Pages

Thursday, 8 September 2016

✦......♥ Baroz Peer 12-09-2016, Arafah ka Rozah ♥......✦

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: “Fasting on the Day of ‘Arafah, I hope from Allah, expiates for the sins of the year before and the year after.”

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 7 :: Hadith 1730]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Mujhe Allah Ta’ala ki Zaat par Pokhta Yaqeen hai ke Allah Subhanahu Wa Ta'ala Youm Arafah (9 Dhul Hijjah) ke Roze ke badle Guzishta Saal aur Aayindah saal ke Gunah Muaaf farma dega.”

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Hadith 1730]

●◗► Tamam Musalman Rozah Rakh kar Ummat Muslimah ke liye Khususi Duaon ka Ehtemam Karen.

✦.....► Shaitan ko Kankariyan Marna ◄.....✦
► Batil Taqaton se Izhare Nafrat ki Alamat ◄

●◗► “Rami” darasal aik Yaad gaar Ibadat hai Jise Shaitani aur Batil taqaton se Izharen Nafrat ke liye is Ummat mein baqi Rakha gaya hai, is Ibadat ke piche aik Yaad gaar Waqiya hai, Jis ka zikr Quran o Hadees mein Maujood hai, Aik Hadees mein Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Anhuma Farmate hain ke Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya:

“Jab Hazrat Ibraheem Alaihis Salam Hukm Ilahi (bete ki qurbani) ki Tameel ke liye chale to Shaitan Jamrah Aqabah ke nazdeek un ke samne Aaya, to unhon ne use Sath (7) kankariyan marin, Yahan tak ke wo Zameen mein dhas gaya.

Phir dusre Jamrah ke paas Shaitan un ke samne Aaya to unhon ne Dobara use Sath kankariyan marin, Yahan tak ke wo Zameen mein dhas gaya.

Phir Teesre Jamrah ke paas Shaitan samne Aaya to unhon ne (Teesri martaba) use Sath Kankariyan marin, Yahan tak ke wo Zameen mein Ja dhasa.

Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Anhuma ne Farmaya ke Shaitan ko Patthar Marne ki karwayi Darasal Hazrat Ibraheem Alaihis Salam ki Itteba hai.

[Al-Mustadrak alaa al-Sahihain Al-Hakim : 1713]

●══════════════════◄►═════════════════●

Al Bayhaqy reported in his Sunan on the authority of Ibn `Abbas (may Allah be pleased with him) who said: "When Abraham started the rites, Satan came to him at Jamratul-`Aqabah, then he threw him with seven pebbles until he sank into the earth. Then he blocked his way at the second Jamrah, and he threw him with seven pebbles until he sank into earth. Then he blocked his way at the third Jamrah, then he threw him with seven pebbles until he sank into earth."

Ibn `Abbas RadiyAllahu Anhu said: "You stone Satan, and follow the religion of your father (Abraham)."

[Reported by Al Hakim in Al Mustadrak, and graded it as authentic, and said: According to the conditions set by Al Bukhari and Muslim without mentioning it in their books of authentic Hadiths] Sunan Al Bayhaqy (5/153).Al Mustadrak (1/466).[Al-Mustadrak alaa al-Sahihain Al-Hakim : 1713]

✦.........♥ Allah ke Khususi Mehman! ♥.........✦

"The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: 'The guests of Allah, the Mighty and Sublime, are three:

❶ The warrior,
❷ The pilgrim performing Hajj, and
❸ The pilgrim performing 'Umrah.'"

[Sunan an-Nasa’I :: Vol. 1 :: Book 25 :: Hadith 3123, 3121]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “3 Shaks Allah ke Khususi Mehman Hain!

❶ Raahe Khuda Mein Jihad karne Wala
❷ Hajj Karne Wala aur
❸ Umrah Karne Wala.”

[Urdu Ref :: Sunan an-Nasa’i :: Vol. 2 :: Hadith 1033, 3121]

●◗► Aap apni Zindagi se Mutma’in Nahin, Jab ke Hazaron aur Lakhon log aise hain jin ke Nazdeek Aap jaisi Zindagi aik Haseen Khuab hai.

Lehaza Hamesha Apne se Niche walon ki Taraf dekhen, Aap ka Dil Shukr Guzari pe Majboor Hoga ♥

✦.....► Qurbani ke Janwar ko Kayi Martaba Na Maren ◄.....✦

Urdu Translation: Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ka Guzar Aik aise Shaks ke Paas se hua jo Bakri Zabah karne ke liye use Lita kar, Us ki gardan pe Paon Rakhe churi tez kar Raha tha aur Bakri ye sara Manzar dekh rahi thi,

Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne (Narazgi ka izhar Farmate hue) us shaks se Irshad Farmaya: “Tum is Bakri ko kayi Martaba Marna chahte ho? Ise Litane se Pehle tum ne Churi kyun Tez na karli?”.  

[Al-Mustadrak alaa Al-Sahihain Al-Hakim :: 7563]

✦..♥ Ashrah Dhul Hijjah, Adheem Ashrah ke Adheem Aa'mal ♥..✦

Narrated Abdullaah ibn Umar RadiyAllahu Anhu: The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "There are no days greater in the sight of Allaah and in which righteous deeds are more beloved to Him than these ten days (i.e., the first ten days of Dhul-Hijjah) so during this time recite a great deal of Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (AllahuAkbar) and Tahmeed (Alhamdulillah)."

