 12339, 12579 :: and Al-Albani graded it saheeh in al-Silsilah al Saheehah # 2888]


...............✿....... Hadeese Nabwi ki Roshni Mein  .......✿...............
✦.......:'( Aalame ISLAM ke Halaat ka Mukammal Tajziya :'(.......✦

Urdu Translation: Hazrat Saoban RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Anqareeb (kafir) Qoumein tumhen Qatl karne ke liye Aik dusre ko is tarah Dawat de kar Bulayengi jis tarah khane wale Aik dusre ko Dastarkhuan ki taraf Bulate hain."

Aik Sahabi ne Arz kiya: Shayad Ta’daad ki km hone ki Wajah se aisa hoga? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Nahi! Balke tum to us waqt Ta’daad mein bahot zyadah honge Lekin Tumhari haisiyat Sailabi pani ke Jhaag ki tarah hogi, Allah Subhanahu Wa Ta'ala tumhare Dushmano ke dilon se tumhari Haibat khatam farmadenge aur Tumhare Dilon mein “Wahn” (kamzori) paida farmadenge."

Pucha gaya: Ya RasoolAllah! “Wahn” (kamzori) se kya murad?
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Dunya ki Mohabbat aur Mout se Nafrat."

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 892]

●════════════════════◄►═══════════════════●

Narrated Thawban RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: The people will soon summon one another to attack you as people when eating invite others to share their dish.

Someone asked: Will that be because of our small numbers at that time? He (Sallallahu Alaihi Wasallam) replied: No, you will be numerous at that time: but you will be scum and rubbish like that carried down by a torrent, and Allah will take fear of you from the breasts of your enemy and last enervation into your hearts.

Someone asked: What is wahn (enervation). Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam): He (Sallallahu Alaihi Wasallam) replied: Love of the world and dislike of death.

[Sunan Abu Dawood :: Book 38 :: Hadith 4284]


✦......♥ Koi Kaam Karne ka Iradah Karo to In'sha'Allah Kaha Karo ♥......✦

⇨ "And never say of anything, "I shall do such and such thing tomorrow." Except (with the saying), "If Allah will!" And remember your Lord when you forget and say: "It may be that my Lord guides me unto a nearer way of truth than this." (Qur’an 18:23-24)

⇨ Urdu Translation: "Aur hargiz kisi kaam par yun na kehna ke main ise kal kardunga. Magar sath hi InshaAllah keh lena (yani agar khuda chaha to kardunga). Aur jab bhi Bhoole apne parwardigar ko yaad kar liya karna aur kehte rehna mujhe poori ummeed hai ke mera Rab mujhe is se bhi ziyada Hidayat ke Qareeb ki baat ki Rehbari karey." (Qur'an 18:23-24)

••► "Mufassireen Kehte hain ke Yhudiyon ne Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se Teen (3) baten puchi thi.. Rooh ki haqiqat kya hai, Ashab kahf aur Zulqarnain kon the? Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Main tumhein kal Jawab dunga, Lekin is ke baad 15 din tak Jibraeel a.s Wahi lekar nahi aaye, Phir jab Aaye to Allah Tala ne In'sha'Allah kehne ka ye Hukm diya".

◈ ➲  Ayat Mein غد (kal) se Muraad Aane wala din hain Yani jab bhi Mustaqbil Qareeb ya dair se koi kaam karne ka Irada karo to In'sha'Allah Jaroor kaha karo, kyun ki Insan ko to pata nahi ke wo Jis Irade ko zahir kar raha hai, Uski Toufeeq bhi Allah ki taraf se milni hai ya nahi?

◈ ➲  Agar Baat cheet aur wada karte waqt In'sha'Allah kehna bhool jao to jis waqt yaad aa jaye In'sha'Allah kehlo, Ya phir Rab ko Yaad karne ka Matlab uski Tareef aur Badayi aur us se Maafi ki Dua Hain.


✦...............♥ Aap ka Ghar bhi Jannat Ban Sakta Hai!! ♥...............✦

Narrated 'Aishah RadiyAllahu Anha: That the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "The best of you is the best to his wives, and I am the best of you to my wives."

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Book 46 :: Hadith 3895]

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: "Tum mein sab se behtar wo hai jo Apne Ghar walon ke liye Accha hai (Mujhe daikho) Main apne Ghar walon ke liye tum sab se behtar (sulook karne wala) hun."

