Pages

Saturday, 9 December 2017

✦.......► 3 Ashkhas Ki Ibadat Besood Hain! ◄.......✦

RasoolAllah (ﷺ) ne Farmaya: “3 Logon ki Na koi Nafli Ibadat Qubool hoti hai Aur Na Farz:

❶ (Waldain ka) Na Farmaan.

❷ Ehsan Jatlane Wala.

❸ Taqdeer ka Inkar Karne Wala. (Al-Mu'jam Al-Kabeer Al-Tabarani: 7547)

●◗► Besood – Be Faidah, Rayega, Be Maqsad.

قال رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم - ثلاثة لا يقبل الله منهم صرفا و لا عدلا : عاق و منان و مكذب بالقدر (المعجم الکبیر للطبرانی: 7547،حدیث صحیح)

💖 Insaan Ka Dil Aur Chai Ka Cup Hamesha Bada Hona Chahiye 💖

💖 Buzurg Hamari Daulat Ke Nahin Hamari Mohabbat Aur Tawajje Ke Talabgaar Hote Hain 💖

●◗► Aik Aadmi Dhoop aur Shadeed Garmi Mein 8 Ghante Mazdoori Ya Mulazimat kar Sakta hai, Lekin Pankhe ke Niche khade ho kar 2 Rakat Namaz Nahin Padh Sakta.

Aakhir Waja kya hai?

“Jism Mazboot Aur Rooh Kamzor Hai.”

✦...........♥ Azdwaji Zindagi Ko Bhi ♥...........✦
✦...♥ “Like” aur “Comment” Ki Zarurat! ♥...✦

Azdwaji Zindagi mein Aik Dusre ko Waqt dena Bahot Ahem hai, Aaj kal ki Masroof Tareen Zindagi Mein Ghar Walon ke Liye Waqt Nikalna Pehle hi Mushkil tha ke Ab Rahi sahi Kasar Social Media ne Puri kardi.

●◗► Lehaza Ghar Pahoch kar Social Media ka Istemal Bilkul Khatam ya Mahdood Karden aur Jis tarah Facebook ko Ghaur se Dekha jata hai isi Tarah Miyan Biwi aik Dusre ko dekh kar Like ka Button dabayen aur Muh se Tareefi Comment kar den… Phir dekhen Zindagi kitni Khushgawar hoti hai aur Allah ki Rehmat kaise Barasti hai.


🌸 Dunya Ki Haqiqat Ye Hai Ke Gham Mein Tanha Aur Khushiyon Mein Zamana Sath Hota Hai 🌸

✦............► Maut Ki Tamanna ◄.............✦

Allah's Messenger (ﷺ) said: None amongst you should make a request for death, and do not call for it before it comes, for when any one of you dies, he ceases (to do good) deeds and the life of a believer is not prolonged but for goodness.

[Sahih Muslim :: Book 35 :: Hadith 6485, 2682]

Urdu Translation: Nabi Akram (ﷺ)  ne Irshad Farmaya: “Tum Mein se koi Maut ki Aarzu na kare aur Na Maut Aane se Pehle Maut ki Dua kare! Kyun ke jo koi Tum Mein se Mar jata hai Us ka Aml khatam ho Jata hai Aur Momin ki Umr Zyadah hone se Bhalayi zyadah Hoti hai (Kyun ke Umr Zyadah hone ki Waja se Nekiyan bhi Zyadah ho Jati hain).”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 6 :: Hadith 6819, 6995]

🌸 Agar Zindagi Aarzi Hai To Mushkilat Bhi Mustaqil Nahin Hain, Bus Allah Ki Zaat Par Bharosa Hona Chahiye 🌸

✦…....♥ Aik Dusre Ki Khair Khuah Aurten! ♥….....✦

RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad Farmaya: “Aik Musalman Aurat, Dusri Musalman Aurat ki Bahen Hoti hai.” (Sahih Ibn Hibban: 4070)

 ●◗► Aam tor Par Aurten Aik Dusre ke sath Khair khuahi ka Muamla Nahin kartin aur in Mein Hasad, Keena, Boghz aur Adawat ki Bimari Bakasrat Payi Jati hai, Gharon aur Rishtedaron mein Jhagde ki Aik Badi Wajah bhi Aurton ka Aapas mein Manfi rawayya aur Tarze Aml hota hai, RasoolAllah (ﷺ) ne Darje bala Irshad Mein Aurton ko aik Dusre ki Bahen Qarar dete hue Baham Khair Khuahi aur Husne Sulook ki Targheeb di.

