Pages

Sunday, 27 May 2018

✦..........♥ Salat Al-Tawbah ♥..........✦

AbuBakr RadiyAllahu Anhu narrated truthfully. He said: I heard the apostle of Allah (ﷺ) saying: When a servant (of Allah) commits a sin, and he performs ablution well, and then stands and prays two rak'ahs, and asks pardon of Allah, Allah pardons him. He then recited this verse: "And those who, when they commit indecency or wrong their souls, remember Allah" (Al-Qur'an 3:135).

[Sunan Abi Dawud :: Book 8 :: Hadith 1516, 1521]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Jis Shaks se bhi koi Gunah Sarzad ho Jaye, Phir wo Acchi Tarah Wuzu kare aur Uth kar 2 Rakat Namaz Padhe Phir Allah Ta’ala se Muafi Mange to Allah Subhanahu Wa Ta’ala Zaroor use Muaaf Farma Dete hain, Phir RasoolAllah ﷺ ne ye Aayat Tilawat Farmayi: “(Tarjuma) Aur ye Wo log hain ke Agar Kabhi koi Be hayai ka Kaam kar Baith te hain ya (kisi aur tarah) Apni Jaan Par zulm kar Guzarte hain to Fauran Allah ko yaad Karte hain Aur is ke Natije Mein Apne Gunahon ki Muafi Mangte hain, Aur Allah ke Siwa hai bhi Kon jo Gunahon ki Muafi de? Aur ye Apne kiye Par Jante Boojhte israar Nahin Karte. (Surah Al-Imran: 135)”

[Urdu :: Sunan Abi Dawood :: Vol. :: Hadith 1508,1521]

✦..........♥ Iftar Mein Takheer Na Karen ♥..........✦

The Messenger of Allah ﷺ said: "Allah, Mighty and Sublime is He, said: 'Those of My worshippers who are most beloved to me are the quickest to break their fast.'"

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Book 3 :: Hadith 700]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Allah Ta’ala ka Irshad hai: “Mere Han Mere Bandon mein Mahboob Tareen wo (Rozah Daar) Hai Jo (Waqt ho Jane ke Baad) Iftari karne Mein Jaldi Kare.”

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. :: Hadith 677, 700]

❤️ Jinhen Chun Liya Jaye Un Pe Tabsere Nahin Kiye Jate Un Ka Ehteraam Kiya Jata Hai ❤️

🍁 Har Azyat Ki Aik Muyina Muddat Hoti Hai, Jis ke Guzar Jane Ke Baad  Na To Dard Ki Shiddat Pehle Jaisi Rehti Hai Aur Na Use Sehne Wala Insan Pehle Jaisa Rehta Hai 🍁

RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Allah ki Khushnudi ke liye Aik din ka Rozah Rakhe Aur usi Halat Mein Mar Jaye to Wo Jannat mein Zaroor Dakhil Hoga.” (Musnad Ahmad: 23324)

Ya Arhamar Rahimeen! Ham Sab ke Sath Aafiyat ka Muamla Farma aur Hamen Rozon aur Taraweeh Pe Isteqamat Ata Farma. (Aameen)

✦…..► “Mahwari” Mein Mahe Ramadan Se Istefadah! ◄…..✦

Bahot si Khawateen Ramadan mein aur Bilkhusoos Aakhir Ashre mien “Mahwari” Shuru ho Jane se Sakht Zahni koft ka Shikar ho jati hain aur ye Soch soch kar Pareshan hoti hain ke Ab Aakhir Ashre ki Ibadaat, Taaq Raaton aur Laylatul Qadr ka kya bane ga?

Aisi Tamam Khawateen Darj Zail ❸ Nukati Agende pe Aml paira ho kar Laylatul Qadr Samait Aakhri Ashre ki Barkaat se Istefadah kar Sakti hain:

❶ Niyyat ki Durustgi:  Khuloos Niyyat ke sath ye Soche ke ye Sharyi Uzr Allah ki taraf se hai aur Agar ye Uzr na hota to Main Behtareen Andaz mein Ibadat mein Mashghool ho kar apne Rab ko razi karti, is Acchi Niyyat aur irade par Maqbool ibadaat ka InshaAllah Ajr o Sawab milega, Nabi Akram ﷺ ne Ghazwah Tabuk ke moqe par Irshad Farmaya ke kuch log Madina mein hamare piche Reh gaye hain Lekin ham kisi bhi Ghati ya Wadi mein (jihad ke liye) Chalen to wo Sawab mein Hamare sath hote hain, Phir Aap ﷺ ne Irshad Farmaya ye wo log hain jo Uzr ki Waja se Hamare sath Shareek nahin ho Sake. (Sahih Bukhari: 2839)

