Pages

Sunday, 1 October 2017

✦......♥ Ashura Ke Roze Ka Ehtemam! ♥......✦

Narrated Ibn `Abbas RadiyAllahu Anhu: I never saw the Prophet (ﷺ) seeking to fast on a day more (preferable to him) than this day, the day of 'Ashura', or this month, i.e. the month of Ramadan.

[Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Book 31 :: Hadith 224, 2006]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Abbas RadiyAllahu Anhuma Farmate hain ke Main ne Nahin dekha ke RasoolAllah ﷺ Dinon mein se Daswen Muharram (Yaume Ashura) aur Mahinon mein se Maahe Ramadan ke Rozon ke siwa kisi aur Din ke Roze ka khaas Tor par Ehtemam Farmate hon.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Hadith 2006]

🍀 Gile Shikwe Hamesha Apnon Se Hote Hain, Jab koi Gila ya Shikayat Karna Chhorde to Samajhlen ke Wo Aap se Bahot Door Ja Chuka hai 🍀

✦......♥ Yaume Ashura 10 Muharram Ka Rozah ♥......✦

RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Mujhe Allah ki Zaat Pe Yaqeen hai ke wo Yaume Ashura (10 Muharram Al-Haram) ke Roze ko Guzashta Saal ke Gunahon Ka Kaffarah Bana Dega.” (Sahih Muslim: 2803, 2746)

Baad Aza Jab RasoolAllah ﷺ ne Yaume Ashura ka Rozah Rakha aur Musalmanon ko bhi is ka Hukum diya to Sahaba ne Arz kiya ke Ya RasoolAllah! Yahood o Nasara bhi is Din ki Bahot Tazeem karte Hain, Aap ﷺ ne Irshad Farmaya: “Jab Agla saal Aayega to ham (Yahood o Nasara ki Mushabihat se Bachne ke Liye) In'sha'Allah Nawe (9) Tareekh ka Rozah bhi Rakhenge, Hazrat Ibn Abbas Farmate Hain ke Agla saal Aane se Pehle hi RasoolAllah ﷺ Dunya se Tashreef le Gaye. (Sahih Muslim: 2722, 2666)

●◗► Note: Yaume Ashura ke Roze ke sath 9 ya 11 Tareekh ka Rozah Rakhna Afzal aur Behtar hai, Lekin Agr kisi ne Sirf Ashura ka Rozah Rakha to bhi Harj Ki Baat Nahin, Neez Hadise Baala se ye bhi Pata Chala ke Musalmano ko Har Moqe par Yahood o Nasara ki Mushabihat se Bachna Chahiye.

●════════════════◄►═══════════════●

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "I seek from Allah that fasting on the day of Ashura may atone for the sins of the preceding year."

[Sahih Muslim :: Book 6 :: Hadith 2602, 1162]

Ibn 'Abbas RadiyAllahu Anhu reported that when the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) fasted on the day of 'Ashura and commanded that it should he observed as a fast, they (his Companions) said to him: Messenger of Allah, it is a day which the Jews and Christians hold in high esteem. Thereupon the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: When the next year comes, God willing, we would observe fast on the 9th But the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) died before the advent of the next year."

[Sahih Muslim :: Book 6 :: Hadith 2528, 1134]

✦.....♥ 9 aur 10 Muharramul Haram Ka Rozah ♥.....✦

Jab RasoolAllah ﷺ ne Yaume Ashura ka Rozah Rakha aur Musalmanon ko bhi is ka Hukum diya to Sahaba ne Arz kiya ke Ya RasoolAllah! Yahood o Nasara bhi is Din ki Bahot Tazeem karte Hain, Aap ﷺ ne Irshad Farmaya:   Jab Agla saal Aayega to ham (Yahood o Nasara ki Mushabihat se Bachne ke Liye) In'sha'Allah Nawe (9) Tareekh ka Rozah bhi Rakhenge, Hazrat Ibn Abbas Farmate Hain ke Agla saal Aane se Pehle hi RasoolAllah ﷺ Dunya se Tashreef le Gaye. [Sahih Muslim: 2722, 2666]

 ●◗► Note: Yaume Ashura ke Roze ke sath 9 ya 11 Tareekh ka Rozah Rakhna Afzal aur Behtar hai, Lekin Agr kisi ne Sirf Ashura ka Rozah Rakha to bhi Harj Ki Baat Nahin, Neez Hadise Baala se ye bhi Pata Chala ke Musalmano ko Har Moqe par Yahood o Nasara ki Mushabihat se Bachna Chahiye.

●════════════════◄►═══════════════●

Ibn 'Abbas RadiyAllahu Anhu reported that when the Messenger of Allah (ﷺ) fasted on the day of 'Ashura and commanded that it should he observed as a fast, they (his Companions) said to him: Messenger of Allah, it is a day which the Jews and Christians hold in high esteem. Thereupon the Messenger of Allah (ﷺ) said: When the next year comes, God willing, we would observe fast on the 9th But the Messenger of Allah (ﷺ) died before the advent of the next year."

