Pages

Sunday, 28 February 2016

► Khush Rahne ka Ta’alluq aap ki zaat se hai.
► Aap ke Rishtedaron se Nahi.
► Aap ki Nokri se bhi Nahi.
► Aap ke paas Maojood Paison se bhi Nahin.

◈➲ Lehaza khush raha karen aur Khush rahne ke liye Hamesha apne se Niche logon ko dekhen! :)

✦...♥ Zarurat se Zayed Ashya se Sisakti Insaniyat ki Madad Kare! ♥...✦

Abu Sa'id al-Khudri RadiyAllahu Anhu reported: Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: “He who has an extra mount should give that to one who has no mount for him, and he who has surplus of provisions should give them to him who has no provisions, and he made mention of so many kinds of wealth until we were of the opinion that none of us has any right over the surplus.”

[Sahih Muslim :: Book 18 :: Hadith 4290, 4614]

Urdu Translation: Hazrat Abu Sa'eed al-Khudri RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Jis ke paas Zayed sawari ho wo aise Shaks ko dede jis ke paas Sawari na ho aur Jis ke paas Zarurat se zayed Samane safar ho wo Aise shaks ko dede jis ke paas Samane safar na ho.

Rawi farmate hain ke phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Mukhtalif Aqsam ki zarurat se Zayed Ashya ke bare mein yahi Hukum Irshad farmaya Yahan tak ke ham Samajhne lage ke ab ham mein se kisi ka bhi zarurat se Zayed Ashya par koi haq nahi hai.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 4 :: Hadith 4517]

✦...........:( Maqame Hasrat o Afsos! :(...........✦

◈➲ Sab se Zyadah Hasrat o Afsos ka Maqam wo hoga jab Insan apni ki hui Nekiyon ko dusron ke Namae Aa’mal mein dekhe ga.

●◗► Geebat, Bohtan bazi, Chogli, Eza rasani, Haq talfi, dhoka dahi, Corruption, kisi ki zameen ya maal hathya lena, Matahton ka istihsal wagerah aise Gunah hain jin ki wajah se badi Tag o dun ke Natije mein hasil ki gayi Qeemti Nekiyan dusron ke Namae Aa’mal mein dalni hongi….Allah Ta'ala dunya hi mein Muafi talafi aur Huqooq ki Adayegi ki Toufeeq naseeb farmaye aur Roze Mehshar ki hasrat se hamari hifazat Farmaye. (Aameen)

✦.........♥ Kapde Tabdeel Karte Waqt! ♥.........✦

Anas RadiyAllahu Anhu reported that The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: “The barrier between the eyes of the Jinn and the nakedness of the Children of Adam is [created] when a Muslim discards a garment and says, 'In the name of Allah besides Whom there is no other god'."

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Jinnat ki Aankhon aur Bani Adam ki Sharmgahon ke Darmiyan Pardah aur Hijab ki Surat ye hai ke Aadmi Jab apne Kapde utare to Bismillah Padhe.”

[Al-Mu’jamul Awsat Al-Tabarani :: 7066]

●◗► Jinn look's at you, While removing clothing recite 'Bismillah'' as the devil gets blinded and can't look at the private parts due to this.

✦.......:o Logon ki Baten Chup kar Sunne Wala :o.......✦

The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: “if somebody listens to the talk of some people who do not like him (to listen) or they run away from him, then molten lead will be poured into his ears on the Day of Resurrection.”

[Sahih Bukhari :: Vol. 9 :: Book 87 :: Hadith 165]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Jis ne logon ki Baat kaan laga kar suni aur wo log us (Aml) ko Na pasand karte hon ya us se Bhaagte hon to Qayamat ke din us ke Kanon mein Sisa Pighla kar dala jayega.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Hadith 7042]

✦.....♥ Halal Kamon Mein Sab se Na Pasandidah Kaam ♥.....✦

The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said: "The most hated of permissible things to Allah is divorce."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Book 10 :: Hadith 2018]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Allah Subhanahu Wa Ta'ala ke Nazdeek Halal chizon mein sab se Zyadah Na Pasandidah cheez “Talaq” hai.”

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 2 :: Hadith 175]

✦......► Gunahon ki Wajah se Rizq se Mahroomi ◄......✦

It was narrated from Thawban (RadiyAllahu Anhu) that the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said:

● “Nothing increases one’s life span except righteousness.
● And nothing repels the Divine decree except supplication,
● And a man may be deprived of provision by a sin that he commits.’”

