Pages

Thursday, 20 August 2015

✦......♥ Hajj o Umrah par Jane wale Allah ke Mehman Hain ♥......✦

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "The pilgrims performing Hajj and ‘Umrah are a delegation to Allah. If they call upon Him, He will answer them; and if they ask for His forgiveness, He will forgive them."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 25 :: Hadith 2892]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Hajj aur Umrah par Jane wale Allah Subhanahu Wa Ta'ala ke Mehman hain, Agar ye Dua mangen to Allah Tala un ki Dua Qubool Farmate hain aur Agar ye Log Maghfirat ke Talabgaar hon to Allah Tala un ki Maghfirat Farmadete hain."

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 2 :: Hadith 1049]

✦........:(  Kahin ye Safar Safre Aakhirat Na Ho! :(.......✦

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "When Allah decrees that a slave (of His) is to die in a land, He makes him have some need from it."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 4, Book 6, Hadith 2146, 2237]

Urdu Translation: Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jab Allah Subhanahu Wa Ta'ala kisi bande ke bare mein ye Faisla farmate hain ke us ki Mout zameen ke fulan hisse mein Aaye to zameen ke us Hisse mein us ke liye koi na koi kaam paida farmadete hain. (aur ye khud chal kar wahan pahoch jata hai)."

[Urdu Ref :: Jami At-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 18]

●◗► Safar par jane se pehle Huqooq Allah o Huqooq Al-Ibad ki adayegi ki fikr karen aur apne Gunahon par Toba o Astaghfar karte hue safar shuru karen, ho sakta hai ke ye safar Aap ka safre Aakhirat ho.

●◗► Kabhi do insanon ke darmiyan kuch aisa hota hai ke Aik apni Qadar janne ke liye wapsi ke qadam uthata hai to sirf is liye ke Dusra use rokega ► Dusra is Ana ki diwaar se lipat ke khada rehta hai ke mujhe apni Taqat dekhni hai ke wo kaise ja sakta hai, Magar dono isi Soch o Guroor mein aik dusre se door hote jate hain.

✦......✿.....✔ Mobile Phone Istemal Karne ke Aadab ✔.....✿......✦

❶ Call receive karne wale ki masrufiyat, Aaram aur Namazon ke aouqat ki ri’ayat rakhen, Albatta sakht Emergency ki surat Mustashna hai.

❷ Phone karne wale aur receive karne wale Hello ke bajaye Assalamu Alaikum ya Waalikum Assalam se guftagu ki Ibteda karen.

❸ Agar kisi Ajnabi ko phone karen to Salam ke baad apna Mukammal Ta’aruf karwayen.

❹ 3 baar call karne ke bawajood Agar koi phone na uthaye to samajhlen ke us waqt ijazat nahi, kisi dusre waqt Call karen.

❺ Masjid, Darsgah aur Waz o Nasihat ki majlis mein dakhil hone se pehle Mobile Phone band karden ya km az km Silent karden.

❻ Ghar mein badon ke hote hue Nojawan bacchiyan hargiz phone na uthayen, Neez bilkul chote bacchon ko bhi phone na uthane den.

❼ Mardon ki maojudgi mein Aourten phone na uthayen, Agar phone uthana bhi pade to Narm lehja ke bajaye sakhti aur rukhe pan se jawab den.

❽ Mobile ka speaker sab ke samne ON kar dena khayanat hai, Ba’waqte zarurat phone karne wale se pehle ijazat len.

❾ Phone karne wale ki guftagu us ki ijazat ke bagair Record karna zulm aur dhoka dahi mein shamil hai.

➓ Apne bacche bacchiyon ki mobile phone sargarmiyon par kadi Nigah rakhen taa ke Mobile ke galat istemal ki rok tham ho sake.

⓫ Khawateen, Tohmat aur shak paida karne wali sar’garmiyon se bachte hue Mobile istemal kare, Mahireen ke mutabiq Mobile phone ki wajah se Talaq aur gharelu nachaqiyon ki sharah mein 70% izafa hua hai.