[Musnad Ahmad :: Hadith 5446] [Sahih Bukhari :: Vol. 2 :: Book 15 :: Hadith 86]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Umar RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: "Dhul Hijjah ke Dus (10) dinon se badh kar koi Din Aisa nahin Jis mein Naik Aml Allah ke Nazdeek zyadah Mahboob aur Azeem-ul-Martabat ho, Lihaza in 10 Dino mein Tahleel (La ilaha illAllah) Takbeer (AllahuAkbar) aur Tahmeed (Alhamdulillah) kasrat se padha karo."

[Musnad Ahmad :: Hadith 6154] [Sahih Bukhari :: Hadith 969]

✦...♥ Sahibe Isteta’at Naujawan, Nikah Mein Hargiz Takheer na Karen ♥...✦

Abdullah (b. Mas'ud) (Allah be pleased with him) reported that Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said to us: "O young men, those among you who can support a wife should marry, for it restrains eyes (from casting evil glances) and preserves one from immorality; but he who cannot afford It should observe fast for it is a means of controlling the sexual desire."

[Sahih Muslim :: Book 8 :: Hadith 3233, 3466]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Mas'ud RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Naujawanon ko Mukhatab kar ke Irshad farmaya: "Aye Naujawanon ki Jama’at! Tum mein se jo Nikah ki isteta’at rakhta ho wo zaroor Nikah karle kyun ke Nikah Nazron ko nichi Rakhne aur Sharmgahon ki hifazat karne mein zyadah Madadgar hai, aur jo Nikah ki isteta’at na rakhta ho to wo Roze rakhe kyun ke Rozah us ki Jinsi khuahesh ko Qabo mein rakhega."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 4 :: Hadith 3400]

✦.......♥ Afu-o-Darguzar se Kaam Len! ♥.......✦

●◗► Kisi se Galti ho jayen to Inteqam na Len aur Naa hi Ta’an o Tashnee ka use Nishana banayen Balke use Utna hi Jaldi Muaaf karden Jitni Jaldi aap Apne Gunah aur Galatiyan Allah se Muaaf Karwana Chahte hain.

✦.....✔ Qurbani Karne Wale Baal o Nakhun na Tarashen ✔.....✦

Umm Salama RadiyAllahu Anha reported (these words) directly from Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam): "If anyone has in his possession a sacrificial animal to offer as a sacrifice (on 'Id al-Adha), he should not get his hair cut and nails trimmed after he has entered the first days of Dhu'l Hijja."

[Sahih Muslim :: Book 22 :: Hadith 4871, 5234]

Urdu Translation: Hazrat Umm Salamah RadiyAllahu Anha se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jab tum Maah Dhul Hijjah ka chand Dekh lo aur tum Mein se kisi ka Qurbani karne ka Iradah ho to use Chahiye ke wo (Janwar zabah karne tak) na Apne Jism ke baal kate aur Na hi Nakhun Tarashe."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 5 :: Hadith 5119]

●◗► 02-Sep-2016 Baroz Jumah ko 29 Dhul Qa’dah hai aur Magrib ke waqt Dhul Hijjah ka Chand nazar Aane ka imkaan hai, Lehaza wo tamam Ahbab jo Qurbani ka Iradah rakhte hon wo Jumah ke din Magrib se Pehle pehle apne Jism ke Gair zaruri baal aur Nakhun wagerah Tarashlen.


✦.► Unchi Aedi Wali Sandal ki Tak Tak Aur Pazeb ki Jhankaren ◄.✦

⇨ Allah Subhanahu Wa Ta'ala  Irshad Farmate hain: “Aur Musalman Aurton ko chahiye ke wo Apne paon zameen par is tarah na Maren ke unhon ne jo Zeenat chupa rakhi hai, wo Maloom ho jaye.” (Al-Quran: Surah Noor:31)

⇨ Allah Subhanahu Wa Ta'ala Commands Muslim Women : "And let them not stamp their feet so as to reveal what they hide of their adornment." (Al-Quran, Surah Noor:31)

✦.....♥ Naye Kapde Pahenne Wale ko Yun Dua Den! ♥.....✦

When any of the Companions of the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) put on a new garment, he was told: "May you wear it out and may Allah give you another in its place."

[Sunan Abi Dawud :: Book 33 :: Hadith 4009, 4020]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ke Ashab mein se Jab koi Naya kapda Zebe tan karta to use Yun Dua di Jati:
“Allah kare tum ise khoob (istemal kar ke) Purana karo aur is ke baad Allah tumhen aur bhi Inayat Farmaye.”

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 620]

✦.....♥ Neki Par Khushi aur Gunah Par Astaghfar ♥.....✦

It was Narrated from 'Aishah RadiyAllahu Anha that The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) used to say: "Allahum-maj'alni minal-ladhina idha ahsanu istabsharu, wa idha asa'u istaghfaru (O Allah, make me one of those who, if they do good deeds, they rejoice, and if they do bad deeds, they seek forgiveness)."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 5 :: Book 33 :: Hadith 3820]

Urdu Translation: Hazrat Aishah RadiyAllahu Anha Farmati hain ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ye Dua Farmate the: “Aye Allah Mujhe un Logon mein Bana de jo Neki Karen to khush hon aur Gunah ho jaye to Astaghfar Karen.”

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Hadith 701, 3820]

No comments:

Post a Comment