[Al-Mustadrak alaa al-Sahihain Al-Hakim :: 1814, Sunan Ibn Majah :: 4022]

Urdu Translation: Hazrat Thawban RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya:

● “Siwaye Dua ke Taqdeer ko koi cheez Talne wali nahi hai.
● Aur Siwaye Neki ke Umr ko koi cheez badhane wali nahi hai.
● Aur Insan Gunahon ki Nahusat se us Rizq se jo use Milne wala hai, Mahroom kar diya jata hai.”

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Hadith 903]

●◗►"Masroof Zindagi mein Namaz padhna Dushwar Zaroor hai, Magar Zindagi ki Dushwariyan Namaz se hi door hoti hain."

✦.......-_- Paaki ki Halat Mein Raat Basar Karen! -_-.......✦

Ibn 'Umar RadiyAllahu Anhu reported Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: “Purify these Bodies (of yours), May Allah grant you purity, for indeed there is not a servant that spends the night in a state of purification except that an angel spends the night with him in his garment. He does not turn at anytime during the night except that the angel says: “Oh Allah forgive your servant for indeed he spent the night in a state of purity!”

[Al-Mu'jam Al-Kabeer Al-Tabarani :: Hadith 13620]

Urdu Translation: Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Apne in Jismon ko paak saaf rakho, Allah Ta’ala tumhen (nifaq se) Paak saaf rakhega, Bila shubah Jab bhi koi Bandah paaki ki Halat mein Raat guzarta hai to us ke Pahlu mein Aik Farishta bhi us ke sath Raat guzarta hai, aur Raat ki koi ghadi Aisi nahi Guzarti jis mein wo Farishta ye dua na Mangta ho: “Ya Allah! Apne is bande ki Maghfirat Farma, Kyun ke ye Paaki ki Halat mein Raat basar kar raha hai.”

[Al-Mu'jam Al-Kabeer Al-Tabarani :: Hadith 13620]

✦.......♥ Thokar ya Takkar lage to “Bismillah” Kahen ♥.......✦

Abu al-Malih reported on the authority of a man: I was riding on a mount behind the prophet (May peace be upon him). It stumbled. Thereupon I said: May the devil perish! He (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: do not say; may the devil perish! For you say that, he will swell so much so that he will be like a house, and say: by my power. But say: in the name of Allah; for when you say that, he will diminish so much so that he will be like a fly.

[Sunan Abi Dawud :: Book 42 :: Hadith 4964] [Al-Mustadrak alaa al-Sahihain Al-Hakim : 7792]

Urdu Translation: Aik Sahabi RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Main Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ke piche sawari par sawar tha, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki sawari ko Achank thokar lagi to mere muh se nikla: “Shaitan barbad ho.”

RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Shaitan barbad ho” na kaho, is se to Shaitan phool kar bada ho jata hai aur kahta hai: “Meri taqat o Quwwat ki wajah se Aisa hua.” Albatta (Aise moqe par) Agar “Bismillah” kaha jata hai to Shaitan haqeer aur chota ho jata hai, yahan tak ke Makkhi ke barabar rah jata hai.”

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 1545, 4982]

✦........► Aapas ki Ladayi se Deen ka Safaya ◄........✦

The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Shall I not inform you of something more excellent in degree than fasting, prayer and almsgiving (sadaqah)?" The people replied: Yes, Prophet of Allah! He (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "It is putting things right between people, spoiling them is the shaver (destructive)."

[Sunan Abi Dawud :: Book 42 :: Hadith 4901, 4919]

Urdu Translation: Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Kya tumhen Rozah, Namaz aur Sadaqah ke sawab se bhi Afzal Aml na Bataun?" Sahaba Karam ne Arz kiya: (Ya RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam) zaroor irshad Farmaye.

RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: “Aapas mein Dushmani rakhne wale do Shakson ke darmiyan Sulah karwana (ye Rozah, Namaz aur Sadaqah ke sawab se bhi Afzal hai) Jab ke Aapas mein ladayi lagwana Haliqah (yani deen ka bilkul safaya kar deta) hai.”

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 1487, 4921]

●◗► RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Aapas ki ladayi ko haliqah yani Mundhne wala qarar diya, Jis tarah Blade aur Ustare se sir ke baal Bilkul saaf ho jate hain, isi tarah Aapas ki ladayi se Deen ka safaya ho jata hai, kyun ke jab do Aadmiyon ke dilon mein Nafraten aati hain to aik dusre ki Geebat, Badgumani, Badkhuahi, Sazishe Mansube, Aik dusre par ilzam tarashi, Bohtan bazi, aur Ta’an o Tashnee jaise khatarnaak Gunah khud ba khud shamile haal ho jate hain, inhi Gunahon se bachne ke liye Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ne ladayi jhagde ke bajaye Muaaf karne aur Dil saaf rakhne ka hukum diya.

