Pages

Monday, 1 February 2016

✦..........:o Aundhe Muh Sona Mana Hai! :o..........✦

It was narrated from Qais bin Tihfah Al-Ghifari RadiyAllahu Anhu that his father said: "The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) found me sleeping in the masjid on my stomach. He  nudged me with his foot and said: 'Why are you sleeping like this? This is a kind of sleep that Allah dislikes,' or 'that Allah hates.'"

[Sunan Ibn Majah ::  Vol. 5 :: Book 33 :: Hadith 3723]

Urdu Translation: Hazrat Tikhfah Ghifari RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Mujhe Masjid mein Pait ke bal (Aundhe muh) soya hua paya, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne apne Pair Mubarak se mujhe hila kar farmaya: "Tum is Tarah kyun so rahe ho? Is tarah Sona Allah Subhanahu Wa Ta'ala ko Sakht Na’pasand hai."

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Hadith 604]

●◗► RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Aundhe muh sone se Mana farmaya hai aur Aaj ki Medical Science bhi ise Aaza o Jawareh Bilkhusus dil o dimag aur Insani Nafsiyat ke liye sakht Nuqsan deh Qarar de rahi hai, Lehaza ladakpan se hi Aundhe muh na sone ke hawale se Bacchon ki Tarbiyat karen.

✦....:o Social Media pe Gardish karta “Nafsiyati Hamla” :o....✦

Kuch log apni Post ki Rating badhane ke liye Aakhir mein ye Jumla likhte hain: "Is Post ko Share karne se Shaitan Aap ko Rokega…"

●◗► Musalmano ko Aql se kaam lete hue Sochna Chahiye ke Shaitan to chahta yahi hai ke log Namaz, Tilawat, Zikr o Azkar, Walidain ki khidmat aur Huqooq Al-Ibad se Gafil ho kar Social Media par kuch na kuch Share aur Like karte Rahen.

✦.......♥ Ba Wuzu aur Zikr Karte hue Soyyen! ♥.......✦

The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "If a Muslim sleeps while remembering Allah, in the state of purification, is alarmed while asleep at night, and asks Allah for good in this world and in the Hereafter. He surely gives it to him."

[Sunan Abi Dawud :: Book 42 :: Hadith 5024, 5042]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jab koi Musalman Ba Wuzu Allah ka zikr karte hue sota hai phir Raat ko karwat badalne ki waja se Jaag uth ta hai aur us Halat mein Allah Ta'ala se Dunya o Aakhirat ki bhalayi ki koi cheez Mangta hai to Allah Subhanahu Wa Ta'ala zaroor wo cheez ata Farmadete hain."

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 1605]

✦......► Iblees Layeen Bamuqablah Adam Alaihis Salam ◄......✦

Iblees 5 Baton ki Wajah se Bad’bakht aur Mardood hua:

1► Iblees ne Apne Gunah ka Iqrar na kiya.
2► Wo Gunah par Nadim na hua balke Takabbur aur sarkashi Ekhtiyar ki.
3► Us ne apne Nafs ko malamat na kiya.
4► Us ne Tobah o Astaghfar na kiya.
5► Wo Allah Subhanahu Wa Ta'ala ki Rahmat se Mayoos ho gaya.

Hazrat Adam Alaihis Salam 5 Baton ki Wajah se Naik Bakht hue:

1► Hazrat Adam Alaihis Salam ne apni Bhool ka Iqrar farmaya.
2► Wo Nadim o Pasheman hue aur Tawaze o Aajizi Ekhtiyar ki.
3► Unhon ne Apne Nafs ko malamat farmaya.
4► Wo Allah ki taraf Mutawajje hue aur Tobah o Astaghfar farmaya.
5► Wo Allah Subhanahu Wa Ta'ala ki Rahmat se Mayoos na hue.

✦...♥ Sone Se Qabl, Surah Alif Lam Mim Sajdah - Surah Al-Mulk ♥...✦

Narrated Jabir RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) would not sleep until he recited Alif Lam Mim Tanzil and: Tabarak Alladhi Biyadihil-Mulk."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 5 :: Book 42 :: Hadith 2892]

Urdu Translation: Hazrat Jabir RadiyAllahu Anhu se riwayat hai ke Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Surah Alif Lam Mim Sajdah aur Surah Al-Mulk Padhe bagair Nahi sote the."

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 799]

✦......✿......♥ Mout ke Waqt Masoon Duayen ♥......✿......✦

Hazrat Aishah RadiyAllahu Anha farmati hain ke Main ne RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ko Dunya se Rihlat farmate hue is haal mein dekha ke aap ke paas pani ka aik Pyala rakha hua tha aur us Pyale mein Aap Sallallahu Alaihi Wasallam apna hath dalte aur Chahrah Aqdas par malte aur phir farmate: "Aye Allah! Mout ki Sakhtiyon aur Takleefon par Meri Madad farma."