❷ Ibadaat karne Waliyon ke Sath Ta’awun: Aisi khawateen ibadaat, Taraweeh aur Tahajjud mein Masroof ghar ki Digar khawateen ke sath Ta’awun kar ke un ki ibadaat ke Barabar Ajr o Sawab hasil kar sakti hain, Ye Ta’awun un ke Kaam nimta kar, un ke liye Sahri o Iftari Tayyar kar ke, un ke Bacche Sambhal kar aur Digar tariqon se Kiya ja sakta hai.

❸ Zikr Azkar aur Duaon mein Mashghuliyat: Napaki ki Halat mein har Ibadat Mamnoo Nahin hoti Balke Zikr Azkar aur Duayen Mangi ja sakti hain, Lehaza Aisi Tamam Khawateen ibadaat se bilkul kinarah Kashi Ekhtiyar na kare Balke zikr Azkar, Durood Shareef, Shabe Qadr ki Masnoon dua aur Digar duaon mein Mashghool reh kar Aakhir Ashre, Taaq Raton aur Shabe Qadr ki Barkaat Hasil karne ki koshish Karen.

✦..........♥ Quran Se Nisbat Jodiye! ♥..........✦

● Jibreel Alaihis Salaam ke Zariye “Quran” Nazil hua Lehaza Wo Tamaam Farishton Mein Afzal Qarar Paye

● Muhammad RasoolAllah ﷺ Par “Quran” Nazil hua, Lehaza Aap ﷺ Tamam Makhlooq ke Sardar kehlaye

● Ummate Muhammadiya ko “Quran” ki Amanat Supurd ki gayi, Lehaza Ye Ummat khaire Ummat Qarar Payi

● Maahe Ramadan mein “Quran” Nazil hua, Lehaza ye Maheena Tamam Mahinon ka Sardar Tehra

● Shabe Qadr mein “Quran” Nazil hua, Lehaza ye Raat Tamaam Raton se Afzal Qarar Payi.

Jo Bhi Quran Se Nisbat Jodega Wo Taraqqi ki Manazil Tai Karega! ♥

✦.........♥ Iftari Ke Baad Masnoon Dua ♥.........✦

Narrated Ibn Umar RadiyAllahu Anhu: That the Prophet (ﷺ) said when he broke his fast:

" ذَهَبَ الظَّمَأُ وَابْتَلَّتِ الْعُرُوقُ وَثَبَتَ الأَجْرُ إِنْ شَاءَ اللَّهُ "
Dhahab-aẓ-ẓama’u, Wabtallat-il-‛urooqu, Wa thabat-al-Ajru In shaa’ Allaah

Thirst has gone, the arteries are moist, and the reward is sure, if Allah wills.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 13 :: Hadith 2350, 2357]

●══════════════════◄►═════════════════●

Urdu Translation: Hazrat Ibn Umar RadiyAllahu Anhuma Farmate hain ke Nabi Kareem ﷺ Jab Iftari Tanawul Farmalete to ye Dua Padhte:

" ذَهَبَ الظَّمَأُ وَابْتَلَّتِ الْعُرُوقُ وَثَبَتَ الأَجْرُ إِنْ شَاءَ اللَّهُ "
Dhahab-aẓ-ẓama’u, Wabtallat-il-‛urooqu, Wa thabat-al-Ajru In shaa’ Allaah

“Pyaas bujh Gayi aur Ragen tar Hogayin aur Allah ke Hukum se Ajr Sabit ho Gaya.”

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 2 :: Hadith 585]

✦..........♥ Rozon Ki Fidya ♥..........✦

❶ Jo Shaks Budhape ki Wajah se Rozah Rakhne ki Taqat na Rakhta ho ya Shadeed Bimari ki Waja se Rozah Rakhne se Qasir ho aur Mustaqbil mein Sahet yab hone ki Ummid bhi na Ho to Aisa Shaks Roze na Rakhe aur har Rozah ke Badle aik Miskeen ko Subah Shaam Pait Bhar kar khana khilade ya Sadaqa Fitr ke Barabar Anaaj dede, Shari’at mein is ko “Fidya” Kehte hain aur Agar Anaaj ke badle usi Qadar Anaaj ki Qeemat dede Tab bhi Durust hai.