Saturday, 20 February 2016

✦.....♥ Azeem Tareen Khawind ki Azeem Tareen Ahliya! ♥.....✦

♥ Zojae Mutahrah Hazrat Khadija RadiyAllahu Anha ka Tazkerah farmate hue RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya:

✔ Mujhe Khadija (R.A) se Acchi Biwi Allah ne Ata nahi Farmayi.
✔ Wo us waqt mujh par Iman layen jab logon ne mera inkar kiya.
✔ Unhon ne us waqt meri Tasdiq ki jab logon ne Mujhe Jhutlaya.
✔ Unhon ne us waqt apni Doulat mujh par Nichawar farmayi Jab logon ne mujhe Mahroom rakha.
✔ Un se Allah ne mujhe Aoulad ata farmayi Jab ke Dusri Azwaj se Aoulad ata na hui. ♥ (Musnad Ahmad : 24864)

●◗► Hadise Baala mein aik taraf Hazrat Khadija (RadiyAllahu Anha) ka Tarze Aml Musalman Biwiyon ke liye Mash’ale raah hai ke wo kathin Halaat, Mushkilat aur maali tangi mein bhi khawind ki dast o bazu banen aur us ke sath wafadari aur Gham khuari ka Mu’amla karen to dusri Taraf RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ke tarze Aml mein Musalman khawindon ke liye Hidayat hain ke wo Ahliya ki khubiyon, Qurbaniyon aur khidmaat ka khule Dil se Eteraf karen aur Acche Alfaz mein Ahliya ka Tazkerah karen.

✦........► Farq Talash Karen ◄........✦

●◗► Gal Sadjane ke baad in khopdiyon mein Farq karna Mushkil hai, Ab agar in ke Darmiyan chote bade hone ka koi Farq ho sakta hai to 'Iman', 'Taqwa' aur 'Aa’male Saliha' ki Bunyad par.

✦..........► Rooh Parwaz Karte Waqt ◄..........✦
:o Aankhen Phati ki Phati kyun Reh Jati Hain? :o

Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) as saying: “Did you not see when the man died and his eyes were fixedly open?” He (Abu Huraira) said: Yes. He (the Holy Prophet) said: “It is due to the fact that when (the soul leaves the body) his eyesight follows the soul.”

[Sahih Muslim :: Book 4 :: Hadith 2005, 2171]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Kya tum nahi dekhte Jab Aadmi mar jata hai to us ki Aankhen khuli Rah jati hain!!!” Sahaba ne Arz kiya: kyun nahi ham Aisa hi dekhte hain.

RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Is ki wajah ye hai ke us ki Nigah Rooh ke piche jati hai.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 2 :: Hadith 2132]

✦.......♥ Uphar Chadhte Ya Niche Utarte Waqt ♥.......✦

Narrated Jabir bin `Abdullah RadiyAllahu Anhu: Whenever we went up a place we would say, "Allahu--Akbar (i.e. Allah is Greater)", and whenever we went down a place we would say, "Subhan Allah."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 4 :: Book 52 :: Hadith 236, 2993]

Urdu Translation: Hazrat Jabir bin Abdullah RadiyAllahu Anhuma farmate hain ke Jab ham (kisi bulandi par) Chadhte to "Allahu Akbar" kehte aur jab (kisi Nashaib mein) utarte to "Subhan Allah" kehte the.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 4 :: Hadith 2993]

✦...♥ Miyan Biwi ke Darmiyan Nachaqi Khatam Karwayen! ♥...✦

Allah Subhanahu Wa Ta'ala Irshad Farmate Hain: ⇨ "Agar tumhen Miyan Biwi ke darmiyan phoot padne ka Andesha ho to (un ke darmiyan faisla karane ke liye) Aik Munsif Mard ke khandan mein se aur aik Munsif Aourat ke khandan mein se bhej do, Agar wo donon Islah karana chahenge to Allah donon ke darmiyan Ittifaq paida farma dega, Beshak Allah ko har baat ka Ilm aur har Baat ki khabar hai." (Al-Qur'an, Surah An-Nisa : 35)

◈➲ Munsif – Insaf karne wala.
◈➲ Ittifaq – Mail jol, Ittihad, Mohabbat dosti.

⇨ "If you fear a breach between them twain (the man and his wife), appoint (two) arbitrators, one from his family and the other from her's; if they both wish for peace, Allah will cause their reconciliation. Indeed Allah is Ever All-Knower, Well-Acquainted with all things." (Qur’an 4:35)

✦..........♥ Sab se Zyadah Taqatwar Dua ♥..........✦

●◗► Kisi bhi bade se bade Darwesh, Peer baba aur Murshid ki Dua se zyadah taqatwar, ba asar aur Jald qubool hone wali Dua, Walid aur Walidah ki Dua hai, lekin Aaj ham log Walidain ki khidmat, unhen khush Rakhne aur un se Duayen wusool karne ko Nazar andaz kar ke Dargahon, Mazaron aur Qabron pe Takre marte rahte hain.

