Pages

Sunday, 22 October 2017

✦.....♥ Khali Ghar Mein Dakhil Hone Ki Dua! ♥.....✦

'Abdullah ibn 'Umar RadiyAllahu Anhu said: "When someone enters a house which is not lived in, he should say,

السَّلاَمُ عَلَيْنَا وَعَلَى عِبَادِ اللهِ الصَّالِحِينَ
'Peace be upon the righteous slaves of Allah.'"

[Al-Adab Al-Mufrad :: Book 43 :: Hadith 1055]

●════════════════◄►═══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Umar RadiyAllahu Anhuma Farmate Hain ke Jab koi Shaks Khali Ghar Mein Dakhil ho to ye Padhe:

السَّلاَمُ عَلَيْنَا وَعَلَى عِبَادِ اللهِ الصَّالِحِينَ
“Salamati ho Ham Par aur Allah ke Naik Bandon Par.”

[Al-Adab Al-Mufrad Imam Al-Bukhari ::  Hadith 1055]

💖 Kisi Bhi Aurat Ke Liye Zindagi Ka Sab Se Behtareen Sarmaya Us Ka Naik Seerat Aur Khush Akhlaq Shohar Hota Hai 💖

✦.......► Be Hayai, Ghairat Ke Khilaf Hai! ◄.......✦

Allah's Messenger (ﷺ) said, "None has more sense of ghaira than Allah, and for this He has forbidden shameful sins whether committed openly or secretly.”

[Sahih Bukhari :: Vol. 6 :: Book 60 :: Hadith 161, 4637]

Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ ne Irshad Farmaya: “Allah Subhanahu Wa Ta'ala se Zyadah aur Koi Ghairat Mand Nahin hai, isi Waja se Allah ne Zaheri aur Batni har Qism ki Be Hayai ko Haram kiya hai.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 6:: Hadith 4637]

●◗► Agar Masjid Mein Daurane Namaz Pichli Saf Se Bacchon ki Aawazen Na Aayen To Agli Nasal ke Deen ki Fikr Karen!

💖 Agar Main Accha Hun To Ye Mera Kamaal Nahin, Ye Meri Tarbiyat Hai Jo Mujhe Meri Maa Ne Di hai 💖

✦.♥ Bargahe Khudawandi Mein Apna Tazkirah Karwayen! ♥.✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: "What you mention of glory of Allah, of Tabsih (Subhan-Allah), Tahlil (La ilaha illAllah) and Tahmid (Al-Hamdu lillah), revolves around the Throne, buzzing like bees, reminding of the one who said it. Wouldn't any one of you like to have, or continue to have, something that reminds of him (in the presence of Allah)?'"

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 5 :: Book 33 :: Hadith 3809, 3809]

Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ ne Irshad Farmaya: “Jab Tum Allah ki Buzurgi Maslan SubhanAllah, La ilaha illAllah aur Alhamdulillah ka Zikr karte ho to ye Kalimat Allah ke Arsh ke Gird Chakkar Lagate hain aur in ki Aawaaz Shahed ki Makkhiyon ki Bhinbhinahat ki Tarah hoti hai, Phir ye Azkaar Apne Kehne wale ka Zikr (Allah ki Bargaah Mein) karte hain, Kya tum Mein se koi ye Pasand karta hai ke us ka Zikr Allah ki Bargaah mein Hamesha Hota Rahe.”

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Hadith 690, 3809]

💖 Ya Allah! Har Kisi ki Zindagi Mein Aise Sathi ka Sath Likh de Jo us ke Haq Mein Behtareen Ho. Aameen 💖

✦.........♥ Umre Daraz Ki Nemat ♥.........✦

'Abdullah bin Busr  RadiyAllahu Anhu narrated that a Bedouin said: "O Messenger of Allah ﷺ! Who is the best of the people?" He ﷺ said: "He whose life is long and his deeds are good."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 10 :: Hadith 2329, 2329]

Urdu Translation: Aik Dihati ne RasoolAllah ﷺ se Pucha: Ya RasoolAllah! Logon mein Accha koun hai? Aap ﷺ ne Irshad Farmaya: “Accha wo hai Jis ki Umr Lambi aur Aa’mal Acche hon.”.

