Pages

Saturday, 9 April 2016

✦........► Mard Hazrat Mutawajje Hon! ◄........✦

●◗► Agar aap ki Khuahesh ho ke Aap ki Biwi Naik, Saliha, Pakizah Seerat aur Paakbaz ho to is Haseen Khuab ke Takmeel ke  liye aap ko bhi Naik o Saleh, Pakizah Seerat aur Paakbaz banna hoga, Kyun ke Quran Majeed ka Wazeh Faisla hai:

⇨ “Gandi Aourten Gande Mardon ke Layeq hain aur Gande Mard gandi Aourton ke layeq, aur Paakbaz Aourten Paakbaz Mardon ke layeq hain aur Paakbaz Mard Paakbaz Aourton ke layeq.” (Quran, Surah An-Noor:26)

⇨ "Vile women are for vile men, and vile men for vile women. Good women are for good men, and good men for good women;" (Quran, Surah An-Noor:26)

✦.....► Taubah aur Sila Rahmi Mein Takheer na Karen ◄.....✦

●◗► Gunahon se Tauba karne aur Qareebi Rishton mein Bahmi Narazgi khatam kar ke Silah Rahmi karne mein kabhi bhi dair mat Karen, is liye ke Safar jitna taweel hota jata hai wapsi utni hi Dushwar ho jati hai…

✦..........♥ Gaibana Dua! ♥..........✦

Abu Ad-Darda RadiyAllahu Anhu reported that Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "There is no believing servant who supplicates for his brother behind his back (in his absence) that the Angels do not say: The same be for you too."

[Sahih Muslim :: Book 35 :: Hadith 6588]

Urdu Translation: Hazrat Abu Ad-Darda RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Jo bhi Musalman bandah Apne bhai ke liye Gaibana (yani us ki gair maojoodgi mein) dua karta hai to (Allah Ta'ala ki taraf se Muta’yan aik) Farishta kehta hai ke Tumhare liye bhi yahi dua ho (Yani jo Dua tum ne apne bhai ke haq mein mangi hai wo Tumhare haq mein bhi qubool ho).”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 6 :: Hadith 6927, 7103]

✦........♥ Quran Kareem Se Dosti ♥........✦

●◗► Ham Aksar o Beshtar sunte hain ke Dostiyan lagana waqt ka ziyaa hai, Lekin Aik aisa Dost bhi hai jis ke sath lagayi Jane wali dosti us din kaam Aayegi jis din Sage Rishtedar bhi sath chhod jayenge.

Ji Han! Wo Dost hai Quran Majeed…

Jis ne dunya mein is se dosti lagayi to Qayamat ke din wo apni Dosti ki laaj Rakhega aur apne Dost ko Jannat mein dakhila dilane ki sifarish karega, is dost ko apni Friend List mein Shamil kar ke Rozana Waqt den!!! ♥

✦.......► Nafs ko Mutanabbeh Karne Wali Aayat ◄.......✦

●◗► Agar kabhi “Nafs” Gunah ki taraf uksa raha ho aur Nafarmani ka baar baar khayal Aaraha ho to “Nafs” ko ye Aayat sunayen.

⇨ “Agar Main apne Rab ki Nafarmani kar baithun to Mujhe aik Zabardast Din ke Azab ka khof hai.” (Quran, Surah Yunus:15)

⇨ "Verily, I fear if I were to disobey my Lord, the torment of the Great Day (i.e. the Day of Resurrection)." (Qur’an 10:15)

✦......♥ Aik Dua 4 Nekiyon ka Shandar Package ♥......✦

⇨ “Mere Parwardigar! Meri bhi Bakhshish Farma dijiye aur Mere Walidain ki bhi…” (Qur’an, Surah Nooh:28)

▶▶▶ 4 IN ONE: ◀◀◀

❶ Walidain ke liye Dua hai.
❷ Apne liye bhi Dua hai.
❸ Walidain se Husn Sulook ki Neki hai.
❹ Gunahon par Touba o Astaghfar bhi hai.

✦......♥ Afu-o-Darguzar ka Qabile Taqleed Manzar! ♥......✦

Narrated Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu: "While I was going along with Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) who was wearing a Najrani Burd (sheet) with a thick border, a bedouin overtook the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) and pulled his Rida' (sheet) forcibly. I looked at the side of the shoulder of the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) and noticed that the edge of the Rida' had left a mark on it because of the violence of his pull. The bedouin said, "O Muhammad! Order for me some of Allah's property which you have." The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) turned towards him, (smiled) and ordered that he be given something."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 8 :: Book 73 :: Hadith 111, 6088]

Urdu Translation: Hazrat Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu farmate hain ke main Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sath chalta hua ja raha tha, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke Jasade Athar par mote kinari wali Najran ki bani hui chadar thi, itne mein aik dihati Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke paas aaya aur us ne Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki chadar badi zor se khinchi, Yahan tak ke main ne Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke kandhe ke kone par dekha ke zor se kheechne ki waja se nishan pad gaya, Phir us dihati ne kaha: Aye Muhammad! Allah ka jo maal aap ke paas hai us mein se Mujhe kuch dene ka hukum karo, (itna sakht rawayya aur lahja Ekhtiyar karne ke bawajood bhi) “Aap us ki Janib mutawajje hue, Muskuraye aur phir use Maal dene ka hukum irshad Farmaya.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 7  :: Hadith 6088]

✦......♥ Hazrat Yusuf Alaihis Salam ki Qamees! ♥......✦

Quran Majeed mein Hazrat Yusuf Alaihis Salam ki Qamees ka 6 Martaba Zikr Aaya hai, Aik martaba in Alfaz ke sath: ⇨ “Aur wo (Yusuf  ke bhai) Yusuf ki Qamees par Jhoot Moot ka khoon bhi laga kar le Aaye.” (Surah Yusuf:18)

Ye wo Gham naak waqt tha jab Hazrat Yusuf  ki qamees un ke Walid Hazrat Ya’qub Alaihis Salam ke liye Ranj o Gham aur shadeed zahni sadme ka Ba’is bani aur Bete ki judayi mein Rote rote un ki binayi bhi chali gayi.

Lekin phir waqt aur Halaat ne tezi se palta khaya…aur Hazrat Yusuf  hi ki Qamees Hazrat Ya’qub Alaihis Salam ki Binayi wapas lot Aane aur Farhat o Shadmani ka ba’is ban gayi, Chunanche Quran kareem mein irshad hai:

 ⇨ “(Hazrat Yusuf  ne Farmaya) Meri ye Qamees le jao, aur ise mere Walid ke chehre par daal do, is se un ki Binayi wapas Aajayegi.” (Surah Yusuf:93)

●◗► Yusuf Alaihis Salam ki qamees ke darj baala Qurani waqiye se hamen ye sabaq milta hai ke ham Mushkilat aur na Musa’id halaat mein Pareshan na hon, Allah par kamil Tawakkul aur ummid rakhen, wo zaroor Pareshaniyon ki Shaklon mein Rahat o Khushi ke Naqshe paida Farma dega.

No comments:

Post a Comment