► Valentine Day ka Boycott, Sharm o Haya Khatam to Iman bhi Khatam! ◄

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Modesty and belief are together. If one of them is removed, the other is removed."

[Al-Adab Al-Mufrad :: Book 56 :: Hadith 1313]

Urdu Translation: Rasool Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Haya aur Iman Donon aik dusre se Mile hue hain, in mein se koi Aik bhi khatam kardiya jaye to Dusra bhi khud ba khud Khatam ho jata hai.”

[Al-Mustadrak alaa al-Sahihain Al-Hakim : 58, Al-Adab Al-Mufrad : 1313]

✦....► Valentine Day, Be Hayayi ke Aalami Din se Mazirat! ◄....✦

It was narrated from Anas RadiyAllahu Anhu that the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: “Every religion has its distinct characteristic, and the distinct characteristic of Islam is modesty.”

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 5 :: Book 37 :: Hadith 4181]

Urdu Translation: Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Beshak har Deen ki koi khaas Khaslat (fitrat, mizaj ya pahchan) hoti hai aur Islam ki wo khaas Khaslat “Haya” hai.”

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Hadith 1062]

♥ Jis Deen ki Pahchan hi Haya ho us mein Be Hayahi ki Gunajayesh nahi ♥

✦........♥ Jayez aur Halal Mohabbat ka Izhar! ♥........✦

●◗► Insani Mua’ashre mein Mohabbat o Mawaddat, Ijtimaiyat aur ham Aahangi ki targeeb Jitni Deen-e-Islam aur Paighambare Islam (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne di hai Dunya ke kisi aur Deen ne nahi di ✿ Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya:

"Jab tum mein se koi Apne Bhai se Mohabbat kare to use Chahiye ke wo Apne bhai ko batade (yani Mohabbat ke Talluq ka izhar kare).” " [Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi : Vol. 2 :: Hadith 277, 2392]

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "When one of you loves his brother,then let him inform him of it." [Jami` at-Tirmidhi :: 2392]

●◗► Izhare Mohabbat se Islam mana nahi karta Albatta Na’Mahram Mard o Aourat ke darmiyan Na jayez Mohabbat, Ikhtelat aur Be hayayi ko Haram qarar deta hai, Insan ko chahiye ke wo Biwi Bacchon, Walidain aur Bahen Bhaiyyon se toot kar Mohabbat kare aur is ka Munasib Andaz mein izhar bhi kare, Izhare Mohabbat ka khaas Tariqah ya Tareekh tai karna Jaise 14 February ko Valentines day manana bhi Yahood o Nasara ki Naqqali aur Mushabahat ki wajah se Mamnoo hai.

✦.....♥ Mayyat ko Qabr Mein Utarne ki Masnoon Dua ♥.....✦

It was narrated that Ibn ‘Umar said RadiyAllahu Anhu: “When the deceased was placed in the grave, the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) would say: ‘Bismillah, wa ‘ala millati rasul-illah (In the Name of Allah and according to the religion of the Messenger of Allah).’”

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 6 :: Hadith 1550]

Urdu Transaltion: Hazrat Abdullah bin Umar RadiyAllahu Anhuma farmate hain ke Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Jab tum apne Murdon ko Qabron mein utaro to ye kaha karo: ‘Bismillah, wa ‘ala millati rasul-illah “Allah ke Naam ke sath aur Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ke Deen o Tariqe par.”

[Al-Mustadrak alaa al-Sahihain Al-Hakim :: Hadith 1353] [Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Hadith 1550]

●◗► Aaj Hamare Mua’ashre mein log Masnoon Dua ke bajaye gair Masnoon Azkar apne tor par zor zor se padhte hain, Allah Subhanahu Wa Ta'ala ham sab ko Sunnaton par Aml ki Toufeeq Marhamat farmaye. (Aameen)

Wednesday, 10 February 2016

✦........► 6 Ghanton ke Andar Tobah Karen! ◄........✦

It was reported from Abu Umamah RadiyAllahu Anhu that the Messenger of Allah (peace and blessings of Allah be upon him) said: “The angel on the left does not write down anything until six hours have passed after a Muslim does a bad deed. If he regrets it and asks Allah for forgiveness, he casts it aside [does not write it down], otherwise he writes down one (sayyiah/bad deed).” [Al-Tabaraani]

Urdu Translation: Hazrat Abu Umamah RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Bayen (left) Taraf wala (yani Gunah likhne par Ma’mur farishta) Gunah karne wale Musalman (ka gunah likhne) se 6 ghante tak Qalam uthaye rakhta hai Agar wo (Gunah gaar shaks is douran) apne kiye par Nadim ho jaye aur Allah Ta’ala se Tobah o Astaghfar karle to wo Farishta gunah nahi likhta, agar Tobah na kare to (Aik gunah ke badle) aik Gunah likh leta hai.”

