Pages

Tuesday, 21 February 2017

✦.......♥ Halal Piyo Aur Haram Chhod Do! ♥.......✦

●◗► Kuch Arsa Qabl tak Turkey ka Shumar un Chand Mumalik mein hota tha Jahan Liberalism ke Khushnuma Label ke piche Jism Faroshi, Be hayayi aur Sharab o Kabab Aam thi, Lekin Allah ke Fazl o Karam aur Mukhlis logon ki Taweel Jiddo jahed ke Natije mein Aaj Fiza Tezi se Tabdeel ho rahi hai, Turkey ke Sadar Janab Tayyib Erdogan Sahab ne Tadrijan (Gradually) Haram chizen Chudwane ka ye Tariqa Ekthiyar kiya ke Sab se pehle Qanoon sazi ki ke Masjid, Ibadat gaah, School, College, University’s ke Ird Gird 100mtr ke Raqbe mein Sharab Bechna mana hai, Phir Train aur Railway Stations par Sharab Noshi ko Mamnoo qarar diya…Phir Sharab par Taxes badha kar us ki Khareed o Farokht ko Mushkil bana diya..Aur Ab Lassi ko Farog dene ki Muhim shuru kar Rakhi hai, Lassi ko Turkey mein Ayran kaha jata hai aur Sardi Garmi har Mosam mein ise Piya jata hai, Tayyib Erdogan Sahab Awami Jalson mein Lassi peekar ye Paigham de rahe hain ke “Halal Piyo aur Haram ko Chhod do.”!

✦.......♥ Insaniyat Aaj bhi Zindah Hai! ♥.......✦

Aik Bhai ne Gadi ke Tire ke Niche Kutta dekha aur Gadi ke Malik ko Moqe par na Pate hue Ehtiyatan aik Parcha likh kar Gadi ke Shishe par Laga diya.

●◗► Parcha Par Likha hua! Ehtiyat Kijiye! Aap ke Gadi ke Niche Kutta so Raha hai, Gadi Rawana karne se Pehle use Gadi ke Niche se hata den, Shukriya.

✦....♥ Umdah Andaz Mein Qarza Wapas Karen! ♥....✦

The Prophet (ﷺ) said, "The best amongst you is the one who pays the rights of others generously."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 3 :: Book 38 :: Hadith 501, 2305]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Tum mein Behtareen log wo hain jo Qarze ko Acche Andaz mein Ada Kar dete hain.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Hadith 2305]

❤ Agar Mohabbat kisi Haseen o Jameel Chehre se hi Karni hai To Yaqeen Maniye ke Huzoor Paak ﷺ se Badh kar Khoobsurat Chehra kis Ka Nahin ❤

👉🏻 Suna hai Hashr Mein koi kisi Ka Nahin hoga, Magar ye Silsilah to Abhi se Urooj par Hai.

✦..........♥ Khush Haali ka Formula! ♥..........✦

●◗► Gair Shadi shudah log Shadi ke Khayalon mein Magan hain Jab ke Shadi shudah log Ladakpan aur Be fikri ki Zindagi ko Taras rahe hain... Bacchon ko bade hone ki Jaldi hai aur Badon ko Bachpan mein Lotne ki Aarzu... Nokri karne wale kaam ki Sakhtiyon se Nalan hain aur Bekaron ke labon par Kaam milne ki Duayen...

Garibon ko Ameeron ki zindagi ki Hasrat hai Jab ke Ameeron ko Garibon ki Tarah Aik lamha Aaram ki Tamanna, Mashhoor Afrad chupne ke liye Thikane ki talash mein hain Jab ke Aam log Mashhoor banne ke khayal mein, Kisi ko Nahin maloom ke Khush haali kya hai? Bade Budhon ka kehna hai ke Khush haali ka Wahid Formula bus yahi hai ke ► “Jo Nematen Mili hain un ki Qadar ki Jaye aur Hamesha Khush Raha Jaye.”

Nabi kareem ﷺ ne Irshad Farmaya: "Jo shaks Jumah ke din Surah Kahf ki Tilawat kare, To us ke liye is Jumah aur Agle Jumah ke darmiyan Noor Jagmagata Rahega."

[Mustadrak Al-Hakim: 3392]

👉🏻 Ham Nafraton ke itne Aadi ho Gaye Hain ke Mohabbat Baatne wale ko bhi Shak ki Nigah se Dekhte Hain.

✦......♥ Bure Sulook ka Husne Sulook Se Jawab! ♥......✦

Allah's Messenger ﷺ, I have relatives with whom I try, to have close relationship, but they sever (this relation). I treat them well, but they treat me ill. I am sweet to them but they are harsh towards me. Upon this he (the Holy Prophet) ﷺ said:

If it is so as you say, then you in fact throw hot ashes (upon their faces) and there would always remain with you on behalf of Allah (an Angel to support you) who would keep you dominant over them so long as you adhere to this (path of righteousness)."

