Pages

Tuesday, 21 July 2015

✦......✿.....♥ Maahe Shawwal ke 6 Roze ♥.....✿......✦

Abu Ayyub al-Ansari (Allah be pleased with him) reported Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) as saying: "He who observed the fast of Ramadan and then followed it with six (fasts) of Shawwal. it would be as if he fasted perpetually."

[Sahih Muslim :: Book 6 :: Hadith 2614, 2815]

Urdu Translation: Hazrat Abu Ayyub Ansari RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: "Jis ne Ramadhan Al-Mubarak ke Roze rakhe aur us ke baad Maahe Shawwal mein Che (6) Nafli Roze rakhe to use Saal bhar ke Rozon ka sawab milega."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 3 :: Hadith 2758]

●◗► Note: In 6 Rozon ko Aik hi sath Rakhna zaroori nahi, Apni sahulat se Maahe Shawwal ke khatam hone se pehle 6 Roze Mukammal karlena chahiye.

✦...✿.....♥ Eid ki Mubarak Baad Dene ka Tariqa ♥....✿...✦

•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*
Abuzar ki Janib se Tamam Chahne Walon ko Eid Mubarak
•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*

Hazrat Wasla RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Main ne Eid ke din Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se Mulaqat ki aur Main ne kaha: "Taqabbal Allaahu Minna Wa'minka' Allah Tala hamare aur aap ke Naik Aa’mal qubool farmaye."

Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Han Han zaroor! 'Taqabbal Allaahu Minna Wa'minka' Allah paak hamare aur Aap ke Naik Aa’mal qubool farmaye." [Sunan Al-Kubra Al-Bahaqi :: Hadith 6088]

●◗► Allah Subhanahu Wa Ta'ala ham sab ke Rozon, Taraweeh, Zikr o Tilawat aur Tamam Ibadaat ko apni Bargah mein Qubool farma kar Hamen baar baar Ramadhan Al-Mubarak ki baharen aur Eid ki sacchi Khushiya Naseeb farmaye. (Aameen).

●◗► Kehte hain ke Aik din aik chor ko raste mein Aik Batwa mila jis mein bahot se paise the, Us batwe par koi dua likhi hui thi aur Aik khane mein batwe ke Malik ka naam aur pata bhi rakha hua tha, Chor ne wo batwa sabit us ke Malik ke hawale kardiya, us shaks ne chor se pucha ke tum Aaram se ye paise rakh sakte the wapas kaise kardiye?

✿► Chor ne jawab diya: "Aap ne batwe par jo Dua likhwayi hai, is Aqide par likhwayi hogi ke agar ye kho jaye to is Dua ki barkat se aap ko wapas mil jaye, Main chor zaroor hun lekin sirf Maal o Doulat ka, kisi ka Aqidah chori nahi kar sakta, Agar main aap ka Batwa wapas na karta aur Aap ka Aqidah Is dua par kamzor pad jata to tab main Aap ke Iman ka chor hota aur ye Maal o Doulat ki chori se hazar guna bada Gunah hai."

●◗► Ya Allah! Mout ke Waqt ham sab ki Zubanon par Jari Farmade:

لآ اِلَهَ اِلّا اللّهُ مُحَمَّدٌ رَسُوُل اللّهِ

(Sallallahu Alaihi Wasallam) Aameen Ya Allah.

✦......✿.....♥ Eid Ul-Fitr ki Sunnaten ♥.....✿......✦

❶ Miswak karna.
❷ Gusul karna.
❸ Shari’at ke dayere mein rahte hue Apni Aarayesh karna.
❹ Umdah se Umdah kapde jo paas Maojood ho pahenna.
❺ Khushbo lagana.
❻ Subah sawere uthna.
❼ Jald az Jald Eidgah pahochna.
❽ Agar Sadaqah Fitr ada na kiya ho to Eidgah jane se pehle pehle ada karlena.
❾ Eidgah jane se pehle koi Mithi cheez Maslan Khajoor wagerah khana.
➓ Eid ki Namaz, Eidgah mein jakar padhna.
⓫ Eidgah se wapasi par dusra raasta Ekhtiyar karna.
⓬ Eidgah paidal jana.
⓭ Raaste mein

اللہ اکبر اللہ اکبر لا الہ الا اللہ واللہ اکبر اللہ اکبر وللہ الحمد

"Allahu Akbar Allahu Akbar La ilaaha illallahu Wallahu Akbar, Allahu Akbar Walillahil Hamd!" Aahista Aawaz mein padhna.

•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´
✦......♥ Last Jum'ah of Ramadan :’( DEAR ALLAH.. ♥......✦
•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´

Please Give us a chance to see next Ramadan.
Please Give Long & Health life to our parents.
Please Give Jannah to those Muslims who are not in this World
Please Forgive our sins.
Please Give Health to sick people.
Please send Good Proposals for our sisters & Daughter.
Please Bring Peace in Muslim Countries.
Please Give Freedom to those Muslim who are struggling for it.
Please Bring Happiness in Every Muslim's Life.
Please Bring back to those who are missing.
Please ALLAH make us Good Muslim.
Please ALLAH Help Muslim against their Enemies.
Please Give us Haya.
Please Make our Future Good.
Please ALLAH Don't leave us alone.
Please Give the Good Life Partner to the boys & Girls.
Please Give us a chance to do Umrah and Hajj.
Please Help the poor.
Please Give us a power to help poor.
Please Give Me a strength to do Good Acts
Please Fulfill our legal desires.
Please Save us From Fire of Hell.
Please Give us Place in Jannah after Death.