“Bahen” Ki Shadi ki Khushi To Bahot Hoti Hai “Lekin” Us Se “Bichadne” Ka Dukh Us “Khushi” Se Kahin Zyadah Hota Hai
✦.........♥ Shadi Ke Pur Musarat Moqe Par  ♥........✦
✦.....♥ Mubarak Baad Dene Ki Masnoon Dua! ♥.....✦

Narrated Abu Hurayrah RadiyAllahu Anhu: When the Prophet (ﷺ) congratulated a man on his marriage, he (ﷺ) said:

‏ "‏ بَارَكَ اللَّهُ لَكَ وَبَارَكَ عَلَيْكَ وَجَمَعَ بَيْنَكُمَا فِي خَيْرٍ ‏"

May Allah bless for you, and may He bless on you, and combine both of you in good (works).

[Sunan Abi Dawud :: Book 11 :: Hadith 2125, 2130]

●════════════════◄►═══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah (ﷺ) Jab kisi Shadi Shudah Shaks ko Mubarak Baad dete to ye Dua Farmate:

‏ "‏ بَارَكَ اللَّهُ لَكَ وَبَارَكَ عَلَيْكَ وَجَمَعَ بَيْنَكُمَا فِي خَيْرٍ ‏"

Allah Ta’ala Tujhe Barkat de Aur Tujh Par Barkat Nazil kare aur Tum Donon ke Darmiyan Bhalayi Par Ittifaq Paida Farmaye.

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 2 :: Hadith 363]

✦......♥ Huzoor ﷺ ki Makki o Madni Zindagi ♥…...✦

Narrated Ibn `Abbas RadiyAllahu Anhu: Allah's Messenger (ﷺ) started receiving the Divine Inspiration at the age of forty. Then he stayed in Mecca for thirteen years, receiving the Divine Revelation. Then he was ordered to migrate and he lived as an Emigrant for ten years and then died at the age of sixty-three (years).

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 5 :: Book 58 :: Hadith 242, 3902]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Abbas RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai, Farmate Hain: Nabi Kareem (ﷺ) Makka Mukarramah mein 13 Saal rahe, Jis mein Aap Par Wahi Nazil hoti thi, Madinah Munawwarah mein Aap (ﷺ) 10 Saal Rahe Aur 63 Saal ki Umr mein Aap (ﷺ) ki Wafat Hui.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 5 :: Hadith 3902]

🌸 Mahboob Ko Dekhna Mohabbat Ki Shart Nahin Hoti koi Bina Dekhe Owais Qarni Ban Jata Hai Koi Paas Rehkar bhi Abu Jahl hi Rehta Hai 🌸

✦...► Mutakabbir Shaks Allah Ke Ghazab Ka Mustahiq! ◄...✦

The Prophet ﷺ said: "If anyone behaves insolently or walks with an arrogant, he will meet Allah Almighty covered with His anger."

[Al-Adab Al-Mufrad :: Book 30 :: Hadith 549]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Jis Shaks ne Dil mein Apne Aap ko Bada Samjha ya Apni Chaal Chalan Mein Takabbur ka izhaar Kiya to Wo Allah Ta’ala se is Haal mein Milega ke Allah Ta’ala ka is Par Ghazab hoga.”

[Urdu Ref :: Al-Adab Al-Mufrad Al-Bukhari :: Hadith 549]

💖 Roothne Aur Manane Ka Aml Ruk Jaye To Mohabbaton Ko Zang Lag Jata Hai 💖

✦...► Acche Aur Bure Mahol ke Insani Zindagi Par Asrat ◄...✦

Narrated Abu Musa RadiyAllahu Anhu: The Prophet (ﷺ) said, 'The example of a good pious companion and an evil one is that of a person carrying musk and another blowing a pair of bellows. The one who is carrying musk will either give you some perfume as a present, or you will buy some from him, or you will get a good smell from him, but the one who is blowing a pair of bellows will either burn your clothes or you will get a bad smell from him."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 7 :: Book 67 :: Hadith 442, 5534]

Urdu Translation: Hazrat Abu Musa RadiyAllahu Anhu Riwayat karte hain ke RasoolAllah ﷺ ne Farmaya: “Naik Sathi Mushk Bechne Wale ki Tarah aur Bura Sathi Bhatti Phookne Wale ki Tarah hai, Mushk Bechne Wala ya to Tumhen Tohfe ke Taur Par Mushk dega ya Tum us se Mushk khareedoge aur (Agar wo Tumhen Mushk na bhi de aur Tum khareedo bhi Nahin to Paas Baithne ki Waja se) Acchi Khusbu se to Muattar Rahoge aur Bhatti Phookne Wala Ya to Tumhare Kapde Jala dega (Aur Agar kapde na bhi Jalaye to Paas baith ne ki Waja se) Tumhen Badbu aur Dhuan to Soonghna hi Padega."

[Urdu Ref :: Sahih al-Bukhari :: Vol. 7 :: Hadith 5534]

●◗► Aap ki Wafaat Ke Baad Aap ka Kamaya Hua Maal to Aap ke Wursa Le Jayen ge Lekin us Maal ka Hisab Aap ko Dena hoga.

► Wursa – Waris Ki Jama.

No comments:

Post a Comment