[Sahih Muslim :: Book 32 :: Hadith 6204]

●═══════════════◄►══════════════●

Urdu Translation: Aik Shaks ne kaha: Ya  RasoolAllah ﷺ! Mere baaz Rishtedar Aise hain ke Main un se Talluq Jodta hun Lekin wo Mujh se Talluq tod te hain, Main un ke sath Neki karta hun Lekin wo mere Sath Burayi karte hain, Main un ke sath Tahammul o Burdbari se Pesh Aata hun lekin wo Mere sath Jihalat Aamez sulook karte hain.

Aap ﷺ ne Irshad Farmaya: “Agar to tum Waisa hi Karte ho Jaisa keh Rahe to Goya ke tum un Logon ko Garam Ret khila rahe ho (Yani tumhare Husne Sulook ke Jawab mein un ki Bad sulooki un ke liye Wabal ban jayegi) Aur Jab tak tum isi Tarah karte rahoge, Allah ki Taraf se Tumhare liye un Logon ke Shar se Bachao ke liye Aik Madad gaar (Farsihta) Muqarrar rahega.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 6 :: Hadith 6525, 6689]

✦.....♥ Har Aik ke Samne khud ko Be Naqab na karo ♥.....✦

●◗► Aik Naujawan Aik jaga Apne Rishte ke liye Ladki par Shar’yi Nazar dalne ke liye Gaya, Ladka baithak mein Ladki ke baap ke sath Baitha tha ke Niqab Pehne hue aik Parde daar Ladki Andar aayi, Lamhe bhar ke liye Ladke ko Baghor dekha aur kuch kahe Bagair wapas Chali gayi, Naujawan ne Ladki ke Baap se Shikwah karte hue kaha: Us ne to Niqab nahin Hataya aur na hi Main ne dekha hai, Ladki ke Baap ne kaha: ●◗► Bete! “Us ne mujhe kaha tha ke Agar mujhe Ladka Pasand na Aaya to Main ne Niqab nahin Utarna, Naujawan Samajhta tha Shari’at ne ye Ria’yat bus Usi ke liye Rakh chodi hai.”

"Ungliyan hi Nibha Rahi hain Rishton ko Aaj kal, Zuban ko ab Nibhane Mein Bahot Takleef hoti hai."

✦......♥ Masayel Mein Ghiri Zindagi Ka Raaz! ♥......✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: "Trials will not cease afflicting the believing man and the believing woman in their self, children, and wealth, until they meet Allah without having any sin."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 10 :: Hadith 2399]

Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ ne Irshad Farmaya: “Momin Mard o Aurat par Aazmayeshen (aur Musibaten) aati Rehti hain, Kabhi us ki Zaat par, To kabhi Aulad par aur Kabhi Maal par (Aur har Aazmayesh par Sabr ke Natije us ke Gunah dhulte Rehte hain), Yahan tak ke Jab wo (mar kar) Allah Ta’ala se Mulaqat karta hai to Gunahon se Bilkul Saaf ho jata hai.”

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 285, 2399]

✦.....♥ Musalman Valentine Day Nahin Manata! ♥.....✦

●◗► Alhamdulillah! Main Musalman hun aur Main be Hayayi ka Aalami din Valentine Day Nahin Manata, Kyun ke ye Kafiron aur Fasiqon ka Tariqa hai aur Hamare Pyare Nabi ﷺ ne Irshad Farmaya:

“Jo Shaks Jis Qaum ki Mushabihat Ekhtiyar kare wo Unhi Mein se Hai.” (Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: 630, 4033)

The Prophet (ﷺ) said: "He who copies any people is one of them." (Sunan Abi Dawud 4031)

✦...► Valentine Day, Be Hayayi ke Aalami Din se Mazirat! ◄...✦

It was Narrated from Anas RadiyAllahu Anhu that the Messenger of Allah (ﷺ) said: “Every religion has its distinct characteristic, and the distinct characteristic of Islam is modesty.”

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 5 :: Book 37 :: Hadith 4181]

Urdu Translation:Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Beshak har Deen ki koi khaas Khaslat (Fitrat, Mizaj ya Pehchan) hoti hai aur Islam ki wo khaas Khaslat “Haya” hai.”

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Hadith 1062]

♥ Jis Deen ki Pehchan hi Haya ho us mein Be Hayahi ki Gunajayesh Nahin ♥

❤ Dil Par na Lon un ki Baaten Jo Dil Mein Rehte Hain ❤

No comments:

Post a Comment