•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´
★•.•´¯`´¯`´¯`•.•★ ♥ Say.....A A M E E N ♥ ★•.•´¯`´¯`´¯`•.•★
•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´

✦.......✿......♥ Shabe Qadr ki Khususi Dua ♥......✿.......✦

Narrated Aishah RadiyAllahu Anha: "I said: ‘O Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam, what is your view if I know when the Night of Al-Qadr is, then what should I say in it?" He Sallallahu Alaihi Wasallam said: ‘Say:

'Allahumma Innaka Afuwwun Tuhibbul-Afwa Fa’fu Anni'

"O Allah, indeed You are Pardoning, You love pardon, so pardon me"

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 6 :: Book 45 :: Hadith 3513]

●══════════════════◄►═════════════════●

Urdu Translation: Hazrat Aishah RadyAllahu Anha farmati hain ke Main ne Aap Sallallahu Alaihi Wasallam se Arz kiya: Ya RasoolAllah! Agar mujhe Shabe Qadr ka pata chal jaye to main kya Dua mangun? Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad farmaya ke ye dua padho:

'Allahumma Innaka Afuwwun Tuhibbul-Afwa Fa’fu Anni'

''Aye Allah! Beshak Aap muaaf karne wale hain aur Muaaf karne ko pasand karte hain, pus Mujhe bhi Muaaf farmaden.''

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 1438]

✦....✿...♥ Waqt Mein Barkat ka Mujarrab Nuskha ♥...✿....✦

●◗► "Aap Jitna zyadah waqt Quran ki Tilawat mein kharch karenge Aap ke waqt mein itni hi Barkat hogi." Aazmayesh shart hai, Aaj hi Aazmakar dekhen.

▶ Mujarrab - Tajruba kiya hua, Aazmaya hua.

✦....✿....♥ Shabe Qadr Paalene ka Aasan Nuskha ♥....✿....✦

RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Shabe Qadr ko Ramadhan Al-Mubarak ke Aakhir Ashre ki Taaq Raaton mein talash karo." ► Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "Search for the Night of Qadr in the odd nights of the last ten days of Ramadan." (Sahih Bukhari :: 2017)

Shabe Qadr ka Ramadhan ke Aakhir Ashre ki taaq raton mein hona Mutayyan hai lehaza Agar Aakhir Ashre ki taaq raton (21, 23, 25, 27, 29) mein se har har Raat ko darj zail Aamal karliye jayen to Allah ki zaat se bhar pur Ummid hai ke ham Shabe Qadr ki barkaat aur Hazaar mahinon ki Ibadat ka sawab pa sakenge.

❶ Isha aur Fajr ki Namaz ba’Jamat ada kare, (jis ne isha o fajr ba jamat ada ki to use puri raat ibadat ka sawab milta hai).
❷ Teesra kalimah aur Durood shareef ka Ehtemam karen.
❸ Km az km aik parah Quran Majeed ki tilawat karen.
❹ Km se km 2 Rakat Salaat at-Tawbah padhen.
❺ Apne Gunahon par ro ro kar Allah se Muafi mangen.

✦.....♥ Ramadhan ka Dusra Ashrah bhi Ekhtetam Pazeer Hua! ♥.....✦

●◗► Ramadhan Al-Mubarak ka do Tihayi hissa (2/3) guzar gaya, Baqya Tihayi hissa bhi Aanan Fanan guzar jayega, phir na Maloom Agle saal Maahe Ramadhan hamen Naseeb ho ya na ho.

✿ Lihaza Ramadhan Al-Mubarak ki in ba Barkat ghadiyon ko Qeemti banayen aur Allah Subhanahu Wa Ta'ala se Rahmat o Maghfriat ke Talabgaar rahen.

✦....✿....♥  Ramadhan ke Aakhri Ashrey ka I’tikaf aur ♥....✿....✦
✦..♥ Pyare Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ka Tarze Aml ♥..✦

Narrated 'Aisha RadiyAllahu Anha: (the wife of the Prophet) "The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) used to practice I`tikaf in the last ten days of Ramadan till he died and then his wives used to practice I`tikaf after him."

[Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Book 33 :: Hadith 243, 2026]

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha Farmati hain: "Nabi kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Dunya se Rokhsat hone tak Ramadhan ke Aakhri Ashrah ka I’tikaf farmate rahe aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke Dunya se Tashreef le jane ke baad Aap ki Azwaje Mutahrat ne bhi I’tikaf Farmaya."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Hadith 2026]

✦....✿.....♥ Roze Mein Bhool kar Khana Peena ♥.....✿....✦

Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "If somebody eats something forgetfully while he is fasting, then he should complete his fast, for Allah has made him eat and drink."

[Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 78 :: Hadith 662, 6669]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jo Shaks Rozah ki Halat mein bhool kar khaye (piye) use Apna Rozah mukammal karna chahiye, Kyun ke Allah Subhanahu Wa Ta'ala ne hi use Khilaya aur Pilaya."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Hadith 6669]

✦....▶▶ Roze ki Halat Mein Muhtat (Ehtiyat) Wudhu ◀◀....✦

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Perform Wudu well, and go between the fingers, and perform Istinshaq (water sniffed up in the nose) extensively except when fasting."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Book 3 :: Hadith 788]

Urdu Translation: Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Wuzu ko Acchi tarah se karo aur Ungliyon ka khilal karo aur Naak mein bhi Acchi tarah se pani dalo Han magar jab tum Roze ki Halat mein ho (to phir naak mein pani dalte hue Ehtiyat karo)."

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Hadith 766]

No comments:

Post a Comment