❷ Fidya dene ka Hukum Sirf us Shaks ke Liye hai jo Na Filhal Rozah Rakh Sakta ho aur Na Aayinda Puri Zindagi mein ye Toqi ho ke wo in Rozon ki Qaza rakh Sakega.

❸ Phir Agar Zindagi mein Kabhi Taqat Aagayi ya Bimari se Sahtiyabi ho gayi to Sab Rozon ki Qaza Rakhni Padegi aur Jo Fidya diya hai Wo Sadqa ban Jayega aur is ka Sawab Alag milega.

❹ Apni Haisiyat ke Mutabiq har Rozah ke Badle Aik Miskeen ko Subah Sham Pait bhar Kar Khana Khila Dena ya Sadqa Fitr ke Barabar Ghalla de dene se Fidya Ada ho jayega, Sadqa Fitr ki Kam se kam Miqdar 90 Rupe aur Agar koi apni Haisiyat ke Mutabiq is se Zyadah de sake to Behtar hai.

Note: Apne bare mein ya Apne kisi Azeez ke Bare mein khud se ye Tai na kar Liya Jaye ke Roze Rakhne ke Bajaye Fidya dena hai, Balke kisi Mustannad Mufti ke Samne Halaat o Aazaar rakhe jayen, Phir agar wo Fidya ka Tai Farmaden to Fidya de diya jaye, Warna Roze hi Rakhe Jayen.

✦.......► Iftari Ke Waqt Sadah Mashrubaat! ◄.......✦

Doctor’s ka Kehna hai ke Iftar ke Waqt Gas wale Mashrubaat Jaise: Pepsi, Coke, 7up Wagerah Pine se Ehtiyat barten, Medical Tehqeeq ke Mutabiq Gas Wale Mashrubaat ke Istemal se Gurde ko Nuqsan Pahochne ka Sakht Andesha hai, Lehaza Iftari ke Waqt Sadah Pani ya Sadah Mashrubaat Istemal Karen, Cold drink hargiz Istemal na Karen.

✦......► Roze Mein Bhool kar Khana Peena ◄.......✦

The Prophet (ﷺ) said: "If somebody eats something forgetfully while he is fasting, then he should complete his fast, for Allah has made him eat and drink."

[Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 78 :: Hadith 662, 6669]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: "Jo Shaks Rozah ki Halat mein Bhool kar khaye (piye) use Apna Rozah Mukammal Karna Chahiye, Kyun Ke Allah Subhanahu Wa Ta'ala ne hi use Khilaya aur Pilaya."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Hadith 6669]

✦........♥ Khajoor Ya Pani Se Iftari ♥........✦

The Prophet ﷺ said: "When one of you breaks his fast, then let him do so with dried dates. And whoever does not find dates, then water, for it is purifying."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2, Book 3, Hadith 695 , 695]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Jab Tum Mein se koi Shaks Rozah Iftar kare to Use Chahiye ke Wo Khajoor se Iftar kare Kyun ke Khajoor Ba’ise Barkat hai, Aur Agar koi Shaks khajoor Na Paye to Pani se Iftar kare Kyun ke Pani Paak karne Wala hai.”

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 672, 695]

✦.........♥ Roze Ki Halat Mein Miswak ♥.........✦

Narrated 'Amir bin Rabi`a RadiyAllahu Anhu: "I saw the Prophet (ﷺ) cleaning his teeth with Siwak while he was fasting so many times as I can't count."

(Sahih Bukhari, Chapter: Siwak for the person observing Saum (fast))

Urdu Translation: Hazrat Amir Bin Rabi’a RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke: “Main ne RasoolAllah ﷺ Ko Roze ki Halat Mein (itni Martaba) Miswak Karte Dekha ke Main na Gin Sakta hun Aur Na Shumar kar Sakta hun.”

