Pages

Wednesday, 1 February 2017

✦.....:( Aye Bint-e-Hawwa Sambhal Khud Ko :(.....✦

Aye Bint-e-Hawwa sambhal khud ko, Ye Ibn-e-Adam hawas ko chahat ka Naam dekar, Pyaas apni bujha Raha hai, ye Tera daman jala raha hai, Magar tu paikar wafa bani hai, Wafa hi Teri khata bani hai, Tu kitni sada Tu kitni pagal, Tu kis ki baton mein Aarahi hai...? Moqam apna Ganwa rahi hai.

Ye Chahaton ka Fareb dekar, Tumhare Jazbon se khelte hain, Apni khuahesh Mitane tak ye Tumhari Chahat ko Jhelte hain, Magar ye apni Hawas mita kar Tumhen bhula kar, Shikaar Agla talash te hain, Aye Bint-e-Hawwa Sambhal khud ko. :(

✦.....♥ Masajid ki Tameer Mein Hissa Milane Wale! ♥......✦

RasoolAllah ﷺ ka Irshad hai: “Allah Rabbul izzat Qayamat ke din Pukarenge: Mere Padosi kahan hain? Mere Padosi kahan hain?

Farishte kahenge: Aye Hamare Rab! Aap ka Padosi Hona kis ko Zeb deta hai? Allah Subhanahu Wa Ta'ala Irshad Farmayenge: “Masjidon ko Tameer karne aur Aa’mal se Aabad karne wale kahan hain?.”

[Jami` al-Saghir Jalal al-Din al-Suyuti :: 2788]

____________________________
قال رسول الله صلى الله عليه و سلم إن الله ينادى يوم القيامة أين جيرانى أين جيرانى فتقول الملائكة ربنا من ينبغى له أن يجاورك فيقول أين عُمَّارُ المساجد
(الجامع الکبیر لجلال الدین السیوطی: 2788،حدیث صحیح )


✦...✔ Gair Muslimon ka Irshadate RasoolAllah ﷺ Pe Aml! ✔...✦

RasoolAllah ﷺ Hazrat Sa’d     ke Paas se Guzre, wo Wuzu kar Rahe the, Aap ﷺ ne Irshad Farmaya: “Ye kaisa Israf (Fuzool kharchi) hai? Unhon ne kaha: Kya wuzu mein bhi Israf hota hai? Aap ﷺ ne Irshad Farmaya:  “Han (israf hai) Chahe Tum Behti Naher ke kinare hi Kyun na Baithe ho.”

The Messenger of Allah passed by Sa'd when he was performing ablution, and he said: 'What is this extravagance?' He said: 'Can there be any extravagance in ablution?' He said: 'Yes, even if you are on the bank of a flowing river.'"

[Musnad Imam Ahmad bin Hambal: 7065]

●◗► Pani ka Ziya Rokne ke liye Australian Company ne Pani ki Botalon par Bayina unhin Alfaz Par Mushtamil Tag Lagaya hua hai jo 1400 saal Qabl Sarkare do Aalam ﷺ ne Insaniyat ko Talqeen Farmaye the, kya hi Accha ho ke Musalman bhi Pyare Nabi ﷺ  ke Irshadat pe Aml paira Hon.


✦......► Jadu, Asaib aur Shaitani Asrat se Hifazat ◄......✦

Abu Umama RadiyAllahu Anhu said he heard Allah's Messenger (ﷺ) say: Recite Surah al-Baqara, for to take recourse to it is a blessing and to give it up is a cause of grief, and the magicians cannot confront it.

[Sahih Muslim :: Book 4 :: Hadith 1757, 804]

Urdu Translation: Hazrat Abu Umama Baheli RadiyAllahu Anhu se Riwayat  hai ke Rasool Akram ﷺ ne Irshad Farmaya:  “Surah Baqarah Padha karo, Kyun ke is ka Padhna Ba’ise Barkat hai aur na Padhna Ba’ise Hasrat hai, Jadu gar is (ke tod) ki Taqat nahin Rakhte (Yani jo Shaks Surah Al-Baqarah padh kar apne Aap ko Mahfooz banale, Jadu garon ka Jadu us pe Asar andaz Nahin ho sakta).”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 2 :: Hadith 1874, 1910]


✦.....:'( Dost, Ahbab aur Rishtedaron se iltemas! :'(.....✦

Aap Hazraat mein se kisi ke Haq mein bhi koi kotahi Mujh se Sarzad hui ho, Koi be Adabi hogayi ho ya Main kabhi Aap ki Geebat ka Murtakib hua hon to Allah ki Raza ke liye Mujhe Muaaf karde, Mujh par Aap ka ye Bahot bada Ehsan hoga, Aur agar Badla lena Chahen ya kisi Haq ka Mutalba karna Chahen to bhi main Tayyar hun.