[Al-Mu'jam Al-Kabir Al-Tabarani : Hadith 7765]

●◗► Neki likhne par Ma’mur farishta to Neki foran likh leta hai, Jab ke Gunah likhne par Ma’mur farishta 6 ghante tak Gunah ki FIR darj nahi karta aur Musalsal intezar karta hai,  Allah Subhanahu Wa Ta'ala ki is Mohlat se agar ham Faidah na uthayen to badi Mahrumi aur Bad’Naseebi ki baat hai.


●◗► Ruye Zameen par kuch log Aise bhi hain jo Barf ke uphar Namaz ka Farizah Ba’Jama’at sar Anjam de rahe hain Jab ke kuch Aise log bhi hain jo Thande pani aur Sardi ka bahana bana kar Ba’jama’at Namaz se Gaflat barat rahe hain.

✦.......♥ Jismani Dard se Najat ka Nabwi Nuskha ♥.......✦

Uthman b. Abu al-'As Al-Thaqafi RadiyAllahu Anhu reported that he made a complaint of pain to Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) Thereupon Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said:

Place your hand at the place where you feel pain in your body and say Bismillah (in the name of Allah) three times and seven times A'udhu billahi wa qudratihi min sharri ma ajidu wa uhadhiru (I seek refuge with Allah and with His Power from the evil that I find and that I fear).

[Sahih Muslim :: Book 26 :: Hadith 5462]

Urdu Translation: Hazrat Uthman bin Abu al-'Aas RadiyAllahu Anhu ne Apne Jism mein dard ki Shikayat ki, RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne un se Irshad Farmaya:

"Apne Jism ki Dard wali jagah par hath rakh kar Teen martaba Bismillah padho phir 7 Martaba ye Dua padh lo: A'udhu billahi wa qudratihi min sharri ma ajidu wa uhadhiru (Tarjumah: Main Allah ke jalal aur us ki Qudrat ki Panah Talab karta hun is Bimari ke shar se jo Mujhe is waqt lahaq hai aur Jis ke Aayinda hone ka Khadsha hai)."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 5 :: Hadith 5737, 5867]


✦.....► Khawateen Bagair Mahram ke Safar na Karen ◄.....✦

Narrated Ibn `Abbas RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "A woman should not travel except with a Dhu-Mahram (her husband or a man with whom that woman cannot marry at all according to the Islamic Jurisprudence), and no man may visit her except in the presence of a Dhu-Mahram."

[Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Book 29 :: Hadith 85, 1862]

Urdu Translation: Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Anhuma se Riwayat hai ke Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Koi Aourat apne Mahram Rishtedaar ke bagair Safar na kare aur koi Shaks kisi Aourat ke paas us waqt tak na jaye Jab tak wahan us ka Mahram Rishtedaar Maojood na ho."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Hadith 1862]

●◗► Aourat ke liye 48 Mile ya 78 (kilometer) ka safar Bagair mahram ke karna Sakht gunah ki baat aur Na jayez Aml hai, Agar 48 Mile se km safar karna ho tab bhi Mahram ke bagair jana behtar nahi.


✦.....♥ Allah ka har Faisla, Hamare Haq Mein Behtar ♥.....✦

● Kabhi Allah hamen bimar karta hai ta ke ham apne Wujood ki Behtar dekh bhaal shuru karden.

● Kabhi Allah hamen dukh aur takleef deta hai ta ke ham Mazboot ho jayen.

● Kabhi Allah hamen nakaam karta hai ta ke ham mein Aajizi paida ho aur ham Mutakabbir na banen.

● Kabhi Allah hamen gareeb kar deta hai ta ke ham Gareeb ka dukh dard samajh saken.

● Kabhi Allah ham se koi cheez wapas le leta hai ta ke ham apne paas Maojood chizon ki Qadar o Qimat janen.

● Kabhi Allah hamen nuqsan pohnchata hai ta ke ham apni Galtiyon se seekh kar bade Nuqsan se bach saken.

'Hamen Pokhta Yaqeen hona chahiye ke Allah jo Faisla bhi kare wo Hamare Haq mein Behtar hai.'


