Pages

Monday, 12 June 2017

✦........♥ Khajoor Ya Pani se Iftaar ♥........✦

The Prophet ﷺ said: "When one of you breaks his fast, then let him do so with dried dates. And whoever does not find dates, then water, for it is purifying."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2, Book 3, Hadith 695 , 695]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Jab tum mein se koi Shaks Rozah Iftar kare to use Chahiye ke Wo Khajoor se Iftar kare kyun ke Khajoor Ba’ise Barkat hai, Aur Agar koi Shaks khajoor Na paye to Pani se Iftar kare kyun ke Pani Paak karne Wala hai.”

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 672, 695]

●◗► Khuda Se Kya Mohabbat Karega Nafrat Jise Insan Se Ho....!!

✦........♥ Ahlekhana ke Sath Narmi ka Muamla ♥........✦

Narrated 'Aishah RadiyAllahu Anha: That the Messenger of Allah (ﷺ) said: "Indeed among the believers with the most complete faith is the one who is the best in conduct, and the most kind to his family."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 5 :: Book 38 :: Hadith 2612]

Urdu Translation: Hazrat Aishah RadiyAllahu Anha se Riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Iman Mein kamil Tareen Momin wo hai Jis ke Akhlaq Sab se Acche hon aur Jo Apne Ghar Walon ke Sath Bartaon mein Sab se Zyadah Narm ho.”

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 506, 2612]

●◗► Insan ne Kaha: “Main Thak Chuka Hun!” Jawab Aaya: ⇨ “Allah ki Rehmat se Mayoos na Hona.” (Al-Qur’an, Az-Zumar: 53)

✦...► Aik Tarfa Baat Sunkar Kabhi Raye Qayem na Karen ◄...✦

Imam Sha'bi (Rahimahullah) Farmate hain ke main Qazi Shureh (Rahimahullah) ke paas baitha hua tha, Aik Aurat Apne Khawind ke khilaaf Shikayat lekar Aayi, Jab Adalat mein Hazir hui to Apna bayan dete waqt Zaaro Qataar Rona shuru kar diya, Mujh par us ki Aah o Baka par bahot Asar hua Main ne..

Qazi Shureh se kaha, Is Aurat ke Rone se zaahir Hota hai ke ye Yaqeenan “Mazloom aur Bekas hai is Aurat ki Faryad rasi Zaroor karni Chahiye, Meri Baat sunkar Qazi Shureh (Rahmatullahi Alaih) bole.

Aye Sha’bi! Hazrat Yusuf Alaihis Salam ke Bhaiyyon ne bhi unhe Kunwe mein dalne ke Baad apne Baap ke paas Rote hue hi Aaye the.

●◗► Matlab ye hai ke Aik Tarfa baat Sunkar kabhi Raye Qayem na karen, Dono Taraf ki baat Sunkar aur khoob Halaat Ma’loom kar ke phir Faisla karna Chahiye.

●◗►  Jab log Raste Alag Karne ke Faisle Kar Lete hain to Sab Se Pehle Wo Raabte kam kar Dete Hain.

✦........♥ Dil Jeetne ka Nuskha ♥........✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: “You (people) cannot satisfy people with your wealth, but satisfy them with your cheerful faces and good morals.”

Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ ne Irshad Farmaya: “Yaqeenan tum Maal o Daulat ke Zariye Logon ke Dil Nahin Jeet sakte, Albatta Tumhare Umdah Akhlaq aur Mulaqat ke Waqt Khandah Peshani se Milna logon ke Dil Jeet sakta hai.

