Pages

Friday, 26 September 2014

✦.......✔ Qurbani Karne Wale Baal o Nakhun na Tarashen ✔.......✦

Umm Salama RadiyAllahu Anha reported (these words) directly from Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam): If anyone has in his possession a sacrificial animal to offer as a sacrifice (on 'Id al-Adha), he should not get his hair cut and nails trimmed after he has entered the first days of Dhu'l Hijja.

[Sahih Muslim :: Book 22 :: Hadith 4871]

Urdu Translation: Hazrat Umm Salamah RadiyAllahu Anha se riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: Jab tum Maah Zul Hijjah ka chand daikh lo aur tum mein se kisi ka Qurbani karne ka Iradah ho to use chahiye ke wo (Janwar Zabah karne tak) na Apne Jism ke baal kate aur Na hi Nakhun Tarashe.

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 5 :: Hadith 5119]

●◗► Qurbani ka Iradah rakhne wale Zul Hijjah ka Chaand daikhne (26-Sep-2014) se pehle pehle apne Jism ke Gair zaruri baal o Nakhun Tarashlen.


✦........♥ "Qurbani Ke Janwar ka" Kharidari ka Marhala ♥........✦

Narrated Al-Bara' ibn Azib RadiyAllahu Anhu: The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: Four (types of animals) should be avoided in sacrifice:

► A One-eyed animal which has obviously lost the sight of one eye,
► A sick animal which is obviously sick,
► A lame animal which obviously limps and
► An animal with a broken leg with no marrow.

[Sunan Abu Dawood :: Book 15 :: Hadith 2796]

Urdu Translation: Hazrat Al-Bara' ibn Azib RadiyAllahu Anhu se riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Qurbani ke liye chaar (4) tarah ke jaanwar durust Nahi hain:

► Aik wo jiska kaanapan ya bhaingapan bilkul zahir ho,
► Dusra wo jo dekhne se hi bimaar lagta ho,
► Teesra wo jiska langdapan bilkul zahir ho,
► Chaotha wo budha aur kamzor Janwar jis ki haddiyon mein Gooda na ho.

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawud :: Vol.2 :: Hadith 1029]

●════════════════════◄►═══════════════════●

"Janwaron mein Khatarnak Uyoob: Darj zail Janwaron ki Qurbani Durust Nahi"

❶ Singon ka Jad se ukhda hua Janwar.
❷ Andha, kaana ya Langda Janwar.
❸ Paidayeshi tor par Bilkul kaan ka na hona ya Tihayi (1/3) se zyadah kaan ya Dum katjana.
❹ Aisi Bimari ya kamzori ke Janwar Qrubani ki jaga tak chal kar na ja sake.
❺ Danton ka bilkul na hona ya itne km hona ke Janwar Ghaas bhi na kha sake.
❻ Is Had tak pagal pan ke Janwar charah wagera bhi na char sake.


✦.........♥ Qurbani ka Maqsad Aur Qurbani ka Nisaab ♥.........✦

⇨ "Allah Tala ko Qurbaniyon ke Gosht Nahi pahochte na un ke Khoon balke use to Tumhare Dil ki Parhaiz gari pahochti hai." (Qur’an 22:37)

●◗► Qurbani Aik Aisi Ibadat hai Jis mein Qadam Qadam par Riyakari, Dikhlawa, Badayi aur Takabbur ke Imkanaat Moujood hain lihaza Niyyaton ko durust kijiye Taa ke Aap ki Qeemti Qurbani Zaye hone se Bach jaye.

●◗► Jis Musalman, Aazad aur Muqeem shaks ki Milkiyat mein Eid Al-Azha ke Ayyam mein sirf Sona (Gold) Sade sath (7 ½ ) tole ho ya Darj zail 5 Chizon mein se koi aik Cheez ya Aik se zyadah chizon ka Maj’mua Sadhe bawan (52 ½ ) tole chandi (Silver) ki qimat (Taqriban 21000 rupe) ke barabar ho to Aise shaks par Qurbani Wajib hogi Agarche us par Saal na guzra ho. Wo Panch Chizen ye Hain:

❶ Sona,
❷ Chandi,
❸ Naqdi,
❹ Maal Tijarat,
❺ Zayed zarurat Gharelu Saman.