✦.......♥ Deen ki Baat Dhyan se Sunen ♥.......✦

Narrated Abdullah ibn Abbas RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "You hear (from me), and others will hear from you; and people will hear from them who heard from you."

[Sunan Abi Dawud :: Book 25 :: Hadith 3651, 3659]

Urdu Translation: Hazrat ibn Abbas RadiyAllahu Anhuma se Riwayat hai ke Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Aaj Tum mujh se Deen ki baten sunte ho, Kal tum se Deen ki baten suni Jayengi, phir un logon se Deen ki baten suni jayengi Jin logon ne tum se Deen ki baten suni thin."

(Lehaza tum khoob dhyan se suno aur us ko apne baad walon tak pohnchao, phir wo log apne Baad walon tak pohnchayenge aur ye silsila chalta rahe).

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 260]


✦.....♥ Aoulad ka Bachpan aur Walidain ka Budhapa ♥.....✦

●◗► Walidain apne Bacche Bacchiyon ko Shahzade aur Shahzadiyon ki tarah rakhte hain, Lehaza jab wo Budhe hon to Aoulad ka Farz banta hai ke wo Unhen Ghar ka “Badshah” aur “Malika” bana kar Rakhen.


✦....:) Mareez Mayoos Na Hon! Koi Marz la ilaaj Nahi :)....✦

The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "There is no disease that Allah has created, except that He also has created its treatment."

[Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Book 71 :: Hadith 582]

Urdu Translation: Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Allah Subhanahu Wa Ta'ala ne Aisi koi Bimari nahi utari jis ki Dawa bhi Nazil na ki ho."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Hadith 5678]

●◗► Badhshah Mahmood Ghaznawi ne Apne Ghulam ko aik Anguthi di aur kaha ke is par Aik aisa jumla likho jis ko Agar khushi mein Padhun ghamgeen hojaun aur Agar Gham mein padhun to Khush ho jaun, Ghulam ne likha ► “Ye Waqt Guzar Jayega”.


✦.........♥ Farz Namaz Ke Baad Masnoon Dua ♥.........✦

One day the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) took Mu`adh ibn Jabal's RadiyAllahu Anhu hand and said to him, "O Mu`adh, I love you." Mu`adh responded, "May my father and mother be sacrificed for you, O Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam), I love you (too)." Then the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "I advise you, O Mu'adh, say at the end of every prayer:

'Allahumma a'inni 'ala dhikrika wa shukrika, wa husni 'ibadatika,' ('O Allah, help me in remembering You, in giving You thanks, and worshipping You well').

●═════════════════◄►════════════════●

Urdu Translation: Hazrat Mu’adh bin Jabal RadiyAllahu Anhu farmate hain ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne un ka hath pakad kar farmaya: "Aye Mu’adh! Main tum se Mohabbat karta hun." Hazrat Mu’adh RadiyAllahu Anhu ne Arz kiya: (Ya RasoolAllah!) Mere Maa Baap aap par Qurban hon main bhi Aap se Mohabbat karta hun, Phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshad farmaya: "Aye Mu’adh! Main tumhen Nasihat karta hun ke har Namaz ke Baad ye dua har giz na chhordna:

'Allahumma a'inni 'ala dhikrika wa shukrika, wa husni 'ibadatika,' (Tarjumah: "Aye Allah! Apne Zikr, Shukr aur Acchi Tarah Ibadat ki Adayegi mein Meri Madad Farma)."

[Sahih Ibn Hibban 2021, Sunan Abi Dawud 1522, Sunan an-Nasa'i 1303]

Monday, 1 February 2016

✦..........:o Aundhe Muh Sona Mana Hai! :o..........✦

It was narrated from Qais bin Tihfah Al-Ghifari RadiyAllahu Anhu that his father said: "The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) found me sleeping in the masjid on my stomach. He  nudged me with his foot and said: 'Why are you sleeping like this? This is a kind of sleep that Allah dislikes,' or 'that Allah hates.'"

[Sunan Ibn Majah ::  Vol. 5 :: Book 33 :: Hadith 3723]

Urdu Translation: Hazrat Tikhfah Ghifari RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Mujhe Masjid mein Pait ke bal (Aundhe muh) soya hua paya, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne apne Pair Mubarak se mujhe hila kar farmaya: "Tum is Tarah kyun so rahe ho? Is tarah Sona Allah Subhanahu Wa Ta'ala ko Sakht Na’pasand hai."

