Pages

Monday, 13 June 2016

✦.......♥ Rozah Daron ke 3 Darjaat  ♥.......✦

Imam Ghazali Rahimahullah Irshad Farmate hain: “Roze ke 3 Darjaat hain:

❶ Aam Rozah: Khane Pine aur  Izdwaji Ta’lluq se Rukna.

❷ Khas Rozah: Aankh, Kaan, Zuban, Hath Paon, aur Badan ke tamam Aaza ko Gunahon se Rokna.

❸ Sab se Khas Rozah: Dil ka Rozah, Yani Dil ka Tamam Akhlaqe Razila aur Dunyawi Khayalat se Paak Rahna aur Makhluqaat se Tawajjo hata kar Sirf Allah Ta’ala ki Taraf Mutawajje hona.” (Ihya ul Uloom ud Deen, Al-Imam Al-Ghazali)

✦......♥ Bab-ul-Rayyan Sirf Rozah Daron Ke Liye ♥......✦

Narrated Sahl bin Sa`d RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Paradise has eight gates, and one of them is called Ar-Raiyan through which none will enter but those who observe fasting."

[Sahih Bukhari :: Vol. 4 :: Book 54 :: Hadith 479, 3257]

Urdu Translation: Hazrat Sahl bin Sa`d RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jannat ke 8 Darwaze hain Jin mein se Aik Darwaze ka Naam "Rayyan" hai, is darwaze se sirf Rozah daar hi dakhil honge."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 4 :: Hadith 3257]

✦.......► Roze ki Halat Mein Muhtat (Ehtiyat) Wudu ◄.......✦

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Perform Wudu well, and go between the fingers, and perform Istinshaq (water sniffed up in the nose) extensively except when fasting."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Book 3 :: Hadith 788]

Urdu Translation: Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Wuzu ko Acchi tarah se karo aur Ungliyon ka khilal karo aur Naak mein bhi Acchi tarah se pani dalo Han magar jab tum Roze ki Halat mein ho (to phir naak mein pani dalte hue Ehtiyat karo)."

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Hadith 766]

✦.........♥ Iftari ke Baad Masnoon Dua ♥.........✦

Narrated Ibn Umar RadiyAllahu Anhu: That the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said when he broke his fast:

" ذَهَبَ الظَّمَأُ وَابْتَلَّتِ الْعُرُوقُ وَثَبَتَ الأَجْرُ إِنْ شَاءَ اللَّهُ "
Dhahab-aẓ-ẓama’u, Wabtallat-il-‛urooqu, Wa thabat-al-Ajru In shaa’ Allaah

Thirst has gone, the arteries are moist, and the reward is sure, if Allah wills.” [Sunan Abi Dawud :: Book 13 :: Hadith 2350, 2357]

●══════════════════◄►═════════════════●

Urdu Translation: Hazrat Ibn Umar RadiyAllahu Anhuma Farmate hain ke Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Jab Iftari Tanawul Farmalete to ye Dua Padhte:

" ذَهَبَ الظَّمَأُ وَابْتَلَّتِ الْعُرُوقُ وَثَبَتَ الأَجْرُ إِنْ شَاءَ اللَّهُ "
Dhahab-aẓ-ẓama’u, Wabtallat-il-‛urooqu, Wa thabat-al-Ajru In shaa’ Allaah

“Pyaas bujh Gayi aur Ragen tar Hogayin aur Allah ke Hukum se Ajr Sabit ho gaya.” [Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 2 :: Hadith 585]

✦....♥ Iftari ke Waqt Jahannam se Chutkare ka Parwana ♥....✦

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: “At every breaking of the fast Allah has people whom He frees (from the Fire), and that happens every night.”

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 7 :: Hadith 1643]

Urdu Translation: Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Allah Rabbul Izzat ke han Har Iftar ke waqt Logon ki aik ta’dad (Jahannam se) Aazad ki jati hai, aur Aisa (Ramadan Al-Mubarak ki) Har Raat ko hota hai.”

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Hadith 1643]

●◗► Ya Allah! Hamen bhi Iftari ke Waqt Jahannam se Chutkara Naseeb Farmade. (Aameen)

✦.......► Khudara! Ramadan Aise Na Guzare ◄.......✦

Kyun ke Hazrat Jibraeel Alaihis Salam ne Allah ke Hukum se in Alfaz mein Bad’dua Farmayi: ► "Halak o Barbad ho Jaye wo Shaks jis ne Ramadan ka Mahina paya aur us ki Maghfirat na ho saki." aur is Bad’dua par RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne "AAMEEN" Farmaya.

Our Ramadan be not like this ► Because Jibraeel (Alaihis Salam) curse on those: "Woe to him who in spite of having been provided with he month of Ramadan fails to obtain Allah's forgiveness. And Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said AAMEEN'.

[Mustadrak Al Hakim :: Hadith 7256, Narrated by Ibn Hibbaan, 3/188; classed as saheeh by al-Shaykh al-Albaani in Saheeh al-Targheeb, 1679]

✦.......♥ Ramadan aur Eid ka Chand ♥.......✦

Narrated Abu Huraira: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) or Abul-Qasim said, "Start fasting on seeing the crescent (of Ramadan), and give up fasting on seeing the crescent (of Shawwal), and if the sky is overcast (and you cannot see it), complete thirty days of Sha'ban."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 3 :: Book 31 :: Hadith 133, 1909]

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Chand dekh kar Roze shuru karo aur Chand dekh kar hi Roze khatam karo (Yani Eid Ul-Fitr Manao) Aur Agar badal chaye hue hon (Aur badalon ki wajah se chand nazar na Aaye) to Sha’ban ke 30 Din pure karlo.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Hadith 1909]

✦..........♥ 2 Thandi Namazen ♥..........✦

Narrated Abi Musa RadiyAllahu Anhu: "Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, 'Whoever prays the two cool prayers (`Asr and Fajr) will go to Paradise.'"

[Sahih Bukhari :: Vol. 1 :: Book 10 :: Hadith 548]

Urdu Translation: Hazrat Abu Musa RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jo Shaks 2 Thandi Namazen (Fajr aur Asr pabandi se) Padhe wo Jannat mein Dakhil hoga."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 1 :: Hadith 574]

✦.......► Mukhtasar o Pur Asar Waqi’ah ◄.......✦

●◗► Aik Shaks Raat ko ye Sochte hue Soya ke Subah Uth kar Gunahon se Taubah karlega, Magar wo Aisa soya ke Kabhi Jaag Na saka.

✦.......♥ Pait ke Amraz Mein Marne Wala ♥.......✦

"Sulaiman bin Surad Rahimahullah said to Khalid bin Urfutah RadiyAllahu Anhu - or, Khalid said to Sulaiman - 'Did you hear the Messenger of Allah saying: "Whoever is killed by his stomach then he will not be punished in the grave"?' One of them said to the other: "Yes."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Book 5 :: Hadith 1064]

Sulaiman bin Surad Rahimahullah ne Khalid bin Urtufah RadiyAllahu Anhu se Kaha ke kya Aap ne RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam se ye Hadees Suni hai ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Jo Pait ki Bimari ki Wajah se Mar gaya use Azabe Qabr Nahin hoga.”  Ye sun kar unhon ne kaha: Han, Main ne suni hai.

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Hadith 1053, 1064]

No comments:

Post a Comment