✦......:( Hamari Fursodah Soch aur Aourat ka Buland Moqam :(......✦

◗► Jo shaks Ahliya ke liye Gadi ka Darwazah khole, Wo Begairat Samjha jata hai.
◗► Jo Ahliya ke baithne ke liye kursi rakhe, wo Kamzor shakhsiyat ka Malik kehlata hai.
◗► Jo Ahliya ki Sahulat ke khatir kabhi bacche Sambhal le, Wo Biwi ka Gulam samjha jata hai.
◗► Garz jo bhi Shaks Ahliya ka kisi kaam mein hath bataye, Wo….aur…..Samjha jata hai.

✦....✔ RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ka Tarze Amal ✔....✦

✿ "RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Apni Ahliya Mohtarma Ummul Mumineen Hazrat Safya RadiyAllahu Anha ke liye Oont ke Qareeb baith gaye aur Ghutna Mubarak khada Farmadiya aur Safya RadiyAllahu Anha ne apna Qadam RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ke Ghutne par Rakha aur Ba’aasani Oont par sawar hogayen."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 5 :: Hadith 4211]

✿ "RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Ghar ke kaam Kaaj mein Azwaje Mutahrat ka hath batate, Hatta ke kapde par khud pewand lagalete, Jute ki Islah farmalete, Phata hua pani ka Dol durust farmadete Wagerah."

[Sahih Ibn Hibban :: Hadith 5676]

●════════════════════◄►═══════════════════●

Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam), making for her a kind of cushion with his cloak behind him (on his camel). He then sat beside his camel and put his knee for Safiya to put her foot on, in order to ride (on the camel).

[Sahih Bukhari :: Vol. 5 :: Book 59 :: Hadith 522]

Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam use to help his wife, he improved his sandals, sew his clothes, and raised the water in the bucket.

[Reported by Sahih Ibn Hibban :: Hadith 5676]


✦..................:( Aoulad ko Bad’dua Na Den :(..................✦

Jabir b. 'Abd Allah RadiyAllahu Anhu reported the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) as saying:

► Do not invoke curse on yourselves, and
► Do not invoke curse on your children, and
► Do not invoke curse on your servants, and
► Do not invoke curse on your property,
lest you happen to do it at a time when Allah is asked for something and grants your request.

[Sunan Abu Dawood :: Book 8 :: Hadith 1527]

Urdu Translation: Hazrat Jabir RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya:

► Apne Aap ko,
► Apni Aoulad ko,
► Apne khadimon ko aur
► Apne Maal ko Bad’dua na do,
kyun ke kahin Aisa na ho ke wo Ghadi Dua ki Qubuliyat ki ho aur Tumhari Dua Qubool hojaye.

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol.1 :: Hadith 1519]


✦................-_-  Dil Andha Kaise Hota Hai -_-................✦

●◗► Ghaflat bhari zindagi Guzarne se Insan ka Dil Andha hojata hai, Deen se doori se Dil Andha hojata hai, Nabina Aadmi ko Andhere aur Roshni, Dost o Dushman ki Tameez nahi rahti aur naa hi Nafa o Nuqsan wali cheez pehchan sakta hai Bilkul isi tarah..

"Jab Dil Andha hojata hai to Insan bade se Bada Gunah kar leta hai Magar us ke Kaan par Joo bhi nahi raingti, us ko Naik logon ki sohbat Acchi nahi lagti aur Bure logon ki Sohbat Acchi lagne lagti hai."

●════════════════════◄►═══════════════════●

✦.......♥ Insani Dil kya hai..?? Qur’an ki Roshni Mein ♥.......✦

❶ Iman ka Maskan (Makaan) (Qur’an 5:41) Taqwa, Parhaizgari (Qur’an 49:3) Aur khofe khuda ka Markaz Quloob hain. (Qur’an 22:32)

❷ Nifaq ki Jaga (Qur’an 9:8) Shak aur Hichkichahat ka Moqam bhi Qalb hote hain. (Qur’an 9:45)

❸ Ruhani Amraz ki Jaden Quloob mein hi hoti hain. (Qur’an 2:10)

❹ Ye Quloob hain jo Narm pad jate hain (Qur'an 39:23) Sakht hokar patthar jaise hojate hain. (Qur’an 2:74)