⓬ Mobile Phone ki dawat o Tableeg aur tazkeer o islah ka zariya banayen, Albatta sirf Mustannad o Mudallal (Authentic) paigamat hi aage bheja karen.

●◗► "Hain na? Dunya ki jis Aourat ke liye Mard har Gham, har Dukh, har Takleef aur har Nagawaar baat bardasht karleta hai wo us ki "Beti" hoti hai.

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Whoever raises two girls then I and he will enter Paradise like these two." And he (Sallallahu Alaihi Wasallam) indicated with his two fingers.

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 1 :: Hadith 1914]

Urdu Translation: Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: "Jis ne do Betiyon ki parwarish ki, Jannat mein wo aur main (Aik sath) in do ungliyon ki tarah dakhil honge, Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ne do Ungliyan jod kar isharah farmaya."

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Hadith 1979]

✦.....✿.......♥ Watne Azeez INDIA se Mohabbat! ♥.......✿.....✦

●◗► Insan Jis khitte, Mulk, shaher ya ilaqe mein rehta hai us jaga se Unsiyat, Qalbi lagao aur Mohabbat o Ulfat ka paida ho jana aik fitri cheez hai, Diyanat aur Amanat ka taqaza bhi yahi hai ke Insan jahan rahe wahan ki khair khuahi, taraqqi aur Falah o Bahbood ki koshishon mein laga rahe.

✿ RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Jab Makkah Mukarramah se Hijrat farma kar nikle to sawari par sawar ho kar baar baar piche mud kar dekhte aur farmate: "(Aye Makkah!) Allah ki qasam tu Allah Taa’la ki behtareen aur Mahboob tareen zameen hai, Agar mujhe yaha se na nikala jata to main tujhe chhor kar na jata." [Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 2 :: Hadith 1265, 3108]

✿ Baad Aza Jab RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Hijrat farma kar Madinah Tayyabah pohche aur Madinah Munawwarah ko apna Mustaqil watan banaliya to ye dua mangi: "Aye Allah! Jis tarah Makkah Mukarramah ki Mohabbat tu ne hamen ata ki thi isi tarah Madinah Munawwarah ki Mohabbat bhi hamen ata farma, ya us se bhi zyadah hame Madinah ki mohabbat ata farma, aur yahan ki Aab o hawa sahet baksh banade aur hamare Sa’a aur Mud (galla naapne ke 2 paimane) mein barkat ata farma aur Madinah ke wabayi Bukhar ko Juhfa (naami muqam) mein muntaqil karde." [Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 3 :: Hadith 3342, 3480]

♥ Apne Mulk aur Watan se Mohabbat karen aur Apni Zaat se Mulk o Watan ko Faidah pohchane ki Koshish karen ♥

●════════════════════◄►═══════════════════●

Abu Salamah bin ‘Abdur-Rahman bin ‘Awf narrated that ‘Abdullah bin ‘Adiy bin Hamra’ said to him: “I saw the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam), when he was on his she-camel, standing in Al-Hazwarah* saying: ‘By Allah, you are the best land of Allah, and the dearest of the land of Allah to me. By Allah, had I not been expelled from you I would never have left.’” *A place in Makkah."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 4 :: Book 25 :: Hadith 3108]

'A'isha (Allah be pleased with her) reported: When we came to Medina, and it was an unhealthy, uncogenial place, Abu Bakr fell sick and Bilal also fell sick; and when Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) saw the illness of his Companions he said: O Allah, make Medina as congenial to us as you made Mecca congenial or more than that; make it conducive to health, and bleesus in its sa' and in its mudd, and transfer its fever to al-juhfa."

[Sahih Muslim :: Book 7 :: Hadith 3178]


●◗► Har shaks ko is Qabil hona chahiye ke Apne Walid ka Janazah khud padhaye, Jo Dua Baap ke liye bete ke dil se nikle gi wo kisi aur ke Dil se nahi nikal sakti.

●◗► Har shaks ko is Qabil hona chahiye ke apni bacchi ka Nikah khud padhaye, Jo Dua bacchi ke liye Baap ke dil se nikle gi wo kisi aur ke Dil se kaise nikal sakti hai.