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Hadith 604]

●◗► RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Aundhe muh sone se Mana farmaya hai aur Aaj ki Medical Science bhi ise Aaza o Jawareh Bilkhusus dil o dimag aur Insani Nafsiyat ke liye sakht Nuqsan deh Qarar de rahi hai, Lehaza ladakpan se hi Aundhe muh na sone ke hawale se Bacchon ki Tarbiyat karen.

✦....:o Social Media pe Gardish karta “Nafsiyati Hamla” :o....✦

Kuch log apni Post ki Rating badhane ke liye Aakhir mein ye Jumla likhte hain: "Is Post ko Share karne se Shaitan Aap ko Rokega…"

●◗► Musalmano ko Aql se kaam lete hue Sochna Chahiye ke Shaitan to chahta yahi hai ke log Namaz, Tilawat, Zikr o Azkar, Walidain ki khidmat aur Huqooq Al-Ibad se Gafil ho kar Social Media par kuch na kuch Share aur Like karte Rahen.

✦.......♥ Ba Wuzu aur Zikr Karte hue Soyyen! ♥.......✦

The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "If a Muslim sleeps while remembering Allah, in the state of purification, is alarmed while asleep at night, and asks Allah for good in this world and in the Hereafter. He surely gives it to him."

[Sunan Abi Dawud :: Book 42 :: Hadith 5024, 5042]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jab koi Musalman Ba Wuzu Allah ka zikr karte hue sota hai phir Raat ko karwat badalne ki waja se Jaag uth ta hai aur us Halat mein Allah Ta'ala se Dunya o Aakhirat ki bhalayi ki koi cheez Mangta hai to Allah Subhanahu Wa Ta'ala zaroor wo cheez ata Farmadete hain."

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 1605]

✦......► Iblees Layeen Bamuqablah Adam Alaihis Salam ◄......✦

Iblees 5 Baton ki Wajah se Bad’bakht aur Mardood hua:

1► Iblees ne Apne Gunah ka Iqrar na kiya.
2► Wo Gunah par Nadim na hua balke Takabbur aur sarkashi Ekhtiyar ki.
3► Us ne apne Nafs ko malamat na kiya.
4► Us ne Tobah o Astaghfar na kiya.
5► Wo Allah Subhanahu Wa Ta'ala ki Rahmat se Mayoos ho gaya.

Hazrat Adam Alaihis Salam 5 Baton ki Wajah se Naik Bakht hue:

1► Hazrat Adam Alaihis Salam ne apni Bhool ka Iqrar farmaya.
2► Wo Nadim o Pasheman hue aur Tawaze o Aajizi Ekhtiyar ki.
3► Unhon ne Apne Nafs ko malamat farmaya.
4► Wo Allah ki taraf Mutawajje hue aur Tobah o Astaghfar farmaya.
5► Wo Allah Subhanahu Wa Ta'ala ki Rahmat se Mayoos na hue.

✦...♥ Sone Se Qabl, Surah Alif Lam Mim Sajdah - Surah Al-Mulk ♥...✦

Narrated Jabir RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) would not sleep until he recited Alif Lam Mim Tanzil and: Tabarak Alladhi Biyadihil-Mulk."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 5 :: Book 42 :: Hadith 2892]

Urdu Translation: Hazrat Jabir RadiyAllahu Anhu se riwayat hai ke Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Surah Alif Lam Mim Sajdah aur Surah Al-Mulk Padhe bagair Nahi sote the."

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 799]

✦......✿......♥ Mout ke Waqt Masoon Duayen ♥......✿......✦

Hazrat Aishah RadiyAllahu Anha farmati hain ke Main ne RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ko Dunya se Rihlat farmate hue is haal mein dekha ke aap ke paas pani ka aik Pyala rakha hua tha aur us Pyale mein Aap Sallallahu Alaihi Wasallam apna hath dalte aur Chahrah Aqdas par malte aur phir farmate: "Aye Allah! Mout ki Sakhtiyon aur Takleefon par Meri Madad farma."

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Hadith 966]

Aik dusri Riwayat mein Hazrat Aishah RadiyAllahu Anha farmati hain ke main ne RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam se suna, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam (Marz al Wafat) mein mera sahara liye hue Irshad farma rahe the: "Aye Alah! Meri Maghfirat farma, Mujh par rahem farma aur mujhe Umdah o Aala rafiqon (Farishton aur Paighambaron) ke sath milade."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Hadith 5674]

●◗► Ham log jis tarah Gaflat ki zindagi guzar rahe hain is ka haal to ham sab ko khud Malom hai, km az km Mout ke waqt ki Darj bala Masnoon Duayen to sab ko yaad honi chahiyen, kyun ke kab kis par Mout ki Alamat aur Halate Naza’a tari ho jaye kuch pata nahi!!!