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: 211, 2329]

●◗► Nazron Ki Hifazat! Bahot Kuch Mehfuz Bana Deti Hai.

✦.....♥ Jannat Mein Darakhton Ki Unchayi! ♥......✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: "Verily, in Paradise there is a tree, a rider will travel in it's shade for a hundred years."

[Jami at-Tirmidhi  :: Vol. 4 :: Book 12 :: Hadith 2523]

Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ ne Irshad Farmaya: “Jannat mein Aise Darakht Hain ke koi Sawaar Agar us ke Saye Mein 100 Saal Tak Chalta Rahe (To Bhi us ka Saya Khatam na ho).”

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi  :: Vol. 2 :: Hadith 413, 2523]

💞 Aam Logon Ki Shadeed Kami Hai, Har Koi Khud Ko Bahot Khaas Samajh Raha Hai 💞

✦.....► Ikhatthi 3 Talaqen Dena Quran ke Sath Khilwad ◄.....✦

The Messenger of Allah (ﷺ) was told about a man who had divorced his wife with three simultaneous divorces. He (ﷺ) stood up angrily and said: Is the Book of Allah being toyed with while I am still among you?

[Sunan an-Nasa'i :: Vol. 4 :: Book 27 :: Hadith 3430, 3401]

Urdu Translation: RasoolAllah  ﷺ ko Aik Aise Shaks ke Bare Mein Bataya Gaya Jis ne Apni Biwi ko ikhatti Teen Talaqen di Thin, Ye sun kar Aap ﷺ Ghusse ki Halat mein Khade Ho gaye aur Irshad Farmaya: “Kya Mere Tumhare Darmiyan Maujood Hote hue bhi Wo Allah ki Kitab ke Sath Khilwad Karta hai?”.

[Sunan an-Nasa'i :: Vol. 2 :: Hadith 1340, 3401]

●◗► Mubah aur Jayez cheezon mein Sab se zyadah Na Pasandidah Cheez Alalh ki Nigah mein “Talaq” hai, Agar Ba’amre Majboori Talaq deni bhi pad jaye to Aik Talaq de kar Iddat Guzarne di jaye, Iddat Guzarne ke baad Aurat Aazad ho jayegi, Aaj kal log Baik waqt Teen Talaqe de Dalte hain jo Sakht Gunah ki baat aur Quran o Sunnat se Mazaq aur Khilwad hai, Baik Waqt Teen Talaqen Dene se Teenon Waqe ho Jati hain, isi Liye to RasoolAllah ﷺ ne Aise Shaks Par Sakht Narazgi ka Izhar Farmaya Tha.

✦.......► Lagayi Bujhayi Karne Walon Ka Ilaj!◄.......✦

❶ Aik Shaks ne Hazrat Wahab bin Munabbih Rahimahullah se Kaha ke Fulan ne Aap ko Gaali di hai, Aap Rahimahullah ne Jawab diya: Kya Shaitan ko Tumhare Alawah koi Aur Qasid Nahin Mila?

❷ Aik Shaks ne kisi Buzurg se kaha ke Fulan ne Aap ko Gaali di hai, Unhon ne Jawab diya: Us ne to Mujhe Aisa Teer mara jo Mujhe Nahin Laga, Tum ne kyun us ka Teer utha kar Mere Seene mein Ghonp diya?

❸ Aik Shaks Imam Shafi’i Rahimahullah ke Paas Aaya aur Kehne laga ke Fulan Shaks Aap ki Buraiyan karta Rehta hai, Aap Rahimahullah ne Jawab diya: Agar tu Saccha hai to tu Chughal khor hai aur Agar Jhuta hai to Fasiq hai.

No comments:

Post a Comment