✦....✿.....♥ Chidyon Jaise Masoom Dil ♥.....✿....✦

Abu Huraira RadiyAllahu Anhu reported Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) as saying: "There would enter Paradise people whose hearts would be like those of the hearts of birds."

[Sahih Muslim :: Book 40 :: Hadith 6808, 2840]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jannat mein aise Log dakhil honge Jin ke dil Chidyon ki tarah (narm) honge."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 6 :: Hadith 7162]

●◗► Baap bacchon ke sath Train mein sawar tha, Aik seat par khamoshi se baith gaya aur khidki se bahar dekhne laga, Bacche? Bacche nahi Aafat the unhone ne Musafiron ko tang karna shuru kardiya koi musafiron ke saman chedna shuru kardiya to koi Chacha miya ki topi utar kar bhag raha hai to koi zor zor se cheekh raha to koi Uphar ke seeton par chad raha tha.

✦ Musafir sakht gusse mein hain kaisa baap hai? Na inhen mana karta hai na kuch kehta hai, koi use be’his samajh raha hai to kisi ke khayal mein wo Nihayat nikamma hai, Bila’akhir jab bardasht ki had hogayi to aik Sahab gusse se uth kar Baap ke paas pohche aur daand kar bole, Aap ke bacche hain ya Musibat ? Aakhir aap un ko dant te kyun nahi ?

✦ Baap ne un sahab ki taraf dekha us ki Aankhen Aansuon se labarez then aur bola Aaj subah un ki Maa ka inteqal hogaya hai main un ko wahin le kar jar aha hun, Mujh mein himmat nahi ke un ko kuch keh sakun, Aap rok sakte hain to roklen. Sare musafir aik dum Sannate mein aagaye, aik hi lamhe mein Manzar bilkul badal chuka tha, wo Shararti bacche sab ko pyare lagne lage the, sab Aabdidah the, sab unhen pyar kar rahe the apne sath chimta rahe the.

◗►✿ Zindagi mein zaroori nahi ke Haqiqat wo ho jo hame nazar Aarahe hon Balke wo bhi ho sakte hain jo hame nazar na Aarahe ho, Yaad Rakhiye! Raye banane mein waqt lagayyen, Badgumani se pehle khush Gumani ko kuch waqt den, Faisle se pehle zara aik baar aur sochlen, aur bus Apne hi dururst aur Aqal kul hone pe israr na karen.

✦............▶▶▶ Bacchon se bhi Jhoot na Bolen ◀◀◀............✦

Narrated Abdullah ibn Amir RadiyAllahu Anhu: My mother called me one day when the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) was sitting in our house. She said: Come here and I shall give you something.

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) asked her: What did you intend to give him? She replied: I intended to give him some dates.

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: If you were not to give him anything, a lie would be recorded against you.

[Sunan Abi Dawud :: Book 42 :: Hadith 4973, 4991]

●══════════════════◄►═════════════════●

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Amir RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Jab main Chota sa tha to meri Waldah ne aik din mujhe bulaya aur kaha: Idhar aayen, Main tujhe kuch deti hun.

Us waqt Nabi Akram Sallallahu Aliahi Wasallam hamare ghar mein tashreef farma the, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne meri Waldah se pucha: "Tum ne use kya cheez dene ka iradah kiya hai?" Waldah ne arz kiya ke main ne use Khajoor dene ki Niyyat ki hai.

Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Khabardar! Agar tum us bacche ko kuch bhi na deti to tumhare uphar Aik Jhoot (ka Gunah) likh diya jata."

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 1553]

●◗► Koi aap se baat nahi kar raha to koi baat nahi aap karlen, koi Aap ko Phone nahi karta to koi baat nahi Aap karlen, koi Aap ko Aap ka haq nahi deta to koi baat nahi Aap us ka haq use ada karte rahen, Bus Mutmain (Sukoon) zindagi Guzarne ke yahi usool hain ► "Agar, Magar, Lekin" ye "Mushkilat paida karti hain."

No comments:

Post a Comment