●═════════════════◄►════════════════●

Aishah RadiyAllahu Anha narrated: "I saw the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) while he was dying. He had a cup with water in it, he put his hand in the cup then wiped his face with the water, then said:  'O Allah! Help me with the throes of death and the agony of death.'"

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Book 5 :: Hadith 978]

Narrated `Aisha RadiyAllahu Anha: I heard the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam), who was resting against me, saying: "O Allah! Excuse me and bestow Your Mercy on me and let me join with the highest companions (in Paradise)."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 7 :: Book 70 :: Hadith 578, 5674]

✦.►Sadaqah Jariyah Nahi kar Sakte to Gunahe Jari Bhi Na Karen! ◄.✦

Agar Aap aise Aa’mal se Qasir hain jo marne ke baad Aap ke liye Sadqah Jariyah ban saken to km az km Aise gunahon ka Irtekab to na karen ke jin ka Wabaal marne ke baad bhi Aap tak pahochta rahe aur dahekti Aag aap ki Aakhirat barbad kar dalen.

●◗► Yaad Rakhen! Social Media par Share ki jane wali chizen Aap ke liye Sadaqah Jariyah bhi ban sakti hain aur Gunahe Jari bhi, Lehaza kisi bhi Post, Tasweer, Video, Audio, Status ya Link post ya share karne se Qabl acchi tarah sochen ke ye Cheez aap ke liye Sadaqah Jariyah banegi ya Gunah jari ban kar dunya o Aakhirat ki barbadi ka zariyah!!!

✦....♥ Jayyad Ulama E karam ke Bayanaat Sunte Rahen ♥....✦

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "The believer will never be satisfied with the good he hears, until he ends up in Paradise."

[Jami` at-Tirmidhi ::  Vol. 5 :: Book 39 :: Hadith 2686]

Urdu Translation: Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshad Farmaya: "Momin ka jii kabhi bhi khair ki Baten sunne se nahi bharta Yahan tak ke Jannat us ka thikana ban jaye."

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 582]

✦.........► Naam aur Shuhrat Par Fakhr na Karen! ◄.........✦

Jab Insan marta hai to sab se pehle us ka Naam us se Alag ho jata hai, Log us ke dunyawi Jism ko us ke Naam se pukarne ke bajaye Jasde khaki, Mayyat ya Dead body keh kar pukarte hain, Jab use kandhe par uthate hain to Naam lene ke bajaye kehte hain: “Mayyat” ko kandha dene aajao, isi tarah Jab dafan ka waqt hota hai to Naam lene ki bajaye kehte hain: “Mayyat” ko aaram se Qabr mein utaro.

●◗► Lehaza Namuri, Shuhrat, Qoum o Qabilah aur Mansab par hargiz Fakhr o Guroor na karen, Ye cheezen bahot jald aap ka sath Chhord jayengi.

✦.......► Dewar aur Jeth to Mout Hain! ◄.......✦

Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) as saying: "Beware of getting, into the houses and meeting women (in seclusion). A person from the Ansar said: Allah's Messenger, what about husband's brother, whereupon he (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: Husband's brother is like death."

[Sahih Muslim :: Book 26 :: Hadith 5400, 2172]

Urdu Translation: Rasool Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “(Na Mahram) Aourton ke paas jane se bacho!” Aik Ansari sahabi farmane lage: Ya RasoolAllah! Khawind ke bhaiyyon (dewar aur jeth wagerah) se Mutalliq Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ka kya hukum hai? RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Khawind ke bhai to Mout hain. (Yani in se pardah karne aur door rahne ka to bahot Zyadah Ehtemam karna chahiye)."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 5 :: Hadith 5674]

●◗► Hadees baala o Digar Ahadees se wazeh hai ke dewar aur jeth se bhi pardah farz hai, Magar Aaj kal Mustarke khandani Nizam mein aourat ke liye ghar mein hamesha Naqab laga kar rakhna zaroori nahi balke Aourten aise gharon mein badi chadar wagera ka istemal karen taa ke Bawaqte zarurat ghoonghat kar ke chehra chupaya ja sake, isi tarah Ghar mein Na mahram mard o khawateen Nazren jhuka ke rakhen aur Aapas mein hansi Mazah aur be Takallufana guftagu se Ijtenab karen, Naiz Mard Hazrat ghar mein dakhil hote waqt ijazat len ya khankhar len ya pairon ki chaap aur Aahat ko zara buland karden taa ke ghar ki Masturaat ko aane ki ittela ho jaye, in Umoor ke Ehtemam se Mustarka khandani nizam mein bhi parde ke hukum ki baja Aawari ke sath sath gharelu kaam kaaj Ba’aasani sar Anjam diye ja skate hain.