●◗► Meri is Dardmandana Guzarish ka Agar Tahreeri Shakal mein Jawab Inayat Farmade (Chahe wo sirf OK hi ho) to Mere liye Qalbi Taskeen ka Ba’is hoga.

✦.......♥ Tarbiyate Aulad ka Bunyadi Usool ♥.......✦

●◗► “Tum apne Bacchon ko Allah Ta’ala ke Huqooq Ada karna Sikhao, Allah Subhanahu Wa Ta'ala Khud hi Tumhare Bacchon ko Waldain ke Huqooq ada karna Sikha denge.”


✦........♥ Joota Pehenne ke Aadab! ♥........✦

Allah's Messenger (ﷺ) said, "If you want to put on your shoes, put on the right shoe first; and if you want to take them off, take the left one first. Let the right shoe be the first to be put on and the last to be taken off."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 7 :: Book 72 :: Hadith 747, 5855]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya:  “Jab tum mein se koi Shaks Juta pehne to Dayen taraf se Ibteda kare aur Jab utare to Bayen taraf se Utare taa ke Dahini Janib Pehenne mein Awwal ho aur Utarne mein Aakhir ho.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Hadith 5855]

●◗► Sirf Joota hi Nahin balke Pehenne ki har Cheez Dayen Janib (Right Side) Pehenna aur Utarte waqt Bayen Janib (Left Side) se Utarna Mustahab hai.Joota Pehenne ke Aadab!


✦....♥ Ma’zirat aur Muaf karne ki Aadat Daliye ♥....✦

●◗► Aye Allah! Agar main ne kisi ka Dil dukhaya ho ya kisi ko Takleef Pohchayi ho to Mujhe Akhlaqi Jur’at aur Hosla de ke Main us se Ma’zirat kar Sakun, Aur agar kisi ne Mujhe Takleef ya dukh Pohchaya ho to Mujhe Toufeeq de ke main use Muaaf kar Sakun. (Aameen)

✦....► Musalman ki Aabrurezi (Be’izzati) ka Jurm ◄....✦

The Prophet (ﷺ) said: "The most prevalent kind of usury is going to lengths in talking unjustly against a Muslim's honour."

[Sunan Abi Dawud :: Book 42 :: Hadith 4858, 4876]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Bila Shuba sab se Bade Sood mein se Ye bhi hai ke Kisi Musalman ki Izzat o Aabru ko Na haq Bigadne ke Liye Zuban darazi ki Jaye.”

[Urdu Ref :: Sunan Abi Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 1448, 4878]


✦......► Nazre Bad Jaan Lewa Bhi Ho Sakti Hai! ◄......✦

RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Meri Ummat mein sab se Zyadah log Allah Ta’ala ke Faisle aur Taqdeer ke baad Nazre bad Lagne ki waja se Marenge.” [Jami` al-Saghir al-Suyuti: 1385]

● Nazre bad ke Asrat barhaq hain, Lehaza jab koi Umdah Cheez, Kisi ki Khubi Ya kamal dekhen to Foran 'MashaAllah La quwwata illa billah' Padhen.

● Isi Tarah Nazre bad se Hifazat ke liye Subah o Sham ki Masnoon Duaon ka Ehtemam Karen Bil khusus is Dua ka Ehtemam Farmayen: A'oodhu bikalimatIllahi-tammati min kulli shaytaanin wa hammatin wamin kulli 'aynin lammatin. (Tarjuma: Main Allah ke Mukammal kalimat ke sath Panah mangta hun har Shaitan, Mauzi Janwar aur Nazare bad se).

● Nazre bad ke Ilaj ke liye Surah Al-Falaq aur Surah An-Nas ke sath Surah Al-Qalam ki Aakhri do Aayat
51 وَإِن يَكَادُ الَّذِينَ كَفَرُوا لَيُزْلِقُونَكَ بِأَبْصَارِهِمْ لَمَّا سَمِعُوا الذِّكْرَ وَيَقُولُونَ إِنَّهُ لَمَجْنُونٌ
52 وَمَا هُوَ إِلَّا ذِكْرٌ لِّلْعَالَمِينَ
Padh kar dum karna Nihayat Mujrrab hai.

●◗► Bade Bade Super Store se Khareedari ke Bajaye aise logon se Zaroor khareedari Karen, Kyun ke is Umr mein log Ameeri aur Maaldari ke liye Nahin balke Daste sawal daraz karne se Bachne aur Biwi Bacchon ke liye do Waqt ki Roti hasil karne ke liye kamate hain.

No comments:

Post a Comment