[Al-Mustadrak alaa Al-Sahihain Al-Hakim : 427]

❤️ Zaroori Nahin ke Roshniyan Charaghon Se hi Hon, Betiyan bhi Ghar Mein Ujala Karti Hain ❤️

💖 Sakht Hathon Se Bhi Chhoot Jati Hain Ungliyan, Rishte Zor Se Nahin Tameez Se Thame Jate Hain 💖

✦.........♥ Iftari ke Baad Masnoon Dua ♥.........✦

Narrated Ibn Umar RadiyAllahu Anhu: That the Prophet (ﷺ) said when he broke his fast:

" ذَهَبَ الظَّمَأُ وَابْتَلَّتِ الْعُرُوقُ وَثَبَتَ الأَجْرُ إِنْ شَاءَ اللَّهُ "
Dhahab-aẓ-ẓama’u, Wabtallat-il-‛urooqu, Wa thabat-al-Ajru In shaa’ Allaah

Thirst has gone, the arteries are moist, and the reward is sure, if Allah wills.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 13 :: Hadith 2350, 2357]

●══════════════════◄►═════════════════●

Urdu Translation: Hazrat Ibn Umar RadiyAllahu Anhuma Farmate hain ke Nabi Kareem ﷺ Jab Iftari Tanawul Farmalete to ye Dua Padhte:

" ذَهَبَ الظَّمَأُ وَابْتَلَّتِ الْعُرُوقُ وَثَبَتَ الأَجْرُ إِنْ شَاءَ اللَّهُ "
Dhahab-aẓ-ẓama’u, Wabtallat-il-‛urooqu, Wa thabat-al-Ajru In shaa’ Allaah

“Pyaas bujh Gayi aur Ragen tar Hogayin aur Allah ke Hukum se Ajr Sabit ho Gaya.”

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 2 :: Hadith 585, 2359]

●◗► Allah Ta'ala ke Baad Maa ko Razi Karna Dunya ke Aasan aur Pur Sukoon Tareen Aa’mal mein Sab Se Awwal Darje ka Aml hai ♥


●◗► Sanson ki Mohlat kab toot Jaye Maloom Nahin, Dard koi Mila ho Meri Zaat se to Muaaf kardena.

✦...♥  Na Tamam Baccha Bhi Maa Ko Jannat Le Jayega! ♥....✦

Allah's Messenger (ﷺ) said: “By the One in Whose Hand is my soul! The miscarried fetus will drag his mother by his umbilical cord to Paradise, if she (was patient and) sought reward (for her loss).”

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 6 :: Hadith 1609]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Qasam hai us Zaat ki Jis ke Qabze mein Meri jaan hai, Bila Shuba Maa ke Pait mein Zaye hone wala Natamam Baccha bhi Apni Maa ko apni Naaf ki Naali ke zariye Kheench kar Jannat ki Taraf le jayega, Bashart ye ke wo Maa Apna Baccha zaye Hone par Sabr kare aur Sawab ki Ummid Rakhe.”

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Hadith 1609]

✦.....✔ Jumah ke Din Surah Al-Kahf ki Tilawat ✔.....✦
✦.....✿......♥ Haftah Bhar Noor hi Noor ♥.....✿......✦

The Messenger of Allah ﷺ Said: "Whoever reads Surat Al-Kahf on the day of Jumu’ah, will have a light that will shine from him from one Friday to the next."

Urdu Translation: Hazrat Abu Sayeed Al-Khudri RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: "Jo shaks Jumah ke din Surah Al-Kahf ki Tilawat kare to us ke liye is Jumah aur Agle Jumah ke Darmiyan Noor Jagmagata Rahega."

[Urdu Ref :: Mustadrak Al-Hakim :: Hadith 3392] [Sunan Baihaqi :: Hadith 5856] [Al-Haakim :: 2/399, Al-Bayhaqi :: 3/249]

✦......► Roze Mein Bhool kar Khana Peena ◄.......✦

The Prophet (ﷺ) said: "If somebody eats something forgetfully while he is fasting, then he should complete his fast, for Allah has made him eat and drink."

[Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 78 :: Hadith 662, 6669]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: "Jo Shaks Rozah ki Halat mein Bhool kar khaye (piye) use Apna Rozah Mukammal Karna Chahiye, Kyun Ke Allah Subhanahu Wa Ta'ala ne hi use Khilaya aur Pilaya."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Hadith 6669]

No comments:

Post a Comment