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 1826]

●◗► Do jahan ke sardar Sallallahu Alaihi Wasallam apne ghar mein sakht Mizaji aur Gusse ke bajaye Nihayat khushgawar aur be’takallufana Andaz mein rehte, Azwaje Mutahrat ke sath Hansi Mazaq aur Dil lagi bhi farmalete, Ghar ke kaam kaaj mein Ummahat ul Mo’mineen RadiyAllahu Anhuma ka hath batate, Apne kapde khud si lete aur saaf bhi Farmalete, Bakri ka doodh apne Daste Mubarak se nikaal lete, yahan tak ke Apni Na’l shareef (Juta Mubarak) ki bhi khud hi Marammat farmalete. [Ma'khooz Az:: Shama'il Muhammadiyah At-Tirmidhi]


✦..............♥ Mout ke Baad Kaam Aane Wale 7 Aa’mal ♥..............✦

●◗► Marne ke baad bhi Ajr o Sawab ka silsila Jari Rakhne ke Aasan Tareen Tariqe.

It was narrated that Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu said: "The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said: 'The rewards of the good deeds that will reach a believer after his death are:

❶ Knowledge which he taught and spread;
❷ A righteous son whom he leaves behind;
❸ A copy of the Qur'an that he leaves as a legacy;
❹ A mosque that he built;
❺ A house that he built for wayfarers;
❻ A canal that he dug;
❼ Or charity that he gave during his lifetime when he was in good health. These deeds will reach him after his death.'"

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 1 :: Hadith 242]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Momin ke Marne ke baad bhi Jin Aa’mal aur Nekiyon ka Sawab use Milta rehta hai un mein se Chnd Aa’mal ye Hain:

❶ Wo ilm jo us ne sikhlaya ho ya kisi bhi Tarah Ilm ki Nashr o Isha’at ki ho,
❷ Wo Naik Aoulad jo ye apne piche chhor kar gaya ho,
❸ Wo Quran Kareem ka Nuskha jo ye dusron ke liye Chhor gaya ho,
❹ Wo Masjid jo us ne Banwayi,
❺ Wo Ghar jo us ne kisi Musafir ke liye banwaya,
❻ Wo Naher jo us ne Jari ki ho,
❼ Wo Sadaqah jo us ne Tandurusti aur Zindagi ki halat mein apne Maal se nikala ho. In sab chizon ka sawab use Mout ke baad bhi Milta rehta hai."

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Hadith 242]


► Mohabbat aik Ghair Ekhtiyari Jazba hai Jo insan khud soch kar kisi se nahi kar sakta balke ye apne Aap hi kisi se hojati hai Lekin Agar aap kisi se Mohabbat karte hain to ye zaruri nahi ke Agla bhi aap se "Mohabbat" ka paband ho.

Aise mein Agar aap ki Mohabbat sacchi hai to Aap ko is baat par bhi dilbar Dasta nahi hona chahiye Balke apni Mohabbat ko waise hi Qayem rakhna chahiye Kyun ke Mohabbat ka hargiz ye Matlab nahi ke Jis se "Mohabbat" ki jaye use Laaziman apna bhi banaya jaye.

●═══════════════════◄►══════════════════●

Abu Umamah RadiyAllahu Anhu reported: The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: “If anyone loves for Allah's sake, hates for Allah's sake, gives for Allah's sake and withholds for Allah's sake, he will have perfect faith.”

[Sunan Abu Dawud :: Book 41 :: Hadith 4664]

Urdu Translation: Hazrat Abu Umamah RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Jis ne Allah Tala ki khatir Mohabbat ki, Allah ki Wajah se Nafrat ki aur Allah hi ki Khatir (Maal) diya aur Allah hi ki khatir (Maal) Roka to beshak us ne Iman Mukammal karliya.