[Sahih Muslim :: Book 6 :: Hadith 2528, 1134]

✦......♥ Muharramul Haram Wajibul Ehteram ♥......✦

⇨ "Haqiqat ye hai ke Allah ke Nazdeek Maheenon ki Ta’dad 12 Mahine hai jo Allah Ki Kitab (Lohe Mahfooz) ke Mutabiq us din se Nafiz chali Aarahi hai Jis din Allah Ne Aasman aur Zameen ko Paida kiya tha, in (12 Mahinon) mein 4 Mahine (Dhul Qa’dah, Dhul Hijjah, Muharram aur Rajab) Wajib ul Ehteram hain, Yahi Deen (ka) Seedha Sadah (Taqaza) hai, Lehaza in Mahinon ke Muamle Mein (Baham Jang kar ke) Apni Janon Par Zulm na karo.” (Quran Surah At-Tawbah: 36)

⇨ "Verily, the number of months with Allah is twelve months (in a year), so was it ordained by Allah on the Day when He created the heavens and the earth; of them four are Sacred, (i.e. the 1st, the 7th, the 11th and the 12th months of the Islamic calendar). That is the right religion, so wrong not yourselves therein, and fight against the Mushrikun (polytheists, pagans, idolaters, disbelievers in the Oneness of Allah) collectively, as they fight against you collectively. But know that Allah is with those who are Al-Muttaqun (the pious - see V. 2:2).

✦.......► Qabr Ki Pehli Raat Ke Ahwal! ◄.......✦

●◗► Is Raat ka Aankhon Dekha Haal Aaj Tak na koi Bayan kar Saka aur Na Ham aur Aap Dunya Walon Se Bayan kar Saken ge!!!

Ya Arhamar Rahimeen! Qabr ki Manzil Aasan Farma aur Qabr Ki Sakhti se Hamari Hifazat Farma! (Aameen)

✦.........♥ Sab Se Anokha Rishta! ♥.........✦

Sab Rishton Mein Mardon ka Naam Pehle Aata hai:

► Beta Beti             ► Pota Poti

► Bhai Bahen         ► Nawasa Nawasi

► Dada Dadi           ► Bhatija Bhatiji

► Nana Nani           ► Bhai Bhabi

► Chacha Chachi   ► Miya Biwi

Lekin Sirf Aik Rishta Aisa hai Jis mein Aurat ka Naam Pehle Aata hai aur Wo hai: 'Maa' Baap…(SubhanAllah)

✦.....► Rishwat Lene aur Dene Walon Par Lanat!◄.....✦

Narrated Abdullah ibn Amr ibn al-'As RadiyAllahu Anhu: The Messenger of Allah (ﷺ) cursed the one who bribes and the one who takes bribe.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 24 :: Hadith 3573, 3580]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Amr RadiyAllahu Anhuma Farmate hain ke “Nabi Kareem ﷺ  ne Rishwat Lene Wale aur Dene Wale Donon Par Lanat Farmayi hai.”

[Urdu Ref :: Sunan Abi Dawud :: Vol. :: Hadith 183, 3580]

❤️ Zindagi Mein Aise Shaks Ka Hona Bahot Zaroori hai Jis ko Dil ka Haal Sunane ke Liye Lafzon Ki Zarurat Na Pade ❤️

✦........♥ Waldain Ko Uff Tak Na Kahen!!! ♥........✦

⇨ ““Aur Tumhare Parwardigar ne ye Hukum Diya hai ke us ke Siwa kisi ki Ibadat na karo, aur Waldain ke Sath Accha sulook Karo, Agar Waldain mein se koi Aik ya Donon Tumhare Paas Budhape ko Pahoch jayen to Unhen Uff tak na kaho, Aur na Unhen Jhidko, Balke un se izzat ke Sath Baat kiya Karo.”(Surah Al-Isra: 23)

⇨ “And your Lord has decreed that you not worship except Him, and to parents, good treatment. Whether one or both of them reach old age [while] with you, say not to them [so much as], "uff," and do not repel them but speak to them a noble word.” (Surah Al-Isra: 23)

✦........♥ 1439 Hijri ♥........✦

India Mein Muharram Al-Haram ka Chaand Nazar Aagaya kal hi, Aaj 01-Muharram-1439 Hijri hai, Jab ke 'Ashura' 10 Muharram, Baroz Itwar (Sunday) 01-Oct-2017 ko Hoga.

 Muharram Al-Haram ka Chand Nazar Aate hi Naye Islami Saal 1439 Hijri ka Aaghaz bhi Ho gaya.

●◗► Allah Subhanahu Wa Ta'ala  Is Saal ko Tamam Musalmanon ke liye Khiar o Barkat aur Urooj o Taraqqi ka Zariya Banaye. (Aameen)

✦..........♥ Saale Nao Ki Pehli Subah! ♥..........✦

اللَّهُمَّ مَا أَصْبَحَ بِي مِنْ نِعْمَةٍ فَمِنْكَ وَحْدَكَ لاَ شَرِيكَ لَكَ فَلَكَ الْحَمْدُ وَلَكَ الشُّكْرُ ‏

Tarjumah: “Aye Allah Jin Nematon ke Sath Meri ya Teri Makhlooqat mein se Kisi ki bhi Subah hui hai wo Sab Nematen Aap ki Ata kardah hain, Aap wo Wahdahu La Shareek Zaat hain, Aap hi ke liye Tareef hai aur Aap hi ke liye Shukr hai.”