(صحيح البخاري باب سِوَاكِ الرَّطْبِ وَالْيَابِسِ لِلصَّائِمِ)

🌸 Rozah Aise Rakho Jaise Zindagi Ke Sab Gunah Aik Hi Roze Mein Khatam Ho Jayen 🌸

✦……..► Sehri Zaroor Karen! ◄……..✦

Abdullah ibn ‘Amr (RadiyAllahu Anhu) said that the Messenger of Allah ﷺ  said: “Make Suhoor even if it just with a sip/gulp of water”.  [Sahih Ibn Hibbaan: 3476]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Amr RadiyAllahu Anhuma se Riwayat hai ke RasoolAllah  ﷺ ne  Irshad Farmaya: “Sehri Zaroor karo! Agarche Aik Ghoont Pani hi Se kyun na ho.” [Sahih Ibn Hibbaan: 3476]

✦.....♥ 1 Maah Ke Rozon Se 12 Maah Ka Taqwa! ♥.....✦

Allah Subhanahu Wa Ta'ala Ne Ham Par kis Qadar Ehsan Farmaya Ke Maahe Ramadan ke Roze Farz Farmaye Taa ke ham Taqwa ki Dayimi Daulat se Mala Maal ho jayen aur Aik Maah Ehtemam Aur Aadab ke Sath Roze Rakhne ki Barkat se 12 Maah ke Muttaqi ban Jayen.

✦......♥ Ramadan Al-Mubarak Ki Baharen! ♥......✦

❶  Ramadan Al-Mubarak Mein Jahannam ke Darwaze band Kar diye Jate hain.
❷ Jannat ke Darwaze khol diye Jate hain.
❸ Sarkash Shayateen Qaid kar diye Jate hain.
❹ Ramadan Al-Mubarak Nuzoole Quran ka Mahina hai.
❺ Ramadan Al-Mubarak ke Roze Farz Qarar diye gaye.
❻ Ramadan Al-Mubarak mein ibadaat ka Ajr kayi Guna badha diya jata hai.
❼ Ramadan Al-Mubarak mein Umrah ka Sawab Hajj ke Barabar hai.
❽ Ramadan Al-Mubarak mein iftari ke Waqt aur har Raat ko Allah Ta’ala apne Bandon ko Jahannam se Aazad farmate hain.
❾ Ramadan Al-Mubarak mein Lailatul Qadr ki Aik Raat hai jo Hazaar Mahinon se Afzal hai.
❿ Ramadan Al-Mubarak, Muafi, Rehmat, Maghfirat aur Jahannam se Aazadi ka Mahina hai.

✦......♥ Mahe Ramadan 1439 Hijri Mubarak Ho! ♥......✦

Allah Subhanahu Wa Ta'ala Hamen is Ramadan Al-Mubarak ke liye Salamat Rakhe aur is ko Hamare liye Salamat rakhe, aur is Ba barkat Maah ke Rozon Samait hamari Tamam Ibadaat ko Apni Bargaah mein Sharfe Qubuliyat Ata Farmaye, Aur ise Tamam Alame Islam ke Rehmat o Maghfirat ka Zariya Banaye. Aameen

✦.......♥ Ramadan aur Eid ka Chand ♥.......✦

Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu: The Prophet (ﷺ) or Abul-Qasim said: "Start fasting on seeing the crescent (of Ramadan), and give up fasting on seeing the crescent (of Shawwal), and if the sky is overcast (and you cannot see it), complete thirty days of Sha'ban."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 3 :: Book 31 :: Hadith 133, 1909]

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi Akram ﷺ ne Irshad Farmaya: “Chand Dekh Kar Roze Shuru Karo Aur Chand Dekh kar hi Roze Khatam karo (Yani Eid ul-Fitr Manao) Aur Agar Baadal Chaye Hue Hon (Aur Badalon ki Wajah se Chaand Nazar na Aaye) to Sha’ban ke 30 Din Pure Karlo.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Hadith 1909]

❤️ Alfaz Chabiyon Ki Manind Hain In Ko Sahih Istemal Kar Ke Logon Ka Muh Band Aur Dil Khole Ja Sakte hain ❤️

✦....► Mashiyate Ilahi Aur Ramadan Nashriyat Ka Bunyadi Farq! ◄...✦

Ramadan Al-Mubarak mein Allah Subhanahu Wa Ta'ala kya Chahte hain? Aur Ramadan Nashriyat ke Naam Par be Hayayi, Mardozan ka Ikhtelat, Lottery, In’ami Schemes, Dramayi Ibadaten Aur Digar khurafat ke Zariye Awam ka Qeemti waqt Zaye karne Wale TV Channels kya Chahte hain???

Is Baat ka Jawab is Aayat Mein Mulaheza Farmayen:

⇨ "Allah to Chahta hai ke Tumhari Tauba Qabool kare, Magar jo Log Nafsani Khuaheshat ki Pairwi karte hain Wo Chahte hain ke Tum Raahe Rast se Hat kar Bahot Door ja Pado." (Al-Quran, Surah An-Nisa: 27)

No comments:

Post a Comment