[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawud :: Vol.3 :: Hadith 1254]


✦...............:o Waldain ki Janib se Nikah mein Takheer :o...............✦
▶▶▶ Noujawan Ladke Ladkiyon ki Jinsi be Raah Rawi ka Sabab ◀◀◀

Hazrat Abu Sa'eed aur Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Anhu Riwayat karte hain ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jis ke koi Baccha (ladka ya ladki) paida ho to us ka Accha Naam rakhe aur us ki Acchi Tarbiyat kare, Phir jab wo Balig hojaye to us ka Nikah karde, Agar Balig hojane ke baad bhi (Apni Ghaflat aur laparwahi se) Us ka Nikah nahi kiya aur wo Gunah mein Mubtela hogaya to us ka Gunah us ke Baap par (ya jo bhi sar parast ho us par) hoga."

[Baihaqi :: 401/6 (8666), Mishkat Al-Masabih :: 3138]

Abu Sa’id and Ibne Abbas (May ALLAH be Pleased with them) Narrated That the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Whoever has children should give them a Good Name- Teach them Manners and once they have reached puberty - Should Arrange for their Marriage - If a child is not married (at a suitable age) and as a result of that he/she commits sins (Adultery/Fornication) then the Sin will be on the Father." [Baihaqi : 401/6]


✦...........:o Shaitani Kartoot Khush Numa Lubade Mein :o...........✦

◈ Juwa, Qumar aur satte ko ► Qismat ka khail aur lucky draw.
◈ Sharab ko ►Mashroob.
◈ Mousiqi aur Naach gane ko ►Fun aur Arts.
◈ Nachne aur Urya jism ki numayesh ke dhande ko ► Show Business.
◈ Rishwat ko ► Chai pani, Jaib kharch aur Mithayi.
◈ Na jayez Ikhtelat (Mail Jol, Pyar) aur Maghribi Tehzib ko ► Saqafat (Culture) aur Festival.
◈ Be pardagi o Be hayai ko ► Khoobsurti.
◈ Uryani aur Fahashi ko ► Fitri Aazadi.
◈ Be gairti ko ► Jiddat aur taraqqi pasandi.
◈ Na jayez Jinsi Talluqat aur Zina ko ► Boy Friend o Girl Friend ka Rishta.
◈ Munafiqat ke Bazar ko ► Siyasat ke naam se Roshnas karwaya diya gaya.


✦.............♥ Arsh Ilahi ke Saayen Tale 7 Khush Naseeb Log ♥.............✦

Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad farmaya: 7 khush Naseeb log aise hain Jinhen Allah Subhanahu Wa Ta'ala apne ARSH ke saye mein us din Jaga ata Farmayenge Jis din ARSH ILAHI ke saye ke Alawa koi Dusra saya na hoga:

❶ Adl o Insaf karne wala Hukmran.
❷ Wo Noujawan jo Allah ki Ibadat mein jawan hua.
❸ Wo shaks jo Masjid se nikle to us ka Dil Masjid mein atka rahe Jab tak ke wo dobara Masjid mein na Aajaye.
❹ Aise do Shaks Jinhon ne Mahez Allah ki raza ke liye Aapas mein dosti ki, usi ke liye Jama hue aur usi ke liye Juda.
❺ Wo shaks jis ne Tanhayi mein Allah Tala ko yaad kiya aur us ki Aakhon se Aansu beh Nikle.
❻ Wo shaks jis ko Hasab o Nasab aur Husn o Jamal wali Aourat ne Gunah ki dawat di, Magar us ne kaha ke main to Allah se darta hun.
❼ Aur wo shaks jis ne Sadaqah diya to is darja chipa kar ke us ke bayen hath ko bhi khabar na hui ke dayen hath ne kya kharch kiya?.

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 275]

●════════════════════◄►═══════════════════●

Hafs bin 'Asim narrated from Abu Hurairah or Abu Sa'eed RadiyAllahu Anhu that the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Seven shall be shaded by Allah under his shade on a day in which there is no shade except His Shade:

❶ A just Imam,
❷ A young person raised upon worshiping Allah,
❸ A man whose heart is attached to the Masjid when he leaves from it until he returns from it,
❹ Two men who love each other for Allah's sake, coming together upon that, and parting upon that,
❺ A man who remembers Allah in privacy and his eyes swell with tears,
❻ A man invited by a woman of status and beauty, but he says: 'I fear Allah,
❼ Mighty and Sublime is He,' and a man who conceals the charity he gives such that his left hand does not know what his right hand has spent."

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 10 :: Hadith 2391]

No comments:

Post a Comment