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Hadith 966]

Aik dusri Riwayat mein Hazrat Aishah RadiyAllahu Anha farmati hain ke main ne RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam se suna, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam (Marz al Wafat) mein mera sahara liye hue Irshad farma rahe the: "Aye Alah! Meri Maghfirat farma, Mujh par rahem farma aur mujhe Umdah o Aala rafiqon (Farishton aur Paighambaron) ke sath milade."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Hadith 5674]

●◗► Ham log jis tarah Gaflat ki zindagi guzar rahe hain is ka haal to ham sab ko khud Malom hai, km az km Mout ke waqt ki Darj bala Masnoon Duayen to sab ko yaad honi chahiyen, kyun ke kab kis par Mout ki Alamat aur Halate Naza’a tari ho jaye kuch pata nahi!!!

●═════════════════◄►════════════════●

Aishah RadiyAllahu Anha narrated: "I saw the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) while he was dying. He had a cup with water in it, he put his hand in the cup then wiped his face with the water, then said:  'O Allah! Help me with the throes of death and the agony of death.'"

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Book 5 :: Hadith 978]

Narrated `Aisha RadiyAllahu Anha: I heard the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam), who was resting against me, saying: "O Allah! Excuse me and bestow Your Mercy on me and let me join with the highest companions (in Paradise)."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 7 :: Book 70 :: Hadith 578, 5674]

✦.►Sadaqah Jariyah Nahi kar Sakte to Gunahe Jari Bhi Na Karen! ◄.✦

Agar Aap aise Aa’mal se Qasir hain jo marne ke baad Aap ke liye Sadqah Jariyah ban saken to km az km Aise gunahon ka Irtekab to na karen ke jin ka Wabaal marne ke baad bhi Aap tak pahochta rahe aur dahekti Aag aap ki Aakhirat barbad kar dalen.

●◗► Yaad Rakhen! Social Media par Share ki jane wali chizen Aap ke liye Sadaqah Jariyah bhi ban sakti hain aur Gunahe Jari bhi, Lehaza kisi bhi Post, Tasweer, Video, Audio, Status ya Link post ya share karne se Qabl acchi tarah sochen ke ye Cheez aap ke liye Sadaqah Jariyah banegi ya Gunah jari ban kar dunya o Aakhirat ki barbadi ka zariyah!!!

✦....♥ Jayyad Ulama E karam ke Bayanaat Sunte Rahen ♥....✦

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "The believer will never be satisfied with the good he hears, until he ends up in Paradise."

[Jami` at-Tirmidhi ::  Vol. 5 :: Book 39 :: Hadith 2686]

Urdu Translation: Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshad Farmaya: "Momin ka jii kabhi bhi khair ki Baten sunne se nahi bharta Yahan tak ke Jannat us ka thikana ban jaye."

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 582]

✦.........► Naam aur Shuhrat Par Fakhr na Karen! ◄.........✦

Jab Insan marta hai to sab se pehle us ka Naam us se Alag ho jata hai, Log us ke dunyawi Jism ko us ke Naam se pukarne ke bajaye Jasde khaki, Mayyat ya Dead body keh kar pukarte hain, Jab use kandhe par uthate hain to Naam lene ke bajaye kehte hain: “Mayyat” ko kandha dene aajao, isi tarah Jab dafan ka waqt hota hai to Naam lene ki bajaye kehte hain: “Mayyat” ko aaram se Qabr mein utaro.

●◗► Lehaza Namuri, Shuhrat, Qoum o Qabilah aur Mansab par hargiz Fakhr o Guroor na karen, Ye cheezen bahot jald aap ka sath Chhord jayengi.

✦.......► Dewar aur Jeth to Mout Hain! ◄.......✦

Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) as saying: "Beware of getting, into the houses and meeting women (in seclusion). A person from the Ansar said: Allah's Messenger, what about husband's brother, whereupon he (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: Husband's brother is like death."

[Sahih Muslim :: Book 26 :: Hadith 5400, 2172]

Urdu Translation: Rasool Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “(Na Mahram) Aourton ke paas jane se bacho!” Aik Ansari sahabi farmane lage: Ya RasoolAllah! Khawind ke bhaiyyon (dewar aur jeth wagerah) se Mutalliq Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ka kya hukum hai? RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Khawind ke bhai to Mout hain. (Yani in se pardah karne aur door rahne ka to bahot Zyadah Ehtemam karna chahiye)."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 5 :: Hadith 5674]

●◗► Hadees baala o Digar Ahadees se wazeh hai ke dewar aur jeth se bhi pardah farz hai, Magar Aaj kal Mustarke khandani Nizam mein aourat ke liye ghar mein hamesha Naqab laga kar rakhna zaroori nahi balke Aourten aise gharon mein badi chadar wagera ka istemal karen taa ke Bawaqte zarurat ghoonghat kar ke chehra chupaya ja sake, isi tarah Ghar mein Na mahram mard o khawateen Nazren jhuka ke rakhen aur Aapas mein hansi Mazah aur be Takallufana guftagu se Ijtenab karen, Naiz Mard Hazrat ghar mein dakhil hote waqt ijazat len ya khankhar len ya pairon ki chaap aur Aahat ko zara buland karden taa ke ghar ki Masturaat ko aane ki ittela ho jaye, in Umoor ke Ehtemam se Mustarka khandani nizam mein bhi parde ke hukum ki baja Aawari ke sath sath gharelu kaam kaaj Ba’aasani sar Anjam diye ja skate hain.

No comments:

Post a Comment