❺ Qalb ka kaam Samajhna aur Istedlal karna hota hai (Qur’an 7:179) Quloob Andhe bhi hojate hain. (Qur’an 22:46)

❻ Ye Dil hi hain jo Itminan o Sukoon ka Moqam hote hain. (Qur’an 13:28)

❼ Aazmayeshon ke muqable ki Taqat bhi Qalb mein hoti hai (Qur’an 64:11)

❽ Narmi aur Rahem ke Jazbat (Qur’an 57:27) aur Bradrana Mohabbat bhi Qalb mein hoti hai. (8:63)

❾ Gaiz o Gussa ka sar chashma (Qur’an 9:15) Pachtawe aur Afsos ke Ehsasaat bhi Qalb mein hote hain. (Qur’an 3:156)

➓ Agar Dil durust aur Mahfooz (yani Qalb saleem) raha to Qayamat ke din kamyabi ki 100% Zamanat hai. (Qur’an 26:89)


✦............✔ FACEBOOK Istemal karne ke ISLAMI Usool ✔............✦

❶ Razaye Ilahi ke liye Ajnabi logon ko (Friend) banana (Aik baat zahen mein rahe ladka ladke se Aur ladki ladki se hi Dosti Jayez hai warna ye Haram hai) aur Rishtedaro ko (Friend) banate hue Sulah rahmi karna.

❷ Gair muslimon ko Hikmat o Basirat ke sath Islam ki Dawat dena.

❸ Dawat o Tableeg aur Islahi Mu’ashrah ki Niyyat se Mustanad o Muhaqqiq Deeni paigamat (Timeline) par Lagana.

❹ Sab se pehle Apni aur phir sari Insaniyat ki Islah ki koshish karna.

❺ Kaare khair mein Hissa dalne aur Neki ki hosla Afzayi ke liye Acchi (Posts) like aur Share karna.

❻ Fahesh, Gair Akhlaqi aur Fuzool chizon se door rehna.

❼ Na munasib (Comment) Gali galoch ke zariye logon ki dil Aazari se bachna Naiz bad Akhlaqi ke Jawab mein bhi Hamesha Umdah Akhlaq ka Muzaherah karna.

❽ RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ki Zaate Grami, Sahaba Ikram, Azwaje Mutahrat, Ahle baith Athaar, Ayimma Ikram aur Akabireene Ummat ka pur zor Difa karna.

❾ Gussa, Badhkana, Firqa wariyat, Takleef, Qoum parasti ke Nasoor se bachna.

➓ Aankhon, Kano aur Hathon ke Galat Istemal se bachna.


●◗► "Soch Badle, Shukr Karen: Un Chizon ke bare mein Na Sochen jo Allah Subhanahu Wa Ta'ala ne Mangne ke baad bhi Aap ko nahi di Balke Un La’tadaad Nematon ko dekhen jo Allah ne Bagair mange aap ko de rakhi hain."

●◗► "Change the thinking !! Thanks Allah always !! Don't think about the things which Allah has not given you. Instead, Thanks Allah for his million favours on you without asking."


✦....✔ Insani Badan ki Nazafat o Pakeezgi ka Nabwi Usool ✔....✦

It was narrated that Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu said: "A time limit was set for us, by the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam), regarding trimming the mustache, clipping the nails and plucking the pubes; we were not to leave that for more than forty days," on one occasion he said: "Forty nights."

[Sunan An-Nasa’i :: Vol. 1 :: Book 1 :: Hadith 14]

Urdu Translation: Hazrat Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Salallahu Alaihi Wasallam ne:

► Munchen Tarashne
► Nakhun Kaatne
► Zaire Naaf balon ki Safayi aur
► Baghal ke baal Saaf karne mein

(Aakhri) had ye Muqarrar farmayi ke ham Chalees (40) din se zyadah unhe na choren. (Yani safayi suthrayi ka hamesha Ma’mul rakhen, Agar kisi Majburi se takheer hojaye to Intehayi Muddat 40 din hai).

[Urdu Ref :: Sunan An-Nasa’i :: Vol.1 :: Hadith 14]

1 comment:

  1. Travel the holiest cities of the world, praise the one who is worth of and seek his forgiveness. Choose any of the Cheap Hajj & Umrah Tours with Al Hijaz tours and make your journey the most tremendous.

    ReplyDelete