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 1636, 5073]

●◗► Saale Nao 1439 Hijri ki Pehli Subah Se hi “Subah Sham” ki Masnoon Duaon ka Ehtemam Shuru Karden.

●═══════════════◄►═══════════════●

The Prophet (ﷺ) said: If anyone says in the morning:

اللَّهُمَّ مَا أَصْبَحَ بِي مِنْ نِعْمَةٍ فَمِنْكَ وَحْدَكَ لاَ شَرِيكَ لَكَ فَلَكَ الْحَمْدُ وَلَكَ الشُّكْرُ ‏

"O Allah! whatever favour has come to me, it comes from Thee alone Who has no partner; to Thee praise is due and thanksgiving,'! he will have expressed full thanksgiving for the day; and if anyone says the same in the evening, he will have expressed full thanksgiving for the night.

[Sunan Abi Dawud :: Book 42 :: Hadith 5055, 5073]

✦..........♥ Naye Islami Saal ki Dua ♥..........✦

Abdullah bin Hisham RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Sahaba Karam RadiyAllahu Anhum Ajmayeen Naye Saal ya Maheene ki Aamad Pe Ye Dua Sikhate the:

اللَّهُمَّ أَدْخِلْهُ عَلَيْنَا بِالأَمْنِ ، وَالإِيمَانِ ، وَالسَّلامَةِ ، وَالإِسْلامِ ، وَرِضْوَانٍ مِنَ الرَّحْمَنِ ، وَجَوَازٍ مِنَ الشَّيْطَانِ

“Aye Allah! Amn, Iman, Salamati, Islam, Rahman ki Raza Mandi Aur Shaitan se Bachao ke Sath is Saal / Maheena ko Ham Pe Dakhil Farma.” (Aameen)

[Al-Mu’jamul Awsat Al-Tabarani :: 6241]

●═══════════════◄►═══════════════●

Narrated by Abdullah ibn Hisham RadiyAllahu Anhu, when there is new year or new month would begin , the Sahaba (companion) of the RasoolAllah ﷺ would learn the following dua:

اللَّهُمَّ أَدْخِلْهُ عَلَيْنَا بِالأَمْنِ ، وَالإِيمَانِ ، وَالسَّلامَةِ ، وَالإِسْلامِ ، وَرِضْوَانٍ مِنَ الرَّحْمَنِ ، وَجَوَازٍ مِنَ الشَّيْطَانِ

Allahumma Adkhilhu Alaina bil Amni wal iman, Was salamati wal islam, Wa ridwanim minar Rahman, wa Jawazim minash shaitan

O Allah, bring this (month or year) upon us with security and iman, and with safety and Islam, and with the pleasure of Rahman and Protection from shaitan.

[Al Muajam Al Awsat At-Tabrani :: 6410]

🌸 Muqarrar Waqt Hota hai Mohabbat Ki Namazon Ka, Ada Jin ki Nikal Jaye Qaza Bhi Chhoot Jati hai 🌸

✦..........► Munafiq Ki 3 Nishaniyan! ◄..........✦

Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu: The Prophet (ﷺ) said, "The signs of a hypocrite are three:

❶ Whenever he speaks, he tells a lie.
❷ Whenever he promises, he always breaks it (his promise ).
❸ If you trust him, he proves to be dishonest. (If you keep something as a trust with him, he will not return it.)"

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 1 :: Book 2 :: Hadith 33, 33]

●═══════════════◄►═══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah  ﷺ ne Irshad Farmaya: “Munafiq ki 3 Nishaniyan Hain:

❶  Jab wo Baat kare to Jhoot bole.
❷ Jab Wa’dah kare to Wadah khilafi Kare.
❸ Aur jab us ke paas Amanat Rakhwayi Jaye to us Mein Khayanat kare.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 1 :: Hadith 33]

✦....► Padosiyon Mein Zyadah Haqdar Padosi Kon? ◄....✦

‘A’ishah RadiyAllahu Anha said: I asked : apostle of Allah ﷺ! I have two neighbors. With which of them should I begin? He ﷺ replied: Begin with the one whose door is nearer to you."

[Sunan Abi Dawud :: Book 42 :: Hadith 5136 , 5155]

Urdu Translation: Hazarat Aishah RadiyAllahu Anha Farmati hain ke Main ne Nabi Akram ﷺ se Arz kiya: Ya RasoolAllah! Mere 2 Padosi hain, Main in mein se Kise Hadya Bhejun?  Aap ﷺ ne Irshad Farmaya: “Donon Mein se Jis ka Darwazah Tumhare Zyadah Qareeb ho.”

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 1712, 5155]

No comments:

Post a Comment